गुरुवार 9 जुलाई 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

009-07-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

009/07/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - vr̥ikṣhapati bāp nē tum bachchō̃ par br̥ihaspati kī daśhā biṭhāī hai , abhī tum avināśhī sukh key|kī duniyā mē̃ jā rahē hō ' '

1Essence: Sweet children, the Father, the Lord of the Tree, has placed the omens of Jupiter over you. 2You are now going to a world of imperishable happiness.

Question

2Praśhna  : avināśhī br̥ihaspati kī daśhā kin bachchō̃ par baiṭhtī , unkī niśhānī kyā hōgī  ?

3Question: Which children experience the imperishable omens of Jupiter over them and what indicates this?

Answer

3Uttar  : jō bachchē jītē jī dēh K|kē sab sambandhō̃ kō tyāg apnē kō ātmā niśhchay kartē , aisē niśhchay ātmik buddhi vālē bachchō̃ par br̥ihaspati kī daśhā baiṭhtī hai .

4Answer: The children who renounce all their bodily relations while alive and have the faith that they are souls, those whose intellects have such faith, are the ones who experience the omens of Jupiter over them.

4Unkē hī sukh kā gāyan hai ki atīndriya sukh gōp gōpiyō̃ sē pūchhō .

5It is of them that it is remembered: If you want to know about supersensuous joy, ask the gopes and gopis.

5Unkī khuśhī kabhī bhī gum nahī̃ hō saktī .

6Their happiness can never disappear.

Song

6Gīt  : ōm namō śhivāē …

7Song: Salutations to Shiva!

Murli

7Ōm śhānti .

8Om shanti.

8Bachchō̃ nē bāp key|kī mahimā sunī .

9You children heard the Father’s praise.

9Āj K|kē din kō kahā hī jātā hai vr̥ikṣhapati ḍē|day , jiskō milākar kahā hai br̥ihaspati .

10Today is called the day of the Lord of the Tree, the day of the omens of Jupiter.

10Inkō hī gurūvār bhī kahā jātā hai .

11It is this day that is called Thursday, the day of the guru.

11Na sirph gurūvār parantu satgurūvār .

12It is not just the day of the guru, but the day of the Satguru.

12Baṅgāl mē̃ bahut māntē haĩ .

13In Bengal, people believe in this a great deal.

13Gāyā jātā hai manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp isliē vr̥ikṣhapati kahtē haĩ .

14The Seed of the Human World Tree is remembered and this is why He is called the Lord of the Tree.

14Bīj ṭhaharā|ṭhahrā , tō pati bhī ṭhaharā|ṭhahrā .

15He is the Seed and also the Lord.

15Vr̥ikṣha K|kē bīj kō bāp bhī kahē̃gē .

16The Seed of the Tree is also called the Father.

16Unsē vr̥ikṣha utpanna hōtā hai .

17The tree emerges from Him.

17Yah hai manuṣhya sr̥iṣhṭi rūpī jhāṛ . 18Inkā bīj ūpar mē̃ hai .

18This is the human world tree and its Seed is up above.

19Tum jāntē hō ham bachchō̃ par ab avināśhī vr̥ikṣhapati key|kī daśhā hai kyōṅki avināśhī svarājya mil rahā hai .

19You children know you have the imperishable omens of Jupiter over you because you are now receiving imperishable self-sovereignty.

20Satyug kō kahā hī jātā hai avināśhī sukhdhām . 21Kaliyug kō kahā jātā hai vināśhī duḥkhdhām .

20The golden age is called an imperishable land of happiness whereas this iron age is called an perishable land of sorrow.

22Abhī duḥkhdhām kā vināśh hōnā hai .

21This land of sorrow is now to be destroyed.

23Sukhdhām avināśhī hai , ādhākalp chaltā hai jō avināśhī vr̥ikṣhapati sthāpan kar rahē haĩ .

22That land of happiness is imperishable: it continues for half a cycle and it is established by the imperishable Lord of the Tree.

24Bachchō̃ kō service kē liē points note karnī hai .

23You children should note down these points for when you do service.

25Pradarśhanī mē̃ yah-yah points mukhya samjhānē kī haĩ kyōṅki manuṣhya tō kuchh bhī jāntē nahī̃ .

24These are the main points that have to be explained at the exhibitions because human beings don’t know anything at all.

26Barōbar yah hai gyān .

25Truly, this is knowledge.

