शनिवार 24 अक्टूबर 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
024-10-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
024/10/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - māt-pitā kō follow kar takhtnaśhīn banō , ismē̃ kōī taklīph nahī̃ , sirph bāp kō yād karō aur pavitra banō ' '
1Essence: Sweet children, follow the Mother and Father and be seated on the heart-throne. 2There is no difficulty in this. 3Simply remember the Father and become pure.
Question
2Praśhna : garīb-nivāz bāp apnē bachchō̃ kā bhāgya banānē kē liē kaun see|sī|C rāy dētē haĩ ?
4Question: What advice does the Father, the Lord of the Poor, give you children in order for you to create your fortune?
Answer
3Uttar : bachchē , śhivbābā kō tumhārā kuchh nahī̃ chāhiē .
5Answer: Children, Shiv Baba doesn't want anything of yours.
4Tum bhal khāō , piyō , paṛhō - refresh hōkar chalē jāō lēkin chāval muṭṭhī kā bhī gāyan hai .
6You may eat, drink, study and refresh yourselves and leave, but remember there is the praise of “just a handful of rice”.
521 janmō̃ kē liē sāhūkār bannā hai tō garīb kā ēk paisā bhī sāhūkār K|kē 100 rūpayē K|kē barābar hai isliē bāp jab direct ātē haĩ tō apnā sab kuchh saphal kar lō .
7If you wish to become wealthy for 21 births, remember that one paisa of a poor person is equal to 100 rupees of a wealthy person. 8Therefore, when the Father comes here directly, use everything of yours in a worthwhile way.
Song
6Gīt : tumhī hō mātā pitā tumhī̃ hō …
9Song: You are the Mother and the Father.
Murli
7Ōm śhānti .
10Om shanti.
8Gīt kā arth|earth tō bachchō̃ nē samjhā .
11You children understood the meaning of the song.
9Vah bhal pukārtē haĩ parantu samajhtē nahī̃ haĩ .
12Although those people call out, they don't understand anything.
10Tum jāntē hō vah hamārā bāp hai .
13You know that He is our Father.
11Vāstav mē̃ sirph vah tumhārā bāp nahī̃ lēkin sabkā bāp hai .
14In fact, He is not the Father of just you, but He is the Father of all.
12Yah bhī samajhnē kā hai .
15This too has to be understood.
13Jō bhī sabhī ātmāyē̃ haĩ un sabhī kā bāp paramātmā jarūr hai .
16The Supreme Soul is definitely the Father of all souls.
14Bābā-bābā kahnē sē varsā jarūr yād ātā hai .
17By saying, "Baba, Baba!" you definitely remember your inheritance.
15Bāp kō yād karnē sē hī vikarma vināśh hōṅgē .
18It is only by remembering the Father that your sins will be destroyed.
16Bāp bachchō̃ kō kahtē haĩ tumhārī ātmā patit banī huī hai , ab unkō pāvan banānā hai .
19The Father tells you children: You souls have become impure. 20You now have to be purified.
17Sabhī kā bābā hai tō bachchē jarūr nirvikārī hōnē chāhiē .
21He is the Baba of everyone and so His children should definitely be viceless.
18Kōī samay sab nirvikārī thē .
22At one time, all of you were viceless.
19Bāp khud samjhātē haĩ jab śhrī lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tab sab nirvikārī thē .
23The Father Himself explains: When it was the kingdom of Shri Lakshmi and Narayan, all were viceless.
20Itnī sab jō manuṣhya ātmāyē̃ dēkhtē hō vah bhī nirvikārī hōṅgī kyōṅki śharīr tō vināśh hō jāyēgā bākī ātmāyē̃ jākar nirākārī duniyā mē̃ rahtī haĩ .
24All the human souls that you see there must also have been viceless, because their bodies would have been destroyed and all the souls then went to reside in the incorporeal world.
21Vahā̃ vikār kā tō nām-niśhān nahī̃ .
25There is no name or trace of vice there.
22Śharīr hī nahī̃ hai .
26There are no bodies there.
23Vahā̃ sē hī sab ātmāyē̃ ātī haĩ - is duniyā mē̃ part bajānē .
27All souls come down into this world from up there in order to play their parts.
24Pahlē-pahlē bhāratvāsī ātē haĩ .
28The people of Bharat come first of all.
25Bhārat mē̃ pahlē-pahlē in lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tō aur sab dharm vālē nirākārī duniyā mē̃ thē .
