शुक्रवार 20 नवंबर 2026 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

020-11-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

020/11/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

1 «  mīṭhē bachchē - service kē sāth-sāth yād kī yātrā kō bhī kāyam rakhnā hai , is rūhānī yātrā mē̃ kabhī ṭhaṇḍē nahī̃ hōnā ' '

1Essence: Sweet children, as well as doing service, constantly stay on the pilgrimage of remembrance. 2Never become slack on this spiritual pilgrimage.

2Praśhna  : bachchō̃ kī dil agar rūhānī service mē̃ nahī̃ lagtī tō uskā kāraṇ kyā hai  ?

3Question: What is the reason why some children are not interested in doing spiritual service?

3Uttar  : agar rūhānī service mē̃ dil na lagē tō jarūr dēh-abhimān kī grahachārī hai .

4Answer: If you are not interested in doing spiritual service, there are definitely bad omens of body consciousness.

4Chaltē-chaltē dēh abhimān kē kāraṇ jab āpas mē̃ rūṭh paṛtē haĩ tō service hī chhōṛ dētē haĩ .

5While moving along, it is because of body consciousness that you sulk with one another and stop doing service.

5Ēk dō kī|key śhakla dēkhtē hī service kē khyāl uṛ jātē haĩ isliē bābā kahtē is grahachārī sē sambhāl karō .

6As soon as you see each others’ faces, all thoughts of doing service fly away. 7This is why Baba says: Be cautious of these bad omens.

6Gīt  : hamārē tīrtha nyārē haĩ …

8Song: Our pilgrimage is unique.

7Ōm śhānti .

9Om shanti.

8Is gīt kī line nē bachchō̃ kō khabardār kar diyā .

10You children were cautioned by this line in the song.

9Kyā kahā  ?

11What were you told?

10Buddhi mē̃ yah yād rakhnā hai ki ham tīrtha yātrā par haĩ aur hamārī yah yātrā sabsē nyārī hai .

12Keep it in your intellects that you are on a pilgrimage and that this pilgrimage is unique.

11Is yātrā kō bhūlō mat .

13Don’t forget this pilgrimage.

12Yātrā par hī sārā madār hai aur tō jismānī yātrāō̃ par jākar phir lauṭ ātē haĩ aur janma-janmāntar yātrā kartē hī ātē haĩ .

14Everything depends on this pilgrimage. 15All other people go on physical pilgrimages and then come back again. 16They continue to go on pilgrimages for birth after birth.

13Hamārē tīrtha vah nahī̃ haĩ . 14Amarnāth mē̃ jākar phir mr̥ityulōk mē̃ chalē ānā .

17Our pilgrimage is not like when they go to Amarnath (Lord of Immortality) and then return to the land of death.

15Tumhārī vah yātrā nahī̃ hai aur sab manuṣhyō̃ kī vah yātrāyē̃ haĩ .

18Your pilgrimage is not like that, but the pilgrimages of all other human beings are like that.

16Tīrtha par jākar , chakra lagākar phir āē patit ban jātē haĩ .

19People go on pilgrimages, tour around there and then come back and become impure.

17Kisam-kisam kī yātrāyē̃ haĩ nā .

20There are various pilgrimages.

18Dēvī kē mandir bhī athāh haĩ .

21There are also many temples to the goddesses.

19Vikāriyō̃ kē sāth kitnē yātrā par jātē haĩ .

22People go on pilgrimages with those who indulge in vice.

20Tum bachchō̃ nē tō praṇ kiyā huā hai - nirvikārī rahnē kā .

23You children have promised to remain viceless.

21Tum nirvikāriyō̃ kī yah yātrā hai .

24This pilgrimage is of all of you who remain viceless.

22Nirvikārī bāp jō ever-pure hai , unkō yād karnā hai .

25Remember the viceless Father who is ever pure.

23Pānī kē sāgar kō vikārī vā nirvikārī nahī̃ kahē̃gē . 24Aur na unsē nikalī huī gaṅgāyē̃ hī nirvikārī banāyēṅgī .

26An ocean of water cannot be vicious or viceless, nor can the Ganges that emerges from the ocean make anyone viceless.

25Manuṣhya mātra itnē tō patit ban paṛē haĩ , kuchh bhī samajhtē hī nahī̃ .

