शनिवार 8 अगस्त 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
008-08-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
008/08/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - śhānt rahnē kā svabhāv bahut achchhā hai , śhānt svabhāv vālē bahut mīṭhē lagtē haĩ , phāltū bōlnē sē na bōlnā achchhā hai ' '
1Essence: Sweet children, the nature of remaining peaceful is very good. 2Those who have peaceful natures are very sweet. 3Instead of speaking of wasteful things, it is better not to speak.
Question
2Praśhna : kin bachchō̃ kō sabhī pyār kartē haĩ ?
4Question: Which children does everyone love?
3Svayã kō safe rakhnē kā sādhan kyā hai ?
5What is the way to keep yourself safe?
Answer
4Uttar : jō sabhī key|kī bahut rūchi sē , pyār sē sēvā kartē haĩ , unkō sabhī pyār kartē haĩ .
6Answer: Those who serve everyone with a lot of interest and love are loved by all.
5Tumhē̃ kabhī bhī sēvā kā ahaṅkār nahī̃ ānā chāhiē .
7You must never have any arrogance about service.
6Bāp dvārā jō gyān key|kī kastūrī milī hai , vah dūsrō̃ kō dēnī hai , sabkō śhivbābā key|kī yād dilānī hai .
8Give others the musk of this knowledge that you have received from the Father and remind everyone of Shiv Baba.
7Is yād kī yātrā sē hī tum bahut-bahut safe rahē̃gē .
9You will remain very, very safe on this pilgrimage of remembrance.
8Jitnā yād mē̃ rahē̃gē utnā khuśhī bhī rahēgī aur manners bhī sudhartē jāyēṅgē .
10To the extent that you stay in remembrance, you will accordingly have that much happiness and your manners will continue to be reformed.
Murli
9Ōm śhānti .
11Om shanti.
10Rūhānī bāp baiṭh rūhānī bachchō̃ kō samjhātē haĩ , samajhā-samajhākar kitnā samajhdār banā dētē haĩ .
12The spiritual Father sits here and explains to you spiritual children. 13By explaining to you, He makes you so sensible.
11Paṛhāī bhī sahaj hai nā .
14This study is also easy.
12Vah hai sthūl paṛhāī aur yah hai sūkṣhma paṛhāī .
15That is a physical education and this is a subtle study.
13Tum bachchē jāntē hō yah paṛhāī bāp K|kē sivāē aur kōī paṛhā nahī̃ saktē haĩ .
16You children know that, apart from the Father, no one else can teach us this study.
14Bāp āyē hī hai pavitra banānē aur paṛhānē .
17The Father has come to make us pure and to educate us.
15Aim-object sāmnē khaṛī hai , tō aisē bāp kō yād kar khuśhī mē̃ rōmāñch khaṛē hō jānē chāhiē .
18The aim and objective is in front of you. 19So, by remembering such a Father, you should have goose pimples.
16Yah bhī bachchē jāntē haĩ ki din-pratidin hamkō śhānti mē̃ hī jānā hai .
20You children also know that, day by day, we have to remain peaceful.
17Śhānti tō sabkō bahut pasand hōtī hai .
21Everyone loves peace a lot.
18Baṛē ādmī jāstī nahī̃ bōltē haĩ aur na jōr sē bōltē haĩ .
22Important people neither speak a lot nor speak loudly.
19Tum bahut-bahut baṛē ādmī bantē hō vāstav mē̃ ādmī nahī̃ kahē̃gē , tum tō dēvtā bantē hō .
23You are becoming very important people; in fact, you would not be called people, you are becoming deities.
20Dēvtāō̃ kā bōlnā bahut thōṛā hōtā hai .
24Deities speak very little.
21Tumkō bhī jab dēvtā bannā hai tō talkie sē badal silence mē̃ rahnē kā abhyās karō .
25Now that you have to become deities, you have to change from being in this “talkie” and practise staying in silence.
22Śhānti mē̃ rahnē vālē kē liē samajhē̃gē ki inkā apnē ūpar attention hai jabki tumkō śhāntidhām jānā hai tō bōlnā bhī bahut āhistē ( dhīrē ) hai .
26For those who remain peaceful, it would be understood that they pay attention to themselves. 27Since you have to go to the land of peace, you have to speak very softly.
