रविवार 15 नवंबर 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

015-11-26 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 20-03-12 madhuban

015/11/26 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 20/03/2012

1Santuṣhṭatā kī śhakti chēhrē aur chalan mē̃ dhāraṇ kar brahmā bāp samān banō , sadā khuśh rahō aur khuśhī bāṇṭō

1Imbibe the power of contentment to show on your face and in your activity and become like Father Brahma. 2Remain constantly happy and share your happiness.

2Āj chāhē sammukh chāhē dūr kē santuṣhṭamaṇi bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ .

3Today, BapDada is seeing His children, you jewels of contentment who are in front of Him and also those who are in distant places.

3Har ēk bachchā apnē santuṣhṭatā kī śhakti sē chamaktē huē muskarātē milan manā rahē haĩ .

4Each child, sparkling with his power of contentment, is smiling and celebrating this meeting.

4Yah santuṣhṭatā kī śhakti sabsē mahān hai isliē ismē̃ sarv prāptiyā̃ haĩ .

5This power of contentment is the greatest power of all and this is why there are all attainments in it.

5Santuṣhṭatā kī śhakti dhāraṇ karnē vālī santuṣhṭamaṇiyā̃ svayã kō bhī priya , bāp kō bhī priya , parivār kō bhī priya haĩ kyōṅki santuṣhṭatā jahā̃ hai vahā̃ sarvśhaktiyā̃ santuṣhṭatā mē̃ samāī huī haĩ .

6You jewels of contentment who imbibe the power of contentment are loved by yourselves, loved by the Father and also loved by the family, because where there is contentment, all the powers are merged in that contentment.

6Santuṣhṭatā kī śhakti kā vāyumaṇḍal chārō̃ ōr phailtā hai .

7The atmosphere of the power of contentment spreads everywhere.

7Santuṣhṭamaṇi vālī ātmāyē̃ kabhī bhī māyā sē hār nahī̃ khā saktī , māyā hār khātī hai .

8Souls who are jewels of contentment can never be defeated by Maya; Maya herself is defeated.

8Santuṣhṭamaṇi ātmāyē̃ sarv kī|key dil kō apnā banā saktī haĩ .

9Souls who are jewels of contentment can make everyone’s heart belong to them.

9Santuṣhṭamaṇi ātmā chāhē māyā , chāhē prakr̥iti kē bhinn-bhinn halchal kō aisē anubhav kartī jaisē ēk cartoon kō dēkh rahē haĩ .

10Souls who are jewels of contentment experience the different forms of upheaval of Maya and matter, as though they are watching a cartoon show.

10Aisē har ēk bachchā apnē kō santuṣhṭatā kī śhakti mē̃ sampann samajhtē hō  ?

11So, does each of you children experience yourself to be full of the power of contentment in this way?

11Apnē sē pūchhō ki maĩ santuṣhṭamaṇi hū̃  ?

12Ask yourself: Am I a jewel of contentment?

12Kaī bachchē kahtē haĩ kabhī-kabhī rahtē haĩ , sadā nahī̃ lēkin bāpdādā kō kabhī-kabhī śhabda achchhā nahī̃ lagtā hai .

13Some children say that they are this sometimes; not all the time. 14BapDada does not like this word “sometimes”.

13Bāpdādā sadā har ēk bachchē kō yād-pyār dētē haĩ , khuśhī dētē haĩ .

15BapDada constantly gives love, remembrance, and happiness to each and every child.

14Tō bāpdādā kō yah kabhī kabhī śhabda achchhā nahī̃ lagtā , sadā khuśhnumā .

16BapDada does not like this word “sometimes”. 17“Constantly” happy.

15Tō bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki is kabhī-kabhī śhabda kō kyā parivartan kar saktē hō  !

18BapDada wants to know if you can transform this word “sometimes”.

16Kabhī-kabhī śhabda brāhmaṇō̃ kī dictionary mē̃ hī nahī̃ hai , sadā .

19The word “sometimes” does not even exist in the dictionary of Brahmins, only “constantly”.

17Tō sabhī bachchē jō bāp kē pyārē , māyā kē prabhāv sē nyārē banē haĩ , kyā vah āj is kabhī kabhī śhabda kō samāpt kar saktē haĩ  ?

20So, today children, you who love the Father and have become free from the influence of Maya, can you finish this word “sometimes”?

18Kar saktē haĩ  ?

21Can you finish it?

19Kyōṅki bāpdādā bahut samay sē kah rahē haĩ kōī bhī halchal achānak ānī hai .

22BapDada has been telling you for a long time that any type of upheaval is to come suddenly.

20Uskī taiyārī kē liē , agar abhī bhī kabhī kabhī kē saṅskār hōṅgē tō kyā sadākāl kē rājyabhāgya kē adhikārī ban sakē̃gē  ?

