रविवार 22 नवंबर 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब यह पृष्ठ ऑफ़लाइन उपलब्ध है।
यह पृष्ठ ऑफ़लाइन उपलब्ध है।
ऑफ़लाइन देखने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली ऑफ़लाइन सुन सकते हैं।
आप यह मुरली ऑफ़लाइन सुन सकते हैं।
ऑफ़लाइन सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
22-11-26 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 03-04-12 madhuban
Mērē kō tērē mē̃ parivartan kar bēphikr bādśhāh banō , bāp kī mōhabbat aur sēvā mē̃ man kō itnā busy kar dō jō vyarth ānē kī margin na rahē
Āj bāpdādā chārō̃ ōr kē apnē bēphikr bādśhāhō̃ kō dēkh rahē haĩ . Har ēk bachchā savērē sē uṭh bēphikr sthiti mē̃ sthit hō har|her karma kartā hai . Har ēk bachchē kō anubhav hai ki yah bēphikr bādśhāh kī|key jīvan bādśhāhī bhī aur bēphikr bhī , kitnī pyārī lagtī hai kyōṅki āp sabhī nē bāp kō phikra dēkarkē phakhur lē liyā hai . Phakhur bhī avināśhī phakhur lē liyā hai . Har ēk anubhav kartē haĩ ki yah bēphikr jīvan kitnī pyārī hai . Dinrāt kōī bhī bāt kā phikra nahī̃ lēkin phakhur hai . Jāntē hō ki yah bēphikr rahnē kī|key jīvan bāp nē is ēk janm kē liē nahī̃ lēkin anēk janmō̃ kē liē bēphikr bādśhāh banā diyā . Abhī anubhav kartē hō bēphikr jīvan agar hai tō sadā mastak mē̃ divya jyōti chamaktī rahtī hai . Aur agar phikar hai tō māthē par anēk prakār kē duḥkhō̃ kā ṭōkrā bharā huā hōtā hai . Yah bēphikr jīvan kī vidhi bahut sahaj hai - jō bhī had kā mērā-mērā hai uskō tērā kar diyā . Mērā aur tērā mē̃ ēk mātrā kā hī phark hai . Mē aur tē . Lēkin mērē kō tērā karnē sē jīvan kitnī khuśhnumā ban jātī hai . Ban gaī hai nā ! Kāndh hilāō , ban gaī ! Bēphikr jīvan ban gaī ! Kyōṅki phikar vālī jīvan kā ādhār hai vyarth saṅkalp . Tō abhī bāpdādā har|her bachchē sē yahī chāhtā hai ki har|her bachchē kē andar vyarth saṅkalp kā niśhān bhī nahī̃ rahē kyōṅki jab mērē kō tērē mē̃ badal diyā tō āp kyā hō gayē ? Āp hō gayē bēphikr bādśhāh aur yah bēphikr bādśhāh kī|key jīvan kitnī pyārī hai . Har|her karma kartē bēphikr bādśhāh . Kōī phikra nahī̃ kyō̃ , kyā , kaisē , kab tak … yah sab samāpt hō gayē . Bāpdādā āj is season kē last din yahī chāhtē haĩ ki har ēk bachchā vyarth kō mērē kē badlē tērā kar dē . Bāp āpēhī bhasma kar dēgē . Āp sirph ēk mātrā kā antar karō , mañjūr hai ! Hō saktā hai ? Agar hō saktā hai tō hāth uṭhāō . Bahut achchhā kyōṅki yah 5-6 mās āp sabhī kō viśhva kē āgē duḥkhī ātmāō̃ kō powerful vr̥itti dvārā sukh śhānti kī kiraṇē̃ dēnī haĩ . Isī mē̃ hī apnā man busy rakhnā hai . Vyarth saṅkalp bhī kismē̃ ātē haĩ ? Man mē̃ ātē haĩ nā ! Tō bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki har ēk bēphikr bādśhāh bachchā apnē man kō arthāt vr̥itti kō itnā busy rakhē jō vyarth kō ānē kī margin hī nahī̃ rahē . Mēhnat nahī̃ karnī paṛē lēkin bāp kē mōhabbat mē̃ itnā busy rahō , vr̥itti kī sēvā mē̃ itnā man kō busy rakhō jō yuddha bhī nahī̃ karnī paṛē . Kaī bachchē kahtē haĩ chāhtē nahī̃ haĩ lēkin ā jātē haĩ . Iskō kyā kahē̃gē ? Ki man kō bāp kē pyār aur sēvā mē̃ busy nahī̃ rakhā . Sabhī sē pūchhtē haĩ ki āpkā pyār bāp sē kitnā hai ? Tō kyā kahtē ? Bēhad hai . Tō jissē pyār hōtā hai uskā kahnā mānnā kōī muśhkil nahī̃ hōtā . Tō āp sabhī kā bāp sē aṭūṭ pyār hai nā ! Ki kabhī-kabhī hai ? Sadā hai yā kabhī-kabhī hai ? Jō kahtē haĩ sadā pyār hai vah hāth uṭhāō . Sadā pyār hai , dēkhō sōchō , sadā pyār hai tō bāp kā kahnā aur bachchē kā karnā . Yah tō jāntē hō nā !