23Āhistē bōltē-bōltē śhāntidhām mē̃ chalē jānā hai .
28By speaking softly, you will then go to the land of peace.
24Jitnā tum śhānti mē̃ rahtē hō utnā śhānti phailātē hō .
29The more you remain in peace, the more peace you will spread.
25Tumkō bahut śhānti mē̃ rahnā chāhiē .
30You have to remain very peaceful.
26Āvāj sē bāt karnā achchhā nahī̃ lagtā .
31It doesn’t feel good to speak loudly.
27Krōdh bhī achchhā nahī̃ hai .
32Anger is not good either.
28Bachchō̃ mē̃ kōī bhī vikār nahī̃ rahnē chāhiē .
33You children must not have any vices in you.
29Dēkhnā hai - ham kōī sē laṛtē-jhagaṛtē tō nahī̃ haĩ !
34You have to see that you do not fight or quarrel with anyone.
30Bāp nē samjhāyā hai hear no evil , talk no evil … jō bātē tumkō pasand nahī̃ haĩ , un burī bātō̃ sē tumhē̃ kinārā kar dēnā chāhiē tō dōnō̃ kā mukh band rahēgā .
35The Father has said: Hear no evil, see no evil… 36The things that you don’t like, you have to step away from those bad things, and both parties will then be quietened.
31Her|har bāt mē̃ daivī guṇō̃ kō dhāraṇ karnā hai .
37Imbibe divine virtues in every situation.
32Kōī āvāj sē bāt karē tō bōlō śhānt , āvāj mat karō .
38When someone is speaking loudly, tell him: “Quiet. 39Do not make so much noise.”
33Tum jāntē hō ham śhānti sthāpan kartē haĩ .
40You know that you are establishing peace.
34Satyug mē̃ śhānti rahtī hai nā .
41There is peace in the golden age, is there not?
35Mūlvatan mē̃ tō hai hī śhānti .
42In the incorporeal world, there is peace.
36Śharīr hī nahī̃ tō bōlē̃gē phir kaisē .
43When you don’t have a body, how can you speak?
37Bāp bachchō̃ kō śhrīmat tō bahut achchhī dētē haĩ , samjhātē haĩ mīṭhē bachchō̃ ab tumhē̃ apnē ghar chalnā hai , talkie sē movie mē̃ ānā hai phir silence mē̃ chalē jāyēṅgē .
44The Father gives you children very good shrimat. 45He explains: Sweet children, you now have to return home. 46From ‘talkie’, you have to go into ‘movie’, and then you will go into silence.
38Jō bhī milē unkō yahī paigām dēnā hai .
47Give whoever you meet this message.
39Tum jitnā silence mē̃ rahē̃gē utnā samajhē̃gē yah lōg kisī dhun mē̃ haĩ .
48The more you stay in silence, the more people will understand that you are lost in your own concern (world).
40Śhānt rahnē kā svabhāv bahut achchhā hai .
49The nature of being peaceful is very good.
41Vah bahut mīṭhē lagtē haĩ .
50Such ones are very sweet.
42Phāltū bōlnē sē na bōlnā achchhā hai .
51Instead of speaking of wasteful things, it is better not to speak.
43Tum sachchē-sachchē paigambar hō .
52You are true messengers.
44Tumhārī sabkē ūpar mēhar ( kr̥ipā ) hōnī chāhiē .
53You have to have mercy for everyone.
45Mēhar karnē vālē bachchē baṛē śhānt mē̃ bāp kī yād mē̃ rahē̃gē .
54You children who have mercy will very peacefully stay in remembrance of the Father.
46Sirph paigām dēnā hai ki bēhad K|kē bāp kō yād karō tō bēhad kā sukh-śhānti milēgā .
55You simply have to give the message to stay in remembrance of the unlimited Father and you will receive unlimited happiness and peace.
47Laukik bāp kē pās bahut dhan hai tō bahut varsā milēgā nā .
56If your lokik father has a lot of wealth, you would receive a huge inheritance, would you not?
48Bēhad K|kē bāp pās|pass tō hai viśhva kī bādśhāhī , jō her|har 5000 varṣh bād tumhē̃ viśhva kī bādśhāhī miltī hai .
57The unlimited Father has the sovereignty of the world and you receive that sovereignty of the world after 5000 years.
