बुधवार 29 जुलाई 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
029-07-2026 prātaḥmuralīōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
029/07/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - apnē svadharm mē̃ sthit hōkar āpas mē̃ pyār sē ēk dō kō ōm śhānti kahō - yah bhī ēk dō kō regard dēnā hai ' '
1Essence: Sweet children, stabilise yourself in your original religion and say: Om shanti to one another with love. 2This is also giving regard to one another.
Question
2Praśhna : bhakti mē̃ bhī bhagvān kō bhōg lagātē haĩ , yahā̃ tum bachchē bhī lagātē hō - yah rasam kyō̃ ?
3Question: Why is there the system of offering bhog to God on the path of devotion as well as here?
Answer
3Uttar : kyōṅki yah bhī unkā regard rakhnā hai .
4Answer: Because this is also giving regard to Him.
4Bhal tum jāntē hō śhivbābā nirākār hai , abhōktā hai . 5Khātē nahī̃ lēkin vāsanā tō pahũchtī hai .
5You know that, although Shiv Baba is incorporeal and beyond the effect of experiencing anything and doesn’t eat anything, the fragrance does reach Him.
6Sarv kā sadgati dātā , patit-pāvan bāp hai .
6The Father is the Bestower of Salvation for All and the Purifier.
7Tō jarūr bhōg bhī unkō lagānā chāhiē .
7Therefore, bhog must definitely be offered to Him
Song
8Gīt : hamārē tīrtha nyārē haĩ …
8Song: Our pilgrimage is unique!
Murli
9Ōm śhānti .
9Om shanti.
10Bachchō̃ key|kī dil mē̃ bhī uṭhā ōm śhānti .
10The term: Om shanti arose in the children’s hearts.
11Jaisē kiskō namastē kahā jātā hai . 12Tō vah bhī return mē̃ kahtē haĩ namastē . 13Yahā̃ bāp nē kahā - ōm śhānti . 14Tō sab bachchē inkī ātmā sahit sabkī dil sē āyēgā ōm śhānti arthāt ham ātmā śhānt svarūp haĩ .
11Just as you would say: Namaste, to someone and that person would also say “Namaste”, in return, so, here, the Father said “Om shanti” and so “Om shanti” would emerge in the hearts of all the children, including this one’s soul. 12Om shanti means I, this soul, am an embodiment of peace.
15Respond tō karnā chāhiē nā .
13You have to respond.
16Yah respond huā nā .
14This is a response.
17Dūsrē kōī arth|earth sahit aisē kah na sakē̃ .
15No one else can say this meaningfully.
18Bāp gyān sūrya bhī kahtē haĩ ōm śhānti .
16The Father, the Sun of Knowledge, says: Om shanti.
19Gyān chandramā̃ bhī kahtē haĩ ōm śhānti .
17The moon of knowledge also says: Om shanti.
20Gyān sitārē bhī kahtē ōm śhānti .
18The stars of this knowledge too say: Om shanti.
21Sitārō̃ mē̃ sab ā gayē .
19All are included in the stars.
22Ab tum bachchō̃ kō apnē svadharm kā patā lagā hai ki ham śhānt svarūp aur śhāntidhām K|kē rahnē vālē haĩ .
20You children now know your original religion, that you are embodiments of peace and residents of the land of peace.
23Yah tumkō niśhchay huā hai . 24Achchhī rīti sē tum ātmā kō jāntē hō .
21You have the faith that you know everything about souls.
25Barōbar kahā bhī jātā hai , mahān ātmā , pāp ātmā .
22It is rightly said: A great soul, a sinful soul.
26Ātmā hī ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētī hai .
23A soul sheds his body and takes another one.
27Parantu ātmā kā yathārth parichay kōī kō nahī̃ hai .
24However, no one has the accurate understanding of souls.
28Ham ātmā itnī chhōṭī haĩ .
25I, this soul, am so tiny.
2984 janmō̃ kā part bajātē haĩ .
26The soul plays a part of 84 births.
30Yah na tumkō patā thā na aur kōī jāntē haĩ .
27Neither did you know this nor did anyone else know it.
31Abhī tum bachchē sammukh baiṭhē hō .
28You children are now sitting personally in front of the Father.