27Human beings have become so impure that they don’t understand anything.

26Vah jismānī yātrāyē̃ haĩ - alpkāl kṣhaṇbhaṅgur kī|key yātrāyē̃ .

28Those physical pilgrimages are temporary pilgrimages which only last for a short time.

27Yah yātrā baṛī hai .

29This is a long pilgrimage.

28Tum bachchō̃ kō uṭhtē baiṭhtē yātrā kā khyāl rakhnā hai .

30You children have to think about this pilgrimage while sitting and moving around.

29Yātrā par jātē haĩ tō dhandhādhōrī gr̥ihastha vyavahār ādi sab bhūlnā hōtā hai .

31When people go on a pilgrimage, they have to forget about all their business and household interaction with everyone.

30Amarnāth kī jay . . . bas aisē kahtē jātē haĩ .

32They simply continue to sing along the way, “Victory to the Lord of Immortality.”

31Mās dō mās tīrtha yātrā kar phir ākar gand mē̃ paṛtē haĩ .

33They go on a pilgrimage for one or two months and then return and engage themselves in dirty activities.

32Phir jātē haĩ gaṅgā snān karnē .

34Then they go and bathe in the Ganges.

33Unkō yah patā hī nahī̃ hai ki ham rōz patit hōtē haĩ .

35They don’t realise that they become impure every day.

34Gaṅgā jamunā par rahnē vālē bhī rōz patit hōtē haĩ .

36Even those who live on the banks of the Rivers Ganges and Jamuna become impure every day.

35Rōz gaṅgā par jākar snān kartē haĩ .

37They go and bathe in the Ganges every day.

36Ēk tō niyam hōtā hai , dūsrē phir baṛē dinō̃ par jātē haĩ samajhtē haĩ ki gaṅgā patit-pāvnī hai .

38One reason is that it is their daily discipline and the second reason they go to bathe there on an important day is because they consider the Ganges to be the Purifier.

37Aisē tō nahī̃ khās us ēk din par gaṅgā pāvan banānē vālī bantī hai , phir nahī̃ rahtī .

39It isn’t that the Ganges is the Purifier for just that one particular day and not on other days.

38Jis din mēlā lagtā hai us din vah patit-pāvnī ban jātī hai .

40It isn’t that the Ganges becomes the Purifier when the mela takes place; no.

39Nahī̃ . 40Vah tō hai hī hai .

41It is the same all the time.

41Rōz bhī jātē haĩ snān karnē .

42People still go to bathe there every day.

42Mēlē par bhī khās din jātē haĩ . 43Earth|arth nahī̃ .

43They still go to bathe there on special days during the melas, but there is no meaning in that.

44Gaṅgā jamunā chīz tō vahī hai .

44Whether it is the Ganges or the Jamuna, it is the same thing.

45Usmē̃ murdē bhī ḍāl dētē haĩ .

45They even put corpses into the river.

46Abhī tum bachchō̃ kō rūhānī yātrā par rahnā hai .

46You children now have to remain on the spiritual pilgrimage.

47Bas ab ham jātē haĩ ghar .

47We are now going home.

48Ismē̃ gaṅgā snān karnē vā śhāstra paṛhnē kī kōī bāt hī nahī̃ .

48For this, there is no need to bathe in the Ganges or study the scriptures.

49Bāp ātē bhī ēk hī bār haĩ .

49The Father only comes once.

50Sārī duniyā bhī patit sē pāvan ēk hī bār bantī hai .

50Only once does the whole world become pure from impure.

51Yah bhī jāntē haĩ satyug hai naī duniyā , kaliyug hai purānī duniyā .

51You also know that the golden age is the new world and that the iron age is the old world.

52Bāp kō ānā hai jarūr . 53Naī duniyā kī sthāpanā aur purānī duniyā kā vināśh karnē .

52The Father definitely has to come to establish the new world and to destroy the old world.

54Yah unkā hī kām hai .

53This is His work.

55Parantu māyā nē aisā tamōpradhān buddhi banā diyā hai jō kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

54However, Maya has made your intellects so tamopradhan that you don’t understand anything.

56Pradarśhanī mē̃ kitnē ṛhēr baṛē ādmī ātē haĩ .

55So many important people come to the exhibitions.

57Sannyāsī bhī āyēṅgē phir bhī samajhē̃gē kōṭō̃ mē̃ kōī .