49Tum bachchō̃ kō sabhī key|kī bahut rūchi sē service karnī hai .
58You children have to serve everyone with a lot of interest.
50Harēk kō sēvā K|kē lāyak bannā hai .
59Each one of you has to be capable of doing service.
51Jō dūsrō̃ key|kī pyār sē sēvā kartē haĩ unkō sabhī pyār kartē haĩ .
60Those who serve others with love are loved by everyone.
52Kabhī bhī sēvā kā ahaṅkār nahī̃ ānā chāhiē .
61You must never have any arrogance about service.
53Tumhē̃ bāp dvārā gyān key|kī kastūrī milī hai , vah dūsrō̃ kō dēnī hai .
62You have received the musk of knowledge from the Father; you have to give it to others.
54Ēk dō kō yād dilātē rahō ki śhivbābā yād hai ?
63Continue to remind one other: “Are you remembering Shiv Baba?”
55Ismē̃ khuśhī bhī hōtī hai .
64There is happiness in that.
56Yād dilānē vālē kō thanks dēnā chāhiē .
65Thanks is given to those who remind you.
57Yād kī yātrā sē tum bachchē bahut-bahut safe rahē̃gē .
66You children will remain very, very safe on this pilgrimage of remembrance.
58Jitnā yād mē̃ rahē̃gē utnā khuśhī bhī rahēgī aur manners bhī sudhartē jāyēṅgē .
67The more you stay in remembrance, the more happiness you will have and your manners will continue to be reformed.
59Tumhē̃ apnē characters jarūr-jarūr sudhārnē haĩ .
68You definitely have to reform your character.
60Harēk apnī dil sē pūchhē hamārā svabhāv bahut-bahut mīṭhā hai ?
69Each one of you has to ask your own heart: Is my nature very, very sweet?
61Kabhī kisī kō nārāz tō nahī̃ kartē .
70Do I upset anyone?
62Aisā vātāvaraṇ kabhī na hō jō kōī nārāz hō jāē .
71Let there not be any such atmosphere that someone becomes upset.
63Aisī kōśhiśh karnī hai kyōṅki tum bachchē bahut ūñch service par hō .
72You have to try this, because you children are on very elevated service.
64Tumhē̃ is sārē māṇḍavē kō rōśhnī dēnī hai .
73You have to give light to this whole world.
65Tum dhartī K|kē chaitanya sitārē hō .
74You are the living stars of the earth.
66Kahā bhī jātā hai nakṣhatra dēvtā . . . ab vah sitārē kōī dēvtā nahī̃ haĩ , tum tō unsē mahān balvān hō kyōṅki tum sārē viśhva kō rōśhan kartē hō , tum hī dēvtā bannē vālē hō .
75People talk about “the astral deities.” 76Those stars are not deities. 77You are even greater than those, because you enlighten the whole world. 78You are going to become deities.
67Jaisē ūpar sitārō̃ key|kī rimjhim hai , kōī sitārā bahut tīkhā hōtā hai aur kōī halkā .
79The stars up above sparkle; some stars are very bright and others are dim.
68Kōī chandramā K|kē nazdīk hōtā hai .
80Some are close to the moon.
69Tum bachchē bhī yōgbal sē sampūrṇ pavitra bantē hō tō chamaktē hō .
81Similarly, you children are becoming completely pure with the power of yoga and so you sparkle.
70Abhī tum bachchō̃ kō avināśhī gyān ratnō̃ key|kī lottery mil rahī hai tō kitnī khuśhī rahnī chāhiē .
82You children are now winning the lottery of the imperishable jewels of knowledge and so you must have so much happiness.
71Andar mē̃ khuśhī key|kī uchhalē̃ mārtē rahō .
83Continue to jump with joy internally.
72Yah tumhārā janm hīrē jaisā gāyā jātā hai .
84This birth of yours is remembered as being as valuable as a diamond.
73Tum brāhmaṇ hī knowledgeful bantē hō tō tumkō knowledge key|kī hī khuśhī rahtī hai .
85Only you Brahmins become knowledge-full and so you have happiness about this knowledge.
74In dēvtāō̃ sē bhī tum śhrēṣhṭh hō .
86You are more elevated than those deities.
75Tō tumhārā chēhrā sadā khuśhī sē khilā rahē .
87So, your faces must constantly be blooming with happiness.
