शुक्रवार 9 अक्टूबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

009-10-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

009/10/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum jāntē hō ki sabhī ātmāyē̃ bēhad K|kē bāp sē paṛhē̃gī nahī̃ lēkin sāth mē̃ jarūr jāyēṅgī ' '

1Essence: Sweet children, you know that not all souls will study with the unlimited Father. 2However, they will all definitely go back with Him.

Question

2Praśhna  : chakravartī rājā bannē vālē bachchō̃ kō kis bāt kā bahut-bahut kadar hōgā  ?

3Question: What do the children who are going to become the rulers of the globe value the most?

Answer

3Uttar  : unhē̃ paṛhāī kā bahut kadar hōgā .

4Answer: They value studying the most.

4Kahā̃ bhī rahtē paṛhāī jarūr paḍhēṅgē .

5Wherever they may be sitting, they definitely study.

5Sāth-sāth mitr sambandhiyō̃ sē tōṛ nibhātē yād mē̃ rahnē kā abhyās karē̃gē aur sabkō yahī paigām dēgē ki bāp kō yād karō tō śhāntidhām-sukhadhām mē̃ chalē jāyēṅgē .

6Together with fulfilling their responsibilities to their friends and relatives, they practise staying in remembrance and they give everyone the message, “Remember the Father and you will go to the land of peace and the land of happiness.”

6Is śhrīmat par pūrā-pūrā chalnē vālē bachchē hī chakravartī bantē haĩ .

7Only the children who follow these elevated directions fully will become the rulers of the globe.

Murli

7Ōm śhānti .

8Om shanti.

8Bāp kō , sabhī rūhānī bachchō̃ kō sāth-sāth jō bhī sr̥iṣhṭi bhar mē̃ jīv ātmāyē̃ haĩ , un sab jīv ātmāō̃ kō vāpis lē jānā hī hai kyōṅki ab andhiyārī rāt pūrī hōtī hai .

9As well as taking all of you spiritual children, the Father definitely has to take all living beings of the world back home, because the dark night is now coming to an end.

9Purānī duniyā pūrī hō naī duniyā kī sthāpanā hō rahī hai .

10The old world is ending and the new world is being established.

10Duniyā tō hai parantu purānī sē naī hōtī hai .

11The world still exists, but it changes from old to new.

11Satyug ādi mē̃ barōbar ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hī thā .

12At the beginning of the golden age, there truly was the original, eternal deity dharma.

12Ab vah sūryavanśhī , chandravanśhī nahī̃ haĩ .

13Those sun and moon dynasties do not exist any more.

13Bāp samjhātē haĩ unhō̃ nē punarjanma lētē-lētē ab 84 janm pūrē kiyē haĩ .

14The Father explains: Having taken rebirth, they have now completed their 84 births.

14Is samay sab pārṭdhārī tamōpradhān hō gayē haĩ .

15At this time, all actors have become tamopradhan.

15Chāhtē bhī haĩ rāmrājya , naī duniyā , naī dēhlī chāhiē .

16They want there to be the kingdom of Rama, the new world, New Delhi.

16Jaisē bachchē kahtē haĩ nā - hamkō phalānī naī chīz chāhiē . 17Yah bhī kahtē haĩ bābā naī duniyā kē liē hamkō nayē vastra chāhiē .

17Just as young children say that they want such-and-such a new toy, so here, too, you say: Baba, we want new clothes for the new world.

18Dīp-mālā par manuṣhya nayē vastra pahantē haĩ .

18At Deepmala, people wear new clothes.

19Śhrīkr̥iṣhṇa jayantī par nayē vastra pahannē key|kī bāt nahī̃ rahtī .

19There is no question of wearing new clothes on Shri Krishna Jayanti.

20Khās dīpmālā par nayē vastra pahannē kē liē kharīdadārī ādi bahut kartē haĩ .

20In order to wear new clothes on Deepmala, people especially go shopping and spend a lot of money on them.

21Dīpmālā par jyōt jagātē haĩ .

21At Deepmala, they also ignite lamps.

22Tumhārī ab jyōt jagī hai , tumhē̃ phir aurō̃ key|kī bhī jyōt jagānī hai .

22Your lights have now been ignited and you have to ignite the lights of others.