23In order to prepare for that, if you still have the sanskar of “sometimes”, would you be able to claim a right to the fortune of the kingdom for all time?

21Brahmā bāp sē sabkā dil kā pyār hai .

24You all have love for Father Brahma in your hearts.

22Brahmā bābā sē vāydā hai ki sāth haĩ , sāth chalē̃gē , sāth rājya karē̃gē .

25You have promised Father Brahma: We are together, we will go back together and we will rule together.

23Yah vāydā pakkā hai nā  !

26This is a firm promise, is it not?

24Kāndh hilāō .

27Nod your heads!

25Pakkā hai  ?

28Is it firm?

26Kitnā pakkā  !

29How firm is it?

27Brahmā bāp nē kabhī-kabhī śhabda bōlā  !

30Did Father Brahma ever use the word “sometimes”?

28Āp sabkō bhī sadā amr̥itvēlē yādpyār diyā aur sadā bāp kē sāth milkar gyān kī bātē̃ , snēh kī bātē̃ , umaṅg-ulhās kī bātē̃ sunāī .

31He always gave all of you love at amrit vela, and, together with that, the Father always spoke of matters of knowledge, matters of love and matters of zeal and enthusiasm.

29Agar sabhī sē hāth uṭhvāyē̃ ki bāpdādā sē pyār hai tō sabhī dō dō hāth uṭhāyēṅgē .

32If Baba were to ask you to raise your hands if you have love for BapDada, all of you would raise both your hands.

30Hai nā  !

33Isn’t that right?

31Pakkā  ?

34Are you sure?

32Jab pyār hai tō pyār vālē kē ēk-ēk śhabda sē bhī pyār hōtā hai .

35When you love someone, you also have love for every word that that loved one speaks.

33Brahmā bāp nē kabhī śhiv pitā sē yah nahī̃ kahā ki kabhī-kabhī hōtā hai .

36Father Brahma never said to Father Shiva that it happens only sometimes.

34Sadā follow father kiyā aur sāth mē̃ āpkō bhī karāyā kyōṅki brahmā bāp kā bachchō̃ sē jigrī pyār hai isīliē āpkā nām bhī kyā hai  ?

37He always followed the Father and also made you follow Him because Father Brahma has deep love in his heart for you children. 38Therefore, what is your name?

35Brahmākumārī , śhivkumārī nām nahī̃ hai .

39Brahma Kumari, your name is not Shiv Kumari.

36Tō brahmā bāp sē pyār arthāt brahmā bāp kā kahnā aur brahmākumār kumārī kā mānnā .

40To have love for Father Brahma means that whatever Father Brahma says, the Brahma Kumaris follow.

37Pyār arthāt nyōchhāvar .

41Love means surrender.

38Tō kis par nyōchhāvar hōṅgē  ?

42So, what will you surrender to?

39Unkī āgyā par .

43To His directions.

40Jō bōlā vah kiyā kyōṅki brahmā bāp kē sāth śhiv bāp hai .

44Whatever He (Shiv Baba) said, he (Brahma Baba) did, because Father Shiva is also with Father Brahma.

41Akēlā nahī̃ .

45He is not alone.

42Bāpdādā , bāpdādā kahtē hō nā  !

46You say, “Bap Dada, Bap Dada”, do you not?

43Tō āj bāpdādā kabhī-kabhī śhabda kō her|har bachchē kē mukh sē samāpt karnē chāhtē haĩ .

47Today, BapDada wants every child to finish saying the word “sometimes”.

44Tō āp sabhī bachchē bāp kē sāthī hō .

48All of you children are the Father’s companions.

45Pyār hai nā  !

49You do love Him, do you not?

46Pyār mē̃ tō apnē āpkō nyōchhāvar bhī kar dētē haĩ , yah tō sirph śhabda kō nyōchhāvar karnā hai kyōṅki bāpdādā her|har bachchē kō mālā kā vijayī ratna banānē chāhtē haĩ .

50Out of love, you also surrender yourselves to Him, and here, it is just a matter of surrendering this word, because BapDada wants to make every child a victorious jewel of the rosary.

47Tō apnē kō mālā kā maṇkā samajhtē hō  ?

51Do you consider yourselves to be beads of the rosary?

48Vijayī samajhtē hō  ?

52Do you consider yourselves to be victorious?

49Kaī bachchē kahtē haĩ brāhmaṇō̃ kī saṅkhyā tō bahut hai aur mālā 108 kī hai tō 108 hī āyēṅgē nā  !

53Some children say that the number of Brahmins is huge and that the rosary is only of 108 and so only 108 can become part of it.

50Lēkin agar āp sampann banē̃ , vijayī banē̃ tō 108 kī|key mālā hai yah nahī̃ sōchō , bāpdādā bīch mē̃ laṛiyā bhī lagā dēgā .

