बुधवार 21 अक्टूबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

021-10-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

021/10/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yōg agni sē pāpō̃ kō bhasma kar sampūrṇ satōpradhān bannā hai , kōī bhī pāp karma nahī̃ karnā hai ' '

1Essence: Sweet children, have your sins burnt away in the fire of yoga and become completely satopradhan. 2Don't perform any sinful actions.

Question

2Praśhna  : satyug mē̃ ūñch pad kis ādhār par miltā hai  ?

3Question: On what basis do you receive an elevated status in the golden age?

3Yahā̃ kā kaun sā kāydā sabkō sunāō  ?

4What system of this place should you tell everyone about?

Answer

4Uttar  : satyug mē̃ pavitratā K|kē ādhār par ūñch pad miltā hai .

5Answer: An elevated status is received in the golden age on the basis of your purity.

5Jō pavitratā key|kī cum|kam dhārṇā kartē haĩ vah satyug mē̃ dērī sē ātē haĩ aur pad bhī cum|kam pātē haĩ .

6Those who imbibe purity to a lesser extent go to the golden age later and receive a low status.

6Yahā̃ jab kōī ātā hai tō unhē̃ kāydā sunāō - dē dān tō chhūṭē grahaṇ .

7When anyone comes here, tell them about the system: When you make a donation, the omens of an eclipse can be removed.

75 vikārō̃ kā dān dō tō tum 16 kalā sampūrṇ ban jāyēṅgē .

8Make the donation of the five vices and you will become 16 celestial degrees full.

8Tum bachchē bhī apnī dil sē pūchhō ki hamārē mē̃ kōī vikār tō nahī̃ haĩ  ?

9Each of you children should ask your heart: Do I have any vices in me?

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Rūhānī bāp rūhānī bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki manuṣhyō̃ kō kaisē samjhāō ki ab svarg key|kī sthāpanā hō rahī hai .

11The spiritual Father explains to you spiritual children how you should explain to human beings that heaven is now being established.

115 hajār varṣh pahlē bhī bhārat mē̃ svarg thā .

12Heaven also existed in Bharat 5000 years ago.

12Lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .

13It used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan.

13Vichār karnā chāhiē , us samay kitnē manuṣhya thē .

14You should think about how many people there were then.

14Satyug ādi mē̃ bahut karkē 9-10 lākh hōṅgē .

15At the beginning of the golden age, there would be 900,000 to a million at the most.

15Śhurūāt mē̃ jhāṛ chhōṭā hī hōtā hai .

16The tree is small to begin with.

16Is samay jabki kaliyug kā ant hai tō kitnā baṛā jhāḍ hō gayā hai , ab iskā vināśh bhī jarūr hōnā hai .

17At this time, at the end of the iron age, the tree has grown so large; it definitely now has to be destroyed.

17Bachchē samajhtē haĩ yah vahī mahābhārat laṛāī hai .

18You children understand that this is the same Mahabharat War.

18Is samay hī gītā K|kē bhagvān nē rājyōg sikhāyā aur dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā key|kī .

19It was at this time that the God of the Gita taught Raja Yoga and established the deity religion.

19Saṅgam par hī anēk dharmō̃ kā vināśh , ēk dharm key|kī sthāpanā huī thī .

20It was at the confluence age that the innumerable religions were destroyed and the one religion was established.

20Bachchē yah bhī jāntē haĩ ki āj sē 5 hajār varṣh pahlē bhārat svarg thā aur kōī dharm nahī̃ thā .

21You children also know that 5000 years ago Bharat was heaven and there were no other religions.

21Aisī naī duniyā sthāpan karnē bāp saṅgam par ātē haĩ .

22The Father comes at the confluence age to establish such a new world.

22Ab vah sthāpan hō rahī hai . 23Purānī duniyā vināśh hō jāyēgī .

23It is now being established and the old world is to be destroyed.

24Satyug mē̃ ēk hī bhārat khaṇḍ thā aur kōī khaṇḍ thā nahī̃ .

24In the golden age, there was just the one land of Bharat; there were no other lands.

25Abhī tō kitnē khaṇḍ haĩ .

25Now, there are so many lands.

26Bhārat khaṇḍ bhī hai parantu ismē̃ ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hai nahī̃ . 27Vah prāyaḥ lōp hō gayā hai .

26The land of Bharat also exists but the original eternal deity dharma doesn't exist; it has disappeared.

28Ab phir parampitā paramātmā brahmā dvārā sthāpanā kar rahē haĩ .

27The Supreme Father, the Supreme Soul, is now once again establishing it through Brahma.

