मंगलवार 20 अक्टूबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

020-10-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

020/10/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yōgbal sē vikārō̃ rūpī rāvaṇ par vijay prāpt kar sachchā-sachchā daśhaharā manāō ' '

1Essence: Sweet children, gain victory over Ravan, the vices, with the power of yoga and celebrate the true Dashera.

Question

2Praśhna  : rāmāyaṇ aur mahābhārat kā āpas mē̃ kyā connection hai  ?

2Question: What is the connection between the Ramayana and the Mahabharata?

3Daśhaharā kis bāt kō siddh kartā hai  ?

3What does Dashera indicate?

Answer

4Uttar  : daśhaharā hōnā mānā rāvaṇ khatm hōnā aur sītāō̃ kō chhuṭkārā milnā .

4Answer: Dashera means the end of Ravan and liberation of the Sitas.

5Lēkin daśhaharā manānē sē tō rāvaṇ sē chhuṭkārā miltā nahī̃ .

5However, you are not liberated from Ravan by celebrating Dashera.

6Jab mahābhārat hōtā hai tab sab sītāō̃ kō chhuṭkārā mil jātā hai .

6When the Mahabharata takes place, all the Sitas are liberated.

7Mahābhārat laṛāī sē rāvaṇrājya khatm hōtā hai tō rāmāyaṇ , mahābhārat aur gītā kā āpas mē̃ bahut gahrā connection hai .

7The kingdom of Ravan ends through the Mahabharat War and so the Ramayana, the Mahabharata and the Gita have a very deep connection.

Song

8Gīt  : mahaphil mē̃ jal uṭhī śhamā …

8Song: The Flame has ignited in the happy gathering of moths.

Murli

9Ōm śhānti .

9Om shanti.

10Bāp pharamātē haĩ ki tum hō brāhmaṇ sampradāy , tumkō ab daivī sampradāy nahī̃ kah saktē .

10The Father tells you that you are the Brahmin community. 11At present you cannot be called the deity community.

11Tum ab hō brāhmaṇ sampradāy , pīchhē daivī sampradāy bannē vālē hō .

12You are now the Brahmin community and later you will become the deity community.

12Yah jō rāmāyaṇ hai , āj ( daśhaharē par ) jaisē inkā rāmāyaṇ pūrā hōnē vālā hai parantu pūrā hōtā nahī̃ .

13Today, on the day of Dashera, their Ramayana is going to end. 14However, it doesn't really end.

13Agar rāvaṇ martā hai tō rāmāyaṇ key|kī kathā pūrī hōnī chāhiē , parantu hōtī nahī̃ hai .

15If Ravan dies, then the story of the Ramayana would come to an end, but it doesn't really end.

14Chhuṭkārā hōtā hai mahābhārat sē .

16It is through the Mahabharata that liberation is received.

15Ab yah bhī samajhnē key|kī bātē haĩ .

17These matters too have to be understood.

16Rāmāyaṇ kyā hai aur mahābhārat kyā hai  ?

18What is the Ramayana and what is the Mahabharata?

17Duniyā tō in bātō̃ kō jāntī nahī̃ .

19The world does not know these things.

18Rāmāyaṇ aur mahābhārat dōnō̃ kā connection hai .

20The Ramayana and the Mahabharata are connected with one another.

19Mahābhārat laṛāī sē rāvaṇ rājya khatm hōtā hai . 20Phir yah daśhaharā ādi manānē kā hī nahī̃ hai .

21After the kingdom of Ravan comes to an end through the Mahabharat War, there’ll be no need to celebrate Dashera etc.

21Gītā athavā mahābhārat bhī hai rāvaṇ rājya kō khatm karnē vālē .

22The Gita and the Mahabharata also destroy the kingdom of Ravan.

22Abhī tō time hai , taiyārī bhī hō rahī hai - vah hai hiṃsak , tumhārī hai ahiṃsak .

23Now, there is time and preparations are being made: theirs are violent whereas yours are non-violent.

23Tumhārī hai gītā , tum gītā kā gyān suntē hō .

24Yours is the Gita; you listen to this knowledge of the Gita.

24Ussē kyā hōnē kā hai  ?

25What will happen through that?

25Rāvaṇrājya khalās hōnē kā hai .

