बुधवार 16 सितंबर 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
016-09-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
016/09/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - āpas mē̃ ēk dō kō bāp kī yād mē̃ rahnē kā iśhārā dētē , sāvdhān kartē unnati kō pātē rahō ' '
1Essence: Sweet children, continue to make progress by signalling to each other to remember the Father and to remain cautious.
Question
2Praśhna : bāp samān knowledgeful bannē vālē bachchō̃ K|kē jīvan key|kī mukhya dhārṇā sunāō ?
2Question: What main thing is inculcated into the lives of the children who become knowledge-full like the Father?
Answer
3Uttar : vah sadaiv muskarātē rahtē , kabhī bhī kisī bāt mē̃ unhē̃ rōnā nahī̃ ā saktā .
3Answer: They constantly keep smiling and never cry in any situation.
4Kuchh bhī hōtā hai nothing new .
4Anything that happens is nothing new.
5Aisē jō abhī knowledgeful arthāt rōnā proof bantē haĩ , kabhī kisī bāt mē̃ aśhānt nahī̃ hōtē , unhē̃ hī svarg kī bādśhāhī miltī hai .
5Those who now become knowledge-full in this way, that is, those who become cry-proof, and never become peaceless in any situation are the ones who receive the sovereignty of heaven.
6Jin rōyā tin khōyā , rōnē vālē apnā pad ganvātē haĩ .
6Those who cry lose everything and lose their status.
Song
7Gīt : tumhē̃ pākē hamnē …
7Song: Having found You, I have found the whole world. 8The earth and the sky all belong to me.
Murli
8Ōm śhānti .
9Om shanti.
9Mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ nē apnā hī gāyā huā gīt sunā .
10You sweetest children heard the song that you yourselves sing.
10Bachchē jāntē haĩ ham bēhad K|kē bāp K|kē sāmnē baiṭhē haĩ , tō bachchē kahtē haĩ bābā āpsē jō viśhva kī bādśhāhī pāī thī , vah ab phir sē pā rahē haĩ .
11You children know that you are sitting in front of the unlimited Father and so you say: Baba, we are now once again claiming the sovereignty of the world that we claimed from You.
11Satyug mē̃ tō aisē nahī̃ gāyēṅgē .
12You will not sing this in the golden age.
12Yah saṅgamyug par hī tum gā saktē hō .
13Only at the confluence age can you sing this song.
13Ghar mē̃ baiṭhē athavā naukrī kartē huē tum jāntē hō ki ham bēhad K|kē bāp sē bēhad kā varsā phir sē lē rahē haĩ .
14While sitting at home or at work, you know that you are once again claiming your unlimited inheritance from the unlimited Father.
14Centres par bhī sāvadhānī miltī hai ki bāp kō yād karō aur ham viśhva K|kē mālik ban rahē haĩ , yah yād rakhō .
15At the centres too, you are cautioned to remember the Father and to remember that you are becoming the masters of the world.
15Kōī naī bāt nahī̃ hai .
16This is nothing new.
16Ham kalp-kalp bāp sē viśhva kī bādśhāhī lētē haĩ .
17We claim the sovereignty of the world from the Father every cycle.
17Nayā kōī sunēgā tō samajhēgā yah inkō ( brahmā kō ) śhiv-bābā kahtē haĩ .
18If a new person hears this, he would think that you are calling this one (Brahma) Shiv Baba.
18Ab vah tō hai nirākār ātmāō̃ kā bāp .
19He is the Father of incorporeal souls.
19Ātmā nirākār hai tō paramātmā bāp bhī nirākār hai .
20Souls are incorporeal and the Father, the Supreme Soul, is also incorporeal.
20Ātmā kō nirākār tab tak kahē̃gē jab tak sākārī rūp nahī̃ liyā hai .
21A soul is called incorporeal when he hasn't taken a corporeal form.
21Tō bachchē jān gayē haĩ ki ham bēhad K|kē bāp sē yah knowledge sun rahē haĩ .
22You children know that you are listening to this knowledge from the unlimited Father.
22Rūhānī teacher paṛhā rahē haĩ , ēk dō kō sāvadhānī dēnē kē liē .
23The spiritual Teacher is teaching you so that you can caution one another.
23Pahlē yah rūhānī sāvadhānī miltī hai .
24You first receive this spiritual caution.
24Bēhad K|kē bāp kī yād mē̃ hī sab rahtē haĩ aur iśhārā dētē haĩ - bāp kī yād mē̃ rahō aur kahī̃ buddhi nahī̃ jānī chāhiē isliē kahā jātā hai - ātma-abhimānī bhav aur bāp kō yād karō .
