मंगलवार 18 अगस्त 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
018-08-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
018/08/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - sunī sunāī bātō̃ par viśhvās nahī̃ karō , agar kōī ulṭī sulṭī bātē̃ sunāyē tō ēk kān sē sun dūsrē sē nikāl dō ' '
1Essence: Sweet children, do not believe any gossip you hear. 2If someone tells you wrong things, let them in one ear and out of the other.
Question
2Praśhna : jō bachchē gyān key|kī khuśhī mē̃ rahtē haĩ unkī niśhānī kyā hōgī ?
3Question: What are the signs of children who maintain the happiness of this knowledge?
Answer
3Uttar : vē|way purānē karmabhōg kā hisāb-kitāb us khuśhī mē̃ merge kartē jāyēṅgē .
4Answer: They happily continue to merge their karmic accounts of suffering for their past actions.
4Gyān key|kī khuśhī mē̃ duḥkh dard , gam key|kī duniyā hī bhūl jātī hai .
5When you have the happiness of this knowledge, you forget the world of pain, sorrow and suffering.
5Buddhi mē̃ rahtā ab tō ham khuśhī key|kī duniyā mē̃ jā rahē haĩ .
6Your intellects are aware that you are now going to a world of happiness.
6Rāvaṇ nē śhrāpit kar duḥkhī kiyā , ab bāp āyē haĩ us duḥkh key|kī , gam key|kī duniyā sē nikāl khuśhī key|kī duniyā mē̃ lē jānē .
7Ravan cursed you and caused you sorrow. 8The Father has now come to remove you from this world of sorrow and suffering and take you to that world of happiness.
Song
7Gīt : tumhē̃ pākē hamnē …
9Song: Having found You, we have found the whole world. 10The earth, the sky, everything belongs to us.
Murli
8Ōm śhānti .
11Om shanti.
9Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē gīt sunā .
12You sweetest, spiritual children heard the song.
10Jarūr bachchō̃ K|kē rōmāñch khaṛē hō jānē chāhiē kyōṅki gāyā jātā hai khuśhī jaisī khurāk nahī̃ .
13You children should surely have goose pimples, because it is said that there is no nourishment like that of happiness.
11Abhī tum sabhī rūhānī bachchō̃ kō bēhad kā bāp milā hai .
14All of you spiritual children have now found the unlimited Father.
12Bēhad kā bāp tō ēk hī hōtā hai aur bachchē jāntē haĩ jab aur bachchē banē̃gē tō unhō̃ K|kē bhī rōmāñch khaṛē hōṅgē .
15There is only the one unlimited Father and you children know that when others belong to the Father and become His children, they too will have goose pimples.
13Tum jāntē hō hamārā rājya thā phir rājya ganvāyā , ab phir rājya lētē haĩ .
16You children know that you had a kingdom and that you then lost it. 17You are now claiming that kingdom once again.
14Bhāratvāsiyō̃ kē liē yah khuśhkhabarī hai nā .
18This is good news for the people of Bharat.
15Parantu jabki achchhī rīti sunē̃ aur samajhē̃ .
19However, that is only when they listen to this and understand it very well.
16Barōbar yah khuśhī key|kī bāt hai nā , kalp-kalp bāp ātē haĩ .
20This is truly a matter of happiness. 21The Father comes every cycle.
17Bāp kā janm bhī yahā̃ gāyā jātā hai .
22The birth of the Father is remembered here.
18Tyōhār bhī jō haĩ sab is samay K|kē haĩ .
23All the festivals refer to this time.
19Bāp nē ākar tumkō bahut sahaj rāstā batāyā hai .
24The Father has come and shown you a very easy path.
20Manuṣhyō̃ kō tō anēk prakār K|kē gam haĩ , yahā̃ is gyān key|kī khuśhī mē̃ vah gam duḥkh ādi sab merge hō jātē haĩ .
25People have so many different types of sorrow. 26When you have the happiness of this knowledge, all pain and sorrow become merged.
21Jaisē kōī bīmār ṭhīk hōnē par ātā hai tō sabkō khuśhī hōtī hai . 22Bīmārī ādi duḥkh key|kī bātē̃ jaisē bhūl jātī haĩ .