29In Bharat, there was first the kingdom of Lakshmi and Narayan. 30Those of all other religions were in the incorporeal world.
26Is samay sab sākārī duniyā mē̃ haĩ .
31At this time, all are in the corporeal world.
27Abhī bāp tum bachchō̃ kō nirvikārī banātē haĩ , nirvikārī dēvī-dēvtā banānē kē liē .
32The Father is now making you children viceless in order to make you into viceless deities.
28Jab tum dēvī-dēvtā ban jātē hō tab tumhārē liē jarūr naī duniyā chāhiē .
33When you become deities, a new world is definitely needed for you.
29Purānī duniyā khatm hōnī chāhiē .
34The old world has to be destroyed.
30Śhāstrō̃ mē̃ mahābhārat laṛāī bhī dikhāī huī hai .
35The Mahabharat War has been portrayed in the scriptures.
31Dikhātē haĩ bākī 5 pāṇḍav rahē vah bhī pahāṛ par gal gayē . 32Kōī nahī̃ bachā .
36They show that only the five Pandavas remained and that they then melted on the mountains and so no one was left.
33Achchhā itnī sab ātmāyē̃ kahā̃ gaī ?
37Achcha, where did all those souls go?
34Ātmā tō vināśh kō pātī nahī̃ .
38Souls are never destroyed.
35Tō kahē̃gē nirākārī , nirvikārī duniyā mē̃ gaī .
39So, it is said that they went to the incorporeal, viceless world.
36Bāp vikārī duniyā sē nirākārī , nirvikārī duniyā mē̃ lē jātē haĩ .
40The Father takes you from the world full of vices to the incorporeal, viceless world.
37Tum jāntē hō bāp sē tō jarūr varsā milnā chāhiē .
41You know that you definitely have to receive your inheritance from the Father.
38Abhī duḥkh baṛh gayā hai .
42Sorrow has now increased.
39Is samay hamkō sukh-śhānti dōnō̃ chāhiē .
43At this time, we want both peace and happiness.
40Bhagvān sē sab māṅgtē haĩ - hē bhagvān hamkō sukh dō , śhānti dō .
44Everyone says to God: O God, give us peace and happiness!
41Har ēk manuṣhya puruṣhārth kartā hī hai dhan kē liē .
45Every human being makes effort to acquire wealth.
42Paisā hai tō sukh hai .
46If they have wealth they are happy.
43Tumkō bēhad kā bāp tō bahut paisā dētē haĩ .
47The unlimited Father is giving you a great deal of wealth.
44Tum satyug mē̃ kitnē dhanvān thē .
48You were so wealthy in the golden age.
45Hīrē javāharō̃ K|kē mahal thē .
49You had palaces studded with diamonds and jewels.
46Tum bachchē jāntē hō ham bēhad K|kē bāp sē bēhad svarg kā varsā lēnē āyē haĩ .
50You children know that you have come to the unlimited Father to claim your inheritance of unlimited heaven.
47Sārī duniyā tō nahī̃ āyēgī .
51The whole world will not come here.
48Bāp bhārat mē̃ hī ātē haĩ .
52The Father only comes in Bharat.
49Bhāratvāsī hī is samay narkvāsī haĩ phir svargvāsī bāp banātē haĩ .
53At this time the people of Bharat are residents of hell, and then the Father makes them into residents of heaven.
50Bhakti mē̃ duḥkh K|kē kāraṇ bāp kō janma-janmāntar yād kiyā hai . 51Hē parampitā paramātmā , hē kalyāṇkārī duḥkh hartā , sukh kartā bābā , unkō yād kartē haĩ tō jarūr vah ātā bhī hōgā .
54On the path of devotion, you have been remembering the Father for birth after birth because of your sorrow: O Supreme Father, Supreme Soul! 55O Benefactor Baba, Remover of Sorrow and Bestower of Happiness! 56You remember Him and so He must definitely have come.
52Aisē hī mupht mē̃ thōṛēhī yād kartē haĩ .
57No one remembers Him for no reason.
53Samajhtē haĩ bhagvān bāp ākar bhaktō̃ kō phal dēgā .
58They believe that God the Father will come and give the fruit of that to the devotees.
54Sō tō sabhī kō dēgā nā . 55Bābā tō sabkā hai nā .
59However, He gives it to everyone; He is everyone's Baba.
56Tum jāntē hō ham sukhdhām mē̃ jāyēṅgē . 57Bākī sab śhāntidhām mē̃ jāyēṅgē .