56Sannyasis will also come, but only a handful out of multimillions will understand.

58Tum lākhō̃ karōṛō̃ kō samjhātē hō tab kōī virlā ātā hai .

57Only when you explain to hundreds of thousands and millions will some rare souls emerge.

59Bahutō̃ kō samjhānā hōgā .

58You will have to explain to many.

60Ākhrīn tumhārī yah samjhānī aur chitra ādi sab akhbārō̃ mē̃ bhī paṛē̃gē .

59Eventually, all your explanations and pictures will be printed in the newspapers.

61Sīṛhī bhī akhbār mē̃ paṛēgī .

60The picture of the ladder too will be printed in the newspapers.

62Kahē̃gē yah tō bhārat kē liē hī hai aur dharm vālē kahā̃ jāyēṅgē .

61They say: This only applies to Bharat, but what happens to those of all the other religions?

63Kayāmat kā samay bhī gāyā huā hai .

62“The time of settlement” is also remembered.

64Kayāmat arthāt vāpis jānē kā .

63“The time of settlement” means the time to return home.

65Purānī duniyā kā vināśh naī duniyā kī sthāpanā hōgī tō jarūr sab vāpis jāyēṅgē nā .

64The old world will be destroyed and the new world will be established and so everyone will definitely return home.

66Sabkā vināśh hōnā hai .

65Everyone has to be destroyed.

67Naī duniyā sthāpan hō rahī hai .

66The new world is being established.

68Yah bātē̃ kōī nahī̃ jāntē sivāē tum bachchō̃ kē .

67No one, apart from you children, knows these things.

69Tum jāntē hō narkavāsiyō̃ kā vināśh , svargvāsiyō̃ kī sthāpanā hō rahī hai .

68You know that the destruction of the residents of hell and the establishment of the residents of heaven is taking place.

70Kalp-kalp aisā hī hōtā hai .

69It will happen like this every cycle.

71Abhī jō thōṛā bahut time hai , ismē̃ bhī bahutō̃ kō samjhānī miltī jāyēgī . 72Mēlē hōtē rahē̃gē .

70Many will continue to receive explanations in the short time that remains and fairs will continue to take place.

73Sab taraph sē likhtē rahtē haĩ ham mēlā karē̃ , pradarśhanī karē̃ .

71People everywhere write to ask Baba: Should we hold fairs and exhibitions?

74Parantu sāth-sāth apnī yād kī yātrā bhī bhūlnī nahī̃ chāhiē .

72However, as well as those, you mustn’t forget your pilgrimage of remembrance.

75Bachchē bilkul hī ṭhaṇḍē chal rahē haĩ .

73Some children are moving along in a very slack manner.

76Yātrā aisē kartē haĩ jaisē būṛhē .

74They are like old people on the pilgrimage.

77Jaisē tākat hī nahī̃ , kuchh khāyā hī nahī̃ hai .

75It is as though they don’t have any strength, as though they haven’t even eaten anything.

78Bābā kā kitnā khyāl chaltā rahtā hai .

76Baba has so much concern.

79Khyālāt kartē-kartē nīnd hī fit jātī hai .

77While thinking about all of this, he even loses sleep over it.

80Vichār sāgar manthan tō sabkō karnā chāhiē nā .

78Everyone has to churn the ocean of this knowledge.

81Bachchē jāntē haĩ hamkō bēhad kā bāp paṛhātē haĩ .

79You children know that the unlimited Father is teaching you.

82Tō bachchō̃ kō kitnā apār khuśhī hōnī chāhiē .

80Therefore, you children should have limitless happiness.

83Is paṛhāī sē ham viśhv kē mālik bantē haĩ .

81We are becoming the masters of the world through this study.

84Kōī-kōī kī|key tō chalan aisī hai - jaisē kēkaṛē haĩ .

82The behaviour of some is like crabs.

85Kēkaṛō̃ kō bāp dēvtā banātē haĩ .

83The Father is making crabs into deities.

86Phir bhī chalan muśhkil kiskī sudhartī hai .

84In spite of that, hardly anyone reforms his behaviour.

87Is sīṛhī kē chitra mē̃ baṛī achchhī knowledge hai . 88Parantu bachchē itnā kām nahī̃ kartē . 89Yātrā hī nahī̃ kartē .