23Unhō̃ kī hai bhakti mārg key|kī dīpmālā , tumhārī hai gyān key|kī dīpmālā .

23Theirs is the Deepmala of the path of devotion, whereas yours is the Deepmala of the path of this knowledge.

24Tumkō kōī kapṛē ādi nahī̃ badalnē haĩ .

24You don’t have to change your clothes, etc.

25Tumhārī jab pūrī jyōt jag jāyēgī tō phir naī duniyā mē̃ nayē vastra milē̃gē .

25When your lights have been ignited fully, you will then receive new clothes in the new world.

26Bāp kahtē haĩ maĩ sabkō lē jāūṅgā . 27Kōī chāhē vā na chāhē .

26The Father says: I will take everyone back, whether they want to go or not.

28Bulātē bhī haĩ - hē patit-pāvan āō .

27People call out: “O Purifier, come!”

29Vah phir kahtē haĩ liberator āō .

28Or, they say: “O Liberator, come!”

30Kōī kis bhāṣhā mē̃ kahtē haĩ , kōī kis bhāṣhā mē̃ .

29Some call out in one language and others call out in another language.

31Maĩ kalp-kalp ākar sabkō lē jātā hū̃ .

30I come every cycle and take everyone back.

32Satyug mē̃ tō bahut thōṛē manuṣhya hōtē haĩ .

31There are very few human beings in the golden age.

33Ab kitnē ḍhēr pārṭdhārī haĩ .

32Now, there are so many actors.

34Yah haĩ jīv ātmāyē̃ .

33All of them are living beings.

35Śharīr kō jīv kahā jātā hai .

34When a soul is present in a body, it is called a living being.

36Aisē nahī̃ ki jīv kahtā hai ki maĩ ēk ātmā chhōṛ dūsrā lētā hū̃ .

35It isn’t that the body says: I shed one soul and take another one.

37Nahī̃ , ātmā kahtī hai maĩ ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētā hū̃ .

36No; the soul says: I shed one body and take another.

38Parantu yah bhī kiskō patā nahī̃ hai ki ham 84 janma lētē haĩ .

37However, no one knows that we take 84 births.

39Aisē bhī nahī̃ sabkō 84 janm miltē haĩ .

38It isn’t that everyone will take 84 births.

40Sabkā apnā hisāb hai .

39Everyone has his or her own account.

41Jō pahlē-pahlē ātē haĩ vah jarūr jāstī janma lē̃gē .

40Those who come at the beginning will definitely take a greater number of births.

42Jāstī sē jāstī 84 janm . 43Kam sē kam ēk janm bhī hōtā hai .

41The maximum is 84 births and the minimum is one birth.

44Yah bāp baiṭh samjhātē haĩ , sabkō tō nahī̃ paṛhāyēṅgē . 45Parantu sabkō sāth jarūr lē jāyēṅgē .

42The Father sits here and explains this. 43He would not teach everyone, but He will definitely take everyone back home.

46Drama plan anusār mērā part hai sabkō sāth lē jānē kā .

44According to the drama plan, I am bound to take everyone back.

47Duniyā yah nahī̃ jāntī ki purānī duniyā khatm hōnē vālī hai .

45The world does not know that the old world is to finish.

48Bāp ākar jarūr naī duniyā kī sthāpanā karē̃gē .

46The Father comes and definitely establishes the new world.

49Manuṣhya kō rachtā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā ricaṅk mātra bhī knowledge nahī̃ hai .

47People do not have the slightest knowledge of the Creator or the beginning, middle and end of creation.

50Hā̃ , bhakti mārg kā patā hai .

48Yes, they do know about the path of devotion.

51Bhakti mārg key|kī rasam-rivāj alag , gyān mārg key|kī rasam-rivāj bilkul hī alag hai .

49The customs and systems of the path of devotion are completely different from the customs and systems of the path of this knowledge.

52Yah tō hō nahī̃ saktā ki satyug sē kaliyug tak bhakti hī hō .

50It is not possible for there to be only devotion from the golden age to the iron age.

53Gāyā bhī jātā hai gyān din , bhakti rāt .

51It is remembered that knowledge is the day and devotion is the night.

54Andhiyārī rāt mē̃ manuṣhya dhakkē khātē haĩ .

52People stumble around in the dark night.

