शनिवार 31 अक्टूबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

031-10-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

031/10/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhārē jaisā saubhāgyaśhālī kōī nahī̃ , kyōṅki jis bāp kō sārī duniyā pukār rahī hai vah tumhē̃ paṛhā rahē haĩ , tum unsē bātē̃ kartē hō ' '

1Essence: Sweet children, no one is as fortunate as you, because the Father, to whom the whole world is calling out, is teaching you and you talk to Him.

Question

2Praśhna  : jin bachchō̃ kō vichār sāgar manthan karnā ātā hai , unkī niśhānī kyā hōgī  ?

2Question: What are the signs of the children who know how to churn the ocean of knowledge?

Answer

3Uttar  : unkī buddhi mē̃ sārā din yahī tāt lagī rahtī ki kaisē sabkō rāstā batāyē̃  ! 4Kaisē kiskā kalyāṇ karē̃  !

3Answer: Their intellects are concerned throughout the day about how to show everyone the path and benefit them.

5Vah service K|kē nayē-nayē plan banātē rahtē haĩ .

4They continue to make new plans for doing service.

6Unkī buddhi mē̃ sārā gyān ṭapaktā rahtā hai .

5All of this knowledge continues to trickle into their intellects.

7Vē|way apnā time west|waste nahī̃ kartē .

6They never waste their time.

Murli

8Ōm śhānti .

7Om shanti.

9Bachchō̃ kē āgē nirākār parampitā paramātmā bōl rahē haĩ , yah bachchē hī jāntē haĩ .

8The incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, is speaking in front of you children. 9Only you children know this.

10Bhagvān kō ūñch kahā jātā hai .

10God is said to be the highest.

11Ūñchā unkā ṭhā̃v hai .

11His residence is also the highest.

12Rahnē kā sthān tō maśhhūr hai .

12The place of residence is very well known.

13Bachchē jāntē haĩ ham mūlvatan mē̃ rahnē vālē haĩ .

13You children know that we are residents of the incorporeal world.

14Manuṣhyō̃ kō in sab bātō̃ kā patā nahī̃ hai .

14Human beings don't know any of these things.

15God father bōltē haĩ .

15God, the Father, is speaking.

16Tum bachchō̃ bigar aisā kōī manuṣhya nahī̃ jiskō patā hō ki nirākār bhagvān bōltē haĩ .

16Apart from you children, no human beings know that it is incorporeal God who is speaking.

17Nirākār hōnē K|kē kāraṇ kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai ki bhagvānuvāch kaisē hō saktā hai .

17Because He is incorporeal, it doesn't enter anyone's intellect how God can speak.

18Patā na hōnē K|kē kāraṇ gītā mē̃ śhrīkr̥iṣhṇa kā nām dē diyā hai .

18Because of not knowing this, they have put Krishna’s name in the Gita.

19Ab bachchō̃ kē āgē bōl rahē haĩ .

19He is now speaking personally to you children.

20Sammukh hōnē bigar tō sun nahī̃ saktē .

20You cannot listen to Him without being personally in front of Him.

21Dūr sē bhal suntē haĩ parantu niśhchay nahī̃ hōtā .

21Some may hear from a distance, but there isn't that faith.

22Suntē tō haĩ bhagvānuvāch .

22They hear that these are the versions of God.

23Yathārth rīti tum jāntē hō .

23You know this accurately.

24Bhagvān tō śhivbābā hai .

24Shiv Baba is God.

25Practical mē̃ jāntē hō bābā hamkō gyān sunā rahē haĩ .

25You know Baba is speaking this knowledge to you in a practical way.

26Tumhārī buddhi jhaṭ ūpar mē̃ chalī jātī hai .

26Your intellects quickly go up above.

27Śhivbābā ūñch tē ūñch rahnē vālā hai .

27Shiv Baba is the One who resides in the highest-on-high place.

28Jaisē kōī baṛē ādmī , queen ādi ātī hai tō jāntē haĩ yah phalānī jagah key|kī rahnē vālī hai , is samay yahā̃ āī hai .

