बुधवार 2 सितंबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

002-09-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

002/09/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1Mīṭhē bachchē - bāp āyē haĩ tumhē̃ aisē śhrēṣhṭh karma sikhlānē , jissē tum 21 janm key|kī bādśhāhī kā varsā lē sakō , aṭal akhaṇḍ rājya K|kē mālik ban sakō

1Essence: Sweet children, the Father has come to teach you to perform such elevated actions that you can claim the inheritance of sovereignty for 21 births and become the masters of the unshakeable and undivided kingdom.

Question

2Praśhna  : gr̥ihasthiyō̃ aur sannyāsiyō̃ K|kē kis ēk siddhānt mē̃ bahut baṛā antar hai  ?

2Question: Which belief of householders is very different from the belief of sannyasis?

Answer

3Uttar  : gr̥ihasthiyō̃ kā siddhānt hai ki bhagvān jarūr kisī na kisī rūp mē̃ āyēgā aur sannyāsiyō̃ kā siddhānt hai ki brahm kō yād kartē-kartē brahm mē̃ līn hō jāyēṅgē .

3Answer: Householders believe that God will definitely come in one form or another, whereas sannyasis believe that by remembering the brahm element they will merge into that.

4Ab bāp samjhātē haĩ brahm mē̃ kōī līn nahī̃ hōtā .

4The Father explains that no one merges into the brahm element.

5Ātmā amar hai vah līn kaisē hōgī .

5Souls are immortal and so how could they merge into anything?

6Bhagvān yadi āyēgā tō jarūr teacher bankar śhikṣhā dēgā .

6When God comes, He definitely gives you teachings as the Teacher.

7Prērṇā sē tō gyān nahī̃ dēgā nā .

7He does not give you this knowledge through inspiration.

Song

8Gīt  : tumhē̃ pākē hamnē …

8Song: Having found You, we have found the whole world. 9The earth and sky all belong to us.

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē yah gīt sunā .

11You sweetest, spiritual children heard this song.

11Rūhānī bachchē hī kahtē haĩ ki bābā .

12Only the spiritual children say, “Baba!”

12Bachchē jāntē haĩ yah bēhad kā bāp bēhad kā sukh dēnē vālā hai arthāt vah sabhī kā bāp hai , unkō sabhī bēhad K|kē bachchē ātmāyē̃ yād kartē haĩ .

13You children know that the unlimited Father gives unlimited happiness, that He is the Father of all. 14All the unlimited children, souls, remember Him.

13Kisī na kisī prakār sē yād kartē haĩ parantu unkō patā nahī̃ hai ki hamkō us parampitā paramātmā sē kōī bādśhāhī lēnī hai .

15They remember Him in one way or another, but they don't know that they have to claim the sovereignty from the Supreme Father, the Supreme Soul.

14Tum jāntē hō hamkō jō bāp satyugī viśhva kī bādśhāhī dētē haĩ vah aṭal , akhaṇḍ , aḍōl hai .

16You know that the golden-aged sovereignty of the world that you receive from the Father is unshakeable, undivided and immovable.

15Vah hamārī bādśhāhī 21 janm kāyam rahtī hai .

17That sovereignty remains ours permanently for 21 births.

16Sārē viśhva par hamārī rājāī rahtī hai , jiskō kōī chhīn nahī̃ saktā , lūṭ nahī̃ saktā hai .

18Our kingdom exists over the whole world and no one can snatch it away from us; no one can loot it.

17Hamārī rājāī hai aḍōl kyōṅki vahā̃ ēk hī dharm hōtā hai , dvait hai nahī̃ .

19Our kingdom is unshakeable because there is only one religion there; there is no duality there.

18Vah hai advait rājya .

20That kingdom is undivided.

19Bachchē jab gīt suntē haĩ tō apnī rājāī kā naśhā buddhi mē̃ ānā chāhiē .

21When you children hear this song, your intellects should have the intoxication of your kingdom.

20Aisē-aisē gīt ghar mē̃ rahnē chāhiē , jissē bāp aur varsē key|kī jhaṭ yād ātī hai .

22You should have such songs at home so that you can quickly remember the Father and the inheritance.

