मम्मा की मुरली - gyan-sitar-11

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

0२९ . १२ . ५८

029/12/1958

1Karmyōg sanyās karnē kā yathārth tarīkā

1The correct method to perform karma yoga whilst having renunciation.

2Ōm śhānti .

2Om shanti.

3Paramātmā dvārā is samay jō ५ vikārō̃ kā sanyās sikhāyā jātā hai , uskē bhī arth|earth kō samajhnā hai .

3You have to understand what is meant by renunciation of the five vices as God teaches to do at this time.

4Kyōṅki hamārā kōī karm-sanyās nahī̃ hai . 5Hamārā hai karmyōg - sanyās .

4We do not renounce karma but we have karma yoga and renunciation.

6Ham sanyās kartē haĩ ५ bhūtō̃ kā .

5We renounce the five vices.

7Vah karm-sanyāsī rachnā kō māntē nahī̃ haĩ .

6Those karma sannyasis do not believe in the creation.

8Vah tō jyōti jyōt mē̃ samānē athavā mukti pad kō hī mukhya māntē haĩ .

7They consider merging with the light or attaining the status of liberation to be the main thing.

9Ham paramātmā dvārā jāntē haĩ ki manuṣhya kā jīvanmukti hī status hai .

8But we know from God that human beings attain the status of liberation in life.

10Unkō kaisē prāpt karē̃ , sō paramātmā hī ākar sikhlātē haĩ .

9God comes and teaches us how to attain that status.

11Kaī bichārē mūnjh paṛtē haĩ . 12Suntē haĩ nā - dēh sahit dēh K|kē sab sambandhō̃ kā sanyās karnā hai .

10Many people become confused because they hear that we have to renounce the body and bodily relations.

13Tō samajhtē haĩ ki phir sambandhiyō̃ sē hamārā kōī tailuk nahī̃ . 14Jaisē sanyāsī ghr̥iṇā rakh chalē jātē haĩ .

11Then they think that they are not allowed to have any connection with their relations, just as the sannyasis have dislike for everyone and so go away.

15Yahā̃ tō samjhāyā jātā hai - - charity begins at home .

12Here, it is explained that charity begins at home.

16Jaisē ham gyān sē mālāmāl hō rahē haĩ tō aurō̃ kō bhī mālāmāl karnā hai .

13Just as we are becoming prosperous with knowledge, so we have to make others prosperous.

17Yahī hamārā karma hai .

14This is our karma.

18Jabki hamārī knowledge , hamkō lakṣhya hī dētī hai ki karmyōg - sanyās karō , tō ismē̃ sanyāsiyō̃ K|kē māphik sabsē tōṛnā nahī̃ hai .

15Our knowledge gives us the aim of having karma yoga and renunciation. 16But here, we don't have to break away from everyone like the sannyasis do.

19Sambandh jarur rakhnā hai .

17We definitely have to keep a relationship with people.

20Parantu vikārī sambandh kā nātā badalkar is pavitra sambandh mē̃ rahnā ki ham us bāp key|kī santān haĩ , vah hamkō mālāmāl kar rahē haĩ .

18But we have to transform relationships that were based on vices and stay within a pure relationship, as we are children of the Father and He is making us prosperous.

21Tō pahlē ghar vālē jinkē sāth nātā thā , jinhō̃ sē sēvā lī hai , unhō̃ K|kē return mē̃ yah ūñchī service karnī hai .

19So first we have to do this elevated service of our family members from whom we have taken service and give them this return.

22Tōṛnē kā matlab yah nahī̃ ki ghr̥iṇā karē̃ .

20To break away does not mean to have dislike for them.

23Hamārā kām hai sēvā karnā .

21Our duty is to serve them.

24Bāp bhī kahtē haĩ - maĩ world key|kī service par upasthit hū̃ .

22Baba also says: I am present on world service.

25Āgē jō sambandh thā usmē̃ duḥkh dēnā , duḥkh lēnā hōtā thā .

23Previously, our relationships involved giving and taking sorrow.

26Ab sukh dēnā hai , sukh lēnā hai .

24Now, we have to give happiness and receive happiness.

27Alpkāl kā sukh tō anēk janm lētē aur dētē āē , ab hamārī sēvā hai sadākāl sukh dēnē key|kī .

25We have been taking and giving temporary happiness for many births. 26Now our service is to give constant happiness.

28Jabki anubhav kar rahē haĩ tō anubhavī dūsrō̃ kō dēnē K|kē sivāē rah nahī̃ saktē .

27We are experiencing such happiness and so those who are experiencing this cannot help but give it to others.

29Vah samajhē̃gē ki aur bhī lābh uṭhāvē̃ , pahlē ghar vālō̃ kō mālāmāl banāvē̃ .

28They would think that others should benefit from this and of making their family members prosperous.

30Hamārā sambandh itnā rahēgā , ismē̃ karmbandhan key|kī bāt nahī̃ hai .

29We would only have a connection with them to this extent and so there is no question of karmic bondages in this.

31Yah sambandh tō jōḍnā hai .

30We have to have relationships with them.

32Yah bhī tum dēkh rahē 33Hō ki is knowledge mē̃ ānē sē phir parīkṣhāyē̃ bhī ātī haĩ . 34Kyōṅki yah knowledge bhī naī hai aur unkē charitra bhī nayē haĩ .

31You can also see that when you come into knowledge you have to face tests, because this knowledge is new and activities based on it are also new.

35Unhōnnē śhāstrō̃ dvārā kuchh aur bātē̃ sunī haĩ aur paramātmā jō practical part bajātē haĩ , in charitrō̃ kō tō ham hī jāntē haĩ .