27Ab bāp yah gyān dētē hī haĩ - naī aur purānī duniyā K|kē bīch mē̃ , phir yah prāyaḥlōp hō jātā hai .

26The Father now gives you this knowledge at the confluence of the new and old worlds and it then disappears.

28Dēvtāō̃ kō yah gyān nahī̃ hōtā hai .

27Deities don’t have this knowledge.

29Agar yah chakra kā gyān hō tō phir rājāī mē̃ majā hī na āyē .

28If they had this knowledge of the cycle they wouldn’t enjoy the kingdom.

30Abhī bhī tumkō khyāl hōtā hai nā . 31Kyā rājya lēkar phir hamārī yah hālat hōgī .

29Even now, you have this thought: After claiming our kingdom, are we going to reach the same condition again?

32Parantu yah tō drama banā huā hai . 33Chakra kō phirnā hī hai .

30However, this drama is predestined; the cycle has to turn.

34World key|kī history-geography repeat hō rahī hai .

31The history and geography of the world are repeating.

35Kaisē repeat hō rahī hai - yah tum bachchē jāntē hō .

32You children know how they repeat.

36Yah hai manuṣhya sr̥iṣhṭi .

33This is the human world.

37Tumhārī buddhi mē̃ mūlvatan kā jhāṛ bhī hai .

34You have the tree of the incorporeal world in your intellects.

38Section sabkā alag-alag hai .

35Everyone’s section is separate.

39Yah bātē̃ kōī key|kī buddhi mē̃ kabhī nahī̃ hōgī .

36These things would never be in anyone else’s intellect.

40Kōī śhāstrō̃ mē̃ tō yah likhī huī nahī̃ haĩ .

37These things are not written in any of the scriptures.

41Ham ātmā asul śhāntidhām key|kī rahvāsī haĩ , avināśhī haĩ .

38Originally, we souls are residents of the land of peace.

42Kab vināśh kō nahī̃ pātē .

39We are imperishable and are never destroyed.

43Vah samajhtē haĩ budbudā pānī sē nikal phir usmē̃ mil jātā hai .

40They believe that each bubble emerged from the water and will merge into it again.

44Tumhārī buddhi mē̃ sārā rāz hai .

41You have the whole secret in your intellects.

45Ātmā avināśhī hai , jismē̃ sārā part nūndhā huā hai .

42Souls are imperishable and their whole parts are recorded in them.

46Yah chakra kā knowledge kōī śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ hai . 47Bhal kahā̃-kahā̃ svāstikā bhī dikhātē haĩ .

43This knowledge of the cycle is not mentioned in any of the scriptures, although they do show a swastika in some places.

48Chakra key|kī sirph aisē-aisē lakīr lagā dētē haĩ , jissē siddha hōtā hai anēk dharm thē .

44They simply draw lines and circles to show that there were many religions.

49Bāp nē samjhāyā hai mukhya dharm aur śhāstra haĩ 4 , satyug trētā mē̃ tō kōī dharm sthāpan hōtā nahī̃ , na vahā̃ kōī dharmaśhāstra hōtā hai .

45The Father has explained there are four main religions and religious scriptures. 46Neither are there any religions established in the golden and silver ages, nor are there any religious scriptures there.

50Yah sab dvāpar sē śhurū hōtē haĩ .

47All of them begin in the copper age.

51Phir dēkhō kitnī vr̥iddhi hōtī hai .

48Just look how so much expansion then takes place.

52Achchhā - gītā kab sunāī gaī  ?

49Achcha, when was the Gita spoken?

53Bāp kahtē haĩ - maĩ kalp K|kē saṅgamyugē hī ātā hū̃ .

50The Father says: I only come at the confluence age of the cycle.

54Unhōnnē phir kalp akṣhar nikāl sirph saṅgamyugē-yugē likh diyā hai .

51They have removed the word “cycle” and said that I come at the confluence of every age.

55Vāstav mē̃ saṅgamyugē aur kōī dharm sthāpan nahī̃ kartē haĩ .

52In fact, at no other confluence are there any religions established.

56Aisē nahī̃ ki trētā K|kē ant , dvāpar K|kē ādi K|kē saṅgam par islāmī dharm sthāpan huā .

53It isn’t that the religion of Islam was established at the end of the silver age and the beginning of the copper age.

57Nahī̃ , kahē̃gē dvāpar mē̃ sthāpan huā .

54No, it would be said that it was established in the copper age.

58Yah saṅgam kā suhāvanā samay hai , jiskō kumbha kahtē haĩ .