Tō abhī is season mē̃ bāpdādā bachchō̃ kō yahī dr̥iṛh saṅkalp karānē chāhtē haĩ , taiyār hō nā ! Kāndh hilāō . Taiyār hō dr̥iṛh saṅkalp karnē kē liē ? Pīchhē vālē taiyār haĩ ? Mātāyē̃ bhī taiyār haĩ ? Pāṇḍav bhī taiyār haĩ ? Achchhā hāth uṭhāō . Ismē̃ dō-dō hāth uṭhāō . Hāth uṭhātē hō tō bāpdādā kō khuśh tō kar dētē hō . Abhī jaisē yah hāth uṭhāyā aisē man kā hāth uṭhāō . Kabhī bhī vyarth saṅkalp kō ānē nahī̃ dēgē . Unkā kām hai ānā , āpkā kām kyā hai ? Samāpt kar dēnā . Tō is season mē̃ bāpdādā nē pahlē bhī kahā hai ki dō bātō̃ kā dhyān rakhnā hai ēk tō saṅkalp , dūsrā samay . Jāntē hō āp , is saṅgam kā samay ēk-ēk minute kā connection 21 janm kē sāth hai . Aur is samay bāpdādā kā bachchō̃ sē , bachchō̃ kā bāp sē pyār hai . Tō saṅgam samay kā ēk second , second nahī̃ hai kyōṅki 21 janmō̃ kā connection hai . Agar ab nahī̃ samay kō bachāyā tō bāp sē jō pyār hai aur har ēk chāhtā hai ki bāp kē sāth ab bhī rahē̃ , sāth bhī chalē̃ . Apnē ghar lauṭnā hai nā abhī . Tō ghar mē̃ bhī sāth mē̃ chalē̃ aur phir rājya mē̃ bhī bāpdādā kē sāth viśhēṣh brahmā bābā kē sāth rājdhānī mē̃ najdīk sāth mē̃ āyē̃ isliē brahmā bāp tō phariśhtā rūp mē̃ hai aur āpkō sāth mē̃ chalnā hai tō kyā karnā paṛē ? Phariśhtā bannā paṛē nā ! Phariśhtā banē̃gē ! Bannā hī hai nā !