76Bāp bachchō̃ kō āśhīrvād kartē haĩ mīṭhē bachchē sadā śhānt bhav !
88The Father blesses you children: Sweet children, may you constantly be peaceful.
77Chiranjīvī bhav ! 78Arthāt bahut janm jiyō .
89May you have a long life, that is, may you live many births.
79Āśhīrvād tō bāp sē miltī hai phir bhī harēk kō apnā puruṣhārth karnā hai ki ham chiranjīvī kaisē banē̃ .
90You receive blessings from the Father, but each of you still has to make your own efforts for how you can have a long life.
80Bāp kō yād karnē sē tum ciranjīv ban rahē hō .
91By remembering the Father, you are becoming those with long lives.
81Yah āśhīrvād bāp dētē haĩ .
92The Father is giving you this blessing.
82Brāhmaṇ lōg bhī kahtē haĩ āyuśhvān bhav .
93Brahmins say: “May you have a long life.”
83Bāp bhī kahtē haĩ bachchē sadā jītē rahō .
94The Father also says: Children, may you continue to live.
84Tumhē̃ ādhākalp kē liē kāl nahī̃ khāyēgā .
95Death will not come to you for half a cycle.
85Satyug mē̃ marnē kā nām nahī̃ hōtā .
96There is no mention of dying in the golden age.
86Yahā̃ tō manuṣhya marnē sē ḍartē haĩ nā .
97People are afraid of dying, but you are making effort to die.
87Tum tō puruṣhārth kar rahē hō marnē liē . 88Tum jāntē hō bābā kō yād kartē-kartē ham yah śharīr chhōṛ apnē śhivbābā kē pās jāyēṅgē , phir svargvāsī banē̃gē .
98You know that by remembering Baba, you will shed your bodies and go to your Shiv Baba and then become the residents of heaven.
89Abhī tum most beloved bāp K|kē bachchē banē hō tō tumkō bhī bāp jaisā bahut-bahut mīṭhā bahut pyārā bannā hai .
99You have now become the children of the most beloved Father, and so you also have to become very, very sweet and lovely, the same as the Father.
90Bābā patrō̃ mē̃ bhī likhtē haĩ mīṭhē-mīṭhē lāḍlē sikīladhē bachchō̃ . . . bābā bahut mīṭhā hai nā .
100Baba writes in the letters: Sweet, sweet, beloved, long-lost and now-found children. 101Baba is very sweet, is He not?
91Practical mē̃ anubhav kartē hō ki bābā kitnā mīṭhā , kitnā pyārā hai .
102You experience practically how Baba is so sweet and lovely.
92Hamē̃ bhī aisā banātē haĩ .
103He makes us the same too.
93Yah bhī tum jāntē hō ki ham kitnē mīṭhē , kitnē pyārē thē .
104You also know how sweet and how lovely you were.
94Ham hī pūjya sē phir pujārī banē̃ tō khud kō pūjtē rahē .
105We became worshippers from being worthy of worship, and so we continued to worship ourselves.
95Yah bhī baṛī wonderful samajhnē key|kī bātē̃ haĩ .
106These are very wonderful aspects to be understood.
96Tum bachchē jāntē haĩ ādhākalp K|kē hamārē sab duḥkh dūr karnē vālā bābā abhī āyā huā hai .
107You children know Baba, who removes our sorrow of half a cycle, has now come.
97Kahtē haĩ her|har-her|har mahādēv .
108People say: “Har Har Mahadev (Mahadev – the great deity who removes everyone’s sorrow).”
98Ab vah mahādēv tō nahī̃ hai .
109This is not that Mahadev.
99Duḥkh tō bāp hī harē̃gē .
110It is only the Father who will remove our sorrow.
100Duḥkh harkar sukh dēnē vālā bāp hai .
111It is the Father who removes our sorrow and then gives us happiness.
101Ādhākalp tumnē bahut duḥkh dēkhē haĩ .
112You have seen a lot of sorrow in half this cycle.
1025 vikārō̃ key|kī bīmārī bahut baṛh gaī hai , is bīmārī nē bahut duḥkhī kiyā hai , isliē bāp kahtē haĩ mīṭhē bachchē , yah jō karmō̃ kā khātā hai , unkō ab ṭhīk karō .