85Very good knowledge is given in the picture of the ladder, but some children don’t do that much work; they don’t even go on the pilgrimage.

90Bāp kō yād karē̃ tō buddhi kā tālā bhī khultā jāē . 91Golden buddhi bantī jāē .

86Remember the Father so that the locks on your intellects continue to open and your intellects become golden.

92Tum bachchō̃ kī pārasbuddhi hōnī chāhiē , bahutō̃ kā kalyāṇ karnā chāhiē .

87You children need to have divine intellects and you need to benefit many.

93Tum satōpradhān sē ab tamōpradhān banē hō , phir satōpradhān bannā hai .

88From being satopradhan, you have now become tamopradhan and you once again have to become satopradhan.

94Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō .

89The Father says: Remember Me.

95Śhrīkr̥iṣhṇa kō kahtē haĩ śhyām-sundar .

90Krishna cannot be called God. 91He is called the ugly one.

96Bāp nē sānvarē ( śhyām ) kī|key ātmā kō baiṭh samjhāyā hai .

92The Father sits here and explains to the soul of the ugly, impure one.

97Yah ātmā jāntī hai ki bābā hamkō viśhva kā mālik banātē haĩ tō khuśhī mē̃ kitnā dimāg pur ( bharpūr ) hōnā chāhiē .

93The soul knows that Baba is making us into the masters of the world and so your intellects should be full of happiness.

98Ismē̃ ghamanḍ kī kōī bāt nahī̃ .

94There is no question of arrogance in this.

99Bāp kitnā nirahaṅkārī hai .

95The Father is so egoless.

100Buddhi mē̃ kitnī khuśhī rahtī hai .

96You have so much happiness in your intellects.

101Kal ham hīrē javāharō̃ kē mahal banāyēṅgē .

97Tomorrow, we will build palaces studded with diamonds and jewels.

102Naī duniyā mē̃ rājdhānī chalāyēṅgē .

98We will rule the kingdom in the new world.

103Yah tō bilkul patit duniyā hai .

99This world is totally impure.

104Is duniyā kē manuṣhya tō kōī kām kē nahī̃ , kuchh nahī̃ jāntē haĩ .

100The human beings of this world are of no use at all; they don’t know anything.

105Yah bhī dikhānā chāhiē - hīrē jaisā jīvan thā . 106Vahī phir 84 janma lē kauṛī misal ban jātē haĩ .

101Also show that your lives were once as valuable as diamonds and that now, having taken 84 births, you same ones have become as worthless as shells.

107Yah sīṛhī kā chitra number one hai .

102The picture of the ladder is a number one picture.

108Phir dūsrē number mē̃ hai trimūrti .

103The second number picture is that of the Trimurti.

109Tum kahtē hō - nikaṭ bhaviṣhya mē̃ śhrēṣhṭhāchārī bhārat ban jāyēgā .

104You say that Bharat will become elevated in the near future.

110Śhrēṣhṭhāchārī duniyā mē̃ bahut thōṛē manuṣhya hōṅgē , abhī kitnē ḍhēr manuṣhya haĩ .

105There will be very few people in the elevated world. 106Now, there are so many human beings.

111Mahābhārat laṛāī bhī sāmnē khaṛī hai .

107The Mahabharat War is in front of you.

112Sab ātmāyē̃ machchharō̃ sadr̥iśhya jāyēṅgī .

108All souls will go back like a swarm of mosquitoes.

113Āg bhaṛak rahī hai .

109The fire is about to be ignited.

114Jitnā kōśhiśh kartē haĩ sudhārnē kī|key , utnā hī bigaṛtē jātē haĩ .

110The more they try to reform everything, the worse everything becomes.

115Bāp bachchō̃ kō rājyōg sikhlā rahē haĩ .

111The Father is teaching you children Raja Yoga.

116Bachchō̃ kō kitnā naśhā chaṛhātē haĩ .

112He makes you children so intoxicated.

117Kōī-kōī tō yahā̃ sē bāhar nikalē , sārā gyān uṛ jātā hai . 118Smr̥iti kuchh bhī rahtī nahī̃ .

113As soon as some of you go away from here, all of this knowledge flies away and you don’t remember anything.

119Nahī̃ tō śhauk hō ki jākar service karē̃ .

114Otherwise, there would be the interest to go and serve others.