29Bākī sab dharm vināśh hō jātē haĩ .

28All other dharmas are to be destroyed.

30Yah tō yād rakhnā hai ki satyug trētā mē̃ kōī aur rājya nahī̃ thā aur sab dharm abhī āyē haĩ .

29You have to remember that there were no other kingdoms in the golden and silver ages. 30All the other dharmas came into existence later too.

31Kitnā duḥkh aśhānti mārāmārī hai .

31There is so much sorrow, peacelessness and violence.

32Mahābhārī mahābhārat laṛāī bhī vahī hai .

32It is the same great Mahabharat War.

33Ēk taraph europe-vasi yādav bhī haĩ .

33On the one side, there are the Yadavas, the residents of Europe.

345 hajār varṣh pahlē bhī inhōnnē mūsalō̃ key|kī ( missiles key|kī ) invention kī thī .

34They also invented the missiles 5000 years ago.

35Kaurav pāṇḍav bhī thē .

35There were also the Kauravas and the Pandavas.

36Pāṇḍavō̃ key|kī taraph khud parampitā paramātmā madadgār thā .

36The Supreme Father, the Supreme Soul, was the Helper of the Pandavas.

37Sabhī kō yahī kahā ki gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē mujhē yād karnē sē tumhārē pāp baṛhē̃gē nahī̃ aur past K|kē vikarma vināśh hōṅgē .

37He told everyone: By living at home and remembering Me, your sins will not increase and the sins of the past will be destroyed.

38Abhī bāp samjhātē haĩ , tum hī bhāratvāsī satyug mē̃ jō satōpradhān thē , vah is samay 84 janm lētē-lētē ab tumhārī ātmā tamōpradhān ban gaī hai .

38The Father even now explains: You people of Bharat, who were satopradhan in the golden age, have now become tamopradhan while taking 84 births.

39Ab satōpradhān kaisē banē̃ .

39Now, how can you become satopradhan?

40Satōpradhān tab banē̃gē jab mujh patit-pāvan bāp kō yād karē̃gē .

40Only when you remember Me, the Purifier Father, will you become satopradhan.

41Is yōg agni sē hī pāp bhasma hōṅgē aur ātmā satōpradhān ban jāyēgī .

41Only in this fire of yoga will your sins be burnt away and you souls will become satopradhan.

42Aur phir svarg mē̃ 21 janmō̃ kē liē varsā pāyēṅgē .

42You will then receive your inheritance for 21 births in heaven.

43Bākī is purānī duniyā kā vināśh tō hōnā hī hai .

43However, this old world has to be destroyed.

44Bhārat satyug mē̃ śhrēṣhṭhāchārī thā aur sr̥iṣhṭi K|kē ādi mē̃ bahut thōṛē manuṣhya thē .

44Bharat was elevated in the golden age and there were very few human beings at the beginning of the new world.

45Bhārat svarg thā , dūsrē kōī khaṇḍ nahī̃ thē .

45Bharat was heaven and there were no other lands.

46Abhī aur dharm baṛhtē-baṛhtē jhāṛ kitnā baṛā hō gayā hai aur tamōpradhān jaṛ jaṛībhūt hō gayā hai .

46Now, all the other religions have been increasing and the tree has grown so large, tamopradhan and reached a state of total decay.

47Ab is tamōpradhān jhāṛ kā vināśh aur naī dēvī-dēvtā dharm K|kē jhāṛ key|kī sthāpanā jarūr chāhiē .

47There now has to be the destruction of this tamopradhan tree and the establishment of the new tree of the deity dharma.

48Saṅgam par hī hōgā .

48This only takes place at the confluence age.

49Abhī tum hō saṅgam par .

49You are now at the confluence age.

50Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm kā abhī sapling lag rahā hai .

50The sapling of the original eternal deity religion is now being planted.

51Patit manuṣhyō̃ kō bāp pāvan banā rahē haĩ , vah phir dēvtā banē̃gē .

51Impure human beings are being purified by the Father and they will then become deities.

52Jō pahlē number mē̃ thē jinhōnnē 84 janma liē haĩ . 53Vahī phir pahlē number mē̃ āyēṅgē .

52Those who were the number one souls and took 84 births will become the number one souls again.

54Sabsē pahlē-pahlē dēvī-dēvatāō̃ kā part thā .

53First of all, there were the parts of the deities.

55Vahī pahlē bichhuṛē haĩ .

54They are the ones who became separated first.

56Phir unhō̃ kā hī part hōnā chāhiē nā .

55Their parts have to come again.