27When someone who has been ill is close to full recovery, everyone feels very happy; the illness and sorrow are forgotten.
23Piyarghar , sasurghar , mitr sambandhī ādi sab khuśhī mē̃ ā jātē haĩ .
28The members of his own family, his in-laws and friends, all become happy.
24Tum bachchē jāntē hō ham sab viśhva K|kē mālik thē phir rāvaṇ nē śhrāp diyā hai .
29You children know that all of you were the masters of the world and that Ravan then cursed you.
25Yah hai gam key|kī , duḥkh key|kī duniyā .
30This is a world of pain and sorrow.
26Phir kal hōgī khuśhī key|kī duniyā .
31Then, tomorrow, it will be a world of happiness.
27Khuśhī key|kī duniyā yād rahnē sē gam duḥkh ādi sab bhūl jānē chāhiē .
32When that world of happiness is remembered, all sorrow and suffering are forgotten.
28Yah hai tamōpradhān duniyā .
33This is a tamopradhan world.
29Bhinn-bhinn prakār kā karmabhōg hai .
34There are different types of suffering of karma.
30Ablāō̃ par bhī kitnē atyāchār hōtē haĩ .
35There are so many assaults against innocent ones.
31Anēk prakār K|kē vighna ātē haĩ .
36Many types of obstacles come.
32Yah vighnō̃ K|kē , karmabhōg K|kē din bākī thōṛā samay hai .
37These obstacles and these days of the suffering of karma will last for just a short while longer.
33Bāp dhīraz dētē haĩ , bākī thōṛē rōz haĩ .
38The Father gives you patience: only a few more days remain.
34Kalp pahlē bhī huā thā .
39This also happened in the previous cycle.
35Karmabhōg kā hisāb-kitāb chuktū hōnā hai .
40The accounts of the suffering of karma have to be settled.
36Khuśhī mē̃ yah sab merge kartē jāō .
41Continue to merge all of them in happiness.
37Bas bāp aur varsē kō yād kartē rahō .
42Simply continue to remember the Father and the inheritance.
38Ulṭā-sulṭā kōī bhī kām mat karō .
43Don't perform any wrong actions.
39Nahī̃ tō aur hī daṇḍ paṛ jātā hai , pad bhraṣhṭa hō jātā hai .
44Otherwise, there will be even greater punishment and your status will be destroyed.
40Bachchō̃ kā kām hai ēk bāp kō yād karnā .
45It is the children's duty to remember the one Father.
41Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hō jāyēṅgē .
46The Father says: Remember Me and your sins will be absolved.
42Hisāb-kitāb chuktū hō jāyēgā .
47Your karmic accounts will be settled.
43Bākī thōṛā samay hai , hisāb-kitāb chuktū kartē jāō kyōṅki tum hō andhō̃ kī lāṭhī .
48A very short time remains. 49Continue to settle your karmic accounts because you are sticks for the blind.
44Tum bhī yād karō , dūsrō̃ kō bhī rāstā batāō .
50Remember this and also continue to show others the path.
45Vighna tō bahut paṛē̃gē .
51Many obstacles will come.
46Jitnā hō sakē , sabkō yah samjhātē rahō ki bāp kō yād karō .
52As much as possible, continue to tell everyone to remember the Father.
47Akṣhar bhī nāmīgrāmī haĩ , manmanābhav arthāt hē ātmāyē̃ māmēkam yād karō tō tumhārē past K|kē vikarma bhasma hōṅgē .
53These words are very well known. 54“Manmanabhav” means: O souls, constantly remember Me alone and your past sins will be burnt away.
48Ismē̃ mūnjhnē key|kī tō bāt hī nahī̃ .
55There is no question of being confused about this.
49Sirph bāp kō yād karō tō tamōpradhān sē satōpradhān ban jāyēṅgē .
56Simply remember the Father and you will become satopradhan from tamopradhan.
50Tum jāntē hō hamnē 84 kā chakra lagāyā hai .
57You know that you have been around the cycle of 84 births.
51Chakra lagātē āyē haĩ , lagātē rahē̃gē .
58You have continued to go around this cycle and will continue to do so.
52Yah hai purānī duniyā , purānā chōlā . . . . inkō bhūl jānā hai .