21Bāp K|kē yād kī mastī K|kē gīt hōnē chāhiē .

23You should listen to intoxicating songs in remembrance of the Father.

22Tumhārā sab hai gupta .

24Everything of yours is incognito.

23Baṛē ādamiyō̃ K|kē tō bahut ṭhāṭh hōtē haĩ , tumkō kōī ṭhāṭh nahī̃ hai .

25Important people have a lot of show; you don’t have any show.

24Tum dēkhtē hō jismē̃ bābā nē pravēśh kiyā hai usmē̃ bhī kōī ṭhāṭh key|kī bāt nahī̃ hai . 25Kapṛē ādi sab vahī haĩ .

26You can see that the one whom Baba entered doesn't make a show of himself; he continues to wear the same costume that he wore before.

26Tum buddhi sē samajhtē hō ki bābā nē ismē̃ pravēśh kiyā hai - hamkō yah rājya bhāgya dēnē .

27Your intellects can understand that Baba has entered this one in order to give us our fortune of the kingdom.

27Yah bhī bachchē jāntē haĩ ki sārī sr̥iṣhṭi mē̃ is samay jō bhī manuṣhya mātra haĩ , sab dēh-abhimān mē̃ ākar unrighteous kām kartē haĩ , isliē bēsamajh kahā jātā hai .

28You children also know that all human beings throughout this whole world perform unrighteous actions out of body consciousness. 29This is why they are called senseless.

28Sabkī buddhi kō tālā lagā huā hai .

30Everyone's intellect is locked.

29Tum kitnē samajhdār , viśhva K|kē mālik thē .

31You were so sensible, masters of the world.

30Abhī māyā nē bilkul bēsamajh banā diyā hai , jō kōī kām K|kē nahī̃ rahē haĩ .

32Maya has now made you completely senseless and of no use at all.

31Bāp kē pās jānē kē liē yagya-tap bahut kartē haĩ parantu miltā kuchh nahī̃ .

33People have many sacrificial fires and do tapasya, etc. in order to go to the Father, but they don't attain anything.

32Aisē hī dhakkē khātē rahtē haĩ .

34They simply continue to stumble around.

33Paramātmā kō kōī bhī jāntē nahī̃ , sarvavyāpī kah dētē haĩ , yah bhī kitnā wrong hō jātā hai .

35No one knows God. 36They simply say that He is omnipresent. 37That is completely wrong.

34Pitā akṣhar buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai .

38The word “Father” doesn't enter their intellects. 39Even when some people do use the word “Father”, that too is just for the sake of saying it.

35Karkē kōī kahtē bhī haĩ , vah bhī kahnē mātra . 36Agar parampitā samajhē̃ tō buddhi ēkdam chamak uṭhē .

40If they really understood Him to be the Supreme Father, the Supreme Soul, their intellects would begin to sparkle.

37Bāp svarg kā varsā dētē haĩ , vah hai heavenly god father phir ham kaliyugī nark mē̃ kyō̃ paṛē haĩ  !

41The Father gives you your inheritance of heaven. 42He is Heavenly God, the Father. 43So, why are we sitting in iron-aged hell?

38Ab ham mukti-jīvanmukti kaisē pā saktē haĩ , yah kiskī buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai .

44It doesn’t enter anyone's intellect how they can now receive liberation or liberation-in-life.

39Abhī tumkō samajh milī hai .

45You have now received understanding.

40Bābā nē hamkō yah smr̥iti dilāī hai , jab naī duniyā , nayā bhārat thā tō hamārā rājya thā .

46Baba has reminded us that, when this world was new and it was new Bharat, it was our kingdom.

41Ēk hī mat , ēk hī bhāṣhā , ēk hī mahārājā-mahārānī thē .

47There was one direction, one language and one emperor and empress.

42Satyug mē̃ mahārājā-mahārānī , trētā mē̃ rājā rānī kahā jātā hai .

48In the golden age, there are emperors and empresses and in the silver age, there are kings and queens.

43Phir dvāpar mē̃ vām mārg śhurū hōtā hai phir har ēk K|kē karmō̃ par madār hai .

