गुरुवार 10 सितंबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

010-09-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

010/09/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bāp āyē haĩ tumhē̃ pujārī sē pūjya banānē , pūjya sē pujārī aur pujārī sē pūjya bannē key|kī pūrī kahānī tum bachchē jāntē hō ' '

1Essence: Sweet children, the Father has come to make you worshippers become worthy of worship. 2Only you children know the full story of changing from worshippers to being worthy of worship and from being worthy of worship to worshippers.

Question

2Praśhna  : kaun see|sī|C bāt duniyā vālō̃ kē liē asambhav lagtī aur tum sahaj usē apnē jīvan mē̃ dhāraṇ kartē hō  ?

3Question: What is it that people of the world think is impossible but which you easily adopt in your lives?

Answer

3Uttar  : duniyā vālē samajhtē haĩ ki gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē pavitra rahnā - yah tō bilkul asambhav hai aur tum sahaj dhāraṇ kar lētē , kyōṅki jāntē hō issē svarg kī bādśhāhī miltī hai .

4Answer: People of the world think that it is impossible to live in a household and yet remain pure, whereas you easily adopt it because you know you will receive the sovereignty of heaven through it.

4Tō yah bahut sastā saudā huā nā .

5Therefore, this is a very inexpensive deal.

Song

5Gīt  : yah kaun āj āyā savērē …

6Song: Who has come here in the early hours of the morning?

Murli

6Ōm śhānti .

7Om shanti.

7Andhiyārā aur savērā , duniyā kē liē bilkul alag hai .

8Darkness and dawn - it is completely different for the world.

8Vah tō common hai .

9That is a common thing.

9Tum bachchō̃ kā savērā un-common hai .

10The morning of you children is uncommon.

10Duniyā kō patā nahī̃ andhiyārā aur savērā kiskō kahā jātā hai .

11No one in the world knows what darkness is or what the dawn is.

11Vāstav mē̃ yah andhiyārā aur savērā kalp K|kē is puruṣhōttam saṅgamyug par hōtā hai .

12In fact, darkness and dawn happen at the most auspicious confluence age of the cycle.

12Abhī agyān andhiyārā dūr hōtā hai .

13The darkness of ignorance is now being removed.

13Gātē bhī haĩ - gyān sūrya pragaṭā .

14People sing: When the Sun of Knowledge rises, the darkness of ignorance is dispelled.

14Vah sūrya tō rōśhnī dēnē vālā hai .

15That sun gives light.

15Yah hai gyān sūrya key|kī bāt .

16This refers to the Sun of Knowledge.

16Bhakti kō andhiyārā , gyān kō rōśhnī kahā jātā hai .

17Devotion is said to be darkness and this knowledge is said to be light.

17Abhī tum bachchē jāntē hō savērā hō rahā hai . 18Bhakti mārg kā andhiyārā pūrā hō jātā hai .

18You children know that the dawn is now coming, and that the darkness of devotion is coming to an end.

19Bhakti kō agyān kahā jātā hai kyōṅki jiskī bhakti kartē haĩ unkā gyān kuchh bhī nahī̃ hai .

19Devotion is said to be ignorance because none of them has any knowledge of those they worship.

20Waste of time hōtā hai .

20That becomes a waste of time.

21Guṛiyō̃ kī pūjā hōtī rahtī hai .

21Worshipping of dolls continues to take place.

22Ādhākalp sē yah guṛiyō̃ kī pūjā hōtī hai .

22The worshipping of dolls has continued for half a cycle.

23Pūjā jiskī kartē unkā pūrā gyān bhī chāhiē .

23There has to be full knowledge of the one you worship.

24Dēvī-dēvatāō̃ kā hai pūjya gharānā .

24The clan of deities is worthy of worship.

25Vahī pūjya phir pujārī bantē haĩ , pūjya sē pujārī , pujārī sē pūjya bannē key|kī kitnī lambī chauṛī kahānī hai .

25They become worthy of worship and then worshippers. 26The story of becoming worshippers from being worthy of worship and then becoming worthy of worship from worshippers is long and complicated.

26Manuṣhya tō pūjya pujārī kā arth|earth bhī nahī̃ samajhtē haĩ .