25All of you stay in remembrance of the unlimited Father and you signal: Stay in remembrance of the Father and don’t allow your intellect to wander anywhere else. 26This is why it is said: May you be soul conscious and remember the Father!
25Vah hai patit-pāvan bāp .
27He is the Purifier Father.
26Ab vah sammukh baiṭh kahtē haĩ mujhē yād karō .
28He personally sits in front of you and tells you to remember Him.
27Kitnī sahaj yukti hai - manmanābhav akṣhar bhī hai , parantu jab kōī samajhē .
29This is such an easy method. 30There is the term, “Manmanabhav”, but you also have to understand it.
28Yād kī yātrā sikhlānē vālā ēk hī bāp hai .
31Only the one Father teaches you the pilgrimage of remembrance.
29Tum bachchē hī jāntē hō ham rūhānī yātrā par haĩ .
32Only you children know that you are on a spiritual pilgrimage.
30Vah hai jismānī yātrā , ab ham jismānī yātrī nahī̃ haĩ .
33Those pilgrimages are physical, but you are no longer physical pilgrims.
31Ham haĩ rūhānī yātrī .
34You are spiritual pilgrims.
32Is yād sē hī vikarma vināśh hōṅgē . 33Tum vikarmājīt ban jāyēṅgē .
35Only by having this remembrance will your sins be destroyed and you will become conquerors of sinful actions.
34Aur kōī upāya nahī̃ hai jō tum vikarmājīt banō .
36There is no other way for you to become conquerors of sinful actions.
35Ēk hai vikarmājīt saṃvat , dūsrā hai vikram saṃvat , phir vikarma śhurū hōtē haĩ .
37One is the period of those who are the conquerors of sinful actions and the other is the period of those who perform sinful actions; it is in that period that sinful actions start to be performed.
36Rāvaṇ rājya śhurū huā aur vikār śhurū huē .
38Vices begin as soon as the kingdom of Ravan begins.
37Ab tum vikarmājīt bannē kā puruṣhārth kar rahē hō .
39You are now making effort to become conquerors of sin.
38Vahā̃ kōī vikarma hōtā nahī̃ , vahā̃ rāvaṇ hī nahī̃ .
40There are no sinful actions performed there, because Ravan doesn't exist there.
39Duniyā mē̃ yah kōī nahī̃ jāntē .
41No one in the world knows this.
40Tum bāp dvārā sab kuchh jān gayē hō .
42You now know everything from the Father.
41Bāp kō hī knowledgeful kahā jātā hai tō bachchō̃ kō hī knowledge dēgē nā .
43Only the Father is called knowledge-full, and He give this knowledge only to you children.
42God father kā nām bhī chāhiē .
44There has to be the name of God, the Father, too.
43Nām rūp sē nyārā thōṛēhī hai .
45He is not beyond name or form.
44Pūjā kartē haĩ , unkā nām hai śhiv .
46People worship Him and His name is Shiva.
45Vahī patit-pāvan , gyān kā sāgar hai .
47He alone is the Purifier, the Ocean of Knowledge.
46Ātmā yād kartī hai , us parampitā paramātmā bāp kō .
48Souls remember that Father, the Supreme Father, the Supreme Soul.
47Ātmā bāp key|kī mahimā kartī hai .
49Souls sing praise of the Father.
48Vah sukh-śhānti kā sāgar hai .
50He is the Ocean of Peace and Happiness.
49Bāp tō jarūr varsā hī dēgē bachchō̃ kō .
51The Father definitely gives His children the inheritance.
50Jō hōkar jātē haĩ , unkā yādgār banātē haĩ .
52They create memorials to those who have been and gone.
51Ēk śhivbābā hī hai jinkā gāyan bhī hōtā hai aur pūjā bhī hōtī hai .
53It is only Shiv Baba who is praised as well as worshipped.
52Jarūr vah śharīr dvārā kartavya kartē haĩ tab tō unkā gāyan hai .
54He definitely works through a body and this is why He is remembered.
53Vah ever-pure hai .
55He is ever pure.
54Bāp kab pujārī bantē nahī̃ , vah sadaiv pūjya haĩ .
56The Father never becomes a worshipper; He is constantly worthy of worship.
55Bāp kahtē haĩ maĩ kabhī pujārī nahī̃ bantā . 56Maĩ pūjā jātā hū̃ .
57The Father says: I never become a worshipper; I am worshipped.
57Pujārī lōg mērī pūjā kartē haĩ .
58Worshippers worship Me.
