गुरुवार 26 सितंबर 1963 की साकार मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
26-09-1963 mumbaīprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō good mōrniṅg ham mumbaī sē bōl rahī haĩ āj gurūvār hai son|san 1963 sēpṭēmbar key|kī chabbīs tārīkh hai prātaḥ kāl mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ
Record :
Tumhī̃ hō mātā , pitā tumhī̃ hō , tumhī̃ hō bandhu sakhā tumhī̃ hō …
Vāstav mē̃ yah gānā bhaktimārg kā manuṣhyō̃ kā banāyā huā hai . Jahā̃ bhī jāē̃gē - ' tum māt-pitā , ham bālak tērē yā ' tvamēv mātā cha pitā tvamēv bandhu , aisē kahtē haĩ nā . Kahā̃ bhī jātē hai tō bichārē arth|earth kō jāntē nahī̃ haĩ . Bābā nē samjhāyā ki śhiv K|kē mandir mē̃ jāē̃gē tō bhī yahī kahē̃gē - ' tvamēv mātā cha pitā , bandhuśca sakhā sab kah dēgē . Abhī vahī mahimā phir jā karkē lakṣhmī nārāyaṇ K|kē mandir mē̃ bhī karē̃gē . Anubhavī hai nā bābā . Yah sab bhakti kiyā huā hai nā . Iskō kahā jātā hai andhaśraddhā , blāiṇḍaphēth yānī kiskā bhī parichay na hō aur unkī baiṭh karkē mahimā kartē . Parampitā paramātmā kā parichay ēk bhī manuṣhya mē̃ nahī̃ hai ; kyōṅki parampitā paramātmā āē tab bachchō̃ kō parichay dē . Jab kōī kā bāp hī nahī̃ hai , tō bachchō̃ kō parichay kahā̃ sē milēgā ! Tō sārī duniyā mē̃ yah jō paramātmā-paramātmā kahtē haĩ , ēk kō bhī parichay nahī̃ hai ; parantu phir kah dētē haĩ-kuttē mē̃ hai , billē mē̃ hai , phalānē mē̃ hai . Parichay nahī̃ hai tō kyā karē̃ ? Tō unkō rulāy diyā . Abhī practical mē̃ bāp baiṭh karkē samjhātē haĩ - tumhārā vō māt-pitā tumkō pitā aur mātā dvārā samjhātē haĩ . Vō khud samjhātē haĩ jiskō hī ' tum māt-pitā kahā jātā hai , inkō nahī̃ kōī kahē̃gē . Brahmā , viṣhṇu aur śhaṅkar kō nahī̃ kahā jā saktā hai . Yah bhūl hai , jō agar yah bhāratvāsī lōg kahtē haĩ . Yah hai sab guḍiyō̃ key|kī pūjā . Ēk patthar banā diyā hai , baiṭhkar unkō ' śhiv - śhiv ' karkē pūjā aur phir tōṛ ḍālā . Ājkal jā karkē unkō tō nahī̃ ḍubātē haĩ . Śhiv kā kuchh jalūs vagairah nikaltā nahī̃ hai . Uskā nikalnā nahī̃ chāhiē . Kiskā nikalnā chāhiē ? Dēvī-dēvatāō̃ kā . Kyō̃ ? Kyōṅki unkō ḍubōtē haĩ . Bhalā ū̃chē tē ūcā jō śhiv hai , unkō jā karkē kyō̃ nahī̃ ḍubōtē haĩ ? Ū̃chē tē ū̃chā hai nā . Unkā bhī patthar banākar , phir unkā bhī kōī din manānā chāhiē . Śivajayantī K|kē din śhiv kā chitra nikalnā chāhiē . Phir unkī pūjā karāy kar phir jākar samudra mē̃ yā gaṅgā nadī mē̃ ḍubō dēnā chāhiē . Unkō kyō̃ nahī̃ ḍubōtē ? Kyōṅki kahtē haĩ ki vō tō hai hī immortal . Vō janm-maraṇ mē̃ ātē hī nahī̃ haĩ . Vō tō martē nahī̃ haĩ nā . Jō martē haĩ , janm-maraṇ mē̃ ātē haĩ unkē chitra banātē haĩ . Usmē̃ bhī kiskā banātē haĩ ? Kyā tum samajhtē hō ki lakṣhmī nārāyaṇ kā nahī̃ banātē hai ? Lakṣhmī kā banātē haĩ . Achchhā , phir nārāyaṇ kā kyō̃ nahī̃ banātē haĩ ? Dōnō̃ kō hī ikaṭ ṭhā ḍubānā chāhiē nā ? Lakṣhmī kō ḍubātē haĩ aur nārāyaṇ nē kyā gunāh kiyā ? Unkā bhī tō bannā chāhiē ; parantu mūrkh hai nā . In lōgō̃ kō mālūm tō kuchh hai nahī̃ . Lakṣhmī kō bhī ḍubōtē haĩ , kālī kō bhī ḍubōtē haĩ , in sab dēviyō̃ kō ḍubōtē haĩ . Usmē̃ āgē lakṣhmī I|āī|eye , tō nārāyaṇ bhī ā gayā . Nārāyaṇ ā gayā tō unmē̃ viṣhṇu bhī ā gayā . Viṣhṇu kā chitra hī nahī̃ nikāl karkē , jākar ḍubōtē haĩ , parantu sirph lakṣhmī kō hī ḍubōtē haĩ . Patā nahī̃ lakṣhmī nē kyā gunāh kiyā . Yū̃ tō lakṣhmī sē her|har dīpmālā par vō bhīkh māṅgtē haĩ , phir aisī lakṣhmī kō ḍubōtē haĩ . Vāstav mē̃ vō lakṣhmī nahī̃ banātē haĩ . Yah mahālakṣhmī kō hī chār bhujāē̃ dē dētē haĩ . Tō unmē̃ nārāyaṇ bhī ā gayā nā . Vō samajhtē haĩ ki lakṣhmī kī hai , parantu nahī̃ , vō jō mahādēvī hai , unkō bā̃hē̃ dē dī̃ tō usmē̃ samjhō ki unkī bhī bhujāē̃ ā gaī . Tō vō jaisē mahālakṣhmī hō gaī . Unkō jākar ḍubōtē haĩ , parantu yah gyān kōī bhī bachchē tō nahī̃ jāntē haĩ nā . Yah kahtē haĩ-paramparā sē chalā āyā huā hai , sō chaltā rahtā hai . Abhī daśhaharē mē̃ bhī tō aisē kahtē haĩ , isliē yē chitra banāē gaē haĩ samjhānē kē liē . Abhī yē jō chitra haĩ , inmē̃ vāstav mē̃ gāndhī kā bhī chitra dēnā chāhtā thā . Kahā̃ ? Rāvaṇ kē nīchē jō gōlā hai , yahā̃ . Ēk gāndhī jī kā bhī chitra lagāyā ; kyōṅki gāndhī jī chāhtē thē ki rāmrājya sthāpan hō . Rāvaṇrājya hai nā . Tō jarūr rāvaṇrājya mē̃ yathā rājā-rānī rāvaṇ tathā prajā . Yah tō hōgā nā . Vahā̃ yathā rājā-rānī rām yā dēvatāē̃ tathā prajā . Bābā samjhā dētē haĩ yād rakh lēnā yah sab bhējō sabkō dō tākī jākar samjhāyē jō - jō bhī cēmbarsa haĩ , sabkā saṅgaṭhan tō hai nā . Sabkā kōī na kōī head hōtā hai . Secretary kahō yā kōī leader kahō . Yē sab jō bhī sansthā hai , un sabkō tumkō rūbarū ā karkē dēnā hai aur gāndhī kā nām jarūr lēnā , kyōṅki gāndhī kō tō avatār māntē haĩ nā . Bahut avatār māntē haĩ . Bhalā avatār kyō̃ māntē haĩ ? Avatār tō sabkō māntē hai . Jō - jō dharm key|kī sthāpanā kartē hai , unkō yah lōg avatār māntē haĩ . Christ kō kiskā avatār mānē̃gē ? Kriściyan dharm kā . Buddha kō kiskā avatār mānē̃gē ? Bauddh