59This is an old world and these are old costumes. 60Forget these!
53Yah hai ātmāō̃ kā bēhad kā sannyās .
61This is unlimited renunciation of souls.
54Unhō̃ kā hai had kā sannyās , gharbār chhōṛ jātē haĩ .
62Their renunciation is limited; they just leave their homes and family.
55Unhō̃ kā bhī drama mē̃ part hai . 56Phir bhī aisē hī hōgā .
63Those are their parts in the drama and they will repeat again.
57Second-second jō pās|pass huā sō drama phir vahī drama repeat hōgā .
64Every second that passes is in the drama. 65Then, this same drama will repeat again.
58Śhāstra sab haĩ bhaktimārg K|kē pustak .
66All of the scriptures are books of the path of devotion.
59Bhakti kē bād hai gyān .
67After devotion, there is this knowledge.
60Is sīṛhī K|kē chitra par kiskō bhī samjhānā bahut sahaj hai .
68It is very easy to explain the picture of the ladder to anyone.
61Mukhya jō chitra haĩ vah apnē ghar mē̃ bhī rakh saktē hō .
69You can put up the main pictures in your home.
62Trimūrti bhī baṛā clear hai .
70The Trimurti is very clear.
63Ūpar mē̃ śhiv bhī hai .
71At the top is Shiva.
64Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar bhī hai , sūkṣhmavatan vāsī phir ūñch tē ūñch hai bhagvān .
72Brahma, Vishnu and Shankar are residents of the subtle region, and then there is God, the Highest on High.
65Bachchē bhī samajhtē haĩ jahā̃ bāp rahtē haĩ vah hai ham ātmāō̃ K|kē rahnē kā sthān , jiskō nirvāṇdhām kahō athavā śhāntidhām kahō - bāt ēk hī hai .
73You children know that the place where the Father resides is also the residence of you souls. 74Whether you call it the land of Nirvana or the land of peace, it is the same thing.
66Śhāntidhām nām ṭhīk hai athavā nirvāṇdhām arthāt vāṇī sē parē dhām , vah śhāntidhām hī hō gayā .
75The name, ‘land of peace’ is correct, and ‘the land of Nirvana’ means the land beyond sound, which means the land of silence.
67Vah śhāntidhām phir hai sukh aur śhānti sampatti dhām .
76That is the land of peace and then there is that land of happiness, peace and prosperity.
68Phir hōtā hai duḥkh aur aśhāntidhām .
77Then, there is this land of sorrow and peacelessness.
69Sukh-dhām mē̃ tō kārūn kē khajānē hōtē haĩ athāh .
78In that land of happiness there are limitless treasures.
70Āj kyā hai , kal kyā hōgā .
79What is it today and what will it be tomorrow?
71Āj kaliyug kā ant , kal hōgā satyug kā ādi .
80Today, it is the end of the iron age, whereas tomorrow it will be the start of the golden age.
72Rāt din kā fark hai nā .
81There is the difference of night and day.
73Kahtē bhī haĩ brahmā aur brahmā mukh vaṅśhāvalī brāhmaṇō̃ kā din aur phir rāt .
82It is said: the day and night of Brahma and the Brahmins, the mouth-born creation of Brahma.
74Din mē̃ haĩ dēvtāyē̃ . 75Rāt mē̃ haĩ śhūdra .
83Deities exist in the day and shudras exist in the night.
76Bīch mē̃ hō tum brāhmaṇ .
84You Brahmins are in the middle.
77Is saṅgamyug kā kiskō patā nahī̃ hai .
85No one knows about this confluence age.
78Manuṣhya tō bilkul hī ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .
86Human beings are in extreme darkness.
79Tō ghōr sōjharē mē̃ lē ānā tum bachchō̃ kā pharja hai .
87It is the duty of you children to take everyone into extreme light.
80Abhī sāmnē vahī mahābhārat laṛāī hai .
88The same Mahabharat War is in front of you.
81Gāyā huā bhī hai - vināśh kālē viprīt buddhi vinaśhantī . 82Vināśh kālē prīt buddhi vijayantī .
89It is remembered that those who have non-loving intellects at the time of destruction are led to destruction, whereas those who have loving intellects at the time of destruction are led to victory.