55Bāp kahtē haĩ ṭhikkar bhittar mē̃ bhī jākar mujhē ḍhūṇḍhtē haĩ .

53The Father says: People also go and look for Me in the pebbles and stones.

56Kōī hanumān kā sākṣhātkār kartē , kōī gaṇēśh kā sākṣhātkār kartē .

54Some have visions of Hanuman and others have visions of Ganesh.

57Ab vah sab bhagvān tō nahī̃ haĩ .

55None of them are God.

58Mērā apnā śharīr tō kōī hai nahī̃ .

56I do not have a body of My own.

59Māyā rāvaṇ nē sabkō buddhū banā diyā hai .

57Maya, Ravan has made everyone foolish.

60Bhāratvāsiyō̃ kō yah bhī patā nahī̃ ki rām rājya kiskō kahā jātā hai .

58The people of Bharat do not know what the kingdom of Rama is.

61Yah dhyān mē̃ bhī ātā hai ki lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya is duniyā par thā .

59They are aware that the kingdom of Lakshmi and Narayan existed in this world.

62Sirph kah dētē haĩ - rāmrājya chāhiē .

60They simply say: We want the kingdom of Rama.

63Rām kōī raghupati vālā nahī̃ .

61It is not the Rama of the Raghu clan.

64Unkē liē śhāstrō̃ mē̃ bahut ulṭī bātē̃ likh dī haĩ .

62People have written many wrong things about him in the scriptures.

65Manuṣhya maut sē kitnā ḍartē haĩ . 66Life kō bachānē kē liē duāyē̃ māṅgtē rahtē haĩ .

63They are so afraid of death; they continue to ask for blessings to save their lives.

67Abhī tō ḍhēr marnē vālē haĩ .

64Now, so many are going to die.

68Unkē liē kyā kahē̃gē  !

65What would you say of them?

69Bāp kō bulāyā hī isliē hai ki bābā hamkō pāvan duniyā mē̃ lē chalō .

66The Father has been called to take us to the pure world.

70Śhāntidhām mē̃ śharīrō̃ kō tō nahī̃ lē jāūṅgā .

67I will not take the bodies to the land of peace.

71Vahā̃ tō ātmāyē̃ jāyēṅgī .

68Souls will go there.

72Yah tō purānā chhī-chhī śharīr hai .

69This is a dirty old body.

73Bhambhōr kō āg lagnī hai , isliē āg kā gōlā ( bombs ) banā rahē haĩ .

70The haystack has to be set on fire and this is why they make incendiary bombs.

74Ab vah kahtē haĩ - bombs na banāyē̃ .

71They say that bombs should not be manufactured any more.

75Ab itnī bhī samajh nahī̃ hai tō jinkē pās|pass jāstī bombs hōṅgē , vah jarūr śhaktiśhālī hō jāyēṅgē .

72Now, they don’t have enough understanding to understand that those who have more bombs will definitely be more powerful.

76Phir dūsrē apnē kō bachā kaisē sakē̃gē , agar bombs na banāyē̃ tō .

73So, how would others be able to save themselves if they didn’t manufacture more bombs?

77Ab vah jab sab samudra mē̃ ḍālē̃ tab vah bhī banānā band karē̃ .

74They would now stop manufacturing more bombs if all the existing ones were thrown into the ocean.

78Parantu samudra sē bhī bādal pānī khīñchtā hai , vah barsāt paṛēgī tō sārā nuksān hō jāyēgā .

75However, the clouds draw water from the ocean, and so, when it rained, there would be so much damage.

79Khētī ādi jal jāyēgī isliē drama mē̃ yukti rachī huī hai .

76The fields would burn up. 77This is why this method has been created in the drama.

80Pahlē yē bombs nahī̃ thē , ab nikalē haĩ isliē yah sārī dham-dham mach rahī hai .

78Previously, these bombs did not exist; they exist now. 79This is why there is so much chaos created everywhere.

81Ab yah tum jāntē hō - yah sab hai bhāvī .

80Now, you know that all of this is destined.

82Tumhārē mē̃ bhī bahutō̃ kō vināśh key|kī bhāvī kā niśhchay nahī̃ hai .

81Among you too, many don’t have the faith that destruction is destined.

83Agar hōtā tō yōg mē̃ bahut achchhī tarah rahtē .