dharm sthāpan karnē . Yah bhī avatār māntē haĩ . Par kyā avatār māntē haĩ ? Kyā kiyā ? Inhōnnē ā karkē kaurav rājya sthāpan kiyā yānī prajā kā prajā par rājya sthāpan kiyā . Hōnā chāhiē na . Nahī̃ tō kaurav-pāṇḍav āē kahā̃ sē ? Kaurav rājya K|kē pahlē Europe tō thā ; par kaurav rājya tō thā hī nahī̃ . Ab jab kaurav rājya thā , tō pāṇḍav rājya bhī phaṭ nikalnā chāhiē . Yē dōnō̃ kaurav rājya sthāpan karnē vālā gāndhī jī aur phir pāṇḍav rājya sthāpan karnē vālā baṛā bāpū jī . Vō chhōṭā bāpū jī bhārat kā , yah hai baṛā bāpū jī sabkā , kyōṅki yah samajhnē key|kī bātē haĩ . Samajh karkē samjhāō . Jō na samajh karkē samjhātē haĩ vō bhuṭṭū jaisē baiṭhē huē haĩ , unn-pājī aisē samjhō . School mē̃ jō kōī na samajhtē haĩ , na kiskō samajhāy saktē haĩ , unkō unn-pājī na kahē̃gē tō kyā karē̃gē ? Unkē liē jagah , vō satsaṅg hai . Yē satsaṅg nahī̃ hai , yē school hai . Ismē̃ paṛhē̃gē paṛhāēṅgē , paṛhnā bhī hai , paṛhānā bhī jarūr hai . Yah school mē̃ bas paṛhā aur jā karkē pad pāyā , vō nahī̃ hōtā hai , is school mē̃ paṛhnā hai aur paṛhānā hai , tab unkō kuchh achchhā pad mil saktā hai . Yah sabkē liē bābā ḍāyaraikśan dētē haĩ ki baṛē - baṛē kē pās jāō , baṛē-baṛē ēsōsiyēśansa mē̃ bhī jāō , unkō jā karkē samjhāō ki yē bāpū jī key|kī duniyā aur yah us bāpū jī kē liē , jō bāpū jī banā saktē haĩ . Yah dēkhō , sabkā baṛā bāpū jī yahā̃ baiṭhē haĩ nā . Abhī inkē liē tō kuchh nahī̃ kahtē haĩ na . Yah baṛā bāpū jī , vō bhārat kā bāpū jī . Vō bhī hai bhārat mē̃ janm lēnē vālā bāpū jī parantu hai sabkā . Janm tō ēk jagah lē̃gē nā . Sabhī jagah tō janm nahī̃ lē̃gē . Yah nahī̃ samjhā jātā hai ki jahā̃ - jahā̃ śhivbābā vahā̃ janma liyā hōgā yā jahā̃ - jahā̃ śhivbābā kā chitra hōgā , vahā̃ śhivbābā gayā hōgā . Aisē nahī̃ hōtā hai . Vahā̃ bāhar mē̃ bahut mandir hai lakṣhmī kā . Kyā lakṣhmī K|kē vahā̃ gayā hōgā kyā ? Kōī bhī nahī̃ gayā hōgā . Vō tō lē jātē haĩ chitra jahā̃-tahā̃ , bākī hai tō yahā̃ bhārat K|kē nā . Dēkhō bābā baiṭh karkē samjhātē haĩ yah mupht mē̃ nahī̃ bantē haĩ . Bahut kharchā lagtā hai . Abhī bachchō̃ kō kyā karnā chāhiē ? Service karnī chāhiē . Jō bhī baṛī-baṛī sãsthāē̃ haĩ , unkē pās|pass lē jānā chāhiē aur jā karkē rūbarū samjhānā chāhiē . Bāpū jī kā nām jarūr lēnā . Gāndhī jī kā nām sabkō bahut pyārā lagtā hai . Bābā kahtē haĩ śhāstrō̃ mē̃ bhī unkā nām hai nā , aisē thōṛē hī ki nahī̃ hai . Kauravapati tō bāpū jī ṭhaharā|ṭhahrā nā . Abhī pāṇḍavpati kō kr̥iṣhṇa kahtē haĩ . Bāp kahtē haĩ-nahī̃ , pāṇḍavpati yah bāpū . Kr̥iṣhṇa kō bāpū kōī nahī̃ kahē̃gē , sab inkō bāpū kahē̃gē . Tō yah huā bēhad kā bāpū yah hō gayā had kā bāp . Vō hai manuṣhya , yah hai nirākār parampitā paramātmā . Gāyā jātā hai nā . Had kā bāpū kōī svarg yā rāmrājya thōṛē hī sthāpan karēgā . Yah tō bēhad kā bāp chāhiē nā . Tō usī samay mē̃ dēkhō , kaurav bhī hai , pāṇḍav bhī haĩ , yādav bhī hai . Kaurav rājya thā nahī̃ yahā̃ , kaurav rājya kauravapati nē sthāpan kiyā . Vō tō bābā nē samjhāyā hai-kauravapati nē yāni jin-jin kauravō̃ nē yānī kā̃grēs nē unkō achchhī-achchhī madad dī|the , tan-man-dhan diyā tō tan-man dēnē kā kōī tan-man kā sukh unkō milā ? Praśhna hōtā yah , achchhā bhāī , sukh tō milā , parantu aisē nahī̃ kahē̃gē tan-man-dhan kā sukh milā . Nahī̃ , dhan kā bhī bēśhak milā hai , bākī tan kā nahī̃ , man kā nahī̃ . Dhan kā bhī kaun-sā ? Alpkāl kṣhaṇbhaṅgur . Dēkhō , bābā kitnā achchhā samjhātē haĩ . Yah bāpū jī tumkō tan , man aur dhan kā sukh dētē haĩ . Sō bhī kiskā ? 21 janm kē liē svarg kā mālik banātē haĩ . Jab tan sukhī , man sukhī , kyōṅki man bahut ghuṭkā khātā hai nā , tūphān lagtē haĩ . Vahā̃ tūphān tō hōtā hī nahī̃ . Māyā hī nahī̃ hai , tō man kō tūphān kaisē lagē̃gē ? Man kā sukh , dhan kā sukh . Mālāmāl . Ṭhīk hai nā ? Ever healthy ever wealthy ever happiness dētē haĩ . Abhī is bāpū gāndhī jī nē tō kauravō̃ kō yah sab nahī̃ diyā . Hā̃ , itnā jarūr hai ki jinhō̃-jinhō̃ nē bahut madad dī hai , vō baṛē-baṛē officer banē haĩ yā vō dhan bahut kamā rahē haĩ . Unkō dhan kamānē key|kī madad bhī mil rahī hai . Yukti hai yē sab lagī huī . Jinhōnnē madad diyā unkē ūpar taras khāē . Inhōnnē tō bichārē nē sab kuchh diyā , bhalē abhī kamāvē . Tō lāisē̃s bhī jō kamāvē . Tō bābā phir kyā kahtē haĩ ? Yah sab bātē̃ vahā̃ nahī̃ hōtī̃ . Jō - jō achchhī tarah sē service karēgā , śhivbābā kā madadgār hō jāēgā , bābā kahtē haĩ-maĩ phir tumkō tan kā , man kā , dhan kā 21 janm kē liē sukh dētā hū̃ . Tan , man aur dhan sē bali chaṛhnā hōtā hai nā . Jaisē , yah thē nā ? Abhī phir sē yah ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā hō rahī hai . Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hai satyug mē̃ . Tō kyā satyug kō create karnē vālā kr̥iṣhṇa hai ? Kaun kahēgā ? Satyug kā creation tō sachchā bādśhāh kartā hai ; kyōṅki sachkhaṇḍ hai aur vō hī phir abhī jhūṭhkhaṇḍ hai . Sachchā bādśhāh unkō kahā jātā hai nā . Aur tō kōī kō nahī̃ kahā jā saktā hai . Creator vō hī hai . Creator bhī hai , director bhī hai , kyōṅki yah hamēśhā gāyā jātā hai ki karan-karāvanhār hai . Unkī mahimā bahut gātē haĩ sabhī . Tum lōgō̃ key|kī alag hai . Gāyan sabkā alag hai . Tum lōg kahē̃gē gyān kā sāgar hai , ānand kā sāgar hai . Manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp hai , yah bhī jarūr kahē̃gē . Abhī kōī manuṣhya kō tum lōg manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bīj kahē̃gē ? Na brahmā kō , na viṣhṇu kō , na śhaṅkar kō , na lakṣhmī kō , na nārāyaṇ kō kahē̃gē . Tum lōg tō ēk kō kahē̃gē nā . Phir unkī hai yah mahimā , jiskō kahā jātā hai beloved most bāp . Agar beloved bāp hai tab tō bhakta bhagvān key|kī bhakti kartē haĩ . Tō bhagvān ēk hōnā chāhiē nā . Tō bhaktō̃ kā most beloved ēk śhiv , parantu na jānnē K|kē kāraṇ , lakṣhmī-nārāyaṇ , phalānā sanyāsī-udāsī , guru , sārī pati ādi yah sab hō gayā . Nahī̃ tō beloved most tō unkō kahā jātā hai . Vō beloved most ā karkē , jaisā khud beloved most hai vaisē tumkō beloved most banāy rahē haĩ , parantu jō-jō achchhī tarah sē dhāraṇ karē̃gē aur aurō̃ kō karāyēṅgē , vō beloved most svayã yah lakṣhmī nārāyaṇ K|kē vijaymālā mē̃ pirōy saktē haĩ . Agar kuchh nā-pass hōtē haĩ , tō phir pahlē unkō dās-dāsiyā̃ jarūr bannā paṛēgā . Gāyā huā hai-anapaḍhē paṛhō kē āgē bharī ḍhōyēgē . Yah tō gāyā jātā hai ki rāmachandra , sītā bhī unkē sāth ṭhaharī nā , vō 14 kalā banē . 16 kalā na pās|pass hō sakē , trētā mē̃ ā gaē . Kahā̃ jāēgā ? Āēgā tō jarūr satyug mē̃ . Phir kahā̃ jāēṅgē ? Unkō kyā pad milēgā ? Yah bhī tō samajh key|kī bāt hai nā . Vō anpaṛhē pūrē pās|pass na huē . Isliē jō pās|pass huē hai , unkē āgē bharī ḍhōēṅgē . Vō sabhī jō nā-pass hōtē haĩ , pahlē vahā̃ number-vār dās-dāsiyā̃ banē̃gē . Dās-dāsiyā̃ bhī tō number-vār hōtī haĩ nā . Kōī tō śhrr̥iṅgār karātī haĩ , sāth mē̃ rahtī haĩ , kōī tō jhāḍū lagātī haĩ , kōī tō sāph karnē vālī hōṅgī . Naukar tō number-vār hōtē haĩ nā . Yah bhī aisē hī hai phir , usmē̃ bhī number-vār . Candravãśiyō̃ mē̃ bhī number-vār dās-dāsiyā̃ hōtī haĩ . Yah tō bāp baiṭhkar samjhātē haĩ . Harēk apnē sē pūchh saktē haĩ . Students hōtē haĩ nā , jab imtihān K|kē din hōtē haĩ , tō unkī dil khātī hai ki ham kitnē mark mē̃ pās|pass hōṅgē . Jō āgē hī baiṭhtē hōṅgē school mē̃ , bahut karkē jō achchhē bachchē hōtē haĩ vō ūpar mē̃ hī rahtē haĩ . Kōī ēkdam muśhkil ūpar chaṛhtē haĩ . Vahā̃ bhī tō number rahtē haĩ . Tō yahā̃ bhī tō number hī bannē haĩ . Bābā key|kī tō mālā hai . Tō bābā kahtē haĩ , iskē ūpar bahut service karō . Yah paisā kharcha kartē haĩ kām kā . Bhalē bhūlē̃ hō jātī haĩ . Inmē̃ unkā chitra ānā chāhiē thā . Inmē̃ bhī kr̥iṣhṇa kā chitra bīch mē̃ tō hai , parantu khulā . Jaisē , jō draupadī key|kī sāṛiyā̃ utārtē haĩ tō kr̥iṣhṇa kō dikhlātē haĩ sāṛiyā̃ dētē rahtē haĩ aur draupadī pukārtī hai . Kahtī hai nā - ' hē bhagvān ! Mujhē yah duryōdhan naṅgan kar rahā hai . Abhī kr̥iṣhṇa kō yād kiyā . Kr̥iṣhṇa kō tō yād karnē kā nahī̃ nā . Vō nāṭak mē̃ dikhlātē haĩ , ēk sāṛī nikāl kar dūsrī , dūsrī sāṛī nikālā , tum lōgō̃ nē draupadī kā nāṭak dēkhā hai ? Kr̥iṣhṇa charitra jiskō kahtē haĩ . Draupadī pukārtī hai - hē dāt ! Hē bhagvān ! Yē duryōdhan mērī sāṛī utār rahā hai , mujhē sabhā mē̃ naṅgan kar rahā hai . Abhī sabhā tō yah hai nā . Hindu sabhā hai nā sabhī . Yah hindu sabhā vālē tō sabhā mē̃ naṅgan kartē haĩ nā barōbar . Sabhā vālē ghar mē̃ naṅgan karē̃gē , yahā̃ thōṛē hī ā karkē naṅgan karē̃gē . Ēk tō draupadī nahī̃ hai nā . Yah tō sabhī draupadiyō̃ kē liē huā nā . Tō pukārtī haĩ - hē bhagvān ākē … phir sāṛī ēk-ēk karkē dētē rahtē haĩ uskā arth|earth tō kōī samajhtē nahī̃ haĩ . Abhī tum jāntē hō ki 21 janm tum naṅgan nahī̃ hōtī hō . Bāp āyā huā hai nā . Ā karkē abhī tumhārī rakṣhā kartē haĩ . Abhī striyā̃ naṅgan hōṅgī , tō puruṣh kaisē hōṅgē . Kahā̃ key|kī bāt nāṭakō̃ mē̃ tum lōgō̃ kō kahā . Yahā̃ abhī direct bāp samjhātē haĩ nā . Yah tō nahī̃ samajhāy sakē na . Bāp samjhātē haĩ - abhī tumnē yah rāj samjhā jō nāṭak mē̃ pukārtē hai-hē bhagvān , ā karkē hamkō naṅgan hōnē sē bachāō ? Abhī key|kī bāt hai nā . Abhī vahī tumkō samjhā rahē haĩ . Yahī samay hai . Bābā nē us din pūchhā nā . Yah tō kahē̃gē ki ham abhī duryōdhan sē ham sō dēvtā ban rahē haĩ . Abhī ham kiskō naṅgan nahī̃ kartē haĩ , isliē hamkō bābā duryōdhan nahī̃ kah saktē hō . Jō naṅgan kartē haĩ vō duryōdhan jarūr haĩ . Tum tō puruṣhārthī hō gaē nā . Jarūr agar tum fail hōtē hō , tō phir duryōdhan ban jātē hō aur phir nark mē̃ chalē jātē hō . Tum lōgō̃ kō vō pad tō nahī̃ mil saktā hai . Vō tō jarūr hai , isliē khabardārī karnī hai . Fail bhī tō jarūr hōṅgē nā . Kōī kām mē̃ fail hōtē haĩ , kōī krōdh mē̃ fail hōtē haĩ , yah tō hōtā rahēgā . Kōī vō boxing tō nahī̃ hai us naṭakī mē̃ jō dikhlātē haĩ . Yē tō jahā̃ jīy tahā̃ boxing K|kē riṅg mē̃ hō tum abhī . Boxing K|kē chakkar mē̃ tum lōg kō jahā̃ jiyō tumhārī boxing chal rahī hai . Vō