26The kingdom of Ravan will end.

26Vah bhal rāvaṇ kō mārtē haĩ parantu rāmrājya tō hōtā nahī̃ .

27Although they kill Ravan, that doesn't bring the kingdom of Rama.

27Ab rāmāyaṇ aur mahābhārat hai nā .

28There are the Ramayana and the Mahabharata.

28Tō mahābhārat hai rāvaṇ kō khalās karnē kē liē .

29The Mahabharata is for destroying Ravan.

29Yah baṛī guhya samajhnē key|kī bātē̃ haĩ ismē̃ viśhāl buddhi chāhiē .

30These are very deep matters that have to be understood. 31A very broad and unlimited intellect is needed for this.

30Bāp samjhātē haĩ mahābhārat laṛāī sē rāvaṇrājya khatm hōtā hai .

32The Father explains that the kingdom of Ravan is destroyed through the Mahabharat War.

31Aisē nahī̃ ki sirph rāvaṇ kō mārnē sē rāvaṇ rājya khatm hō jātā hai .

33It isn't that the kingdom of Ravan is destroyed just by Ravan being killed.

32Uskē liē tō saṅgam chāhiē .

34The confluence age is needed for that.

33Ab saṅgam hai .

35It is now the confluence age.

34Ab tum taiyārī kar rahē hō , rāvaṇ par vijay pānē key|kī .

36You are now making preparations for gaining victory over Ravan.

35Ismē̃ gyān K|kē astra śhastra chāhiē . 36Vah nahī̃ .

37It is the weapons of this knowledge, not physical weapons, that are needed for this.

37Jaisē dikhātē haĩ rāvaṇ aur rām key|kī yuddha huī .

38They have portrayed a battle between Rama and Ravan.

38Yah śhāstra sab hai bhakti mārg K|kē .

39All of those scriptures belong to the path of devotion.

39Abhī tum rāvaṇ rājya par vijay pātē hō yōgbal sē .

40You are now conquering the kingdom of Ravan with the power of yoga.

40Yah hō gaī gupta bāt .

41This is something incognito.

415 vikārō̃ rūpī rāvaṇ par tumhārī vijay hōtī hai .

42You gain victory over Ravan, the five vices.

42Kissē  ?

43How?

43Gītā sē .

44With the Gita.

44Bābā tumkō gītā sunā rahē haĩ .

45Baba is speaking the Gita to you.

45Bhāgavat tō hai nahī̃ .

46This isn't the Bhagawad.

46Bhāgavat mē̃ dikhātē haĩ kr̥iṣhṇa charitra . 47Kr̥iṣhṇa K|kē charitra tō kuchh haĩ nahī̃ .

47The divine activities of Shri Krishna are shown in the Bhagawad, but there are no divine activities of Shri Krishna.

48Tum jāntē hō jab vināśh hōgā , mahābhārī laṛāī lagēgī , unsē hī rāvaṇrājya khatm hō jāyēgā .

48You know that when the Mahabharat War and destruction take place, the kingdom of Ravan is destroyed through that.

49Sīṛhī mē̃ bhī dikhāyā gayā hai .

49This has also been shown in the picture of the ladder.

50Jab sē rāvaṇ rājya śhurū huā hai tab sē bhakti mārg huā hai .

50The path of devotion began at the time when the kingdom of Ravan began.

51Yah tum hī jāntē hō .

51Only you know this.

52Gītā kā connection mahābhārat laṛāī sē hai .

52The Gita is connected with the Mahabharat war.

53Tum gītā sunkar rājya pātē hō aur laṛāī lagtī hai saphāī kē liē .

53You listen to the Gita and attain the kingdom and the war takes place to cleanse the world.

54Bākī bhāgavat mē̃ charitra ādi phāltū haĩ .

54All the divine activities shown in the Bhagawad are without purpose.

55Śhiv purāṇ mē̃ kuchh bhī nahī̃ hai .

55There is nothing in the Shiva Purana.

56Nahī̃ tō gītā kā nām hōnā chāhiē śhiv purāṇ .

56Actually, the Gita should be called the Shiva Purana.

57Śhivbābā baiṭh gyān dētē haĩ - sabsē ūñchī hai gītā .