28When an eminent person or the Queen comes, you know that that person has come at that time from such-and-such a place and has come here.

29Tum bachchē bhī jāntē hō bābā āyā hai - hamkō lē jānē .

29You children also know that Baba has come to take you back with Him.

30Ham bhī bābā kē sāth vāpis jāyēṅgē .

30We will also go back home with Baba.

31Ham paramdhām K|kē rahnē vālē haĩ .

31We are residents of the supreme abode.

32Tumkō ab bāp aur ghar yād paṛtā hai .

32You now remember the Father and your home.

33Vahī bāp sr̥iṣhṭi kā rachayitā hai .

33That Father is the Creator of the world.

34Bāp nē ākar tum bachchō̃ kō mūlvatan , sūkṣhmavatan , sthūlvatan kā rāz samjhāyā hai .

34The Father came and explained to you children the secrets of the incorporeal world, the subtle region and the corporeal world.

35Jiskī buddhi mē̃ hai vahī samajhē̃gē . 36Barōbar ham puruṣhārth kar rahē haĩ - bhaviṣhya 21 janmō̃ kē liē , bāp sē varsā lēnē .

35Only those who have this in their intellects will be able to understand that we truly are making effort to claim our inheritance from the Father for our future 21 births.

37Puruṣhārth tō karnā hī hai .

36You have to make effort.

38Puruṣhārth kō kabhī bhī chhōṛnā nahī̃ hai .

37You must never stop making effort.

39School K|kē bachchē jāntē haĩ jab tak imtihān hō tab tak hamkō paṛhnā hī paṛhnā hai .

38Children at school know that they have to study until their examinations take place.

40Aim object rahtī hai . 41Ham baṛē tē baṛā imtihān pās|pass karē̃gē .

39They have the aim and objective of passing the highest examination.

42Ēk college chhōṛ dūsrē , tīsrē mē̃ jāyēṅgē .

40They will leave one college and then go to the second and third higher colleges.

43Matlab tō paṛhtē rahnā hai .

41The main thing is to continue to study.

44Baṛē ādmī kā bachchā hōgā tō jarūr baṛā imtihān pās|pass karnē kā khyāl hōgā .

42A child of an important person would definitely think about passing a higher examination.

45Tum jāntē hō ham bahut baṛē bāp K|kē bachchē haĩ .

43You know that you are the children of the great Father.

46Duniyā mē̃ kiskō patā nahī̃ hai - ham śhivbābā key|kī santān haĩ .

44No one in the world knows that we are children of Shiv Baba.

47Tum bahut baṛē ūñch tē ūñch bāp K|kē bachchē hō .

45You children are the children of the highest-on-high Father.

48Bahut baṛī paṛhāī paṛhtē hō .

46You study a very important education.

49Jāntē hō yah ūñch tē ūñch paṛhāī hai .

47You know that this is the highest-on-high study.

50Paṛhānē vālā bāp hai tō kitnā umaṅg aur khuśhī mē̃ rahnā chāhiē .

48It is the Father who is teaching you and so you should have so much enthusiasm and happiness.

51Yah kiskō bhī samjhā saktē hō .

49You can explain this to anyone.

52Ham bahut baṛē tē baṛē bāp K|kē bachchē haĩ .

50We are the children of the greatest Father of all.

53Bahut baṛē satgurū key|kī mat par ham chaltē haĩ .

51We are following the directions of the greatest Satguru.

54Teacher key|kī , gurū kī mat par chalnā hōtā hai nā .

52You have to follow the directions of the Teacher and Guru.

55Unkō follower kah dētē haĩ .

53They call them followers.

56Yahā̃ bāp key|kī mat par bhī chalnā hai , teacher key|kī mat par bhī chalnā hai , tō gurū kī mat par bhī chalnā hai .

54Here, you have to follow the Father's directions, the Teacher's directions and also the Guru's directions.

57Tum jāntē hō vah hamārā bāp , teacher , satgurū hai .

55You know that He is your Father, Teacher and Satguru.

58Unkī mat par jarūr chalnā hai .