82If you had this faith, your yoga would be very good.

84Yōgbal sē viśhva kī bādśhāhī lēnī hai .

83You have to claim the sovereignty of the world with the power of yoga.

85Tumhārā sab kuchh gupta hai , sikhlānē vālā bhī gupta hai .

84Everything of yours is incognito and the One who is teaching you is also incognito.

86In āṅkhō̃ sē dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē haĩ .

85You cannot see Him with those eyes.

87Ab tumnē ātmā kō realise kiyā hai ki mujh ātmā mē̃ 84 janmō̃ kā part bharā huā hai .

86You have now realised souls: I, a soul, have a part of 84 births recorded in me.

88Aham ātmā avināśhī haĩ .

87I, a soul, am imperishable.

89Yah hai ati guhya bāt .

88This is an extremely deep aspect.

90Akhbār mē̃ bhī likhā hai ki ātmā kyā hai jō śharīr mē̃ rahtī hai  ? 91Yah kōī batāyē tō unkō lākhō̃ rūpayā mil saktā hai .

89It was written in a newspaper that if anyone were to tell what a soul that resides in a body is, he would receive hundreds of thousands of rupees.

92Ātmā kyā hai , kahā̃ sē ātī hai  ?

90What is a soul? 91Where does he come from?

93Kaisē part bajātī hai  ?

92How does he play his part?

94Yah kōī bhī nahī̃ jāntē .

93No one knows these things.

95Kōī kahtē budbudā hai , kōī kahtē brahm-tatva baṛī jyōti hai , usmē̃ ātmāyē̃ līn hō jāyēṅgī .

94Some say that it is a bubble. 95Some say that the element of light is a huge light and that souls will merge into that.

96Anēk prakār key|kī bātē̃ kartē rahtē haĩ .

96They speak of so many sorts of things.

97Tum jāntē hō ātmā bindī samān hai .

97You know that a soul is like a point.

98Usmē̃ part bajānē key|kī nūndh hai .

98The part he has to play is recorded in him.

99Yah drama anādi banā banāyā hai , unkā kabhī vināśh nahī̃ hōtā hai .

99This drama is eternally predestined and it is never destroyed.

100Ātmā bhī avināśhī hai . 101Unkō vahī part bajānā hai . 102Fark nahī̃ paṛ saktā .

100Souls are imperishable and they have to play the same parts again; there cannot be any difference.

103Yah sab bātē̃ unkī buddhi mē̃ baiṭhē̃gī , jinkē kalp pahlē baiṭhī hōṅgī .

101All of these things will sit in the intellects of those in whom it sat in the previous cycle.

104Bābā kahtē haĩ - itnē ḍhēr manuṣhyō̃ kō maĩ kaisē paṛhāūṅgā .

102Baba says: How would I teach all of these human beings?

105Hā̃ , itnā bachchē samajhē̃gē ki bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

103Yes, children would understand: The Father says: Constantly remember Me alone and your sins will be destroyed.

106Sabkō paigām milēgā , bāp yah mantra dētē haĩ sabkē liē .

104Everyone will receive this message. 105The Father gives this mantra to everyone.

107Bābā samjhātē haĩ tum bachchō̃ kō daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ . 108Avguṇō̃ kō chhōṛnā hai .

106Baba explains: You children have to imbibe divine virtues and renounce defects.

109Dēh-abhimān kō chhōṛō .

107Renounce body consciousness.

110Phir bhī chhōṛtē nahī̃ haĩ .

108Even then, you don’t renounce it.

111Un bichārō̃ kō kyā milēgā  ?

109What would those poor souls receive?

112Ēk dō sē pyār sē nahī̃ chaltē haĩ .

110They are unable to continue to interact with one another with love.

113Tumkō bahut mīṭhā bannā hai .

111You have to become very sweet.

114Bāp pyār kā sāgar hai .

112The Father is the Ocean of Love.

115Tum bhī unkē bachchē hō tō tumkō bahut pyārā bannā hai .

113You are His children and so you also have to become very lovely.

116Kabhī kōī kitnā bhī gussā karē , stuti-nindā ādi sab kuchh sahan karnā hai .

114Whether someone gets angry with you, praises you or defames you, you have to tolerate everything.