57Shiv Baba sits here and gives this knowledge. 58The highest is the Gita.

58Gītā sab śhāstrō̃ sē chhōṭī hai aur sab pustak bahut baṛē banāyē haĩ .

59The Gita is the smallest of all the scriptures because all other scriptures are quite large.

59Manuṣhyō̃ key|kī jīvan kahānī bhī bahut baṛī-baṛī banāī hai .

60They have created even larger volumes of the life stories of people.

60Nēhrū nē śharīr chhōṛā , unkē kitnē baṛē volume banātē haĩ .

61They created large volumes of the life story of Nehru when he died.

61Yah gītā śhivbābā K|kē volumes key|kī kitnī baṛī hōnī chāhiē .

62The Gita, relating volumes of Shiv Baba's life story, should be so large.

62Parantu gītā kitnī chhōṭī hai kyōṅki bāp sunātē hī ēk bāt haĩ ki mujhē yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē aur chakra kō samjhō . 63Bas , isliē gītā chhōṭī banā dī hai .

63However, the Gita is very small because the Father only says one thing: Remember Me and your sins will be destroyed. 64You must also understand the cycle; that's all. 65This is why the Gita is made so tiny.

64Yah gyān hai kaṇ " karnē kā .

66This knowledge is for learning by heart.

65Tumkō mālūm hai gītā kā locket banātē haĩ . 66Usmē̃ chhōṭē akṣhar hōtē haĩ .

67You know that people create lockets of the Gita and it has very tiny writing in it.

67Ab bābā bhī tumhārē galē mē̃ locket pahnātē haĩ - trimūrti aur rājāī kā .

68Baba also now puts lockets around your necks: that of the Trimurti and the kingdom.

68Bābā kahtē haĩ gītā hai dō akṣhar - alpha aur bē .

69Baba says: The Gita is two words: Alpha and beta.

69Yah hai gupta mantra kā locket manmanābhav . 70Mujhē yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē .

70This is the locket of the secret mantra of “Manmanabhav”: remember Me and your sins will be destroyed.

71Tumhārā kām hai yōgbal sē vijay pānā phir tumhārē liē saphāī bhī chāhiē .

71Your duty is to gain victory with the power of yoga, and then cleanliness is also needed for you.

72Bāp samjhātē haĩ ki tumhārē yōgbal sē hī rāvaṇrājya kā vināśh hōnā hai .

72The Father explains that the kingdom of Ravan is to be destroyed with the power of your yoga.

73Rāvaṇrājya kab śhurū huā hai , yah bhī jāntē nahī̃ .

73No one knows when the kingdom of Ravan began.

74Yah gyān baṛā sahaj hai . 75Second key|kī bāt hai nā .

74This knowledge is very easy; it is a matter of a second.

7684 janmō̃ key|kī sīṛhī mē̃ bhī itnē-itnē janma liē haĩ .

75In the picture of the ladder of 84 births, it is shown that you have taken so many births.

77Kitnā sahaj hai .

76It is so easy.

78Bāp hai gyān kā sāgar .

77The Father is the Ocean of Knowledge.

79Gyān sunātē hī ātē haĩ .

78He continues to speak this knowledge.

80Tum sab murlī K|kē kāgaj ikaṭṭhē karō tō ḍhēr hō jāē̃ .

79If you were to collect all the paper used for the murlis, there would be so much of it.

81Bāp detail mē̃ samjhātē haĩ .

80The Father explains to you in detail.

82Nutshell mē̃ tō kahtē haĩ - alpha kō yād karō .

81In a nutshell, He says: Remember Alpha.

83Bas bākī time kismē̃ lagātē haĩ  ?

82What else do you spend your time on?

84Tumhārē sir par pāpō̃ kā bōjhā bahut hai .

83Each of you has a huge burden of sins on your head.

85Vah yād sē hī utarnā hai , ismē̃ mēhnat lagtī hai .

84It can only be removed with remembrance. 85This requires effort.

86Ghaṛī-ghaṛī tum bhūl jātē hō .

86You repeatedly forget.

87Tum bābā kō yād kartē rahō tō kabhī vighna nahī̃ paṛē̃gē .

87If you continued to remember Baba, you would never have any obstacles.

88Dēh-abhimānī bannē sē vighna paṛtē haĩ .

