मम्मा की मुरली - gyan-sitar-51
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
२९ . ८ . ६३
Sabkō bal dēnē vālē samarth bāp kō sarv sambandhō̃ sē yād karō
Gīt : tumhī̃ hō mātā-pitā .
Ōm śhānti . Apnī buddhi mē̃ ēk paramātmā key|kī hī yād hai , dūsrē kōī kō yād karnē key|kī darkār nahī̃ hai . Unkā pharmān hai ki maĩ hī sarv sambandhō̃ kā tumhē̃ sāth dētā hū̃ . Vah hai sarvśhaktivān , isliē aur kiskē yād kī āvaśhyaktā hī nahī̃ rahtī hai . Manuṣhya ātmāō̃ key|kī yād mē̃ tō aisē nahī̃ hō saktā . Vah tō sarv samarth hai phir aur kiskī yād kā sahārā lēnē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ hai . Sarv sahārē dēnē vālā samarth vah hai , vah khud apnī act kar rahē haĩ . Apnā sambandh hai hī unsē , jissē aur kōī sahārā lēnē key|kī phir bāt hī nahī̃ rahtī . Sabhī kā sahārā vah ēk hī hai , karankarāvanhār bhī vah hai . Sthāpanā , pālnā , vināśh karānē vālā bhī vah ēk huā nā . Ussē sarv prāptiyā̃ hō jātī haĩ , isliē unkō bāp , teacher , satguru kahtē haĩ . Vahī sab kuchh kar aur karā saktē haĩ . Ab apnā sambandh hī unkē sāth hai . Aur taraph buddhi jātī hī nahī̃ hai . Vahī knowledgeful gyān kā sāgar hai . Unkā ab pharmān hai ki mujhē yād karnē sē tumkō bal key|kī prāpti hōgī jissē purānā khātā vināśh karnā aur nayā jōṛnā hai . Tum māt-pitā … bhī unkō kahtē hō . Sarv sambandhō̃ kā sahārā , sabkō bal dēnē vālā vah ēk hī hai . Aur kisī dēvtā ādi kō yah mahimā nahī̃ dē saktē . Vah samarth hī is mahimā athavā is kartavya K|kē lāyak hai . Manuṣhya tō jāntē nahī̃ haĩ . Vah tō hō gaī bhāvnā . Yah tō practical bāt hai . Aisā kartavya us samarth sarv śhaktivān sē hī hō saktā hai . Aisē nahī̃ ki ham kōī kō bhī paramātmā kah dē̃ . Paramātmā tō apnē nām , rup , kartavya vālā alag hōgā nā . Jō jiskē lāyak hai unkō hī kahnē mē̃ ātā hai . Practical bāt chāhiē nā . Aisē hī sirph mahimā nahī̃ karnī hai . Bhāvnā sē prāpti hōtī hai . Vah huī bhāvnā . Bākī practical jisnē kartavya kiyā , vah tō bāt hī alag hai . Tō apnī buddhi mē̃ ēk key|kī hī yād hai . Achchhā .