शनिवार 12 सितंबर 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
012-09-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
012/09/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - abhī yah rāvaṇ rājya , purānī duniyā khatm hō naī duniyā ā rahī hai isliē śhrīmat par chal pavitra banō tō śhrēṣhṭh dēvī dēvtā banē̃gē ' '
1Essence: Sweet children, this is now the kingdom of Ravan. 2The old world is ending and the new world is coming. 3Therefore, follow shrimat and become pure and you will become elevated deities.
Question
2Praśhna : bāp apnē bachchō̃ kō satya nārāyaṇ kī kathā sunātē haĩ , us kathā kā rahasya kyā hai ?
4Question: What is the significance of the story of the true Narayan that the Father tells you, His children?
Answer
3Uttar : uskā rahasya hai - bādśhāhī lēnā aur ganvānā .
5Answer: The significance of that story is of claiming and losing the kingdom.
4Alpha kō allāh milā , tō gadāī chhōṛ dī .
6The first one (Alpha) found Allah and he therefore renounced the ‘donkeyship’.
5Jō viśhva K|kē mālik thē vahī 84 janma lē rājāī ganvā dētē haĩ phir bāp unhē̃ rājāī dētē haĩ .
7The one who became the master of the world took 84 births and lost the kingdom. 8Then the Father came and gave him that kingdom once again.
6Patit sē pāvan bannā , gadāī chhōṛ rājāī lēnā - yahī sachchī satya nārāyaṇ kī kathā bāp sunātē haĩ .
9To become pure from impure and renounce the ‘donkeyship’ and claim the kingdom is the true story of the true Narayan that the Father tells you.
Song
7Gīt : ākhir vah din āyā āj …
10Song: At last the day for which we had been waiting has come.
Murli
8Ōm śhānti .
11Om shanti.
9Ōm śhānti kā arth|earth tō rūhānī bāp nē samjhāyā hai .
12The spiritual Father has explained the meaning of ‘Om shanti’.
10Ōm mānā aham ātmā hū̃ aur mērā śharīr hai .
13Om means “I am a soul and this is my body”.
11Ātmā tō dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī hai .
14The soul is not visible.
12Yah samajh mē̃ ātā hai - maĩ ātmā hū̃ , yah mērā śharīr hai .
15You understand that each of you is a soul and that this is my body.
13Ātmā mē̃ hī man-buddhi hai . 14Śharīr mē̃ buddhi nahī̃ hai .
16A mind and intellect are in each soul; the intellect is not in the body.
15Ātmā mē̃ hī saṅskār achchhē vā burē rahtē haĩ .
17Good and bad sanskars are in the soul.
16Mukhya hai ātmā .
18The soul is the main thing.
17Us ātmā kō kōī dēkh nahī̃ saktē haĩ .
19No one can see a soul.
18Śharīr kō ātmā dēkhtī hai . 19Ātmā kō śharīr nahī̃ dēkh saktā .
20The soul sees the body, but the body can’t see the soul.
20Jān saktē haĩ ki ātmā nikal jātī hai tō śharīr jaṛ hō jātā hai .
21It can be known when a soul leaves his body, because the body becomes non-living.
21Ātmā dēkhī nahī̃ jātī hai , śharīr dēkhā jātā hai .
22The soul cannot be seen, but the body can.
22Vaisē hī ātmā kā jō father hai , jiskō ō god father kahtē haĩ , vah bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē haĩ .
23Similarly, it is not possible to see the Father of souls, the One to whom people say, “O God, the Father!”
23Unkō samjhā jā saktā hai , jānā jā saktā hai .
24He can be realised and understood.
24Ātmāyē̃ sab brothers haĩ .
25All souls are brothers.
25Śharīr mē̃ ātē haĩ tō kahē̃gē yah bhāī haĩ vā bhāī-bahin haĩ .
26When they are in bodies, it is said that they are brothers or brothers and sisters.
26Ātmāō̃ kā bāp hai parampitā paramātmā .
27The Father of souls is the Supreme Father, the Supreme Soul.
27Jismānī bhāī-bahin ēk-dō kō dēkh saktē haĩ .
28Physical brothers and sisters can see one another.
28Ātmāō̃ kā bāp sabhī kā ēk hai , unkō dēkh nahī̃ saktē .
29The Father of all souls is One, but He cannot be seen.
29Tō bāp āyē haĩ purānī duniyā kō nayā banānē .