58Satyug mē̃ tō mērī pūjā nahī̃ kartē hō .
59You don't worship Me in the golden age.
59Bhakti mārg mē̃ mujh patit-pāvan bāp kō yād kartē hō .
60It is on the path of devotion that you remember Me, the Purifier Father.
60Pahlē-pahlē avyabhichārī bhakti us ēk key|kī hī hōtī hai phir vyabhichārī bhakti hō jātī hai .
61At first, there is unadulterated devotion of the One and then devotion becomes adulterated.
61Brahmā sarasvatī kō bhī vah śhivbābā viśhva kā mālik banātē haĩ .
62Shiv Baba also makes Brahma and Saraswati into the masters of the world.
62Bhakti kā kitnā vistār hai .
63There is so much expansion of devotion.
63Bīj kā kōī vistār nahī̃ hai .
64There is no expansion of the Seed.
64Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō aur varsē kō yād karō .
65The Father says: Remember Me and remember your inheritance.
65Bas , jaisē jhāṛ kā vistār hōtā hai vaisē bhakti kā bhī bahut vistār hai .
66That is all! 67Just as there is growth of the tree so, too, there is so much growth of devotion.
66Gyān hai bīj .
68This knowledge is the seed.
67Jab tumkō gyān miltā hai tō sadgati kō pātē hō .
69When you receive this knowledge, you receive salvation.
68Tumkō kōī māthā nahī̃ mārnā paṛtā .
70You don't have to beat your head about anything.
69Gyān aur bhakti hai nā .
71There is knowledge and devotion.
70Satyug trētā mē̃ bhakti kā jhāṛ hōtā nahī̃ .
72The tree of devotion doesn't exist in the golden and silver ages.
71Ādhākalp yah bhakti kā jhāṛ chaltā hai .
73The tree of devotion grows for half of each cycle.
72Sab dharm vālō̃ key|kī apnī-apnī rasam-rivāj hai .
74All of the religions have their own systems and customs.
73Bhakti tō kitnī baṛī hai .
75The path of devotion is so vast!
74Gyān tō sabkē liē ēk hai - bas manmanābhav .
76This knowledge is the same for everyone: “Manmanabhav”, that’s all!
75Alpha bāp kō yād karō .
77Remember the Father, Alpha.
76Bāp kō yād karē̃gē tō varsā jarūr yād āyēgā .
78When you remember the Father, you will definitely remember the inheritance.
77Varsē kā vistār hō jātā hai nā .
79There is also expansion of the inheritance.
78Vah hōtī hai had key|kī jāydād .
80That property is limited.
79Yahā̃ tumkō bēhad key|kī jāydād yād paṛtī hai .
81Here, you remember your unlimited property.
80Bēhad kā bāp ākar bēhad kā varsā bhāratvāsiyō̃ kō dētē haĩ .
82The unlimited Father comes and gives you people of Bharat your unlimited inheritance.
81Janm bhī unkā yahā̃ hī gāyā jātā hai .
83His birth is remembered here.
82Yah is drama mē̃ anādi nūndh hai .
84This is eternally fixed in this drama.
83Jaisē bhagvān ūñch tē ūñch hai , vaisē bhārat khaṇḍ bhī ūñch tē ūñch hai , jahā̃ bāp ākar sārī duniyā key|kī sadgati kartē haĩ .
85Just as God is the Highest on High, so, too, the land of Bharat is also the highest of all. 86It is where the Father comes and grants salvation to the whole world.
84Tō sabsē baṛā tīrtha huā nā .
87Therefore, it is the greatest pilgrimage place of all.
85Kahtē haĩ hē god father hamkō apnē ghar lē chalō .
88You say: O God, the Father, take us home!
86Bhārat kē ūpar sabkā lav|love hai .
89You all have love for Bharat.
87Bāp bhī bhārat mē̃ hī ātē haĩ .
90The Father too comes in Bharat.
88Abhī tum mēhnat kar rahē hō .
91You are now making effort.
89Gōpī-vallabh K|kē gōp gōpiyā̃ tum hō .
92You are the gopes and gopis of Gopi Vallabh.
90Satyug mē̃ gōp gōpiyō̃ key|kī bāt nahī̃ rahtī .
93There is no question of gopes and gopis in the golden age.
91Vahā̃ tō kāydē anusār rājāī chaltī haĩ .
94There, the kingdom continues systematically.
92Charitra śhrīkr̥iṣhṇa K|kē haĩ nahī̃ , charitra ēk bāp K|kē haĩ .