55These are the beautiful moments of the confluence age which is also called the Kumbha.

59Kumbha saṅgam kō kahā jātā hai . 60Yah hai ātmāyē̃ aur paramātmā K|kē milan kā saṅgam .

56The Kumbha is at the confluence: this confluence is of the meeting of souls with the Supreme Soul.

61Yah rūhānī mēlā saṅgam par hī hōtā hai .

57This spiritual meeting only takes place at the confluence age.

62Unhōnnē pānī key|kī gaṅgā kā nām bālā kar diyā hai .

58They have then glorified the name of the Ganges of water.

63Gyān sāgar , patit-pāvan kō jāntē hī nahī̃ .

59They don’t know the Ocean of Knowledge, the Purifier, at all.

64Usnē kaisē patit duniyā kō pāvan banāyā , kōī śhāstrō̃ mē̃ hai nahī̃ .

60It is not written in any scripture how He made the impure world pure.

65Ab tum bachchō̃ kō bāp kahtē haĩ - māmēkam yād karō .

61The Father now tells you children: Constantly remember Me alone!

66Dēh K|kē sab dharm tyāgō .

62Renounce all the religions of bodies.

67Kiskō kahtē haĩ  ?

63To whom is He telling this?

68Ātmāō̃ kō .

64To souls.

69Iskō kahā jātā hai jītē jī marnā .

65This is known as dying alive.

70Manuṣhya śharīr chhōṛtē haĩ tō dēh K|kē sab sambandh chhūṭ jātē haĩ .

66When a person dies, all his bodily relationships are renounced.

71Bāp kahtē haĩ - jō bhī dēh K|kē sambandh haĩ vah sab chhōṛ apnē kō ātmā niśhchay karō .

67The Father says: Renounce all your bodily relationships and have the faith that you are souls.

72Niśhchay ātmik buddhi banō .

68Have soul-conscious intellects filled with faith.

73Jitnā jāstī yād karē̃gē tō br̥ihaspati kī daśhā hōgī .

69The more you stay in remembrance, the more you will experience the omens of Jupiter over you.

74Jāñch karō ham śhivbābā kō kitnā yād kartē haĩ  !

70Check to see how much you remember Shiv Baba.

75Yād sē hī kaṭ nikaltī jāyēgī aur tumkō khuśhī hōgī .

71It is only by your having remembrance that the rust will continue to be removed and you will experience happiness.

76Tum mahsūs kar saktē hō , ham ātmā kitnā bāp kō yād kartē haĩ .

72You souls realise for yourselves how much you remember the Father.

77Agar cum|kam yād karē̃gē tō kaṭ bhī cum|kam nikalēgī .

73If you remember Him less, only a little rust will be removed.

78Khuśhī bhī cum|kam rahēgī . 79Pad bhī cum|kam pāyēṅgē .

74There will also be less happiness experienced and the status you receive will be low.

80Ātmā hī satō rajō tamō bantī hai .

75It is the soul who goes through the stages of sato, rajo and tamo.

81Is samay kā hī gāyan hai - gōp gōpiyō̃ K|kē atīndriya sukh kā .

76This praise refers to now: If you want to know about supersensuous joy, ask the gopes and gopis.

82Aur kuchh bhī yād nahī̃ paṛtā hai sivāē bāp K|kē , tab hī khuśhī kā pārā chaṛhēgā .

77Only when you remember no one other than the Father will your mercury of happiness rise.

83Hamārē ūpar br̥ihaspati kī daśhā athavā satgurū key|kī daśhā hai .

78We have the omens of Jupiter, that is, the omens of the Satguru, over us.

84Phir kabhī khuśhī gum hō jātī hai tō kahtē haĩ br̥ihaspati kī daśhā badal rāhū key|kī baiṭhī hai .

79Then, when this happiness disappears, it is said: The omens of Jupiter have changed and there are now the omens of Rahu (an eclipse) over you.

85Kōī bahut sāhūkār hōtē haĩ , kōī saṭṭā lagāyā yah dēvālā nikalā .

80Some very wealthy people speculate on the stock market and then go bankrupt.

86Bhārat mē̃ hī jab grahaṇ lagtā hai tō kahtē haĩ dē dān tō chhūṭē grahaṇ .

81In Bharat, when there is an eclipse, it is said: Make a donation and the eclipse will be removed.

87Tumhārā dēvī-dēvtā dharm bhī 16 kalā sampūrṇ thā , unkō grahaṇ lagā huā hai .