boxing hai alpkāl kṣhaṇbhaṅgur kē liē . Hōśhiyār hō karkē laṛ-laṛ hār khāy halkē sē ūcē-ūñcē ban karkē vō baṛē pahalvān ban jātē haĩ . Nahī̃ , par yē tō jahā̃ jīy vahā̃ tumkō māyā sē chōṭ khānī hai . Tum boxing mē̃ hō , jab sē bābā kā bantē hō . Jō bābā kā nahī̃ bantē haĩ , vō kōī boxing mē̃ nahī̃ haĩ . Unkī bābā bilkul rakṣhā nahī̃ kartē haĩ . Jō bôksig mē̃ hōgā , unkī kuchh na kuchh rakṣhā hōtī rahēgī ; parantu kām kā yā krōdh kā kuchh na kuchh thappaṛ khātē rahē̃gē . Kōī-kōī bāt par ṭhū̃sā lagtā hai . In lōgō̃ nē boxing śhāyad dēkhī nahī̃ hai . Bachchō̃ nē tō kaīyō̃ nē dēkhī hōgī . Kōī kō tō yahā̃ aisā jōr sē ṭhak lagtā hai tō aisē gir jātē haĩ ēkdam . Tō yahā̃ bhī aisē hī haĩ . Aisē bachchē bahut haĩ , jinkō kōī vakt mē̃ māyā yahā̃ ṭhausā mār dētī hai , tō yah girā . Yah hai kām key|kī chōṭ . Usmē̃ agar girē , tō pañch māl sē girē . Phir vō kiskō kah nahī̃ saktē hai pañch vikār kō jītō . Ēkdam murdē ban jātē haĩ , mukh sē gyān nikal nahī̃ sakēgā . Ismē̃ tō mēhnat hai nā . Māsī kā ghar thōṛē hī hai . Aisē hī phir krōdh hai . Bachchē bahut kahtē haĩ-baccē gussā kartē haĩ , bachchī taṅg kartī hai . Tō misāl tumhārā hai kr̥iṣhṇa kā , kr̥iṣhṇa nē makkhan chōrī thōṛē hī kiyā hōgā . Yah tō unkē ūpar kalaṅk hai . Kr̥iṣhṇa makkhan curāy liyā , phalānā karē̃gē ! Vahā̃ unkō makkhan key|kī kyā parvāh rakhī hai , jō chōrī karē̃gē ? Yah sab bichārē kr̥iṣhṇa kē ūpar kalaṅk haĩ . Yah vastra chōrī , phalānā chōrī . Kr̥iṣhṇa maryādā puruṣhōttam bālak , ēkdam svarg kā rājkumār . Unkī mahimā jāstī kyō̃ hai ? Kyōṅki bachchē satōpradhān hōtē haĩ . Pīchhē satō pīchhē rajō phir tamō . Tō viṣhṇu kā rūp yah bālak hai . Bālak jab satōpradhān hai tō unkī mahimā jarūr hai . Pīchhē jab śhādī kartē haĩ tō jaisē ki rajō mē̃ ā jātē haĩ . Isliē unkī pūjā phir nahī̃ kartē , kr̥iṣhṇa key|kī kartē haĩ . Kyō̃ ? Lakṣhmī nārāyaṇ nē gunāh kiyā ? Unkō jhulātē haĩ nā . Vō bachchā hōtā hai , bachchā hamēśhā jāstī pavitra hōtā hai . Yah śharīr key|kī āyu bhī aisī hōtī hai , pahlē jab chhōṭā bachchā hai tō satōpradhān . Pīchhē ūpar gayā satō pīchhē ūpar gayā rajō pichhāṛī mē̃ jaṛjaṛībhūt avasthā . Phir śharīr chhōṛnā paṛē . Bābā samjhātē haĩ yē chitra vilāyat mē̃ kuchh samjhānī dē karkē apnē mitr-sambandhiyō̃ kō bhējō . Yē America tak bhējō jin-jin K|kē jō-jō bhī mitr-sambandhī hai . Post mē̃ ḍālnē kē liē tō kōī kharchā nahī̃ hai . Yah tō sab chalē jātē haĩ . Kyā lagēgā ? Das paisā , ānā . Jō nahī̃ samarth hai , service karē paisā yahā̃ government sē lē lēvē . Yah pāṇḍav government hai , yah gāī jātī hai . Haĩ dōnō̃ bigar tāj . Vō government tō hai hī kaurav government . Yah tō pāṇḍav government hai jō gupta hai . Pāṇḍav government kō kahā jātā hai-gupta . Unknown rūhānī warriors iskō kahā jātā hai . Kōī kō thōṛē hī mālūm hai duniyā mē̃ kyā hō rahā hai . Tum jāntī hō bachchē ki ham apnē liē abhī svarg sthāpan kar rahē haĩ . Hamārī laṛāī hai , ham laṛāī K|kē maidān mē̃ haĩ . Ham kissē laṛtē haĩ ? Ham yah rāvaṇ sē laṛtē haĩ , pañch vikārō̃ par jīt pahan rahē haĩ . Jīt pahan rahē haĩ yānī mērē pās|pass yē bhūt kabhī bhī nahī̃ ā saktē haĩ . Bhūt kō bhagānā hai nā ! Tum lōgō̃ kō mālūm hai ki śhurū mē̃ kismē̃ bhūt ātā thā tō ham bōltē thē arē ! Dēkhō , ismē̃ krōdh āyā bhūt āyā , baṛī dūr lē jāō kōī jhāṛ K|kē taraph mē̃ , śōk-vāṭikā mē̃ . Sāmnē nahī̃ rahō , bhūt sāmnē āēgā tō dūsrē mē̃ bhī pravēśh kar lēgā . Bhagāō inhē̃ , dūr-dūr rakhō unkō . Bhūt āyā hai inmē̃ . Kahā bhī jātā hai-inamē krōdh kā bhūt hai . Duśhman tō yē haĩ nā . Bhārat K|kē baṛē tē baṛē duśhman haĩ yē , tumkō jīt pahannī hai . Chāhē rām kō varō chāhē nārāyaṇ kō varō yānī usmē̃ bhī tō likhā hai nā dhanuṣh tōṛnā hai yā bandar sē mandir lāyak bannā hai , tab tum nārāyaṇ kō varē̃gē . Vahā̃ bhī yahī bāt hai . Tumkō agar sītā kō bhī varnā hai , tō pavitra tō bannā paṛē nā . Yah jō rāvaṇ kā dhanuṣh hai unkō tōḍanā hai . Yē pāñch vikār kōī hamārē pās|pass na āvē . Phir jō jitnā puruṣhārth kartē haĩ , utnā vahā̃ jā karkē rām kō bhī varē̃gē yā sītā kō varēgē yā lakṣhmī nārāyaṇ kō , bāt tō ēk hī hai . Laṛāī kā maidān hai yuddha tō yahī bāp sikhlā dētē haĩ . Iskō kahā hī jātā hai - rūhānī yuddhasthal . Yuddhiṣhṭhir kahā jātā hai nā , tō yah yuddhasthal hai . Yuddhiṣhṭhir nām nahī̃ hai , yuddhiṣhṭhir tō likh diyā hai . Yudhiṣhṭhir , dhr̥itarāṣhṭra yē nām likhā huā hai nā . Yē hai yuddhasthal yānī yuddha K|kē maidān mē̃ thāpūjī sthāpan kar karkē māyā pay jīt pahnānē vālā . Dhr̥itarāṣhṭra kī hai hiṅsā key|kī laṛāī , yuddhiṣhṭhir kī hai māyā par jīt pahannē kē liē , rāvaṇ par jīt pahannē kē liē rūhānī laṛāī . Vō hai paraspar key|kī laṛāī . Yē sab akṣhar tō haĩ nā . Hai gītā vō bāp bhī ākar kahtē haĩ-baccē , yah gyān prāyaḥlōp hō jāēgā . Yah prāyaḥlōp kyō̃ kahtē haĩ ? Yānī bākī āṭē mē̃ lūn rahā hai . Bākī , nahī̃ tō dēvī-dēvtā dharm prāyaḥlōp hai . ' prāyaḥ akṣhar likh dētē haĩ , aisē kyō̃ nahī kahatē-lōp hai ? Lōp nahī hai , chitra hai dēvtāō̃ kā , uskī niśhānī gītā bhī manuṣhyō̃ nē banāī hai , parantu unmē̃ vō bhūl kar dī hai . Sabhī śhāstra , vēd sab jhūṭh banā diē haĩ . Tō samjhātē haĩ nā , barōbar brahmā K|kē mukh kamal sē parampitā paramātmā ā kar sabhī vēdō̃ , granthō̃ aur śhāstrō̃ kā sār samjhātē haĩ . Usmē̃ sabsē pahlē tō ā jātī hai ' sarv śhāstramaī śhirōmaṇi gītā . Vō pahlē huā nā , uskā sār baiṭh karkē samjhātē haĩ . Mukhya hai hī gītā , bhārat kā dharmaśhāstra . Bākī rāmāyaṇ ādi yē sab jhūṭhē haĩ . Phir vēd-upaniṣhad vagairah jō bhī banāē haĩ unmē̃ haĩ yah saṅsār key|kī bātē̃ . Kōī svarg mē̃ lē jānē vālī yā mukt - jīvanmukt banānē vālī nahī̃ haĩ . Vō bhakti K|kē kām mē̃ ātī haĩ . Vēd paṛhō , arth|earth karō aur dhadhā karō , dukān nikālō . . Jō-jō jitnā baṛā dhandhā sikhlātē haĩ , vō paisā kamātē haĩ . Kamātē-kamātē kyā huā bhalā ? Vō bhī tō tamōpradhān ban gaē nā . Khud bhī banē aur sabkō banāyā . Narkvāsī sabkō banāyā , khud bhī banē aur sabkō banāyā sabnē ; kyōki duniyā sō tamōpradhān bannī hai nā . Tō bāp baiṭh karkē samjhātē rahtē haĩ - judgement ātī hai tumkō barōbar sabhī narkvāsī hai ? Yah bhī tō chitra mē̃ likhā huā hai nā - yah nark hai sārā , yah svarg hai . Jarūr nark kē bād svarg sthāpan karēgā . Iskō nark tō jarūr kahē̃gē nā . Kahtē haĩ tumhārā bāp kahā̃ gayā ? Kahē̃gē svargvāsī huā . Jarūr nark mē̃ thē nā . Pīchhē tum kyō̃ kahtē hō ki yah nark nahī̃ hai , svarg hai ? Kisī sē bhī pūchhō . Jāō , rādhākr̥ṣṇan sē pūchhō , prēsiḍēṇṭ sē pūchhō ki nark hai yā svarg hai ? Agar svarg hai tō jab kōī martā hai tō tum kyō̃ kahtē hō ki svargvāsī huā ? Punarjanma tō yahā̃ nark mē̃ lē̃gē , phir tum kyō̃ kahtē hō-svargavāsī huā ? Tum lōgō̃ kō akla chāhiē nā pūchanē-karanē kā . Jō service par hōṅgē , vō pūchhē̃gē . Bākī yahā̃ bachchē tō bahut ātē haĩ . Makanē hāthī bhī ātē haĩ . Makanē hāthī kinkō kahā jātā hai ? Kān baṛē , sunē kuchh bhī nahī̃ aur aisē kān mē̃ chīṇṭī chalī jāē tō hāthī bēhōśh hō jāē . Yah mālūm hai tum lōgō̃ kō ? Yahā̃ tō makanē hāthī bhī bahut ātē haĩ , jinkō kuchh bhī samajh mē̃ nahī̃ ātā hai , bilkul hī pattharbuddhi . Haĩ tō yahā̃ pārasbuddhi bannē vālē nā ; parantu pārasbuddhi tab banē jab yah gyān sunkar phir aurō̃ kō bhī sunāyē̃ . Nahī̃ tō pattharbuddhi kā pattharbuddhi rah jātē haĩ . Hā̃ , yah jarūr hōtā hai ki is avināśhī gyān kā vināśh nahī̃ hōtā hai , vō svarg mē̃ ā jāēgā . Yah jarūr hai . Bachchō̃ kō prajā bhī tō chāhiē nā , nahī̃ tō kahā̃ sē āēgī . Aisē hī phir prajā mē̃ ā jātē haĩ . Bābā baiṭhē haĩ , inkī service tum bachchō̃ kō bahut karnī hai . Achchhī-achchhī jagah jahā̃ baṛē-baṛē ādmī bhī jātē haĩ nā , yah jō government house hai , yah jō baṛē-baṛē ministers haĩ , ējukēśan minister , health minister , phalānā minister , un sabkō bhēj dēnā hai ; kyōṅki yahā̃ is samay mē bhārat phir ēvarahēlthī ever wealthy ever happy ban rahā hai . Vō tō hai hī svarg ban rahā hai . Vō hī bichārē bāpū jī māṅgtē thē . Gītā bhī lī thī hāth mē̃ , kōī rāmāyaṇ nahī̃ liyā thā . Hāth mē̃ gītā aur mantra rāmāyaṇ kā . Hāth mē̃ gītā aur sunātē gītā thē , kyōṅki bābā kō mālūm hai , achchhī tarah sē jāntē haĩ . Aisē mat samjhō ki līḍarō̃ kō nahī̃ jāntē haĩ . Bābā ēk baras sṭrikṭa kā̃grēsī banā thā . Vō bhī nahī̃ khānā , yah bhī nahī̃ khānā , kapṛā bhī khādī . Yē plate nahī̃ kām mē̃ lānā pakkā gāndhī banā thā , bahut achchhē-achchhē līḍarō̃ kō jāntē thē ; parantu nahī , abhī bābā nē ā karkē ā̃khē khōl dī , gyān kā tīsrā nētra dē diyā , jissē sab samajh mē̃ āē , nahī̃ tō kyā mālūm kaurav kiskō kahā jātā hai , pāṇḍav kiskō kahā jātā hai . Yah tō paṛhtē rahtē haĩ śāstrō mē̃ . Abhī tō tum bachchō̃ kō gyān kā tīsrā nētra mil gayā hai , sō bhī number-vār puruṣhārth anusār . Bābā kahtē haĩ , school mē̃ aisē bhī baiṭhē huē haĩ bilkul hī buddhū . Phir bhī tō suntē haĩ nā . Kuchh na kuchh madadgār bhī tō haĩ nā , tō bābā unkō madad jarūr dētē haĩ , kyōṅki bachchē paisē key|kī madad dētē haĩ tō aspatālē̃ khōlī jātī haĩ . Abhī government kō madad dētē haĩ nā , paisā nahī̃ hai tō public government kō madad dētī hai . Unkō bhī kuchh miltā hai nā . Vō tō abhī bhī nahī̃ milēgā un lōgō̃ kō ; kyōki vō chhī-chhī duniyā mē̃ nahī̃ ānē vālē haĩ . Abhī jō ējukēśan khōltē hōṅgē , aspatālē khōltē hōṅgē , bahut paisē kā hai nā , unkō phal kahā̃ milēgā ? Vahā̃ satyug mē̃ tō kōī rōgī nahī̃ bantē haĩ , kōī phalānā bantē hī nahī haĩ . Tō abhī jō-jō bhī yah kartē rahtē haĩ unsē kōī phal nahī̃ milēgā ; kyōṅki yah nark mē̃ phal milnē kā hai . Nark hī khatm hō jāēgā tō phal kahā̃ sē milēgā ! Abhī tō jō bāpū jī kō kahtē haĩ kyā ? Arē bachchē - jāō ghar mē̃ , apnā centre khōlō tīn pair pr̥ithvī lē karkē baiṭh karkē samjhāō . Yah bahut jarūrī hai . Har ēk K|kē ghar mē̃ , bābā banāyēgā inkō achchhā karkē . Bahut first class banēgā , bāpū jī kō bhī yahī̃ lē āyēṅgē . Hai tō yahā̃ hī chitra vahī̃ lē āē̃gē unkā , aisē tō nahī̃ kōī kahē̃gē ki vō chalā