60You know that you will go to the land of happiness and all the rest will go to the land of peace.
58Jab sukhdhām mē̃ haĩ tō sukh-śhānti sārī sr̥iṣhṭi par rahtā hai .
61When you are in the land of happiness, there is peace and happiness over the whole world.
59Bāp kā tō bachchō̃ par lav|love rahtā hai nā .
62The Father loves His children.
60Aur phir bachchō̃ kā bhī mā̃-bāp par pyār rahtā hai .
63Children also love the Mother and Father.
61Yah bhī gātē haĩ tum māt-pitā . . . jismānī māt-pitā hōtē huē bhī gātē haĩ tum māt-pitā . . . . tumhārī kr̥ipā sē sukh ghanērē .
64You also sing: “You are the Mother and Father.” 65Even while having physical mothers and fathers, you sing: “You are the Mother and Father and we receive a lot of happiness through Your blessings.”
62Laukik mā̃-bāp kē liē tō aisē nahī̃ gātē haĩ .
66You do not sing this to your physical parents.
63Bhal vah bhī bachchō̃ kō sambhāltē haĩ , mēhnat kartē haĩ , varsā dētē haĩ . 64Sagāī karātē haĩ . 65Phir bhī sukh ghanērē pārlaukik māt-pitā hī dētē haĩ .
67Although they too make effort and they look after their children, give them an inheritance and get them engaged, nevertheless, only the parlokik Mother and Father gives you a great deal of happiness.
66Abhī tum hō īśhvarīy dharm K|kē bachchē .
68You are now the adopted children of God.
67Vah sab haĩ āsurī dharm K|kē bachchē .
69All others are children adopted by the devil.
68Satyug mē̃ kabhī kōī dharm K|kē bachchē nahī̃ kartē haĩ .
70There are no adopted children in the golden age.
69Vahā̃ tō sukh hī sukh hai . 70Duḥkh kā nām-niśhān nahī̃ .
71There, there is nothing but happiness; there is no name or trace of sorrow.
71Bāp kahtē haĩ - maĩ āyā hū̃ 21 pīṛhī kē liē tumkō svarg K|kē sukh ghanērē dēnē .
72The Father says: I have come to give you an abundance of happiness in heaven for 21 generations.
72Abhī tum jāntē hō bēhad K|kē bāp sē ham svarg K|kē ghanērē sukh pā rahē haĩ .
73You know that you are now to receive an abundance of happiness in heaven from the unlimited Father.
73Yah duḥkh K|kē sab bandhan khalās hō jāyēṅgē .
74All the bondages of sorrow are to end.
74Satyug mē̃ hai sukh kā sambandh . 75Kaliyug mē̃ hai duḥkh kā bandhan .
75In the golden age, you have relationships of happiness, whereas in the iron age, you have bondages of sorrow.
76Bāp sukh K|kē sambandh mē̃ lē jātē haĩ .
76The Father is taking you into relationships of happiness.
77Unkō kahā hī jātā hai - duḥkh hartā sukh kartā .
77He is called the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness.
78Bāp ākar bachchō̃ key|kī sēvā kartē haĩ .
78The Father comes and serves you children.
79Bāp kahtē haĩ - ham obedient servant haĩ .
79He says: I am your Obedient Servant.
80Tumnē mujhē ādhākalp yād kiyā hai , hē bābā ākar hamkō sukh ghanērē dō .
80You have been remembering Me for half the cycle: O Baba, come and give us an abundance of happiness!
81Ab maĩ āyā hū̃ dēnē tō phir śhrīmat par chalnā hai .
81I have now come to give you that, and so follow shrimat!
82Yah mr̥ityulōk sab khatm hō jānē vālā hai . 83Amarlōk sthāpan hōtā hai .
82This land of death is to be destroyed and the land of immortality established.
84Amarpurī mē̃ jānē kē liē amarnāth bābā sē tum amarkathā suntē hō .
83You are now listening to the story of immortality from immortal Baba in order to go to the land of immortality.
85Vahā̃ tō kōī martē nahī̃ .
84No one there dies.
86Mukh sē kabhī aisē nahī̃ kahē̃gē phalānā mar gayā .
85They never use the words "So-and-so has died!"
87Ātmā kahtī hai ham yah jaṛjaṛībhūt śharīr chhōṛkar nayā lētā hū̃ .
86The soul says: I will now shed this decayed body and take a new one.
88Vah tō achchhā huā nā .