Bāp brahmā kē hāth mē̃ hāth dēkē sāth chalnā hai , tō hāth kyā hai ? Phariśhtē kō sthūl hāth tō haĩ nahī̃ . Brahmā bāp kā hāth kyā hai ? Śhrīmat . Tō bāpdādā kī yahī śhrīmat hai ki ab bēphikr bādśhāh ban sadā jaisē āpkī jagadambā nē puruṣhārth kiyā , bāp kā kahnā aur jagat ambā kā karnā , aisē jagat ambā kō follow karō . Samay aur saṅkalp kō saphal karnā hī hai . Vyarth nahī̃ jāyē . Sunāyā nā - ēk-ēk saṅkalp kā 21 janm sē connection hai . Tō bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki sadā man kō busy rakhō . Chāhē murlī kē manan mē̃ , chāhē sēvā mē̃ , har|her samay busy rahō . Apnā chart banāō , har|her samay bīch-bīch mē̃ jō bāpdādā nē drill sunāī hai bhinn-bhinn , jāntē hō nā aśharīrī bannē kī drill . Apnē tīn svarūpō̃ kē smr̥iti kī drill , jāntē hō nā ! Jaisē bāp kē tīn rūp haĩ aisē āpkē bhī tīn rūp haĩ . Brāhmaṇ , phariśhtā aur dēvtā , in tīnō̃ rūpō̃ mē̃ drill dvārā apnē man kō busy rakhō isliē mahāmantra kyā hai ? Manmanābhav .
Bākī bāpdādā kā har|her bachchē sē bahut-bahut pyār hai isliē bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki har|her bachchā vijayī bhav kē vardānī banē̃ . Sunāyā thā nā ki kaī bachchē sōchtē haĩ ham vijayī tō banē̃ lēkin mālā tō 108 kī hai , tō vijayī bankē mālā mē̃ tō ā nahī̃ sakē̃gē lēkin bāpdādā kā itnā pyār hai ki āp vijayī banō tō bāpdādā mālā mē̃ bhī laṛē̃ ( laṛiyā̃ ) lagā dēgā . Āp sirph vijayī banō . Tō kyā saṅkalp hai ? Vijayī bannā hī hai nā ! Ki sirph 108 vijayī banē̃gē ? Nahī̃ . Bāp kā har|her bachchā vijayī hai . Bāpdādā har|her bachchē kē mastak mē̃ kyā dēkh rahē haĩ ? Vijay kā tilak kyōṅki sādhāraṇ rūp mē̃ bāp kō pahchān liyā hai nā ! Chāhē last bachchā hai , puruṣhārth mē̃ ḍhīlā hai lēkin usmē̃ yah viśhēṣhtā hai ki sādhāraṇ rūp mē̃ āyē huē bāp kō pahchān mērā bābā tō kahtā isliē har ēk bachchē kō himmat rakh vijay prāpt karnī hī hai . Sirph kyā karnā hai ? Kōī mēhnat kī bāt nahī̃ hai , pyār kī bāt hai . Bāpdādā sē pyār hai , parivār sē pyār hai tō pyār vālē sē alag nahī̃ rahā jātā hai . Tō brahmā bābā sē kitnā pyār hai ? Jō samajhtē haĩ ki brahmā bāp sē , śhiv bāp sē hamārā aṭūṭ pyār hai vah hāth uṭhāō . Aṭūṭ , aṭūṭ ? Bahut achchhā . Tō dūsrī season mē̃ bāpdādā kyā dēkhnē chāhtā hai ? Jāntē tō hō . Āpkō 5-6 mās milnā hai vyarth sē samarth saṅkalp karnē mē̃ .
Tō bōlō , madhuban vālē uṭhō , chāhē nīchē chāhē ūpar . Bahut haĩ . Tō madhuban vālē bāpdādā kō pyārē haĩ . Aisē nahī̃ dūsrē pyārē nahī̃ haĩ . Vah bhī pyārē haĩ lēkin madhuban vālō̃ sē ēk bāt kā viśhēṣh pyār hai , vah kyā ? Mansā mē̃ yād tō sab kartē haĩ . Yōgī tū ātmāyē̃ tō sabhī haĩ , gyānī ātmāyē̃ bhī sabhī haĩ lēkin madhuban vālō̃ kō apnā bhaviṣhya sahaj banānē kī ēk lift hai . Vah lift kyā hai ? Jō bhī madhuban mē̃ ātē haĩ , unkī sēvā kē nimitt haĩ . Jaisē khānā banānē vālē jō bhī kōī duty karnē vālē haĩ . Bāpdādā tō kahtē haĩ kōī jhāṛū lagānē vālā bhī hai nā , vah bhī bhāgyavān hai , kyō̃ ? Jō bhī ātē haĩ vah yah vāyumaṇḍal dēkh āpkē dil kē pyār kī śhakti dēkh khuśh hō jātē haĩ . Chāhē khānā banānē vālā , chāhē kōī bhī duty vālā hai lēkin madhuban vālō̃ kō chance hai . Madhuban kā pyār aur śhaktiśhālī vāyumaṇḍal banānē kā , isliē bāpdādā madhuban vālō̃ kō bahut-bahut mubārak dē rahē haĩ ki yah season samāpt kī aur āgē kē liē bhī apnē man mē̃ ātmāō̃ kō santuṣhṭ karnē mē̃ aur śhaktiśhālī anubhav karānē mē̃ nimitt bantē rahē̃gē isliē sab tālī bajāō madhuban vālō̃ kē liē . Achchhā .