27People don't even understand the meaning of being worshippers and worthy of worship.

27Parampitā paramātmā ātē hī haĩ saṅgam par , jabki andhiyārā pūrā hōtā hai .

28The Supreme Father, the Supreme Soul, only comes at the confluence age when darkness comes to an end.

28Savērā banānē ātē haĩ .

29He comes to bring the dawn.

29Parantu unhōnnē kalp K|kē saṅgamyugē kē badlē yugē-yugē likh diyā hai .

30However, instead of the confluence age of the cycle, they have written that He comes in every age.

30Jab 4 yug pūrē hōtē haĩ tō purānī duniyā pūrī hō phir naī duniyā śhurū hōtī hai .

31When the four ages come to an end, the old world ends and the new world begins.

31Tō iskō kahē̃gē kalyāṇkārī saṅgamyug .

32Therefore, this is called the benevolent confluence age.

32Is samay sab narkvāsī haĩ .

33At this time, all are residents of hell.

33Jab kōī martā hai tō kahtē haĩ svarg padhārā tō jarūr nark mē̃ thā .

34When a person dies, people say that he has gone to heaven. 35Therefore, he was surely in hell.

34Yah kōī samajhtē nahī̃ ki ham nark mē̃ haĩ .

36However, no one believes that they are in hell.

35Rāvaṇ nē sabkī buddhi kō ēkdam tālā lagā diyā hai .

37Ravan has completely locked everyone's intellect.

36Sabkī buddhi ēkdam mārī gaī hai .

38Everyone's intellect is completely dead.

37Bāp samjhātē haĩ - bhāratvāsiyō̃ key|kī buddhi sabsē viśhāl thī .

39The Father explains: The people of Bharat had the most unlimited intellects.

38Phir jab bilkul hī pattharbuddhi ban jātē haĩ tab hī duḥkh pātē haĩ .

40It is when their intellects completely turn to stone that they experience sorrow.

39Drama plan anusār bēsamajh bannā hī hai .

41According to the drama plan, everyone has to become senseless.

40Bēsamajh banātī hai māyā .

42It is Maya that makes you senseless.

41Pūjya kō samajhdār aur pujārī kō bēsamajh kahā jātā hai .

43Those who are worthy of worship are said to be sensible, whereas worshippers are said to be senseless.

42Kahtē bhī haĩ ham nīch pāpī haĩ .

44They say: I am a degraded sinner.

43Parantu samajhdār kab thē , yah patā nahī̃ paṛtā .

45However, they don't know when they were sensible.

44Rāvaṇ rūpī māyā bilkul hī patthar buddhi banā dētī hai .

46Maya, Ravan turns your intellects completely to stone.

45Abhī tumkō samajh āī hai ki ham hī pūjya thē phir pujārī banē̃ .

47You now understand that you were worthy of worship and that you have now become worshippers.

46Abhī tum bachchō̃ kō khuśhī hōtī hai .

48You children now experience happiness.

47Bahut dinō̃ sē chillātē āyē haĩ ki hamkō śhānti milē athavā janm maraṇ sē chhūṭ jāyē̃ .

49You have been crying out for many days for peace and to be liberated from the cycle of birth and death.

48Lēkin is māyā key|kī jajīrō̃ sē mukti hō jāē , yah gyān bhī kiskī buddhi mē̃ nahī̃ hai .

50However, no one’s intellect has the knowledge of how to become liberated from the chains of Maya.

49Tum jāntē hō sīṛhī utartē ātē haĩ , satyug mē̃ tō phir bhī dhīrē-dhīrē utartē haĩ , time lagtā hai .

51You know that you continue to come down the ladder. 52In the golden age, you come down slowly; it takes time.

50Sukh key|kī sīṛhī utarnē mē̃ time lagtā hai .

53It takes time to come down the ladder of happiness.

51Duḥkh key|kī sīṛhī jaldī-jaldī utartē haĩ .

54You descend the ladder of sorrow very quickly.

52Satyug trētā mē̃ hai 21 janm , dvāpar-kaliyug mē̃ 63 janm , āyu kam hō jātī hai .

55In the golden and silver ages, you take 21 births and in the copper and iron ages you take 63 births; your lifespans become shorter.