57Satyug mē̃ haĩ hī sarvguṇ sampann … abhī hai vicious world , rāt-din kā fark hai .

56In the golden age, they are full of all virtues. 57This is now the vicious world. 58There is the difference of day and night.

58Abhī vicious world kō viceless world kaun banāyē .

59Who would make the vicious world viceless?

59Pukārtē bhī haĩ hē pāvan banānē vālē āō .

60People call out: O Purifier, come!

60Abhī vah āyā hai .

61He has now come.

61Bāp kahtē haĩ - ham tumkō viceless banā rahē haĩ .

62The Father says: I am now making you viceless.

62Is vicious duniyā K|kē vināśh kē liē laṛāī lagnī hai .

63The war has to take place for the destruction of this vicious world.

63Ab vah kahtē haĩ ēk mat kaisē hō kyōṅki abhī anēk mat haĩ nā .

64They ask how can there be one belief when there are now innumerable beliefs.

64Anēk itnē mat-matāntarō̃ K|kē andar ēk dharm key|kī mat kaun sthāpan karē .

65Who can establish belief in one dharma when there are so many different beliefs?

65Bāp samjhātē haĩ abhī ēk mat key|kī sthāpanā hō rahī hai . 66Bākī sab vināśh hō jāyēṅgē .

66The Father explains: The one belief is now being established and all the rest will be destroyed.

67Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm vālē jō pāvan thē , vahī phir 84 janm bhōg ab patit banē haĩ .

67Those who were pure and belonged to the original eternal deity religion have taken 84 births and become impure.

68Phir bāp ākar bhāratvāsiyō̃ kō phir sē svarg kā varsā dē rahē haĩ arthāt asur sē dēvtā banā rahē haĩ .

68The Father comes and once again gives the people of Bharat the inheritance of heaven, that is, He is making devils into deities.

69Tum kiskō bhī samjhā saktē hō ki bāp kahtē haĩ mujhē yād karō tō tum patit sē pāvan ban jāyēṅgē .

69You can explain to anyone: The Father says: Remember Me and you will become pure from impure.

70Ab tum gyān chitā par baiṭhō .

70You are now sitting on the pyre of this knowledge.

71Chitā par baiṭhnē sē tum pāvan ban jātē hō .

71By sitting on this pyre you become pure.

72Phir dvāpar mē̃ rāvaṇ rājya hōnē kāraṇ kām chitā par baiṭhtē-baiṭhtē bhraṣhṭāchārī duniyā ban gaī hai .

72In the copper age, when it becomes the kingdom of Ravan, you sit on the pyre of lust and the world becomes corrupt.

73Āj sē 5 hajār varṣh pahlē dēvī-dēvtā thē . 74Thōṛē manuṣhya thē .

73The deities existed 5000 years ago and there were few people.

75Abhī tō kitnē āsurī ban paṛē haĩ .

74Now, they are so devilish.

76Aur dharm bhī add hō jhāṛ baṛā hō gayā hai .

75Other dharmas have been added and the tree has grown large.

77Bāp samjhātē haĩ jhāṛ jaṛjaṛībhūt hō gayā hai .

76The Father explains: The tree has reached a state of total decay.

78Ab phir mujhē ēk mat kā rājya sthāpan karnā hai .

77I now have to establish the kingdom of one belief.

79Bhāratvāsī kahtē bhī haĩ ēk dharm mē̃ ēk mat hō .

78The people of Bharat say that there should be one belief in one dharma.

80Yah bhāratvāsī bhūl gayē haĩ ki satyug mē̃ ēk hī dharm thā .

79They have forgotten that there was just the one dharma in the golden age.

81Yahā̃ tō anēk dharm haĩ .

80Here, there are innumerable dharmas.

82Ab bāp ākar phir sē ēk dharm sthāpan kar rahē haĩ .

81The Father has come and is once again establishing that one dharma.

83Tum bachchē rājyōg sīkh rahē hō .

82You children are now studying Raja Yoga.

84Jarūr bhagvān hī rājyōg sikhāyēṅgē .

83Certainly, only God would teach Raja Yoga.

85Yah kiskō patā nahī̃ hai .

84No one knows this.

86Pradarśhanī kā udghāṭan jab kōī karnē ātē haĩ tō unkō bhī samjhānā chāhiē - tum kiskā udghāṭan kartē hō . 87Bāp is bhārat kō svarg banā rahē haĩ .

85When someone comes to inaugurate an exhibition, you should explain to him what he is inaugurating: The Father is making this Bharat into heaven.