95There are no divine activities of Shri Krishna, but there are the divine activities of the one Father.
93Unkā charitra kitnā baṛā hai .
96His divine activities are so elevated.
94Sārī patit sr̥iṣhṭi kō pāvan banātē haĩ .
97He purifies the whole impure world.
95Yah kitnī chaturāī hai .
98This is so clever of Him.
96Is samay sab manuṣhya mātra ajāmil jaisē pāpī haĩ .
99At this time, all human beings are sinners like Ajamil.
97Manuṣhya samajhtē haĩ yah sādhū ādi śhrēṣhṭhāchārī haĩ .
100People consider sages, etc. to be elevated.
98Bāp kahtē haĩ inhō̃ kā bhī uddhār mujhē karnā hai .
101The Father says: I have to uplift them too.
99Jaisē tum actors hō , bāp bhī actor hai nā .
102Just as you are actors, so the Father too is an actor.
100Tum 84 janma lē part bajātē hō .
103You take 84 births and play your parts.
101Vah bhī creator , director mukhya actor hai , karankarāvanhār hai nā .
104He is the Creator, Director and Principal Actor. 105He is Karankaravanhar.
102Kyā kartē haĩ ?
106What does He do?
103Patitō̃ kō pāvan banātē haĩ .
107He purifies the impure.
104Bāp kahtē haĩ - tum mujhē bulātē hō ākarkē hamē̃ pāvan banāō .
108The Father says: You call out to Me to come and purify you.
105Maĩ bhī is part mē̃ bāndhā huā hū̃ .
109I too am bound by this part.
106Aisē kōī kah na sakē . 107Yah kyō̃ banā ? 108Kab banā ?
110No one can ask why or when this drama was created.
109Yah tō anādi banā banāyā drama hai . 110Inkā ādi-madhy-ant hai nahī̃ , pralay hōtī nahī̃ .
111This drama is eternally predestined; it has no beginning, middle or end. 112There is no annihilation.
111Ātmā avināśhī hai , kabhī vināśh nahī̃ hō saktī .
113Souls are imperishable and can never be destroyed.
112Inkō part bhī avināśhī milā huā hai .
114They have received imperishable parts.
113Yah bēhad kā drama hai nā .
115This drama is unlimited.
114Nutshell mē̃ bāp baiṭh samjhātē haĩ , yah drama kā part kaisē chaltā hai .
116The Father sits here and explains to you in a nutshell how this part in the drama continues.
115Bākī aisē nahī̃ paramātmā hai tō murdē kō jindā kar saktē haĩ .
117It isn't that because He is God, He can revive a dead person.
116Yah andhaśhraddhā key|kī , riddhi-siddhi key|kī bātē̃ yahā̃ nahī̃ haĩ .
118There is no blind faith or occult powers here.
117Mujhē tō pukārtē hī haĩ hē patit-pāvan āō .
119You call out to Me: O Purifier, come!
118Ākar hamkō patit sē pāvan banāō sō tō barōbar ātē haĩ .
120Come and make us pure from impure! 121So, He definitely does come.
119Gītā sarvśhāstramaī śhirōmaṇi hai .
122The Gita is the most elevated jewel of all the scriptures.
120Bhagvān nē hī gītā sunāī hai .
123It was God who spoke the Gita.
121Achchhā sahaj rājyōg kab sikhāyā ?
124OK, when did He teach easy Raja Yoga?
122Yah bhī tum jāntē hō .
125Only you know this.
123Bāp ātē hī haĩ kalp K|kē saṅgamyug par . 124Jabki ākar pāvan duniyā naī rājdhānī sthāpan kartē haĩ .
126The Father comes at the confluence age of the cycle when He establishes the new kingdom of the pure world.
125Satyug mē̃ tō nahī̃ sthāpan karē̃gē nā !
127He doesn’t establish it in the golden age.
126Vahā̃ tō hai hī pāvan duniyā .
128That is a pure world.
127Kalp K|kē saṅgamyug mē̃ hī kumbha kā mēlā lagtā hai .
129This great meeting (kumbh mela) only takes place at the confluence age of the cycle.
128Vah kumbha kā mēlā 12 varṣh bād lagtā hai .
130That kumbh mela takes place every 12 years.
129Yah baṛā kumbha kā mēlā 5 hajār varṣh bād lagtā hai .
131This great kumbh mela takes place every 5000 years.
130Yah hai ātmāō̃ aur paramātmā kā mēlā . 131Jabki parampitā paramātmā ākar sab ātmāō̃ kō pāvan banākar lē jātē haĩ .
