मंगलवार 4 अगस्त 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

004-08-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

004/08/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bāp K|kē right hand bannā hai tō her|har bāt mē̃ righteous banō , sadā śhrēṣhṭh karma karō ' '

1Essence: Sweet children, in order to become the Father's right hands, become righteous in everything. 2Always perform elevated actions.

Question

2Praśhna  : kaun sā saṅskār sēvā mē̃ bahut vighna ḍāltā hai  ?

3Question: Which sanskar causes many obstacles in service?

Answer

3Uttar  : bhāv-svabhāv K|kē kāraṇ āpas mē̃ jō dvēt mat K|kē saṅskār hō jātē haĩ , vah sēvā mē̃ bahut vighna ḍāltē haĩ .

4Answer: Because of the nature and feelings of souls, there is a conflict of sanskars and many obstacles are caused in service.

4Dō matō̃ sē bahut nuksān hōtā hai .

5A lot of damage is caused by conflicting opinions.

5Krōdh kā bhūt aisā hai jō bhagvān kā bhī sāmnā karnē mē̃ dērī na karē isliē bābā kahtē haĩ mīṭhē bachchē , aisā kōī bhī saṅskār hō tō usē nikāl dō .

6The evil spirit of anger is such that it doesn’t take long for someone even to oppose God. 7This is why Baba says: Sweet children, if you have any such sanskar, remove it.

Song

6Gīt  : takdīr jagākar āī hū̃ …

8Song: I have come having awakened my fortune.

Murli

7Ōm śhānti .

9Om shanti.

8Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē gīt sunā .

10You sweetest, spiritual children heard the song.

9Rūhānī bachchō̃ arthāt śhivbābā jō supreme rūh hai , unkē bachchō̃ ātmāō̃ nē śharīr rūpī karmēndriyō̃ dvārā gīt sunā .

11You spiritual children, that is, you souls who are the children of Shiv Baba, the Supreme Spirit, heard the song with the physical organs of your bodies.

10Ab tō bachchō̃ kō ātma-abhimānī bannā hai .

12You children now have to become soul conscious.

11Bahut mēhnat bhī hai .

13A lot of effort is required for this.

12Ghaṛī-ghaṛī apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karnā hai .

14Repeatedly consider yourselves to be souls and remember the Father.

13Yah hai gupta mēhnat .

15This effort is incognito.

14Bāp bhī gupta , tō mēhnat bhī gupta karātē haĩ .

16The Father is incognito and He makes you make incognito effort.

15Bāp svayã ākar kahtē haĩ bachchō̃ , mujhē yād karō tō kalp 5 hajār varṣh pahlē muāphik phir sē satōpradhān banē̃gē .

17The Father Himself comes and says: Children, remember Me and you will once again become satopradhan, just as you did 5000 years ago.

16Bachchē samajhtē haĩ ham hī satōpradhān thē phir ham hī ab tamōpradhān banē haĩ .

18You children understand that you were satopradhan and that you have now become tamopradhan.

17Satōpradhān bannā hai jarūr .

19You definitely do have to become satopradhan.

18Gīt mē̃ bhī kahtē haĩ takdīr jō ganvāī huī hai vah phir pānē kē liē tadbīr karānē vālā ēk hī sarvśhaktimān bāp hai , kyōṅki sabkō pāvan banātē haĩ nā .

20In the song, it says: Only the one Almighty Authority Father inspires you to make effort once again to attain the fortune that you lost, because He purifies everyone.

19Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ , hē rūhānī bachchō̃ ab takdīr banānē āyē hō .

21The Father explains to you children: O spiritual children: You have now come to make your fortune.

20Student school mē̃ takdīr banānē jātē haĩ nā .

22Those students go to school to make their fortune.

21Vah tō chhōṭē bachchē hōtē haĩ .

23They are only small children.

22Tum chhōṭē nahī̃ hō , tum tō baṛē bujurg hō .

24You are no longer small. 25You have now grown up and are mature.

23Takdīr banā rahē hō .

26You are making your fortune.

24Hā̃ kōī būṛhē-būṛhē bhī haĩ .

27Yes, there are some who are old.

25Buṛhāpē sē javānī mē̃ paṛhnā achchhā hōtā hai , javān key|kī buddhi achchhī hōtī hai .

28It is better to study when you are young than when you are old. 29The intellects of those who are young are better.