53Abhī tum jāntē hō hamārī chaṛhtī kalā chapṭī mē̃ hō jātī hai .

56You now know it becomes your stage of ascent in just a snap of your fingers.

54Gātē bhī haĩ janak kō second mē̃ jīvanmukti milī .

57It is remembered that King Janak received liberation-in-life in just a second.

55Parantu jīvanmukti kā arth|earth samajhtē nahī̃ haĩ .

58However, people don't understand the meaning of “liberation-in-life”.

56Ēk janak kō jīvanmukti milī vā sārī duniyā kō milī  ?

59Was it just one King Janak who received liberation-in-life or was it the whole world?

57Abhī tumhārī buddhi kā tālā khul gayā hai .

60The locks on your intellects have now opened.

58Kiskī dull buddhi hōtī hai tō kahtē haĩ paramātmā inkō achchhī buddhi dō .

61When someone has a dull intellect, others say: “May God give that one a good intellect.”

59Satyug mē̃ aisī kōī bāt nahī̃ .

62There are no such things in the golden age.

60Jō ātmāyē̃ bahutkāl paramātmā sē alag rahtī haĩ , unkā bhī hisāb hai .

63There is an account of even those souls who remain separated from the Supreme Soul for a long time.

61Bāp jab paramdhām mē̃ thē , us samay jō ātmāyē̃ unkē sāth muktidhām mē̃ rahtī haĩ , pichhāṛī mē̃ ātī haĩ , vah bahut samay sāth rahtī haĩ .

64When the Father is in the supreme abode, the souls who stay with Him at that time in the land of liberation and then come down here at the end, spend a long time there.

62Ham tō thōṛā time vahā̃ rahtē haĩ .

65We only stay there for a short time.

63Pahlē-pahlē ham bāp sē bichhuṛtē haĩ isliē gāyā jātā hai ātmā paramātmā alag rahē bahukāl . . . unhō̃ kā hī ab mēlā hōtā hai jō bahut samay bāp sē alag rahē haĩ .

66We are the ones who separated from the Father first. 67This is why it is sung: Souls remained separated from the Supreme Soul for a long time. 68Those who have been separated from the Father for a long time now have a meeting with the Father.

64Jō vahā̃ bahut samay sāth rahtē haĩ , unkō nahī̃ miltē haĩ .

69The Father doesn't meet those who stay with Him there for a long time.

65Bāp kahtē haĩ - khās tum bachchō̃ kō maĩ paṛhānē ātā hū̃ .

70The Father says: I come especially to teach you children.

66Tum bachchō̃ kē sāth hū̃ tō sabkā kalyāṇ hōtā hai .

71When I am with you children, everyone benefits.

67Abhī sabkī kayāmat kā samay hai .

72It is now the time of settlement for everyone.

68Abhī sab hisāb-kitāb chuktū kar chalē jāyēṅgē . 69Bākī tum rāj-bhāg pāyēṅgē .

73You will all now settle your accounts, return home and then attain your fortune of the kingdom.

70Yah bātē̃ kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ haĩ .

74These things are not in anyone's intellect.

71Gātē bhī haĩ god father , liberator , guide .

75People sing: O God, the Father, Liberator, Guide!

72Duḥkh sē liberate kar śhāntidhām mē̃ lē jānē kē liē guide bantē haĩ .

76He liberates us from sorrow and becomes our Guide to take us to the land of peace.

73Sukhdhām kē liē guide nahī̃ bantē .

77He doesn't become our Guide to take us to the land of happiness.

74Ātmāō̃ kō śhāntidhām mē̃ lē jātē haĩ , vah hai nirākārī duniyā - jahā̃ ātmāyē̃ rahtī haĩ .

78He takes souls to the land of peace. 79The place where souls reside is the incorporeal world.

75Parantu vahā̃ kōī jā nahī̃ saktā kyōṅki patit haĩ , isliē patit-pāvan bāp kō pukārtē haĩ .

80However, no one can return there yet because everyone is impure. 81This is why they call out to the Purifier Father.

76Khās bhāratvāsī jab ulṭē ban jātē haĩ tab bēhad bāp kō hī kuttē-billī , patthar-ṭhikkar mē̃ lē jātē haĩ .