88Bākī narkvāsī sab vināśh hō jāyēṅgē .

86All the residents of hell are to be destroyed.

89Vināśh K|kē pahlē jinkō bāp sē varsā lēnā hai tō ākar samajhē̃ .

87Those who want to claim their inheritance from the Father before destruction takes place must come and understand.

90Yah be|B . K|kē . kā jō āśhram hai yah hai quarantine class , yahā̃ 7 rōz class karnā hai tāki 5 vikār nikal jāē̃ .

88The ashram of the BKs is a quarantine class. 89You have to take the class here for seven days so that the five vices can be removed.

91Dēvtāō̃ mē̃ yah 5 vikār hōtē nahī̃ .

90Deities don't have these five vices.

92Ab yahā̃ 5 vikārō̃ kā dān dēnā hai , tab grahaṇ chhūṭēgā .

91You now have to donate the five vices here, for only then will the eclipse be removed.

93Dē dān tō chhūṭē grahaṇ .

92Make that donation and the omens of the eclipse will be removed.

94Phir tum 16 kalā sampūrṇ ban jāyēṅgē .

93You will then become 16 celestial degrees full.

95Bhārat satyug mē̃ 16 kalā sampūrṇ thā , abhī tō kōī kalā nahī̃ rahī hai .

94Bharat was 16 celestial degrees full in the golden age. 95Now, there are no degrees left.

96Sab kaṅgāl ban paṛē haĩ .

96All have become poverty-stricken.

97Kōī opening karnē ātē haĩ , bōlō , yahā̃ kā kāydā hai , bāp kahtē haĩ dē 5 vikārō̃ kā dān tō chhūṭē grahaṇ .

97When someone comes for an opening, tell him: The system here is that the Father says: Make a donation of the five vices and the bad omens will be removed.

98Tum 16 kalā sampūrṇ dēvtā ban jāyēṅgē .

98You will become 16 celestial degrees deities.

99Pavitratā anusār pad pāyēṅgē .

99You will receive a status according to your purity.

100Bākī agar kuchh na kuchh kalā cum|kam rah gaī tō janm bhī dērī sē lē̃gē .

100By having fewer degrees less, you will take birth later.

101Vikārō̃ kā dān dēnā tō achchhā hai nā .

101It is good to donate the vices, is it not?

102Chandramā kō grahaṇ lagtā hai tō āgē brāhmaṇ lōg dān lētē thē .

102Previously, when there was an eclipse of the moon, brahmins used to accept donations.

103Abhī tō brāhmaṇ baṛē ādmī hō gayē haĩ .

103Now the brahmins have become important people.

104Garīb lōg tō bichārē bhīkh māṅgtē rahtē , purānē kapṛē ādi bhī lētē rahtē .

104All the poor ones have started begging. 105They even accept old clothes etc.

105Vāstav mē̃ brāhmaṇ purānē kapṛē nahī̃ lētē , unhō̃ kō nayā diyā jātā hai .

106In fact, brahmins don't accept old clothes; they are given new clothes.

106Tō ab tum samjhātē hō bhārat 16 kalā sampūrṇ thā .

107You now explain that Bharat was 16 celestial degrees full.

107Ab iron aged hō gayā hai .

108It has now become iron aged.

1085 vikārō̃ kā grahaṇ lagā huā hai .

109It is eclipsed by the five vices.

109Abhī tum jō 5 vikārō̃ kā dān dē yah antim janm pavitra rahē̃gē tō naī duniyā K|kē mālik banē̃gē .

110If you now donate the five vices and remain pure in this last birth, you will become the masters of the new world.

110Svarg mē̃ bahut thōṛē thē .

111There were very few people in the golden age.

111Pīchhē vr̥iddhi kō pāyā hai .

112Their number increased later on.

112Ab tō vināśh bhī sāmnē khaṛā hai .

113Destruction is just ahead.

113Bāp kahtē haĩ - 5 vikārō̃ kā dān dō tō grahaṇ chhūṭ jāē .

114The Father says: Make the donation of the five vices and any eclipse will be removed.

114Ab tumkō śhrēṣhṭhāchārī ban svarg kā sūryavanśhī rājya lēnā hai , tō bhraṣhṭāchār kō chhōṛnā paṛēgā .

115You now have to become elevated and claim the kingdom of the sun-dynasty heaven. 116You have to let go of corruption.

1155 vikārō̃ kā dān dō .

117Make a donation of the five vices.

116Apnī dil sē pūchhō ham sarvguṇ sampann , sampūrṇ nirvikārī banē haĩ  ?