26Yah tō sabkē liē bahut sahaj hai .

30This is very easy for everyone.

27Tumhārā śharīr tō baṛā hai nā .

31Your bodies have grown large.

28Yah baby hai , itnā nahī̃ samajh sakē̃gē kyōṅki organs chhōṭē haĩ .

32This one is a baby and wouldn’t be able to understand much, because his organs are still small.

29Stuti-nindā , duḥkh-sukh in bātō̃ kō tum samajh saktē hō .

33You can understand about defamation and praise, happiness and sorrow.

30Ātmā tō bindī hai . 31Śharīr baṛhtā rahtā hai .

34A soul is just a point; its body continues to grow.

32Ātmā tō ēkras hī hōtī hai . 33Kabhī ghaṭtī-baṛhtī nahī̃ .

35Souls always remain the same size; they never grow larger or smaller.

34Us ātmā key|kī buddhi kē liē bāp kastūrī jaisī saugāt dē rahē haĩ kyōṅki abhī tō buddhi bilkul tamōpradhān ban gaī hai .

36The Father is now giving you musk as a gift for your intellects, because your intellects have become completely tamopradhan.

35Sō ab svachchha bhī ban rahī hai .

37They are now becoming clean.

36Yah chitra tumkō samjhānē mē̃ bahut kām mē̃ ātē haĩ .

38These pictures are very useful for you to explain with.

37Bhakti mārg mē̃ dēvtāō̃ kē āgē jākar māthā jhukātē haĩ , pūjā kartē haĩ .

39People on the path of devotion go and bow down in front of the deity idols and worship them.

38Āgē tum bhī andhaśhraddhā sē jātē thē .

40Previously, you too used to go there with blind faith.

39Śhiv K|kē mandir mē̃ jātē thē , tumkō yah thōṛēhī patā thā ki yah śhivbābā hai .

41You used to go to a Shiva Temple, but you didn’t know that He was Shiv Baba.

40Bābā sē jarūr varsā milā hai tab tō unkī mahimā gāī jātī hai .

42You definitely received the inheritance from Baba. 43This is why His praise is sung.

41Kōī achchhā kām karkē jātē haĩ tō unkī mahimā gāī jātī hai .

44When someone has done something very good in his lifetime, he is praised.

42Stamp banānī chāhiē śhivbābā key|kī .

45You have to make a stamp of Shiv Baba.

43Śhivbābā gītā sermonizer . . . . yah stamp sahaj ban sakēgī .

46The stamp of Shiv Baba, the Sermoniser of the Gita, can be created very easily.

44Vah bāp sabkō sukh dēnē vālā hai .

47That Father gives happiness to everyone.

45Bāp kahtē haĩ - maĩ tumkō sukhdhām kā mālik banānē vālā hū̃ .

48The Father says: I make you into the masters of the land of happiness.

46Buṛhiyā̃ bhī yah tō samajhtī hōṅgī ki ham āyē haĩ śhivbābā kē pās , jō vichitr hai , usnē is chitra ( tan ) mē̃ pravēśh kiyā hai .

49Even the old mothers can understand that they have come to Shiv Baba, who is without an image, and that He has entered this one with an image (this body).

47Nirākār kō vichitr kahā jātā hai .

50The incorporeal One is said to be the One without an image.

48Buddhi mē̃ rahtā hai ham śhiv-bābā kē pās jātē haĩ , jisnē yah tempory chitra dhāraṇ kiyā hai .

51It is in your intellects that you are going to Shiv Baba who has adopted this image temporarily.

49Patitō̃ kō pāvan banāē mukti-jīvanmukti dētē haĩ athavā śhāntidhām , sukhdhām kā rahvāsī banātē haĩ .

52He purifies the impure and grants them liberation and liberation-in-life, that is, He makes them into residents of the land of peace and the land of happiness.

50Manuṣhya śhānti kē liē hī kōśhiśh kartē haĩ .

53People try so hard to attain peace.

51Bhagvān milē tō śhānti milē , sukh kē liē puruṣhārth nahī̃ kartē haĩ .

54If they found God, they would find peace. 55They don't make any effort for happiness.

52Bas bāp kē pās ghar jāyē̃ , bhagvān milē .

56They just want to go to the Father's home and find God.

53Is samay sab mukti key|kī chāhnā rakhnē vālē haĩ .

57Everyone at this time wants liberation.