132This is the meeting of souls and the Supreme Soul when the Supreme Father, the Supreme Soul, comes and purifies all souls and takes them back with Him.
132Kalp key|kī āyu lambī karnē sē hī manuṣhya mūnjh gayē haĩ .
133Because they have lengthened the duration of the cycle, people have become confused.
133Abhī tum samajhtē hō .
134You now understand everything.
134Tumhārī magazine jō nikaltī hai unkō bhī tum bachchē samajh sakē̃gē aur kōī nahī̃ samajh sakē̃gē .
135No one but you children is able to understand the magazines you have printed.
135Bāp nē kahā likh dō jō kuchh huā 5 hajār varṣh pahlē misal , nothing new .
136The Father said: Just write that whatever happens now also happened in exactly the same way 5000 years ago; it is nothing new.
136Jō 5 hajār varṣh pahlē huā thā vahī ab repeat hōtā hai .
137Whatever took place 5000 years ago is all now being repeated.
137Kiskō bhī yah samajhnā hō tō ākar samajhē .
138Anyone who wants to understand this can come and do so.
138Aisē-aisē yuktiyā̃ rakhnī chāhiē .
139Create such methods.
139Ham akhbārō̃ mē̃ kyā ḍālē̃ !
140What should we print in the newspapers?
140Yah bhī tum likh saktē hō - yah mahābhārat laṛāī kaisē pāvan duniyā kā gate|get khōltī hai . 141Satyug key|kī sthāpanā kalp pahlē misal kaisē hōtī hai , kaisē dēvī-dēvatāō̃ key|kī rājdhānī sthāpan hō rahī hai , ākar samjhō .
141You can write this: Come and understand how this Mahabharat War opens the gates to the pure world, how the golden age, the kingdom of the deities, is being established, just as it was in the previous cycle.
142God father sē birth right lēnā hō tō ākarkē lō|low .
142If you want to come and claim your birthright from God, the Father, then come and do so.
143Aisē-aisē vichār sāgar manthan karnā chāhiē .
143Churn the ocean of this knowledge in this way.
144Vō lōg story|storey ādi banātē haĩ vah bhī drama mē̃ nūndh hai , jō part bajātē haĩ .
144The stories that those people write are also fixed in the drama. 145They continue to play their parts.
145Vyās nē bhī drama plan anusār śhāstra ādi banāyē haĩ .
146According to the drama plan, Vyas created the scriptures.
146Part hī aisā milā huā hai .
147He received such a part.
147Abhī tum drama kō samajh gayē hō phir vahī drama repeat hōgā .
148You have now understood this drama, and that this same drama will repeat.
148Abhī tum āyē hō phir sē gyān suntē hō .
149You have now come again and are listening to this knowledge once again.
149Tum jāntē hō phir sē yah lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya hōgā . 150Bākī sab dharm khalās hō jāyēṅgē .
150You know that the kingdom of Lakshmi and Narayan will exist once again and that all the rest of the religions will be destroyed.
151Abhī tum knowledgeful ban rahē hō .
151You are now becoming knowledge-full.
152Bābā tumkō āp samān knowledgeful banātē haĩ .
152Baba is making you knowledge-full, equal to Himself.
153Tum jāntē hō ādhākalp ham peaceful rahē̃gē . 154Kōī prakār key|kī aśhānti nahī̃ rahēgī .
153You know that you will remain peaceful for half a cycle, that there won’t be any type of peacelessness.
155Vahā̃ bachchē ādi kabhī rōtē nahī̃ , sadaiv muskarātē rahē̃gē .
154Children there don't cry; they constantly smile.
156Yahā̃ bhī tumkō rōnā nahī̃ hai .
155You mustn't cry here.
157Gāyan bhī hai ammā marē tō bhī haluā khāō . . . jin rōyā tin khōyā . 158Pad bhī bhraṣhṭa hō jāyēgā .
156It is remembered that, even if your mother dies, you should eat halva. 157Those who cry lose everything and their status is destroyed.
159Tumkō patiyō̃ kā pati milā hai jō svarg kī bādśhāhī dētē haĩ .
158You have found the Husband of all husbands who gives you the sovereignty of heaven.
160Vah tō kabhī martā bhī nahī̃ , phir rōnē key|kī kyā darkār hai , jō rōnē proof bantē haĩ vahī bādśhāhī lētē haĩ . 161Bākī tō prajā mē̃ chalē jāyēṅgē .
159He never dies. 160Therefore, what need is there for you to cry? 161Those who become “cry-proof” claim the sovereignty and all the rest become part of the subjects.