82Your deity religion was sixteen celestial degrees full. 83It is now eclipsed.

88Rāhū kī daśhā baiṭhtī hai isliē dēvtāō̃ kē āgē jākar gātē haĩ - āp sarvguṇ sampann . . . ham pāpī , kapaṭī haĩ .

84When people experience the omens of Rahu, they go in front of the deity idols and sing: You are full of all virtues; we are sinners and cheats.

89Abhī tum samajhtē hō rāhū kā grahaṇ lagnē sē sab kālē ban gayē haĩ .

85You now understand, because there are the omens of an eclipse, that all have become ugly.

90Chandramā key|kī pichhāṛī mē̃ lakīr jākar rahtī hai .

86The moon also wanes until there is just a line left.

91Bāp bhī samjhātē haĩ tum dēvī-dēvatāō̃ K|kē bhī chitra haĩ .

87The Father explains: There are the images of you deities.

92Gītā hī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm kā śhāstra hai .

88The Gita is the religious scripture of the original eternal deity religion.

93Parantu yah apnē dharm kō nahī̃ jāntē haĩ .

89However, they don’t know their own religion.

94Religious heads key|kī conference kartē haĩ .

90They hold conferences for the religious heads.

95Tum vahā̃ bhī samjhā saktē hō - īśhvar sarvavyāpī tō hai nahī̃ .

91You can even explain there that God is not omnipresent.

96Vah tō bēhad kā bāp hai .

92He is the unlimited Father.

97Bachchō̃ kō ākar varsā dētē haĩ .

93He comes here to give the inheritance to His children.

98Sādhū sant ādi kō tō varsā miltā nahī̃ tō mānē̃gē kaisē  !

94Sages and holy men don’t receive the inheritance. 95Therefore, how can they believe this?

99Tum bachchō̃ kō hī varsā miltā hai .

96It is only you children who receive the inheritance.

100Mukhya bāt hai hī yah siddha karnē key|kī ki īśhvar sarvavyāpī nahī̃ hai .

97The main thing that you have to prove is that God is not omnipresent.

101Śhiv jayantī hōtī hai .

98There is the birthday of Shiva.

102Śhiv jayantī kahō athavā rūdra jayantī kahō - rūdra yah gyān yagya rachtē haĩ .

99You can call it the birthday of Shiva or the birthday of Rudra. 100Rudra creates the sacrificial fire of this knowledge.

103Hai tō śhiv .

101He is Shiva.

104Vahī gītā gyān yagya hai , jissē vināśh jvālā prajjavalit huī hai .

102This is the same sacrificial fire of the knowledge of the Gita through which the flames of destruction emerged.

105Practical mē̃ tum dēkhtē hō , kaisē nirākār bābā nē rūdra gyān yagya rachā hai .

103You can see in a practical way how incorporeal Baba has created the sacrificial fire of this knowledge of Rudra.

106Sākār tō kuchh kar na sakē .

104The corporeal one cannot do anything.

107Yah bēhad kā yagya hai , inmē̃ sārī purānī duniyā svāhā hōnī hai .

105This is an unlimited sacrificial fire into which the whole of this old world is to be sacrificed.

108Bākī tō vah sab haĩ jismānī yagya . 109Kitnā rāt-din kā fark hai .

106All others are worldly sacrificial fires; there is the difference of day and night!

110Bāp kahtē haĩ - yah rūdra gyān yagya hai , vināśh bhī hōnā hai .

107The Father says: This is the sacrificial fire of the knowledge of Rudra and destruction has to take place.

111Tum jab pās|pass hō jāyēṅgē , pūrā yōgī aur gyānī ban jāyēṅgē tō phir tumhārē liē naī duniyā svarg chāhiē . 112Nark kā jarūr vināśh chāhiē .

108When you become completely yogi and knowledgeable and pass fully, a new world of heaven will then be required for you and hell will also have to be destroyed.

113Rājasva aśhvamēdh akṣhar bhī ṭhīk hai .

109The words: The horse is sacrificed for self-sovereignty are right.

114Ghōṛē kō svāhā kartē haĩ .

110They also sacrifice a horse.

115Vāstav mē̃ hai tumhārā yah rath .

111In fact, this refers to your chariot.

116Ēk dakṣha prajāpati kā bhī yagya rachtē haĩ , unkī bhī kahānī hai .

112There is also the story of the sacrificial fire of Daksha Prajapita.