120Bāp bhī guṇ dēkh service par bhējē̃gē nā .

115Seeing your virtues, the Father would send you children on service.

121Ismē̃ baṛē harṣhit rahē̃gē .

116You would remain very cheerful doing this.

122Service mē̃ khuśhī kā pārā chaṛhēgā .

117By doing service, your mercury of happiness would rise.

123Achchhē-achchhē purānē bachchē āpas mē̃ rūṭh paṛtē haĩ thōṛī-thōṛī bāt mē̃ .

118Some good, old children sulk with one another over trivial matters.

124Aisē thōṛēhī in bātō̃ kē kāraṇ tumkō service nahī̃ karnī hai .

119It isn’t that you stop doing service because of those things.

125Service tō khuśhī sē karnī chāhiē .

120Do service in happiness.

126Jiskē sāth bantī nahī̃ hai , uskī śhakla dēkhnē sē hī service kā khyāl uṛ jātā hai .

121The thought of doing service flies away as soon as you see the face of someone with whom you don’t get on well.

127Service mē̃ dil nahī̃ lagtī hai tō kinārā kar lētē haĩ .

122When you’re not interested in doing service, you step away from everyone.

128Phir tō gyānī aur agyānī mē̃ kōī fark nahī̃ rahā .

123In that case, there is no difference between those who are in knowledge and those who are not.

129Dēh-abhimān kī grahachārī ākar baiṭhtī hai .

124The bad omens of body consciousness enter and settle in.

130Yah hai pahlē number kī bīmārī .

125This is the number one illness.

131Bāp kahtē haĩ - bachchē dēhī-abhimānī banō .

126The Father says: Children, become soul conscious.

132Ātmā hī sab kuchh kartī hai nā .

127It is the soul that does everything.

133Ātmā hī vikārī aur nirvikārī bantī hai .

128Souls become vicious and viceless.

134Svarg mē̃ nirvikārī thī .

129They were viceless in heaven.

135Rāvaṇrājya mē̃ ātmā hī vikārī banī hai .

130Souls have become vicious in the kingdom of Ravan.

136Yah bhī drama aisā banā huā hai isliē pukārtē haĩ hē patit-pāvan āō .

131This drama is predestined in this way and this is why people call out: O Purifier, come!

137Jō nirvikārī thē , vahī patit vikārī banē haĩ .

132Those who were viceless have become impure and vicious.

138Yah kiskī bhī buddhi mē̃ nahī̃ hai ki ham hī nirvikārī thē , ab vikārī banē haĩ .

133It doesn’t enter any of their intellects that they were viceless and that they have now become vicious.

139Ham ātmā mūlvatan kī rahnē vālī haĩ .

134We souls are residents of the incorporeal world.

140Vahā̃ tō ham ātmā nirvikārī hōṅgē .

135There, we souls will be viceless.

141Yahā̃ śharīr mē̃ ākar part bajātē-bajātē vikārī banē haĩ .

136Here, while playing our parts through our bodies, we have become vicious.

142Yah bāp baiṭh samjhātē haĩ .

137The Father sits here and explains this.

143Ātmā śhāntidhām sē ātī hai tō jarūr pavitra hī hōgī phir apavitr banī hai .

138When souls come from the land of peace they are definitely pure, and then they become impure.

144Pavitra duniyā mē̃ 9 lākh hōtē haĩ .

139There are 900,000 people in the new world.

145Phir itnī sab ātmāyē̃ kahā̃ sē āī|eye|I  ?

140Where did all of these many souls come from?

146Jarūr śhāntidhām sē āī hōṅgī .

141They would definitely have come from the land of peace.

147Vah hai peaceful incorporeal world .

142That is the peaceful, incorporeal world; all souls there are pure.

148Vahā̃ sab ātmāyē̃ pavitra rahtī haĩ phir part bajātē-bajātē , satō-rajō-tamō mē̃ ātī haĩ .

143Then, while playing their parts, they go through the stages of sato, rajo and tamo.

149Pāvan sē patit hōnā hai .

144Souls have to become impure from pure.

150Phir bāp ākar sabkō pāvan banāyēṅgē .

145The Father then comes and purifies everyone.

151Yah drama chaltā hī rahtā hai .

146This drama continues all the time.