30The Father has come to make the old world new.
30Naī duniyā satyug thī , yah purānī duniyā kaliyug hai .
31The new world was the golden age, whereas this old world is the iron age.
31Inkō ab badalnā hai .
32It now has to change.
32Jaisē purānā ghar khatm hō nayā ghar bantā hai . 33Vaisē yah purānī duniyā khalās hōnī hai .
33Just as an old home is demolished and a new one built, so this old world is to be destroyed.
34Satyug kē bād trētā , dvāpar , kaliyug phir satyug ānā jarūr hai .
34After the golden age, there will be the silver, copper and iron ages and then the golden age will definitely come again.
35World key|kī history-geography repeat hōnī hai .
35The world history and geography have to repeat.
36Satyug mē̃ hōtā hai dēvī-dēvatāō̃ kā rājya .
36In the golden age there is the kingdom of deities.
37Ādhākalp chaltā hai sūryavanśhī aur chandravanśhī .
37The sun and moon dynasties continue for half a cycle.
38Unkō kahā jātā hai lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī dynasty , rām-sītā key|kī dynasty .
38They are called the dynasties of Lakshmi and Narayan and Rama and Sita.
39Tō yah sahaj hai nā .
39So, this is easy.
40Phir dvāpar , kaliyug mē̃ aur dharm ātē haĩ .
40All the other religions then come during the copper and iron ages.
41Phir dēvī-dēvtāyē̃ jō pavitra thē , vah apavitr ban jātē haĩ .
41The deities who were pure became impure.
42Inkō kahā jātā hai rāvaṇ rājya .
42This is called the kingdom of Ravan.
43Rāvaṇ kō varṣh-varṣh jalātē haĩ , parantu jaltā hī nahī̃ hai .
43People burn an effigy of Ravan every year, but he is never really burnt.
44Yah hai sabkā baṛā duśhman , isliē unkō jalānē key|kī rasam paṛ gaī hai .
44He is the biggest enemy of everyone, and this is why there is the custom of burning his effigy.
45Bhārat kā number one duśhman hai rāvaṇ aur number one dost sadā sukh dēnē vālā hai khudā .
45The number one enemy of Bharat is Ravan and the number one friend of Bharat is Khuda, the One who gives happiness to everyone.
46Khudā kō dost kahtē haĩ nā .
46Khuda is said to be the Friend.
47Is par ēk kahānī bhī hai tō khudā hai dost . 48Rāvaṇ hai duśhman .
47A story is based on this in which Khuda is the Friend and Ravan is the enemy.
49Khudā dost kō kabhī jalāyēṅgē nahī̃ .
48You would never burn an effigy of the Friend, Khuda.
50Rāvaṇ duśhman hai isliē 10 śhīśh vālā rāvaṇ banākar unkō varṣh-varṣh jalātē haĩ .
49Ravan is an enemy and this is why they make an effigy every year of the ten-headed Ravan and burn it.
51Gāndhī jī bhī kahtē thē hamē̃ rāmrājya chāhiē .
50Gandhiji also used to say that he wanted the kingdom of Rama.
52Rāmrājya mē̃ hai sukh , rāvaṇ rājya mē̃ hai duḥkh .
51There is happiness in the kingdom of Rama and sorrow in the kingdom of Ravan.
53Ab yah kaun baiṭh samjhātē haĩ ?
52Who explains all of this?
54Patit-pāvan bāp , śhivbābā brahmā dādā .
53The Purifier Father, Shiv Baba and Brahma Dada.
55Bābā hamēśhā sahī kartē haĩ - bāpdādā .
54Baba always signs ‘BapDada’.
56Prajāpitā brahmā bhī tō sabkā hōgā , jiskō Adam kahā jātā hai .
55Prajapita Brahma, who is called Adam, is the father of everyone.
57Unkō great-great grand father kahā jātā hai .
56He is called the great-great-grandfather.
58Manuṣhya sr̥iṣhṭi mē̃ prajāpitā huā .
57He is the Father of all Humanity.
59Prajāpitā brahmā dvārā brāhmaṇ phir brāhmaṇ sō dēvī-dēvtā bantē haĩ .
58Brahmins are created through Prajapita Brahma and they then become deities.
60Dēvtā , kṣhatriya , vaiśhya , śhūdra ban jātē haĩ , inkō kahā jātā hai prajāpitā brahmā , manuṣhya sr̥iṣhṭi kā baṛā .