49Then, in the copper age, when the path of sin begins, everything depends on each one's karma.

44Karmō̃ anusār ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētē haĩ .

50Every soul sheds his body and takes another according to his karma.

45Abhī bāp kahtē haĩ maĩ tumkō aisē karma sikhātā hū̃ jō 21 janm bādśhāhī hī pātē rahē̃gē .

51The Father says: I now teach you to perform such actions that you will continue to receive the sovereignty for 21 births.

46Bhal vahā̃ bhī had kā bāp miltā hai parantu vahā̃ yah gyān nahī̃ rahtā ki yah rājāī kā varsā bēhad K|kē bāp kā diyā huā hai .

52Although you have limited fathers there too, you don’t have the knowledge there that you have received your inheritance of the kingdom from the unlimited Father.

47Phir dvāpar sē rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai tō vikārī sambandh hō jātā hai . 48Phir jaisē-jaisē karma vaisā phal miltā hai , dēvtā vām mārg mē̃ chalē jātē haĩ . 49Phir satyug kā sab khalās hō jātā hai .

53When the kingdom of Ravan begins in the copper age, relationships are based on vices and you receive your fruit according to the actions you perform. 54Deities go on to the path of sin and everything of the golden age comes to an end.

50Phir karmō̃ anusār janma lētē haĩ .

55You then take another birth according to your karma.

51Bhārat mē̃ pūjya rājāyē̃ thē tō pujārī rājāyē̃ bhī thē .

56In Bharat, there existed worthy-of-worship kings and also worshipper kings.

52Satyug mē̃ rājā-rānī aur prajā sab pūjya hōtē haĩ .

57In the golden age, the king, queen and subjects are all worthy of worship.

53Phir jab dvāpar mē̃ bhakti śhurū hōtī hai tō yathā rājā-rānī tathā prajā pujārī ban jātē haĩ .

58Then, when devotion begins in the copper age, the king, queen and subjects all become worshippers.

54Baṛē rājā jō sūryavanśhī thē vahī pujārī ban jātē haĩ phir vaiśhya vãnśhī ban jātē haĩ .

59The great sun-dynasty kings become worshippers and then become part of the merchant dynasty.

55Abhī tum viceless bantē hō .

60You are now becoming viceless.

56Uskī prālabdh phir 21 janm chaltī hai phir bhakti mārg śhurū hōtā hai .

61The reward of that continues for 21 births and then the path of devotion begins.

57Jō-jō pūjya dēvī-dēvtā hōkar gayē haĩ , unhō̃ K|kē mandir banākar unkī pūjā kartē haĩ .

62They build temples to all the worthy-of-worship deities who existed and worship them.

58Yah sirph bhārat mē̃ hī hōtā hai .

63This only takes place in Bharat.

59Yah 84 janmō̃ key|kī kahānī jō bāp sunātē haĩ , yah bhī bhāratvāsiyō̃ kē liē hai .

64This story of 84 births that the Father tells applies to the people of Bharat.

60Aur dharm vālē ātē hī bād mē̃ haĩ phir tō vr̥iddhi hōtē-hōtē ḍhēr K|kē ḍhēr hō jātē haĩ .

65Those of other religions come later. 66When expansion takes place, there are many of them.

61Variety bhinn-bhinn dēvī-dēvatāō̃ key|kī rasam rivāj thī , vah bhārat K|kē gurūō̃ key|kī nahī̃ hai .

67The deities had a variety of systems and customs. 68There was no system that the gurus of Bharat have.

62Ādhākalp bād rāvaṇrājya śhurū hōnē sē sārī-rasam rivāj hī badal jātī hai phir pūjya sē pujārī ban jātē haĩ .

69When the kingdom of Ravan begins after half the cycle, the systems and customs all change and those who are worthy of worship become worshippers.

63Pūjā bhī pahlē avyabhichārī ēk śhiv key|kī kartē haĩ .

70At first, they perform unadulterated worship of Shiva alone.

64Unkē mandir banātē haĩ phir lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē banāyēṅgē .

71They built temples to Him and then to Lakshmi and Narayan.