32Bāp kō apnā banātē hō .
29You make the Father belong to you.
33Bachchē bāp kō apnā banātē haĩ varsā lēnē kē liē .
30The children make the Father belong to them in order for them to claim their inheritance.
34Tum bachchē jāntē hō ham ātmāō̃ kā bēhad kā bāp is brahmā tan mē̃ āyā huā hai , brahmā tan mē̃ ākar ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā kartē haĩ .
31You children know that the unlimited Father of you souls has entered this body of Brahma. 32He has entered the body of Brahma and is establishing the original eternal deity religion.
35Kalp pahlē bhī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm arthāt sūryavanśhī rājdhānī sthāpan huī thī .
33The original eternal deity religion, that is, the sun-dynasty kingdom was also established in the previous cycle.
36Yah sthāpanā kā kārya kalp-kalp bāp hī kartē haĩ , jiskō bhagvān kahā jātā hai .
34The Father who is called God carries out this task of establishment every cycle.
37Bhagvān bāp sē sab māṅgtē haĩ ki duḥkh harō , sukh dō .
35Everyone asks God, the Father, to remove their sorrow and give them happiness.
38Jab sukh mil jātā hai tō māṅgnē key|kī darkār nahī̃ rahtī .
36When you have received happiness, there is no need to ask for it.
39Yahā̃ māṅgtē haĩ kyōṅki duḥkh hai .
37Here, you ask for it because you are unhappy.
40Vahā̃ kuchh bhī māṅgnē key|kī darkār nahī̃ rahtī kyōṅki bāp sab kuchh dēkar jātē haĩ isliē satyug mē̃ kōī bhī bāp kō yād nahī̃ kartē .
38There, there is no need to ask for anything because, after giving you everything the Father departs. 39This is why no one in the golden age remembers the Father.
41Bāp samjhātē haĩ ki bachchō̃ kō ham sukhdhām kā mālik banātē haĩ .
40The Father explains that He makes you children into the masters of that land of happiness.
42Tum bachchē jāntē hō - is bābā sē ham phir sē sukhdhām kā varsā lē rahē haĩ .
41You children know that you are once again claiming your inheritance of that land of happiness from that Baba.
43Bēhad K|kē bāp sē bēhad kā sukh lētē haĩ .
42You claim unlimited happiness from the unlimited Father.
44Tumkō samjhāyā jātā hai bhakti mārg kaisē chaltā hai . 45Manuṣhya sr̥iṣhṭi rūpī jhāḍ key|kī utpatti , pālnā aur saṅghār kaisē hōtā hai vā drama kā ādi-madhy-ant kyā hai .
43It has been explained to you how the path of devotion continues, how the creation, the sustenance and the destruction of this human world tree take place and what the beginning, the middle and the end of this drama are.
46Yah hai sākārī duniyā , vah hai nirākārī .
44This is a corporeal world and that is an incorporeal world.
47Bachchē samajh gayē haĩ ki hamnē pūrā ādhākalp bhakti key|kī .
45You children understand that you have been performing devotion for a full half cycle.
48Ab kaliyug kā ant hai .
46It is now the end of this iron age.
49Varsā miltā hī hai saṅgam par .
47Only at the confluence age do you receive the inheritance.
50Yah bachchō̃ kō achchhī rīti samajhnā chāhiē .
48You children have to understand this very clearly.
51Abhī ham saṅgam par haĩ , yah tum bachchē hī samajhtē hō .
49Only you children understand that you are now at the confluence age.
52Dūsrē kōī samajhē̃gē nahī̃ . 53Jab tak parichay nahī̃ dēgē .
50No one else would understand this until they are given the introduction.
54Jarūr saṅgamyug ātā hai , jabki purānī duniyā badal naī hōtī hai .
51The confluence age definitely comes when the old world changes and becomes new.
55Yah sārī purānī duniyā hai , inkō iron age kahā jātā hai .
52This whole world is old; it is called the iron age.
56Yah bhī tum jāntē hō - pahlē-pahlē sārī duniyā par ēk hī dharm hōtā hai .
53You also know that, at first, there is just the one religion in the whole world.
57Naī duniyā mē̃ bhārat khaṇḍ hī sirph hōtā hai , thōṛē manuṣhya hōtē haĩ .