59They become deities, then warriors, merchants and then shudras. 60This one is called Prajapita Brahma.
61Prajāpitā brahmā K|kē kitnē ḍhēr bachchē haĩ .
61The head of the human world, Prajapita Brahma, has so many children.
62Bābā-bābā kahtē rahtē haĩ .
62They continue to call him, "Baba, Baba!"
63Yah hai sākār bābā .
63This one is the corporeal Baba.
64Śhivbābā hai nirākār bābā .
64Shiv Baba is the incorporeal Baba.
65Gāyā bhī jātā hai prajāpitā brahmā dvārā naī manuṣhya sr̥iṣhṭi rachtē haĩ .
65It is remembered that a new human world is created through Prajapita Brahma.
66Yah hai patit duniyā rāvaṇ rājya .
66This is an impure world, the kingdom of Ravan.
67Ab rāvaṇ key|kī āsurī duniyā khatm hō jāyēgī , uskē liē yah mahābhārat laṛāī hai .
67The devilish world of Ravan is now to be destroyed and there will be the Mahabharat War for that.
68Phir satyug mē̃ is rāvaṇ duśhman kō kōī jalāyēṅgē hī nahī̃ . 69Rāvaṇ hōgā hī nahī̃ .
68Then, in the golden age, no one will burn an effigy of that enemy Ravan; Ravan won't exist there.
70Rāvaṇ nē hī yah duḥkh key|kī duniyā banāī hai .
69It is Ravan who created this world of sorrow.
71Aisē nahī̃ jinkē pās|pass paisē bahut haĩ , baṛē-baṛē mahal ādi haĩ vah svarg mē̃ haĩ .
70It isn't that those who have a lot of wealth and huge palaces, etc. are in heaven.
72Bāp samjhātē haĩ bhal kiskē pās|pass krōṛ haĩ , parantu śhānti nahī̃ hai , paisē ādi tō sab miṭṭī mē̃ mil jānē vālē haĩ .
71The Father explains: Although someone may have millions, he doesn't have peace, and all that money, etc. is going to turn to dust.
73Naī duniyā mē̃ phir naī khāniyā̃ nikaltī haĩ , jissē naī duniyā K|kē mahal ādi sārē banāyē jātē haĩ .
72New mines will emerge in the new world from which all the palaces, etc. of the new world will be built.
74Yah purānī duniyā ab khatm hōnī hai .
73This old world is now to be destroyed.
75Satyug mē̃ hai viceless sampūrṇ nirvikārī .
74In the golden age they are viceless, completely viceless.
76Vahā̃ bachchē yōgbal sē paidā hōtē haĩ .
75Children there are born with the power of yoga.
77Vikār vahā̃ hōtā hī nahī̃ .
76Vices don't exist there.
78Na dēh-abhimān , na krōdh , na kām .
77There is neither body consciousness nor anger or lust.
795 vikār hōtē hī nahī̃ isliē vahā̃ kab rāvaṇ kō jalātē hī nahī̃ .
78The five vices don't exist there. 79This is why they never burn Ravan there.
80Yahā̃ tō rāvaṇ rājya hai , isliē sab pukārtē haĩ hē patit-pāvan āō .
80Here, it is the kingdom of Ravan and that is why everyone calls out: O Purifier, come!
81Vah tō liberator bhī hai , sabkā duḥkh hartā hai .
81He is the Liberator and the Remover of Sorrow for everyone.
82Abhī sab rāvaṇ rājya mē̃ haĩ .
82Everyone is now in the kingdom of Ravan.
83Bāp kō ākar chhuṛānā paṛtā hai .
83The Father has to come to liberate you.
84Ab bāp kahtē haĩ tum pavitra banō .
84The Father says: Become pure!
85Yah patit duniyā khatm hōnī hai , jō śhrīmat par chalē̃gē vah śhrēṣhṭh dēvī-dēvtā banē̃gē .
85This impure world will be finished. 86Those who follow shrimat will become elevated deities.
86Vināśh tō hōgā , sab khatm hō jāyēṅgē .
87Destruction will take place and everything will be destroyed.
87Bākī kaun bachē̃gē ?
88Who will be saved?
88Jō śhrīmat par pavitra rahtē haĩ , vahī bāp key|kī mat par chal viśhva kī bādśhāhī kā varsā pātē haĩ .
