शुक्रवार 24 जुलाई 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

024-07-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

024/07/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - is mahābhārat laṛāī mē̃ purānā jhāṛ samāpt hōnā hai isliē laṛāī K|kē pahlē bāp sē pūrā-pūrā varsā lē lō ' '

1Essence: Sweet children, this old tree is to be destroyed in the Mahabharat War. 2Therefore, claim your full inheritance from the Father before the war takes place.

Question

2Praśhna  : bābā kō mātāō̃ kā saṅgaṭhan chāhiē lēkin us saṅgaṭhan key|kī viśhēṣhtā kyā hō  ?

3Question: Baba wants a gathering of mothers, but what speciality should this group have?

Answer

3Uttar  : aisā saṅgaṭhan hō jō dēhī-abhimānī rahnē kā pūrā-pūrā puruṣhārth karē , jinhē̃ pakkā naśhā hō ki hamē̃ pāvan ban pāvan duniyā banānī hai .

4Answer: It should be a gathering that makes full effort to remain soul conscious. 5They should have the firm faith that they have to become pure and make the world pure.

4Patit nahī̃ bannā hai .

6They mustn’t become impure.

5Naṣhṭōmōhā group hō tab kōī kamāl karkē dikhāyē .

7Only when the group is that of destroyers of attachment can they show wonders.

6Kisī mē̃ bhī rag nahī̃ hōnī chāhiē .

8There must be no attachment to anyone.

7Mōh key|kī rag bahut nuksān kar dētī hai .

9Strings of attachment cause a lot of loss.

Murli

8Ōm śhānti .

10Om shanti.

9Mīṭhē-mīṭhē bachchē yah jāntē haĩ ki mīṭhā bābā hamkō svargvāsī banānē yahā̃ āyē haĩ .

11You sweetest children know that sweet Baba has come here to make you into residents of heaven.

10Yah bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai .

12This is in the intellects of you children.

11Har ēk kō yah samjhānā hai ki ham ātmā is yād kī yātrā sē pavitra bantī haĩ .

13Explain to everyone that we souls become pure by having the pilgrimage of remembrance.

12Kitnā sahaj upāya hai , sirph bāp kō yād karnā hai .

14Simply to remember the Father is such an easy method.

13Bachchē jāntē haĩ ki bāp ēk second mē̃ mukti-jīvanmukti kā varsā dētē haĩ .

15You children know that the Father gives you the inheritance of liberation and liberation-in-life in just a second.

14Ab sab jīvanbandh mē̃ haĩ , rāvaṇrājya K|kē bandhan mē̃ haĩ .

16All are now in lives of bondage. 17They are in the bondage of Ravan’s kingdom.

15Yah bāt bāp jāntē aur bachchē jāntē aur na jānē kōī .

18Only the Father and you children know this; no one else.

16Tum bachchō̃ kō niśhchay hai ki bēhad K|kē bāp kō ham yād kartē haĩ tō andar mē̃ bahut khuśhī hōnī chāhiē , ātmā kō . 17Jis bāp kō ādhākalp yād kiyā kartē thē - vah bāp milā .

19You children have the faith that you are remembering your unlimited Father. 20Therefore, you souls should have a lot of happiness inside you, because you have now found the Father whom you have been remembering for half a cycle.

18Duḥkh mē̃ bāp kō simraṇ kartē rahtē haĩ .

21They continue to remember the Father when they experience sorrow.

19Tum bhī simraṇ kartē thē , abhī tum duḥkhī hōkar simraṇ nahī̃ kartē hō .

22You also used to remember the Father in this way, but you now no longer remember the Father out of sorrow.

20Jiskō sārī duniyā simraṇ kartī hai - vah bāp āyā hai , yah tum jāntē hō .

23You know that the Father, whom the whole world remembers, has now come.

21Bābā nē bār-bār samjhāyā hai - yahā̃ jab tum baiṭhtē hō tō aisā samjhō ki ham ātmā haĩ . 22Bābā paramdhām sē āyā huā hai .

24Baba has repeatedly explained to you that, when you sit here, you must consider yourselves to be souls and understand that Baba has come from the supreme abode.