88When you become body conscious, you experience obstacles.

89Dēhī-abhimānī bantē hō ant mē̃ .

89You become soul conscious at the end.

90Phir ādhākalp kuchh vighna nahī̃ paṛtā .

90Then, for half the cycle there will be no obstacles.

91Yah kitnī guhya bātē̃ haĩ samajhnē key|kī .

91These are such deep matters and they have to be understood.

92Śhurū sē lēkar kitnā sunātē āyē haĩ phir bhī kahtē haĩ sirph alpha bē kō yād karō .

92Baba has been telling you so much from the beginning and, in spite of that, He says: Simply remember Alpha and beta.

93Bas .

93That's all.

94Jhāṛ kā hai vistār . 95Bīj tō chhōṭē sē chhōṭā hōtā hai .

94The tree has a lot of expansion, whereas its seed is the tiniest of all.

96Jhāṛ kitnā baṛā nikaltā hai .

95Such a big tree grows from it.

97Āj daśhaharā hai nā .

96Today, it is Dashera.

98Ab bābā samjhātē haĩ - rāmāyaṇ kā mahābhārat sē kyā sambandh hai .

97Baba now explains to you what the relationship between the Ramayana and the Mahabharata is.

99Rāmāyaṇ tō bhakti mārg kā hai .

98The Ramayana belongs to the path of devotion.

100Ādhākalp sē chalā ātā hai .

99It has continued for half the cycle.

101Gōyā ab rāvaṇrājya chal rahā hai .

100Which means that it is now the kingdom of Ravan.

102Phir mahābhārat āyēgā tō rāvaṇ rājya khatm hō rāmrājya śhurū hō jāyēgā .

101Then, when the Mahabharata takes place, the kingdom of Ravan comes to an end and the kingdom of Rama begins.

103Rāmāyaṇ aur mahābhārat mē̃ kyā fark hai  ?

102What is the difference between the Ramayana and the Mahabharata?

104Rāmrājya key|kī sthāpanā aur rāvaṇrājya kā vināśh hōnē kā hai .

103The kingdom of Rama has to be established and the kingdom of Ravan has to be destroyed.

105Gītā sunkar tum viśhva kā mālik bannē lāyak bantē hō .

104By listening to the Gita, you become worthy of becoming the masters of the world.

106Gītā aur mahābhārat bhī hai abhī kē liē . 107Rāvaṇrājya khatm hōnē kē liē .

105The Gita and the Mahabharata are for the present time, when the kingdom of Ravan is to be destroyed.

108Bākī unhōnnē jō laṛāī dikhāī hai vah wrong hai .

106The war they have portrayed is wrong.

109Laṛāī hai 5 vikārō̃ par jīt pānē key|kī .

107The war is for conquering the five vices.

110Tumkō bāp gītā K|kē dō akṣhar sunātē haĩ manamanābhav-madhyājī bhav .

108The Father is telling you two words from the Gita: “Manmanabhav” and “Madhyajibhav”.

111Gītā K|kē śhurū mē̃ aur ant mē̃ yah dō akṣhar ātē haĩ .

109These two terms appear at the beginning and the end of the Gita.

112Bachchē samajhtē haĩ - barōbar gītā kā episode chal rahā hai .

110You children understand that the episode of the Gita is now truly being performed.

113Parantu kiskō kahē̃gē tō kahē̃gē kr̥iṣhṇa kahā̃ hai  ?

111However, if you told this to someone, he would ask: But where is Shri Krishna?

114Bābā key|kī samjhānī aur bhakti mārg K|kē śhāstrō̃ mē̃ kitnā phark hai .

112There is so much difference between the explanation Baba gives us and what the scriptures of the path of devotion say.

115Yah kōī nahī̃ jāntā - ki yah rāmāyaṇ kyā hai  ? 116Mahābhārat kyā hai  ?

113No one knows what the Ramayana is or what the Mahabharata is.

117Mahābhārat laṛāī kē bād hī svarg K|kē dvār khultē haĩ . 118Parantu manuṣhya yah samajhē̃gē nahī̃ , isliē tum parichay hī bāp kā dō .

114It is only after the Mahabharat War that the gates to heaven open, but people do not understand this. 115Therefore, just give the Father's introduction.

119Bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō .

116The Father says: Constantly remember Me alone.

120Yah bāp sārī duniyā kē liē kahtē haĩ .

117The Father says this to the whole world.

121Ēk gītā kō hī khaṇḍan kiyā hai .

118The one Gita has been falsified.

122Gītā kā sabhī bhāṣhāō̃ mē̃ prachār hai .

119The Gita is preached in every language.

123Tumhārē rājya mē̃ bhāṣhā hī ēk hōgī .

120There will just be the one language in your kingdom.

124Vahā̃ kōī śhāstra pustak ādi nahī̃ hōgā .

121There won't be any scriptures or books there.

125Vahā̃ bhakti mārg key|kī kōī bāt nahī̃ rahtī .

122Nothing to do with the path of devotion exists there.

126Bhārat kā tailuk hai hī rāmāyaṇ , mahābhārat aur gītā sē .

123Bharat has a connection with the Ramayana, the Mahabharata and the Gita.

127Bhagvān tō bachchō̃ kō gītā sunātē haĩ , jissē tum svarg K|kē mālik bantē hō .

124God speaks the Gita to His children through which they become the masters of heaven.

128Mahābhārat laṛāī jarūr lagnī chāhiē , jō patit duniyā khatm hō jāē .

125The Mahabharat War definitely has to take place so that the impure world can be destroyed.

129Gītā sē tum pāvan bantē hō .

126You become pure through the Gita.

130Patit-pāvan bhagvān ātē hī ant mē̃ haĩ .

127God, the Purifier, only comes at the end.

131Kahtē haĩ kām mahāśhatru hai , is par vijay pānī hai .

128He says: Lust is the greatest enemy and you have to conquer it.

132Kām vikār sē kabhī hār nahī̃ khānī hai , insē bahut nuksān hōtā hai .

129Never be defeated by the vice of lust; it causes a lot of damage.

133Vikārō̃ K|kē pichhāṛī baṛē-baṛē nāmīgrāmī , ministers ādi bhī apnā nām badnām kartē haĩ .

130Well-known people, ministers etc. are defamed because of lust.

134Kām K|kē pichhāṛī bahut kharāb hōtē haĩ isliē bāp samjhātē haĩ - bābā kē pās javān-javān bachchē ātē haĩ . 135Aisē bahut haĩ jō brahmcharya mē̃ rahtē haĩ .

131Many people are spoilt because of lust. 132This is why the Father explains: Many young people who observe celibacy come to Baba.

136Sārī āyu śhādī nahī̃ kartē haĩ .

133They never get married.

137Females bhī hōtī haĩ .

134There are also females who live like that.

138Nuns kab vikār mē̃ nahī̃ jātī . 139Parantu ussē kōī prāpti hai nahī̃ .

135Nuns never indulge in vice, but they have no attainment by living like that.

140Yahā̃ tō bāt hai pavitra ban janma-janmāntar svarg K|kē mālik bannē key|kī .

136Here, it is a matter of becoming pure and becoming the masters of heaven for birth after birth.

141Janma-janmāntar K|kē pāpō̃ kā bōjhā sir par hai .

137A burden of the sins of many births is on each one’s head.

142Vah jab kaṭē tab svarg mē̃ chalē̃ .

138Only when those sins are cut away can you go to heaven.

143Yahā̃ manuṣhya pāp kartē rahtē haĩ .

139Here, people continue to commit sin.

144Karkē ēk janm kōī sannyāsī bantē haĩ , janm tō vikār sē lētē haĩ .

140Perhaps a sannyasi does become pure for one birth, but he still has to take birth through vice.

145Rāvaṇrājya mē̃ vikār bigar janm hōtā nahī̃ .

141No one in the kingdom of Ravan can take birth without vice.

146Pūchhtē haĩ , vahā̃ janm kaisē hōgā  ?

142Some ask: How will birth take place there?

147Yōgbal kiskō kahā jātā hai  ?

143What is the power of yoga?

148Yah pūchhnē key|kī darkār nahī̃ hai .

144There is no need to ask these questions.

149Hai hī sampūrṇ nirvikārī duniyā .

145That world is completely viceless.

150Rāvaṇ rājya hī nahī̃ tō praśhna u " nahī̃ saktā .