54Jīvanmukti lēnē vālē sirph tum brāhmaṇ hī hō .

58Only you Brahmins receive liberation-in-life.

55Bākī sab mukti key|kī chāhnā rakhnē vālē haĩ .

59All others want liberation.

56Jīvanmukti kā rāstā batānē vālā kōī hai hī nahī̃ .

60There is no one who can show you the path to liberation-in-life.

57Sannyāsiyō̃ ādi kē pās jākar śhānti māṅgtē haĩ .

61People go to the sannyasis and ask them for peace.

58Kahē̃gē man key|kī śhānti kaisē milē .

62They ask: How can we have peace of mind?

59Jō bhī rāstā batānē vālē haĩ vah haĩ hī mukti mē̃ jānē vālē .

63The paths they show are all for going into liberation.

60Mōkṣh kyā hōtā hai , vah bhī buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai .

64It doesn't enter their intellects what eternal liberation (moksh) is.

61Taṅg hōkar kahtē haĩ mukti mē̃ jāyē̃ tō achchhā hai .

65They get distressed and say: It is better to go into liberation!

62Vāstav mē̃ muktidhām hai ātmāō̃ K|kē rahnē kā sthān .

66In fact, the land of liberation is the residence of souls.

63Itnē centres par bachchē haĩ sab jāntē haĩ ki ham naī duniyā kē liē rājya-bhāgya lētē haĩ .

67All the children at all the centres know that we are claiming our fortune of the kingdom in that new world.

64Bābā hamkō naī duniyā kā rājya dētē haĩ .

68Baba is giving us the kingdom of that new world.

65Kahā̃ dēgē  ?

69Where will He give it?

66Naī duniyā mē̃ dēgē vā purānī duniyā mē̃ dēgē  ?

70Will He give it in the old world or in the new world?

67Bāp kahtē haĩ maĩ saṅgam par ātā hū̃ .

71The Father says: I come at the confluence age.

68Maĩ na satyug mē̃ , na kaliyug mē̃ ātā hū̃ .

72I neither come in the golden age nor in the iron age.

69Dōnō̃ K|kē bīch mē̃ ātā hū̃ .

73I come in between the two ages.

70Bāp tō sabkō sadgati dēgē nā .

74The Father grants everyone salvation.

71Aisē tō nahī̃ durgati mē̃ chhōṛ jāyēṅgē .

75He does not leave anyone in a state of degradation.

72Sadgati aur durgati ikaṭṭhē nahī̃ rah saktē .

76Salvation and degradation cannot both exist at the same time.

73Bachchē jāntē haĩ yah purānī duniyā vināśh hōnī hai , isliē insē pyār nahī̃ rakhnā hai .

77You children know that this old world is to be destroyed. 78This is why you must have no love for it.

74Buddhi kahtī hai barōbar abhī ham saṅgamyug par haĩ .

79The intellect says that we truly are at the confluence age now.

75Yah duniyā badalnē vālī hai .

80This old world is to change.

76Ab bāp āyā huā hai , bāp kahtē haĩ - maĩ kalp-kalp saṅgam par ātā hū̃ . 77Tumkō duḥkh sē chhuṛāē hari K|kē dvār lē jātā hū̃ .

81The Father has now come and He says: I come at the confluence age of every cycle to liberate you from sorrow and take you to the gateway of Hari (Remover of Sorrow).

78Yah gyān key|kī bāt hai .

82This is an aspect of knowledge.

79Haridvār , kr̥iṣhṇa kā dvār arthāt kr̥iṣhṇapurī kō kahā jātā hai .

83Haridwar is the gateway to Shri Krishna or to the land of Krishna.

80Achchhā unkē pīchhē phir lakṣhmaṇ jhūlā lagā diyā hai .

84Achcha, there is then also the Lakshman swing.

81Pahlē haridvār āyēgā .

85First, you go to Haridwar.

82Satyug kō harī-dvār kahā jātā hai .

86The golden age is called Haridwar.

83Phir rām lakṣhmaṇ ādi dikhātē haĩ .

87Then they also show Rama, Lakshman, etc.

84Vah bāt kōī hai nahī̃ .

88Those things don't really exist.

85Vah tō banāī huī bāt hai .

89They are just stories that people have made up.

86Rām kō kitnē bhāī dē diyē haĩ  !

90How many brothers have they shown Rama having?

874 bhāī tō hōtē nahī̃ .