Āj amr̥itvēlē bāpdādā kō madhuban kē sēvādhārī sāmnē āyē . Har ēk sē bāpdādā vatan mē̃ bhī milē aur khās āpkō pahlē bhī batāyā hai ki chār bajē kē samay āpkī advance mē̃ gaī huī viśhēṣh dādiyā̃ jarūr ātī haĩ . Tō āj bhī viśhēṣh dādiyā̃ aur viśhēṣh bhāī pahuñchē thē . Unhōnnē khās madhuban vālō̃ kō emerge karnē kē liē kahā . Viśhēṣh dīdī aur dādī dōnō̃ nē aur viśhēṣh bhāīyō̃ nē bhī madhuban vālō̃ kō yād kiyā . Aur dādī nē viśhēṣh yād dī|the aur sāth mē̃ vatan kā ām , jāntē hō nā vatan kā phal kitnā baṛhiyā hōtā hai , lāṭhī nahī̃ lagānī hōtī hai , jō phal chāhiē vah āp hāth sē hī lē saktē hō . Tō dādī nē kahā āj madhuban vālō̃ sē ām kī picnic kartē haĩ . Dūsrī dādiyā̃ tō sāth mē̃ thī aur viśhēṣh bhāī bhī thē . Tō bāpdādā nē kahā unhō̃ sē pūchhō ki madhuban kē liē āpkō man mē̃ kyā ātā hai ? Tō dādī kyā bōlī ? Patā hai , jāntē tō hō , dādī kō tō jāntē haĩ nā ! Dādī kahtī thī mērī yah abhī tak bhī dil hai ki har ēk madhuban vālā chāhē puruṣhārth mē̃ kōī bhī kamī abhī rah gaī hai , uskā tō puruṣhārth karnā hai lēkin maĩ ēk bāt chāhtī hū̃ madhuban vālō̃ sē . Vah kyā chāhtī hū̃ ? Ēk-ēk madhubanvāsī bāp samān ban jāyē . Vaisē tō sabhī kō bannā hai lēkin madhuban viśhēṣh hai , madhuban vālō̃ kō dādī sē pyār thā , yah dādī kahtī thī mujhē patā hai . Tō pyār kē return mē̃ maĩ yahī chāhtī hū̃ ki jaisē mama nē lakṣhya rakhā bābā nē kahā mama nē kiyā , yah tō madhuban vālē jāntē hī haĩ . Aisē hī amr̥itvēlē sē lēkē rāt tak har ēk madhuban vālē , agar bābā kē sāth mērē sē bhī pyār hai , dādiyō̃ sē bhī pyār hai , tō jaisē mama nē bāp kī|key har|her rāy jīvan mē̃ lāī , aisē hamnē bhī lāī . Tō agar dādiyō̃ sē pyār hai , tō yahī karkē dikhāyē̃ , savērē sē rāt tak aisā kōī saṅkalp , bōl , karma nahī̃ lāvē̃ jō dādiyō̃ kō yā bāp kō yā kisī kō bhī pasand nahī̃ hō .