113The illness of the five vices has increased a lot. 114This illness has caused a lot of sorrow. 115This is why the Father says: Sweet children, now put right your account of actions.
103Vyāpārī lōg bhī 12 mās kā khātā rakhtē haĩ nā .
116Businessmen keep their accounts of 12 months, do they not?
104Bāp samjhātē haĩ bachchē , abhī sārī sr̥iṣhṭi par dēkhō kitnā kichṛā hai , yah hai hī nark , tō bāp kō ānā paṛtā hai nark kō svarg banānē .
117The Father explains: Children, look how much rubbish there is in the whole world. 118This is hell, and so the Father has to come to change this hell into heaven.
105Bābā bahut ukīr ( prēm ) sē ātē haĩ , jāntē haĩ mujhē bachchō̃ key|kī sēvā mē̃ ānā hai .
119The Father comes with a lot of love. 120He knows that He has to come to serve you children.
106Maĩ kalp-kalp tum bachchō̃ key|kī sēvā par upasthit hōtā hū̃ .
121I become present every cycle to serve you children.
107Jab khud ātē haĩ tab bachchē samajhtē haĩ bāp hamārī sēvā mē̃ upasthit huē haĩ .
122When He Himself comes, you children understand that our Father has come to serve us.
108Yahā̃ baiṭhē sabhī key|kī sēvā hō jātī hai .
123While sitting here, He is able to serve everyone.
109Sārī sr̥iṣhṭi kā kalyāṇkārī dātā tō ēk hī hai nā .
124There is only the One who is the benevolent Bestower for the whole world.
110Bāp jāntē haĩ sārī duniyā key|kī jō bhī ātmāyē̃ haĩ sabkō maĩ hī varsā dēnē ātā hū̃ .
125The Father knows He alone comes to give an inheritance to all the souls of the whole world.
111Bēhad K|kē bāp key|kī nazar duniyā key|kī ātmāō̃ taraph jātī hai .
126The vision of the unlimited Father goes to the souls of the world.
112Bhal yahā̃ baiṭhē haĩ parantu nazar sārē viśhva par aur sārē viśhva K|kē manuṣhya mātra par hai , kyōṅki sārī viśhva kō hī nihāl karnā hai .
127Although He is sitting here, His vision is on the whole world and all human beings of the world, because He has to take the whole world beyond.
113Drama plan anusār kalp pahlē misal sārē viśhva key|kī ātmāyē̃ nihāl hō jānē vālī haĩ .
128According to the drama plan, all souls of the world have to be taken beyond exactly as they were in the previous cycle.
114Bāp sab bachchō̃ kō yād kartē haĩ , nazar tō jātī hai nā .
129The Father remembers all the children, does He not? 130His vision goes to them, does it not?
115Saṅgamyug par hī bāp bachchō̃ key|kī sēvā mē̃ upasthit hōtē haĩ unkī bhēṇṭ mē̃ kōī bhī sēvā kar na sakē .
131It is only at the confluence age that the Father becomes present to serve you children. 132No one else can do such service as He does.
116Unkī hai bēhad key|kī sēvā .
133His service is unlimited.
117Tum bachchē bhī bāp kā show tab kar sakē̃gē jab un jaisī sēvā karē̃gē .
134You children will be able to show (reveal) the Father when you do service like He does.
118Sēvā karnē vālō̃ kō phal bhī bahut bhārī miltā hai .
135Those who do service receive very great fruit.
119Bachchō̃ kō naśhā bhī chaṛhtā hai ki ham śhrīmat par sārē viśhva K|kē manuṣhyō̃ kō sukh dētē haĩ .
136You children have the intoxication of how you are giving happiness to all the people of the world by following shrimat.
120Bāp kahtē haĩ mīṭhē bachchē , ab gyān ratnō̃ sē apnī khūb jhōlī bharō , jitnī bharnī hai bharō .
137The Father says: Sweet children, now fill your aprons with the many jewels of this knowledge, fill them as much as you want.
121Apnā time barbād na karō .
138Do not waste your time.
122Bāp kī yād mē̃ time kō ābād karō .
139Use your time fruitfully in having remembrance of the Father.
123Jō achchhī rīti dhārṇā kartē haĩ vah phir aurō̃ key|kī bhī achchhī service jarūr karē̃gē .
140Those who imbibe everything very well will also serve others very well.