23Kalp-kalp apnē vāydē anusār ātā hai .

25He comes every cycle according to His promise.

24Bābā key|kī yah pratigyā hai ki tum jab pukārē̃gē aur ādhākalp jab pūrā hōtā hai tō mujhē ānā paṛtā hai .

26Baba promised that, when you call out to Him and when half the cycle has passed, He will have to come.

25Kaliyug kē bād satyug hōnā hai tō mujhē ānā paṛtā hai .

27After the iron age, there has to be the golden age, and so I have to come.

26Yah sirph tum bachchō̃ kō mālūm hai ki yah saṅgamyug hai , bābā āyā huā hai .

28Only you children know that it is now the confluence age and that Baba has come.

27Tum bachchē bhī service kartē hō , din-pratidin parichay dētē jātē hō , bāp key|kī pahchān sabkō miltī jātī hai .

29You children also do service; you continue to give the Father’s introduction day after day. 30Everyone continues to receive recognition of the Father.

28Yahā̃ baiṭhē hō , jāntē hō bēhad kā bābā śhivbābā hamkō phir sē bēhad kā varsā dēnē āyē haĩ .

31You souls sitting here understand that Shiv Baba, the unlimited Baba, has come once again to give you your unlimited inheritance.

29Tum bābā-bābā kahtē hō nā .

32You say: “Baba, Baba.

30Ham śhivbābā kē pās āyē haĩ .

33We have come to Shiv Baba.”

31Śhivbābā bhī kahtē haĩ ki maĩ sādhāraṇ tan mē̃ āyā hū̃ , kalp pahlē muāphik .

34Shiv Baba also says: I have entered an ordinary body, exactly as I did in the previous cycle.

32Yah bhūlnā nahī̃ chāhiē .

35You mustn’t forget this.

33Māyā aisē bābā key|kī yād bhulā dētī hai , jissē patit sē pāvan bannā hōtā hai .

36Maya makes you forget the Baba who makes you pure from impure.

34Tum jāntē hō ki sarv kā sadgati dātā ēk hī satgurū hai .

37You know that the one Satguru is the Bestower of Salvation for All.

35Sikkh lōg bhī gātē haĩ sat śhrī akāl , patit-pāvan kō hī satgurū kahā jātā hai .

38Sikhs say: “Sat Shri Akal (Truth Elevated Eternal).” 39Only the Purifier is called the Satguru.

36Pukārtē bhī haĩ ki hē patit-pāvan .

40People call out: “O Purifier!”

37Ātmā pukārtī hai .

41Souls call out.

38Abhī tum jāntē hō ham yahā̃ āyē haĩ sammukh bāp sē milnē .

42You now know that you have come to meet the Father personally.

39Baṛē-baṛē ādmī ēk dō kē pās milnē jātē haĩ , unhō̃ key|kī kitnī mahimā hōtī hai .

43When important people meet one another, there is so much praise of them!

40Dhūmdhām sē ājiyān kē liē tō bainḍabājē ādi bajātē haĩ khuśhī K|kē .

44They welcome one another with a lot of splendour and happiness, while bands play music.

41Yah gupta vēṣh mē̃ kaun āyā huā hai , yah tum hī jāntē hō .

45Who has come here in an incognito form? 46Only you know this.

42Unkō kahā jātā hai - dūrdēśh kā rahnē vālā musāphir .

47He is called the Traveller who is the Resident of the Faraway Land.

43Tum jāntē hō ham ātmāyē̃ paramdhām key|kī rahnē vālī haĩ .

48You souls know that you are residents of the supreme land.

44Yahā̃ musāphir ban āyē haĩ part bajānē .

49You have come here as travellers to play your parts.

45Ēk-ēk akṣhar jō bāp samjhātē haĩ , duniyā mē̃ kōī nahī̃ jāntē .

50No one in the world knows any of the words that the Father explains.

46Tum bāp sē sun rahē hō . 47Vah achchhī rīti dhāraṇ karnā chāhiē .

51You are listening to the Father and so you should imbibe very well what He says.

48Bāp samjhātē haĩ tum sab musāphir hō , is karmakṣhētra mē̃ .