87That is good.
89Vahā̃ kōī bīmārī ādi hōtī nahī̃ .
88There are no illnesses there.
90Mr̥ityulōk kā nām nahī̃ .
89There is no mention of the land of death.
91Maĩ āyā hū̃ tumkō amarpurī kā mālik banānē .
90I have come to make you into the masters of the land of immortality.
92Vahā̃ jab tum rājya karē̃gē tō mr̥ityulōk kā kuchh bhī yād nahī̃ paṛēgā .
91When you rule there, you do not remember anything of the land of death.
93Nīchē utartē-utartē ham kyā banē̃gē , vah bhī mālūm nahī̃ rahtā .
92You are unaware of what you will become as you continue to come down.
94Nahī̃ tō sukh hī uṛ jāē .
93Otherwise, you would lose your happiness.
95Yahā̃ tō tumkō sārā chakra buddhi mē̃ rakhnā hai .
94Here, you have to keep the whole cycle in your intellects.
96Barōbar svarg thā , ab nark hai tab tō bāp kō bulātē haĩ .
95Truly, it was heaven and it is now hell. 96This is why people call out to the Father.
97Tum ātmāyē̃ śhāntidhām key|kī rahnē vālī hō .
97You souls are residents of the land of peace.
98Yahā̃ ākar part bajātī hō .
98You come here to play your parts.
99Yahā̃ sē tum saṅskār lē jāyēṅgē ghar . 100Phir vahā̃ sē ākar nayā śharīr dhāraṇ kar rājya karē̃gē .
99You will carry your sanskars back home with you, and you will then come from there, take new bodies and rule the kingdom.
101Abhī tumkō nirākārī , ākārī aur sākārī duniyā kā samāchār sunātē haĩ .
100You are now being told the news of the incorporeal world, the subtle region and the corporeal world.
102Satyug mē̃ thōṛēhī yah patā paṛēgā .
101You won’t be aware of this in the golden age.
103Vahā̃ tō sirph rājya karē̃gē .
102You will just rule the kingdom there.
104Drama kō abhī tum jāntē hō .
103You also know the drama.
105Tumhārī ātmā jāntī hai satyug kē liē ham puruṣhārth kar rahē haĩ .
104You souls know that you are making effort for the golden age.
106Svarg mē̃ chalnē lāyak jarūr banē̃gē .
105You will definitely become worthy of going to heaven.
107Apnā bhī kalyāṇ aur dūsrō̃ kā bhī kalyāṇ karē̃gē .
106You will benefit yourselves and others too.
108Phir unhō̃ key|kī āśhīrvād tumhārē sir par ātī rahēgī .
107You will then continue to receive their blessings.
109Tumhārā plan dēkhō kaisā hai .
108Look at what your plan is!
110Is samay sabhī kā apnā-apnā plan hai .
109At this time, everyone has his or her own plan.
111Bāp kā bhī plan hai .
110The Father too has a plan.
112Vō lōg dam ādi banātē haĩ tō bijlī ādi par kitnē karōṛō̃ rūpayē kharchā kartē haĩ .
111Those people spend millions of rupees building dams, etc. for electricity.
113Bāp samjhātē haĩ ab vah sab haĩ āsurī plan . 114Hamārā hai īśhvarīy plan .
112The Father explains: All of those are the devil's plans, whereas My plan is a Godly plan.
115Ab kiskā plan vijay kō pāyēgā ?
113Now, whose plan will be successful?
116Vah tō āpas mē̃ hī laṛ paṛē̃gē .
114Those people will fight among themselves.
117Sabhī kā plan miṭṭī mē̃ mil jāyēgā .
115Everyone's plan will turn to dust.
118Vō kōī svarg key|kī sthāpanā tō nahī̃ kartē haĩ .
116They do not establish heaven.
119Vō jō kuchh kartē haĩ duḥkh kē liē .
117Whatever they do, it is for sorrow.
120Bāp kā tō plan hai svarg banānē kā .
118The Father's plan is to create heaven.
121Narkvāsī manuṣhya nark mē̃ hī rahnē kē liē plan banātē haĩ .
119Residents of hell make plans to stay in hell.
122Bābā kā plan svarg banānē kā chal rahā hai . 123Tō tumkō kitnī na khuśhī hōnī chāhiē .
120Baba is making plans to create heaven. 121So, you should have so much happiness!
124Gātē bhī hō tumharī kr̥ipā tē sukh ghanērē .