152Drama kē ādi-madhy-ant kā rāz bāp kē sivāē aur kōī batlā na sakē .

147No one, apart from the Father, can tell you the secrets of the beginning, the middle and the end of the drama.

153Us bāp kō kōī jāntē hī nahī̃ haĩ .

148No one knows that Father.

154R̥iṣhi-muni bhī nētī-nētī kah gayē . 155Ham bhagvān kō aur unkī rachnā kō nahī̃ jāntē haĩ .

149Rishis and munis have been saying, “Neti, Neti”, (Neither this nor that), We neither know God nor His creation.

156Phir kahtē bhī haĩ - god father is knowledgeful .

150They then say that God, the Father, is knowledge-full.

157Vah paramātmā sarv ātmāō̃ kā bāp , bījrūp hai .

151The Supreme Soul, the Father of all souls, is the Seed.

158Vah hai ātmāō̃ kā bījrūp aur yah prajāpitā brahmā hai manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp .

152He is the Seed of all souls and Prajapita Brahma is the seed of the human world.

159Vah nirākār bāp ismē̃ pravēśh kar manuṣhyō̃ kō samjhātē haĩ , manuṣhya dvārā .

153The incorporeal Father enters this one (Brahma) and explains to human beings through this human being.

160Unkō manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp nahī̃ kahē̃gē .

154He is not called the Seed of the human world.

161Vah hai ātmāō̃ kā pitā aur yah brahmā hai manuṣhya sr̥iṣhṭi kā prajāpitā , jis dvārā bāp ākar gyān dētē haĩ .

155He is the Father of all souls and this Brahma is the father of the people of the human world whom the Father enters to give you this knowledge.

162Śharīr alag , ātmā alag hai nā .

156Souls are separate from bodies.

163Man-buddhi chitt ātmā mē̃ hai .

157A mind, intellect and memory (chit) are part of each soul.

164Ātmā ākar śharīr mē̃ pravēśh kartī hai , part bajānē kē liē .

158A soul comes and enters a body in order to play a part.

165Tum jāntē hō kōī śharīr chhōṛtē haĩ tō jākar dūsrā part bajāyēṅgē , ismē̃ rōnē sē kyā hōgā .

159You know that when someone leaves his body, he goes and plays another part, and so what would be achieved by your crying?

166Gayā sō gayā phir thōṛēhī ākar hamārā māmā , chāchā banēgā .

160He has left and gone away, so he is not going to come back and become your maternal or paternal uncle.

167Rōnē sē kyā phāydā .

161What is the benefit of crying?

168Tumhārī mama gaī , drama anusār part bajā rahī hai .

162Your Mama departed and is now playing a part according to the drama.

169Aisē bahut jātē haĩ .

163Many souls have gone like that.

170Kōī kahā̃ jāē janma lētē haĩ .

164They would go and take birth somewhere else.

171Yah samajh mē̃ ātā hai jaisā-jaisā āgyākārī bachchā hōgā utnā jarūr achchhē ghar mē̃ janma liyā hōgā .

165You understand that the more obedient a soul is, the better the home he takes birth in would be.

172Yahā̃ kē jāyēṅgē hī achchhē ghar mē̃ .

166Those who go from here would go to a good home.

173Number-vār tō hōtē haĩ nā . 174Jaisā jō karma kartē haĩ - aisē ghar mē̃ jātē haĩ .

167It is numberwise; whatever actions you perform, you go into a home accordingly.

175Pichhāṛī mē̃ tum jākar rājāī ghar mē̃ janma lētē hō .

168At the end, you will go and take birth in a royal family.

176Kaun rājāō̃ kē pās jāyēṅgē , vah khud samajh saktē haĩ nā .

169You yourselves can understand who will go to the kings.

177Phir bhī daivī saṅskār tō lē jātē haĩ nā .

170At least you take your divine sanskars with you.

178Ismē̃ baṛī viśhāl buddhi sē vichār sāgar manthan karnā hōtā hai .

171You have to churn the ocean of this knowledge with very unlimited intellects.

179Bāp gyān kā sāgar hai .

172The Father is the Ocean of Knowledge.

180Tō bachchō̃ kō bhī gyān kā sāgar bannā hai .

173Therefore, you children also have to become oceans of knowledge.

181Number-vār tō hōtē hī haĩ .

174All are numberwise.