89Those who become pure by following shrimat. 90They are the ones who claim the inheritance of the sovereignty of the world by following the Father's directions.
89In lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā nā .
91There used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan.
90Abhī tō rāvaṇ rājya hai jō khatm hōnā hai .
92It is now the kingdom of Ravan and it is to be destroyed.
91Satyugī rāmrājya sthāpan hōnā hai .
93The golden-aged kingdom of Rama has to be established.
92Rām vah sītā vālā nahī̃ .
94It isn't the Rama who belongs to Sita.
95They have written many useless things in the scriptures.
93Laṅkā tō yah sārī duniyā hai , ismē̃ rāvaṇ kā rājya hai .
96The whole world is Lanka and all of it is the kingdom of Ravan.
94Bhārat sōnē key|kī chiṛiyā thā satyug mē̃ . 95Jabki dūsrā kōī rājya hī nahī̃ thā .
97Bharat was The Golden Sparrow in the golden age and there were no other kingdoms there.
96Bāp bhārat mē̃ ākar phir sē sōnē key|kī chiṛiyā svarg banātē haĩ .
98The Father comes and makes Bharat into heaven, The Golden Sparrow, once again.
97Bākī jō itnē dharm haĩ , sab khatm hō jāyēṅgē .
99All the other religions will be finished.
98Samudra bhī uchhal mārēgā .
100The oceans will all overflow.
99Bāmbē kyā thā , ēk chhōṭā sā gānvaṛā thā .
101What was Bombay like before? 102It was just a small village.
100Abhī satyug key|kī sthāpanā hōtī hai phir bāmbē ādi rahēgī nahī̃ .
103The golden age is now being established and then Bombay, etc. will no longer remain.
101Satyug mē̃ bahut thōṛē manuṣhya hōtē haĩ .
104There will be very few human beings in the golden age.
102Capital dēhlī hōtī hai , jahā̃ lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya hōtā hai .
105The capital will be Delhi where there will also be the kingdom of Lakshmi and Narayan.
103Dēhlī satyug mē̃ paristān thī .
106Delhi was a land of angels in the golden age.
104Dēhlī hī gaddī thī .
107The kingdom was in Delhi.
105Rāmrājya mē̃ bhī dēhlī hī capital rahtī hai .
108In Rama’s kingdom, too, Delhi was the capital.
106Parantu rāmrājya mē̃ hīrē javāharō̃ K|kē mahal thē , athāh sukh thā .
109However, in Rama’s kingdom they had palaces studded with diamonds and jewels; there was plenty of happiness.
107Bāp kahtē haĩ tumnē viśhva kā rājya ganvāyā hai , maĩ phir sē dētā hū̃ .
110The Father says: You lost the kingdom of the world and I am giving it back to you once again.
108Tum mērī mat par chalō .
111Follow My directions.
109Śhrēṣhṭh bannā hai tō sirph mujhē hī yād karō aur kisī dēhdhārī kō yād nahī̃ karō .
112If you want to become elevated, simply remember Me alone. 113Don't remember any bodily beings.
110Apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō yād karō tō tum tamōpradhān sē satōpradhān ban jāyēṅgē , tum mērē pās|pass chalē āyēṅgē .
114Consider yourselves to be souls and remember Me, your Father, and you will change from tamopradhan and become satopradhan. 115You will then come to Me.
111Tum mērē galē key|kī mālā ban phir viṣhṇu K|kē galē key|kī mālā ban jāyēṅgē .
116You will become a garland around My neck and then become a garland around the neck of Vishnu.
112Mālā mē̃ ūpar hū̃ maĩ . 113Phir yugal hai brahmā-sarasvatī .
117I am at the top of the rosary, and then there is the couple, Brahma and Saraswati.
114Vahī satyug K|kē mahārājā-mahārānī bantē haĩ .
118They become the emperor and empress of the golden age.
115Unhō̃ key|kī phir sārī mālā hai jō number-vār gaddī par baiṭhtē haĩ .
119The whole rosary sits on the throne, numberwise.
116Maĩ bhārat kō in brahmā-sarasvatī aur brāhmaṇō̃ dvārā svarg banātā hū̃ .
120I make Bharat into heaven through Brahma, Saraswati and the Brahmins.
117Jō mēhnat kartē haĩ , unhō̃ K|kē phir yādgār bantē haĩ .
121Memorials are created of those who make effort.