124Samay barbād nahī̃ karē̃gē .
141They will not waste their time.
125Bachchō̃ kō puruṣhārth kar antarmukhī bannā hai .
142You children have to make effort and become introverted.
126Antar ātmā hai nā .
143There is the inner soul, is there not?
127Yah niśhchay karnā hai ki ham ātmāō̃ kō bāp samjhā rahē haĩ .
144Have the faith that the Father is explaining to you.
128Soul-conscious hō rahnā hī sachchā-sachchā antarmukhī bannā hai .
145To be soul conscious is to be truly introverted.
129Antarmukhī arthāt andar jō ātmā hai , unkō sab kuchh bāp sē hī sunnā hai .
146To be introverted means that you souls inside, have to listen to everything from the Father alone.
130Bāp pyār sē bār-bār samjhātē haĩ .
147The Father repeatedly explains with love.
131Māt-pitā aur jō bhī achchhē ananya baṛē bhāī-bahan haĩ , jō achchhī service kartē haĩ unsē sīkhtē jāō .
148Continue to learn from the Mother and Father and all the especially beloved senior brothers and sisters who do very good service.
132Andar mē̃ yah niśhchay karō ki hamē̃ phāltū time nahī̃ ganvānā hai .
149Have the faith inside you that you mustn’t waste your time.
133Śharīr nirvāh bhī karnā hai , apnī rachnā kō bhī dēkhnā hai .
150You have to provide for the livelihood of your bodies, and also look after your creation.
134Sirph mamatva nahī̃ rakhnā hai .
151Just do not have attachment.
135Mamatva rakhnē sē nuksān hō jāyēgā .
152By having attachment, there will be a loss.
136Mamatva ēk bāp mē̃ rakhō .
153Have attachment for only the Father.
137Yahā̃ tum bāp K|kē sammukh hō .
154Here, you are personally in front of the Father.
138Ātmāyē̃ aur paramātmā sammukh haĩ kyōṅki yahā̃ svayã bāp ātmāō̃ kō paṛhātē haĩ .
155You souls are personally in front of the Supreme Soul, because the Father Himself is teaching souls here.
139Vahā̃ ātmāyē̃ ātmāō̃ kō paṛhātī haĩ .
156There, souls teach souls.
140Yah sab bātē̃ tum bachchō̃ K|kē andar manthan hōnī chāhiē .
157You children have to churn all of these things.
141Student key|kī buddhi mē̃ sārā din paṛhāī rahtī hai nā .
158A student has his study in his intellect throughout the day.
142Tumhārī buddhi mē̃ bhī sārī paṛhāī hai .
159You also have this whole study in your intellects.
143Yah hai rūhānī paṛhāī .
160This is a spiritual study.
144Achchhē student jō hōtē haĩ vah sadaiv ēkānt mē̃ jākar paṛhtē haĩ .
161Good students always go and study in solitude.
145Student āpas mē̃ milatē-julatē haĩ , tō paṛhāī par hī vārtālāp kartē haĩ .
162When students meet, they discuss their studies among themselves.
146Is bēhad key|kī paṛhāī mē̃ tō aur hī khuśhī sē lag jānā chāhiē .
163You must engage yourselves in this unlimited study with so much more happiness.
147Tum bachchē abhī bāp K|kē madadgār bantē hō .
164You children have now become the Father’s helpers.
148Yād mē̃ rahnā hī madad karnā hai kyōṅki yād kī yātrā mānā śhānti key|kī yātrā isliē kahā jātā hai har ēk apnē ghar kō svarg banāō .
165To stay in remembrance is to help Him, because the pilgrimage of remembrance means the pilgrimage of silence, and this is why it is said: Each one of you has to make your home into heaven.
149Harēk key|kī buddhi mē̃ alpha aur bē hai .
166Each one of you has Alpha and beta in your intellect.
150Alpha kō yād karō tō bādśhāhī milēgī .
167Remember Alpha and you will receive the kingdom.
151Aur kuchh karnā nahī̃ hai .
168You don’t have to do anything else.
152Sirph apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō tō rājāī tumhārī .
169Simply consider yourselves to be souls and remember the Father, and the kingdom is yours.
153Tum bachchē - sabkō yahī paigām dētē rahō ki bāp kō yād karō tō svarg kī rājāī milēgī .