56We definitely have to follow His directions.

59Yah tō ēk hī hai - ūñch tē ūñch hai śhivbābā , vah bōltē haĩ .

57He is the only One. 58The Highest-on-High is Shiv Baba and He is speaking.

60Bābā bachchō̃ sē pūchhtē haĩ śhivbābā bōltē haĩ , achchhā śhaṅkar bōltē haĩ  ?

59Baba asks you children: Does Shiv Baba speak? 60Does Shankar speak?

61Brahmā bōltē haĩ  ?

61Does Brahma speak?

62Viṣhṇu bōltē haĩ  ?

62Does Vishnu speak?

63 ( kisī nē kahā śhiv aur brahmā bōltē haĩ - viṣhṇu vā śhaṅkar nahī̃ bōltē ) viṣhṇu K|kē dō rūp lakṣhmī-nārāyaṇ kahtē hō tō phir kyā bōltē nahī̃ haĩ  ?

63(Someone said Shiva and Brahma speak but Vishnu and Shankar don't speak.) 64You say that the two forms of Vishnu are Lakshmi and Narayan, and so do they not speak?

64Gū̃gē haĩ  ?

65Are they dumb?

65 ( gyān nahī̃ bōltē ) ham gyān key|kī bāt hī nahī̃ kartē , bōlnē key|kī bāt pūchhtā hū̃ .

66(They don't speak this knowledge.) 67I am not talking about knowledge, but I am asking about them speaking.

66Viṣhṇu , lakṣhmī-nārāyaṇ bōltē haĩ  ?

68Does Vishnu, Lakshmi and Narayan speak?

67Śhaṅkar nahī̃ bōltē haĩ - vah ṭhīk hai . 68Bākī tīnō̃ kyō̃ nahī̃ bōlē̃gē .

69It is fine that Shankar doesn't speak but why would the other three not speak?

69Viṣhṇu K|kē dō rūp lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ tō jarūr bōlē̃gē nā .

70Lakshmi and Narayan are the two forms of Vishnu and so they would definitely speak, would they not?

70Manuṣhya śhivbābā kē liē samajhtē hōṅgē ki vah nirākār kaisē bōlē̃gē .

71People believe that Shiv Baba is incorporeal and so they wonder how He could speak.

71Tum bachchē jāntē hō śhivbābā bhī ismē̃ ākar bōltē haĩ .

72You children know that Shiv Baba enters this one and speaks.

72Brahmā kō bhī bōlnā hōtā hai . 73Adopted haĩ nā .

73Brahma also has to speak because he is adopted.

74Sannyāsī lōg bhī apnā nām sannyās kē bād badlī|badalī kartē haĩ .

74Sannyasis change their names after taking up renunciation.

75Tumnē bhī sannyās kiyā hai , tō tumhārā nām badalnā chāhiē .

75You too have had renunciation and so your names should change.

76Pahlē bābā nē nām rakhē . 77Parantu dēkhā ki nām rakhē huē bhī mar paṛtē haĩ - āśhcharyavat sunantī , kathantī , bhāgantī hō jātē haĩ , isliē kitnē nām rakh kitnē kā rakhē̃ .

76Baba gave you different names in the beginning, but then He saw that even those who were given new names died. 77They became those who were amazed on hearing this knowledge; they heard this knowledge, related it and then ran away. 78So, to how many children would Baba give names?

78Ājkal tō māyā bhī bahut tēj hai .

79Nowadays, Maya is very powerful.

79Buddhi kahtī hai jab lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tō uskō viṣhṇu purī kahā jātā thā .

80The intellect says that, when it used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan, it was called the land of Vishnu.

80Yah aim object buddhi mē̃ hai .

81You have this aim and objective in your intellects.

81Viṣhṇu K|kē dō rūp lakṣhmī-nārāyaṇ rājya kartē haĩ tō bōltē kyō̃ nahī̃ hōṅgē  !

82The two forms of Vishnu, Lakshmi and Narayan, rule the kingdom, and so why would they not speak?