52The Father explains: All of you are travellers on this field of action.

49Ham śhāntidhām K|kē rahnē vālē haĩ phir yahā̃ talkie world mē̃ ātē haĩ .

53We are residents of the land of silence. 54We then come here to this “talkie” world.

50Ham śhāntidhām K|kē musāphir haĩ , 84 janmō̃ kā part yahā̃ bajātē haĩ .

55We are travellers from the land of silence who are playing our parts of 84 births here.

51Ākhir yah ant kā samay hai .

56Finally, these are the last moments.

52Tō bāp āyē huē haĩ - purānī sr̥iṣhṭi kō nayā banānē .

57The Father has come to make this old world new.

53Yah bhī tum jāntē hō .

58Only you know this.

54Chitra bhī clear hai , śhivbābā brahmā dvārā naī duniyā kī sthāpanā kartē haĩ .

59The pictures are very clear; Shiv Baba is establishing a new world through Brahma.

55Aisē tō nahī̃ śhrīkr̥iṣhṇa dvārā , viṣhṇu dvārā sthāpanā kartē haĩ .

60It isn’t that He carries out this establishment through Shri Krishna or Vishnu.

56Bāp ātē hī haĩ brahmā dvārā svarg rachnē .

61The Father comes to create heaven through Brahma.

57Bāp āyē haĩ sādhāraṇ tan mē̃ .

62The Father has entered an ordinary body.

58Yah hai hī patit duniyā , ēk bhī pāvan nahī̃ .

63This is an impure world; there isn’t a single pure being in this world.

59Jabki pahlē number vālē lakṣhmī-nārāyaṇ bhī patit bantē haĩ . 60Jō pāvan thē vahī patit banē haĩ , sārī dynasty sahit .

64Even the number one Lakshmi and Narayan have become impure; those who were pure have become impure. 65This includes the whole dynasty.

61Tum jāntē hō ham jō deity dharm vālē thē vah ab śhūdra dharm vālē ban gayē haĩ .

66You know that you, who had belonged to the deity religion, became those of the shudra religion.

62Bhal America ādi mē̃ baṛē-baṛē sāhūkār rahtē haĩ . 63Parantu satyug K|kē sāmnē America kuchh bhī nahī̃ .

67Although many wealthy people live in America, America is nothing compared to the golden age.

64Yah sab pichhāṛī mē̃ banē haĩ . 65Yah alpkāl kā bhabhkā hai .

68All of that was created later; it is a temporary show.

66Vināśh tō hōnā hī hai .

69Destruction has to take place.

67Tum bachchō̃ kō baṛā achchhā naśhā rahnā chāhiē .

70You children should have very good intoxication.

68Bāp jō hamkō svarg kā mālik banātē haĩ , unkō ham bachchē yād na karē̃ , kitnā wonder hai .

71It is such a wonder that you children don’t remember the Father who makes you into the masters of heaven.

69Māyā yād karnē nahī̃ dētī .

72Maya doesn’t allow you to remember Him.

70Tum bachchē abhī aisē kahtē hō - bābā māyā hamkō yād karnē nahī̃ dētī hai .

73You children now say: “Baba, Maya doesn’t allow us to remember You.”

71Arē bābā , jō tumkō 21 janmō̃ kē liē svarg kā mālik banātē haĩ , unkō tum yād nahī̃ kar saktē hō  ?

74Oh! 75Are you not able to remember the Baba who makes you into the masters of heaven for 21 births?

72Prajā bhī tō svarg kā mālik bantī hai nā .

76Even the subjects become the masters of heaven.

73Sab sukhī rahtē haĩ .

77All remain happy.

74Abhī tō sab duḥkhī haĩ .

78Now, all are unhappy.

75Prime minister , president ādi kō tō rāt din chintā lagī rahtī hai .

79The Prime Minister, President, etc. are worried day and night.

76Laṛāī ādi mē̃ kitnē martē rahtē haĩ .

80So many die in a war, etc.

77Tum jāntē hō mahābhārat laṛāī bhī maśhhūr hai , parantu usmē̃ kyā huā thā , yah kiskī buddhi mē̃ nahī̃ hai .