83Tum bachchē jāntē hō bābā hamkō phir sē vahī rājāī dētē haĩ .
90You children know that Baba is once again giving you the same kingdom.
84Vah hamārī rājāī kōī chhīn na sakē .
91No one can snatch that kingdom away from us.
85Rāvaṇ key|kī pravēśhtā tō hōgī dvāpar sē .
92Ravan began to exist in the copper age.
86Rāvaṇ nē hamārī rājāī chhīnī hai , jiskō duśhman hī samjhō kyōṅki duśhman kā hī effigy banākar jalātē haĩ .
93Ravan snatched away our kingdom. 94Therefore, consider him to be your enemy. 95Only an enemy’s effigy is made and burnt.
87Yah bahut purānā duśhman hai .
96He is a very old enemy.
88Kahtē bhī haĩ - rāvaṇ rājya parantu kiskī buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai .
97Although it is said that this is the kingdom of Ravan, it doesn't enter anyone's intellect.
89Tō ghōr andhiyārā kahē̃gē nā .
98Therefore, this is called extreme darkness.
90Bēhad kā bāp hai knowledgeful .
99The unlimited Father is knowledge-full.
91Unkō gyān kā dātā , divya chakṣhu vidhātā kahtē haĩ .
100He is called the Bestower of Knowledge, the Bestower of the Divine Eye.
92Abhī tum ātmāō̃ kō gyān kā tīsrā nētra milā hai .
101Now, each of you souls has each received a third eye of this knowledge.
93Āgē tō kuchh nahī̃ jāntē thē .
102Previously, you didn't know anything.
94Ab sab jān gayē hō .
103You now know everything.
95Bāp gyān kā sāgar hai tō jarūr gyān sunāyēṅgē nā .
104The Father is the Ocean of Knowledge and so He would definitely speak this knowledge, would He not?
96Gyān sunānē bigar siddha kaisē hō !
105How could this knowledge be revealed unless He speaks it?
97Tum dēkhtē hō bāp gyān sunātē haĩ , jis gyān sē phir ādhākalp sadgati hōtī hai .
106You see that the Father gives you this knowledge through which there is salvation for half a cycle.
98Bhakti kō hī ādhā-kalp chalnā hai .
107Devotion has to continue for half a cycle.
99Gyān sē sadgati saṅgam par hī hōtī hai .
108Only at the confluence age does salvation take place through this knowledge.
100Kōī bhī bāt bachchō̃ key|kī kab chhip nahī̃ saktī .
109Nothing of the children can ever remain hidden.
101Bāp kahtē haĩ - kōī bhī burā kām hō jāē tō batāō .
110The Father says: Whenever you perform any wrong action, tell the Father.
102Bābā jāntē haĩ kaīyō̃ sē burē karma hōtē rahtē haĩ .
111Baba knows that many continue to perform bad actions.
103Rāvaṇ rājya hai nā .
112This is the kingdom of Ravan.
104Māyā chamāṭ mārtī hai , parantu chhipātē haĩ bahut .
113Maya slaps you. 114Nevertheless, many continue to hide everything.
105Bābā kahtē haĩ kōī bhī bhūl hōtī hai tō phauran batlānē sē āgē kē liē yukti milēgī .
115Baba says: Whenever you make a mistake, tell Baba about it instantly and Baba will then show you a way to be saved from that in the future.
106Nahī̃ tō vr̥iddhi hōtī jāyēgī .
116Otherwise, it will continue to increase.
107Kām mahāśhatru hai .
117Lust is the greatest enemy.
108Bābā kō likhtē haĩ - bābā māyā kā bahut opposition hōtā hai .
118Some write to Baba: Baba, there is a lot of opposition from Maya.
109Sadaiv tō kiskā yōg nahī̃ rahtā jō māyā sē bach sakē .
119None of you has the constant yoga that enables you to remain safe from Maya.
110Dēh-abhimān bahut ātā hai .
120There is a lot of body consciousness.
111Bahut haĩ jō māyā K|kē thappaṛ khātē haĩ .
121Many are slapped by Maya.
112Bābā kē pās samāchār tō sab taraph sē ātē rahtē haĩ nā .
122Baba continues to receive news from everywhere.