117Kōī dēvālā mārtā hai tō samajhtē haĩ - bābā ab sahāyatā karē .

115When someone goes bankrupt, they think that Baba should help him.

118Arē yah tō tumhārā karmabhōg hai , sō tō tumkō sahan karnā hai .

116Oh! but that is the result of your karma and you have to tolerate it.

119Bāp ismē̃ kyā karē .

117What can the Father do about that?

120Bāp āyā huā hai sab ātmāō̃ kō lē jānē .

118The Father has come to take all souls back home.

121Yah bhī tum bachchē hī jāntē hō .

119Only you children know this.

122Duniyā mē̃ sab ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .

120Everyone in the world is in extreme darkness.

123Bhaktimārg mē̃ jarūr bhaktō̃ kā mān hōnā chāhiē .

121There should definitely be respect for the devotees on the path of devotion.

124Śhaṅkarāchārya ādi yah sab bhagat haĩ .

122Shankaracharya, etc. are all devotees.

125Unhō̃ kō kahē̃gē pavitra bhagat .

123They are called pure devotees.

126Bhakti cult tō hai nā .

124There is the cult of devotion.

127Jō pavitra rahtē haĩ , unhō̃ K|kē baṛē-baṛē akhāṛē banē huē haĩ . 128Unkā mān kitnā hai .

125Those who remain pure have so many huge ashrams built and they are given so much respect.

129Religious kitābō̃ kā bhī bahut mān hai .

126There is also a lot of respect for religious books.

130Unkō baṛī-baṛī parikramā dilātē haĩ .

127People take them around the city.

131Bhakti kā mān bahut hai .

128There is a lot of respect for devotion.

132Gyān kā kiskō patā bhī nahī̃ hai .

129No one even knows about this knowledge.

133Tum jab dēvtā bantē hō tō tumhārī kitnī mahimā hōtī hai .

130When you become deities, you are praised so much.

134Aisā kōī nahī̃ hōgā jinkē mā̃ bāp kisī na kisī mandir ādi mē̃ nahī̃ jātē hōṅgē .

131There would not be anyone whose parents don’t go to one temple or another.

135Kuchh na kuchh bhakti K|kē chinh ghar mē̃ jarūr hōtē haĩ .

132There are definitely some signs of devotion at home.

136Hē bhagvān kahnā , yah bhī bhakti mārg hai .

133To say, “O God!” is also on the path of devotion.

137Ab tum bēhad bāp K|kē banē hō .

134You now belong to the unlimited Father.

138Yah bāp , yah dādā , isliē trimūrti K|kē chitra par samjhānā baṛā achchhā hai . 139Bhal kōī kahē dādā kō kyō̃ rakhā hai  ?

135That One is the Father, and this one is Dada and this is why it is very good to explain the picture of the Trimurti, even though some may ask: Why have you kept Dada here?

140Arē prajāpitā brahmā tō jarūr yahā̃ chāhiē nā .

136Oh! but Prajapita Brahma, the Father of People, is definitely needed here.

141Yah tō jhāṛ mē̃ nīchē tapasyā mē̃ baiṭhē haĩ .

137He is sitting under the tree in tapasya.

142Parantu vah badaltē rahtē haĩ .

138However, he continues to change.

143Yah jō mukhya haĩ vah sadaiv kāyam haĩ .

139The main one is always there.

144Ismē̃ bachchō̃ kō bahut mīṭhā bannā hai .

140You children have to become very sweet here.

145Chalan baṛī royal hōnī chāhiē .

141Your activity has to be very royal.

146Bāt cum|kam karnī chāhiē .

142You have to speak less.

147Pahlē-pahlē bāp kā parichay dēnā hai .

143First of all, give the Father’s introduction.

148Jāstī tīk-tīk karnā phāltū hai .

144It is useless to rabbit on a lot.

149Bahut thōṛā bōlō .

145Speak very little.

150Tumnē bhī bhakti mārg mē̃ bahut bōlā hai , raṛī mārī hai .

146You spoke a lot and shouted so much on the path of devotion.

151Kitnē dhakkē khāyē haĩ .

147You stumbled around so much.

152Ab tumkō simple samjhātē haĩ - sirph bābā kō yād karō tō yōgbal sē viśhva K|kē mālik ban saktē hō .