182Samjhā jātā hai - āgē chal unnati hōtī jāyēgī .

175It is understood that there will continue to be progress as you move along further.

183Hō saktā hai jō āj kām nahī̃ kar saktē haĩ , vah kal bahutō̃ sē tīkhē chalē jāē̃ . 184Grahachārī utar jāē .

176It is possible that those who are unable to do anything today will go ahead of many tomorrow, when the bad omens are removed.

185Kōī par rāhū kī grahachārī baiṭhtī hai tō gutter mē̃ gir paṛtē haĩ . 186Haḍguḍ hī ṭūṭ jātē haĩ .

177Some have omens of Rahu over them and so they fall into the gutter and their bones break.

187Bēhad kē bāp sē pratigyā kar phir girtē haĩ tō dharmarāj dvārā sajāyē̃ bhī bahut miltī haĩ .

178If they fall after making a promise to the unlimited Father, a lot of punishment would be received from Dharamraj.

188Yah bēhad kā bāp , bēhad kā dharmarāj hai , phir bēhad kī|key sajā miltī hai .

179The unlimited Father is also the unlimited Dharamraj and you receive unlimited punishment.

189Kōī bāt mē̃ ānākānī karē̃gē yā ulṭā kām karē̃gē tō sajā jarūr khāyēṅgē .

180If you make excuses about anything or do something wrong, there would surely be punishment.

190Samajhtē nahī̃ ki ham bhagvān kī avagyā kartē haĩ .

181You don’t realise that you are disobeying God.

191Itnī sab bātē̃ bāp samjhātē rahtē haĩ .

182The Father continues to explain all of these things.

192Śhrīmat par chalō , service mē̃ madadgār banō .

183Follow shrimat and become helpers in doing service.

193Yōg kī yātrā par rahō .

184Stay on the pilgrimage of remembrance.

194Chitrō̃ par samjhānē kī|key practice karē̃gē tō ādat paṛ jāyēgī .

185If you practise explaining the pictures, you will develop that habit.

195Nahī̃ tō ūñch pad kaisē milēgā .

186How else would you claim a high status?

196Agyānkāl mē̃ kōī kā bachchā baṛā sapūt hōtā hai , kōī tō baṛē kapūt bhī hōtē haĩ .

187In worldly life, some parents have very obedient children, whereas others have disobedient children.

197Yahā̃ bhī kōī-kōī tō jhaṭ bābā kā kām kar dikhātē haĩ .

188Here, too, some instantly do Baba’s work.

198Tō bachchō̃ kō service bēhad kī|key karnī hai .

189Therefore, you children have to do unlimited service.

199Bēhad kī|key ātmāō̃ kā kalyāṇ karnā hai .

190Bring benefit to unlimited souls.

200Paigām dēnā hai - manmanābhav .

191Give the message of “Manmanabhav”.

201Bāp kō yād karnē sē tumhārī buddhi tamōpradhān sē satōpradhān ban jāyēgī .

192By remembering the Father, your intellects will become satopradhan from tamopradhan.

202Abhī hai kaliyugī tamōpradhān duniyā kī end .

193It is now the end of the iron-aged, tamopradhan world.

203Ab satōpradhān bannā hai .

194You now have to become satopradhan.

204Ātmāō̃ kī|key bhī vahā̃ number-vār duniyā hai nā , jō phir number-vār ākar part bajātē haĩ .

195The world of souls there is numberwise and they come and play their parts numberwise.

205Āyēṅgē bhī number-vār drama anusār .

196According to the drama, you will come down numberwise.

206Abhī sab ātmāyē̃ rāvaṇ rājya mē̃ duḥkhī haĩ . 207Sō bhī samajhtē thōṛēhī haĩ .

197Now, all souls are unhappy in Ravan’s kingdom, but they don’t understand this.

208Agar kiskō kah dō tum patit hō tō bigaṛ paṛē̃gē .

198If you tell someone that he is impure, he would get upset.

209Bāp samjhātē haĩ yah hai hī vicious world .

199The Father explains: This is a vicious world.

210Bāp kahtē haĩ - tum apnā rājya-bhāgya lē lē̃gē .

200The Father says: You will claim your fortune of the kingdom.

211Bākī sab vināśh hō vāpis chalē jānē vālē haĩ .

201Everyone else will go back home when destruction takes place.