118Ātmāō̃ kā rahnē kā sthān hai paramdhām , jiskō brahmāṇḍ bhī kahtē haĩ .
122The place of residence of souls is the supreme abode, which is also called Brahmand.
119Ham sab ātmāyē̃ vahā̃ sweet home mē̃ rahnē vālī haĩ - bāp kē sāth .
123All of us souls reside there, in the sweet home, with the Father.
120Vah hai śhāntidhām , manuṣhya chāhtē haĩ - ham muktidhām mē̃ jāyē̃ . 121Parantu vāpis kōī jā nahī̃ saktē .
124That is the land of peace. 125People want to go to the land of liberation, but no one can return home.
122Sabkō part mē̃ ānā hī hai .
126Everyone has to come to play his part.
123Tab tak bāp tumkō taiyār kartē rahtē haĩ .
127Until then, the Father continues to prepare you.
124Tum taiyār hō jāyēṅgē tō vahā̃ jō bhī ātmāyē̃ haĩ , vah sab ā jāyēṅgī , phir khalās .
128When you have become ready, all the souls who are now up there will come down here and everything will then come to an end.
125Tum jākar naī duniyā mē̃ rājya karē̃gē phir number-vār chakra chalēgā .
129You will then go and rule in the new world; you will enter the cycle numberwise.
126Gīt mē̃ bhī sunā hai nā , ākhir vah din āyā āj .
130You heard in the song: “At last the day for which we had been waiting has come.”
127Bhakti mārg mē̃ dhakkē khātē rahtē thē .
131On the path of devotion, you too used to stumble around.
128Bāp hai gyān sūrya .
132The Father is the Sun of Knowledge.
129Gyān sūrya pragaṭā . . . . . abhī tumhārī buddhi mē̃ sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā gyān hai .
133When the Sun of Knowledge rises, the darkness of ignorance is dispelled. 134You now have this knowledge of the beginning, the middle and the end of the world in your intellects.
130Jāntē hō jō bhāratvāsī narkvāsī haĩ vah phir svargvāsī banē̃gē . 131Bākī itnī sab ātmāyē̃ śhāntidhām mē̃ chalī jāyēṅgī .
135You know that the people of Bharat, who are now residents of hell, will then become residents of heaven and all the rest of the souls will go to the land of peace.
132Samjhānā bahut thōṛā hai , alpha bābā , bē bādśhāhī .
136Just explain a little: Alpha is Baba and beta is the kingdom.
133Alpha dvārā bādśhāhī mil jātī hai . 134Gadāī khatm hō jātī hai .
137You receive the kingdom from Alpha and the ‘donkeyship’ is finished.
135Uskī kahānī bāp baiṭh samjhātē haĩ .
138The Father sits here and tells you that story.
136Yah hai sachchī satya-nārāyaṇ key|kī kathā .
139It is the true story of the true Narayan.
137Bākī sab haĩ dant kathāyē̃ .
140All the rest are tall stories.
138Bābā hī nar sē nārāyaṇ bannē kē liē yah gyān sunātē haĩ .
141Baba gives you this knowledge in order to make you into Narayan from an ordinary human.
139History-geography hai nā . 140Lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya kab śhurū huā , kab tak chalā .
142There is the history and geography of when the kingdom of Lakshmi and Narayan began and for how long it continued.
141Tō kathā bhī huī nā !
143Therefore, this is a story, is it not?
142Jō viśhva par rājya kartē thē , vah 84 janm lēkar bilkul hī tamōpradhān ban gayē haĩ .
144Those who ruled the world took 84 births and became completely tamopradhan.
143Abhī bāp kahtē haĩ - maĩ vahī rājya phir sē sthāpan kartā hū̃ .
145The Father says: I am now establishing the same kingdom once again.
144Tum kaisē patit sē pāvan , pāvan sē patit bantē hō - vah sārī history-geography samjhātē haĩ .
146He explains to you the whole history and geography of how you become pure from impure and impure from pure.
145Pahlē-pahlē sūryavanśhiyō̃ kā rājya phir chandravanśhiyō̃ kā . . . unkē bīch dūsrē bhī bauddhī , islāmī phir kriściyan āyē . 146Phir vah dēvī-dēvtā dharm jō thā sō gum hō gayā . 147Phir world key|kī history-geography repeat hōgī .