91He cannot have four brothers.

884-8 bhāī tō yahā̃ hōtē haĩ .

92It is only here that someone would have four or eight brothers.

89Ēk taraph haĩ īśhvarīy santān , dūsrē taraph haĩ āsurī santān .

93On the one side, there are the children of God, and on the other side, there are the children of the devils.

90Abhī tum jāntē hō śhivbābā brahmā tan mē̃ āyē haĩ .

94Now, you know that Shiv Baba has entered the body of Brahma.

91Śhiv hai bābā , brahmā hai dādā . 92Prajāpitā hai .

95Shiva is Baba and Brahma is Dada; he is the Father of Humanity (Prajapita).

93Vah ātmāō̃ kā pitā tō anādi hai , is samay brāhmaṇō̃ kō rachtē haĩ .

96That one is the Father of souls; He is eternal. 97That One creates Brahmins at this time.

94Aisē nahī̃ ki śhivbābā śhāligrām kō rachtē haĩ .

98It isn't that Shiv Baba creates saligrams; no.

95Nahī̃ , śhāligrām tō avināśhī haĩ hī haĩ .

99Saligrams are imperishable.

96Sirph bāp ākar pavitra banātē haĩ .

100The Father just comes and purifies you.

97Jab tak ātmā pavitra nahī̃ banī hai tab tak śharīr kaisē pavitra ban saktā .

101Until a soul becomes pure, how could his body become pure?

98Ham ātmāyē̃ pavitra thī tō satōpradhān thī .

102When we souls were pure, we were satopradhan.

99Abhī apavitr tamōpradhān haĩ phir satōpradhān kaisē banē̃ .

103We souls are now impure and tamopradhan. 104How can we once again become satopradhan?

100Yah tō sahaj samajh key|kī bāt hai .

105This is something that can easily be understood.

101Tum is samay khād paṛnē sē patit tamōpradhān hō gayē hō .

106You have become impure and tamopradhan because alloy has been mixed into you.

102Ab phir satōpradhān bannā hai .

107You now have to become satopradhan once again.

103Hisāb-kitāb chuktū kar sab śhāntidhām vā sukhdhām mē̃ āyēṅgē .

108All of you will settle your accounts and go to the land of peace and then the land of happiness.

104Ātmāyē̃ nirākārī ghar sē kaisē ātī haĩ , uskī yādgār bhī kriściyan lōg jhāṛ mē̃ bulb lagākar manātē haĩ .

109How do souls come down from the incorporeal home? 110The memorial of that is the Christians hanging lights on a tree and celebrating.

105Tum jāntē hō yah sabhī dharmō̃ key|kī alag-alag śhākhāyē̃ haĩ , vahā̃ sē ātmāyē̃ kaisē number-vār nīchē utartī haĩ , yah knowledge tumkō mil gaī hai .

111You know that all the branches are the different religions. 112You have now received this knowledge of how souls come down from up above, numberwise.

106Ham ātmāō̃ kā ghar śhāntidhām hai .

113The land of peace is the home of us souls.

107Abhī hai saṅgam .

114It is now the confluence age.

108Vahā̃ sē sab ātmāyē̃ ā jāyēṅgī phir sab jāyēṅgē .

115All souls will come down from there and then everyone will return home.

109Pralay tō hōnē key|kī nahī̃ hai .

116Total annihilation does not take place.

110Tum jāntē hō ham bābā sē takdīr banānē phir sē svarājya lēnē āyē haĩ .

117You know that you have come to Baba to make your fortune and to claim your self-sovereignty once again.

111Yah kōī sirph kahnē mātra nahī̃ hai .

118This is not just said for the sake of it.

112Yād sē hī varsā milēgā .

119We will receive our inheritance by having remembrance.

113Bāp kahtē haĩ - dēh sahit jō bhī dēh K|kē mitra-sambandhī ādi haĩ , sabkō bhūl jāō . 114Chitra aur vichitr haĩ nā .

120The Father says: Forget your bodies, including your bodily friends and relatives. 121There is the one with an image and the One without an image.

115Vichitr unkō kahā jātā hai jinkō dēkhā nahī̃ jātā hai .

122The One without an image is called the One who cannot be seen.

116Yah bahut mahīn bātē̃ haĩ .

123These matters are very subtle.

117Ātmā kitnī chhōṭī hai .

124Souls are so tiny.