212Yah tō gāyā huā hai mahābhārat laṛāī lagnī hai , jissē sab dharm khalās hō bākī ēk dharm rahēgā .

202It is remembered that the Mahabharat War will take place through which all other religions will be destroyed and one dharma will remain.

213Yah laṛāī kē bād svarg kē dvār khultē haĩ .

203The gates to heaven open after this war.

214Kitnī achchhī rīti bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

204Baba explains to you children so well.

215Āgē chal tumhārī bātē̃ suntē rahē̃gē aur ātē jāyēṅgē .

205As you progress further, people will continue to listen to you and will continue to come here.

216Sūryavanśhī chandravanśhī jō patit ban gayē haĩ vahī ākar number-vār apnā varsā lē̃gē .

206The sun and moon dynasties who have become impure will come and claim their inheritance, numberwise.

217Prajā tō ḍhēr banē̃gī .

207Many subjects will be created.

218Achchhā  !

208Achcha.

219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

209To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

210The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

221Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

211Essence for dharna:

2221 ) bhagvān kī āgyāō̃ kī avagyā kabhī nahī̃ karnī hai .

2121. Never disobey God’s instructions.

223Bēhad sēvā mē̃ sapūt bachchā ban madadgār bannā hai .

213Become an obedient child by becoming a helper and doing unlimited service.

2242 ) gyān dhan kī gupta khuśhī sē buddhi kō bharpūr rakhnā hai .

2142. Keep your intellect filled with the incognito happiness of the wealth of this knowledge.

225Āpas mē̃ kabhī bhī rūṭhnā nahī̃ hai .

215Never sulk with others.

226Vardān  : her|har kadam pharmān par chalkar māyā kō kurbān karānē vālē sahajyōgī bhav

216Blessing: May you be an easy yogi by taking every step according to directions and make Maya surrender herself to you.

227Jō bachchē her|har kadam pharmān par chaltē haĩ unkē āgē sārī viśhva kurbān jātī hai , sāth-sāth māyā bhī apnē vanśh sahit kurbān hō jātī hai .

217The children who take every step according to directions make the whole world surrender to them. 218Along with that, Maya also surrenders herself with her whole progeny.

228Pahlē āp bāp par kurbān hō jāō tō māyā āp par kurbān jāyēgī aur apnē śhrēṣhṭh svamān mē̃ rahtē huē her|har pharmān par chaltē rahō tō janma-janmāntar kī|key muśhkil sē chhūṭ jāyēṅgē .

219When you first of all surrender yourself to the Father, Maya will then surrender herself to you. 220While keeping your elevated self-respect, continue to follow every order and you will be liberated from all difficulties for birth after birth.

229Abhī sahajyōgī aur bhaviṣhya mē̃ sahaj jīvan hōgī .

221Now, you are an easy yogi and, in the future, you will have an easy life.

230Tō aisī sahaj jīvan banāō .

222So, make your life very easy.

231Slōgan  : svayã kē parivartan sē anya ātmāō̃ kā parivartan karnā hī jīyadān dēnā hai .

223Slogan: To transform many souls with your own transformation is to give them the donation of life.

232Yē avyakt iśhārē - brahmā bāp samān sampann aur sampūrṇ sthiti kā anubhav karō

224*** Om Shanti *** 225Avyakt signal: Experience the complete and perfect stage, the same as Father Brahma.

233Saṅkalp kiyā aur jis sthiti mē̃ sthit hōnā chāhē̃ usmē̃ sthit hō jāyē̃ , yahī hai bāp samān sampūrṇ avasthā vā karmātīt antim stage .

226When you have a thought to stabilise in a particular stage and you become stable in that stage, that is the complete stage of being equal to the Father or the final, karmateet stage.

234Jitnā sampūrṇ avasthā kē nazdīk hōṅgē arthāt bāp kē najdīk hōṅgē , usī anusār bhaviṣhya prālabdh mē̃ bhī rāj adhikārī hōṅgē .

227The closer you come to the complete stage, that is, the closer you are to the Father, you will accordingly have a right to the kingdom and your future reward.

235Jitnā naśhā hōgā utnā apnā karmātīt avasthā kā niśhānā najdīk dikhāī dēgā .

228However much intoxication you have, accordingly, the closer you will be able to see the target of your karmateet stage.