113Akhbārō̃ ādi mē̃ tō ulṭā-sulṭā bhī kitnā ḍāl dētē haĩ .
123So many wrong stories are printed in the newspapers.
114Ājkal manuṣhya bātē̃ tō kitnī bhī banā saktē haĩ , tamōpradhān haĩ nā .
124Nowadays, people can make up so many stories. 125They are tamopradhan.
115Vyās key|kī jab rajō buddhi thī tō kyā-kyā bātē̃ baiṭh likhī haĩ .
126When Vyas had a rajo intellect, look what he wrote!
116Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ sunī-sunāī bātō̃ par kabhī bhī viśhvās kar bigaṛō mat . 117Phalānē nē aisē kahā , yah kiyā . . . māthā hī phir jātā hai .
127The Father explains to you children: Don’t get upset by believing things you hear from others: So-and-so said this and did this. 128That spoils your head.
118Samajhtē nahī̃ tamōpradhān duniyā hai .
129They don’t understand that this is a tamopradhan world.
119Māyā girānē key|kī kōśhiśh karēgī .
130Maya will try to make you fall.
120Kōī bhī jhūṭh-mūṭh bātē̃ sunāyē tō ēk kān sē sun dūsrē sē nikāl dō .
131When anyone tells you false stories, let it in one ear and out of the other.
121Aurō̃ kō bhī yahī paigām dētē rahō .
132Continue to give this message to others.
122Bāp kahtē haĩ - maĩ paigām lē ātā hū̃ .
133The Father says: I bring a message.
123Ab hē ātmāyē̃ śhrīmat par chalō .
134O souls, now follow shrimat.
124Hamārā paigām sunō .
135Listen to My message.
125Sirph māmēkam yād karō .
136Simply constantly remember Me alone.
126Jō yād karē̃gē vah apnā hī kalyāṇ karē̃gē .
137Those who remember Me will benefit themselves.
127Yād ātmā kō karnā hai , bhūlī bhī ātmā hai .
138You souls have to remember Me because you had forgotten Me.
128Ab bāp key|kī śhrīmat miltī hai , ismē̃ āśhīrvād vā rahm ādi kuchh bhī nahī̃ māṅgnā hai .
139You are now receiving the Father's shrimat. 140There is no question of asking for blessings or mercy in this.
129Sirph bāp kō yād karnā hai aur kōī bāt pūchhnē karnē key|kī bhī darkār nahī̃ hai .
141Simply remember the Father. 142There is no need to ask or do anything.
130Sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai - yah tō sunā .
143You have also heard how this world cycle turns.
131Ismē̃ khiṭkhiṭ key|kī kōī bāt nahī̃ .
144There is no argument about it.
132Ghōr andhiyārē mē̃ hī bāp ātē haĩ isliē śhiv rātri manātē haĩ .
145The Father comes when there is extreme darkness. 146This is why the night of Shiva is celebrated.
133Śhrīkr̥iṣhṇa kā bhī janm rātri kō manātē haĩ .
147The birth of Shri Krishna is also celebrated at night.
134Khīr-pūrī ādi mandirō̃ mē̃ bantī hai rāt kō .
148They make kheer (rice pudding) and puris in the temples at night.
135Ab śhiv kē liē kyā banāyēṅgē ?
149What would you make for Shiva?
136Vah tō hai nirākār .
150He is incorporeal.
137Kiskō patā bhī nahī̃ hai , bābā kis ghaṛī ātē haĩ aur kaisē chalē jātē haĩ .
151No one knows at what moment Baba comes or how He departs.
138Sadaiv tō savārī nahī̃ kartē haĩ .
152He doesn't stay in the chariot constantly.
139Āyēṅgē aur chalē jāyēṅgē .
153He comes and goes.
140Abhī tum jāntē hō ham śhivbābā K|kē pōtrē haĩ .
154You understand that you are now the grandchildren of Shiv Baba.
141Varsā unsē miltā hai .
155You receive the inheritance from Him.
142Brahmā kō bhī varsā unsē miltā hai . 143Yah tō manuṣhya haĩ nā .
156Even Brahma receives the inheritance from Him; he is a human being.
144Sadgati mē̃ pahlā number hai yah śhrīkr̥iṣhṇa .