82It is especially when the people of Bharat become completely upside down that they put the unlimited Father into cats and dogs, pebbles and stones.

77Wonder hai nā .

83It is a wonder!

78Apnē sē bhī mujhē nīchē lē jātē haĩ .

84They have degraded Me even more than themselves.

79Yah bhī drama banā huā hai .

85This drama is predestined.

80Kiskā dōṣh nahī̃ hai , sab drama K|kē vaśh haĩ . 81Īśhvar K|kē vaśh nahī̃ .

86It isn’t anyone's fault, because everyone is controlled by the drama, not by God.

82Īśhvar sē bhī drama tīkhā hai .

87The drama is even more powerful than God.

83Bāp kahtē haĩ - maĩ bhī drama anusār apnē samay par āūṅgā .

88The Father says: I too will come at My time according to the drama.

84Mērā ānā ēk hī bār hōtā hai .

89I only come once.

85Bhakti mārg mē̃ manuṣhya kitnē dhakkē khātē haĩ .

90People stumble so much on the path of devotion.

86Tumkō bāp milā hai .

91You have found the Father.

87Bāp sē chapṭī mē̃ varsā lēnā hai .

92You have to claim your inheritance from the Father with a snap of your fingers.

88Varsā mil gayā phir dhakkē khānē key|kī darkār nahī̃ .

93Once you have received your inheritance, there is no longer any need to stumble.

89Bhagvān khud kahtē haĩ maĩ ākar vēdō̃ śhāstrō̃ kā sār samjhātā hū̃ .

94God Himself says: I come and tell you the essence of the Vedas and scriptures.

90Pahlē sachkhaṇḍ thā phir jhūṭh khaṇḍ kaisē banā , yah kiskō patā nahī̃ .

95There was the land of truth at first, but no one knows how it then became a land of falsehood.

91Gītā kisnē sunāī , yah bhī bhāratvāsī nahī̃ jāntē .

96The people of Bharat don't even know who spoke the Gita.

92Bhārat kā hī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm thā .

97Bharat had the original eternal dharma of deities.

93Dēvtā dharm vālē hī satōpradhān pūjya sē jab tamōpradhān pujārī ban jātē haĩ tab dēvtā dharm prāyaḥlōp hō jātā hai phir bāp ākar phir sē us dharm key|kī sthāpanā kartē haĩ .

98It is when those of the deity dharma, who are satopradhan and worthy of worship, become tamopradhan worshippers that the deity dharma disappears. 99Later, the Father comes and once again establishes that same dharma.

94Chitra bhī haĩ , śhāstra bhī haĩ .

100There are the images of them as well as the scriptures.

95Bhāratvāsiyō̃ kā ēk hī śhāstra śhirōmaṇī gītā hai .

101The people of Bharat have the one most elevated scripture, the Gita.

96Har ēk apnē dharm kō hī bhūl gayē haĩ , isliē nām badal hindū rakh diyā hai .

102They have all forgotten their own dharma. 103That was why they changed the name and started to call themselves Hindus.

97Drama mē̃ nūndh hai .

104This is fixed in the drama.

98Ātmā hī punarjanma mē̃ ātē tamōpradhān ban jātī hai , khād paṛ jātī hai .

105Souls enter the cycle of rebirth and become tamopradhan as alloy becomes mixed into them.

99Tum jāntē hō ham sachchē zewar thē , ab jhūṭhē ban gayē haĩ .

106You know that you were ornaments of real gold and have now become false.

100Zewar śharīr kō kahā jātā hai .

107A body is called an ornament.

101Śharīr dvārā hī part bajātē haĩ .

108You play your parts through your bodies.

102Hamkō kitnā lambā 84 janmō̃ kā part milā huā hai .

109We have received such long parts of 84 births.

103Dēvtā , kṣhatriya . . . āpē hī pūjya , pujārī tum bantē hō .

110You become deities, warriors, etc., worthy of worship and then worshippers.

104Maĩ agar pūjya phir pujārī banū̃ tō tumkō pūjya kaun banāyē .

111If I were to become worthy of worship and then a worshipper, who would make you worthy of worship?

105Maĩ tō ever pāvan , gyān kā sāgar , patit-pāvan hū̃ .

112I am ever pure, the Ocean of Knowledge, the Purifier.