gayā vānaprasth mē̃ yā vaikuṇṭha mē̃ . Vaikuṇṭha tō māṅgtā thā , naī duniyā mē̃ ānā chāhtā thā ; parantu abhī tō nahī̃ āēgā . Vō naī duniyā sthāpan kahā̃ huī ? Jarūr yahī̃ hōgā . Yah tō samajhnē key|kī bāt hai nā . Ham lōg pūchhtē haĩ kabhī-kabhī , tō bōltā hai-hā̃ yahā̃ hai , rājakōṭ K|kē taraph mē̃ inkā janm huā hai . Abhī jākar dēkhē̃gē tō bachchā dēkhē̃gē , vō gāndhī thōṛē hī dēkhē̃gē . Bachchē pūchhtē haĩ kabhī kabhī - bābā kahā hai yah ? Kahā̃ gayā-tō batā dētē haĩ , yah phalānī jagah mē̃ gayā . Unhōnnē mēhnat tō key|kī nā , gāndhī achchhē ghar mē gayā . Sāhukār ghar mē̃ gayā , aur kahā jāēṅgē . Yah samjhā nā-bābā kyā bōlatē̃ haĩ , service karō . Ēk paisā barbād nahī̃ hōnā chāhiē . Vilāyat mē̃ bhējō hā̃gakā̃g mē̃ bhējō jō-jō bhēj sakē̃ apnē mitr-sambandhiyō̃ kō . Vahā̃ sab ēsōsiyēśan kō bāndhtē haĩ , jahā̃ – jahā̃ bhī hō sindhī . Vilāyat mē kiskō bhēj dēnā hai tō bhēj diē . English mē̃ āēgī abhī . Āj ā jāēgī , party late|lēṭ hō gaī hai . Daśhaharā bhī dō hō gaē hai nā . Government mē̃ āgē thā abhī yē bhārat mē̃ . Kabhī bhī aisā huā hī nahī̃ hai . Yah kaurav government prajā kā andhērī nagarī , caupaṭ rājā , ṭakē sēr bhājī , ṭakē sēr khājā-yah bāt hō jātī hai . Kahtē haĩ ki jab mahābhārat key|kī laṛāī lagī thī , tabhī yah bāt huī thī . Abhī bahut kahtē rahtē haĩ . Āgē bhī jab vināśh hōtā thā , tab bhī aisē kahtē thē . Laṛāī tō hōnē vālī hai , tab śhāyad yah dō banī haĩ . Dō dīpmālā kabhī hōtī nahī hai . Vyāpāriyō̃ kā khātā rakhnē kā hōtā hai , tō ēk mē̃ sab rakhē̃gē , nahī̃ tō un bichārō̃ kā khātā hī , hisāb-kitāb mē̃ hī gaṛbaṛ hō jāēgī . Nayā khātā rakhtē haĩ nā . Vō dīpmālā kā khātā rakhtē haĩ , tum apnē pāpō̃ kā sārā khātā uṛāy karkē aur hisāb chuktu kartē hō . Tum hō vikarmō̃ kā hisāb chuktu karnē vālī aur tum phir vikarmājīt rājāē̃ bantē hō . Abhī tumhārā pichhāṛī kā khātā khalās hōtā hai . Tumkō abhī bahut jamā karnā hai . Jamā kaisē hōgē ? Jab sunēṅgē-sunāyēṅgē , āp samān banāyēṅgē , bhārat kō svarg banānē mē̃ madad karē̃gē . Jaisē kā̃grēs rājya sthāpan karnē mē̃ us bāpū kō madad diyā , aisē yah bāpū kahtē haĩ ki maĩ hū̃ tumkō svarg banānē vālā , abhī tum , mujhē madad karō . Jaisē vō hospitals khōltē haĩ vaisē tum yē hospitals aur yē university ghar mē̃ , tīn pair pr̥ithvī mē̃ khōlō . Tīn pair pr̥ithvī mē̃ tum manuṣhya kō 21 janm kā sukh dē saktē hō . Ever healthy ever wealthy ever happy banā saktē hō . Abhī yah kām nahī̃ karē̃gī ? Har ēk kō yah karnā chāhiē nā . Jō na karēgā sō na pāēgā . Achchhā , abhī āj bhōg bhī hai , isliē phir tumkō batāēṅgē , parantu tumkō bahut mēhnat karnī hai . Jāō apnē mitr-sambandhiyō̃ kō yah kāgaj likh karkē , jākar samjhāō ki piyar aur sasur ghar kā uddhār karnā hai nā . Jāō , lajjā nahī̃ karō . Jō sasurghar kō chhōṛā bhī hai , jāō sasur ghar mē̃ , unkō jā karkē samjhāō . Ḍarō mat , tum lōgō̃ kō kōī mārēgā nahī̃ . Achchhā , āō bhōg lē āō bachchī . Service kartē haĩ - yē baṛē - baṛē jō bhī bhalā hai sabkē pās|pass chalē jāō , un lōgō̃ kō tō time hai bahut . Vō bhēj bhī saktē haĩ . Tum bachchō̃ kō tō time nahī̃ hai , thōṛā time hai . Isliē poster bhī lagāō aisā . Ājkal āsurī duniyā hai nā . Poster dēkhē̃gē āryasamājī , yē sādhu-sanyāsī lōg , yē samjhā karkē unkō iśhārā dēgē yē phāṛ karkē , tōṛ karkē khalās kar dēgē ; kyōṅki aisē kartē hai . Tum lōgō̃ kō yukti sē kām karnā hai . Baṛē-baṛē jō ēsōsiyēśansa yā baṛē-baṛē jō sabhāē̃ haĩ , un sabmē̃ jākar samjhākar K|kē āō . Hindu mahāsabhā mē tō pahlē jāō . Unkē līḍarō̃ kō jarūr jākar samjhāō , bābā manā thōṛē hī kartē haĩ . Bākī mēhnat karō , ismē̃ mēhnat hai . Jō karēgā sō pāēgā . Gāndhī lōg , congress lōg bhī aisē kahtē haĩ nā - ārām harām . Yah tō tum svarg banātē hō , mēhnat chāhiē . Number-vār puruṣhārth anusār vō bābā jāntē haĩ jō-jō mujhē yād kartē haĩ , maĩ unkō utnā hī yād kartā hū̃ . Vō tō law hai aisā . Jō nahī yād karēgā , maĩ unkō pūchūṅgā nahī . Na hī maĩ unkō madad dū̃gā , na maĩ unkō itnā varsā dū̃gā . Automatically nahī̃ milēgā , kyōṅki yahā̃ samajh key|kī bāt hai . Yē tō sab bēsamajh haĩ nā . Bābā ākar samajhāyā-tum sab bēsamajh ban gaē hō . Bilkul hī jaṭ ban gaē hō , jaṅglī ban gaē hō . Dēkhō , mainnē tum bachchō̃ kō kyā banāyā thā . Tumkō batāy diyā thā ki tum 21 janm svarg mē̃ mālik banē̃gē . Vō gyān tumkō vahā̃ nahī̃ hōgā . Tum 63 janm phir rāvaṇ-rājya mē̃ āē̃gē . Ab maĩ phir āyā hū̃ tumkō rāmrājya dēnē kē liē . Maĩ inyūmērēbal times yānī anginat bār āyā hū̃ aur tumkō yah rājya aur bhāgya dētā hū̃ aur phir lakṣhmī nārāyaṇ bhī jarūr hai . Bhaktimārg mē̃ bhūl hī jānā hai . Bābā kahtē haĩ bhūlbhulaiyā kā tō khēl hai hī . Dēkhā hai tumnē bārādarī lakhnaū mē̃ ? Yahā̃ bhī bhūlbhulaiyā banātē haĩ , jō jāō aur phir darvājā band . Māthā phaṭ gayā , phir yahā̃ sē dūsrē mē̃ jāō tō phir māthā phaṭēgā . Bahut thōṛē nē dēkhā hōgā . Bīch mē̃ ēk jhaṇḍā lēkar khaṛē rahtē haĩ . Tum lōgō̃ nē kabhī dēkhā hai ēgjibiśan mē̃ ? Yah