65Ēk nē lakṣhmī-nārāyaṇ kā mandir banāyā tō dūsrā bhī banāyēṅgē .

72When one person built a temple to Lakshmi and Narayan, another one did the same.

66Phir rām sītā K|kē mandir banānē lag paṛē̃gē phir kaliyug mē̃ dēkhō gaṇēśh , hanūmān , chaṇḍikā dēvī ādi-ādi K|kē anēk dēviyō̃ K|kē chitra banātē rahtē haĩ .

73Then, they begin to build temples to Rama and Sita and then, in the iron age, they continued to create images of all the different deities such as Ganesh, Hanuman, Goddess Chandika, etc.

67Bhakti mārg kē liē sāmagrī bhī chāhiē nā .

74That paraphernalia is required for the path of devotion.

68Jaisē bīj kitnā chhōṭā hōtā hai , jhāṛ kitnā baṛā hōtā hai vaisē bhakti kā vistār hō jātā hai .

75A seed is so tiny and the tree that grows from it is so big. 76In the same way, there is so much expansion of devotion.

69Ḍhēr K|kē ḍhēr śhāstra banāyē jātē haĩ .

77They have created so many scriptures.

70Ab bāp bachchō̃ kō kahtē haĩ - yah bhakti mārg kī sāmagrī sab khatm hōnī hai .

78The Father says to you children: All of that paraphernalia of the path of devotion now has to end.

71Ab mujh bāp kō yād karō .

79Now remember Me, your Father!

72Bhakti kā prabhāv bhī bahut hai nā .

80There is a lot of influence of devotion.

73Kitnī ḵẖūbṣhūrat hai .

81It is so beautiful.

74Nāch-tamāśhā , gāyan-kīrtan ādi kitnā kharchā kartē haĩ .

82They spend so much on dancing, shows, singing devotional songs, etc.

75Abhī bāp kahtē haĩ mujh bāp aur varsē kō yād karō .

83The Father says: Now remember Me, your Father, and your inheritance!

76Ādi sanātan dharm kō yād karō .

84Remember your original eternal religion!

77Anēk prakār key|kī bhakti tum janma-janmāntar kartē āyē hō .

85You have been performing many types of devotion for birth after birth.

78Gr̥ihastha dharm vālē hī bhakti śhurū kartē haĩ .

86It is those who belong to the household religion who begin performing devotion.

79Sannyāsiyō̃ kō tō bhakti nahī̃ karnī hai , yagya-tap , dān-puṇya , tīrtha ādi yah sab gr̥ihasthiyō̃ kā kām hai , na ki sannyāsiyō̃ kā . 80Vah haĩ hī nivr̥itti mārg vālē .

87Sannyasis don’t perform devotion. 88To hold sacrificial fires and do tapasya, to make donations and perform charity and go on pilgrimages, etc. is all the work of householders, not sannyasis; they belong to the path of isolation.

81Unhō̃ kē liē kāydā hai - gharbār chhōṛ jāē jaṅgal mē̃ rahnā aur brahm tatva kō yād karnā .

89Their custom is to leave their homes and families to go and live in a forest and remember the brahm element.

82Vah haĩ hī tatva gyānī , brahm gyānī .

90They are those who have knowledge of the elements, of the brahm element.

83Tatva athavā brahm kō hī īśhvar kah dētē haĩ .

91They refer to that element of light (brahm) as God.

84Jaisē bhāratvāsī asul mē̃ haĩ ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm K|kē . 85Parantu hindustān mē̃ rahtē haĩ tō apnā dharm hindū samajh liyā hai .

92The people of Bharat originally belong to the original, eternal deity religion but, because they live in Hindustan, they consider themselves to belong to the Hindu religion.

86Vaisē sannyāsī bhī ātmāō̃ K|kē rahnē K|kē sthān tatva kō paramātmā samajh lētē haĩ .

93In the same way, sannyasis consider the element, that is, the residence of souls, to be God.

87Brahm vā tatva kō hī yād kartē haĩ .

94They remember the brahm element.

88Vāstav mē̃ sannyāsī jab satōpradhān haĩ tō jaṅgal mē̃ jākar rahtē haĩ , śhānti mē̃ .