118Unkō ghaṛī-ghaṛī part bajānā paṛtā hai aur kiskī buddhi mē̃ aisī bātē̃ haĩ nahī̃ .

125They have to play their parts again and again. 126These things are not in anyone else's intellect.

119Pahlē-pahlē tō yah buddhi mē̃ biṭhānā hai ki ham ātmā haĩ , vah hamārā bāp hai .

127First of all, make people understand that they are souls and that He is their Father.

120Unkō hī patit-pāvan , hē bhagvān kah yād kartē haĩ .

128He is the One whom they remember when they say, “O Purifier! 129O God!”

121Dūsrī kōī jagah jānē key|kī darkār nahī̃ hai .

130There is no need to go anywhere else.

122Tō yād bhī ēk kō karnā chāhiē nā .

131Therefore, they should only remember the One.

123Bhagvān kō yād kartē haĩ tō jarūr ussē kuchh milnē kā hōgā .

132Since they remember God, they will definitely receive something from Him.

124Phir dar-dar dhakkē kyō̃ khātē hō  !

133Therefore, what need is there to stumble from door to door?

125Bhagvān kō tō paramdhām sē ānā paṛēgā nā .

134God would have to come from the supreme abode.

126Ham tō jā nahī̃ saktē kyōṅki patit haĩ .

135We cannot go there because we are impure.

127Patit vahā̃ jā na sakē̃ .

136Impure ones cannot go there.

128Abhī tum wonder khātē hō . 129Bhakti mārg kā part kaisē wonderful hai .

137You are now amazed at how wonderful the part of the path of devotion is.

130Ēk bhagvān kō hī yād kartē haĩ - hē īśhvar , hē parampitā , ō god father .

138People remember the one God and say: “O Ishwar! 139O Supreme Father! 140O God, the Father!”

131Jab vah ēk hī hai phir dūsrē taraph dhakkē kyō̃ khātē hō  !

141Since He is only the One, why do you stumble around elsewhere?

132Vah ēk ūpar mē̃ rahtē haĩ .

142That One resides up above.

133Parantu yah sab nūndh haĩ , drama anusār bhakti kartē haĩ , bēhad bēsamajhī sē .

143However, all of this is fixed. 144They all perform devotion according to the drama. 145They perform devotion without having any understanding at all.

134Abhī tum phir bēhad samajhdār bantē hō .

146You are now becoming sensible in an unlimited way.

135Śhrīmat par chalnē vālē hī samajhdār bantē haĩ . 136Vah phir chhipē nahī̃ rah saktē , vah sadaiv śhrēṣhṭhāchārī kām hī karē̃gē .

147Only those who follow shrimat become sensible; they cannot remain hidden, they always perform elevated tasks.

137Bāp kahtē haĩ - ham duḥkh hartā sukh kartā haĩ tō bachchō̃ kō bhī kitnā mīṭhā bannā chāhiē .

148The Father says: I am the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness, and so you children should become just as sweet.

138Bāp kā right hand bannā chāhiē .

149You should become the Father's right hands.

139Aisē bachchē hī bāp kō priya lagtē haĩ . 140Right hand haĩ nā .

150The Father only loves such children who become right hands.

141Tumkō mālūm hai left hāth sē itnā kām nahī̃ kar saktē haĩ kyōṅki right hāth righteous kām kartē haĩ isliē is right hāth kō hī śhubh kām mē̃ lagātē haĩ .

151You know that you cannot do as much with your left hand because the right hand only does that which is righteous. 152This is why this right hand is used for an auspicious task.

142Pūjā hamēśhā right hand sē kartē haĩ .

153Worshipping is always done with the right hand.

143Bāp kahtē haĩ - her|har bāt mē̃ righteous banō .

154The Father says: Become righteous in everything.

144Bāp milā hai tō khuśhī hōnī chāhiē .

155You have found the Father and so you must have that happiness.

145Bāp kahtē haĩ - māmēkam yād karō tō phir ant matī sō gati hō jāyēgī .

156The Father says: Constantly remember Me alone and your final thoughts will lead you to your destination.

146Mat aur gat vā gati karnē key|kī mat ēk hī hai .

157There is only one direction to take you into salvation.

147Gāyā bhī jātā hai īśhvar key|kī gat mat īśhvar hī jānē .

158It is remembered that only God knows His ways and means for salvation.

148Patit-pāvan vahī hai .