32They have heard other things from the scriptures. 33But we know God's activities and the part He plays.

36Isliē in bātō̃ kō samjhānē mē̃ yuktiyā̃ bhī rakhnī paṛtī haĩ .

34In order to explain these things, we have to create methods.

37Sīdhā hī kiskō kahē̃gē ki hamkō paramātmā aisē kahtē haĩ , tō samajhē̃gē - - patā nahī̃ yah kis chakra mē̃ paṛā hai .

35If we tell someone outright that God says this to us, they will wonder what we have got caught up in.

38Sabkē vichār , saṅskār apnē-apnē haĩ nā .

36Each one's ideas and sanskars are their own.

39Tō dēkhkar chalnā hai .

37You have to be careful as you progress.

40Doctor sabkō ēk ilāj tō nahī̃ dēgē .

38A doctor would not give the same medicine to everyone.

41Tō yahā̃ bhī yukti sē kām lēnā paṛtā hai .

39So here also you have to do everything with tact.

42Jhaṭ sē jōśh mē̃ nahī̃ ānā hai ki hamārā kōī sē connection nahī̃ hai .

40You must not instantly be forceful and say that you don't want a connection with anyone any more.

43Bābā tō kahtē haĩ ki purānī duniyā kō naī duniyā banānā hai .

41Saba says: You have to make the old world new.

44Bāp nē bhī ākar tamōguṇī ātmāō̃ sē sambandh jōṛā hai .

42Baba also came and forged a connection with impure souls.

45Tamōguṇī ātmāō̃ kā hī bāp-teacher-guru banā hai , unhō̃ kō sad ‌ gati dēnē kē liē .

43God has come and become the Father, Teacher and Guru of the impure souls in order to grant them salvation.

46Durgati vālō̃ kā hī tō guru banē̃gē nā , jinkō is knowledge key|kī āvaśhyaktā hai .

44He would become the guru of those who are degraded and who need this knowledge.

47Aisī ātmāō̃ sē sambandh jōṛ unhō̃ kō varsē kā hakdār banātē haĩ .

45He has a connection with such souls and makes them worthy of claiming a right to the inheritance.

48Ham bhī is kārya mē̃ nimitt rahē̃gē .

46We are also instruments for this task.

49Yahī sarvōttam sēvā hai .

47This is the most elevated service.

50Harēk lēnē kē liē hakdār hai , ham dēnē kē liē hakdār haĩ .

48Each one has a right to the inheritance, and it is also our right to give it to others.

51In bātō̃ kō achchhī rīti samajhnā hai .

49You have to understand these things very clearly.

52Na samajhnē K|kē kāraṇ ghabrā jātē haĩ .

50If you don't understand, you become afraid.

53Isliē bār-bār sāvadhānī miltī hai .

51This is why you are cautioned again and again.

54Jabki hāth mē̃ hāth diyā hai , tō vah batalāyēṅgē ki kaisē kadam uṭhāō .

52Since you have put your hand in His, He will tell you what steps to take.

55Hamārē īśhārē par chalnē sē hī tumhārā kalyāṇ hōgā .

53It is only by following My directions that there will be benefit for you.

56Har ēk kā pōtāmēl unkē pās|pass hai .

54Each one has his own account.

57Jō pūrā hāth dētē haĩ unhō̃ kā sākār mē̃ ākar sab pōtāmēl lētē haĩ .

55God comes and takes the accounts of those who have put their hand completely in His hand.

58Yah knowledge hai hī practical key|kī .

56This is practical knowledge.

59५ bhūtō̃ kā sanyās karnā hai .

57You have to renounce the five evil spirits.

60Mailī ātmā kō sāph karnā hai .

58You have to clean the dirty soul.

61Karmbandhan sē chhūṭnē kā tarīkā ruhānī bāp hī sikhlātē haĩ .

59Only the spiritual Father teaches you the method to be liberated from karmic bondages.

62Attention dēnā paṛtā hai , tab rōśhnī miltī jāyēgī .

60You have to pay attention as only then will you receive enlightenment.

63Sanyās akṣhar purānā hai .

61The word "renunciation" is very old.

64Parantu yah karmyōg - sanyās kōī nē sikhlāyā nahī̃ hai .

62But no one has ever taught karma yoga and renunciation.

65Ab ham sīkh rahē haĩ .

63We are not learning this.

66Unkē direction mē̃ hī kalyāṇ hai .

64There is benefit only in His directions.

67Ismē̃ ghabrānē key|kī zarurat nahī̃ hai .

65There is no need to be afraid.

68Bākī mañjil baṛī hai .

66But the destination is very high.

69Jītē jī . pūrā marnā hai .

67You have to die alive completely.

70Bāp K|kē pūrṇ īśhārō̃ par chalnā bachchō̃ kā kām hai .

68It is the children's duty to follow the signals of the Father completely.

71Practical key|kī bāt hai .

69It is a matter of actually doing so.

72Unkō jīvan dī hai tō sab kuchh unkē sāmnē rakhnā chāhiē .

70You have given Him your life and so you have to place everything before Him.

73Samjhānē vālā baiṭhā hai , yah tō jīvan banānē key|kī bahut ūñchī bāt hai .

71The One who is explaining is sitting here. 72It is a matter of creating your life.

74Bākī kiskē bhāgya mē̃ nahī̃ hai tō uskī bāt hī nahī̃ hai .

73But if it is not in someone's fortune, then the question doesn't arise.

75Apnā kām hai puruṣhārth karnā aur karānā .

74Our duty is to make effort and to inspire others.

75Achcha.