106Tum hī pūjya pujārī ban din aur rāt mē̃ ātē hō .

113You become worthy of worship and then worshippers and go into the day and then the night.

107Parantu vō lōg jāntē nahī̃ .

114However, those people don't know this.

108Bāp samjhātē haĩ duniyā jhūṭhī bantī jātī hai tō itnī jhūṭhī kahāniyā̃ baiṭh banāī haĩ .

115The Father explains: The world continues to become false, and so they make up false stories.

109Vyās nē bhī kamāl kī hai .

116Even Vyas performed wonders.

110Ab vyās bhagvān tō nahī̃ hai .

117Vyas is not God.

111Bhagvān nē tō ākar brahmā dvārā vēdō̃ śhāstrō̃ kā sār samjhāyā hai .

118God came and explained the essence of the Vedas and scriptures through Brahma.

112Unhōnnē śhāstra dē diyē haĩ brahmā kō .

119They have then portrayed Brahma with the scriptures.

113Ab bhagvān kahā̃  ?

120So, where was God?

114Aisē tō nahī̃ viṣhṇu key|kī nābhī sē brahmā nikalā . 115Tō viṣhṇu nē baiṭh śhāstrō̃ kā sār batāyā .

121It isn't that Brahma emerged from the navel of Vishnu, or that Vishnu gave the essence of the scriptures.

116Nahī̃ , brahmā dvārā samjhāyā hai .

122No; God explained through Brahma.

117Trimūrti kē ūpar hai śhivbābā , vah baiṭh sār batātē haĩ - brahmā dvārā .

123Above the Trimurti is Shiv Baba. 124He speaks the essence through Brahma.

118Jinkē dvārā samjhātē haĩ vahī phir pālnā karē̃gē .

125The one through whom He speaks will then carry out the sustenance.

119Tum hō brahmākumār kumāriyā̃ .

126You are Brahma Kumars and Kumaris.

120Brāhmaṇ varṇa hai ūñch tē ūñch .

127The Brahmin clan is the highest of all.

121Tum abhī hō īśhvarīy santān .

128You are now Godly children.

122Īśhvar K|kē rachē huē yagya key|kī tum sambhāl kartē hō .

129You are looking after the sacrificial fire created by God.

123Is gyān yagya mē̃ sārī purānī duniyā svāhā hō jānī hai .

130The whole of the old world is to be sacrificed into the sacrificial fire of knowledge.

124Inkā nām rakhā hai - rājasva aśhvamēdh avināśhī rudra gyān yagya .

131It is called the sacrificial fire of the imperishable knowledge of Rudra in which the horse is sacrificed to attain self-sovereignty.

125Rājāī prāpt karānē kē liē bāp nē yagya rachā hai .

132The Father has created the sacrificial fire to enable you to claim the kingdom.

126Vah yagya rachtē haĩ tō miṭṭī kā śhiv aur śhāligrām banātē haĩ .

133When people create sacrificial fires, they make images of Shiva and saligrams out of mud.

127Utpatti kar , pālnā kar phir khalās kar dētē haĩ .

134They make them, sustain them and then destroy them.

128Dēvtāō̃ key|kī mūrtiyā̃ bhī aisē hī kartē haĩ .

135They do the same to the images of the deities.

129Jaisē chhōṭē bachchē guṛiyō̃ kā khēl kartē haĩ , aisē yah bhī kartē haĩ .

136They do this just like small children play with dolls.

130Ab bāp kē liē tō kahtē haĩ sthāpanā , pālnā phir vināśh kartē haĩ , pahlē sthāpanā .

137It is said of the Father that He carries out establishment, sustenance and then destruction. 138However, first is the establishment.

131Abhī tum mr̥ityulōk mē̃ amarlōk kē liē paṛh rahē hō .

139You are now studying in the land of death for the land of immortality.

132Yah tumhārā mr̥ityulōk kā antim janm hai .

140This is your last birth in the land of death.

133Bāp ātē haĩ amarlōk sthāpan karnē .

141The Father comes to establish the land of immortality.

134Ēk pārvatī kō kathā sunānē sē kyā hōgā .

142What would happen by only one Parvati being told the story?