54In the new world, there is just the land of Bharat and there are few human beings.
58Naī duniyā kō hī svarg kahā jātā hai .
55Only the new world is called heaven.
59Issē siddha hai naī duniyā mē̃ nayā bhārat thā .
56This proves that there was new Bharat in that new world.
60Ab purānī duniyā mē̃ purānā bhārat hai .
57Now, there is old Bharat in this old world.
61Gāndhī bhī kahtē thē naī duniyā , nayā bhārat hō , naī dēhlī hō .
58Gandhiji also used to say that there should be the new world, new Bharat and New Delhi.
62Ab nav bhārat vā naī dēhlī hai nahī̃ .
59There isn’t now a new Bharat nor a New Delhi.
63Nav bhārat mē̃ tō in lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .
60There was the kingdom of Lakshmi and Narayan in that new Bharat.
64Abhī usī hī bhārat par rāvaṇ kā rājya hai .
61Now, there is the kingdom of Ravan in that same Bharat.
65Yah bhī likhnā chāhiē - naī duniyā , naī dēhlī .
62You should also write: New world, New Delhi.
66Phalānē samay sē phalānē samay tak inkā rājya .
63It is this one’s kingdom from this period to this period.
67Yah samjhā bhī vahī saktā jō naī duniyā banānē vālā hai .
64Only the One who makes the world new can explain this.
68Brahmā dvārā naī duniyā svarg sthāpan kartē haĩ , jis svarg kā varsā lēnē kē liē tum ātē hō .
65He establishes the new world of heaven through Brahma and you come here to claim your inheritance of that heaven.
69Bāp tumkō yukti batlātē haĩ athavā puruṣhārth karātē haĩ .
66The Father shows you clever methods, that is, He inspires you to make effort.
70Sammukh bhī milnē ātē hō athavā vahā̃ bhī baiṭh paṛhtē hō .
67You come here to meet Him personally and you also study while sitting here.
71Dil hōtī hai sammukh milē̃ .
68You have the desire to go and meet Him personally.
72Vah sammukh miltē haĩ manuṣhya , manuṣhya sē .
69There, it is human beings who meet other human beings personally.
73Yahā̃ tum kahē̃gē ham jātē haĩ - śhivbābā sē milnē .
70You say that you are coming here to meet Shiv Baba.
74Kahē̃gē vah tō nirākār hai nā .
71You say: He is incorporeal.
75Ham ātmā bhī nirākār haĩ .
72We souls are also incorporeal.
76Ham bhī yahā̃ part bajānē ātē haĩ nā .
73We also come here to play our parts.
77Jinkā nām hai vah jarūr pārṭdhārī bhī haĩ .
74Anyone who has a name is definitely an actor.
78Bhagvān kā bhī nām hai nā .
75God too has a name.
79Nirākār śhiv kō hī bhagvān kahā jātā hai aur kiskō bhagvān nahī̃ kahē̃gē .
76Only incorporeal Shiva is called God; no one else can be called God.
80Bhagvān nirākār hī gāyā jātā hai .
77Only the incorporeal One is remembered as God.
81Unkī pūjā hōtī hai , ātmāō̃ key|kī bhī pūjā hōtī hai .
78He is worshipped and souls too are worshipped.
82Rūdra yagya rachtē haĩ nā . 83Vah miṭṭī K|kē sāligrām banātē haĩ .
79People create a sacrificial fire of Rudra and create saligrams out of clay.
84Patthar kā banāō vā miṭṭī kā .
80You can make them out of stone or clay.
85Miṭṭī K|kē tōṛnē phir banānē sahaj haĩ .
81When they are made of clay, they are easy to break up and make again.
86Duniyā tō in bātō̃ kō nahī̃ jāntī hai .
82The world doesn’t know these things.
87Rūdra yagya mē̃ kitnī ātmāō̃ key|kī pūjā kar saktē haĩ .
83So many souls can be worshipped in a sacrificial fire of Rudra.
88Bachchē tō ḍhēr haĩ .
84There are so many children.
89Bhagat sab bhagvān K|kē bachchē haĩ , bāp kō yād kartē haĩ .