117Ab tum bachchō̃ kō kitnī khuśhī hōnī chāhiē - hamkō vr̥ikṣhapati bāp paṛhā rahē haĩ .

113You children should now experience so much happiness because the Father, the Lord of the Tree, is teaching you.

118Hamārē ūpar ab br̥ihaspati kī daśhā hai , hamārī avasthā bahut achchhī hai .

114We now have the omens of Jupiter over us and our stage is very good.

119Phir chaltē-chaltē likhtē haĩ bābā ham tō mūnjh gayē haĩ .

115Then, as you move along, you write: Baba, I have become confused.

120Pahlē ham bahut khuśhī mē̃ thē , ab patā nahī̃ kyā huā hai .

116At first, I was very happy but I don’t know what has now happened.

121Yahā̃ ākar bāp kā bannā baṛī yātrā hai .

117To come here and belong to the Father is a great pilgrimage.

122Vahā̃ tīrtha yātrāō̃ par jātē haĩ tō kitnē paisē kharcha kartē haĩ .

118When people go on pilgrimages, they spend so much money.

123Ab yahā̃ tō dān karnē key|kī bāt nahī̃ . 124Inmē̃ kuchh bhī paisā kharcha nahī̃ karnā hai .

119There is no question of donating anything here; you don’t have to spend any money here.

125Vah hai jismānī yātrāyē̃ , tumhārī hai rūhānī yātrā .

120That is a physical pilgrimage whereas yours is a spiritual pilgrimage.

126Jismānī yātrā sē phāydā kuchh bhī nahī̃ .

121There is no benefit through physical pilgrimages.

127Gīt mē̃ bhī hai nā - chārō̃ ōr lagāyē phērē phir bhī janma-janmāntar dūr rahē .

122It is sung in the song: We went around in all directions and yet remained distant from you for birth after birth.

128Abhī tum samajhtē hō kitnī ḍhēr yātrāyē̃ key|kī hōgī .

123You now understand how you must have gone on so many pilgrimages.

129Kahā̃ na kahā̃ manuṣhya jātē jarūr haĩ .

124People definitely go to one place or another.

130Haridvār mē̃ gaṅgājī par jarūr jātē haĩ .

125They definitely go to the Ganges at Haridwar.

131Patit-pāvnī gaṅgā samajhtē haĩ nā .

126They believe that the Ganges is the Purifier.

132Ab vāstav mē̃ tum hō sachchī-sachchī gyān gaṅgāyē̃ .

127In fact, you are the true Ganges of this knowledge.

133Tumhārē pās|pass bhī bahut ākar gyān snān kartē haĩ .

128Many come to you and are bathed in this knowledge.

134Bābā nē samjhāyā hai - satgurū ēk hī hai .

129Baba has explained that there is only the one Satguru.

135Sarv kā sadgati dātā sivāē ēk satgurū K|kē aur kōī gurū nahī̃ .

130No one, apart from the one Satguru, can be the Bestower of Salvation for All.

136Bāp kahtē haĩ - maĩ tumkō kalp-kalp saṅgamyug par ākar sadgati dē pujārī sē pūjya banātā hū̃ .

131The Father says: I come at the confluence age of every cycle, grant you salvation and make you worthy of worship from worshippers.

137Phir tum pujārī ban duḥkhī ban jātē hō .

132Then, you become worshippers and unhappy.

138Yah bhī abhī patā paṛā hai .

133Only at this time do you know this.

139Barōbar hamārā ādhākalp rājya chaltā hai phir dvāpar mē̃ ham sō dēvī-dēvtā vām mārg mē̃ chalē jāyēṅgē .

134Our kingdom truly lasts for half a cycle and then, in the copper age, we deities go on to the path of sin.

140Jab rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai tab sē hī vām mārg śhurū hōtā hai .

135The path of sin begins when the kingdom of Ravan begins.

141Unkī bhī niśhāniyā̃ haĩ .

136There are signs of this.

142Jagannāth K|kē mandir mē̃ jāō tō andar kālī mūrti hai .

137When you go to the Jagadnath Temple, you can see images made of black stone there.

143Bāhar mē̃ dēvtāō̃ K|kē gandē chitra haĩ .

138Outside, they have idols of the deities in dirty postures.

144Us samay apnē kō bhī thōṛē hī samajh mē̃ ātā thā ki kyā hai .

139Previously, we didn’t understand what those meant.

145Vikārī manuṣhya vikārī dr̥iṣhṭi sē dēkhē̃gē . 146Tō samajhtē thē , dēvtāyē̃ bhī vikārī thē .