54Do not think that it is a rosary of 108. If you become complete and victorious, BapDada will add more strings in the middle.

51Lēkin āp vijayī banō .

55However, you do have to become victorious.

52Kaī bachchē sōchtē haĩ patā nahī̃ , number milēgā yā nahī̃ milēgā .

56Some children think: I don’t know whether I will receive a number or not.

53Āp agar sampann banē̃ tō bāp number dē hī dēgā kyōṅki bāp kā her|har bachchē sē pyār hai .

57If you become complete, the Father will give you a number because the Father has love for every child.

54Sunāyā bhī thā bhalē kōī last bachchā hai , unsē bhī bāp kā pyār hai kyōṅki us bachchē nē , chāhē svabhāv kē vaśh hai lēkin bāp kō jānkē mērā bābā tō kahā .

58You were told earlier that even if it is the last child, the Father has love for him too, because even if that child is influenced by his sanskars, he has recognised the Father and said “My Baba”.

55Duniyā mē̃ kitnē baṛē-baṛē martabē vālē unhōnnē bāp kō nahī̃ pahchānā lēkin usnē tō pahchānā , chāhē kōī kamjōrī vaśh hai lēkin bāp kō tō pahchānā .

59There are people in the world with such high positions who have not recognised the Father, but that child has recognised Him. 60Even if he is influenced by some weakness, he has at least recognised the Father.

56Mērā bābā tō pyār sē kahtē haĩ isliē bāp nē pahlē bhī sunāyā thā ki last bachchē kē ūpar bhī bāp kā pyār tō hai hī lēkin uskē ūpar khās kalyāṇ kī dr̥iṣhṭi , kalyāṇ kī vr̥itti bhī hai ki yah bachchā kuchh na kuchh āgē baṛhtā rahē .

61At least he says “My Baba” with love and this is why, Baba had also told you earlier that the Father not only loves even the last number child, but that He also has a vision of benevolence, an attitude of benevolence for that child to continue to move forward.

57Tō bāpdādā āj spaṣhṭ sunā rahē haĩ , ki āp aur bātē̃ nahī̃ sōchō yah kaisē hōgā , yah kyā hōgā , āp apnē kō yōgya ātmā banāō .

62Today, BapDada is telling you clearly: Do not think about other things: “How will this happen? 63What will happen?” 64Simply make yourself into a worthy soul.

58Karmayōgī ātmā banāō .

65Make yourself a karma yogi soul.

59Bākī bāp her|har bachchē kō aisā yōgya bachchā jō banēgā uskō sarv prāpti kā vardān bhī dēkē āgē baṛhāyēgā , pīchhē nahī̃ rakhēgā .

66The Father will give every child who makes himself worthy the blessing of all attainments and make him move forward; He will not keep that child behind.

60Tō bāpdādā āj amr̥itvēlē chārō̃ taraph kē chāhē dēśh , chāhē vidēśh mē̃ chakra lagānē gayē .

67Today, at amrit vela, BapDada went on a tour everywhere, in this land and abroad.

61Vaisē tō bāpdādā majority chakra lagātē hī haĩ lēkin āj jab chakra lagāyā , sunāyā thā ki bāpdādā jab chakra lagānē jātā hai tō viśhēṣh āpkē pūrvaj dādiyā̃ bhī sāth mē̃ chakra lagānē chaltī haĩ .

68You were told earlier too that generally when BapDada tours around, your special ancestor Dadis also go on the tour with Baba.

62Tō chakra lagātē kyā dēkhā  ?

69So, what did Baba see while touring around?

63Jāntē tō hō āp bhī .

70You know that too.

64Achchhē-achchhē saṅkalp kartē haĩ , karkē hī dikhāyēṅgē , bankē hī dikhāyēṅgē , hāth mē̃ hāth lēkē hī chalē̃gē .

71You have very good thoughts: We will definitely do this, we will definitely become this. 72We will move along holding on to Your hand with our hand.

65Tō hāth kyā hai  ?

73So, what is the hand?

66Śhiv bāp kō tō phariśhtā rūp bhī nahī̃ hai tō hāth kaun sā hai  ?

74Father Shiva does not even have an angelic form, so what hand is it?

67Śhrīmat hāth hai .

75It is the hand of shrimat.

68Foreign mē̃ fashion hai hāth mē̃ hāth dēkē chalnē kā .

76Abroad, they have the fashion of walking hand in hand.

69Tō yahā̃ hāth hai śhrīmat tō sabhī hāth mē̃ hāth milākē chalnē vālē hō nā  !

77So, here, the hand is of shrimat, and so all of you are those who move along with your hands in His hand, are you not?

70Hai tākat  ?

78Do you have that power?

71Brahmā bāp nē dēkhō kadam-kadam śhrīmat par chalkē āp sabhī kō karkē dikhāyā .