118Ask your heart if you have become full of all the virtues and completely viceless.

117Nārad kā misāl hai nā .

119There is the example of Narad.

118Ēk bhī vikār hōgā tō lakṣhmī kō var kaisē sakē̃gē .

120How would you be able to marry Lakshmi if you had even one vice?

119Kōśhiśh kartē rahō , khād kō āg lagātē rahō .

121Continue to make effort and burn the alloy.

120Sōnā jab galātē haĩ , galtē-galtē yadi āg ṭhaṇḍī hō jātī hai tō khād nikaltī nahī̃ hai , isliē pūrī āg mē̃ galātē haĩ .

122When they melt gold, if the fire cools down in the process, the alloy cannot be removed. 123This is why they melt it over a very hot fire.

121Phir jab dēkhtē haĩ kichṛā alag hō gayā hai tab kārba mē̃ ḍāltē haĩ .

124Then, when they see it has separated from the alloy, they pour it into a mould.

122Bāp ab khud kahtē haĩ kōī bhī vikār mē̃ mat jāō .

125The Father Himself says: Don't indulge in any vice.

123Tīvr vēg sē puruṣhārth karō .

126Make effort at a fast speed.

124Pahlē tō pavitratā key|kī pratigyā karō . 125Bābā āp pāvan banānē āyē hō , ham kabhī vikār mē̃ nahī̃ jāyēṅgē .

127First of all, make a promise to remain pure: Baba, You have come to purify me. 128I will never indulge in vice.

126Dēhī-abhimānī bannā hai .

129Become soul conscious!

127Bāp ham ātmāō̃ kō samjhātē haĩ .

130The Father is explaining to us souls.

128Vah supreme ātmā hai .

131He is the Supreme Soul.

129Tum jāntē hō ham patit haĩ .

132You know that you are impure.

130Ātmā mē̃ hī saṅskār rahtē haĩ .

133Sanskars stay in souls.

131Maĩ tumhārā bāp tum ātmāō̃ sē bāt kartā hū̃ .

134I, your Father, am speaking to you souls.

132Aisā kōī nahī̃ kah saktā - maĩ tumhārā bāp paramātmā hū̃ .

135No one else could say: I am your Father, the Supreme Soul.

133Maĩ āyā hū̃ pāvan banānē .

136I have come to purify you.

134Tum pahlē-pahlē satōpradhān thē phir satō , rajō , tamō mē̃ āyē .

137You were satopradhan at first and then you went through the stages of sato, rajo and tamo.

135Tamōpradhān banē hō .

138You have become tamopradhan.

136Is samay 5 tatva bhī tamōpradhān haĩ isliē duḥkh dētē haĩ .

139Even the five elements are now tamopradhan which is why they cause sorrow.

137Her|har chīz duḥkh dētī hai .

140Everything causes sorrow.

138Yahī tatva jab satōpradhān hōtē haĩ - tab sukh dētē haĩ .

141When these same elements are satopradhan, they give happiness.

139Uskā nām hī hai - sukhdhām .

142That is called the land of happiness.

140Yah hai duḥkhdhām .

143This is the land of sorrow.

141Sukhdhām hai bēhad K|kē bāp kā varsā .

144The land of happiness is the inheritance of the unlimited Father.

142Duḥkhdhām hai rāvaṇ kā varsā , ab jitnā śhrīmat par chalē̃gē , utnā ūñch banē̃gē .

145The land of sorrow is the inheritance of Ravan. 146The more you follow shrimat, the more elevated you will become.

143Phir prasiddh hō jāyēṅgē ki kalp-kalp yah aisē hī puruṣhārth karnē vālē haĩ .

147You will then become well known as someone who makes this type of effort every cycle.

144Yah kalp-kalp key|kī bājī hai .

148This is a play of every cycle.

145Jō jāstī puruṣhārth kar rahē haĩ vah apnā rājya bhāgya lē rahē haĩ .

149Those who make greater effort claim this fortune of the kingdom.

146Ṭhīk puruṣhārth nahī̃ kiyā hōgā tō third grade mē̃ chalā jāyēgā .

150Someone who doesn’t make effort well would go into the third grade.

147Prajā mē̃ bhī patā nahī̃ kyā jākar banēgā .

151It is not known where they will come among the subjects.

148Laukik bāp bhī kahtē haĩ tum hamārā nām badnām kartē hō , nikalō ghar sē bāhar .

152A physical father says: You are defaming my name. 153Get out of this house!

149Bēhad kā bāp bhī kahtē haĩ tumkō māyā kā thappaṛ aisā lagēgā jō sūryavanśhī chandravanśhī mē̃ āyēṅgē hī nahī̃ .