122It is remembered: “We receive a lot of happiness because of Your mercy.”
125Vah tō puruṣhārth kar lēnā hai nā .
123You have to make effort to receive that.
126Bāp kahtē haĩ jō chāhiē sō lō .
124The Father says: You can claim whatever you want.
127Chāhē viśhva K|kē mālik rājā rānī banō , chāhē phir dās-dāsī banō .
125You can become a king or queen, a master of the world, or you can become a maid or a servant.
128Jitnā puruṣhārth karē̃gē .
126It depends on how much effort you make.
129Bāp sirph kahtē haĩ ēk tō pavitra banō aur har ēk kō bāp kā parichay dētē rahō .
127The Father simply says: First of all, become pure and continue to give everyone the Father's introduction.
130Alpha kō yād karō tō bē bādśhāhī tumhārī .
128Remember Alpha, and then, beta, the kingdom, is yours.
131Bāp kō yād karnē mē̃ hī māyā bahut vighna ḍāltī hai . 132Buddhiyōg tōṛ dētī hai .
129It is in your remembering the Father that Maya causes many obstacles; she breaks your intellects’ yoga.
133Bāp kahtē haĩ , jitnā mujhē yād karē̃gē tō pāp bhī bhasma hōṅgē aur ūñch pad bhī pāyēṅgē isliē bhārat kā prāchīn yōg maśhhūr hai .
130The Father says: The more you remember Me, the more your sins will be burnt away and the higher the status you will claim. 131This is why the ancient yoga of Bharat is very famous.
134Bāp kō liberator bhī kahtē haĩ .
132The Father is also called the Liberator.
13521 janm kē liē bāp tumhē̃ duḥkh sē liberate kartē haĩ .
133The Father liberates you from sorrow for 21 births.
136Bhāratvāsī sukhdhām mē̃ hōṅgē , bākī sab śhāntidhām mē̃ hōṅgē .
134The people of Bharat will be in the land of happiness and all the rest will be in the land of peace.
137Nirākārī duniyā aur sākārī duniyā kā plan dikhānē sē jhaṭ samajh jāyēṅgē aur dharm vālē svarg mē̃ ā na sakē̃ .
135By showing them the plans of the incorporeal world and the corporeal world, they will quickly understand that those of other dharma cannot go to heaven.
138Svarg mē̃ tō haĩ hī dēvī-dēvtāyē̃ .
136Only deities reside in heaven.
139Yah drama key|kī knowledge bāp K|kē sivāē kōī samjhā na sakē .
137No one, apart from the Father, can explain this knowledge of the drama.
140Bachchē ātē hī haĩ bāp sē varsā lēnē .
138You children come to the Father to claim your inheritance.
141Sukh ghanērē tō haĩ hī satyug mē̃ .
139It is only in the golden age that you have an abundance of happiness.
142Bād mē̃ rāvaṇ rājya hōtā hai . 143Usmē̃ hōtē haĩ duḥkh ghanērē .
140Later, there is the kingdom of Ravan; there is a great deal of sorrow in that.
144Abhī tum samajhtē hō bābā hamkō sachchī-sachchī kathā sunākar amarlōk mē̃ jānē lāyak banātē haĩ .
141You now understand that Baba is making you worthy of going to the land of immortality by telling you the true story.
145Abhī aisē karma kartē hō tab tō 21 janmō̃ kē liē dhanvān bantē hō .
142You are now performing such actions and this is how you become wealthy for 21 births.
146Kahtē bhī haĩ , dhanvān bhav , putravān bhav . . . . vahā̃ ēk bachchā , ēk bachchī tumkō jarūr hōṅgē .
143It is said: May you be wealthy! 144May you have sons! 145There, you will definitely have one son and one daughter.
147Āyuśhvān bhav , tumhārī āyu bhī 150 varṣh hōgī .
146May you have a long life! 147Your lifespan will be 150 years.
148Akālē mr̥iityu kabhī hōtā nahī̃ .
148There is no untimely death there.
149Yah bāp hī samjhātē haĩ .
149Only the Father explains this.
150Tum ādhākalp hamkō pukārtē āyē hō .
150You have been calling out to Me for half the cycle.
151Sannyāsī aisē kahē̃gē kyā ?
151Would sannyasis say this?
152Vah kyā jānē̃ !
152What do they know?
153Bāp kitnā pyār sē baiṭh samjhātē haĩ .
153The Father sits here and explains to you with so much love.