82Bābā yahā̃ key|kī bāt nahī̃ kartē haĩ .

83Baba is not talking about here and now.

83Manuṣhya tō kahē̃gē nirākār kaisē bōlē̃gē .

84People ask how the incorporeal One can speak.

84Unkō yah patā hī nahī̃ hai ki nirākār kaisē ātē haĩ .

85They don't know how the incorporeal One comes.

85Unkō patit-pāvan kahtē haĩ .

86They call Him the Purifier.

86Vah gyān kā sāgar bhī hai , chaitanya bhī hai , pyār kā sāgar bhī hai .

87He is the Ocean of Knowledge, the Living Being and also the Ocean of Love.

87Ab pyār prērṇā sē tō hōtā nahī̃ hai , vah bhī ismē̃ pravēśh kar bachchō̃ kō pyār kar saktē haĩ nā , tab kahtē haĩ ham parampitā paramātmā key|kī gōd mē̃ ātē haĩ . 88Bas bābā tumhī̃ sē khāū̃ , tumhī̃ sē sunū̃ … buddhi us taraph chalī jātī hai .

88Love doesn’t take place through inspiration. 89He enters this one and gives you children love, and this is why you say that you go into the lap of the Supreme Father, the Supreme Soul: Baba, I eat with You, I listen to You… 90Your intellects go to Him.

89Śhrīkr̥iṣhṇa buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai .

91Shri Krishna doesn't enter your intellects.

90Tō bāp bachchō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ .

92The Father sits here and explains to you children.

91Tumhārē jaisā saubhāgyaśhālī kōī hai nahī̃ .

93No one is as fortunate as you.

92Tum jāntē hō ham kitnē ūñch pārṭdhārī haĩ .

94You know that you are actors with such elevated parts.

93Yah khēl hai nā .

95This is a play.

94Iskē pahlē tō tum kuchh nahī̃ jāntē thē .

96Before this, you didn't know anything.

95Abhī bāp nē pravēśh kiyā hai tō drama plan anusār un dvārā sun rahē haĩ .

97The Father has now entered this one, and so, according to the drama plan, we are hearing through him.

96Bāp kahtē haĩ - mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ tum jāntē hō bābā nirākār hai .

98The Father says: Sweetest children, you know that Baba is incorporeal.

97Vah ham ātmāō̃ kā bāp hai .

99He is the Father of us souls.

98Yah bātē̃ kōī bhī śhāstra ādi mē̃ likhī huī nahī̃ haĩ .

100These things are not written in any of the scriptures.

99Abhī tumhārī buddhi viśhāl huī hai .

101Your intellects have now become broad and unlimited.

100Student paṛhtē haĩ , buddhi mē̃ sārī history-geography ā jātī hai .

102When students study, all the history and geography enter their intellects.

101Parantu yah kiskī buddhi mē̃ nahī̃ hai - bābā kahā̃ haĩ  !

103However, it is not in anyone's intellect where Baba is.

102Yathārth rīti tum bachchē hī samajhtē hō aur practical mē̃ vah khuśhī hai .

104Only you children understand this accurately. 105You also have this happiness in a practical way.

103Bābā paramdhām sē ātē haĩ , hamkō paṛhātē haĩ .

106Baba comes from the supreme abode and teaches us.

104Sārā din āpas mē̃ yahī rūh-rihān hōnī chāhiē .

107You should have this heart-to-heart conversation among yourselves throughout the day.

105Sivāē is gyān K|kē bākī sab haĩ satyānāśh karnē vālī bātē̃ .

108To speak about anything other than this knowledge is to destroy everything completely.

106Śharīr nirvāh arth|earth tumkō dhandhā ādi bhī karnā hai aur sāth-sāth yah rūhānī service bhī .

109You have to do your work, etc. for the livelihoods of your bodies. 110Along with that, you also have to do this spiritual service.

107Tum jāntē hō barōbar yah bhārat svarg thā .

111You know this Bharat truly was heaven.

108In lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .

112It used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan.

109Jō bhī dēvtāō̃ K|kē chitra haĩ , unkā yathārth gyān buddhi mē̃ ā gayā hai .