148Now, it is explained to you very simply: Remember Baba and, with the power of yoga, you can become the masters of the world.

153Āgē chal yah patā paṛēgā , number-vār kaun-kaun kyā bantē haĩ .

149As you progress further, you will know who becomes what, numberwise.

154Prajā kā hisāb thōṛēhī nikālē̃gē .

150You cannot assess the subjects.

155Vah tō lākhō̃ karōṛō̃ hō jāyēṅgē .

151There would be hundreds of thousands to tens of millions of them.

156Jō brāhmaṇ banē̃gē vahī sūryavanśhī chandravanśhī banē̃gē .

152Those who become Brahmins will become part of the sun and moon dynasties.

157Āgē chalkar bahut yād karnē lag paṛē̃gē .

153As you progress further, many will begin to have remembrance.

158Jab maut sāmnē āyēgā phir vairāgya āyēgā .

154When death comes in front of them, they will have disinterest.

159Yah vahī mahābhārat laṛāī hai .

155This is the same Mahabharat War.

160Sabhī ātmāyē̃ hisāb-kitāb chuktū kar jāyēṅgī , iskō kayāmat kā samay kahā jātā hai .

156All souls will settle their accounts. 157This is called the time of settlement.

161Itnē sab śharīr khatm hōṅgē .

158All of these bodies will be destroyed.

162Natural calamities hōnī hai , yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

159There have to be natural calamities. 160This too is fixed in the drama.

163Naī bāt nahī haĩ .

161It is not a new thing.

164Famine ( akāl ) K|kē kāraṇ manuṣhya bhūkhō̃ martē haĩ .

162People die because of famine.

165Bāp jāntē haĩ mērē bachchē bahut duḥkhī haĩ .

163The Father knows that His children are very unhappy.

166Sabkō duḥkhō̃ sē chhuṛākar vāpis lē jāūṅgā .

164He liberates everyone from sorrow and takes them back.

167Bāp kahtē haĩ - yah sab āpas mē̃ laṛē̃gē . 168Makkhan phir bhī tumkō milnā hai , sārē viśhva K|kē tum mālik bantē hō .

165The Father says: All of them will fight among themselves, and you will receive the butter; you will become the masters of the whole world.

169Mukh mē̃ chandramā kā sākṣhātkār kartē thē nā  !

166They had a vision of the moon in Shri Krishna’s mouth.

170Mukh mē̃ yah viśhva kā gōlā ā jātā hai .

167The world globe is in your mouths.

171Tum prince princess bantē hō .

168You become princes and princesses.

172Sārī sr̥iṣhṭi jaisē tumhārī muṭṭhī mē̃ hai .

169The whole world is in your fist.

173Mukh mē̃ bhī , muṭṭhī mē̃ bhī dikhātē haĩ .

170It is shown in the mouth and also in the fist.

174Ab svarg kā gōlā tumhārē mukh mē̃ hai .

171You now have the globe of heaven in your mouths.

175Tum jāntē hō yōgbal sē ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ .

172You know that you become the masters of the world through the power of yoga.

176Yōg sē health aur gyān sē wealth miltī hai .

173You receive health through yoga and wealth through knowledge.

177Tum chakravartī rājā bantē hō .

174You become the rulers of the globe.

178Parantu bachchō̃ kō itnā kadar nahī̃ hai - paṛhāī kā .

175However, some children don’t value this study that much.

179Bhal badalī hō jātī hai parantu bāp kahtē haĩ kahā̃ bhī rahō lēkin paṛhō jarūr .

176Although you may change your job, you must definitely study wherever you live.

180Pavitra rahō , khān-pān śhuddha rakhō .

177Remain pure and let your food and drink be pure.

181Sabsē tōṛ bhī nibhānā hai .

178Fulfil your responsibilities to everyone.

182Yah duniyā duḥkh dēnē vālī hai .

179This is a world that causes sorrow.

183Mukhya hai kām kaṭārī chalānā , vah bhī muśhkil chhōṛtē haĩ .

180The main thing is the use of the sword of lust, because people don’t renounce it that easily.

184Kuchh kahō tō traitor ban jātē haĩ .

181If you tell them anything, they become traitors.

185Phir ablāō̃ par kitnē vighna ātē haĩ .

182Then, there are so many obstacles for the poor innocent women.