banātē haĩ kabhī-kabhī . Kahā̃ bhī jāē̃ lēkin vō pār jā nahī̃ saktē haĩ . Aisē bhaktimārg mē̃ bhī māthā phaṭtā jātā hai , pār kōī jā nahī̃ saktē haĩ , jab talak vō ā karkē svarg kā aur muktidhām kā gate|get na khōlē . Mahābhārat kē bād phir mukti-jīvanmukti K|kē gēṭ C khultē haĩ . Tum vahā̃ kaisē chalē jāē̃gē ! Dauṛī pahan karkē chalē jāē̃gē . Dēkhō , bachchiyā̃ abhī bhī āj ātī-jātī rahtī haĩ nā , kyōṅki inkē liē gēṭ C khulē huē haĩ . Yē jāē̃gī sūkṣhmavatan mē̃ , gate|get khulē hōṅgē . Kōī nālāyak hōgā , jāēgā tō darvājā band hōgā . Bābā kahē̃gē lāyak nahī̃ hai . Pīchhē chalā āēgā . Yah kāydā bhī hai nā . Phir vahā̃ jāē̃gē , phir add karē̃gē bhalā vaikuṇṭha mē̃ jāē̃ . Phir vaikuṇṭha mē bhī chalē jāē̃ , tō gate|get khulē haĩ tab tō jātē haĩ nā . Yē sab sākṣhātkār key|kī bātē̃ haĩ . Achchhā , chalō sēvārth . Jāō , gō sūn , cum|kam sūn . Arē bhāī kahā̃ hai yē , ṭhaharō . Kyōṅki satsaṅg mē̃ rāmāyaṇ aur phalānā bāt , yahā̃ rāmāyaṇ ādi key|kī bāt nahī̃ hai . Arē bhaī , uṭhāō in bachchī kō . Sambhālō bhaī yē tape dētē haĩ . Kitnā yahā̃ , makān dēkhō kitnā chhōṭā milā hai ! Vō sabhā lagāō amr̥it kā kalaś milā aur sabkō pilātī thī . Phir yahā̃ ā karkē kōī āsurī sampradāy bhī baiṭh jātī hai . Vō pī kar karkē , ulṭā samajh karkē phir jākar haṅgāmā machātē haĩ . Aisē kahtē hai inkē liē tō traitor ban jātē haĩ . Tō aisē bhī yahā̃ bahut ātē hōṅgē , jō samajhtē nahī̃ haĩ , phir bōlē̃gē yahā̃ tō bas yah sanyāsī aur guru lōg kē ūpar tō lāṭhiyō̃ hai . Arē , nahī̃ , yah tō bhagvānuvāch - in guruō̃ kō gōlī mārō . Bhagvānuvāch hai nā ki yah guruō̃ kō dēh sahit aur sabkō bhī bōlō aur jō tumhārē khās guru lōg athavā sādhu lōg haĩ unkā bhī uddhār karnā hai . Jab sadaguru milē tab kalayugī guru kō kyā karē̃gē ? Bābā hamē̃ manā nahī̃ kartē haĩ . Ismē̃ likhā huā hai śhabda - guruō̃ key|kī jañjīr , śhāstrō̃ key|kī jañjīr , rāvaṇ key|kī jañjīr . Tum lōgō̃ nē na samjhā hō śhāyad , usmē̃ sab likhā huā hai . Yah jō kāṭhiyā K|kē muāphik dikhlātē haĩ , yah sabhī jañjīrē̃ haĩ . Strī aur puruṣh rāvaṇ key|kī jañjīr mē̃ bā̃dhē huē haĩ . Rāvaṇ key|kī jañjīr , guruō̃ key|kī jañjīr , śhāstrō̃ key|kī jañjīr , sab jañjīr , gaṅgā nadī key|kī jañjīr , yah sab jañjīrē̃ haĩ ēkdam . Bas , unmē̃ kaid kar diyā aur rāvaṇ chhōṛnē nahī̃ dētē haĩ . Bāp āē haĩ chhuṛānē kē liē . Rāvaṇ key|kī un jañjīrō̃ sē baṛā kōī muśhkil chhūṭtē haĩ . Achchhā , jāō bachchī . ( gīt : mērā salām lē jā ) hōtā hai tō vō baṛā right hōtā hai . Salām vālē cum|kam abhī practical mē̃ . Bōltē hai nā-hamārā salām vālē cum|kam dēnā . Bābā phir kahtē haĩ-maĩ tō tumkō sr̥iṣhṭi kā mālik banānē āyā huā hū̃ . Maĩ hū̃ jarūr sārī sr̥iṣhṭi kā mālik ; par tumkō tō svarg kā mālik banānē āyā huā hū̃ . Tō tumkō bhī namastē . Hā̃ , śābāś . Bhārat key|kī bhūmi , vahī svarg bannē vālī hai nā . Yah bhārat key|kī bhūmi hī svarg thī . Bhārat key|kī bhūmi baṛī pavitra hai . Yah sabkā baṛē tē baṛā tīrtha hai ; parantu gītā kō khaṇḍan karnē sē bhārat key|kī ābrū hī chaṭ hō gaī hai aur barōbar practical mē̃ bhārat key|kī ābrū chaṭ huī paṛī hai , sirph ēk mistake , ēkajabhūl . Ēk khēl hōtā hai ēkajabhūl kā . Bāp key|kī jayantī manātē bhī yahī̃ haĩ . Bas , uskā nām nikāl karkē manuṣhya kā rakh diyā , jō 84 janma lētā hai . Vō janm-maraṇ rahit , janm tō lētā hai ; parantu alaukik divya janm . Bābā kahtē haĩ nā-baccē mujhē prakr̥iti kā tō ādhār lēnā paṛē nā . Jō garbh mē̃ ēk daphā āyā unkō punarjanma tō lēnā paṛē . Maĩ garbh mē̃ tō nahī̃ ā saktā hū̃ nā . Isliē kahtē haĩ mujhē prakr̥iti kā ādhār lēnā paṛē . Mainnē batāyā huā hai ki maĩ sādhāraṇ būṛhē tan mē̃ pravēśh kartā hū̃ . Vō būṛhā tan apnē janm kō nahī̃ jāntē haĩ . Vō kaun hai , jiskā nām maĩ phir brahmā rakhtā haĩ . Yānī brahmā aur brahmā kumāriyā̃ kōī bhī apnē janm kō nahī̃ jāntē hai , maĩ janm batātā hū̃ . Tō vō baiṭh karkē samjhātē haĩ ki yah brahmā tumhārā din thā . Ab tumhārī rāt pūrī hōtī hai . Tum din mē̃ dēvtā thē aur pīchhē dēvī-dēvtā sūryavanśhī thē , kṣhatriya thē , itnā janm usmē̃ liyā . Vō baiṭh karkē batāyā hai , jō phir likhā bhī hai . Batāēgā tō jarūr , śhrī kr̥iṣhṇa kā bhī tō vō hī huā , nārāyaṇ kā bhī tō vō hī huā , jagadambā kā bhī tō vō hī huā , thōṛā phark saṅgam kā paṛ jātā hai . Uskō milā karkē , inmē̃ mūnjhō nahī̃ kabhī . Kōī bōltā hai ēk hī hai yah , 84 K|kē badlī|badalī mē̃ 21 kiskō dēvē̃ 20 kiskō dēvē̃ ? Ismē̃ mūnjhnē key|kī darkār nahī̃ hai . 84 janm kā hisāb mil jātā hai . 