95In fact, when sannyasis are satopradhan, they go and reside in the forests, etc. in peace.

89Aisē nahī̃ ki unhō̃ kō brahm mē̃ jākar līn hōnā hai .

96It isn't that they are going to go and merge into the brahm element.

90Bāp kahtē haĩ - yah unhō̃ kā mithyā gyān hai .

97The Father says: That knowledge there is false.

91Līn kōī hō nahī̃ saktē .

98No one can merge into that element.

92Ātmā tō avināśhī hai nā , vah kaisē līn hō saktī hai .

99Souls are imperishable and so how could they merge into anything?

93Bhakti mārg mē̃ kitnā māthā kūṭtē rahtē haĩ .

100They continue to beat their heads so much on the path of devotion.

94Phir kahtē bhagvān kōī na kōī rūp mē̃ kabhī ākar milēgā .

101They then say that God will definitely come in one form or another to meet them.

95Ab kaun right  ?

102Now, who is right?

96Vah kahtē brahm sē yōg lagākar brahm mē̃ līn hō jāyēṅgē .

103They say that they will have yoga with the brahm element and merge into it.

97Gr̥ihastha vālē kahtē ki bhagvān kis na kis rūp mē̃ āyēgā . 98Patitō̃ kō pāvan banāyēgā .

104The householders say that God will come in one form or another and He will purify the impure.

99Aisē nahī̃ ki ūpar sē prērṇā dvārā hī sikhlāyēṅgē .

105It isn't that He would teach from up above through inspiration.

100Teacher ghar baiṭhē prērṇā karēgā kyā  !

106Would a teacher sit at home and give inspiration?

101Prērṇā akṣhar hai nahī̃ .

107There is no such thing as inspiration.

102Prērṇā sē kōī kām nahī̃ hōtā .

108Nothing happens through inspiration.

103Bhal śhaṅkar key|kī prērṇā sē vināśh kahā jātā hai parantu hai yah drama key|kī nūndh .

109Although it is said that destruction takes place through inspiration from Shankar, that is also fixed in the drama.

104Unhō̃ kō yah mūsal ādi banānē hī haĩ . 105Prērṇā key|kī bāt hī nahī̃ hai .

110They have to manufacture the missiles, etc., it is not a question of inspiration.

106Manuṣhya tō kah dētē haĩ ki bhagvān key|kī prērṇā sē sab hōtā hai yā kahtē haĩ ki śhaṅkar key|kī āṅkh khulnē sē pralay hō gaī .

111People say that everything happens through God's inspiration, or, they say that annihilation took place when Shankar opened his eye.

107Yah sab kahāniyā̃ haĩ , arth|earth kuchh bhī nahī̃ samajhtē haĩ .

112All of those things are stories; they don't understand the meaning of them at all.

108Kiskē bhī mandir mē̃ jāyēṅgē tō kahē̃gē achatam kēśhavam . . . arth|earth kuchh nahī̃ samajhtē .

113When you visit anyone's temple, they sing songs in praise of God, with different names: Keshav, Rama, Narayan, etc. but they don't understand the meaning of what they sing.

109Kōī bhī apnē baṛō̃ key|kī mahimā nahī̃ jāntē haĩ .

114No one knows the praise of their seniors.

110Dharm sthāpak kō gurū kah dētē haĩ .

115They call the founder of their religion their guru.

111Vāstav mē̃ unkō gurū kahnā wrong hai .

116In fact it is wrong to call him a guru.

112Christ kōī gurū thōṛēhī hai . 113Vō tō sirph dharm sthāpan kartē haĩ .

117Christ was not a guru; he simply established a religion.

114Gurū unkō kahā jātā hai jō sadgati karē .

118A guru is one who grants salvation.

115Vah tō dharm sthāpan karnē ātē haĩ .

119Those people come to establish their religions.

116Unkē pichhāṛī unkī vaṅśhāvalī ātī hai .

120Their dynasty follows them down here.

117Sadgati tō kiskī kartē hī nahī̃ . 118Tō unkō gurū kaisē kahē̃gē .