154Bachchē , yah ēk janm agar pāvan banē̃gē tō 21 janm pāvan duniyā K|kē mālik banē̃gē .
154Children, if you remain pure for this one birth, you will become the masters of the pure world for 21 births.
155Pavitratā mē̃ tō sukh hai nā .
155There is happiness in purity.
156Tum pavitra daivī dharm vālē thē . 157Ab apavitr ban duḥkh mē̃ āyē hō .
156You belonged to the pure deity religion and have now become impure and are experiencing sorrow.
158Svarg mē̃ nirvikārī thē , abhī vikārī bannē sē nark mē̃ duḥkhī huē hō .
157You were viceless when you were in heaven. 158Now, by becoming vicious, you have become unhappy in hell.
159Bāp tō puruṣhārth karāyēṅgē nā . 160Svarg K|kē mahārājā-mahārānī banō .
159The Father inspires you to make effort: Become emperors and empresses of heaven.
161Tumhārē bābā mama bantē haĩ nā tō tum bhī puruṣhārth karō , ismē̃ mūnjhnē key|kī kōī bāt hī nahī̃ .
160Your Mama and Baba become this and so you too should make effort for this. 161There is nothing in this to be confused about.
162Bāp tō kiskō pāṅw paṛnē bhī nahī̃ dētē .
162The Father doesn't even allow anyone to fall at His feet.
163Bāp samjhātē haĩ hamnē tumkō sōnē hīrē K|kē mahal diyē . 164Svarg kā mālik banāyā .
163The Father explains: I gave you golden palaces studded with diamonds and made you into the masters of heaven.
165Phir ādhākalp tum bhakti mārg mē̃ māthā ghisātē āyē , paisā bhī dētē āyē .
164Then, you continued to rub your heads on the path of devotion and also gave money for half the cycle.
166Vah sōnē hīrē K|kē mahal sab kahā̃ gayē ?
165Where did all those golden palaces studded with diamonds go?
167Tum svarg sē utartē-utartē nark mē̃ ākar paṛē hō .
166You came down from heaven and have now reached hell.
168Ab tumkō phir svarg mē̃ lē jātā hū̃ .
167I am now once again sending you to heaven.
169Tumkō kōī taklīph nahī̃ dētā hū̃ .
168I don't give you any difficulty.
170Sirph mujhē yād karō aur pavitra banō .
169Simply remember Me and become pure.
171Bhal ēk paisā bhī na dō . 172Khāō , piyō , paṛhō , refresh hō chalē jāō .
170You don’t have to give even a penny; just eat, drink, study and become refreshed and go back home.
173Bābā tō sirph paṛhātē haĩ .
171Baba simply teaches you.
174Paṛhāī kā paisā kuchh nahī̃ lētē haĩ .
172He doesn't take any fees for teaching you.
175Kahtē haĩ bābā ham dēgē jarūr , nahī̃ tō vahā̃ mahal ādi kaisē milē̃gē .
173You say: Baba, I will definitely give You something. 174How else would I receive palaces there?
176Bhakti mārg mē̃ bhī tum īśhvar arth|earth dān garībō̃ kō dētē thē , phal bhī īśhvar dēgā .
175On the path of devotion, people donate to the poor in the name of God. 176God would give them the fruit of that.
177Garīb thōṛēhī dēgā .
177The poor wouldn't do that.
178Parantu vah miltā hai ēk janma liē .
178However, they receive the return of that for just one birth.
179Ab tō bābā āp direct āyē hō .
179Baba, You have now come here directly.
180Ham yah thōṛē paisē dētē haĩ , āp hamkō 21 janm kē liē svarg mē̃ dēnā .
180I give You a little money and You give us the return of that in heaven for 21 births.
181Bāp sabkō sāhūkār banā dētē haĩ .
181The Father makes everyone wealthy.
182Paisē dētē hō tō tumhārē hī rahnē kē liē makān ādi banātē haĩ .
182You give money and so buildings are constructed to accommodate you.
183Nahī̃ tō yah sab kaisē banē̃gē .
183How else would they be built?
184Bachchē hī yah makān ādi banātē haĩ nā .
184Only the children build these buildings, etc.
185Śhivbābā kahtē haĩ mujhē tō inmē̃ rahnē kā nahī̃ hai .
185Shiv Baba says: I am not going to live in them.
186Śhivbābā tō nirākār dātā hai nā .
186Shiv Baba is the incorporeal Bestower.
187Tum dētē hō tumkō 21 janmō̃ kē liē phal dētē haĩ .