81You know that Mahabharat War is very well known. 82However, what happened in that war isn’t in anyone’s intellect.

78Tumkō bāp nē buddhi mē̃ biṭhāyā hai . 79Mahābhārat key|kī laṛāī mē̃ sab mar gayē  !

83The Father has made it sit in your intellects that everyone died in the Mahabharat War.

80Kitnī baṛī manuṣhya sr̥iṣhṭi hai .

84This human world population is so large.

81Ātmāō̃ kā bhī jhāḍ hai .

85There is a tree of souls too.

82Jhāḍ pahlē nayā hōtā hai tō bahut chhōṭā hōtā hai phir vr̥iddhi kō pātā jātā hai .

86At first, when a tree is new, it is very small; then it continues to grow.

83Tum jāntē hō pahlē jab deity dharm thā tō kitnā chhōṭā jhāḍ thā .

87You know that, at first, when it was the deity religion, the tree was very small.

84Ādi sanātan dēvtā dharm thā .

88There was the original, eternal deity dharma.

85Ab kitnē variety dharm haĩ .

89Now, there is a variety of religions (dharmas).

86Is mahābhārat laṛāī dvārā in sabkā vināśh hōnā hai . 87Parantu yah gyān kōī mē̃ hai nahī̃ .

90All of them are to be destroyed in the Mahabharat War, but no one has any knowledge of that.

88Bhal kahē̃gē yah vahī laṛāī hai parantu issē kyā hōnē kā hai , yah patā nahī̃ .

91Although it is said that it is the same war, no one knows what is going to happen through it.

89Tum abhī rōśhnī mē̃ hō .

92You have now been enlightened.

90Jāntē hō vināśh hōnā hai isliē mahābhārat laṛāī K|kē pahlē apnā varsā tō lē lēvē̃ .

93You know that destruction has to take place and this is why you have to claim your inheritance before the Mahabharat War takes place.

91Bāt tō baṛī sahaj hai .

94This is a very easy matter.

92Pavitra banō aur bāp kō yād karō .

95Become pure and remember the Father!

93Bahut bachchiyō̃ kē ūpar atyāchār hōtē haĩ .

96Many children are assaulted.

94Tum mātāō̃ kā saṅgaṭhan hōnā chāhiē ēk dō kō bachānē kē liē .

97There needs to be a group of you mothers to protect one another.

95Parantu dēhī-abhimānī jarūr bannā paṛē .

98However, you definitely do have to become soul conscious.

96Hamkō pāvan tō jarūr bannā hai - yah pakkā naśhā chāhiē .

99We definitely have to become pure; there has to be this very firm intoxication.

97Aisē naśhē mē̃ rahnē vālē hī samjhā sakē̃gē . 98Hamē̃ bāp kō yād karnā hai , pavitra bannā hai .

100Only those who remain in this intoxication are able to explain that we have to remember the Father and become pure.

99Ham svadarśhan chakradhārī haĩ - yah naśhā tō rahnā chāhiē .

101Let there be the intoxication that we are spinners of the cycle of self-realisation.

100Ham rachayitā bāp aur rachnā K|kē chakra kō jāntē haĩ .

102We know the Father, the Creator, and the cycle of creation.

101Abhī hamkō bāp sē naī duniyā satyug kā varsā lēnā hai .

103We now have to claim our inheritance of the new world of the golden age from the Father.

102Ham 84 janm kaisē lētē haĩ , yah samjhātē rahō .

104Continue to explain how you take 84 births.

103Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō tō tumhārē pāp naṣhṭ hō jāyēṅgē .

105The Father says: Remember Me and your sins will be absolved.

104Pāvan tō jarūr bannā hai .

106You definitely do have to become pure.

105Pāvan arthāt pavitra .

107Pure means pure!

106Kām mahāśhatru hai .

108Lust is the greatest enemy.

107Hamnē 84 janm kā chakra pūrā kiyā , ab bāp sē varsā lēnā hai .

109We have now completed the cycle of 84 births. 110We now have to claim our inheritance from the Father.

108Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

111The Father says: Remember Me and your sins will be absolved.

109Yahā̃ tō ātē hī hō refresh hōnē .