85All devotees are the children of God and they remember the Father.
90Bābā nē samjhāyā hai - śhivbābā ātē hī bhārat mē̃ haĩ .
86Baba has explained to you that Shiv Baba only comes in Bharat.
91Tum thōṛē bachchē jō unkē madadgār , khudāī khidmatgār bantē hō , unkī hī pūjā bhakta lōg sāligrām banākar kartē haĩ , yagya jō rachtē haĩ unmē̃ chhōṭā yagya bhī hōtā hai , baṛā bhī hōtā hai .
87Devotees make saligrams and worship the few of you children who are His helpers, you Godly helpers. 88There are small and big sacrificial fires.
92Baṛē sāhūkār lōg baṛā yagya rachtē haĩ .
89Very wealthy people create big sacrificial fires.
93Lākh-lākh banātē haĩ .
90They create hundreds of thousands of saligrams.
94Chhōṭā yagya hōgā tō 5-10 hajār banāyēṅgē .
91If it is a small sacrificial fire, they would only create five to ten thousand saligrams.
95Jaisā-jaisā sēṭh vaisā yagya aur phir utnē sāligrām banātē .
92As is the merchant, so is the sacrificial fire, and he would have that many saligrams made.
96Ēk śhiv bākī sāligrām banātē phir utnē brāhmaṇ bhī chāhiē .
93They create one Shiva and the rest are saligrams and that many brahmins are then also needed.
97Bahutō̃ nē yagya dēkhā hōgā .
94Many of you would have seen sacrificial fires.
98Tum jāntē hō bābā ham bachchō̃ key|kī sēvā kartē haĩ , ham phir aurō̃ key|kī sēvā kartē haĩ isliē pūjā hōtī hai .
95You know that Baba serves us children, and that we then serve others and this is why we are worshipped.
99Tum abhī pūjya bantē hō .
96You are now becoming worthy of worship.
100Ātmā kahtī hai bābā āp tō sadaiv pūjya hō .
97The soul says: Baba, You are ever worthy of worship.
101Hamkō bhī pūjya banā rahē hō .
98You are also making us worthy of worship.
102Tum pūjya ātmā śharīr lēgī tō kahē̃gē pūjya dēvī-dēvtāyē̃ .
99When you worthy-of-worship souls take bodies you will be called worthy-of-worship deities.
103Ātmā hī pūjya athavā pujārī bantī hai .
100It is souls who become worthy of worship and worshippers.
104Bāp ātē bhī haĩ ēk hī bār .
101The Father only comes once.
105Phir kabhī bāp ātmāō̃ kō paṛhāyē - yah hōtā hī nahī̃ .
102Then the Father doesn’t teach the children again.
106Ātmā hī suntī hai .
103It is souls who listen.
107Jaisē ātmā śharīr dvārā suntī hai vaisē parampitā paramātmā , supreme ātmā bhī śharīr kā ādhār lē in dvārā suntē haĩ .
104Just as a soul listens through his body, so the Supreme Father, the Supreme Soul too takes the support of this body and listens through this one.
108In dvārā tumkō rājyōg sikhlātē haĩ .
105He teaches us Raja Yoga through this one.
109Unkō apnā śharīr tō hai nahī̃ .
106He doesn’t have a body of His own.
110Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kā bhī apnā sūkṣhma śharīr hai .
107Even Brahma, Vishnu and Shankar have their subtle bodies.
111Yahā̃ tō sabkā apnā-apnā śharīr hai .
108Here, every soul has his own body.
112Yah hai hī sākārī duniyā .
109This is a corporeal world.
113Śhivbābā hai nirākār .
110Shiv Baba is incorporeal.
114Vah gyān kā sāgar , sukh kā sāgar , pyār kā bhī sāgar hai .
111He is the Ocean of Knowledge, the Ocean of Happiness and also the Ocean of Love.
115Vah ākar sabkō patit sē pāvan banātē haĩ .
112He comes and makes everyone pure from impure.
116Ismē̃ prērṇā key|kī kōī bāt nahī̃ hai .
113There is no question of inspiration in this.
117Mujhē agar prērṇā sē pāvan banānā hō phir yahā̃ ākar rath lēnē key|kī kyā darkār hai .
