मम्मा की मुरली - gyan-sitar-04
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
१६ . १२ . ५८
Paramātmā kō hāth mē̃ hāth dēnā arthāt svayã kō unkē āgē sampūrṇ supurd kar unkē direction par chalnā
Ōm śhānti . Hamārē pās|pass ab rōśhnī hai arthāt manuṣhya ātmā sukh K|kē vā duḥkh K|kē jō bhī punarjanma dhāraṇ kartī hai un sab key|kī knowledge hai . Kaisē ham part bajānē āyē , phir kahā̃ jānā hai — in sab bātō̃ key|kī rōśhnī hai . Paramātmā jō dharmarāj hai vah tō sabkē hisāb-kitāb kō jānnē vālā hai nā . Jō pakkē niśhchay buddhi haĩ vah samajhtē haĩ ki ab ham practical mē̃ us paramātmā K|kē sambandh mē̃ haĩ . Vah dharmarāj bhī hai , āgē-pīchhē kā sab hisāb-kitāb unkē āgē chuktū karnā hai . Unkō hāth mē̃ hāth pūrā dēnā hai . Kōī-kōī pūchhtē haĩ ki ' hāth mē̃ hāth ’ dēnā kiskō kahā jātā hai ? Jab ham jāntē haĩ vah hamārā bāp , teacher aur guru hai . Past vikarmō̃ kā hisāb - kitāb bhī unkē āgē ab chuktū karnā hai aur bhaviṣhya prālabdh bhī us dvārā hī prāpt karnī hai . Isliē ham sab kuchh unkō supurd kartē haĩ . Jitnā supurd karē̃gē aur bhaviṣhya prālabdh banānē kē liē jō unkā pūrṇ direction hai , us par chalē̃gē tō phir hamsē sab karma karānē vālā vah responsible hō jāyēgā . Yah huā hāth mē̃ hāth dēnā . Phir bhal kaisē bhī vah chalāvē . Parantu hamkō sab supurd karnā hai . Itnī samarthī chāhiē . Harēk K|kē hisāb-kitāb kō dēkh chalāyā jātā hai . Vah karankarāvanhār hai . Vah jō karāyēgā vah pūrṇ kalyāṇ arth|earth . Tō itnā niśhchay hōnā chāhiē ki unkē direction anusār hamārī avasthā hō . Apnī avasthā kō pūrā banānā hai .
Apnē kō pūrā supurd karnā hai . Jabki ham jāntē haĩ ab pūrā hisāb-kitāb lēnē vālā practical mē̃ āyā hai . Vah hamārē sāmnē upasthit huē haĩ sab kuchh dēkhnē , direction dēnē aur karma karānē . Tō ham jitnā supurd karē̃gē utnā hamārī responsibility bhī unkē ūpar aisī rahēgī . Kaī samajhtē haĩ ki bas kāgaj par apnā pūrā pōtāmēl likhkar dēnā hai , bas . Parantu pōtāmēl K|kē rahasya kō bhī samajhnā hai . Jaisē bāp bachchē kā sambandh hōtā hai , tō vah sab kuchh pēśh karē̃gē nā rāy lēnē kē liē . Yah bhī unkē direction par chalnē key|kī samarthī chāhiē . Yah tō practical key|kī bāt hai . Aisē nahī̃ hamnē kāgaj par likh diyā tō bas , bachchē hō gayē . Yahā̃ tō practical unkā bannā hai , phir vah jaisē chalāvē . Paramātmā kahtē haĩ nā — maĩ jō hū̃ , jaisā hū̃ us rup sē jānnā hai . Phir vah jaisē chalāvē . Vaisē hī jō bachchā bannē kā dā̃v lagātā hai unkō samajhnā hai — jaisā hū̃ , vaisā hū̃ , tumhārā hū̃ . Phir tō unkā apnā kuchh rahā nahī̃ . Itnī himmat hai tō āgē baṛhnā hai . Agar dōnō̃ taraph buddhi hōgī tō kām nahī̃ chalēgā . Second-second pūrā direction lēnā hai . Nahī̃ tō unkō itnī responsibility uṭhānē key|kī kyā āvaśhyaktā hai ? Practical jīvan banānī hai . Jaisē laukik rīti kōī kiskā bachchā bantā hai tō karma K|kē khātē sē bantā hai . Ab vah bāp , teacher , guru hai . Tō sab taraph K|kē karma unkō supurd karnē haĩ . Baṛē sāhas key|kī bāt hai . Paramātmā kē āgē spaṣhṭ hōnā hai . Yah bātē̃ unhō̃ kē liē haĩ jō pūrṇ vijay prāpt karnē chāhtē haĩ . Aisē puruṣhārthī hī vijay kō pā sakē̃gē . Pūrī handling lēnī hai jissē apnē karma śhrēṣhṭh bhī hōtē jāē̃ aur vikarmō̃ kā bōjh bhī vināśh hōtā jāē . Practical mē̃ jānnā hai , practical mē̃ bannā hai .
Bhagvān bhal bhōlānāth hai parantu itnā tō bhōlā nahī̃ hai . Bhōlā is barābarī mē̃ hai jō dēkhō , lētā kyā hai aur dēnē mē̃ kaisā pūrā dātā hai ! Tum dētē aisī chīz hō jō unkē kām key|kī nahī̃ hai , tumhārē kām mē̃ bhī pūrī nahī̃ ātī hai . Aur dētā kitnā hai ! Is hisāb sē bhōlānāth hai . Parantu vah purānā bhī pūrā lēgā . Itnā tō bhōlā nahī̃ hai jō sirph kāgaj lē lēvē . Parantu unkē āgē pūrā rakhkar phir pūrā lēnā hai . Ismē̃ apnā kuchh bhī nahī̃ samajhnā hai . Bēkār chīz unkē āgē rakhnī hai , itnī himmat hō tab hai bāt .