79Father Brahma took every step according to shrimat and demonstrated that to all of you.

72Kyā karnā hai , kaisē karnā hai , example hai .

80He is the example of what you have to do and how you have to do it.

73Sākār mē̃ example hai .

81He was the example in the corporeal form.

74Nirākār kī|key bāt tō chhōṛō lēkin brahmā bāp sākār mē̃ āpkē sāthī thē .

82Let alone the Incorporeal, but Father Brahma was your companion in the corporeal form.

75Tō jaisē brahmā bāp śhrīmat kā hāth mē̃ hāth milākē phariśhtā ban gayā . 76Aisē hī follow father hai nā  !

83Just as Father Brahma put his hand in the Father’s hand of shrimat and became an angel, so, you are following the father in the same way, are you not?

77Follow father yād hai nā  !

84You remember to follow the father, do you not?

78Tō follow kyā karnā hai  ?

85So, what do you have to follow him in?

79Sārī bātē̃ spaṣhṭ karkē dikhāī , brahmā bāp kē chēhrē aur chalan kō sabhī jāntē haĩ nā  !

86He showed you everything very clearly. 87All of you know Father Brahma’s face and his activities, do you not?

80Apnī buddhi dvārā tō brahmā bāp kō emerge kar saktē haĩ nā  !

88You can make Father Brahma emerge with your intellect, can you not?

81Jō dincharyā , jaisē dincharyā brahmā bāp nē kī|key , sākār tan mē̃ hōtē , sākār mē̃ bhī sab anubhav kiyā .

89Whatever the timetable was, Father Brahma did that. 90While in that physical body, he experienced everything here in the corporeal.

82Brahmā bāp kē charitra tō sab jāntē hī haĩ .

91All of you know Father Brahma’s character.

83Tō follow father .

92So follow the father.

84Āpkō pakkā karnē kē liē brahmā bāp kē her|har kadam revise bhī kiyē haĩ .

93Every step of Father Brahma’s has been revised by you to make it firm.

858 kadam paṛhtē hō nā , kyā-kyā kiyā  !

94You have read about his eight steps, of what he did, have you not?

86Bas uskō follow karnā hai .

95You simply have to follow him, that’s all.

87Follow karnā arthāt brahmā bāp samān bannā .

96To follow means to become equal to Father Brahma.

88Tō sōchō bāp sē pyār hai , dōnō̃ bāp sē pyār hai .

97So, just think: You have love for the Father, you have love for both Fathers.

89Pyār mānā pahlē bhī sunāyā tō pyār kā practical rūp hai brahmā bāp kā kahnā aur bachchō̃ kō bāp samān karnā , yah hai sachchā dil kā pyār .

98You were told earlier too what it means to have love. 99The practical form of love is that Father Brahma says and the children do exactly the same as the Father. 100This is the love of a true heart.

90Kaī bachchē kyā kartē haĩ  ?

101What do some children do?

91Brahmā bāp samān karnā hai , yah sōchtē haĩ lēkin pahlē karkē pīchhē sōchtē haĩ , brahmā bāp samān tō kiyā nahī̃ . 92Lēkin kar tō liyā .

102They think that they have to do the same as Father Brahma, but they first do it and then think about it. 103So, they did not do the same as Father Brahma did, whatever they did.

93Lēkin follow karnā hai tō pahlē sōchō , saṅkalp karnē kē pahlē sōchō kyā yah saṅkalp brahmā bāp kā hai  !

104If you are going to follow, then first think. 105Think before you have a thought: Is this the thought of Father Brahma?

94Agar hai tō practical karō .

106If it is, then do it practically.

95Karkē pīchhē nahī̃ sōchō .

107Do not think about it after doing it.

96Lēkin pahlē sōchkē phir follow karō .

108First think about it and then follow.

97Brahmā bāp kō follow karnā arthāt brahmā bāp samān bannā .

109To follow Father Brahma means to become equal to Father Brahma.

98Himmat hai  ?

110Do you have this courage?

99Follow karnē kī himmat hai  ?

111Do you have the courage to follow Him?

100Jō samajhtē haĩ karnā hī hai , vah hāth uṭhāō .

112Those of you who think that you are going to do it, raise your hands!

101Pahlē sōchnā phir karnā .

113First think and then do.

102Karkē nahī̃ sōchnā .

114Do not do and then think.

103Tō āj bāpdādā viśhēṣh santuṣhṭatā kī śhakti har ēk bachchē mē̃ brahmā bāp samān dēkhnē chāhtē haĩ .

115Today, BapDada especially wants to see every child have the power of contentment the same as Father Brahma.

104Is ēk santuṣhṭatā kī śhakti mē̃ sab śhaktiyā̃ ā jāyēṅgī .

116All other powers will come with this one power of contentment.

105Tō āj bāpdādā kā viśhēṣh vardān hai santuṣhṭatā kē śhakti bhav  !