114If I had to make you pure through inspiration, why would I need to come here and take a chariot?
118Śhiv K|kē mandir mē̃ āgē bail rakhtē haĩ .
115They place a bull in front of a Shiva temple.
119Manuṣhyō̃ key|kī buddhi bilkul hī pattharbuddhi hōnē K|kē kāraṇ kuchh bhī samajhtē nahī̃ . 120Bail śhiv kē āgē kyō̃ rakhā hai ?
116Because the intellects of human beings have become complete stone, they don’t understand why a bull has been placed in front of Shiva.
121Gaūśhālā nām sunā hai tō bail rakh diyā hai .
117They heard the name “cowshed” and therefore placed a bull there.
122Ab bail par kisnē savārī key|kī !
118Who rode the bull?
123Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī ātmā tō satyug mē̃ hōtī hai .
119The Shri Krishna soul exists in the golden age.
124Unkō kyā paṛī hai jō jānvar mē̃ ākar baiṭhē̃gē .
120Why would he need to sit in an animal’s body?
125Kuchh bhī samajhtē nahī̃ .
121They don’t understand anything.
126Drōpadī bhī ēk thōṛēhī thī . 127Ḍhēr haĩ jō pukārtī haĩ .
122There wasn’t just one Draupadi; there are many who call out.
128Unhōnnē tō ēk nāṭak banā diyā hai ki śhrīkr̥iṣhṇa sāṛiyā̃ dētē jātē haĩ , arth|earth kuchh nahī̃ samajhtē .
123They have created a play about Shri Krishna providing sarees, but they don’t understand the meaning of that at all.
129Abhī tum bachchē samajhtē hō tumkō 21 janm kē liē naṅgan nahī̃ hōnā hai .
124You children now understand that you won’t be stripped for 21 births.
130Kahā̃ key|kī bāt kahā̃ lē gayē haĩ .
125Look at the time period they have shown for the things that happened at this time.
131Bhaktimārg key|kī athāh kahāniyā̃ haĩ .
126There are many stories on the path of devotion.
132Kahtē haĩ yah kathāyē̃ ādi sab anādi haĩ .
127They say that the stories etc. are all eternal.
133Punarjanma lētē suntē āyē haĩ .
128They have been listening to them while taking rebirth.
134Anādi bhī kab sē śhurū huī , kuchh patā nahī̃ .
129They say that it has continued eternally, but they don’t know when it began.
135Yah bhī patā nahī̃ hai ki rāvaṇ rājya kab sē śhurū hōtā hai .
130They don’t even know when the kingdom of Ravan begins.
136Unkā kōī varṇan nahī̃ hai .
131There is no mention of this.
137Tum kitnī sēvā kartē hō .
132You do so much service.
138Vah sūrya chānd sitārē ādi tō haĩ hī haĩ .
133The sun, moon and stars exist anyway.
139Satyug mē̃ bhī haĩ tō abhī bhī haĩ . 140Unkā badal-sadal nahī̃ hōtā .
134They exist in the golden age and also at this time; they cannot change.
141Tum ab nimitt banē hō . 142Bhārat kō hī phir sē andhiyārē sē nikāl rōśhnī mē̃ lānē .
135You have now become the instruments to take Bharat from this darkness into the light once again.
143Bhakti mārg kō andhiyārā kahā jātā hai .
136The path of devotion is called darkness.
144Tumhārī mahimā hai , tum dhartī K|kē sitārē hō .
137You are praised as the stars of the earth.
145Sitārē haĩ tō chānd sūrya bhī hōnē chāhiē .
138If there are stars, there also have to be the sun and the moon.
146Yah hai tumhārā rūhānī tīrtha .
139This is your spiritual pilgrimage.
147Tum aisī yātrā par jātē hō jahā̃ sē phir is mr̥ityulōk mē̃ nahī̃ āyēṅgē .
140You are going to such a pilgrimage place that you will not return to this land of death.
148Abhī yah mr̥ityulōk hai phir yahā̃ hī amarlōk hōgā .
141This is now a land of death, and then that land of immortality will also be here.
149Dvāpar sē mr̥ityulōk śhurū hōtā hai .
142The land of death begins with the copper age.