140Vicious people would look at them with vicious vision and they would therefore think that even those deities were vicious.

147Yah likhā huā hai dēvtāyē̃ vām mārg mē̃ jātē haĩ .

141It is written that the deities went on to the path of sin.

148Dress bhī dēvtāō̃ kī dī hai .

142They have shown them in the costume of deities.

149Yahā̃ bhī dēlvāṛā mandir mē̃ jāō tō ūpar mē̃ svarg lagā huā hai . 150Nīchē tapasyā mē̃ baiṭhē haĩ .

143When you go to the Dilwala Temple here, you can see how heaven is shown on the ceiling and how they are sitting in tapasya on the ground below.

151In sab rāzō̃ kō aur kōī jāntē nahī̃ haĩ .

144No one else understands all of these secrets.

152Bābā kā tō anubhavī rath hai nā .

145Baba’s chariot is very experienced.

153Tum bachchē ab samajh rahē hō - ātmāyē̃ aur paramātmā alag rahē bahukāl . . . tum jō pahlē alag huē hō phir tum hī ākar pahlē miltē hō .

146You children now understand how souls remained separated from the Supreme Soul for a long period. 147You, who separated first, also come and meet Him first.

154Satyug kā first prince hai śhrīkr̥iṣhṇa .

148Shri Krishna is the first prince of the golden age.

155Śhrīkr̥iṣhṇa kā bāp bhī tō hōgā nā .

149There must also be the father of Shri Krishna.

156Śhrīkr̥iṣhṇa K|kē mā̃ bāp kā itnā kuchh dikhātē nahī̃ haĩ .

150They haven’t shown very much about Shri Krishna’s parents.

157Sirph dikhātē haĩ māthē par rakhkar nadī sē us pār lē gayā .

151They have just shown that his father carried him in a basket on his head and took him across a river.

158Rājāī ādi kuchh nahī̃ dikhāī hai .

152They haven’t shown the kingdom etc.

159Unkē bāp key|kī mahimā kyō̃ nahī̃ hai  !

153Why isn’t there any praise of his father?

160Abhī tum jāntē hō is samay śhrīkr̥iṣhṇa key|kī ātmā nē achchhī rīti paṛhāī paṛhī hai . 161Jis kāraṇ mā̃ bāp sē bhī ūñch pad pāyā hai .

154You now understand that the Shri Krishna soul studied this study very well at this time and that it was due to this that he received a status higher than that of his parents.

162Tum samajhtē hō ham śhrīkr̥iṣhṇa key|kī rājdhānī mē̃ thē , svarg mē̃ tō thē nā .

155You understand you were in Shri Krishna’s kingdom; you were in heaven.

163Phir ham chandravanśhī banē .

156You then became part of the moon dynasty.

164Ab phir sūryavanśhī bannē kē liē śhrīmat par chal pāvan ban pāvan duniyā K|kē mālik banē̃gē .

157In order to become part of the sun dynasty once again, we will follow shrimat and become pure and then become the masters of that pure world.

165Har ēk apnī avasthā kō dēkh saktē hō . 166Agar ham is samay śharīr chhōṛ dē̃ tō kis gati kō pāyēṅgē .

158Each one of you can check your own stage: What will I have achieved if I leave my body at this time?

167Har ēk samajh saktē haĩ .

159Each of you can understand this for yourself.

168Jitnā bāp kō yād karē̃gē utnē vikarma vināśh hōṅgē .

160The more you remember the Father, the more your sins will be absolved.

169Manuṣhya kē ūpar kōī āphatē̃ vā duḥkh ātā hai vā dēvālā nikāltē haĩ tō sādhuō̃ kā jākar saṅg kartē haĩ .

161When people experience any difficulty or sorrow or they go bankrupt, they go and seek the company of sages.

170Phir manuṣhya samajhtē yah tō bhagat ādmī hai . 171Ṭhagī thōṛēhī karē̃gē .

162They would consider that person to be a devotee person, that he wouldn’t cheat anyone.

172Aisē-aisē bhī dō chār varṣh mē̃ bahut dhanvān hō jātē haĩ .

163Even such people become very wealthy in two to four years.

173Unhō̃ K|kē bahut chhipē huē paisē hōtē haĩ .

164They have a lot of money hidden away.

174Har ēk apnī buddhi sē samajh saktē haĩ .

165Each of you can use your intellect to understand.