112You come here to be refreshed.

110Mujh bāp kō yād karō - 21 janmō̃ kā varsā lēnā hai .

113Remember Me, your Father, and claim your inheritance for 21 births.

111Kōī mē̃ bhī mōh key|kī rag nahī̃ rahnī chāhiē .

114Let there not be any strings of attachment to anyone.

112Naṣhṭōmōhā bannā hai .

115Become destroyers of attachment!

113Is śharīr mē̃ bhī mōh na rahē .

116Let there not be any attachment to your bodies.

114Yah tō purānī chamṛī hai . 115Parantu iskī sambhāl rakhnī hōtī hai , jō paṛhāī paṛh sakē̃ .

117Those are old skins, but you do have to look after them so that you can study.

116Taklīph hōtī hai tō chattī lagānī paṛtī hai .

118When there are difficulties (with the body), they have to be patched up.

117Tum jāntē hō yah purānā saṛā huā śharīr hai , inkō kuchh na kuchh hōtā rahtā hai .

119You know that they are old, decayed bodies. 120Something or other continues to happen to them.

118Duḥkh ātmā kō hōtā hai .

121It is the soul who feels the pain.

119Jāntē hō ab tō yah śharīr chhōṛnā hai .

122You know that you have to shed your bodies.

120Yōgbal sē inkō thamānā hai .

123You now have to support them with the power of yoga.

121Bāp kō yād kartē rahnā hai .

124Continue to remember the Father.

122Apnē kō ātmā samajhkar bāp kō yād karnā hai , bas .

125Consider yourselves to be souls and remember the Father, that’s all.

123Aur kōī laukik sambandh bhī yād nahī̃ ānē chāhiē .

126None of your worldly relatives should be remembered.

124Maĩ dēh nahī̃ ātmā hū̃ .

127“I am not a body, but a soul.”

125Bāp kahtē haĩ maĩ tum ātmāō̃ kō varsā dēnē āyā hū̃ .

128The Father says: I have come to give you souls the inheritance.

126Ātmā pavitra hōgī tab phir śharīr bhī achchhā milēgā .

129When souls are pure, they receive good bodies.

127Tum jāntē hō abhī hamārī ātmā pāvan bannī hai .

130You souls know that you now have to become pure.

128Ham pāvan thē tō in lakṣhmī-nārāyaṇ jaisē thē .

131When you were pure, you were like Lakshmi and Narayan.

129In lakṣhmī-nārāyaṇ nē 84 janma liē haĩ .

132Lakshmi and Narayan have taken 84 births.

130Sārī sūryavanśhī dynasty nē 84 janma liē haĩ .

133The whole sun dynasty takes 84 births.

131Chandravanśhī kē liē 84 janm nahī̃ kahē̃gē .

134You cannot say the moon dynasty will take 84 births.

132Hā̃ jō sūryavanśhī mē̃ pahlē-pahlē dās dāsī bantē hōṅgē vah phir trētā mē̃ kuchh martabā pātē haĩ , unkē 84 janm kahē̃gē .

135Yes, those who become maids and servants in the sun dynasty at the beginning will then attain some status in the silver age. 136You would say that they take 84 births.

133Rājā rānī , prajā jō bhī dās dāsiyā̃ ādi sūryavanśhī mē̃ ātē haĩ vahī 84 janma lētē haĩ .

137The kings, queens and subjects, maids and servants in the sun dynasty take 84 births.

134Aisē-aisē apnē sē bātē̃ karnī hai . 135Ham 84 janm kaisē lētē haĩ .

138Talk to yourself in this way about how you take 84 births.

136Vichār sāgar manthan karnā chāhiē .

139You have to churn the ocean of this knowledge.

137Jitnā hō sakē bāp kō aur varsē kō yād kartē rahō .

140Continue to remember the Father and your inheritance as much as possible.

138Chaltē phirtē samjhō ki ham bābā K|kē bachchē haĩ .

141While walking and moving around, consider yourselves to be Baba’s children.

139Kōī bhī milē tō unkō bābā kā parichay dēnā hai .

142Give anyone you meet Baba’s introduction.