150Ab tum sachchī-sachchī amarkathā sun rahē hō - amarlōk mē̃ jānē kē liē .
143You are now listening to the true story of immortality in order to go to the land of immortality.
151Tum samajhtē hō ham ātmāō̃ key|kī yātrā nyārī hai .
144You understand that the pilgrimage of you souls is unique.
152Tum yahā̃ baiṭhē yātrā par jānē kā puruṣhārth kartē hō .
145You are sitting here and making effort to go on the pilgrimage.
153Yād sē hī tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .
146Only by having remembrance will your sins be absolved.
154Vah yātrā par jātē haĩ , vikarma vināśh kahā̃ hōtē hai !
147When those people go on pilgrimages, their sins are not absolved.
155Śharāb key|kī tō manuṣhyō̃ mē̃ itnī ādat hai jō chhipākar jarūr lē jātē haĩ .
148Some people have such a strong habit of drinking alcohol that they even take it with them secretly.
156Ājkal tō bahut gandē bhī hōtē haĩ - yātrā mē̃ .
149Nowadays, there are also many dirty people on pilgrimages.
157Haĩ tō sab patit nā .
150They are all impure.
158Jaisē brāhmaṇ patit , vaisē yātrī bhī patit .
151Just as the brahmin priests are impure, so the pilgrims too are impure.
159Paṇḍē lōg yātrā karātē haĩ , pāvan thōṛēhī haĩ .
152Guides take you on a pilgrimage, but they are not pure.
160Tum tō pavitra rahtē hō .
153You remain pure.
161Sachchē brāhmaṇ tum hō .
154You are true Brahmins.
162Tumhārī ātmā pavitra rahtī hai .
155You souls remain pure.
163Yād kī yātrā sē hī tum pavitra bantē hō .
156Only by going on this pilgrimage of remembrance do you become pure.
164Satōpradhān bannā hai .
157You have to become satopradhan.
165Bābā bār-bār likhtē haĩ - « mīṭhē bachchō̃ ' ' .
158Baba writes again and again: Sweet children!
166Yah śhivbābā nē ātmāō̃ kō likhā .
159This is Shiv Baba writing to souls.
167Mujhē yād karō tō tum tamōpradhān sē satōpradhān ban satōpradhān duniyā K|kē mālik ban jāyēṅgē .
160He says: Remember Me and you will become satopradhan from tamopradhan and become the masters of that satopradhan world.
168Bas ēk hī direction hai mukhya .
161This one direction is the main one.
169Kitnā sahaj hai .
162It is so easy.
170Yād sē hī vikarma vināśh hōṅgē .
163Only by having remembrance will your sins be absolved.
171Yād nahī̃ karē̃gē tō vikarma nahī̃ vināśh hōṅgē phir sajā khāyēṅgē .
164If you don’t stay in remembrance, your sins can’t be absolved and you will then have to experience punishment.
172Bābā tō kahtē haĩ tum kahā̃ bhī jāō , kamāī kar saktē hō .
165Baba tells you: You can earn an income wherever you go.
173Uṭhō , baiṭhō , khāō sirph bāp kō yād karō .
166Whatever you do, eat, walk and move around, simply remember the Father.
174Tumhārī kamāī hai .
167This is your income.
175Bachchō̃ kē liē tō aur hī sahaj hai .
168It is even easier for you children.
176Ismē̃ kōī attention ādi key|kī bāt nahī̃ .
169There is no question of attention etc.
177Śhrīnāth K|kē mandir mē̃ śhrīnāth key|kī yād mē̃ baiṭhtē haĩ . 178Bhōg lagtā hai .
170In the Shrinath Temple, they sit in remembrance of Shrinath and offer him bhog.
179Hai tō patthar key|kī mūrti nā .
171That is just a stone idol.
180Bhōg bhī kiskō lagānā chāhiē ?
172To whom should you offer bhog?
181Adhikārī tō ēk hī śhivbābā hai .
173Only one Shiv Baba has this right.
182Sarv kā sadgati dātā patit-pāvan vah hai .
174Only He is the Bestower of Salvation for All and the Purifier.
183Bāp kahtē haĩ - maĩ svīkār hī nahī̃ kartā hū̃ .
175The Father says: I do not accept it.