175Tumhārē mē̃ bhī bahut haĩ jō bahut cum|kam yād kartē haĩ isliē bābā kahtē haĩ apnā kalyāṇ chāhtē hō tō apnē pās|pass nōṭabuk rakhō .

166Among you, there are also many who remember Baba very little. 167This is why Baba says: If you want to benefit yourself, keep a notebook with you.

176Chart note karō . 177Ham sārē din mē̃ kitnā samay yād mē̃ rahē .

168Note down in your chart how much you remember Baba throughout the whole day.

178Manuṣhya tō sārī jīvan key|kī bhī history likhtē haĩ .

169Some people even write their whole life story.

179Tumkō tō sirph yād kā chart likhnā hai , apnī hī unnati hai .

170You just have to write your chart of remembrance. 171There will be benefit for you in this.

180Bābā kō yād nahī̃ karē̃gē tō ūñch pad pā nahī̃ sakē̃gē .

172If you don’t remember Baba, you won’t be able to claim a high status.

181Vikarma vināśh hī nahī̃ hōṅgē tō ūñch pad kaisē pāyēṅgē .

173If your sins haven’t been absolved, how would you claim a high status?

182Phir sajāyē̃ khānī paṛēgī .

174Punishment will then have to be experienced.

183Mōchrā jō nahī̃ khāyēṅgē tō pad achchhā milēgā .

175Those who don’t experience punishment will claim a good status.

184Mōchrā khākar phir kuchh thōṛā bahut pad pānā vah kyā kām kā .

176Of what use is it to attain a low status after experiencing punishment?

185Dharmarāj kā mōchrā na khāyē̃ , bēijjatī na hō - yah puruṣhārth karnā hai .

177Make effort so that you don’t experience punishment from Dharamraj and lose your honour.

186Tum dēkhtē hō śhivbābā baiṭhā rahtā hai phir dharmarāj bhī hai .

178You can see that Shiv Baba is sitting here, but at that time there will also be Dharamraj.

187Tumkō sab sākṣhātkār karātē haĩ . 188Tumnē yah-yah kiyā thā , yād hai  ?

179You will be given visions of everything you have done: Do you remember this?

189Ab khāō sajā .

180Now, experience punishment!

190Phir usī samay sajāyē̃ utnī hī khātē haĩ , jitnī janma-janmāntar khātē haĩ .

181The punishment then experienced at that moment will be as though it is the punishment you have received for birth after birth.

191Pichhāṛī mē̃ thōṛā rōṭī ṭukkaṛ milā , ussē kyā phāydā .

182What would be the benefit of receiving a small piece of chapatti at the end?

192Mōchrā tō nahī̃ khānā chāhiē .

183No punishment should be experienced.

193Apnī avasthā key|kī jāñch karnī hai .

184Check your own stage.

194Jaisē pōtāmēl nikāltē haĩ , kōī 6 mās kā , kōī 12 mās kā .

185People keep their accounts for six or twelve months.

195Kōī tō rōz kā bhī nikāltē haĩ .

186Some even write up their accounts every day.

196Bāp kahtē haĩ - tum bhī vyāpārī hō .

187The Father says: You too are businessmen.

197Kōī virlā vyāpārī bēhad K|kē bāp sē vyāpār karē .

188Scarcely any businessmen do business with the unlimited Father.

198Dhan nahī̃ tō tan-man tō hai nā .

189Even if you don’t have any money, you have your bodies and minds.

199Unkō sarrāph bhī kahtē haĩ .

190He is also called the Stockbroker.

200Maṭṭā saṭṭā kartē haĩ nā .

191He exchanges everything for you.

201Tum tan-man-dhan dētē hō return mē̃ 21 janm kē liē kitnā varsā pātē hō . 202Bābā ham āpkā hū̃ .

192You give Him your bodies, minds and wealth and, in return, you receive such an inheritance for 21 births: Baba, I belong to You.

203Aisī yukti batāō jō hamārī ātmā aur śharīr in lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā ban jāyē .

193Show me such a method that both I, this soul, and my body become like Lakshmi or Narayan.

204Bābā kahtē maĩ tumkō kitnā gōrā banātā hū̃ .

194Baba says: I am making you very beautiful.

205Ēkdam rūp hī badal dētā hū̃ .

195Your form changes completely.

206Dūsrē janm mē̃ tumkō first class śharīr milēgā .

196In your next birth, you will receive a first-class body.

207Tum vaikuṇṭha mē̃ bhī dēkhtē hō .