147First of all, there is the kingdom of the sun dynasty, then the moon dynasty, etc. 148After them, there are the Buddhists, those of Islam and the Christians; the deity dharma that existed disappeared and the history and geography of the world repeat.
148Śhāstrō̃ mē̃ brahmā key|kī āyu 100 varṣh dikhāī huī hai .
149In the scriptures they have shown Brahma to be 100 years old.
149Yah jō brahmā hai , jismē̃ bāp baiṭh varsā dētē haĩ , inkā bhī śharīr chhūṭ jāyēgā .
150This Brahma, in whom the Father sits and gives you your inheritance, will also leave his body.
150Ātmāō̃ kō baiṭh jō ātmāō̃ kā bāp hai vah sunātē haĩ , vahī patit-pāvan hai .
151Only the Father of souls speaks to souls. 152Only He is the Purifier.
151Manuṣhya ; manuṣhya kō pāvan banā nahī̃ sakē̃gē .
153Human beings cannot purify human beings.
152Jō khud hī mukt nahī̃ hō saktē vah aurō̃ kō phir kaisē karē̃gē .
154How could those who cannot be liberated themselves liberate others?
153Vah tō sab bhakti sikhlānē vālē anēk gurū haĩ .
155All of those innumerable gurus are those who teach devotion.
154Kōī kahē̃gē phalānē key|kī bhakti karō , kōī kahē̃gē śhāstra sunō .
156Some say: “Perform devotion of so-and-so”, whereas others tell you to listen to the scriptures.
155Anēkānēk mat-matāntar haĩ , isliē sab aur hī bēsamajh ban gayē haĩ .
157There are so many different ideas and opinions. 158This is why everyone has become even more senseless.
156Ab bāp ākar samajhdār banātē haĩ .
159The Father now comes and makes you sensible.
157Yah lakṣhmī-nārāyaṇ samajhdār viśhva K|kē mālik thē nā . 158Ab kitnē kaṅgāl ban gayē haĩ .
160This Lakshmi and Narayan were sensible masters of the world, but they have now become so poverty-stricken.
159Phir śhivbābā ākar narkvāsī sē svargvāsī banātē haĩ .
161Shiv Baba has now come to change you from residents of hell into residents of heaven.
160Bāp kitnā achchhī tarah sē samjhātē haĩ ki yahā̃ takdīr jag jāē .
162The Father explains to you so well that your fortune awakens.
161Bāp ātē hī haĩ manuṣhya mātra key|kī takdīr jagānē .
163The Father comes to awaken the fortune of all human beings.
162Sab patit duḥkhī haĩ nā .
164All are impure and unhappy.
163Sab trāhi-trāhi kar vināśh hō jāyēṅgē isliē bābā kahtē haĩ trāhi-trāhi K|kē pahlē bēhad K|kē bāp sē kuchh varsā lē lō .
165Everyone will cry out in distress and be destroyed. 166This is why Baba says: Claim some inheritance from the unlimited Father before the cries of distress begin.
164Yah jō kuchh duniyā mē̃ dēkhtē hō vah sab khatm hō jānā hai .
167Whatever you see in this world will be destroyed.
165Fall of|off bhārat , rise of|off bhārat .
168There is the fall of Bharat and the rise of Bharat.
166Yah bhārat kā hī khēl hai .
169This play is based on Bharat.
167Rise hōgā satyug mē̃ . 168Ab kalayug mē̃ fall hōnā hai .
170The rise will be in the golden age, whereas now, in the iron age, there is to be the fall.
169Yah sab rāvaṇ rājya kā pomp hai .
171All of this is the pomp of Ravan’s kingdom.
170Ab vināśh hōnā hai .
172Destruction is now to take place.
171Fall of|off world , rise of|off world .
173There will be the fall of the world and the rise of the world.
172Satyug mē̃ kaun-kaun rājya kartē haĩ , yah bāp baiṭh samjhātē haĩ .
174The Father sits here and explains who rules in the golden age.
173Rise of|off bhārat , dēvtāō̃ kā rājya . 174Fall of|off bhārat , rāvaṇ kā rājya .
175The rise of Bharat is the kingdom of the deities, and the fall of Bharat is Ravan’s kingdom.
175Abhī naī duniyā ban rahī hai . 176Purānī duniyā khatm hō jāyēgī .
176A new world is now being created and the old world is to be destroyed.
177Iskē pahlē tum paṛh rahē hō , bāp sē varsā lēnē .