159Only He is the Purifier.

149Vah jāntē haĩ maĩ manuṣhyō̃ kō pāvan banāē durgati sē sadgati mē̃ kaisē lē jāūṅgā .

160He knows that He will purify human beings and that He will send them into salvation from degradation.

150Bhakti mārg mē̃ kitnī mēhnat kartē hai parantu sadgati hōtī nahī̃ . 151Phal kuchh bhī miltā nahī̃ , sadgati dēnē vālā tō ēk hī bāp hai .

161They make so much effort on the path of devotion, but they don't receive salvation; they don’t receive any fruit. 162Only the one Father grants salvation.

152Bhakti mē̃ jō jis bhāvnā sē pūjā kartē haĩ , unkō vah phal dēnē vālā maĩ hī hū̃ .

163Whomever devotees worship with love on the path of devotion, I am the One who grants them the fruit of that.

153Vah bhī drama mē̃ nūndh hai , unkō āpēhī mil jātā hai - apnē puruṣhārth sē .

164That too is fixed in the drama. 165They automatically receive it, depending on their efforts.

154Ab pavitra bhī apnē puruṣhārth sē bachchō̃ kō bannā hai .

166Now, you children too have to become pure by making your own efforts.

155Bāp kahtē haĩ - mīṭhē-mīṭhē bāp kō yād karō .

167The Father says: Remember the sweetest Father.

156Vahī sarvśhaktimān , almighty authority kitnā achchhā banātē haĩ .

168Only He is the Almighty Authority. 169He makes us so good.

157Tum sab kuchh jān chukē hō phir bāp sē varsā lē rahē hō .

170You now know everything and are also claiming your inheritance from the Father.

158Rachayitā aur rachnā key|kī knowledge tumhārī buddhi mē̃ hai .

171Your intellects have this knowledge of the Creator and creation.

159Tum jāntē hō yah knowledge hamārē mē̃ nahī̃ thī .

172You know that you didn't have this knowledge previously.

160Yagya-tap ādi karnā , śhāstra ādi sunnā - yah hai śhāstrō̃ key|kī knowledge .

173To hold sacrificial fires and do tapasya, to listen to the scriptures, etc. is all knowledge of the scriptures.

161Unkō bhakti kahā jātā .

174That is called devotion.

162Usmē̃ aim object kuchh hai nahī̃ .

175There is no aim or objective in that.

163Paṛhāī mē̃ aim object rahtī hai . 164Kōī na kōī prakār key|kī knowledge hōtī hai .

176There is an aim and objective in a study; there is one type of knowledge or another.

165Hamkō patit sē pāvan bannē key|kī knowledge patit-pāvan bāp nē dī hai .

177The Purifier Father has given us this knowledge of how to become pure from impure.

166Sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant key|kī knowledge bāp nē dī hai . 167Yah sr̥iṣhṭi chakra kaisē phirtā hai , ismē̃ sabhī actors pārṭdhārī haĩ .

178The Father has given us this knowledge of the beginning, the middle and the end of the world and also how the cycle turns. 179All of us are actors in this.

168Yah anādi nāṭak banā huā hai .

180This play is created eternally.

169Yah bēhad key|kī knowledge tō jarūr hōnī chāhiē .

181You should definitely have this unlimited knowledge.

170Tum bachchē jāntē hō abhī ham ghōr andhiyārē sē nikal ghōr sōjharē mē̃ jā rahē haĩ .

182You children know that you are now coming out of extreme darkness and going into extreme light.

171Tum abhī dēvtā ban rahē hō .

183You are now becoming deities.

172Yah bhī samjhānā hai ki ādi sanātan tō dēvī-dēvtā dharm hai , jisē hindū dharm kah diyā hai .

184You also have to explain that the deity religion is the original eternal religion and that it is now called the Hindu religion.

173Dhīrē-dhīrē yah bāt bhī samajh jāyēṅgē .

185Gradually, they too will understand this.

174Bachchō̃ kō khaṛā hōnā chāhiē .

186You children have to become very alert.

175Ismē̃ tō ḍhēr bachchē chāhiē .

187A lot of children are needed for this.

176Dēhlī mē̃ conference karnī paṛē .

188You have to hold a conference in Delhi.

177Paristān bhī dēhlī kō kahā jātā hai .

189Delhi is also called the land of angels.

178Yahī jamunā kā kaṇṭhā thā , dēhlī capital hai .