140In chitrō̃ mē̃ sārī knowledge hai .

143All of this knowledge is in these pictures.

141Sab batānā hai . 142Bābā āyā huā hai brahmā tan mē̃ .

144Explain everything: Baba has come and entered the body of Brahma.

143Ham sab brahmākumār kumāriyā̃ haĩ nā .

145All of us are Brahma Kumars and Kumaris.

144Ham be|B . K|kē . kō svarg kā mālik banānē bābā āyā huā hai .

146Baba has come to make us BKs into the masters of heaven.

145Sab ātmāō̃ kā bāp ēk hai .

147The Father of all souls is One.

146Ham brahmākumār kumāriyā̃ haĩ .

148We are Brahma Kumars and Kumaris.

147Apnē-apnē card bhī dikhā saktē hō .

149You can show your own cards.

148Kahā̃ office ādi mē̃ bhī card dō , parantu samajh nahī̃ sakē̃gē ki be|B . K|kē . kaun haĩ  !

150When you give your business card to anyone in the office, they are not able to understand who the BKs are.

149Anēk prakār K|kē vighna ātē haĩ .

151There are many types of obstacles that come.

150Government kō bhī samjhāyā jātā hai - hamārī yah family hai .

152It is also explained to the Government that “This is our family.

151Dādā aur bābā hai .

153There is Dada and Baba.

152Dādā dvārā ham varsā lē rahē haĩ .

154We are claiming our inheritance through Dada.”

153Yah yād rakhnē sē khuśhī rahnī chāhiē , milkiyat tō dādē kī hai . 154Pautrō̃ kō hak hai , pūrā hissā bāṇṭkar lētē haĩ .

155By remembering this, you should have happiness. 156The property belongs to the Grandfather and the grandchildren have a right to it; they share everything among themselves.

155Tum bhī jāntē hō - śhivbābā sē brahmā dvārā ham varsā lētē haĩ .

157You also understand that you are claiming your inheritance from Shiv Baba through Brahma Baba.

156Yah yād rakhnā chāhiē .

158You have to remember this.

157Paṛhnā hai aur phir paṛhānā hai .

159You have to study and then teach others.

158Yah bāp kā farj hai , bachchō̃ key|kī pālnā karnā .

160It is a father’s duty to sustain his children.

159Jab tak kumār-kumārī bālig na banē̃ , bāp kō unkī sambhāl karnī hai .

161While kumars and kumaris are still in their adolescence, their parents have to look after them.

160Bachchō̃ kā kām hai paṛhnā .

162It is the children’s duty to study.

161Paṛhtē haĩ apnē pairō̃ par khaṛā hōnē kē liē .

163You study in order to be able to stand on your own feet.

162Tum jāntē hō - bābā hamkō paṛhā rahē haĩ 21 janm kē liē . 163Phir ham apnē pairō̃ par khaṛē rahē̃gē .

164You know that Baba is teaching us for 21 births; we will then be able to stand on our own two feet.

164Jitnā paṛhē̃gē utnā ūñch pad pāyēṅgē .

165The more we study, the higher the status we claim.

165Tum khud kahtē hō ham yahā̃ ātē haĩ śhrī lakṣhmī vā śhrī nārāyaṇ bannē .

166You yourselves say that you come here to become like Shri Lakshmi and Shri Narayan.

166Yah satya nārāyaṇ kī kathā hai nā .

167This is the story of the true Narayan.

167Kōī kō patā nahī̃ hai ki yah lakṣhmī-nārāyaṇ 84 janm kaisē lētē haĩ .

168No one knows how Lakshmi and Narayan take 84 births.

168Rādhē K|kē bhagat hōṅgē tō kahē̃gē rādhē hāzirā-hazūr hai , jidhar dēkhō rādhē hī rādhē hai , śhrīkr̥iṣhṇa hī śhrīkr̥iṣhṇa hai , śhiv hī śhiv hai .

169The devotees of Radhe say that Radhe is present everywhere, the devotees of Shri Krishna say that Shri Krishna is everywhere and devotees of Shiva say that Shiva is everywhere.

169Yah guṛ-guṛadhānī kar dī hai .

170They have completely mixed everything up.