117So, today, BapDada’s special blessing is: May you have the power of contentment!

106Kuchh bhī hō apnī santuṣhṭatā kō kabhī nahī̃ chhōṛnā .

118No matter what happens, never let go of your contentment.

107Kaī bachchē kahtē haĩ , rūhrihān kartē haĩ nā  ! 108Tō kahtē haĩ santuṣhṭ bannā sahaj hai , lēkin santuṣhṭ banānā bahut muśhkil hai .

119Some children say when they have their heart-to-heart conversations: It is easy to become content, but difficult to make others content.

109Kōī kuchh bhī kartā hai aur āp samajhtē hō ki yah ṭhīk nahī̃ hai phir bhī dil mē̃ kyō̃ rakhtē hō  ?

120When someone is doing something and you know that that is not right, why do you keep it in your heart?

110Yah aisā kartā , yah aisā kartā , iskā svabhāv aisā hai , iskā aisā hai … .

121This one is doing this. 122That one is doing that. 123This one’s nature is like this, that one’s is like that.

111Dil mē̃ nahī̃ rakhō kyōṅki āpnē dil mē̃ bāp kō biṭhāyā hai .

124Do not keep this in your heart, because you have made the Father sit in your heart.

112Biṭhāyā hai nā  ?

125You have seated Him in your heart, have you not?

113Kāndh hilāō .

126Nod your heads.

114Biṭhāyā hai pakkā  ?

127Have you sat Him there? 128Are you sure?

115Ki nikāltē bhī hō biṭhātē bhī hō  ?

129Or do you also remove Him and then sit Him there?

116Agar biṭhāyā hai tō kyā dil mē̃ bāp kē sāth bāt bhī rakhē̃gē  ?

130If you have sat Him there, and then you have also kept those things in your heart, then, as well as the Father, you would have also kept these things in your heart.

117Tō dil mē̃ nahī̃ rakhō .

131So, do not keep those things in your heart.

118Bāpdādā nē pahlē bhī yah yukti sunāī hai ki sadā aisī ātmā kē prati śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā rakhkar apnī śhubh kāmnā kō kārya mē̃ lagāō aur vaisē bhī dēkhō āp samajhtē hō yah achchhā nahī̃ kartī , tō kharāb chīz hai .

132BapDada has told you this method earlier too, that you must always have good wishes and pure feelings for such souls and use your good wishes. 133In any case, you understand that what that one is doing is not good, and so it is bad.

119Tō agar kōī āpkō kharāb chīz dēvē tō āp lē̃gē  ?

134If someone gives you something bad, will you take it?

120Tō jab kharāb samajhtē hō tō buddhi mē̃ rakhnā , dil mē̃ rakhnā tō kharāb chīz liyā kyō̃  ?

135Since it is something bad, why should you keep it in your intellect or in your heart? 136Why did you take something that was bad?

121Aisē apnī dil mē̃ sadā bāp kō rakhtē huē bāp samān ban jāyēṅgē .

137While keeping the Father in your heart in this way, you will become equal to the Father.

122Yah tō vāydā hai nā , bāp samān bannā hai nā  !

138This is your promise, is it not? 139You are going to become equal to the Father, are you not?

123Bannā hai pakkā  ?

140You are definitely going to become this, are you not?

124Ki patā nahī̃ banē̃gē yā nahī̃ banē̃gē  ?

141Or do you have doubts: I don’t know whether I will become equal or not?

125Yah tō nahī̃ sōchtē  ?

142You do not think in this way, do you?

126Pyār mānā follow father .

143To have love means to follow the Father.

127Tō bāpdādā abhī ēk-ēk bachchē kō śhubh kāmnā , śhubh bhāvnā sampann ātmā dēkhnē chāhtē haĩ .

144BapDada now wishes to see each child filled with good wishes and pure feelings.

128Teachers banē̃gī  ?

145Will you teachers become this?

129Teachers sē bāpdādā kā viśhēṣh pyār hai .

146BapDada has special love for the teachers.

130Kyō̃ pyār hai  ?

147Why does He love you?

131Kyōṅki bāp kī gaddī par baiṭhnē kī himmat rakhī hai .

148Because you have maintained the courage to sit on the Father’s gaddi.

132Tō teachers mē̃ himmat hai nā  !

149So, teachers, you have courage, do you not?

133Har ēk teacher sē bāp yah chāhtā hai ki har ēk kē feature sē future dikhāī dē .

150The Father wants from each teacher, the future to be seen in your features.

134Nimitt teachers kō bāpdādā kah rahē haĩ lēkin āp bhī sāthī hō nā  !

151BapDada is speaking to the instrument teachers, but all of you are companions too, are you not?