190It was by the same banks of the River Jamuna. 191Delhi is the capital.

179Bahutō̃ K|kē hāth āī hai .

192It has been ruled by many.

180Dēvtāō̃ key|kī capital bhī yah thī , dēhlī mē̃ bahut baṛī conference hōnī chāhiē parantu māyā aisī hai jō karnē nahī̃ dētī .

193It was also the capital of the deities. 194There should be a very big conference in Delhi. 195However, Maya is such that she doesn't allow you to do this.

181Vighna bahut ḍāltī hai .

196She creates many obstacles.

182Ājkal bhāv-svabhāv bhī bahut hō gayē haĩ nā .

197Nowadays, there is also a lot of conflict of natures.

183Bachchō̃ kō āpas mē̃ milkar service mē̃ lagnā hai .

198You children should do service in unity with one another.

184Vē|way lōg bhī āpas mē̃ nahī̃ miltē haĩ tō rājāī hī uṛ jātī hai , dō party hō jātī haĩ tō president kō bhī uṛā dētē haĩ .

199When those people are not in harmony, their kingdom is lost. 200When there are two parties, they overthrow the President.

185Dvēt mat baṛā nuksān kartī hai .

201Duality of opinion causes a lot of damage.

186Phir bhagvān kā bhī sāmnā karnē mē̃ dērī nahī̃ kartē haĩ .

202Then, they don't take long even to oppose God.

187Nuksān bhī bahut pātē haĩ .

203A lot of damage is caused.

188Krōdh kā bhūt ā jātā hai tō phir bāt mat pūchhō isliē bābā kahtē haĩ guṛ jānē guṛ key|kī gōthrī jānē .

204When the evil spirit of anger comes, don't even ask! 205This is why Baba says: The jaggery knows and the bag holding the jaggery knows.

189Bāp bachchō̃ kō sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā knowledge sunā rahē haĩ .

206The Father is telling you children this knowledge of the beginning, the middle and the end of the world.

190Ab kōī dhārṇā karē vā na karē , vah hai puruṣhārth par madār .

207Whether you imbibe this or not is up to you; it depends on your efforts.

191Aisē nahī̃ kōī par bābā āśhīrvād vā kr̥ipā karē̃gē , ismē̃ kr̥ipā ādi māṅgnē key|kī bāt nahī̃ .

208It isn't that Baba would bless any of you or have mercy for you. 209There is no question of asking for mercy here.

192Prērṇā sē agar yōg aur gyān sikhlānā hōtā , phir tō bāp kahtē haĩ maĩ is gandī duniyā mē̃ ātā kyō̃  ?

210The Father says: If I had to teach this knowledge and yoga through inspiration, why would I come into this dirty world?

193Prērṇā , āśhīrvād yah sab bhakti mārg K|kē akṣhar haĩ .

211Inspiration and blessings, they are words of the path of devotion.

194Ismē̃ puruṣhārth karnā hōtā hai , prērṇā key|kī bāt nahī̃ .

212Here, you have to make effort; there is no question of inspiration.

195Tumkō 3 engine milī haĩ ikaṭṭhī .

213You have received three engines at the same time.

196Vahā̃ tō bāp alag , teacher alag miltā hai , gurū pichhāṛī mē̃ miltā hai .

214There, the father is separate from the teacher and later on, you also have a guru.

197Yahā̃ tō yah tīnō̃ hī ikaṭṭhē haĩ .

215Here, all three are together.

198Bāp kahtē haĩ - maĩ tumkō pūjya banātā hū̃ , tum phir pujārī ban jāyēṅgē .

216The Father says: I am making you worthy of worship. 217You will then become worshippers.

199Baṛā yukti sē samjhānā hai .

218This has to be explained very tactfully.

200Aisā na hō kōī bēhōśh hō jāē .

219It shouldn't be that someone faints.

201Pahlē-pahlē mukhya hai dō bāp key|kī bāt .

220The first and main thing to explain is about the two fathers.

202Bhagvān bāp hai , unkā janm śhiv jayantī bhī yahā̃ manātē haĩ .

221God is the Father. 222His birthday, Shiv Jayanti, is celebrated here.

203Jarūr svarg kā mālik banātē hōṅgē .

223He must definitely be making us into the masters of heaven.

204Bhārat mē̃ hī svarg thā .

224Heaven was in Bharat alone.