121They don't grant salvation to anyone, so how can they be called gurus?

119Gurū tō ēk hī hai , jiskō sarv kā sadgati dātā kahā jātā hai .

122There is only the one Guru and He is called the Bestower of Salvation for All.

120Bhagvān bāp hī ākar sarv key|kī sadgati kartē haĩ .

123Only God, the Father, comes and grants everyone salvation.

121Mukti-jīvanmukti dētē haĩ .

124He gives them liberation or liberation-in-life.

122Unkī yād kabhī kissē chhūṭ nahī̃ saktī .

125No one can stop remembering Him.

123Manuṣhya hē bhagvān , hē īśhvar kah ēk bāp kō hī yād kartē haĩ kyōṅki vah hai sarv kā sadgati dātā .

126People remember the one Father, and say: O God! 127O Ishwar! because He is the Bestower of Salvation for All.

124Bāp samjhātē haĩ yah sārī rachnā hai .

128The Father explains: All of those are the creation.

125Rachayitā bāp maĩ hī hū̃ - sabkō sukh dēnē vālā , varsā dēnē vālā ēk hī bāp ṭhaharā|ṭhahrā .

129I alone am the Father, the Creator. 130Only the one Father gives happiness and the inheritance to everyone.

126Bhāī-bhāī kō varsā dē nahī̃ saktē .

131A brother cannot give an inheritance to a brother.

127Varsā hamēśhā bāp sē miltā hai .

132An inheritance is always received from a father.

128Maĩ sabhī bēhad K|kē bachchō̃ kō bēhad kā varsā dētā hū̃ isliē hī mujhē yād kartē haĩ hē paramātmā kṣhamā karō .

133I give all the unlimited children an unlimited inheritance and this is why everyone remembers Me: “O God, forgive me!”

129Samajhtē kuchh bhī nahī̃ .

134They don't understand anything.

130Bāp kahtē haĩ - maĩ kōī inhō̃ K|kē pukārnē sē nahī̃ ātā hū̃ . 131Yah tō drama mē̃ banā huā hai .

135The Father says: I don't come because they have been calling out to Me; it is predestined in the drama.

132Drama mē̃ mērē ānē kā part bhī nūndhā huā hai .

136My part of coming is also fixed in the drama.

133Anēk dharm vināśh , ēk dharm key|kī sthāpanā vā kaliyug kā vināśh , satyug key|kī sthāpanā karnī hōtī hai .

137All the innumerable religions have to be destroyed and the one religion has to be established. 138The iron age has to be destroyed and the golden age has to be established.

134Maĩ apnē samay par āpēhī ātā hū̃ .

139I come by Myself at My own time.

135Yah bhakti mārg kā bhī drama mē̃ part hai .

140This part of the path of devotion is also fixed in the drama.

136Ab jab bhakti mārg kā part pūrā hōtā hai tab āyā huā hū̃ .

141Now that the part of the path of devotion is coming to an end, I have come.

137Kalp pahlē bhī bābā āp brahmā tan mē̃ āyē thē .

142Baba, You entered the body of Brahma in the previous cycle too.

138Yah gyān abhī tumkō miltā hai .

143You receive this knowledge at this time.

139Phir kabhī nahī̃ milēgā .

144You will not receive it again.

140Yah hai gyān , vah hai bhakti .

145This is knowledge and that is devotion.

141Gyān kī prālabdha hai chaṛhtī kalā .

146The reward of this knowledge is the stage of ascending.

142Kahā jātā hai second mē̃ jīvanmukti .

147It is said that you receive liberation-in-life in a second.

143Janak kō second mē̃ jīvanmukti milī thī nā , lēkin kyā ēk janak nē hī jīvanmukti pāī  ?

148King Janak received liberation-in-life in a second, did he not? 149Was it one Janak alone who received liberation-in-life?

144Jīvanmukti tō sab pātē haĩ nā .

150Everyone receives liberation-in-life.

145Sārī viśhva pātī hai .

151The whole world receives it.

146Sadgati vā jīvanmukti ēk hī akṣhar hai .

152The terms “salvation” and “liberation-in-life” are the same.