113You now have this accurate knowledge of all the pictures of the deities.

110Number one lakṣhmī-nārāyaṇ kā chitra uṭhāō , vichār karō - barōbar yah bhārat mē̃ rājya kartē thē tō ēk hī dharm thā .

114Take the number one picture of Lakshmi and Narayan and think about it: They truly used to rule the kingdom in Bharat. 115So, there was just the one religion.

111Rāt pūrī hō din śhurū huā arthāt kaliyug pūrā hō satyug śhurū huā .

116The night came to an end and the day began, that is, the iron age came to an end and the golden age came.

112Kaliyug hai rāt . 113Satyug hai subah .

117The iron age is the night and the golden age is the morning.

114Vichār sāgar manthan karnā hai ki inhōnnē yah rājya kaisē pāyā .

118Churn the ocean of this knowledge as to how they attained their kingdom.

115Jaisē kahā jātā hai sāgar mē̃ patthar ḍālō tō laharē̃ uṭhē̃gī .

119It is said: “When you throw a stone into the sea, it creates ripples.”

116Tō tum bhī patthar mārō , manuṣhyō̃ kō samjhāō .

120Therefore, you too should throw a stone and explain to people.

117Yah khyāl karō , bhārat mē̃ dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā nā , jinhōnnē hī phir bhakti mārg mē̃ mandir banāyē haĩ , jiskō phir lūṭ gayē haĩ .

121Think about this: There was the kingdom of the deities in Bharat, was there not? 122They are the ones who then built temples to the deities on the path of devotion. 123Those temples were then looted.

118Kal key|kī bāt hai .

124It is a matter of only yesterday.

119Abhī bhakti mārg hai tō jarūr uskē āgē gyān mārg hōgā .

125It is now the path of devotion, and so there must definitely be the path of this knowledge after that.

120Yah sab bātē̃ abhī tumhārī buddhi mē̃ haĩ .

126All of these things are now in your intellects.

121Bāp bhī ākar apnī jīvan kahānī batātē haĩ .

127The Father comes and tells you His life story.

122Tumkō yah yād kyō̃ nahī̃ paṛtī hai .

128Why don't you remember it?

123Bābā ākarkē hamkō yah sārī knowledge sunātē haĩ , samajh bhī chāhiē nā .

129Baba comes and tells us all of this knowledge. 130You also need to understand it.

124Kiskō bhī yahī bāt sunāō .

131You can relate it to anyone.

125Yah chitra hai aim object .

132This picture is our aim and objective.

126Yah lakṣhmī-nārāyaṇ tō sabsē baṛē king queen hō gayē haĩ .

133Lakshmi and Narayan were the greatest king and queen.

127Bhārat svarg thā nā .

134Bharat used to be heaven.

128Kal key|kī bāt hai .

135It is a matter of yesterday.

129Phir inhōnnē yah rājgaddī kaisē ganvāī .

136So, how did they lose their kingdom?

130Apnē bachchē bhī bhal yah sab suntē haĩ parantu kabhī buddhi mē̃ ṭapaktā nahī̃ hai .

137You children listen to all of this knowledge, but it doesn't trickle into your intellects constantly.

131Buddhi mē̃ yād bhī nahī̃ ātā .

138You don't even remember it.

132Agar yād ātā hai tō aurō̃ kō bhī samjhā saktē haĩ .

139If you did remember it, you could also explain to others.

133Hai tō bahut sahaj .

140It is so easy!

134Tum yahā̃ ātē hō lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā bannē .

141You come here to become the same as Lakshmi and Narayan.

135Samjhāyā gayā hai 5 hajār varṣh key|kī bāt hai .

142It has been explained to you that this is a matter of 5000 years.

136Issē long ago kōī hōtā nahī̃ .

143There cannot be anything longer than “long, long ago”.

137Sabsē purānē tē purānē bhārat key|kī kahānī yah hai .

144This story of Bharat is the oldest.

138Reality mē̃ sachchī-sachchī kahānī yah hōnī chāhiē .