157Shri Krishna is number one in claiming salvation.
145Yah sabkō pyārā hai kyōṅki satōpradhān bāl avasthā hai nā .
158He is loved by everyone, because he is in the satopradhan, childhood stage.
146Thōṛā baṛā hōtā hai tō unkō satō kahā jātā hai .
159When he grows a little older, his stage is said to be sato.
147Phir rajō tamō .
160Then, there are the rajo and tamo stages.
148Śhrīkr̥iṣhṇa rādhē hī phir lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ , jinkō bāp nē gyān diyā hai unkō hī dēgē .
161Shri Radhe and Shri Krishna then become Lakshmi and Narayan. 162The Father gives this knowledge to those He gave it to previously.
149Bhārat mē̃ hī dēvī-dēvtā hōkar gayē haĩ tō mandir bhī bhārat mē̃ bahut haĩ .
163Deities existed in Bharat. 164That is why there are many temples to them in Bharat.
150Kriściyan key|kī church mē̃ Christ hī Christ dēkhē̃gē .
165In the churches of the Christians, you only see Christ.
151Dēvtāō̃ K|kē kitnē ḍhēr mandir haĩ .
166There are so many temples to the deities.
152Bāp āyē haĩ hamkō manuṣhya sē dēvtā banānē athavā bhārat kō svarg banānē .
167The Father has come to change you from humans into deities, that is, He has come to make Bharat into heaven.
153Ham bāp kō yād kar pāvan ban rahē haĩ .
168We are becoming pure by remembering the Father.
154Bāp kē sāth ham bhī bhārat kō svarg banā rahē haĩ .
169We too are with the Father, making Bharat into heaven.
155Jaisē ham bāp kē sāth āyē haĩ .
170It is as though we have come with the Father.
156Bhakti mārg mē̃ dēvtāō̃ K|kē mandir mūrtiyō̃ ādi par kitnā kharchā kar banātē haĩ .
171On the path of devotion, they incur so much expense in creating temples and idols of the deities.
157Utpatti kar , pālnā kar , phir vināśh kar dētē .
172They create them, sustain them and then destroy them.
1589 rōz K|kē andar hī ḍūbō dētē haĩ .
173They sink those idols within nine days.
159Bahut unmē̃ prēm hōtā hai .
174They have a lot of love for them.
160Navrātri kalkattē mē̃ bahut manātē haĩ .
175In Calcutta, they celebrate Navratri, the festival of nine nights (of the goddesses), a great deal.
161In sab bātō̃ par abhī wonder lagtā hai .
176You are now amazed at all of those things.
162Āgē tō ham bhī pārṭdhārī thē .
177Previously, we too used to take part in that.
163Karōṛō̃ rūpayā kharcha kartē haĩ .
178They spend tens of millions of rupees.
164Kitnī andhaśhraddhā hai .
179There is so much blind faith!
165Rāmāyaṇ sē kitnā pyār hōtā hai .
180They have so much love for the Ramayana, etc.
166Bātē̃ sunkar āṅkhō̃ sē āṅsū bahā dētē haĩ .
181They even shed tears while listening to those stories.
167Yah sab hai bhakti mārg , issē phāydā kuchh nahī̃ .
182All of them belong to the path of devotion. 183There is no benefit in them.
168Bābā ab hamkō kitnā samajhdār banātē haĩ .
184Baba is now making us so sensible.
169Tō yah sab sunkar yahā̃ kā yahā̃ bhūl na jāō , sab bātē̃ yād karō .
185You hear all of these things here, but you must not forget the things that you hear here. 186Remember everything!
170Pūrā refresh hōkar jāō .
187Become completely refreshed before you leave here.
171Apnē kō ātmā samajh dēh sahit jō kuchh dēkhtē hō sab bhūl jāō .
188Consider yourselves to be souls and forget everything you see, including your bodies.
172Yah sab kabristān hai .
189All of this is a graveyard.
173Dēhlī mē̃ biṛlā mandir mē̃ likhā huā hai - bhārat paristān thā , jō dharmarāj nē sthāpan kiyā thā .
190In the Birla temple (to Lakshmi and Narayan) in Delhi, it is written: Bharat was a land of angels and was established by Dharamraj.