162Bābā sē agar kōī pūchhē is hālat mē̃ ham kyā banē̃gē ? 163Tō bābā batā dēgē .
162If any of you were to ask Baba what you would become in your present condition, Baba could tell you.
164Bachchō̃ kō pichhāṛī mē̃ sab sākṣhātkār hōgā .
163You children will all have those visions at the end.
165Jaisē school mē̃ sabhī kō mālūm paṛ jātā hai nā . 166Rūdra mālā kaunsī bantī hai - vah pichhāṛī mē̃ tumkō mālūm paṛ jāyēgā .
164Just as everyone in a school knows their results, so you will know at the end who will be in the rosary of Rudra.
167Jab pichhāṛī K|kē din hōtē haĩ tō bahut puruṣhārth kartē haĩ . 168Samajhtē haĩ ham phalānī subject mē̃ nā-pass hōṅgē .
165Students make a lot of effort in the final days before their examinations because they realise that they would otherwise fail in a particular subject.
169Tumkō bhī mālūm paṛ jāyēgā .
166You will also know everything.
170Bahut kahtē haĩ hamārā bachchō̃ mē̃ mōh hai .
167Many say that they have attachment to their children.
171Vah tō nikālnā hī hōgā .
168That has to be removed.
172Mōh rakhnā hai ēk mē̃ , bākī trustee hōkar sambhālnā hai .
169Only be attached to the One, and look after them as trustees.
173Kahtē bhī haĩ nā - yah sabhī kuchh bāp nē diyā hai tō phir trustee hōkar chalō .
170You say that everything has been given to you by the Father. 171Therefore, continue to look after them as trustees.
174Mamatva nikāl dō .
172Remove your attachment from them.
175Bāp khud ākar kahtē haĩ insē mamatva nikāl dō .
173The Father Himself comes and tells you to remove your attachment from them.
176Samjhō yah sab unkā hai , unkī mat par hī chalō .
174Consider everything to belong to Him and follow His directions alone.
177Unkē kārya mē̃ hī lag jāō .
175Become engaged in His task.
178Avināśhī gyān ratna kā dān kartē rahō .
176Continue to donate the imperishable jewels of this knowledge.
179Yahā̃ kanyāō̃ kē liē bāp kē pās sabsē jāstī regard hai .
177Here, the Father has the maximum regard for the kumaris.
180Kanyā karmbandhan sē free rahtī hai .
178A kumari is free from karmic bondage.
181Bachchō̃ kō tō laukik bāp K|kē varsē kā naśhā rahtā hai .
179Sons have the intoxication of an inheritance from their physical fathers.
182Kanyā laukik bāp kā varsā nahī̃ pātī hai .
180A kumari doesn't receive an inheritance from her physical father.
183Yahā̃ is bāp kē pās male-female kā bhēd nahī̃ .
181Here, this Father doesn't discriminate between males and females.
184Bāp ātmāō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ .
182The Father sits here and explains to souls.
185Tum jāntē hō ham sab brothers haĩ , bāp sē varsā lē rahē haĩ .
183You know that all of you are brothers and that you are claiming your inheritance from the Father.
186Ātmā paṛhtī hai , bāp sē varsā lētī hai .
184You souls study and claim the inheritance from the Father.
187Jitnā jāstī varsā lē̃gē utnā ūñch pad pāyēṅgē .
185The more inheritance you claim, the higher the status you receive.
188Bābā ākar sab bātē̃ samjhātē haĩ .
186Baba comes and explains everything to you.
189Śhivbābā hai nirākār , unkī pūjā bhī kartē haĩ .
187Shiv Baba is incorporeal and He is worshipped.
190Sōmnāth kā mandir banāyā hai .
188The Somnath Temple was built to Him.
191Yah abhī tum jāntē hō śhivbābā nē ākar kyā kiyā !
189You now know what Shiv Baba did when He came.
192Kyō̃ unkā yādgār mandir banāyā hai ?
190Why was a temple built in His memory?
193Yah bhī tum samajhtē hō .
191You now understand this.
194Kalp-kalp aisā hī hōgā .
192It will be the same every cycle.
195Drama mē̃ nūndh hai , sō repeat hō rahā hai .
193Whatever is fixed in the drama, it is being repeated.
196Bāp kō ānā hī hai . 197Purānī duniyā kā vināśh hōnā hai .
194The Father has to come and the old world has to be destroyed.
198Kōī aphsōs key|kī bāt nahī̃ .
195There is no question of regret about this.
199Yah khūnēnāhēk khēl hai .
196All of this is a play of bloodshed without cause.