170Īśhvar , rādhē , śhrīkr̥iṣhṇa sab sarvavyāpī haĩ . 171Yah sab īśhvar K|kē rūp haĩ . 172Bhagvān nē yah rūp dhāraṇ kiyē haĩ .

171They say that God, Radhe, Shri Krishna, etc. are all omnipresent, that all of them are forms of God, that God has adopted those forms.

173Jidhar dēkhō udhar tū hī tū hai … bilkul hī bēsamajh ban paṛē haĩ .

172They say: “Wherever I look, I only see You.” 173They have become completely senseless!

174Yah hai vikārī patit duniyā .

174This is a vicious, impure world.

175Satyug hai nirvikārī pāvan duniyā .

175That golden age is a viceless, pure world.

176Viceless world kā arth|earth hī hai svarg .

176The meaning of “viceless world” is heaven.

177Kahtē haĩ vahā̃ bachchē tō haĩ nā . 178Vah kaisē paidā hōṅgē .

177People say: “There are children there too, so how are they born?”

179Bas , savāl hī yah pūchhē̃gē .

178They just ask this question.

180Kahē̃gē bachchē nahī̃ paidā hōṅgē tō sr̥iṣhṭi kaisē baṛhēgī  !

179They ask: “How can the world continue if children aren’t born?”

181Her|har sāl ādamśhumārī kā hisāb nikāltē haĩ ki kitnē jāstī manuṣhya huē .

180They carry out a population census every year to see by how much the population has increased.

182Yah nahī̃ batātē ki itnē marē .

181They don’t show how many have died.

183Tō bachchō̃ kō pahlē tō apnā kalyāṇ karnā hai .

182Therefore, you children must first of all benefit yourselves.

184Maĩ ātmā hū̃ - pahlē tō yah niśhchay karō .

183“I am a soul.” 184First of all, have this faith.

185Bābā kō yād karnā hai .

185Remember Baba!

186Antkāl jō nārāyaṇ simarē . . . ab nārāyaṇ simarē yah akṣhar jhūṭhē likhē haĩ .

186It is said: If you remember Narayan in your final moments. 187To say: If you remember Narayan in your final moments, is wrong.

187Antkāl jō śhiv-bābā simarē . . . usī chintā mē̃ jō marē sō svarg kā nārāyaṇ banē̃ .

188It should be: “Those who remember Shiv Baba in their final moments…” 189Those who die with this concern will become like Narayan in heaven.

188Antkāl nārāyaṇ kyō̃ kahtē haĩ  ?

190Why do they speak of remembering Narayan in their final moments?

189Samajhtē haĩ śhrīkr̥iṣhṇa nē gyān diyā thā tō bhalā śhrīkr̥iṣhṇa kō simarē nā .

191They think that Shri Krishna gave knowledge. 192So they should therefore remember Shri Krishna in their final moments.

190Śhrīkr̥iṣhṇa kō yād kartē haĩ . 191Nārāyaṇ kā kiskō patā nahī̃ hai .

193They do remember Shri Krishna, but no one knows about Narayan.

192Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī jayantī manātē haĩ , bhalā rādhē key|kī jayantī kahā̃  ?

194They celebrate the birthday of Shri Krishna, but what about the birthday of Radhe?

193Śhrīkr̥iṣhṇa kā janm manātē haĩ , nārāyaṇ kā kahā̃ hai  ?

195They celebrate the birth of Shri Krishna, but what about that of Narayan?

194World K|kē king queen lakṣhmī-nārāyaṇ kā kiskō patā hī nahī̃ .

196No one knows about the king and queen of the world, Lakshmi and Narayan.

195Prajāpitā brahmā K|kē mukh vaṅśhāvalī hōṅgē nā  !

197They would have been the mouth-born creation of Prajapita Brahma.

196Kahā̃ gayē  !

198Where did they go?

197Kahtē haĩ brāhmaṇ dēvī-dēvtā namaḥ .

199They say: “Salutations to the Brahmins who are to become deities.”

198Brahmā K|kē mukh vaṅśhāvalī thē nā .

200They were the mouth-born creation of Brahma.