135Bāpdādā nē boarding mē̃ pahlē chhōṭē-chhōṭē bachchō̃ kō bhī yahī śhikṣhā dī|the , khuśhnumā aur khuśhkismat , har ēk kā chēhrā aisē hō .

15275 years ago in the boarding school, BapDada had given these teachings to the little children: happy and fortunate - each one’s face has to be like that.

136Tō abhī bhī bāpdādā yahī chāhtā hai har ēk bachchā śhakla sē dikhāī dē ki yah khuśhnumā aur khuśhkismat vālī ātmā hai .

153Even now, BapDada wants each child’s face to be seen as that of a soul who has happiness and is fortunate.

137Vāṇī dvārā sēvā bahut kī|key aur achchhī kī|key uskā certificate tō hai lēkin abhī apnē chēhrē aur chalan sē sēvā mē̃ āgē baṛhō .

154You have done a lot of service with words and you have done it well and you have the certificate of that. 155However, now, move forward in doing service with your face and activity.

138Jaisē kōī garīb hōtā hai uskō lottery mil gaī tō uskā chēhrā aur chalan bōltā hai nā  !

156When a poor person wins a lottery, his face and activity speak.

139Uskā chēhrā dēkh karkē sab anubhav kartē haĩ āj iskō kuchh milā hai .

157When they see his face, everyone feels that he has received something special today.

140Aisē hī āpkī chalan aur chēhrē sē mān jāē̃ ki inhō̃ kō kuchh viśhēṣh prāpti hai .

158In the same way, when they see your face and activity, let them believe that you have attained something special.

141Tō āj bāpdādā kyā chāhtā hai  ?

159What does BapDada want today?

142Brahmā bāp samān banō .

160Become equal to Father Brahma.

143Follow father kyōṅki samay kī hālatē̃ tō halchal mē̃ ā bhī rahī haĩ aur ānī bhī haĩ isliē bāpdādā her|har bachchē kō yahī śhikṣhā dēnē chāhtē haĩ ki sadā khuśh rahō aur khuśhī bāṇṭō .

161Follow Father because, when one sees the condition of these times and how upheaval is coming - and it will come - this is why BapDada wants to give each child the teachings: Remain constantly happy and share happiness.

144Jitnī khuśhī bāṇṭē̃gē utnī khuśhī baṛhēgī .

162The more happiness you share, the more your happiness will increase.

145Āpkō khuśhnumā dēkh dūsrē bhī 5 minute kē liē tō khuśh hōvē .

163Seeing you happy, others will at least become happy for five minutes.

146Duḥkhī ātmāyē̃ agar āpkō dēkh karkē 5 minute bhī khuśh hō jāē̃ tō unhō̃ kē liē tō bahut dilpasand bāt hai .

164If unhappy souls become happy for five minutes when they see you, they would then love that very much.

147Tō āj bāpdādā har ēk bachchē kō viśhēṣh santuṣhṭatā kī śhakti chalan aur chēhrē sē dhāraṇ kar aur anya kō bhī karānē kā viśhēṣh dhyān khiñchvā rahē haĩ .

165Today, BapDada is especially drawing your attention so that each child imbibes the power of contentment to show on his face and in his activity and makes others imbibe it also.

148Achchhā .

166Achcha.

149Āj jō sabhī pahlī bār āyē haĩ vah uṭhō .

167All those who have come for the first time today, stand up!

150Dēkhō , āpkō dikhāī dē rahā hai .

168Look, you can see them.

151Ādhā class pahlē bārī kē haĩ .

169Half the class is of those who have come for the first time.

152Hāth uṭhāō .

170Raise your hands!

153Dēkhō , sabhī kē hāth dēkhō .

171Look at all their hands!

154Āpkē nayē-nayē bhāī bahin kitnē āpkē sāthī banē haĩ .

172Your new brothers and sisters! 173Look, how many have become your companions!

155Mubārak hō , bahut-bahut mubārak hō .

174Congratulations! 175Many, many congratulations!

156Abhī jaisē yahā̃ tak pahuñchē hō nā  !

176You have all reached here.

157Bāpdādā sē milnē tak pahuñchē hō , āgē kyā karnā hai  ?

177You have all reached here to meet BapDada. 178What are you going to do next?

158Follow brahmā bāp .

179Follow Father Brahma.

159Bāpdādā kō bhī āp bachchō̃ kō dēkh karkē khuśhī hōtī vāh  !

180BapDada is also pleased to see you all.

160Bachchā ā gayā  !

181Wah, the children have come!

161Sārē parivār kō bhī khuśhī hōtī hai hamārē bhāī bahan ā gayē , ā gayē , ā gayē .

182The whole family is happy: Our brothers and sisters have come, they have come, they have come!

162Abhī follow brahmā bāp .

183Now, follow Father Brahma.