200Nāhēk sabkā khūn hōgā .
197Everyone will be killed without cause.
201Nahī̃ tō kōī kiskā khūn karē tō unkō phānsī key|kī sajā mil jāē .
198Otherwise, if someone were to kill another person, he would be punished by being hanged.
202Ab kiskō pakaṛē̃ .
199Who would you consider responsible now?
203Yah tō natural calamities ānī hī haĩ . 204Vināśh tō hōnā hī hai .
200Natural calamities have to come and destruction has to take place.
205Amarlōk , mr̥ityulōk K|kē arth|earth kō bhī kōī nahī̃ jāntē haĩ .
201No one understands the meaning of the land of immortality and the land of death.
206Tum jāntē hō āj ham mr̥ityulōk mē̃ haĩ , kal ham amarlōk mē̃ hōṅgē , isliē ham paṛhtē haĩ .
202You know that, today, you are in the land of death and that, tomorrow, you will be in the land of immortality and this is why you are studying.
207Manuṣhya tō ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .
203People are in extreme darkness.
208Tum gyān amr̥it pilātē hō , hā̃-hā̃ kar phir sō jātē haĩ nīnd mē̃ .
204When you give them the nectar of this knowledge to drink, they nod in agreement with everything you say, and then they go back to sleep.
209Suntē bhī haĩ bēhad kā bāp varsā dē rahē haĩ . 210Yah vahī mahābhārat key|kī laṛāī hai jissē svarg K|kē gate|get khultē haĩ .
205They even hear that the unlimited Father is giving the inheritance and that this is the same Mahabharat War through which the gates to heaven opened.
211Likhtē bhī haĩ bahut achchhā hai , yah gyān kōī dē nahī̃ saktē .
206They even write that this knowledge is very good and that no one else can give it.
212Ham māntē haĩ , bas . 213Khud kuchh bhī gyān uṭhātē nahī̃ phir sō jātē haĩ , iskō kahā jātā hai kumbhakaraṇ .
207They agree with all of it, but that is all; they don't take any of this knowledge themselves but just go back to sleep. 208They are called Kumbhakarna.
214Tum kah saktē hō ki likhkar tō dētē hō parantu aisē nahī̃ phir jāō tō ghar mē̃ jākar sō jāō .
209You can tell them: Since you are giving this to us in writing, don't then go home and go back to sleep.
215Kumbhakaraṇ K|kē chitra kē āgē lē jānā chāhiē , is muāphik sō mat jānā .
210You should take them to the picture of Kumbhakarna and tell them not to fall asleep like him.
216Samjhānē key|kī baṛī yukti chāhiē nā .
211You need to be very tactful when explaining to them.
217Bābā kahtē haĩ bachchē , apnī dukānō̃ mē̃ bhī mukhya-mukhya chitra rakhō . 218Jō kōī āyē us par samjhāō .
212Baba says: Children, place these main pictures in your shops so that you can explain to anyone who comes.
219Vah bhī saudā karāō , yah bhī sachchā saudā hai .
213Make those bargains with them and also make this true bargain.
220Issē tum bahutō̃ kā kalyāṇ kar saktē hō .
214You can benefit many through this.
221Ismē̃ lajjā key|kī tō kōī bāt hī nahī̃ .
215There is no question of being embarrassed by this.
222Kōī kahtē haĩ be|B . K|kē . banē hō .
216Some say that you have become Brahma Kumars or Kumaris.
223Bōlō , arē prajāpitā brahmā K|kē kumār-kumārī tō tum bhī hō nā .
217Say to them: Oh! but you too are Kumars and Kumaris of Prajapita Brahma.
224Bāp naī sr̥iṣhṭi rach rahē haĩ . 225Purānī kō āg lag rahī hai .
218The Father is creating a new world and the old world is to be set on fire.
226Tum bhī jab tak be|B . K|kē . na banō tab tak svarg mē̃ jā na sakō .
219You cannot go to heaven unless you also become BKs.
227Aisē-aisē dukānō̃ mē̃ service karō tō kitnī bēhad key|kī service hō jāyēgī .
220Do service in the shops in this way and unlimited service will take place.
228Āpas mē̃ rāy karō , dukān chhōṭā hai tō bhī dīvār mē̃ chitra lagā saktē hō .
221Discuss this among yourselves. 222Even if the shop is small, you can put pictures up on the walls.
229Charity begins at home .
223Charity begins at home.
230Pahlē-pahlē unkā kalyāṇ karnā hai .
224First of all, you have to benefit them.