154The unlimited Father also says: You will be slapped by Maya in such a way that you will not be able to be part of the sun and moon dynasties.

150Apnē āpkō chamāṭ mār dēgē .

155You slap yourselves.

151Bāp tō kahtē haĩ vāris banō .

156The Father says: Become heirs.

152Rājtilak lēnā chāhtē hō tō mujhē yād karō aur aurō̃ kō bhī yād dilāō tō tum rājā banē̃gē .

157If you wish to claim a tilak of sovereignty, remember Me, remind others and you will become kings.

153Number-vār tō hōtē haĩ nā .

158It is numberwise.

154Kōī barrister ēk-ēk case kā lākhō̃ rūpayā kamātē haĩ aur kōī-kōī kō dēkhō pahannē kē liē coat|kōṭ bhī nahī̃ hōgā .

159Some barristers earn hundreds of thousands for just one case, whereas others don't even earn enough to pay for a coat to wear.

155Puruṣhārth par madār hai nā .

160Everything depends on effort.

156Tum bhī puruṣhārth karē̃gē tō ūñch pad pāyēṅgē .

161If you make effort, you will claim a high status.

157Manuṣhya sē dēvtā bannā hai . 158Chāhē mālik banō , chāhē prajā banō .

162Whether you become masters or subjects, you do have to change from humans into deities.

159Prajā mē̃ bhī naukar-chākar banē̃gē .

163There will also be maids and servants among the subjects.

160Student key|kī chalan sē teacher samajh jātē haĩ .

164A teacher can understand from the activity of the students.

161Wonder yah hai jō pahlē vālē sē pichhāṛī vālē tīkhē chalē jātē haĩ kyōṅki abhī din-pratidin refine points miltī rahtī haĩ .

165It is a wonder that those who have come later go ahead of those who came earlier because, day by day, you now continue to receive refined points.

162Sapling lagātē jātē haĩ .

166You continue to plant saplings.

163Pahlē vālē tō kaī bhāgantī hō gayē . 164New add hōtē jātē haĩ .

167Some of those who came earlier have run away and new ones have continued to be added.

165Naī-naī points miltī jātī haĩ .

168You continue to receive new points.

166Bahut yukti sē samjhāyā jātā hai .

169It is explained with great tact.

167Bābā kahtē haĩ bahut guhya-guhya ramaṇīk bātē̃ sunātē haĩ , jissē tum jhaṭ niśhchaybuddhi hō jāō .

170Baba says: I tell you very deep, entertaining things through which your intellects can instantly have faith.

168Jahā̃ tak mērā part hai , tumkō paṛhātā rahū̃gā .

171I will continue to teach you for as long as I have this part.

169Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

172This too is fixed in the drama.

170Jab karmātīt avasthā kō pāyēṅgē tab paṛhāī pūrī hōgī .

173Your study will have been completed when you reach your karmateet stage.

171Bachchē bhī samajh jāyēṅgē .

174You children will understand.

172Pichhāṛī mē̃ imtahān key|kī result mālūm hōtī hai nā .

175You also come to know the results of an examination at the end.

173Is paṛhāī mē̃ number one subject hai - pavitratā key|kī .

176The number one subject in this study is purity.

174Jab tak bābā key|kī yād nahī̃ rahtī hai , bāp key|kī service nahī̃ kartē haĩ , tab tak ārām nahī̃ ānā chāhiē .

177For as long as you don’t remember Baba and don’t do His service, you should not rest.

175Tumhārī laṛāī hai hī māyā kē sāth .

178Your war is with Maya.

176Rāvaṇ kō bhal jalātē haĩ parantu jāntē nahī̃ haĩ ki yah hai kaun .

179Although people burn an effigy of Ravan, they don't know who he is.

177Daśhaharā bahut manātē haĩ .

180They celebrate Dashera a great deal.

178Abhī tumkō wonder lagtā hai - rām bhagvān key|kī bhagvatī sītā churāī gaī .

181You are now surprised at how the Goddess Sita of God Rama was abducted.

179Phir bandarō̃ kā laśhkar liyā .

182He then took an army of monkeys.

180Aisā kab hō saktā hai kyā  ?

183Can this ever be possible?

181Kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

184They don’t understand anything at all!

182Tō jab pradarśhanī mē̃ ātē haĩ pahlē-pahlē batānā chāhiē - bhārat mē̃ in lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tab kitnē manuṣhya hōṅgē .