184Tum mērē ūpar dūdh bhī pānī vālā chaṛhātē hō , yah bhōg lagātē hō , kyō̃ ?
176You offer Me milk mixed with water. 177Why do you offer Me this bhog?
185Maĩ tō nirākār abhōktā hū̃ !
178I am incorporeal and I do not experience anything.
186Mērī kyā pūjā kartē hō .
179Why do you worship Me?
187Mērē āgē bhōg rakhē̃gē lēkin bhaktō̃ nē bhōg lagāyā , unhōnnē hī bāṇṭkar khāyā .
180You place bhog in front of Me, but devotees offer Me bhog and then they distribute it among themselves and eat it.
188Tum jāntē hō śhivbābā kō bhōg tō jarūr lagānā hai . 189Phir bāṇṭ kar tum khātē hō .
181You know that you must definitely offer bhog to Shiv Baba and that you can then distribute it among yourselves and eat it.
190Yah jaisē kiskā regard rakhnā hai .
182This is like giving regard to Him.
191Ham śhivbābā kō bhōg lagātē haĩ . 192Śhivbābā kā bhaṇḍārā hai nā .
183We offer bhog to Shiv Baba; this is Shiv Baba’s bhandara.
193Jiskā bhaṇḍārā hai uskō bhōg jarūr lagānā paṛē .
184You definitely have to offer bhog to the One whose bhandara this is.
194Bhal tum bhōg lagātē hō , khātē bhī tum bachchē hī hō .
185Although you offer bhog, it is you children who eat it.
195Yah brahmā khātā hai , maĩ nahī̃ khātā hū̃ .
186This Brahma eats it, but I don’t eat it.
196Bākī vāsanā tō āyēgī nā . 197Bahut achchhā bhōg banāyā hai .
187However, I definitely do take the fragrance: You have prepared very good bhog.
198Kahnē kē liē organs tō haĩ nā .
188I have the organs to say this.
199Yah brahmā khā saktē haĩ . 200Yah śharīr tō inkā hai nā .
189This Brahma can eat it, because this body is his.
201Maĩ sirph inmē̃ ākar pravēśh kartā hū̃ .
190I simply come and enter it.
202Mukh hī kām mē̃ lātā hū̃ - tum bachchō̃ kō patit sē pāvan banānē .
191I just use his mouth in order to make you children pure from impure.
203Gaū mukh bhī kahtē haĩ nā .
192People speak of Gaumukh (a cow’s mouth).
204Barōbar gaū bhī hai .
193There really is a cow.
205Tum jāntē hō insē hī tum bachchō̃ kō adopt kartē haĩ .
194You know that I adopt you children through this one.
206Yah māt-pitā dōnō̃ haĩ .
195He is both the mother and father.
207Parantu mātāō̃ kō sambhālē kaun !
196However, who would look after the mothers?
208Isliē sarasvatī kō nimitt rakhā - drama plan anusār .
197Therefore, according to the drama plan, Saraswati was made the instrument for that.
209Mātā gurū kī mahimā bhī chāhiē nā .
198There also has to be praise of the mother who is the guru.
210Gurū tō pahlē number mē̃ maśhhūr yah hai .
199This one is well known as the number one guru.
211Gurū brahmā ṭhīk hai .
200It is right to say, Guru Brahma.
212Jaisē bāp vaisē bachchē .
201As is the father, so are his children.
213Tum brāhmaṇ bhī sachchē gurū bantē hō . 214Sabkō sachchā rāstā batātē hō svarg kā .
202You Brahmins also become true gurus: you show everyone the true path to heaven.
215Ātmā hī mukh sē rāstā batātī hai ki manmanābhav , madhyājī bhav .
203Souls show the path with their mouths: May you be: Manmanabhav, Madhyajibhav.
216Bāp , mā̃ bachchē sab vahī rāstā batātē haĩ .
204The Father, the mother, and the children all show the same path.
217Yahā̃ tum sammukh baiṭhē hō , yād rahtī hai .
205When you are sitting face to face, in front of Me, you are able to have remembrance.
218Phir ghar jātē hō tō bahut bachchē bhūl jātē haĩ .
206Then, when you all leave and go home, many of you children forget.