231Bāp kahtē haĩ - ab kōī dēhdhārī kō yād nahī̃ karō .
225The Father says: Don't remember any bodily beings now.
232Śhivbābā kō yād karō , jissē varsā miltā hai .
226Remember Shiv Baba from whom you receive the inheritance.
233Manuṣhya tō bichārē mūnjhē huē haĩ .
227Poor human beings are so confused.
234Batānā hai - deity world sovereignty pānā hai , nar sē nārāyaṇ bannā hai tō ākar banō .
228You have to tell them: If you want to claim the deity world sovereignty and change from an ordinary human into Narayan, then come and do so.
235Achchhā !
229Achcha.
236Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
230To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
237Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
231The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
238Dhārṇā kē liē mukhya sār :
232Essence for dharna:
2391 ) ēk bāp mē̃ hī śhuddha sachchā mōh rakhnā hai , usē hī yād karnā hai .
2331. Have true, pure attachment to the one Father. 234Remember Him alone.
240Dēhdhāriyō̃ sē mamatva nikāl dēnā hai .
235Remove your attachment from bodily beings.
241Trustee hōkar sambhālnā hai .
236Look after them as a trustee.
2422 ) vikarmājīt bannā hai isliē karmēndriyō̃ sē kōī bhī vikarma na hō , iskā bahut-bahut dhyān rakhnā hai .
2372. You have to become a conqueror of sinful actions and you must therefore pay great attention that you don’t perform any sinful actions with your physical senses.
Blessing
243Vardān : apnē śhrēṣhṭh svarūp vā śhrēṣhṭh naśhē mē̃ sthit rah alaukiktā kā anubhav karānē vālē antarmukhī bhav
238Blessing: May you stabilise in your elevated form of being introverted and alokik and experience elevated intoxication.
244Jaisē sitārō̃ K|kē saṅgaṭhan mē̃ viśhēṣh sitārō̃ key|kī chamak dūr sē hī nyārī pyārī lagtī hai , aisē āp sitārē sādhāraṇ ātmāō̃ K|kē bīch mē̃ ēk viśhēṣh ātmā dikhāī dō , sādhāraṇ rūp mē̃ hōtē asādhāraṇ vā alaukik sthiti hō tō saṅgaṭhan K|kē bīch mē̃ allāh lōg dikhāī paṛē̃gē .
239In the constellation of stars, the sparkle of special stars is seen as lovely and unique from a distance. 240In the same way, you stars should appear to be special souls in a gathering of ordinary souls. 241While being in your ordinary form, let your stage be extra ordinary and alokik and you will then be seen to be like people who belong to God in that gathering.
245Iskē liē antarmukhī bankar phir bāharmukhtā mē̃ ānē kā abhyās hō .
242For this, practise being introverted before you become extroverted.
246Sadaiv apnē śhrēṣhṭh svarūp vā naśhē mē̃ sthit hōkar , knowledgeful kē sāth powerful bankar knowledge dō tab anēk ātmāō̃ kō anubhavī banā sakē̃gē .
243First stabilise in your elevated form with intoxication and be powerful as well as knowledge-full and then give knowledge. 244You will then be able to make many souls experienced in this.
Slogan
247Slōgan : rāvaṇ key|kī jāydād sāth mē̃ rakh lī tō dil mē̃ dilārām ṭhahar nahī̃ saktā .
245Slogan: If you have kept Ravan’s property with you, Dilaram (Comforter of Hearts) cannot be seated in your heart.
246*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
248Yē avyakt iśhārē - ab apnē dātā svarūp kō pratyakṣha karō
247Avyakt Signal: Now reveal your form of a bestower.
249Āp dātā K|kē bachchē sabhī kō dēnē vālē master dātā hō .
248You children of the Bestower are master bestowers, the ones who bestow on everyone.
250Āp apnī ēk second key|kī dr̥iṣhṭi sē , amūlya bōl sē pyāsī ātmāō̃ key|kī pyās bujhāō .
249With a second of your drishti and with your invaluable words, you can quench the thirst of thirsty souls.
251Kōī bhī dar par āyī huī bhūkhī ātmā khālī hāth na jāyē .
250Any hungry soul who comes to your door should not go away empty-handed.
252Jaisē sākār mē̃ karkē dikhāyā , kōī bhī ātmā asantuṣhṭ hōkar nahī̃ gaī .
251Sakar Baba demonstrated this: not a single soul went away discontented.
253Tō bhal kōī kaisī bhī ātmā hō lēkin santuṣhṭ hōkar jāyē .
252No matter what type of soul someone may be, he should go away contented.