199Bachchē samajhtē haĩ brahmā dvārā śhivbābā brāhmaṇ dharm sthāpan kartē haĩ .

201You children understand that Shiv Baba is establishing the Brahmin dharma through Brahma.

200Brāhmaṇ dharm brahmā nē nahī̃ rachā parantu śhivbābā nē rachā hai .

202It wasn’t Brahma who created the Brahmin dharma, but Shiv Baba.

201Yah tō abhī brahmā banā hai .

203This one has only now become Brahma.

202Achchhā  !

204Achcha.

203Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

205To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

204Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

206The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

205Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

207Essence for dharna:

2061 ) is purānē śharīr mē̃ rahtē paṛhāī paṛhkar 21 janmō̃ kē liē kamāī karnī hai isliē iskī sambhāl karnī hai . 207Bākī ismē̃ rag nahī̃ rakhnī hai .

2081. Study and earn an income for 21 births while in that old body. 209Look after it but let there not be any strings of attachment to it.

2082 ) aisā abhyās karnā hai jō antkāl mē̃ ēk śhivbābā hī yād rahē .

2102. Practise having remembrance so that, at the end, you only remember Shiv Baba.

209Dūsrē kisī bhī chintan mē̃ nahī̃ jānā hai , apnā kalyāṇ karnā hai .

211Do not get caught up in thinking about anything else. 212Bring benefit to yourself.

Blessing

210Vardān  : master knowledgeful ban anajānapanē kō samāpt karnē vālē gyān svarūp , yōgyukt bhav

213Blessing: May you become a yogyukt embodiment of this knowledge by being master knowledge-full and stop pleading ignorance.

211Master knowledgeful bannē vālō̃ mē̃ kisī bhī prakār kā anajānapan nahī̃ rahtā , vah aisā kahkar apnē kō chhuṛā nahī̃ saktē ki is bāt kā hamē̃ patā hī nahī̃ thā .

214Those who are master knowledge-full do not have any type of ignorance. 215They cannot say that they were ignorant of something and try to justify themselves by saying that they were not aware of it.

212Gyān svarūp bachchō̃ mē̃ kōī bhī bāt kā agyān nahī̃ rah saktā aur jō yōgyukt haĩ unhē̃ anubhav hōtā jaisēki pahlē sē sab kuchh jāntē haĩ .

216The children who are embodiments of this knowledge are not ignorant of anything. 217Those who are yogyukt experience knowing everything beforehand.

213Vō yah jāntē haĩ ki māyā key|kī chham-chham , rimjhim cum|kam nahī̃ hai , māyā bhī baṛī raunakadār hai , isliē ussē bachkar rahnā hai , jō sabhī rūpō̃ sē māyā key|kī knowledge kō samajh gayē , unkē liē hār khānā asambhav hai .

218They know that the sparkle and glamour of Maya is no less. 219Maya is very glamourous and this is why you have to protect yourself from her. 220It is impossible for those who have understood the knowledge of Maya in every way to be defeated.

Slogan

214Slōgan  : jō sadā prasannchit haĩ vah kabhī praśhnachit nahī̃ hō saktā .

221Slogan: Those who are always happy-hearted cannot have any questions.

222*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

215Yē avyakt iśhārē - jvālāsvarūp sthiti mē̃ rah śhaktiśhālī yād kā anubhav karō

223Avyakt signal: Stay in the volcanic stage and experience powerful remembrance.

216Yōg mē̃ sadā light house aur might house key|kī sthiti kā anubhav karō .

224Constantly experience the stage of a light-and-might house in your yoga.

217Gyān hai light aur yōg hai might .

225This knowledge is light and yoga is might.

218Gyān aur yōg - dōnō̃ śhaktiyā̃ light aur might sampann hō̃ , iskō kahtē haĩ master sarvśhaktimān .

226Let the two powers of this knowledge and yoga be filled with light and might. 227You can then be called a master almighty authority.

219Aisī śhaktiśhālī ātmāyē̃ kisī bhī paristhiti kō second mē̃ pār kar lētī haĩ .

228Such a powerful soul will be able to overcome any type of situation in a second.

220Time nahī̃ lagtā .

229It will not take any time.