135Amarnāth śhaṅkar kō kahtē haĩ , unkō pārvatī dētē haĩ .

143They call Shankar, the Lord of Immortality and they show Parvati with him.

136Ab śhaṅkar pārvatī sthūl mē̃ ā kaisē saktē  ? 137Jabki unhō̃ kō sūkṣhmavatan mē̃ dikhāyā hai .

144Since Shankar and Parvati have been shown in the subtle region, how could they exist in corporeal forms?

138Abhī tumkō samjhāyā hai jagat ambā , jagat pitā lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ .

145It is now explained to you that Jagadamba and Jagadpita become Lakshmi and Narayan.

139Lakṣhmī-nārāyaṇ phir 84 janmō̃ kē bād , jagat ambā , jagatpitā bantē haĩ .

146Lakshmi and Narayan then become Jagadamba and Jagadpita after 84 births.

140Vāstav mē̃ jagat ambā hai puruṣhārthī , phir lakṣhmī hai pāvan prālabdh .

147In fact, Jagadamba is an effort-maker and Lakshmi is the pure reward.

141Mahimā jāstī kiskī hai  ?

148Whose praise is greater?

142Jagat ambā par dēkhō kitnā mēlā lagtā hai .

149Look how many gatherings take place for Jagadamba.

143Kālī kalkattē vālī maśhhūr hai .

150Kali of Calcutta is also very well known.

144Kālī mātā kē pās bhalā kālā pitā kyō̃ nahī̃ banāyā hai  ?

151Why have they not created Kala Pita (a father - a male figure ) with Kali Mata (Mother Kali) of Calcutta?

145Vāstav mē̃ jagat ambā ādi dēvī gyān chitā par baiṭh kālē sē gōrī bantī hai .

152In fact, Jagadamba, Adi Devi, sits on the pyre of this knowledge and becomes beautiful from ugly.

146Pahlē gyān gyānēśhvarī hai phir rāj-rājēśhvarī bantī hai .

153She first becomes the goddess of knowledge and then becomes the princess.

147Yahā̃ tum āyē hō īśhvar sē gyān lēkar rāj-rājēśhvarī bannē .

154You have come here to take this knowledge from God and become princes and princesses.

148Lakṣhmī-nārāyaṇ kō rājya kisnē diyā  ?

155Who gave Lakshmi and Narayan their kingdom?

149Īśhvar nē .

156God.

150Amarkathā satya nārāyaṇ kī kathā bāp hī sunātē haĩ , second mē̃ jissē nar sē nārāyaṇ bantē haĩ .

157Only the Father tells you the story of immortality and the story of the true Narayan and you then become like Narayan from an ordinary human in a second.

151Abhī tum bachchō̃ K|kē kapāṭ khul gayē ki kām mahāśhatru hai .

158The intellects of you children have now opened and you understand that lust is the greatest enemy.

152Kahtē haĩ gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahkar pavitra rahnā asambhav hai .

159They say it is impossible to live in a household and remain pure.

153Samjhāyā jātā hai - bāp svarg kā rachayitā hai tō jarūr vah apnē bachchō̃ kō svarg kī bādśhāhī dēgē .

160It is explained that the Father is the Creator of heaven. 161Therefore, He would definitely give His children the sovereignty of heaven.

154Tō svarg kī bādśhāhī pānē kē liē ēk janm tō pavitra rahnā paṛēgā .

162So, in order to claim the sovereignty of heaven, you definitely need to remain pure for this one birth.

155Yah tō sastā saudā huā nā .

163This is an inexpensive deal.

156Vyāpārī lōg is bāt kō achchhā uṭhāyēṅgē kyōṅki vyāpārī lōg dān bhī kartē haĩ . 157Dharmāū bhī nikāltē haĩ .

164Businessmen would be able to take this up very well because they also make donations; they put money aside for charity.

158Bāp kahtē haĩ - yah saudā kōī virlā kartē haĩ .

165The Father says: Hardly anyone makes this bargain.

159Kitnā sastā vyāpār hai .

166It is such an easy business.

160Phir bhī kaī haĩ jō saudā karkē phir phārkatī bhī dē dētē haĩ .

167However, there are some who make a bargain and then divorce the Father.

161Yah knowledge bāp K|kē sivāē kōī samjhā na sakē .