145In reality, this should be the true story.

139Sabsē baṛī kahānī yah hai .

146This is the greatest story of all.

140Inhō̃ kā rājya thā , abhī vah rājya hai nahī̃ .

147It used to be their kingdom. 148That kingdom no longer exists.

141Jarā bhī kiskō patā nahī̃ hai .

149No one knows about it at all.

142Tumhārī buddhi mē̃ number-vār ṭapaktā hai .

150It keeps trickling into your intellects, numberwise.

143Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō .

151The Father says: Remember Me.

144Vah bhī pūrī rīti kōī yād nahī̃ kartē haĩ .

152However, no one remembers Me accurately.

145Bāp bindī hai , ham bhī bindī haĩ , yah bhī buddhi mē̃ ṭhahartā nahī̃ .

153The Father is a point and we are also points. 154Even this much doesn't stay in your intellects.

146Kōī-kōī key|kī buddhi mē̃ tō achchhī rīti ṭapaktā hai .

155This continues to trickle into some people's intellects very well.

147Kisī kō baiṭh samjhātē haĩ tō 4-5 ghaṇṭē bhī lag jātē haĩ .

156When you sit and explain to someone, it may even take four to five hours.

148Yah bahut wonderful bātē̃ haĩ .

157These are very wonderful matters.

149Jaisē satya nārāyaṇ kī kathā baiṭhkar suntē haĩ nā . 1502-3 ghaṇṭē baiṭh suntē haĩ , jiskī dilacaśpī hōtī hai .

158When they sit and listen to the story of the true Narayan, those who are interested in it will sit and listen to it for two to three hours.

151Ismē̃ bhī aisē hai , jiskō bahut rūchi hōgī unkō aur kuchh sūjhēgā hī nahī̃ .

159It is the same here; those who have a keen interest in this will not be able to think about anything else at all.

152Bas yah bātē̃ samajhnē mē̃ hī majā ātā hai .

160They enjoy themselves just trying to understand these things.

153Yah bātē̃ achchhī lagtī haĩ .

161They enjoy these things.

154Samajhtē haĩ bas is service mē̃ hī lag jāyē̃ , dūsrā dhandhā-dhōrī ādi sab chhōṛ dē̃ .

162They feel that they just want to engage themselves in doing this service and stop doing all other business, etc.

155Parantu aisē tō kōī kō baiṭhnā nahī̃ hai .

163However, no one can just sit idle like that.

156Tō tum bachchē yah satya-nārāyaṇ key|kī kahānī sun rahē hō .

164You children are listening to the story of the true Narayan.

157Abhī tumhārī buddhi mē̃ kitnī achchhī bātē̃ ramaṇ kartī haĩ .

165Such good things are being churned by your intellects.

158Ham yah vakkhar ( sāmagrī ) delivery karnē kē liē ever ready haĩ .

166We are ever ready to make a delivery of these goods.

159Vakkhar hamēśhā ready hōnā chāhiē .

167All of these goods should always be ready.

160Yah chitra bhī tum dikhākar kiskō bhī samjhā saktē hō - in lakṣhmī-nārāyaṇ kō yah rājya kaisē milā .

168You can show this picture to anyone and explain to them how Lakshmi and Narayan claimed their kingdom.

161Kitnā varṣh āgē yah viśhva K|kē mālik thē .

169They were the masters of the world so many years ago.

162Us samay sr̥iṣhṭi mē̃ manuṣhya kitnē thē , abhī kitnē haĩ .

170How many people were there in the world at that time and how many are there now?

163Kuchh na kuchh patthar ḍālnā chāhiē tō vichār sāgar manthan chalē .

171Throw one stone or another (metaphorically speaking) at them in this way so that they continue to churn the ocean of this knowledge.

164Apnē is kul kā hōgā tō jhaṭ lahar jāyēgī .

172If they belong to this clan, they will quickly be influenced.

165Apnē kul kā nahī̃ hōgā tō kuchh bhī samajhē̃gē nahī̃ , chalē jāyēṅgē .