163Kabhī bhī kuchh bhī hōvē , kōī question hō yā kōī problem hō , problem kī|key tō duniyā hī hai . 164Tō phauran apnī teacher dvārā uskā hal karā dēnā . 165Dō din hō gayā hai , aisā hai , yah nahī̃ karnā kyōṅki bahut pīchhē āyē hō nā aur jānā tō āgē chāhtē hō nā  !

184Whenever something happens, when you have a question or any problem - after all, it is a world of problems - then instantly find a solution for it from your teacher: Do not wait for two days and then say this problem is still there. 185You have come very late, haven’t you? 186So, you want to go ahead, don’t you?

166Pīchhē rahnā chāhtē hō  ?

187Do you want to stay behind?

167Nahī̃ .

188No.

168Āgē jānē chāhtē hō tō āgē jānē kī yahī ēk bāt karnā , dil mē̃ kōī bhī vyarth bāt nahī̃ rakhnā .

189You want to go ahead, then to go ahead, just do this one thing: do not keep any wasteful matter in your heart.

169Iskē liē apnā amr̥itvēlē bāp sē milnē kē bād , ēk tō amr̥itvēlā jarūr karnā aur uskē bād apnē sārē din kī dincharyā jismē̃ man busy rahē , kōī na kōī drill , anēk drill bāpdādā nē sunāī hai , lēkin kōī na kōī drill sāth-sāth kartē rahnā .

190For this, after meeting the Father at amrit vela, first, you have to do amrit vela, and after that, BapDada has taught you many drills, keep doing one drill or another during the busy routine of your whole day.

170Bāpdādā sabhī kē liē kahtē haĩ ki bīch-bīch mē̃ samay nikāl kē chāhē purānē , chāhē nayē sabhī kō ēkdam aśharīrī bannē kī drill jarūr karnā hai kyōṅki ānē vālē samay mē̃ second mē̃ aśharīrī bannā hī paṛēgā .

191BapDada is speaking to everyone. 192Take some time every now and then whether you are old or new, everyone definitely has to perform the drill to become bodiless instantly, because in the times to come you will have to become bodiless in a second.

171Tō yah drill kōī kahē samay nahī̃ milā , kitnā bhī kōī busy hō , pānī kī pyās lagtī hai tō kyā pānī pīnē nahī̃ uṭhē̃gē  !

193So, perform this drill. 194Some say that they don’t have time. 195No matter how busy someone is, if you are thirsty for water, then will you not get up to get some water?

172Jarūrī samajhkē uṭhē̃gē nā  !

196You consider that essential and so you will get up to get water.

173Tō yah ēk minute aśharīrī bannē kī drill yah practice jarūr karō .

197So definitely practise this drill for a minute to become bodiless.

174Us samay practice nahī̃ kar sakē̃gē .

198At that time, you will not be able to practise it.

175Kaī samajhtē haĩ nā , samay āyēgā kar lē̃gē .

199Some think that they will do it when the time comes.

176Lēkin nahī̃ . 177Yah janm-janm kā body conscious kā abhyās us samay aśharīrī bannē nahī̃ dēgā isliē abhī sē kōī bhī samay nikāl sārē din mē̃ samay prati samay jō bhī samay niśhchit karō ēk second mē̃ aśharīrī ātmā hū̃ , ātmā svarūp mē̃ sthit hō jāē .

200However, no; this practice of body consciousness for birth after birth will not allow you to become bodiless at that time. 201Therefore, make some time from now on. 202Whatever time you are able to fix for this during the whole day, fix that from time to time for a second: I am a bodiless soul. 203Become stable in the form of a soul.

178Body conscious apnē taraph khīchē̃ nahī̃ .

204Do not let body consciousness pull you to itself.

179Yah abhyās sabhī kō karnā hai . 180Chāhē purānē chāhē nayē kyōṅki bāpdādā nē kuchh samay sē yah bāt kahī hai .

205Everyone has to practise this, whether old or new, because BapDada has been telling you this for some time.

181Lēkin karnā jarūrī hai .

206However, it is essential for you to do it.

182Nahī̃ tō śhrīmat kā hāth mē̃ hāth dēkarkē nahī̃ chal sakē̃gē .

207Otherwise, you will not be able to make your hand hold onto the hand of shrimat and move along.

183Āpkā vāydā hai sāth chalē̃gē , sāth rājya mē̃ āyēṅgē .

208Your promise is: We will return home together and go into the kingdom together.

184Tō yah drill sabhī kō karnā hai .

209So, everyone has to perform this drill.

185Bākī nayē jō bhī āyē haĩ , khuśh rahō ābād rahō , āgē sē āgē baṛhtē rahō .

210To all the new ones who have come, “May you be happy, prosperous and continue to move forward.”

186Achchhā .

211Achcha.

187Chārō̃ ōr kē dūr baiṭhē dil mē̃ samānē vālē bachchō̃ kō bāpdādā bhī dēkh rahē haĩ .