146The kingdom of Ravan doesn't exist there, so this question doesn't arise.

151Sab sākṣhātkār hōṅgē .

147You will have visions of everything.

152Jab būṛhē hōtē haĩ tō yah sākṣhātkār hōtā hai ki jākar bachchā banū̃gā . 153Mātā K|kē garbh mē̃ jāūṅgā .

148When someone becomes old there, he will have a vision of how he is to become a baby again, of how he will enter his mother's womb.

154Yah nahī̃ mālūm rahtā ki phalānē ghar jāūṅgā .

149He isn't aware of which home he will go to.

155Sirph ab chhōṭā bachchā bannā hai , mōr aur ḍēl kā misāl hai . 156Āṅkhō̃ K|kē āṅsū sē garbh hōtā hai .

150He is just aware that he is to become a baby again. 151There is the example of the peacock and peahen: the peahen conceives when the peacock sheds tears.

157Papītē K|kē jhāṛ mē̃ bhī ēk male|mail|mēl , ēk female kā jhāṛ hōtā hai . 158Ēk dō K|kē bājū mē̃ hōnē sē phal dētē haĩ .

152Male and female papaya trees are also planted next to one another so that those trees can bear fruit.

159Yah bhī wonder hai .

153This is a wonder.

160Jab jaṛ chījō̃ mē̃ bhī aisā hai tō chaitanya mē̃ satyug mē̃ kyā nahī̃ hō saktā hai .

154Since it is like this with non-living things, what is not possible with living forms in the golden age?

161Yah sab detail āgē chalkar samajh mē̃ ā jāyēgā .

155You will understand all of these detailed matters as you make further progress.

162Mukhya bāt hai tum bāp kō yād kar tamōpradhān sē satōpradhān ban varsā tō lē lō .

156The main thing is for you to remember the Father so that you can become satopradhan from tamopradhan and claim your inheritance.

163Phir vahā̃ key|kī rasam jō hōgī sō dēkhē̃gē .

157You will then be able to see the systems and customs of that place later.

164Tum yōgbal sē viśhva K|kē mālik bantē hō , tō bachchā kyō̃ nahī̃ paidā hō saktā .

158You become the masters of the world through the power of yoga, so why couldn’t children be born through it?

165Aisē-aisē praśhna bahut pūchhtē haĩ phir kōī bāt mē̃ javāb pūrā nahī̃ milā tō gir paṛtē .

159Many people ask such questions and when they don't receive a proper response, they fall.

166Thōṛī bāt par bhī sanśhay ā jātā hai .

160They have doubts over trivial matters.

167Śhāstrō̃ mē̃ aisī kōī bātē̃ haĩ nahī̃ .

161There are no such things in the scriptures.

168Śhāstra haĩ bhakti mārg K|kē .

162The scriptures belong to the path of devotion.

169Parampitā paramātmā ākar brāhmaṇ dharm , sūryavanśhī chandravanśhī dharm key|kī sthāpanā kartē haĩ .

163The Supreme Father, the Supreme Soul, comes and establishes the Brahmin, sun-dynasty and moon-dynasty religions.

170Tum brāhmaṇ hō saṅgamyugī , bābā kō saṅgamyug par ānā paṛtā hai .

164Brahmins belong to the confluence age. 165Baba has to come at the confluence age.

171Pukārtē bhī haĩ hē patit-pāvan āō .

166People call out: O Purifier, come!

172Us taraph vālē kahtē haĩ hē liberator , duḥkh sē liberate karō .

167People say: O Liberator, liberate us from our sorrow!

173Duḥkh dētē kaun haĩ - yah bhī unhō̃ kō mālūm nahī̃ .

168They don't know who makes them suffer.

174Tum jāntē hō rāvaṇrājya khatm hōtā hai .

169You know that the kingdom of Ravan is coming to an end.

175Tumkō bābā rājyōg sikhlātē haĩ .

170Baba is teaching you Raja Yoga.

176Jab paṛhāī pūrī hōtī hai tab vināśh hōtā hai , jiskā nām mahābhārat rakhā hai .

171Destruction takes place when your study comes to an end and this is called the Mahabharata.

177Mahābhārat mē̃ rāvaṇ rājya khatm hōtā hai .