185When they come to the exhibitions, you should first of all ask them: How many people would there have been in Bharat when it was the kingdom of Lakshmi and Narayan?

1835 hajār varṣh key|kī bāt hai .

186It is a matter of 5000 years ago.

184Abhī kaliyug hai , vahī mahābhārī mahābhārat laṛāī bhī hai , bāp ākar rājyōg sikhlātē haĩ .

187It is now the iron age and there is the same great Mahabharat War. 188The Father comes and teaches you Raja Yoga.

185Vināśh bhī hōgā .

189Destruction will also take place.

186Yahā̃ ēk dharm ēk mat athavā peace|pīs kaisē hō saktī hai .

190How can there be one dharma and one belief here, that is, how can there be peace here?

187Jitnā māthā mārtē haĩ ēk mat hōnē kē liē utnā hī laṛtē haĩ .

191They beat their heads for the establishment of one belief but they also fight to the same degree.

188Bāp kahtē haĩ - ab maĩ un sabkō āpas mē̃ laṛāē mākhan tumkō dē dētā hū̃ .

192The Father says: I now inspire them to fight among themselves and I give you the butter.

189Bāp samjhātē haĩ jō karēgā sō pāyēgā .

193The Father explains: Those who act will receive it.

190Kōī-kōī bachchē bāp sē bhī ūñch ban saktē haĩ .

194Some children go higher than their father.

191Tum mērē sē bhī sāhūkār viśhva K|kē mālik banōgē .

195You will become even wealthier than I and become the masters of the world.

192Maĩ nahī̃ banū̃gā .

196I do not become that.

193Maĩ tum bachchō̃ key|kī niṣhkām sēvā kartā hū̃ .

197I serve you children altruistically.

194Maĩ dātā hū̃ .

198I am the Bestower.

195Aisē kōī mat samajhē ham śhivbābā kō 5 rūpayā dētē haĩ . 196Parantu śhivbābā sē 5 padam svarg mē̃ lētē haĩ .

199None of you should think you are giving five rupees to Shiv Baba, because you take five times multimillions from the Father in heaven.

197Tō kyā yah dēnā huā  !

200So, is this giving?

198Agar samajhtē haĩ ki ham dētē haĩ , yah tō śhivbābā key|kī baṛī insult kartē haĩ .

201If you think you are giving to Shiv Baba, that is a great insult to Shiv Baba.

199Bāp tumkō kitnā ūñch banātē .

202The Father is making you so elevated.

200Tum 5 rūpayā śhivbābā K|kē khajānē mē̃ dētē hō .

203You put five rupees into Shiv Baba's treasure-store.

201Bābā tumkō 5 krōṛ dētē haĩ .

204Baba then gives you five million.

202Kauṛī sē hīrē jaisā banā dētē haĩ .

205He changes you from shells into diamonds.

203Aisā kab sanśhay nahī̃ lānā ki hamnē śhiv-bābā kō diyā .

206Never ever think that you have given to Shiv Baba!

204Yah kitnā bhōlānāth hai .

207He is such an Innocent Lord!

205Yah kabhī khyāl nahī̃ ānā chāhiē - ham bābā kō dētē haĩ .

208You should never ever think that you are giving to Baba.

206Nahī̃ , śhiv-bābā sē ham 21 janmō̃ kē liē varsā lētē haĩ .

209No, you are claiming your inheritance from Shiv Baba for 21 births.

207Śhuddha vichār sē nahī̃ diyā tō svīkār kaisē hōgā .

210How can it be accepted if you haven't given it with a pure motive?

208Sab bātō̃ key|kī samajh buddhi mē̃ rakhnī chāhiē .

211You should have the understanding of all these things in your intellects.

209Īśhvar arth|earth dān kartē haĩ , vah kōī bhūkhā hai kyā  ?

212People say that they donate in the name of God. 213Is He in need?

210Nahī̃ , samajhtē haĩ hamkō dūsrē janm mē̃ milēgā .

214No, it is just that they believe they will receive the return of it in their next birth.

211Abhī tumkō bāp , karma , akarma , vikarma key|kī gati baiṭh samjhātē haĩ .

215The Father now sits here and explains to you the philosophy of action, neutral action and sinful action.

212Yahā̃ jō karma karē̃gē sō vikarma hī hōgā kyōṅki rāvaṇ rājya hai .

216Any actions performed here are sinful because it is the kingdom of Ravan.

213Satyug mē̃ karma akarma hō jātā hai .

217In the golden age actions are neutral.

214Ham tumkō abhī us duniyā mē̃ transfer kartē haĩ , jahā̃ tumsē vikarma hōgā hī nahī̃ .