177Before that happens, you are studying with the Father in order to claim your inheritance.
178Kitnā sahaj hai .
178It is so easy.
179Yah hai manuṣhya sē dēvtā bannē key|kī paṛhāī .
179This is a study to change from human beings into deities.
180Sannyāsiyō̃ kā hai hī nivr̥iti mārg .
180Sannyasis only belong to the path of isolation.
181Vah dharm hī alag hai . 182Vah tō gr̥ihastha vyavahār chhōṛ chalē jātē haĩ , unkā hai had kā sannyās .
181Their religion is completely separate; they renounce the household path and go away. 182Their renunciation is limited.
183Tumkō is purānī duniyā kā sannyās kar phir yahā̃ ānā nahī̃ hai .
183Once you have renounced this old world, you will not come back here.
184Yah bhī achchhī rīti samjhānā hai , kaun-kaun sē dharm kab ātē haĩ .
184It has to be explained very well which religion comes when.
185Dvāpar kē bād hī aur dharm ātē haĩ .
185All the other religions come after the copper age starts.
186Pahlē sukh bhōgtē haĩ phir duḥkh .
186You experience happiness first and then sorrow.
187Yah sārā chakra buddhi mē̃ biṭhānā hōtā hai .
187The whole cycle has to be instilled in your intellects.
188Jab sē tum chakra mē̃ ātē hō mahārājā-mahārānī bantē hō .
188From the time you come into the cycle, you become emperors and empresses.
189Sirph alpha aur bē kō samjhānā hai .
189You just have to explain about Alpha and beta.
190Bābā kiskō vilāyat mē̃ jānē key|kī manā nahī̃ kartē haĩ .
190Baba doesn’t forbid anyone to go abroad.
191Yū̃ tō sab chāhtē haĩ ki mr̥ityu apnē dēśh mē̃ hī hō .
191Everyone wants to die in his or her own country.
192Ab vināśh tō hōnā hī hai , haṅgāmā itnā hō jāyēgā jō vilāyat sē phir ā bhī nahī̃ sakē̃gē isliē bāp samjhātē haĩ ki bhārat bhūmi sabsē uttam hai , jahā̃ bāp ākar avatār lētē haĩ .
192Destruction is definitely going to take place. 193There will be so much upheaval that you won't be able to come back from abroad. 194This is why the Father explains that the land of Bharat is the most elevated land. 195It is where the Father comes and incarnates.
193Śhiv jayantī bhī manāī jātī hai .
196The birthday of Shiva is also celebrated here.
194Sirph śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍālnē sē sārī mahimā hī khatm hō gaī hai .
197Because Krishna’s name was used, all of Shiva’s praise was finished.
195Sarv manuṣhya mātra kā liberator yahā̃ ākar avatār lētē haĩ .
198The Liberator of all human beings comes and incarnates here.
196God father hī hai jō ākar liberate kartē haĩ .
199Only God, the Father, comes and liberates everyone.
197Tō aisē bāp kō naman karnā chāhiē , unkī jayantī manānī chāhiē . 198Parantu śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍālnē sē sārī value gum kar dī hai .
200You should bow down to such a Father. 201You should also celebrate His birthday, but all value for Him has been lost because Shri Krishna’s name was used.
199Nahī̃ tō bhārat sabsē ūñch tīrtha hai .
202In fact, Bharat is the most elevated pilgrimage place.
200Vah bāp yahā̃ hī ākar sabkō pāvan banātē haĩ , tō yah sabsē baṛā tīrtha ṭhaharā|ṭhahrā .
203The same Father comes here and purifies everyone. 204Therefore, this is the most elevated pilgrimage place of all.
201Sabkō durgati sē chhuṛāy sadgati dētē haĩ .
205He liberates everyone from degradation and grants them salvation.
202Yah drama banā huā hai .
206This drama is predestined.
203Abhī tum ātmāyē̃ jāntī hō , hamārā bābā is apnē śharīr dvārā yah rāz samjhā rahē haĩ .
207You souls know that our Baba is now explaining these secrets to us through this body of His.
204Ham ātmā is śharīr dvārā suntī haĩ .
208We souls listen through our bodies.
205Ātma-abhimānī bannā hai .
209You have to become soul conscious.
206Apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō tō kaṭ nikaltī jāyēgī aur pavitra ban tum bāp kē pās ā jāyēṅgē .