187You give to Him and so He gives you the fruit of that for 21 births.
188Maĩ tō tumhārē svarg mē̃ hī nahī̃ āūṅgā .
188I do not enter your heaven.
189Mujhē nark mē̃ ānā paṛtā hai , tumkō nark sē nikālnē kē liē .
189I have to come into hell in order to remove you from hell.
190Tumhārē gurū lōg tō aur hī duban mē̃ phansā dētē haĩ .
190Your gurus trap you in the bog even more.
191Vah kōī sadgati nahī̃ dētē .
191They do not grant salvation.
192Ab bāp āyē hai pavitra duniyā mē̃ lē chalnē phir aisē bāp kō yād kyō̃ nahī̃ kartē .
192The Father has come to take you to the pure world. 193So, why do you not remember such a Father?
193Bāp kahtē haĩ - kuchh bhī paisā na dō sirph mujhē yād karō tō pāp nāśh hōṅgē aur mērē pās|pass ā jāyēṅgē .
194The Father says: Don't give money! 195Simply remember Me and your sins will be destroyed and you will come to Me.
194Yah makān ādi tum bachchō̃ nē apnē liē hī banavāyē haĩ .
196You children have had these buildings built for yourselves.
195Yahā̃ chāval muṭṭhī kā gāyan hai nā .
197There is the memorial of “a handful of rice”.
196Garīb apnī himmat anusār jitnā dētē haĩ utnā unkā bhī bantā hai .
198The poor receive the return of whatever they give, according to their courage.
197Jitnā sāhūkār kā pad utnā garīb kā . 198Dōnō̃ kā ēk hō jātā hai .
199Whatever status the wealthy receive, the poor also receive the same; the two are equal.
199Garīb kē pās hai hī 100 rūpayā unsē ēk rūpayā dē , sāhūkār kō bahut hai tō vah 100 dē , dōnō̃ kā ēk hī phal hōgā , isliē bāp kō garīb-nivāz kahā jātā hai .
200If a poor person gives one rupee out of the hundred rupees he has, and a wealthy person who has a lot of money gives one hundred rupees, both receive the same fruit. 201This is why the Father is called the Lord of the Poor.
200Sabsē garīb hai bhārat .
202Bharat is the poorest of all.
201Unkō hī maĩ ākar sāhūkār banātā hū̃ .
203I come and make it wealthy.
202Garīb kō hī dān diyā jātā hai nā .
204Donations are made to the poor.
203Kitnā clear kar bābā samjhātē haĩ .
205Baba explains to you so clearly.
204Bachchē ab maut sāmnē khaṛā hai , ab jaldī-jaldī karō .
206Children, death is just ahead. 207Now, do everything quickly.
205Yād kī raphtār baṛhāō .
208Increase the speed of remembrance.
206Most sweet bābā kō jitnā yād karē̃gē utnā varsā milēgā . 207Tum bahut dhanvān banē̃gē .
209The more you remember the most sweet Father, the more inheritance you will receive and the wealthier you will become.
208Bāp tumkō aisā nahī̃ kahtē haĩ ki māthā ṭēkō . 209Mēlē malākhaṛē mē̃ jāō . 210Nahī̃ .
210The Father doesn't tell you to bow down or go to fairs, etc; no!
211Ghar mē̃ baiṭhē bāp aur varsē kō yād karō .
211Remember the Father and your inheritance while sitting at home.
212Bas .
212That is all.
213Bāp hai bindī .
213The Father is a point.
214Unkō parampitā paramātmā kahā jātā hai .
214He is called the Supreme Father, the Supreme Soul.
215Supreme soul , sabsē ūñch tē ūñch hai .
215He is the Supreme Soul. 216He is the highest of all.
216Bāp kahtē haĩ maĩ bhī bindī hū̃ , tum bhī bindī hō .
217The Father says: I am a point and you are also points.
217Sirph bhakti mārg kē liē mērā baṛā rūp banākar rakhā hai .
218It is just that those on the path of devotion have made a huge form to represent Me.
218Nahī̃ tō bindī key|kī pūjā kaisē karē̃ .
219How could a point be worshipped?
219Unkō kahtē bhī haĩ śhivbābā .
220He is called Shiv Baba.
220Kisnē kahā ?
221Who said this?
221Abhī tum kahtē hō ki śhivbābā hamē̃ varsā dē rahē haĩ .
222You now say that Shiv Baba is giving you your inheritance.