186Yah ārya samājī tō abhī āyē haĩ .

183Those of the Arya Samaj have recently come into existence.

187Pichhāṛī key|kī ṭālī hai .

184They are one of the last branches.

188Dēvtāō̃ kō mānnē vālē nahī̃ haĩ .

185They don’t believe in the deities.

189Mahāvīr , hanumān kā nām hai , vīratā dikhāī hai .

186There are the names of Mahavir and Hanuman who have shown courage.

190Jainiyō̃ nē bhī mahāvīr nām rakh diyā hai .

187The Jains have also used the name Mahavir.

191Abhī arth|earth tō tum samajhtē hō .

188You now understand its meaning.

192Tum bachchē bhī mahāvīr hō jō rāvaṇ par jīt pātē hō .

189You children who conquer Ravan are also Mahavirs.

193Yah hai sārī yōgbal key|kī bāt .

190All of this is a matter of the power of yoga.

194Tum bāp kō yād kartē hō , ussē tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

191You remember the Father and your sins are being destroyed by your doing that.

195Phir śhānti-sukh mē̃ chalē jāyēṅgē .

192You will then go into peace and happiness.

196Yah paigām sabkō dēnā hai .

193Give everyone this message.

197Yah sthāpanā baṛī wonderful hai , inkō kōī nahī̃ jāntē .

194This establishment is very wonderful! 195No one knows it.

198Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ .

196Among you, too, it is numberwise.

199Kōī bhī andar vikār nahī̃ hōnē chāhiē .

197Let there not be any vices in you.

200Ātmā kō bāp gyān dē rahē haĩ .

198The Father is giving this knowledge to souls.

201Ātmā vikārī bantī hai , sab kuchh ātmā hī kartī hai .

199Souls become full of vices. 200It is souls that do everything.

202Tō ab bāp key|kī śhrīmat par pūrā chalnā chāhiē .

201So, you have to now follow the Father’s shrimat fully.

203Satgurū K|kē sammukh rahkar nindā karāī tō ṭhaur nahī̃ pā sakē̃gē .

202If you personally stay in front of the Satguru and cause defamation, you won’t be able to receive a high status.

204Kōī bhī pāp karnā yah nindā huī .

203To commit a sin is defamation.

205Teacher key|kī mat par nahī̃ chalē̃gē tō ṭhaur nahī̃ pāyēṅgē , nā-pass hō jāyēṅgē .

204If you don’t follow the instructions of the Teacher, you won’t receive a high status; you will fail.

206Teacher key|kī śhikṣhā lētē rahē̃gē tō pass with honour hōṅgē .

205If you continue to take the teachings of the Teacher, you will pass with honours.

207Vah haĩ had key|kī bātē̃ , yah haĩ bēhad key|kī bātē̃ .

206Those are limited matters and these are unlimited matters.

208Bhagvān kaun hai , duniyā mē̃ yah kiskō mālūm nahī̃ hai .

207No one in the world knows who God is.

209Māyā bhī satō rajō tamō hōtī hai .

208Maya is also sato, rajo and tamo.

210Ab māyā bhī tamōpradhān hai .

209Now, Maya too is tamopradhan.

211Dēkhō , kyā-kyā kartē rahtē haĩ .

210Look what they continue to do!

212Kōī mē̃ buddhi nahī̃ hai ki ham kiskō āg lagātē haĩ .

211Some don’t have the intellects to know what they are setting on fire.

213Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

212This is also fixed in the drama.

214Jō kuchh hōtā hai drama anusār hōtā hai .

213Whatever happens, it is according to the drama.

215Yādavō̃ kā plan , kauravō̃ kā plan aur pāṇḍavō̃ kā plan , kyā-kyā karat bhayē .

214What are the plans of the Yadavas, the Kauravas and the Pandavas? 215What are they all doing?

216Pāṇḍavō̃ kō ūñch tē ūñch plan batānē vālā hai bāp .

216It is the Father who shows the highest plan of all to the Pandavas.

217Naī duniyā mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .

217It used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan in the new world.

218Abhī purānī duniyā kā vināśh hōnā hai .

218The old world is now to be destroyed.

219Tum most beloved bāp sē most beloved bachchē varsā lē rahē hō .

219You most beloved children are claiming your inheritance from the most beloved Father.