Bākī teachers kō dēkh bāpdādā khuśh hōtē haĩ kyōṅki bāp samān seat kā bhāgya milā hai . Bāp kī murlī sunānē kī seat milī hai . Bāp hamēśhā teachers kō sāthī kahtē haĩ . Abhī teachers kē liē bāpdādā ēk bāt chāhtē haĩ . Sunāyē̃ kyā ? Bāpdādā chāhtē haĩ ki har ēk teacher chēhrē sē brahmā bāp samān aisē khuśhnumā nazar āyē . Andar puruṣhārth hōgā bhī lēkin vah āpkī sūrat sē nazar āvē , bāp pratyakṣha hō . Kōī kō bhī dēkhē̃ tō āpmē̃ bāp kī chamak dikhāī dē . Aisē chēhrē sē sēvā karnē vālī bāp kō pratyakṣha kar hī lē̃gī . Ab samay ā gayā hai , bāp kō apnē chēhrē sē pratyakṣha karnē kā . Tō teachers kō sadā mērā bābā tō svataḥ hī yād hai . Abhī bāp kō chēhrē sē pratyakṣha karnā hai . Kar saktē haĩ nā ! Kar saktē haĩ tō karō . Dēkhō , abhī tak kī|key result mē̃ kyā sabhī kahtē haĩ ! Brahmākumāriyā̃ bahut achchhā kām kar rahī haĩ , bāp pratyakṣha nahī̃ hai . Vah abhī bhī gupta hai . Tō abhī samay samīp ā rahā hai , tō āp dvārā chāhē nimitt teachers haĩ yā kōī bhī bachchā hai , abhī bāp kō pratyakṣha karō . Brahmākumāriyā̃ achchhā kārya kar rahī haĩ , yah tō hō gayā . Yahā̃ tak pahuñch gayē hō . Lēkin abhī yah pratyakṣha karō ki svayã paramātmā brahmā tan mē̃ pratyakṣha hō brahmākumāriyō̃ kō aisē yōgya banā rahē haĩ . Abhī yah point rahī huī hai . Gīt tō gātē haĩ mērā bābā ā gayā , lēkin abhī anya ātmāō̃ kē andar yah pratyakṣha hō ki bhagvān svayã pratyakṣha hō yah kārya bahinō̃ dvārā yā bhāīyō̃ dvārā karā rahē haĩ . Yah pratyakṣhatā karnī hai nā ! Kab karē̃gē ? Ab . Kyā kahē̃gē ? Ab nā ! ( abhī śhurū karē̃gē , aglī season tak hō jāyēgā ) āp sabhī sāth mē̃ hō , aglī season tak hō jāyēgā ? Hāth uṭhāō jō samajhtē haĩ ! Thōṛē hāth uṭhā rahē haĩ . Jō hāth nahī̃ uṭhā rahē haĩ vah dēkhē̃gē aur āp karē̃gē ! Teachers nē tō saṅkalp kiyā hai nā ! Kyōṅki dēkh rahē hō bāpdādā tō kahtē hī haĩ ki sab achānak hōnā hai . Kōī bachchē samajhtē haĩ achānak , achānak bhī bahut samay hō gayā hai . Abhī hōnā chāhiē . Lēkin achānak tab hō jab bachchē bhī bāp samān ban jāyē̃ . Āpkī sūrat mūrat ēk-ēk bōl bāp kō pratyakṣha karē . Hō jānā tō hai hī . Hōnā hī hai abhī sirph nimitt bannā hai . Abhī aglī season mē̃ kyā karē̃gē ? Ēk tō apnē kō bāp samān banāyēṅgē . Jō bhī kamī rah gaī hai , uskō sampann karē̃gē . Aur bāpdādā kō khuśhī hai kis bāt kī|key ? Tō bachchō̃ nē jaisē abhī chhōṭē mōṭē sabhī centre nē vāṇī dvārā prasiddh kiyā ki ham kyā kārya kar rahē haĩ . Vāyumaṇḍal kō change kiyā hai . Iskī bāpdādā mubārak dē rahē haĩ . Jinhōnnē jahā̃ bhī programmes kiyē haĩ , achchhē kiyē haĩ , aur sabhī kē attention mē̃ bhī āyā hai ki