मम्मा की मुरली - gyan-sitar-26
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
१० . ९ . ५९
Paramātmā kā karttavya aur uskī rachnā kā bhēd
Ham paramātmā key|kī mukh-vanśhāvalī achchhī tarah sē jān chukē haĩ ki hamārī mañjil kahā̃ hai aur kis ṭhikānē sē ākar part bajānā hai . Ab is purānī duniyā sē lauṭnē kā time hai kyōṅki yah purānī duniyā vināśh hōnī hī hai . Khud-ba-khud kinārē hō jānē vālē haĩ . Tō kyō̃ na pahlē sē ham kinārā kar lē̃ jissē hamārī prālabdh banē ? Paramātmā ab is sūkhī duniyā sē lauṭā rahē haĩ aur nayā ghar banā rahē haĩ . Purānē ghar mē̃ rahkar nayā banānā hōgā nā . Bēghar hōkar tō nahī̃ banāyēṅgē . Hā̃ , vah prālabdh sampūrṇ banā dēgē tō yah purānā ghar vināśh hō jāyēgā . Yah purānī duniyā aisē hī nazar mē̃ hai - yah bas , chhōṛnā hī hai . Bākī ismē̃ thōṛē samay kē liē haĩ jab tak apnā ghar banā lē̃ . Tō ham jān saktē haĩ ki hamārī mañjil , ṭhikānā kahā̃ haĩ ? Uskē liē taiyārī kar rahē haĩ . Har ēk kō apnī individual taiyārī karnī hai . Bākī sārī duniyā kē liē paramātmā kārya karā rahē haĩ .
Yah tō samajhtē haĩ - - jō chīj sthāpan hōtī hai uskī pālnā bhī hōtī hai . Bāp ghar banātē haĩ tō pālnā kē liē bhī responsible rahtē haĩ . Bēhad kā bāp bhī responsible hai . Lēkin yah purānī duniyā tō paramātmā nē sthāpan nahī̃ kī hai , na iskī pālnā kē liē responsible hai . Yah ५ bhūtō̃ nē sthāpan kī hai , vahī pālnā kar rahē haĩ . Agar paramātmā pālnā kartē tō duḥkh-aśhānti nahī̃ hōtī . Paramātmā jō sthāpanā hamārē dvārā karātē haĩ uskī pālnā bhī karātē haĩ . Aisī power dē dētē haĩ ki sukhmay pālnā kartē rahō , jō २१ janmō̃ tak yah pālnā chaltī hai jismē̃ phir paramātmā key|kī āvaśhyaktā hī nahī̃ rahtī . Bākī purānī duniyā key|kī pālnā nahī̃ kartē . Hā̃ , purānī duniyā K|kē vināśh kē liē paramātmā nimitt bantē haĩ . Paramātmā key|kī rachnā kā bhēd jō hai vah samjhātē haĩ . Duniyā tō samajhtī ki sab kuchh paramātmā karā rahē haĩ . Lēkin unkō bhūl ham jō vikarma kartē āyē haĩ unkī bhōgnā hamkō bhōgnī paṛtī hai . Ab hamārī buddhi kō ṭhikānā mil gayā hai . Duniyā tō bhaṭaktī rahtī hai . Ham mūñjhē huē nahī̃ haĩ . Kahā̃ mañjil hai , kyā karnā hai - hamkō patā hai . Tō śhauk hōtā hai aurō̃ kō bhī batāvē̃ . Hamārī