218I am now transferring you to that world where you won't commit any sins.

215Bahut bachchē hō jāyēṅgē phir tumhārē paisē bhī kyā karē̃gē .

219What would Baba do with all your money when He has so many children?

216Ham kachchā sarrāph nahī̃ hū̃ , jō lēvē̃ aur kām mē̃ na āyē , phir bharkar dēnā paṛē .

220I am not an inexperienced stockbroker who takes things that are of no use to Me and for which I would then have to give the return.

217Maĩ pakkā sarrāph hū̃ .

221I am a very good Stockbroker.

218Kah dēgē jarūrat nahī̃ .

222I tell you: I don’t need anything.

219Achchhā  !

223Achcha.

220Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

224To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

221Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

225The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

222Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

226Essence for dharna:

2231 ) tīvr vēg sē puruṣhārth kar vikārō̃ key|kī khād kō yōg key|kī agni mē̃ galā dēnā hai .

2271. Make intense effort and melt away the alloy of vices in the fire of yoga.

224Pavitratā key|kī pūrī pratigyā karnī hai .

228Make a firm promise to remain pure.

2252 ) karma-akarma-vikarma kī gati kō buddhi mē̃ rakhkar apnā sab kuchh naī duniyā kē liē transfer kar dēnā hai .

2292. While keeping the philosophy of action, neutral action and sinful action in your intellect, transfer everything you have to the new world.

Blessing

226Vardān  : śhrīmat K|kē ādhār par khuśhī , śhakti aur saphaltā kā anubhav karnē vālē sarv prāpti sampann bhav

230Blessing: May you become full of all attainments and experience happiness, power and success by following shrimat.

227Jō bachchē svayã kō trustee samajhkar śhrīmat pramāṇ chaltē haĩ , śhrīmat mē̃ jarā bhī manmat yā parmat mix nahī̃ kartē unhē̃ nirantar khuśhī , śhakti aur saphaltā key|kī anubhūti hōtī hai .

231The children who consider themselves to be trustees and continue to move along according to shrimat, who do not even slightly mix their own dictates or the dictates of others with shrimat, constantly experience happiness, power and success.

228Puruṣhārth vā mēhnat cum|kam hōtē bhī prāpti jyādā hō tab kahē̃gē yathārth śhrīmat par chalnē vālē .

232When you can make less effort or don’t have to work so hard and, at the same time, attain a lot, it would be said that you are following shrimat accurately.

229Parantu māyā , īśhvarīy mat mē̃ manmat vā parmat kō royal rūp sē mix kar dētī hai isliē sarv prāptiyō̃ kā anubhav nahī̃ hōtā .

233However, Maya mixes the dictates of yourself and the dictates of others with God’s shrimat in a royal way, and so you are not able to experience all attainments.

230Iskē liē parakhnē aur nirṇay karnē key|kī śhakti dhāraṇ karō tō dhōkhā nahī̃ khāyēṅgē .

234For this, imbibe the powers to discern and decide and you will not be deceived.

Slogan

231Slōgan  : bālak sō mālik vah hai jō tapasyā K|kē bal sē bhāgyavidhātā bāp kō apnā banā dē .

235Slogan: A child and master is one who makes the Father, the Bestower of Fortune, belong to him with the power of tapasya.

236*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

232Yē avyakt iśhārē - parōpkār key|kī bhāvnā sē sampann ban apkārī par bhī upkār karō

237Avyakt Signal: Embrace the spirit of uplifting others and uplift those who have defamed you.

233Santuṣhṭ kō santuṣhṭ rakhnā , snēhī kō snēh dēnā , sahyōgī kē sāth sahyōgī bannā - yah mahāvīrtā nahī̃ hai .

238It isn’t being brave or courageous to make contented souls content, or to give love to lovable souls, or to co-operate with those who are co-operative.

234Lēkin kōī kitnā bhī asahyōgī banē , apnē sahyōg key|kī śhakti sē asahyōgī kō sahyōgī banānā iskō mahāvīrtā kahā jātā hai .

239You are called brave when you use your power of co-operation to make unco-operative souls co-operate with you.

235Kamjōr kō kamjōr samajh chhōṛ na dō . 236Lēkin uskō bal dēkar balvān banāō , kamjōr kō highjump dēnē yōgya banāō tab kahē̃gē mahāvīr athavā sab par upkār karnē vālē .

240Do not put aside weak ones because you consider them to be weak, but give them strength and make them strong. 241Enable weak souls to take a high jump. 242You will then be called a brave one who uplifts others.