172The kingdom of Ravan is destroyed through the Mahabharata.

178Daśhaharē mē̃ ēk rāvaṇ kō khatm kartē haĩ .

173At Dashera, they just burn an effigy of Ravan.

179Vah haĩ had key|kī bātē̃ . 180Yah haĩ bēhad key|kī bātē̃ .

174That is a limited aspect, whereas this is an unlimited aspect.

181Yah sārī duniyā khatm hō jāyēgī .

175The whole world is to be destroyed.

182Itnī chhōṭī-chhōṭī bachchiyā̃ knowledge kitnī baṛī lē rahī hō .

176Such small daughters are receiving such great knowledge!

183Vah jismānī knowledge jaisē ghāslēṭ hai , yah hai sachchā ghī .

177Worldly knowledge is like paraffin or kerosene, whereas this knowledge is like real ghee (purified butter).

184Tō rāt-din kā phark hai nā .

178There is the difference of day and night.

185Rāvaṇ rājya mē̃ tumkō ghāslēṭ khānā paṛtā hai .

179In the kingdom of Ravan, you have to eat oil.

186Āgē itnā sastā sachchā ghī miltā thā , phir mahaṅgā hō gayā tō ghāslēṭ ( tēl ) khānā paṛā .

180Earlier, ghee was pure and cheap but it has now become expensive and so you have to eat oil.

187Yah gas , bijlī ādi pahlē kuchh bhī nahī̃ thā .

181Gas and electricity didn’t exist previously.

188Thōṛē hī varṣhō̃ mē̃ kitnā fark paṛā hai .

182So many things have changed in the last few years.

189Abhī tum jāntē hō sab khatm hōnē vālā hai .

183You know that all this is now to be destroyed.

190Śhivbābā hamē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā bannē kē liē paṛhā rahē haĩ .

184Shiv Baba is teaching us in order to make us become like Lakshmi and Narayan.

191Yah naśhā is bābā kō tō bahut rahtā hai .

185This Baba has this intoxication a great deal.

192Bachchō̃ kō māyā bhulā dētī hai .

186Maya makes you children forget.

193Jab kahtē haĩ ham bābā sē varsā lēnē āyē haĩ tō vah naśhā kyō̃ nahī̃ chaṛhtā  !

187Since you say that you have come to claim your inheritance from Baba, why do you not feel intoxicated?

194Sweet home , sweet rājdhānī bhūl jātī hai .

188You forget your sweet home and your sweet kingdom.

195Bābā jāntē haĩ jō jō haḍḍī service kartē haĩ vahī mahārājkumār banē̃gē .

189Baba knows that those who do service with their bones will become great princes.

196Tumkō yah naśhā kyō̃ nahī̃ rahtā hai  ?

190Why do you not feel this intoxication?

197Kyōṅki yād mē̃ nahī̃ rahtē haĩ .

191It is because you don't stay in remembrance.

198Service mē̃ pūrā tatpar nahī̃ rahtē haĩ .

192You don’t remain fully engaged in doing service.

199Kabhī tō service mē̃ uchhal paṛtē , kabhī " ṇḍē hō jātē .

193Sometimes, you have great enthusiasm for doing service, whereas at other times you become slack.

200Yah har ēk apnē sē pūchhō - aisā hōtā hai nā .

194Each of you can ask yourself to see if this is what happens.

201Kabhī-kabhī bhūlē̃ bhī hō jātī hai , isliē bābā samjhātē haĩ .

195Sometimes, you make mistakes and this is why Baba has to explain to you.

202Jabān baṛī mīṭhī chāhiē , sabkō rāzī karnā hai .

196You have to speak very sweetly and make everyone happy.

203Kiskō āvēśh na āyē .

197No one should react forcefully.

204Bāp kitnā pyār kā sāgar hai .

198The Father is the Ocean of Love.

205Ab gaū kōs band karānē kē liē kitnā māthā mārtē haĩ .

199People are now beating their heads so much to stop the slaughter of cows.

206Bābā kahtē haĩ sabsē baṛā kōs hai kām kaṭārī chalānā .

200Baba says: The greatest slaughter is to use the sword of lust.

207Pahlē tō vah band karō .

201First put an end to that.