220Bāp bigar kōī kah na sakē ki ham tumkō sāth lē jāyēṅgē .

220No one, apart from the Father, can say: I will take you back with Me.

221Vah kah dētē sab paramātmā hī paramātmā haĩ . 222Phir yah kahnā āyēgā kaisē .

221They say that all are forms of God; in that case, how could they say this?

223Yah sab bātē̃ tum bachchē hī jāntē hō aur na jānē kōī .

222Only you children know these things; no one else knows them.

224Achchhā .

223Achcha.

225Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

224To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

226Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

225The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

227Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

226Essence for dharna:

2281 ) vināśh key|kī bhāvī kō jān pūrā-pūrā śhrīmat par chalnā hai .

2271. Recognise that destruction is destined and follow shrimat fully.

229Yād K|kē bal sē viśhva kī bādśhāhī lēnē kā puruṣhārth karnā hai , apnī jagī huī jyōt sē sabkī jyōt jagākar sachchī dīpāvalī manānī hai .

228Make effort to claim the sovereignty of the world with the power of yoga. 229Ignite the light of everyone with your ignited light and celebrate the true Deepawali.

2302 ) stuti-nindā sab kuchh sahan kartē huē bāp samān pyār kā sāgar bannā hai .

2302. Tolerate everything - praise and defamation - and become an ocean of love, the same as the Father.

231Chalan baṛī royal rakhnī hai .

231Let your activity be very royal.

232Bāt bahut cum|kam karnī hai .

232Speak very little.

Blessing

233Vardān  : samay par her|har guṇ vā śhakti kō use karnē vālē anubhavī mūrt bhav

233Blessing: May you use all your virtues and powers at the right time and become an embodiment of experience.

234Brāhmaṇ jīvan key|kī viśhēṣhtā hai anubhav .

234A speciality of Brahmin life is experience.

235Agar ēk bhī guṇ vā śhakti key|kī anubhūti nahī̃ tō kabhī na kabhī vighna K|kē vaśh hō jāyēṅgē .

235If the experience of even one virtue or power is missing, then at one time or another, you will definitely be influenced by obstacles.

236Abhī anubhūti kā course śhurū karō .

236Now, begin the course of experience.

237Her|har guṇ vā śhakti rūpī khajānē kō use karō .

237Use the treasures of every virtue and power.

238Jis samay jis guṇ key|kī āvaśhyaktā hai us samay uskā svarūp ban jāō .

238Any time you need a particular virtue, become an embodiment of it at that time.

239Knowledge key|kī rīti sē buddhi K|kē lākar mē̃ khajānē kō rakh nahī̃ dō , use karō tab vijayī ban sakē̃gē aur vāh rē maĩ kā gīt sadā gātē rahē̃gē .

239Do not just keep your treasures as knowledge in the locker of your intellect, but use them and you will be able to become victorious and constantly continue to sing the song, “Wah re me” (The wonder of myself)

Slogan

240Slōgan  : nāzukapan K|kē saṅkalpō̃ kō samāpt kar śhaktiśhālī saṅkalp rachnē vālē hī double light rahtē haĩ .

240Slogan: Only those who finish delicate thoughts and create powerful thoughts remain double light.

241*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

241Yē avyakt iśhārē - parōpkār key|kī bhāvnā sē sampann ban apkārī par bhī upkār karō

242Avyakt Signal: Embrace the spirit of uplifting others and uplift those who have defamed you.

242Jō svayã kē prati ichchhā mātram avidyā hai , akhaṇḍ dānī hai , vahī parōpkārī hai .

243Those who are free of the knowledge of desires for themselves and are unending donors are the ones who uplift others.

243Jaisē bāp nē svayã kā samay bhī sēvā mē̃ diyā .

244The father gave his own time for service.

244Svayã nirmān ban bachchō̃ kō mān diyā .

245He himself was humble and gave respect to the children.

245Pahlē bachchē - nām bachchē kā kām apnā .

246“Children first!” 247Although it was the name of the children, it was his work.

246Kām K|kē nām key|kī prāpti kā bhī tyāg kiyā .

248He even renounced the attainment of any name for the work that he did.

247Nām mē̃ bhī parōkārī banē .

249Even through his name, he became one who uplifted others.

248Aisē follow father karō .

250Follow the father in the same way.