212BapDada is seeing all the children everywhere who are sitting far away and merging everything in their hearts.

188Sabhī kē pyār kī khuśhbū madhuban mē̃ pahuñch rahī hai .

213The fragrance of everyone’s love is reaching Madhuban.

189Tō sabhī kō abhī tīvragati sē chalnā hai , tīvr puruṣhārth karnā hai , tīvratā duniyā kē lōgō̃ mē̃ sukh kī|key lānī hai .

214So, now, everyone has to move along at a fast speed. 215You have to make intense effort. 216You have to give happiness to people in the world at a fast speed.

190Duḥkhī kō sukhī karnā hai .

217You have to make unhappy ones happy.

191Yah sukhī karnē kā sandēśh dē karkē sabhī kō sukhī banānā hai , is sēvā mē̃ tīvratā hai bhī aur lānī bhī hai .

218By giving everyone the message to make them happy, make everyone happy. 219There is intensity in this service and you also have to bring about more intensity.

192Achchhā .

220Achcha.

193Sabkō dil kā bahut-bahut yādpyār svīkār hō .

221Everyone, accept lots of love and remembrance from the heart.

Blessing

194Vardān  : svayã kē ārām kā bhī tyāg kar sēvā karnē vālē sadā santuṣhṭ , sadā harṣhit bhav

222Blessing: May you be constantly content and cheerful and do service even while renouncing your own rest.

195Sēvādhārī svayã kē rāt-din kē ārām kō bhī tyāgkar sēvā mē̃ hī ārām mahsūs kartē haĩ , unkē samparka mē̃ rahnē vālē vā sambandh mē̃ ānē vālē samīpatā kā aisē anubhav kartē haĩ jaisē śhītaltā vā śhakti , śhānti kē jharanē kē nīchē baiṭhē haĩ .

223A server renounces his own rest day and night and experiences rest in service. 224Those who come into contact with such souls, or who live with them, or have a relationship with them, experience their closeness as though they are sitting under a spring of coolness, power and peace.

196Śhrēṣhṭh charitravān sēvādhārī kāmdhēnu ban sadākāl kē liē sarv kī|key manōkāmanāyē̃ pūrṇ kar dētē haĩ .

225They become servers with elevated characters, like Kam Dhenu, and fulfil everyone’s desires for all time.

197Aisē sēvādhārī kō sadā harṣhit aur sadā santuṣhṭ rahnē kā vardān svataḥ prāpt hō jātā hai .

226Such servers automatically receive the blessing of remaining cheerful and content.

Slogan

198Slōgan  : gyān svarūp bannā hai tō her|har samay study par attention rakhō , bāp aur paṛhāī sē samān pyār hō .

227Slogan: In order to become an embodiment of this knowledge, pay attention to this study at every moment. 228Let there be equal love for the Father and this study.

199

229

230*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

200Yē avyakt iśhārē - brahmā bāp samān sampann aur sampūrṇ sthiti kā anubhav karō

231Avyakt signal: Experience the complete and perfect stage, the same as Father Brahma.

201Vyarth saṅkalp vā vikalp jō chaltē haĩ uskā kāraṇ ēk hī śhabda buddhi mē̃ ātā hai ki yah kyō̃ huā , kyō̃ sē vyarth saṅkalpō̃ kī queue śhurū hō jātī hai .

232The reason for having wasteful or sinful thoughts is just one question: Why did this happen? 233The queue of waste thoughts begins with the word “Why?”

202Is queue kē samāpti kē bād hī sampūrṇtā āyēgī phir vah queue lagēgī .

234Perfection will only come when this word “Why?” is finished and then that queue will begin.

203Jab kyō̃ śhabda khatm hōgā tab drama kī bhāvī par ēkras sthēriyam rahē̃gē .

235When the word “Why?” finishes, you will be able to remain stable on the destiny of the drama.

204Viśhēṣh sūchnā - mās kē tīsrē ravivār kā yōg abhyās

236Special notice: Yoga practice for the 3rd Sunday of the month.

205Āj mās kā tīsrā ravivār hai , sabhī bhāī bahinē̃ saṅgaṭhit rūp mē̃ ēkatrit hōkar sāyã 6 . 30 sē 7 . 30 bajē tak apnē śhakti svarūp sthiti mē̃ sthit hō , gyān sūrya kī śhaktiśhālī kiraṇō̃ kō svayã mē̃ dhāraṇ kar un kiraṇō̃ dvārā viśhva parivartan kī sēvā mē̃ sahyōgī banē̃ .

237Today is the 3rd Sunday of the month. 238All brothers and sisters collectively sit for yoga from 6.30 to 7.30 pm. 239Stabilise yourselves in your form of power, imbibe the powerful rays of the Sun of Knowledge and use these rays to be co-operative in doing the service of world transformation.