205Abhī nark K|kē vināśh liē mahābhārat laṛāī khaṛī hai .

225The Mahabharat War is now just ahead for the destruction of hell.

206Jarūr bāp naī duniyā kī sthāpanā karānē vālā bhī hai .

226The Father definitely carries out the establishment of that new world.

207Bāp key|kī śhrīmat par hī ham kahtē haĩ ki bhārat kō ham pāvan banākar hī chhōṛē̃gē .

227It is according to the Father's shrimat that we say: We will definitely make Bharat pure.

208Achchhā  !

228Achcha.

209Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

229To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

210Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

230The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

211Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

231Essence for dharna:

2121 ) jaisē bāp duḥkh hartā sukh kartā hai , aisē bāp samān bannā hai .

2321. Just as the Father is the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness so, too, become equal to the Father.

213Bahut mīṭhā bannā hai .

233Become very sweet.

214Sadā śhubh kām karkē right hand ban jānā hai .

234Constantly perform righteous actions and become a right hand.

2152 ) kabhī dō matē̃ nahī̃ banānī hai .

2352. Never allow there to be a conflict of opinion.

216Bhāv-svabhāv mē̃ ākar ēk-dō kā sāmnā nahī̃ karnā hai .

236Don't be caught up with anyone’s nature and so oppose one another.

217Krōdh kā bhūt nikāl dēnā hai .

237Remove the evil spirit of anger.

Blessing

218Vardān  : svayã key|kī smr̥iti mē̃ rah apnē her|har karma kō saṅyam ( niyam ) banānē vālē authority svarūp bhav

238Blessing: May you become an embodiment of authority by remaining aware of yourself and enabling every action of yours to become a discipline.

219Jaisē sākār mē̃ svayã key|kī smr̥iti mē̃ rahnē sē jō karma kiyā vahī brāhmaṇ parivār kā saṅyam ban gayā .

239Whatever action Baba performed by being aware of himself in the physical form became a discipline for the Brahmin family.

220Svayã K|kē naśhē mē̃ rahnē K|kē kāraṇ authority sē kah saktē thē ki agar sākār dvārā kōī ulṭā karma bhī hō gayā tō sulṭā kar dēgē .

240By having that intoxication of himself, he could say with authority that if anything wrong happened through the sakar form, God would put it right.

221Svayã K|kē svarūp key|kī smr̥iti mē̃ rahnē sē yah naśhā rahtā hai ki kōī karma ulṭā hō hī nahī̃ saktā .

241By remaining aware of his form, he had the intoxication that no action would ever be wrong.

222Āp bachchē bhī jab svayã key|kī sthiti mē̃ sthit rahō tō jō saṅkalp chalēgā , jō bōl bōlē̃gē vā karma karē̃gē , vahī saṅyam ( niyam ) ban jāyēgā .

242When you children remain stable in your own stage, whatever thoughts you have, words you speak or actions you perform will become a discipline.

Slogan

223Slōgan  : pavitratā kā pillar majbūt karō tō yah pillar light house kā kām kartā rahēgā .

243Slogan: Make your pillar of purity strong and that pillar will work like a lighthouse.

244*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

224Yē avyakt iśhārē - apavitratā K|kē bīj kō bhī samāpt kar sampūrṇ svachchha ( pavitra ) banō « 

245Avyakt Signal: Finish the seed of impurity and become completely clean (pure).

225Agar buddhi mē̃ aśhuddh saṅkalp vā purānē saṅskār saṅkalp rūp mē̃ bhī touch hōtē haĩ tō sampūrṇ vaiṣhṇav nahī̃ kahē̃gē .

246If your intellect is even slightly touched by impure thoughts or old sanskars, you cannot be called a perfect Vaishnav.

226Jaisē kōī akartavya kārya dēkhtā bhī hai tō dēkhnē kā asar hō jātā hai , uskā bhī hisāb ban jātā hai .

247When you see someone doing something wrong, even seeing that has an effect of you, and an account would be created.

227Is hisāb sē sōchō tō purānē saṅskār va aśhuddh saṅkalp buddhi mē̃ agar touch hōtē haĩ tō bhī sampūrṇ vaiṣhṇav vā sampūrṇ pavitra kaisē kahē̃gē .

248Similarly, just think: If your intellect is even slightly touched by old sanskars or impure thoughts, you could not be called a perfect Vaishnav or completely pure.