208Bākī vah kōī band hōnē kā nahī̃ hai , kitnā māthā mārtē haĩ . 209Yah kām kaṭārī dōnō̃ kō nahī̃ chalānā chāhiē .

202The other slaughter is not going to end no matter how much they beat their heads, and the sword of lust should not be used either.

210Kahā̃ manuṣhyō̃ key|kī bāt , kahā̃ bāp key|kī bāt .

203There is so much difference between what people say and what the Father says.

211Jō kām vikār kō jītē̃gē vahī pavitra duniyā kā mālik banē̃gē .

204Those who conquer lust will become the masters of the pure world.

212Achchhā  !

205Achcha.

213Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

206To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

214Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

207The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

215Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

208Essence for dharna:

2161 ) bāp samān pyār kā sāgar bannā hai .

2091. Become an ocean of love equal to the Father.

217Kabhī bhī āvēśh mē̃ nahī̃ ānā hai .

210Never be forceful.

218Apnī jabān baṛī mīṭhī rakhnī hai . 219Sabkō rāzī karnā hai .

211Speak very sweetly and make everyone happy.

2202 ) haḍḍī service karnī hai .

2122. Do service with your bones.

221Naśhē mē̃ rahnā hai ki ab yah purānā śharīr chhōṛ jākar prince-princess banē̃gē .

213Maintain the intoxication that you will shed your old body and become a prince or princess.

Blessing

222Vardān  : dēhī-abhimānī sthiti mē̃ sthit hō sadā viśhēṣh part bajānē vālē santuṣhṭamaṇi bhav

214Blessing: May you be a jewel of contentment and remain stable in your soul-conscious stage, always playing a special part.

223Jō bachchē viśhēṣh pārṭdhārī haĩ unkī her|har act viśhēṣh hōtī , kōī bhī karma sādhāraṇ nahī̃ hōtā .

215Every act of the children who are special actors is special. 216None of their acts are ordinary.

224Sādhāraṇ ātmā kōī bhī karma dēh-abhimānī hōkar karēgī aur viśhēṣh ātmā dēhī-abhimānī bankar karēgī .

217Ordinary souls will perform any act while being body conscious, whereas special souls will perform every act in soul consciousness.

225Jō dēhī-abhimānī sthiti mē̃ sthit rahkar karma kartē haĩ vē|way svayã bhī sadā santuṣhṭ rahtē haĩ aur dūsrō̃ kō bhī santuṣhṭ kartē haĩ isliē unhē̃ santuṣhṭamaṇi kā vardān svataḥ prāpt hō jātā hai .

218Those who act while being stable in soul consciousness remain constantly content and they also make others content. 219This is how they automatically receive the blessing of being jewels of contentment.

Slogan

226Slōgan  : prayōgī ātmā ban yōg K|kē prayōg sē sarv khajānō̃ kō baṛhātē chalō .

220Slogan: Be a soul who experiments and continue to increase all your treasures with the experimentation of yoga.

221*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

227Yē avyakt iśhārē - parōpkār key|kī bhāvnā sē sampann ban apkārī par bhī upkār karō

222Avyakt Signal: Embrace the spirit of uplifting others and uplift those who have defamed you.

228Kalyāṇkārī bhāvnā vā vr̥itti rakhkar kōī bhī ātmā key|kī pālnā karō tō kaisī bhī apkārī ātmā kō apnī pālnā sē upkārī banā saktē hō .

223You can sustain any soul with your benevolent attitude and feelings. 224No matter how much a soul defames you, you can make that soul into one who uplifts others with the sustenance you give him.

229Kaisī bhī patit ātmā , patit-pāvan key|kī vr̥itti sē pāvan hō saktī hai .

225No matter how impure a soul may be, you can purify the soul with your attitude of a purifier.

230Jaisē mā̃ bachchē key|kī kamjōriyō̃ vā kamiyō̃ kō nahī̃ dēkhtī hai .

226A mother never looks at the weaknesses or defects of her children.

231Unkō ṭhīk karnē kā hī rahtā hai .

227She always has the feeling of putting them right.

232Tō yah pālnā karnē kā kartavya is rūp mē̃ sthit rahnē sē yathārth chal saktā hai .

228Similarly, stabilise in your form of a sustainer for others and you will then be able to continue to make accurate progress.