मम्मा की मुरली - gyan-sitar-53

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

८ . ९ . ६३

Dharmarāj kā rūp official hai , usmē̃ kōī riyāyat nahī̃

Gyānēśhvar bābā aur yōgēśhvar bābā ab khud gyān yōg sikhānē āyē haĩ . Apnā aur apnī sārī rachnā kā parichay dēnē āyē haĩ . Kahtē haĩ maĩ hī tumhārā bāp , teacher , guru hū̃ . Maĩ tumhārā māt-pitā bandhu-sakhā hū̃ . Tō ēk bār tum mērē hō jāō . Kaī kahtē haĩ - sab kuchh tō śhivbābā kā hai nā . Parantu aisā sirph dil mē̃ nahī̃ samajhnā hai , act mē̃ bhī lānā hai . Unkē direction par chalnā hai . Bāp khud kahtē haĩ ab jō kuchh tumhārē pās|pass hai sō pūrā pōtāmēl mērē āgē rakhō phir mērē direction par her|har karma karō tab tumhārī jimmēvārī haṭ jāyēgī , kyōṅki maĩ tō dharmarāj bhī hū̃ . Yād rakhnā maĩ wrong karma nahī̃ karā saktā . Yah hai jītē jī marnā arthāt marjīvā bannā jissē satyug mē̃ amar pad pānā . Jō kuchh karnā hai , mērē prati karō . Ēk bār tumkō mērē prati marnā hai aur mērē saṅg apnī jīvan bitānī hai . Karmō̃ kā lēkhā ṭhīk rakhō , bigaṛē kō sudhārnā hai . Phir tō jō hisāb-kitāb hai vō sāth mē̃ jāyēgā . Ab bāp hū̃ tō kuchh riyāyat kar dūṅgā bākī jab dharmarāj hū̃ tab tō official rūp mē̃ hū̃ . Agar gyān mē̃ ākar kuchh vikarma kiyā hōgā tō १० guṇā sajā dūṅgā . Vahā̃ riyāyat chal nahī̃ saktī . Bāp kahtē haĩ – abhī tō maĩ bāp , teacher aur guru K|kē rūp mē̃ upasthit hū̃ . Jō mērī gōd kā bachchā banēgē , unkī jimmēvārī bhī maĩ uṭhāūṅgā . Ab jītē jī marnā hai arthāt dēh sahit dēh K|kē sab sambandhō̃ sē buddhiyōg tōṛ man-vachan-karma sē mērē sē sambandh jōṛnā hai . Pūrā naṣhṭōmōhā bannā hai . Bākī yahā̃ lōk-lāj rakhnē kā khyāl kiyā tō khalās . Is sr̥iṣhṭi key|kī sab maryādāyē̃ vikārī haĩ vahā̃ tō nirvikāritā kā sambandh thā . Bhal bachchē ādi paidā hōtē thē parantu yōgbal sē . Kōī kahē ham yahā̃ hī pavitra pati-patnī ban baiṭh jātē haĩ . Nahī̃ , vō tākat yōgbal key|kī tō prālabdh mē̃ hai jabki pavitra pravr̥itti hai . Nirvikārī maryādā pradhān hai . Bākī yahā̃ nātā jōṛkar nahī̃ baiṭhnā hai . Yahā̃ tō ēkdam purānā khātā khatm karkē hī chalnā hai . Achchhā .