147Jīvanmukti arthāt jīvan kō mukt kartē haĩ - is rāvaṇ rājya sē .

153“Liberation-in-life” means that you are liberated in life from this kingdom of Ravan.

148Bābā jāntē haĩ bachchō̃ key|kī kitnī durgati hō gaī hai , bilkul duḥkhī hō gayē haĩ .

154Baba knows how degraded you children have become. 155You have become very unhappy.

149Unhō̃ key|kī phir sadgati hōnī hai .

156You are now to receive salvation.

150Pahlē mukti mē̃ jākar phir jīvanmukti mē̃ āyēṅgē .

157You will first go into liberation and then into liberation-in-life.

151Śhāntidhām sē phir sukhdhām mē̃ āyēṅgē .

158You will go to the land of peace and then to the land of happiness.

152Yah chakra kā rāz bāp nē samjhāyā hai .

159The Father has explained the secrets of this cycle to you.

153Bāp kahtē haĩ - is samay sārē sr̥iṣhṭi kā jhāṛ jaṛjaṛībhūt , tamōpradhān hō gayā hai isliē kōī bhī apnē kō ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm kā samajhtē nahī̃ haĩ .

160The Father says: At this time, the world tree has become completely decayed and tamopradhan and this is why no one considers himself to belong to the original eternal deity religion.

154Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm K|kē thē kyōṅki dēvtāyē̃ pavitra thē .

161You used to belong to the original eternal deity religion because the deities were pure.

155Ham apavitr patit apnē kō dēvtā kaisē kahlāyē isliē kahā jātā hai - in vikārō̃ kō chhōṛtē jāō .

162How can those who are impure call themselves deities? 163This is why it is said: Continue to renounce these vices.

156Yah vikār ādi ādhākalp sē rahē haĩ .

164These vices have existed for half of this cycle.

157Ab ēk janm mē̃ inkō chhōṛnā , ismē̃ mēhnat lagtī hai .

165Now renounce them for one birth. 166However, this requires effort.

158Mēhnat bigar thōṛēhī viśhva kā mālik banē̃gē .

167You cannot become the masters of the world without making effort.

159Bāp kō yād karē̃gē tab hī tum apnē kō rājāī kā tilak dēgē arthāt rājāī K|kē adhikārī banē̃gē .

168Only when each of you remembers the Father can you give yourself a tilak of sovereignty. 169It is only then that you can claim a right to the kingdom.

160Jitnā achchhī rīti yād karē̃gē , śhrīmat par chalē̃gē tō tum rājāō̃ kā rājā banē̃gē .

170You will become the kings of kings according to how well you remember the Father and follow shrimat.

161Paṛhānē vālā teacher tō āyā hai paṛhānē .

171The Teacher has come to teach you.

162Yah pāṭhśhālā hai hī manuṣhya sē dēvtā bannē key|kī .

172This is the school to change from human beings into deities.

163Nar sē nārāyaṇ banānē key|kī kathā sunātē haĩ .

173He tells you the story of changing from an ordinary human into Narayan.

164Yah kathā kitnī nāmī-grāmī hai .

174This story is very famous.

165Inkō amarkathā , satya nārāyaṇ kī kathā , tījrī kī kathā bhī kahtē haĩ .

175This is also called the story of immortality, the story of the true Narayan and the story of the third eye.

166Dēkhō , gīt kitnā achchhā hai .

176Look how beautiful this song is.

167Bābā hamkō viśhva kā mālik banātē haĩ , jō mālikpanā kōī lūṭ na sakē .

177Baba is making us into the masters of the world and no one can take that mastery away from us.

168Kōī earthquake ādi nahī̃ hōgī .

178There won't be any earthquakes, etc. there.

169Vahā̃ vighna key|kī kōī bāt hī nahī̃ .

179There will be no question of obstacles there.

170Aisā aṭal , akhaṇḍ , pavitratā , sukh-śhānti kā rājya tum abhī pā rahē hō . 171Kalp pahlē muāphik her|har 5 hajār varṣh bād bhārat svarg bantā hai .

180You are to receive the unshakeable, undivided kingdom of purity, peace and happiness, as you did in the previous cycle. 181Bharat becomes heaven every 5000 years.