210Consider yourselves to be souls and remember the Father and the rust will continue to be removed and you will become pure and go to the Father.
207Jitnā yād karē̃gē utnā pavitra banē̃gē , aurō̃ kō bhī āp samān banāyēṅgē tō bahutō̃ key|kī āśhīrvād milēgī . 208Ūñch pad pā lē̃gē isliē gāyā jātā hai second mē̃ jīvanmukti .
211The more you remember Him, the purer you will become. 212When you make many others equal to you, you will receive blessings from many and claim a high status. 213This is why it is remembered that you receive liberation-in-life in a second.
209Achchhā !
214Achcha.
210Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
215To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
211Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
216The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
212Dhārṇā kē liē mukhya sār :
217Essence for dharna:
2131 ) bāp K|kē galē key|kī mālā ban viṣhṇu K|kē galē mē̃ pirōnē kē liē sampūrṇ satōpradhān bannā hai .
2181. In order to become a garland around the Father's neck and then around the neck of Vishnu, become totally satopradhan.
214Ēk bāp key|kī mat par chalnā hai .
219Follow the directions of the one Father.
2152 ) aisī sēvā karnī hai jō anēk ātmāō̃ key|kī āśhīrvād miltī rahē .
2202. Do such service that you continue to receive blessings from many souls.
216Trāhi-trāhi hōnē K|kē pahlē bāp sē pūrā-pūrā varsā lēnā hai .
221Claim your full inheritance from the Father before the cries of distress begin.
Blessing
217Vardān : snēhī bannē K|kē guhya rahasya kō samajh sarv kō rāzī karnē vālē rāzyukt , yōgyukt bhav
222Blessing: May you be raazyukt and yogyukt and please everyone by understanding the deep significance of being loving.
218Jō bachchē ēk sarvśhaktimān bāp K|kē snēhī bankar rahtē haĩ vē|way sarv ātmāō̃ K|kē snēhī svataḥ ban jātē haĩ .
223The children who remain loving to the Almighty Authority automatically become loving to all souls.
219Is guhya rahasya kō jō samajh lētē vah rājyukt , yōgyukt vā divyaguṇō̃ sē yuktiyukt ban jātē haĩ .
224Those who understand the deep significance of this become raazyukt, yogyukt and yuktiyukt with divine virtues.
220Aisī rāzyukt ātmā sarv ātmāō̃ kō sahaj hī rāzī kar lētī hai .
225Such raazyukt souls easily please all souls.
221Jō is rāz kō nahī̃ jāntē vē|way kabhī anya kō nārāz kartē aur kabhī svayã nārāj rahtē haĩ isliē sadā snēhī K|kē rāz kō jān rājyukt banō .
226Those who do not know this secret upset other souls sometimes and sometimes become upset themselves. 227Therefore, know this secret of being constantly loving and become raazyukt.
Slogan
222Slōgan : jō nimitt haĩ vah jimmēvārī sambhāltē bhī sadā halkē haĩ .
228Slogan: Those who are instruments are constantly light while fulfilling their responsibilities.
229*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
223Avyakt iśhārē - ab apnē dātā svarūp kō pratyakṣha karō
230Avyakt Signal: Now reveal your form of a bestower.
224Jaisē bāpdādā sadā baṛī dil vālē bēhad key|kī dil vālē haĩ , isliē sarv key|kī dil lēnē vālē dilārām haĩ , aisē bachchē bhī bēhad key|kī dil phrākdil dātāpan key|kī dil rakhnē vālē , sadā dil khuśh sē jahān kō khuśh karnē vālī khuśhnasīb ātmāyē̃ haĩ .
231BapDada always has a big and unlimited heart and He is therefore the Comforter of Hearts who wins everyone's heart. 232In the same way, you children have unlimited hearts and are generous-hearted. 233You have the hearts of bestower. 234With your happy hearts, you are the happy souls who make the world happy.
225Āp śhrēṣhṭh ātmāyē̃ hī jahān K|kē ādhār hō .
235You elevated souls are supports for the world.
226Āp sabhī jagtē , jāgtī jyōt bantē tō jahān vālē bhī jagtē .
236All of you become ignited, living lamps and the world thereby becomes enlightened.
227Āp sabkī chaṛhtī kalā hōtī hai tō sarv ātmāō̃ kā kalyāṇ hō jātā hai .
237When all of you have the ascending stage, there is benefit for all souls.