174Abhī tum bachchē jāntē hō yah duniyā kabristān bannī hai .
191You children understand that this world is now to become a graveyard.
175Bāp kahtē haĩ - sab kām chitā par baiṭh ēkdam jal marē haĩ .
192The Father says: Everyone has been completely burnt away by sitting on the pyre of lust.
176Krōdh chitā nahī̃ kahī jātī .
193It is not said: the pyre of anger.
177Kām chitā kahā jātā hai .
194It is the pyre of lust that is said.
178Usmē̃ bhī halkā naśhā , semi naśhā bhī hōtā hai .
195There is slight intoxication or semi intoxication in that.
179Bachchō̃ kō hī bāp baiṭhkar samjhātē haĩ .
196The Father sits here and explains to only you children.
180Ghar mē̃ agar kōī kapūt bachchā hōgā tō kahē̃gē nā - yah kyā bāp key|kī ābrū ganvātē hō . 181Bāp key|kī ijjat jātī hai nā .
197It would be said of an unworthy child that he is losing his father's beard: the father's honour is being lost.
182Bēhad kā bāp bhī kahtē haĩ tum kālā mũh kartē hō tō brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ jō dēvtā bantē haĩ , unkā nām badnām kartē hō .
198The unlimited Father also says: When you make your face dirty, you defame the name of the Brahmin clan who are to become deities.
183Tum bachchē jāntē hō - ham pavitratā key|kī tākat sē hī bhārat kō phir sē śhrēṣhṭhāchārī dēvtā banātē haĩ .
199You children know that you are once again making Bharat into the land of elevated deities with the power of purity.
184Tumhārē liē tō jaisē common bāt hai .
200For you, this is a common thing.
185Dēkhtē hō mahābhārat laṛāī bhī khaṛī hai , insē hī svarg K|kē gate|get khultē haĩ .
201You can see that the Mahabharat War is just ahead. 202The gates to heaven will open through this war.
186Śhāstrō̃ mē̃ mahābhārat laṛāī tō dikhāī hai .
203The Mahabharat War has been portrayed in the scriptures.
187Uskē bād kyā huā - yah dikhāyā nahī̃ hai .
204They haven’t shown what happened after that.
188Kah dētē haĩ pralay hō gaī .
205They simply say that annihilation takes place.
189Ab śhrīkr̥iṣhṇa kā ēk taraph tō mātā K|kē garbh sē janm dikhāyā hai aur dūsrē taraph phir kahtē haĩ ki pīpal K|kē pattē par aṅgūṭhā chūstā āyā , kuchh bhī samajhtē nahī̃ .
206On the one hand, they have shown Shri Krishna taking birth from his mother's womb, and, on the other hand, they have shown him floating on a pipal leaf, sucking his thumb. 207They don't understand anything.
190Vahā̃ tō garbh mahal mē̃ rahtē haĩ baṛē viśhrām sē .
208There, you stay in the palace of a womb in great comfort.
191Bākī sāgar mē̃ thōṛēhī pattē par hō saktā .
209How could he float on a leaf in an ocean?
192Yah tō impossible hai .
210That is impossible.
193Tō yah sab drama banā huā hai , jiskō tum jāntē hō .
211That whole drama is predestined and only you know it.
194Kalp-kalp aisē hōtā hī hai .
212It happens in the same way every cycle.
195Ab bachchō̃ kō apnā kalyāṇ karnā hai aur dūsrō̃ kā bhī kalyāṇ karnā hai .
213You children now have to benefit yourselves and others too.
196Mūl bāt hai yah .
214This is the main thing.
197Bāp tō svarg kā rachayitā hai .
215The Father is the Creator of heaven.
198Uskō kahā hī jātā hai heavenly god father .
216He is called Heavenly God, the Father.
199Tō phir ham bachchē svarg K|kē mālik hōnē chāhiē nā .
217Therefore, we children should then become the masters of heaven.
200Śhiv jayantī bhī bhārat mē̃ hī manātē haĩ tō jarūr bhārat kō kuchh diyā hōgā .
218People celebrate the birthday of Shiva in Bharat, so He must definitely have given something to Bharat.
201Abhī tumkō svarg kī bādśhāhī dē rahē haĩ nā .