222Wonder hai nā .
223It is a wonder!
22384 kā chakra phirtā rahtā hai .
224The cycle of 84 births continues to turn.
224Anēk bār tumnē varsā liyā hai aur lētē hī rahē̃gē .
225You have received this inheritance many times and you will continue to receive it.
225Kitnā achchhī rīti bāp baiṭh samjhātē haĩ .
226The Father sits here and explains to you so nicely.
226Achchhā !
227Achcha.
227Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
228To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
228Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
229The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
229Dhārṇā kē liē mukhya sār :
230Essence for dharna:
2301 ) maut sāmnē khaṛā hai isliē ab yād kī raphtār kō baṛhānā hai .
2311. Death is just ahead. 232Therefore, now increase the speed of your remembrance.
231Satyugī duniyā mē̃ ūñch pad pānē kā pūrā puruṣhārth karnā hai .
233Make full effort to claim a high status in the golden-aged world.
2322 ) apnā aur dūsrō̃ kā kalyāṇ kar āśhīrvād lēnī hai .
2342. Bring benefit to yourself and others and receive blessings.
233Pavitra duniyā mē̃ chalnē kē liē pavitra jarūr bannā hai .
235In order to go to the pure world, you definitely do have to become pure.
Blessing
234Vardān : connection aur relation dvārā mansā śhakti K|kē pratyakṣha pramāṇ dēkhnē vālē sūkṣhma sēvādhārī bhav
236Blessing: May you be a soul who does subtle service by having a connection and relationship with BapDada and thereby sees the practical proof of the power of the mind.
235Jaisē vāṇī key|kī śhakti vā karma key|kī śhakti kā pratyakṣha pramāṇ dikhāī dētā hai vaisē sabsē powerful silence śhakti kā pratyakṣha pramāṇ dēkhnē kē liē bāpdādā kē sāth nirantar clear connection aur relation hō , isē hī yōgbal kahā jātā hai .
237Just as you can see the practical proof of the power of the mind and the power of actions, in the same way, in order to see the practical proof of the most powerful power of silence, let there constantly be a clear connection and relationship with BapDada. 238This is called the power of yoga.
236Aisī yōgbal vālī ātmāyē̃ sthūl mē̃ dūr rahnē vālī ātmā kō sammukh kā anubhav karā saktī haĩ .
239Souls with such power of yoga can give souls sitting far away the physical experience of being personally in front of them.
237Ātmāō̃ kā āhvān kar unhē̃ parivartan kar saktī haĩ .
240They can invoke souls and transform them.
238Yahī sūkṣhma sēvā hai , iskē liē ēkāgratā kī śhakti kō baṛhāō .
241This is subtle service and in order for you to do this, increase your power of concentration.
Slogan
239Slōgan : apnē sarv khajānō̃ kō saphal karnē vālē hī mahādānī ātmā haĩ .
242Slogan: Only those who use all their treasures in a worthwhile way are great donor souls.
243*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
240Yē avyakt iśhārē - parōpkār key|kī bhāvnā sē sampann ban apkārī par bhī upkār karō
244Avyakt Signal: Embrace the spirit of uplifting others and uplift those who have defamed you.
241Kōī dēhdhārī dr̥iṣhṭi sē āpkē sāmnē āyē tō āp ēk second mē̃ unkī dr̥iṣhṭi kō ātmik dr̥iṣhṭi mē̃ parivartit kar lō .
245When anyone with body-conscious vision comes to you, transform his vision into soul-conscious vision in a second.
242Kōī girānē key|kī vr̥itti sē vā apnē saṅgdōṣh mē̃ lānē key|kī dr̥iṣhṭi sē sāmnē āyē tō āp unkō sadā śhrēṣhṭh saṅg K|kē ādhār sē , saṅgdōṣh sē nikāl śhrēṣhṭh saṅg lagānē vālē banā dō .
246When anyone comes, intending to make you fall or to influence you with their company, then on the basis of your constantly elevated company, remove that influence from them and make them into those who keep elevated company.
243Aisī parivartan karnē key|kī yukti ānē sē kabhī bhī vighna sē hār nahī̃ khāyēṅgē .
247When you learn the way to perform this type of transformation, you will never be defeated by any obstacle.
244Samparka mē̃ ānē vālē āpkī is sūkṣhma śhrēṣhṭh sēvā par balihār jāyēṅgē .
248Those who come into contact with you will surrender themselves to you when they see this elevated subtle service that you do.