168No one, apart from the Father, can explain this knowledge.

162Gyān sāgar ēk hī hai , vahī samjhātē haĩ .

169Only the One is the Ocean of Knowledge and He alone explains to you.

163Jō pāvan pūjya thā phir 84 janm K|kē ant mē̃ pujārī banā hai .

170The one who was pure and worthy of worship became a worshipper.

164Inkē tan mē̃ mainē pravēśh kiyā .

171At the end of his 84 births, I then entered his body.

165Prajāpitā tō yahā̃ hōgā nā .

172Prajapita has to exist here.

166Ab tum puruṣhārth kar phariśhtā ban rahē hō .

173You are now making effort and becoming angels.

167Ab bhakti mārg key|kī rāt kē bād gyān arthāt din hōtā hai .

174After the night of the path of devotion, there is now this knowledge, that is, the day.

168Tithi tārīkh tō hai nahī̃ .

175There is no time or date fixed for this.

169Śhivbābā kab āyā , kiskō bhī patā nahī̃ hai .

176No one knows when Shiv Baba comes.

170Kr̥iṣhṇa jayantī dhūmdhām sē manātē haĩ .

177People celebrate the birthday of Krishna with a lot of splendour.

171Śhiv jayantī kā pūrā kiskō mālūm bhī nahī̃ hai .

178No one knows the exact birthday of Shiva.

172Achchhā  !

179Achcha.

173Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

180To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

174Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

181The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

175Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

182Essence for dharna:

1761 ) is kalyāṇkārī yug mē̃ ēk bāp sē hī sachchī satya nārāyaṇ kī kathā , amarkathā sunnī hai .

1831. Listen to the story of true Narayan and the story of immortality from the one Father at this benevolent age.

177Bākī jō kuchh sunā hai usē bhūl jānā hai .

184Forget everything else you have heard.

1782 ) satyugī bādśhāhī lēnē kē liē is ēk janm mē̃ pavitra rahnā hai .

1852. In order to claim your golden-aged sovereignty, remain pure for this one birth.

179Phariśhtā bannē kā puruṣhārth karnā hai .

186Make effort to become an angel.

Blessing

180Vardān  : her|har saṅkalp , samay , śhabda aur karma dvārā īśhvarīy sēvā karnē vālē sampūrṇ vaphādār bhav

187Blessing: May you be totally faithful and do Godly service with your every thought, moment, word and action.

181Sampūrṇ vaphādār unhē̃ kahā jātā hai jō her|har vastu key|kī pūrī-pūrī sambhāl kartē haĩ . 182Kōī bhī chīz vyarth nahī̃ jānē dētē .

188Someone who looks after everything very carefully is said to be totally faithful; he doesn’t allow anything to go to waste.

183Jab sē janm huā tab sē saṅkalp , samay aur karma sab īśhvarīy sēvā arth|earth hō .

189From the moment you take birth, your every thought, moment and action have to be for Godly service.

184Yadi īśhvarīy sēvā kē bajāē kahā̃ bhī saṅkalp vā samay jātā hai , vyarth bōl nikaltē haĩ yā tan dvārā vyarth kārya hōtā hai tō unkō sampūrṇ vaphādār nahī̃ kahē̃gē .

190If your thoughts or time are being used for anything other than Godly service, if there are wasteful words spoken or if there are wasteful actions being performed with your body, you would not be said to be totally faithful.

185Aisē nahī̃ ki ēk second vā ēk paisā vyarth gayā - tō kyā baṛī bāt hai .

191Let it not be that you say: It was just one second or one penny wasted, and so what’s the big deal?

186Nahī̃ . 187Sampūrṇ vaphādār arthāt sab kuchh saphal karnē vālē .

192No, ‘totally faithful’ means to use everything in a worthwhile way.

Slogan

188Slōgan  : śhrīmat kō yathārth samajhkar us par kadam-kadam chalnē mē̃ hī saphaltā samāī huī hai .

193Slogan: Success is merged in understanding shrimat accurately and following it at every step.

194*** Om Shanti ***

189Mātēśhvarī jī K|kē anmōl mahāvākya «  rājr̥iṣhi satyugī hōtē haĩ ' '

195Invaluable versions of Mateshwari 196Raj Rishis are golden aged.