173If they don’t belong to this clan, they won’t understand anything and will go away from here.

166Yah nabz dēkhnē key|kī bāt hai .

174It is a matter of feeling the pulse.

167Tumhē̃ sivāē is mīṭhē-mīṭhē gyān K|kē bākī kuchh bhī bōlnā nahī̃ hai .

175You mustn't speak about anything except this sweet knowledge.

168Agar gyān K|kē sivāē kuchh bhī bōltē haĩ tō samjhō vah evil hai , unmē̃ kōī sār nahī̃ hai .

176If you speak anything other than this knowledge, understand that it is evil and that there is no essence in it.

169Hamārē pās|pass aisē bahut bachchē haĩ jinhē̃ sunnē kā baṛā śhauk hōtā hai .

177I have many children who are greatly interested in hearing about everything.

170Bāp samjhātē haĩ - evil bāt tō kabhī bhī sunnī nahī̃ chāhiē .

178The Father explains: Never listen to anything evil.

171Kalyāṇ key|kī bātē̃ hī sunō .

179Only listen to benevolent things.

172Nahī̃ tō mupht apnī satyānāśh kar dēgē .

180Otherwise, you will destroy all the truth in yourself for nothing.

173Bāp tō ākar tumhē̃ gyān hī sunātē haĩ .

181The Father comes and only speaks this knowledge to you.

174Sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā rāz samjhātē haĩ .

182He explains to you the secrets of the beginning, the middle and the end of the world.

175Kahtē haĩ aur kōī bhī bāt mat karō , ismē̃ bahut time west|waste kartē hō .

183He says: Don't speak about anything else. 184You waste a lot of your time in that.

176Phalānā aisē hai , vah aisā kartā hai . . . usē evil kahā jātā hai .

185“So-and-so is like this and he does this.” 186This is known as evil.

177Duniyā key|kī bāt alag hai , tumhārā tō ēk-ēk second kā time bahut valuable hai .

187It is a different matter for the rest of the world; every second of your time is very valuable.

178Tum kabhī bhī aisī bātē̃ nahī̃ sunō , nahī̃ karō .

188You must never listen to or speak of such things.

179Issē tō tum bēhad K|kē bāp kō yād karō tō tumhārī bahut kamāī hai .

189Rather than that, it is better for you to remember the unlimited Father and you will earn a great income.

180Jahā̃ tahā̃ bāp kā parichay jākar dō .

190Go and give the Father's introduction everywhere.

181Yahī rūhānī service kartē rahō .

191Continue to do this spiritual service.

182Sachchē-sachchē mahāvīr tum hō .

192You are the true, great warriors.

183Bas sārā din yahī tāt rahē - kōī hō jisē yah rāstā batāyē̃ .

193Throughout the day, have the concern that someone should come to you to whom you can show this path.

184Bāp kahtē haĩ - mujh alpha kō yād karō tō bē bādśhāhī mil jāyēgī .

194The Father says: Remember Me, Alpha, and you will receive beta, the kingdom.

185Kitnā sahaj hai .

195It is so easy!

186Aisē-aisē jākar service karnī chāhiē .

196Go and do service in this way.

187Bachchō̃ kō service par bahut dhyān dēnā chāhiē .

197You children must pay a lot of attention to doing service.

188Apnā aur dūsrō̃ kā kalyāṇ karnā chāhiē .

198Benefit yourselves and others.

189Bāp bhī tum bachchō̃ kō samjhānē kē liē hī āyē haĩ nā .

199The Father has come here to explain to you children.

190Tum bachchē bhī āyē hō paṛhnē aur paṛhānē .

200You children have also come here to study and then teach others.

191Time west|waste karnē yā sirph rōṭiyā̃ pakānē tō nahī̃ āyē hō .

201You haven't come here simply to waste your time or just cook chapattis.

192Sārā din buddhi service mē̃ chalnī chāhiē .

202Throughout the day let your intellects work for service to be done.

193Achchhā  !

203Achcha.

194Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

204To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

195Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

205The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

196Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

206Essence for dharna:

1971 ) jō bātē̃ apnē kām key|kī nahī̃ haĩ unhē̃ sunnē vā bōlnē mē̃ apnā samay west|waste nahī̃ karnā hai .

2071. Don't waste your time listening to or speaking about things that are of no use to you.

198Jitnā hō sakē paṛhāī par pūrā-pūrā dhyān dēnā hai .

208As much as possible, pay full attention to studying.

1992 ) sadā khuśhī aur umaṅg mē̃ rahnā hai ki hamē̃ paṛhānē vālā kaun hai .

2092. Constantly maintain zeal and happiness about who is teaching you.

200Puruṣhārth kō kabhī chhōṛnā nahī̃ hai .

210Never stop making effort.

201Mukh sē gyān ratna hī nikālnē haĩ .

211Only let jewels of this knowledge emerge through your lips.

Blessing

202Vardān  : samajhdār ban tīn prakār key|kī sēvā sāth-sāth karnē vālē saphaltāmūrt bhav

212Blessing: May you become sensible and do three types of service at the same time and become an embodiment of success.

203Vartamān samay K|kē pramāṇ mansā-vāchā aur karmaṇā tīnō̃ prakār key|kī sēvā sāth-sāth chāhiē .

213According to the present time, three types of service, with thoughts, words and actions, have to happen at the same time.

204Vāṇī aur karma kē sāth mansā śhubh saṅkalp vā śhrēṣhṭh vr̥itti dvārā sēvā kartē rahō tō phal phalībhūt hō jāyēgā kyōṅki vāṇī mē̃ śhakti tab ātī hai jab mansā śhaktiśhālī hō , nahī̃ tō bōlnē vālē paṇḍit samān hō jātē kyōṅki tōtē muāphik paṛhkar repeat kartē haĩ .

214Along with serving with your words and actions, also continue to serve with your mind, having pure thoughts and an elevated attitude. 215You will then receive the fruit of that, because when your mind is powerful your words will be filled with power. 216Otherwise, you become like pundits who just speak about it after simply reading everything and then repeating it like parrots.

205Gyānī arthāt samajhdār tīnō̃ prakār key|kī sēvā sāth-sāth kartē aur saphaltā kā vardān prāpt kar lētē haĩ .

217A gyani soul, that is, a sensible person, does all three types of service at the same time and thereby receives the blessing of success.

Slogan

206Slōgan  : apnē her|har bōl , karma aur dr̥iṣhṭi sē her|har ātmā kō śhānti , śhakti va khuśhī kā anubhav karānā hī mahān ātmāō̃ key|kī mahāntā hai .

218Slogan: To give the experience of peace, power and happiness with one’s words, actions and drishti is the greatness of great souls.

219*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

207Yē avyakt iśhārē - parōpkār key|kī bhāvnā sē sampann ban apkārī par bhī upkār karō

220Avyakt Signal: Embrace the spirit of uplifting others and uplift those who have defamed you.

208Jaisē hōmyōpaithik davāī key|kī chhōṭī-chhōṭī gōliyā̃ kitnē baṛē rōg kō khatm kar dētī haĩ , aisē āp master sarvśhaktimān apnī vr̥itti aur dr̥iṣhṭi sē kiskē bhī kaṛē saṅskār K|kē rōg kō khatm kar saktē hō .

221Just as tiny, homeopathic pills are able to finish a severe illness, in the same way, you master almighty authorities can finish the disease of anyone’s harsh sanskars with your attitude and vision.

209Jaisē vah davāī yah nahī̃ kahtī ki rōg kō kaisē miṭāyē̃ , aisē āp parōpkārī ātmāyē̃ master gyān sūrya ban sarv ātmāō̃ K|kē patit saṅkalpō̃ vā vr̥ittiyō̃ kō bhasma karnē key|kī sēvā karō , apkārī par bhī upkār karō .

222Just as that medicine does not ask, “How can I finish this illness?”, in the same way, you souls who uplift others have to become master suns of this knowledge and do the service of burning the impure thoughts and attitudes of all souls. 223Uplift those who defame you.