219Yahā̃ ānand ātā hai , bābā pās|pass āyē haĩ .
207You experience bliss here because you have come to Baba.
220Bābā kahtē haĩ svadarśhan chakradhārī ban yah yukti batāō ki muktidhām , bāp kō aur varsē kō yād karō .
208Baba says: Become spinners of the discus of self-realisation. 209Show this method to others: Remember the land of liberation, the Father and the inheritance.
221Achchhā !
210Achcha.
222Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .
211To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
223Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
212The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
224Dhārṇā kē liē mukhya sār :
213Essence for dharna:
2251 ) āpas mē̃ ēk dō kō vā bāp kō yathārth regard dēnā hai .
2141. Give real regard to one another and the Father.
226Bāp bhal abhōktā hai . 227Lēkin jiskē bhaṇḍārē sē pālnā hōtī hai uskō pahlē svīkār jarūr karānā hai .
215Although the Father is beyond experiencing anything, you must definitely first offer everything to the One whose bhandara is sustaining you.
2282 ) pūjyanīy bannē kē liē khudāī khidmatgār bannā hai .
2162. In order to become worthy of worship, become God’s helpers.
229Bāp kē sāth sēvā mē̃ madadgār bannā hai .
217Become a helper of the Father in doing service.
230Jab ātmā aur śharīr dōnō̃ pāvan hōṅgē tab pūjā hōgī .
218When both you, the soul and your body become pure, you will be worshipped.
Blessing
231Vardān : apnē prati vā sarv ātmāō̃ kē prati law full bannē vālē law maker sō new world maker bhav
219Blessing: May you be lawful to yourself and everyone else and become a lawmaker and a new world maker.
232Jō svayã prati law full bantē haĩ vahī dūsrō̃ kē prati bhī law full ban saktē haĩ .
220Those who are lawful to themselves can also be lawful to others.
233Jō svayã law kō brake kartē haĩ vah dūsrō̃ kē ūpar law nahī̃ chalā saktē , isliē apnē āpkō dēkhō ki savērē sē rāt tak mansā saṅkalp mē̃ , vāṇī mē̃ , karma mē̃ , samparka vā ēk dō kō sahyōg dēnē mē̃ vā sēvā mē̃ kahā̃ bhī law brake tō nahī̃ hōtā hai !
221Those who break any law themselves cannot enforce any law on others. 222Therefore, examine yourself: From morning to night, in my thoughts, words, actions, connections, in giving co-operation to others and in doing service, do I break any law in any way?
234Jō law maker haĩ vah law brēkar nahī̃ ban saktē .
223Those who are lawmakers cannot be lawbreakers.
235Jō is samay law maker bantē haĩ vahī peace maker , new world maker ban jātē haĩ .
224Those who are lawmakers at this time become the peacemakers, the new world makers.
Slogan
236Slōgan : karma kartē karma K|kē achchhē vā burē prabhāv mē̃ na ānā hī karmātīt bannā hai .
225Slogan: While performing actions, not to be influenced by any good or bad influence in any way by those actions is the karmateet stage.
226*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
237Yē avyakt iśhārē - jvālāsvarūp sthiti mē̃ rah śhaktiśhālī yād kā anubhav karō
227Avyakt signal: Stay in the volcanic stage and experience powerful remembrance.
238Jvālā svarūp yād kē liē man aur buddhi dōnō̃ kō ēk tō powerful brake chāhiē aur mōṛnē key|kī bhī śhakti chāhiē .
228In order to have volcanic remembrance, both your mind and your intellect need a powerful brake and also the power to steer.
239Issē buddhi key|kī śhakti vā kōī bhī energy west|waste nā hōkar jamā hōtī jāyēgī .
229By having these, the power of your intellect and any other energy will not go to waste, but will instead accumulate.
240Jitnī jamā hōgī utnā hī parakhnē key|kī , nirṇay karnē key|kī śhakti baṛhēgī .
230To the extent that you accumulate these, your powers to discern and decide will accordingly increase.
241Iskē liē ab saṅkalpō̃ kā bistar band kartē chalō arthāt samēṭnē kī śhakti dhāraṇ karō .
231For this, especially finish any expansion of all other thoughts, that is, imbibe the power to pack up.