190Lōg yah jō kahtē haĩ dvāpar mē̃ rājr̥iṣhi thē , jinhōnnē baiṭh yah vēd śhāstra rachē kyōṅki vō trikāldarśhī thē .

197People say that Raj Rishis existed in the copper age, and that they sat and created the scriptures because they were trikaldarshi.

191Ab vāstav mē̃ rājr̥iṣhi ham satyug mē̃ hī kah saktē haĩ kyōṅki vahā̃ vikārō̃ kō pūrā jītē huē haĩ arthāt kamal K|kē fool|phūl samān jīvanmukt avasthā mē̃ rahtē rājāī chalātē haĩ .

198In fact, we can now say that Raj Rishis existed in the golden age because there, they had completely conquered the vices, that is, they had a lotus-like life and they ran the kingdom with the stage of liberation in life.

192Bākī yah jō dvāpar mē̃ paramātmā kō prāpt karnē K|kē liyē tap karnē vālē r̥iṣhi haĩ jinhōnnē vēd śhāstra rachē haĩ satyug mē̃ tō vēd śhāstrō̃ key|kī jarurat hī nahī̃ rahtī , na ham unhō̃ kō trikāldarśhī kah saktē haĩ .

199The rishis who have done tapasya from the copper age to attain God created the Vedas and scriptures at that time. 200In the golden age, there is no need for the Vedas and scriptures, nor can we say that they are trikaldarshi.

193Jab ham brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kō trikāldarśhī nahī̃ kah saktē haĩ tō phir yah dvāpar yug vālē rajōguṇ samay K|kē r̥iṣhi , muni kaisē trikāldarśhī ban saktē haĩ .

201Since we cannot call Brahma, Vishnu or Shankar trikaldarshi, how can the rishis and munis of the rajoguni period of the copper age be trikaldarshi?

194Trikāldarśhī , trimūrti , trinētrī sirph ēk paramātmā śhiv kō kah saktē haĩ , jō svayã is kalp K|kē ant mē̃ āē sārī rachnā kā ant dē dētē haĩ .

202Trikaldarshi means that only the one God Shiva is called Trimurti and Trinetri. 203He comes here Himself at the end of the cycle and puts an end to the whole of creation.

195Vahā̃ satyug mē̃ prālabdh bhōgnī hai , vahā̃ yah gyān nahī̃ rahtā ki ham brahmāvanśhī brāhmaṇ hī sirph master trinētrī , trikāldarśhī bantē haĩ , bākī sārē kalp K|kē andar kōī kō bhī gyān nahī̃ mil saktā hai , na dēvtāō̃ kō na manuṣhyō̃ kō trikāldarśhī kah saktē haĩ .

204In the golden age, we will experience the reward. 205There, we do not know that we Brahmins of the clan of Brahma become master trinetri and trikaldarshi. 206Throughout the whole cycle, no one can receive this knowledge; neither deities nor human beings can be called trikaldarshi.

196Achchhā , ōm śhānti .

207Achcha.

Avyakt Signal

197Avyakt iśhārē - ab apnē dātā svarūp kō pratyakṣha karō

208Avyakt Signal: Now reveal your bestower form.

198Kabhī bhī apnē puṇya kē badlē praśhansā lēnē key|kī kāmnā bhī nahī̃ rakhnā , yah had key|kī praśhansā kō svīkār karnā sadākāl key|kī prāpti sē vañchit hōnā hai isliē sadā dēnē mē̃ sāgar K|kē samān sampann banō .

209Never have the desire to receive praise in return of the charity you perform. 210To accept this limited praise is to deprive yourself of permanent attainment. 211Therefore, be as constantly full as an ocean in terms of giving.

199Āpkā her|har bōl aurō̃ kō khuśhī mē̃ , bāp K|kē snēh mē̃ , atīndriya sukh mē̃ rūhānī ānandamay jīvan kā anubhav karāyē aur her|har karma sarv ātmāō̃ kē prati sadā sahyōg key|kī prāpti karānē vālā hō .

212Let your every word enable others to experience a spiritual blissful life of happiness, the Father's love and supersensuous joy. 213Let your every action constantly be such that it enables all souls to receive co-operation.