172Tum jāntē hō ham sō dēvtā thē phir 84 janm lētē-lētē ākar yah bantē haĩ .

182You know that you were deities and what you then became while taking 84 births.

173Phir ham sō dēvtā banē̃gē .

183You are now to become deities once again.

174Iskō kahā jātā hai svadarśhan chakradhārī .

184This is known as being a spinner of the discus of self-realisation.

175Achchhā  !

185Achcha.

176Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

186To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

177Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

187The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

178Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

188Essence for dharna:

1791 ) apnē āpkō rājāī kā tilak dēnē kē liē yād kī mēhnat karnī hai .

1891 In order to give yourself a tilak of sovereignty, make effort to have remembrance.

180Sab vikārō̃ kō chhōṛ dēnā hai .

190Renounce all the vices.

1812 ) brahmā bāp samān sādhāraṇ aur gupta rahnā hai .

1912 Remain as ordinary and incognito as Father Brahma.

182Bāhar kā ṭhāṭh ādi nahī̃ karnā hai .

192Don't have any external show.

183Apnē bhaviṣhya rājāī K|kē naśhē mē̃ rahnā hai .

193Maintain the intoxication of your future kingdom.

Blessing

184Vardān  : apnī chañchal vr̥itti kō parivartan kar satōpradhān vāyumaṇḍal banānē K|kē javābdār śhrēṣhṭh ātmā bhav

194Blessing: May you transform your mischievous attitude and make the atmosphere satopradhan by becoming an elevated, responsible soul.

185Jō bachchē apnī chañchal vr̥ittiyō̃ kō parivartan kar lētē haĩ vahī satōpradhān vāyumaṇḍal banā saktē haĩ kyōṅki vr̥itti sē vāyumaṇḍal bantā hai .

195The children who transform their mischievous attitudes can make the atmosphere satopradhan because the atmosphere is created by your attitude.

186Vr̥itti chañchal tab hōtī hai jab vr̥itti mē̃ itnē baṛē kārya key|kī smr̥iti nahī̃ rahtī .

196Your attitude becomes mischievous when you are not aware of such a big task.

187Agar kōī ati chañchal bachchā busy hōtē bhī chañchaltā nahī̃ chhōṛtā hai tō usē bāndh dētē haĩ .

197When a very mischievous child does not stop being mischievous, even when he is very busy, he is tied up.

188Aisē hī yadi gyān-yōg mē̃ busy hōtē bhī vr̥itti chañchal hō tō ēk bāp kē sāth sarv sambandhō̃ K|kē bandhan mē̃ vr̥itti kō bāndh dō tō chañchaltā sahaj samāpt hō jāyēgī .

198In the same way, if your attitude becomes mischievous, even when you are busy in this knowledge and yoga, then tie your attitude with the bond of having all relationships with the one Father and any mischief will easily finish.

Slogan

189Slōgan  : albēlēpan key|kī lahar kō samāpt karnē kā sādhan hai bēhad kā vairāgya .

199Slogan: The way to finish a wave of carelessness is to have an attitude of unlimited disinterest.

200*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

190Avyakt iśhārē - ab apnē dātā svarūp kō pratyakṣha karō

201Avyakt Signal: Now reveal your form of a bestower.

191Dātāpan K|kē saṅskār emerge kar mansā dvārā puṇya kā khātā jamā karō , vāṇī dvārā kamjōr ātmāō̃ kō khuśhī mē̃ , parēśhān kō śhān key|kī smr̥iti mē̃ aur dilśhikasta ātmāō̃ kō umaṅg-utsāh mē̃ lāō , sambandh-sampark sē ātmā kō apnē śhrēṣhṭh saṅg kā raṅg anubhav karāō tō puṇya kā khātā jamā hōtā jāyēgā .

202Make the sanskars of a bestower emerge and accumulate your account of charity by serving with your mind. 203Make weak souls happy with your words and distressed souls aware of their honour and put zeal and enthusiasm into disheartened souls. 204Use your relationships and connections to enable souls to experience the colour of your elevated company and your account of charity will then continue to accumulate.