brahmākumāriyā̃ sachmuch gupta rūp mē̃ apnē kārya kā samay 75 varṣh pūrā kiyā hai . Abhī yah kahē̃ ki brahmākumāriyō̃ kā bhagvān bābā ā gayā hai . Lakṣhya hai nā ! Tō aglē season tak yah kārya ārambh hō jānā chāhiē . Iskā pratyakṣha programme banānā . Programme banātē haĩ nā , meeting kartē haĩ nā ! Tō meeting mē̃ yah programme banāō ki abhī sab bachchō̃ kō patā tō paṛē ki varsā dēnē vālā bāp ā gayā . Vañchit nahī̃ rah jāē̃ . Bāp kō tō bachchō̃ kē duḥkh kō dēkh bahut taras paṛtā hai . Jab duḥkh mē̃ chillātē haĩ , bāp kō taras paṛtā hai . Āp dēv aur dēviyō̃ kō bhī bahut pukārtē haĩ . Tō aglī season mē̃ ēk tō vyarth kā nāmniśhān nahī̃ , mañjūr hai ? Mañjūr hai ! Dil kā hāth uṭhāō . Dil kā hāth uṭhānā . Vyarth hōtā kyā hai , yah mālūm hī gum hō jāē . Jaisē svarg kī śhahjādiyā̃ ātī haĩ nā tō unkō duḥkh aur aśhānti kā patā hī nahī̃ hai , kahtē haĩ kyā kahtē haĩ , yah kyā hōtā hai ! Aisē hī brāhmaṇ parivār mē̃ vyarth kā patā hī na hō , vyarth hōtā kyā hai . Svachintan , svachintak . Achchhā .
Sabhī chārō̃ ōr kē bachchō̃ kō bāpdādā kā dil kā yādpyār aur sāth-sāth bāp har ēk bachchē kō apnē svamān kē naśhē mē̃ niśhchay mē̃ dēkh harṣhit hōtē haĩ , kabhī bhī svamān kō nahī̃ chhōṛnā . Svamāndhārī arthāt sadā sarv prāptivān , svamān kī list baṛī lambī hai , rōz ēk-ēk svamān smr̥iti mē̃ rakh svarūp mē̃ lātē tīvr puruṣhārthī ban āgē baṛhtē chalō . Bāpdādā kō dil mē̃ biṭhākē aur apnē kō bāpdādā kē dil mē̃ biṭhākē nirbhay hōkē master sarvśhaktimān ban chaltē rahō , uṛtē rahō aur uṛātē rahō . Ōm śhānti .
Vardān : sēvā kī stage par samānē kī śhakti dvārā saphaltā mūrt bannē vālē master sāgar bhav
Jab sēvā kī stage par ātē hō tō anēk prakār kī bātē̃ sāmnē ātī haĩ , un bātō̃ kō svayã mē̃ samā lō tō saphaltāmūrt ban jāyēṅgē . Samānā arthāt saṅkalp rūp mē̃ bhī kisī kī vyakt bātō̃ aur bhāv kā ā̃śik rūp samāyā huā na hō . Akalyāṇkārī bōl kalyāṇ kī bhāvnā mē̃ aisē badal dō jaisē akalyāṇ kā bōl thā hī nahī̃ . Avguṇ kō guṇ mē̃ , nindā kō stuti mē̃ badal dō - tab kahē̃gē master sāgar .
Slōgan : vistār kō na dēkh sār kō dēkhnē vā svayã mē̃ samānē vālē hī tīvr puruṣhārthī haĩ .
Yē avyakt iśhārē - brahmā bāp samān sampann aur sampūrṇ sthiti kā anubhav karō
Jaisē āpkī rachnā kachhuā second mē̃ sab aṅg samēṭ lētā hai . Samēṭnē kī śhakti rachnā mē̃ bhī hai . Āp master rachtā samēṭnē kī śhakti kē ādhār sē second mē̃ sarv saṅkalpō̃ kō samākar ēk saṅkalp mē̃ second mē̃ sthit hō jāō . Jab sarv karmēndriyō̃ kē karma kī smr̥iti sē parē ēk hī ātmik svarūp mē̃ sthit hō jāyēṅgē tab karmātīt arthātr̥ sampann sthiti kā anubhav hōgā .