197You can see everything in Paradise.

208Tum jāntē hō yah mama bābā phir lakṣhmī-nārāyaṇ banē̃gē .

198You know that Mama and Baba will become Lakshmi and Narayan.

209Aim object bhī dikhātē haĩ .

199The aim and objective are also shown.

210Ab jō jitnā puruṣhārth karē .

200It now depends on how much effort you make.

211Agar puruṣhārth pūrā nahī̃ karē̃gē , dhamchakra macāyēṅgē tō apnā pad hī bhraṣhṭa karē̃gē .

201If you don’t make full effort but create chaos, you would destroy your status.

212Achchhā  !

202Achcha.

213Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

203To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

214Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

204The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

215Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

205Essence for dharna:

2161 ) apnī avasthā key|kī jāñch svayã hī karnī hai .

2061. Check your own stage.

217Apnē kalyāṇ kē liē daily diary rakhnī hai , jismē̃ yād kā chart note karnā hai .

207Keep a daily diary for your own benefit and note down your chart of remembrance in that.

2182 ) bēhad K|kē bāp sē sachchā-sachchā vyāpār karnā hai .

2082. Do true business with the unlimited Father.

219Apnā tan-man-dhan bāp havālē kar 21 janmō̃ kē liē return lēnā hai .

209Surrender your body, mind and wealth to the Father and claim a return for 21 births.

220Niśhchaybuddhi ban apnā kalyāṇ karnā hai .

210Let your intellect have faith and benefit yourself.

Blessing

221Vardān  : khuśhī kē sāth śhakti kō dhāraṇ kar vighnō̃ kō pār karnē vālē vighna jīt bhav

211Blessing: May you be a conqueror of obstacles and triumph over obstacles by imbibing power with happiness.

222Jō bachchē jamā karnā jāntē haĩ vah śhaktiśhālī bantē haĩ .

212The children who know how to accumulate become powerful.

223Yadi abhī-abhī kamāyā , abhī-abhī bāṇṭā , svayã mē̃ samāyā nahī̃ tō śhakti nahī̃ rahtī . 224Sirph bāṇṭnē vā dān karnē key|kī khuśhī rahtī hai .

213If you earn something one moment and immediately give it away and do not save any of it for yourself, you then have no power left; you simply have the happiness of sharing or donating.

225Khuśhī kē sāth śhakti hō tō sahaj hī vighnō̃ kō pār kar vighna jīt ban jāyēṅgē .

214If you have power as well as happiness, you will easily be able to overcome obstacles and triumph over them.

226Phir kōī bhī vighna lagan kō disturb nahī̃ karē̃gē .

215No obstacles will then create any disturbance in your love.

227Isliē jaisē chēhrē sē khuśhī key|kī jhalak dikhāī dētī hai aisē śhakti key|kī jhalak bhī dikhāī dē .

216Just as the sparkle of happiness is visible on your face, so the sparkle of power will also then be visible.

Slogan

228Slōgan  : paristhitiyō̃ mē̃ ghabrānē kē bajāē unhē̃ śhikṣhak samajhkar pāṭh sīkh lō .

217Slogan: Instead of being afraid of adverse situations, consider them to be your teacher and learn a lesson from them.

218*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

229Yē avyakt iśhārē - jvālāsvarūp sthiti mē̃ rah śhaktiśhālī yād kā anubhav karō

219Avyakt signal: Stay in the volcanic stage and experience powerful remembrance.

230Last sō fast puruṣhārth jvālā-rūp kā hī rahā huā hai .

220The last and fast effort that remains is of the volcanic form.

231Pāṇḍavō̃ K|kē kāraṇ yādav rūkē huē haĩ .

221The Yadavs were waiting because of the Pandavas.

232Pāṇḍavō̃ key|kī śhrēṣhṭh śhān , ruhānī śhān key|kī sthiti yādavō̃ K|kē parēśhānī vālī paristhiti kō samāpt karēgī .

222The stage of elevated and spiritual honour of the Pandavas will finish the adverse, distressed situations of the Yadavas.

233Tō apnī śhān sē parēśhān ātmāō̃ kō śhānti aur chain kā vardān dō .

223Use your honour to give distressed souls the blessing of peace and comfort.

234Jvālā svarūp arthāt light house aur might house sthiti kō samajhtē huē isī puruṣhārth mē̃ rahō .

224To be the volcanic form means to understand the lighthouse and might-house stage and to continue to make that effort.