170You children have to continue to give everyone this message: “Remember the Father and you will receive the kingdom of heaven.”
154Achchhā !
171Achcha.
155Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā dil va jān sik va prēm sē yādpyār aur good morning .
172To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the depths of the heart and soul, from the mother, Father, BapDada.
156Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
173The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
157Dhārṇā kē liē mukhya sār :
174Essence for dharna:
1581 ) bāp kī yād mē̃ apnā time ābād karnā hai .
1751. Use your time fruitfully in remembrance of the Father.
159Yah amūlya samay kahā̃ bhī barbād nahī̃ karnā hai .
176Do not waste any of this invaluable time.
160Puruṣhārth kar antarmukhī arthāt soul-conscious hōkar rahnā hai .
177Become introverted and make effort, that is, become soul conscious.
1612 ) abhī ham dēvtāō̃ sē bhī śhrēṣhṭh brāhmaṇ haĩ , abhī bāp dvārā avināśhī gyān ratnō̃ key|kī lottery milī hai , knowledgeful banē haĩ tō chēhrā sadā khuśhī sē khilā rahē .
1782. We Brahmins are now even more elevated than the deities. 179We have now won the lottery of the imperishable jewels of knowledge. 180We have become knowledge-full, and so our faces must constantly be in bloom with happiness.
162Andar mē̃ khuśhī key|kī uchhalē̃ mārtē rahō .
181Continue to jump with joy internally.
Blessing
163Vardān : mansā K|kē mahādān dvārā her|har saṅkalp key|kī siddhi prāpt karnē vālē master sarvśhaktimān bhav
182Blessing: May you be a master almighty authority who achieves success in every thought by making a great donation of your powers with your mind.
164Jō bachchē mansā dvārā śhaktiyō̃ kā dān kartē haĩ unhē̃ master sarvśhaktimān kā vardān prāpt hō jātā hai kyōṅki mansā dvārā śhaktiyō̃ kā dān karnē sē saṅkalp mē̃ itnī śhakti jamā hō jātī hai jō her|har saṅkalp key|kī siddhi prāpt hōtī hai .
183The children who donate powers with their minds receive the blessing of being master almighty authorities. 184This is because, by donating powers with your mind, you accumulate so much thought power that you achieve success in your every thought.
165Vē|way apnē saṅkalpō̃ kō jahā̃ chāhē̃ vahā̃ ēk second mē̃ ṭikā saktē haĩ , saṅkalp unkē vaśh hōtē haĩ .
185You will then be able to stabilise your mind wherever you want in a second; your mind is controlled by you.
166Vē|way apnē saṅkalpō̃ par vijayī hōnē K|kē kāraṇ chañchal saṅkalp vālē kō bhī thōṛē samay kē liē achal vā śhānt banā saktē haĩ .
186Because you become victorious over your thoughts, you are able to make those with mischievous thoughts become unshakeable and peaceful in a short time.
Slogan
167Slōgan : nirantar ēk bāp K|kē saṅg mē̃ rahō tō saṅgdōṣh sē bach jāyēṅgē .
187Slogan: Constantly stay in the company of the one Father and you will be saved from any influence of bad company.
188*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
168Yē avyakt iśhārē - apavitratā K|kē bīj kō bhī samāpt kar sampūrṇ svachchha ( pavitra ) banō
189Avyakt Signal: Finish the seed of impurity and become completely clean (pure).
169Kōī bhī vikarma vā vyarth karma agar bār-bār hō jātē haĩ tō iskā kāraṇ hai ki sadā sāthī kō sāth mē̃ nahī̃ rakhtē hō athavā sāth kā anubhav nahī̃ kartē hō .
190If you are repeatedly performing some sinful or wasteful action, it means that you are not keeping your Companion with you constantly or that you are not experiencing His company.
170Jaisē śhaktiyā̃ ēk second key|kī dr̥iṣhṭi sē asur saṅghār kartī haĩ , aisē combined rūp key|kī smr̥iti sē apnē āsurī saṅskār vā apavitratā K|kē saṅkalpō̃ kō second mē̃ saṅghār karō .
191Just as the Shaktis are able to destroy evil with one second’s drishti, in the same way, by remaining aware of your combined form, you can destroy your devilish sanskars or thoughts of impurity in a second.