84 lākh kā jō ghōṭālā thā , vō tō nikāl diyā nā . Bāki agar kiskō ēk janm kā ghōṭālā hōtā hai tō kahō kyō̃ mūñjhtē hō tō bāp sab bāt samjhātē haĩ nā . Kabhī bhī kōī phāltū praśhna pūchhē tō unkō bōlō-pahalē śhivbābā kō batāō tum śhivbābā K|kē bachchē hō yā nahī̃ ? Vō paramātmā hai yā nahī̃ hai ? Agar vō hai tō bēhad kā sukh unkā varsā hai . Bas , tum manmanābhav madyājībhav dūsrī bāt chhōṛō . Detail mē̃ samjhāyā tō bhalē , par yah bāt bhūlō nahī̃ ki vō hamārā bābā hai , unkī rachnā svarg hai , maĩ bābā kē pās jāū̃gā , svarg kā varsā dēgē , phir bābā yahā̃ hai , śhrīmat dē rahē haĩ , us mat par mujhē jarūr . Mat par chaltē rahō , phir bhī yād śhivbābā kō kartē rahō . Śhivbābā kō yād karō , varsē kō yād karō . Mat par chal karkē vikārō̃ par jīt pahanō . Yād kartē rahō . Yah hai mantra jiskō kahā jātā hai . Phir hai sab samajhnē key|kī bātē̃ . Sirph mantra sē tō kām nahī̃ hōgā . Guruō̃ sē mantra tō sabkō bahut kisma kā mil jātā hai . Nahī̃ , yahā̃ tumkō yād karnā hai . Bābā kahtē haĩ-jitanī yād hō sakē , itnī achchhī ; kyōṅki vō jō putlā bhī ham dēgē , aṅgūṭhī bhī dēgē , tō bhī uskō yād karnē kē liē . Isliē in sabhī yādgār key|kī chījō̃ key|kī bhī bilkul hī kōī darkār nahī̃ hai , kyōṅki yah tō hai buddhi kā hī gyān . Tumhārī hai buddhi key|kī yātrā , rūhānī yātrā , na ki jismānī . Rūhānī yātrā kā paṇḍā sivāy rūhānī bāp K|kē kabhī kōī hō nahī̃ saktē haĩ . Isliē kōī bhī mukti va jīvanmukti dē nahī̃ saktē haĩ . Abhī bachchō̃ kō ēksaplēnēśan miltī hai nā . Jabki hamkō bhagvān kē pās jānā hai tō bhagvān paṇḍā chāhiē nā . Tō bhagvān paṇḍā bankar ātē haĩ . Jiskō guide kahā jātā hai . Aur kōī bhī mukti aur jīvanmukti kā rāstā jāntē hī nahī̃ haĩ . Sivāy ēk bāp K|kē kōī bhī guide ban nahī̃ saktē haĩ . Bōltā hai-maĩ tum bachchō̃ kā guide ban karkē ātā hū̃ . Kōī ēk bāt nahī̃ hai , maĩ kalp-kalp tum bhāratvāsī jō dēvī-dēvtā dharm vālē haĩ , unkā ā karkē guide bantā hū̃ , rāstā batānē kē liē . Na guide balki sāth mē̃ jātā hū̃ jaisē vō anēk jismānī paṇḍē sāth mē̃ jātē haĩ , vaisē ham akēlā hū̃ aur phir sāth mē̃ yah bantē haĩ , parantu ham sab sāth mē̃ chalē jātē haĩ . Kahā̃ ? Brahmāṇḍ , braham mahātatva mē̃ , jismē̃ aṇḍē rahtē haĩ , yah yād kar lō achchhī tarah sē . Sunātē haĩ ki ēk thā . Usnē jinn kō naukar lagāyā . Jinn nē kahā ki agar tum mujhē kām nahī̃ dēgā , maĩ tumkō khā jāū̃gā . Hai , sunā hai kōī yē akhānī ? Tō vō jinn kām karkē āyā , phir bōlā kām dō , phir kām karkē āyā bōlā kām dō . Bōlā-āgē jaldī kām nahī̃ dēgā , tō maĩ tujhē khā jāū̃gā . Bichārā gayā kōī ustād kē pās , bōlā-yah tō hamkō khā jāēgā , abhī ham kyā kām dē̃ ? Nahī̃ tō khā jāēgā . Bōlā-acchā-acchā , ham tumkō batāē̃ kyā karō ? Sīṛhī lagāy dō aur uskō bōlō is par chaṛhō aur utarō . Dēkhā kām dē diyā unkō , chhūṭ gayā nā . Bābā kahtē haĩ tum bachchō̃ kō - tumkō bahut achchhā kām dētā hū̃ tum bābā kō yād karō . Bābā yahā̃ bhī ātē haĩ , vahā̃ bhī ātē haĩ . Tumhārī buddhi kabhī yahā̃ jānī chāhiē kyōṅki bābā yahā̃ sunā rahē haĩ , phir tumhārī buddhi vahā̃ bhī jānī chāhiē ; kyōṅki vahā̃ sē bābā ismē̃ āyā hai sunānē - yah kām tumhārē ūpar rakhnā chāhiē rāt aur din , nahī̃ tō tumkō kāl khā jāēgā . Abhī samjhā yah kahānī kā arth|earth ? Jisnē banāī hai , vō lōg tō arth|earth nahī̃ jāntē haĩ , bāp baiṭh karkē arth|earth samjhātē haĩ ki agar tum bābā kō yād na kartē rahē̃gē tō tumkō kāl khā jāēgā . Yah tō jāntē hō abhī tumkō murlī sunā rahē haĩ . Rahnē vālā vahī̃ hai , vahī̃ sē yahā̃ āyā hai . Phir vahī̃ jāē̃gē , hamkō bhī vahī̃ jānā hai , abhī hamkō sunā rahē haĩ , tō yah kām huā nā ? Bābā bōltē haĩ-aisē bābā kō yād kartē rahō . Phir tumkō vichār āēṅgē bābā tō āj dillī mē̃ haĩ , bābā bômbē mē̃ haĩ , parantu bābā tō vahī̃ rahnē vālā hai . Tō tumhārā buddhiyōg ūpar bhī jāēgā , nīchē mē̃ bhī āēgā . Yah tumkō kām hai ki ūpar mē̃ bhī unkō yād karō , phir yahā̃ bhī unkō yād karō , yahā̃ āyā huā hai . Phir vahā̃ gaē haĩ , abhī yahā̃ haĩ . Abhī madhuban mē̃ haĩ , abhī vō vahā̃ hī haĩ . Yah bhī tō yād huī nā . Yād mērī ēk key|kī vahā̃ key|kī rahnī paṛtī hai . Uskō yād kartē rahē̃gē , tō phir tumkō kāl nahī̃ khāēgā . Nahī̃ tō kāl khā jāēgā . Bābā kō bhī kām tō bahut hai nā . Aisē tō nahī̃ unkā kām nahī̃ hai . Nahī̃ , kām tō bahut hai . Tum sabsē jyādā inkō kām hai . Ciṭ ṭhiyā̃ likhnā , yah karnā , yah likhnā ; parantu nahī̃ , phir bhī likhnē kō baiṭh jātā hū̃ , jinkō likhtā hū̃ unkō yād kartā hū̃ , parantu phir bhī jhaṭ bābā kō yād jarūr kartā hū̃ . Chuṭ T milī hai ki bachchē karmayōgī hō , isliē itnā ghaṇṭā māph hai . Phir bhī jitnā puruṣhārth hō , itnā unkō yād karō . Phāydā hai , kamāī hai . Uṭhtē , baiṭhtē , chaltē , khātē , pītē , svadarśhan chakradhārī banō , mānā kamāī kartē rahō . Pīchhē jitnā jō puruṣhārth karē̃ . Health and wealth , dōnō tāj huē . Pyūriṭī kā tāj , wealth kā tāj . Phir tō happiness hai hī hai . Yahā̃ kōī nē bhī jinhōnnē gāndhī kō bahutō̃ nē tan-man-dhan diyā tō unkō tan – man-dhan kā sukh thōṛī hai . Nahī̃ ! Yahā̃ bābā kahtē haĩ - maĩ tumkō tan-man-dhan kā guarantee kartā hū̃ tumkō 21 janm sukh milēgā . 21 janm tum pavitra rahē̃gē , kōī tumkō naṅgan nahī̃ karēgā . Vahā̃ nāṭak mē̃ tō dikhlā dētē haĩ kr̥iṣhṇa baiṭh karkē sāṛiyā̃ dētē rahtē haĩ . Dēkhā hai kabhī nāṭak ? Nahī̃ tō jahā̃ yah nāṭak hōtē haĩ , jākar dēkhō , . Bāpdādā , mīṭhī mama kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ kō yādpyār good morning .