219He is now giving you the sovereignty of heaven.
202Bāp hai hī sadgati dātā .
220The Father is the Bestower of Salvation.
203Gyān kā sāgar , knowledge bāp hī ākar dētē haĩ .
221Only the Father, the Ocean of Knowledge, comes and gives you this knowledge.
204Abhī bāp tumkō knowledge dē rahē haĩ .
222It is now that the Father gives you this knowledge.
2055 hajār varṣh bād phir yahā̃ hī āyēṅgē .
223He will come here again after 5000 years.
206Bachchō̃ kō niśhchay hai jō-jō is brāhmaṇ kul K|kē hōṅgē vah ātē jāyēṅgē .
224You children have the faith that those who belong to the Brahmin clan will continue to come here.
207Achchhā !
225Achcha.
208Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
226To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
209Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
227The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
210Dhārṇā kē liē mukhya sār :
228Essence for dharna:
2111 ) śhrīmat par apnā aur dūsrō̃ kā kalyāṇ karnā hai .
2291. Benefit yourself and others by following shrimat.
212Kōī kuchh jhūṭhī bāt sunāyē tō sunī-ansunī kar dēnā hai .
230When someone tells you false things, listen to them but ignore what they say.
213Us par bigaṛnā nahī̃ hai .
231Don't become upset by them.
2142 ) kabhī bhī dēvtā bannē vālē brāhmaṇ kul bhūṣhaṇō̃ kā nām badnām na hō - iskā dhyān rakhnā hai .
2322. Pay attention that the name of the Brahmin clan who are to become deities is never defamed.
215Kōī ulṭā karma kabhī nahī̃ karnā hai .
233Never perform wrong actions.
216Pichhlē hisāb-kitāb chuktū karnē haĩ .
234Settle your past karmic accounts.
Blessing
217Vardān : naśhē aur niśhānē key|kī smr̥iti sē sarv karmēndriyō̃ kō order pramāṇ chalānē vālē tāj va takhtnaśhīn bhav
235Blessing: May you have a crown and be seated on the heart throne and, with intoxication and the awareness of your goal, make your physical senses work under your orders.
218Saṅgamyug par bāpdādā dvārā sabhī bachchō̃ kō tāj aur takht prāpt hōtā hai .
236At the confluence age, all of you children have received a crown and a throne from BapDada.
219Purity kā bhī tāj hai tō jimmēvāriyō̃ kā bhī tāj hai , akāl takht bhī hai tō diltakhtanaśhīn bhī hō .
237There is a crown of purity and also a crown of responsibilities; there is an immortal throne and also the heart throne.
220Jab aisē double tāj aur takhtnaśhīn bantē hō tō naśhā aur niśhānā svataḥ yād rahtā hai .
238When you are double-crowned and seated on a double throne, you automatically remember your intoxication and goal.
221Phir yah karmēndriyā̃ jī hajūr kartī haĩ .
239Your physical senses then say: “Yes, my lord!”
222Jō tāj va takht chhōṛ dētē haĩ unkā order kōī bhī kārōbārī nahī̃ māntē .
240The orders of those who leave their crown and throne are not obeyed even by their workers.
Slogan
223Slōgan : kamjōr saṅkalp hī prasannchit kē bajāē praśhnachit banā dētē haĩ .
241Slogan: Having weak thoughts make you have many questions, not happy-hearted.
242*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
224Yē avyakt iśhārē - apavitratā K|kē bīj kō bhī samāpt kar sampūrṇ svachchha ( pavitra ) banō
243Avyakt Signal: Finish the seed of impurity and become completely clean (pure).
225Īśhvarīy sēvā kā baṛē-sē-baṛā puṇya hai - pavitratā kā dān dēnā .
244The greatest charity of Godly service is the donation of purity.
226Pavitra bannā aur banānā hī puṇya ātmā bannā hai kyōṅki kisī ātmā kō ātma-ghāt mahā pāp sē chhuṛātē hō .
245For you to become pure and make others pure is to become a charitable soul, because you are liberating a soul from the great sin of committing suicide.
227Apavitratā ātma-ghāt hai . 228Pavitratā jīy-dān hai .
246Impurity is suicide of the soul and purity is the donation of life.