सोमवार 30 सितंबर 1963 की साकार मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

30-09-1963 mumbaīprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , good mōrniṅg ham bambaī sē bōl rahē haĩ , āj somvār hai son|san 1963 sēpṭēmbar key|kī tīs tārikh hai . Prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .

Record  :

Bacakē najarō̃ sē mērī kahā̃ jāōgē  ? …

Bāp rispôṇḍa kartē haĩ ki tum bachchō̃ kō phir sē milnē kē liē paramdhām sē ānā paṛē . Inkā kōī arth|earth bhī tō hōgā nā . Bachchē inkā arth|earth jāntē haĩ ki barōbar bābā phir sē āyā hai is drama K|kē plan anusār . Kaī kaī śhāstrō̃ mē̃ likhā huā hai ki parampitā paramātmā kō saṅkalp uṭhā - maĩ jākar sr̥iṣhṭi rachū̃ . Aisē kōī mē̃ likhā huā hai . Abhī sr̥iṣhṭi rachū̃ tō naī sr̥iṣhṭi hō jātī hai . Nahī̃ , yahā̃ tō gāyā jātā hai ki bhaktō̃ kō phal dēnē kē liē bhagvān kō ānā paṛē , patitō̃ kō pāvan karnē kē liē bhagvān kō ānā paṛē . Tō jarūr kōī sr̥iṣhṭi hai , aisē nahī̃ ki unkō saṅkalp uṭhā ki naī sr̥iṣhṭi rachē . Śhāstrō̃ mē̃ yah jhūṭh bāt likhī huī hai . Yahā̃ jō paṇḍit vagairah sunātē haĩ , vah jhūṭh hai . Vō samajhtē haĩ-pralay bhī hōtī hai , ēk daphā mahāpralay bhī hōtī hai . Agar mahāpralay hō tō yē sabhī ātmāō̃ mē̃ janm-janmāntar kā , kalp-kalpāntar kā jō yē record vagairah hai vō tō sabhī khatm hō jāvē . Phir naī sr̥iṣhṭi kaun-sī rachē̃gē jinkā kabhī bhī sr̥iṣhṭi par kōī nām-niśhān hī nahī̃ . Bāp bachchō̃ kō baiṭh karkē samjhātē haĩ ki bachchē , yah tō ṭhīk hai ki jarūr ātmā kō apnā part bajānē kē liē saṅkalp uṭhēgā . Tum bachchō̃ kō vahā̃ jāy karkē tō yah saṅkalp uṭhēgā - abhī hamkō jānā hai . Saṅkalp tō uṭhēgā nā . Aisē nahī̃ hai ki bas saṅkalp kiyā - ā karkē manuṣhya sr̥iṣhṭi banātē haĩ , nahī̃ . Tumkō automatically saṅkalp āēgā ki abhī ham jāy karkē apnā rāj-bhāg karē̃ aur āē̃gē hī satyug mē̃ , svarg mē̃ . Bāp baiṭh karkē sikīladhē bachchō̃ kō samjhātē haĩ - bachchē , yah jarūr hai ki mujhē automatically drama K|kē anusār saṅkalp uṭhā ki mērā yē part hai . Ab jarūr uṭhēgā ki jā karkē patitō̃ kō pāvan banā lē̃ aur jō bhī mērē mīṭhē-sikīladhē bhāratvāsī bachchē thē , aisē kahē̃gē nā  ; kyōṅki vō hai gyān sāgar . Bābā kahtē haĩ-maĩ hū̃ gyānsāgar . Mujhē saṅkalp uṭhā ki mērē bachchē māyā key|kī kām-agni par baiṭh bhasmībhūt hō gaē haĩ , kālē hō gaē haĩ . Abhī tō drama banāyā sō tō vō jāntē haĩ nā . Abhī phir jāū̃ , jō kālē hō gaē haĩ un bachchō̃ kō phir jā karkē unkē ūpar jñānaamr̥t key|kī varṣhā barsāē , phir unkō sō dēvī-dēvtā banāū̃ , phir sō gōrā banāū̃ . Barōbar kahā bhī jātā hai ki ātē haĩ ēk bhāgyaśhālī rath mē̃ . Iskō bhāgīrath kahā jātā hai arthāt bhāgyaśhālī rath . Chitra mē̃ manuṣhya dikhlātē haĩ bhāgyaśhālī rath K|kē rūp mē̃ aur phir jō gōśālā key|kī bāt nikalī hai , tō unmē̃ mandir kē āgē bail kō dē diyā hai . Vahā̃ bhāgyaśhālī rath kō nahī̃ diyā hai . Unkā āgē chitra banāy diyā , vahā̃ ēk bail kō rakh diyā  ; kyōṅki gōśālā kā nām ā gayā . Dēkhō , bhūlē̃ hō gaī hai nā  ! Tō phir abhūl banānē kē liē bachchō̃ kō ā karkē sabhī rāz samajhāy rahē haĩ ki hē mērē lāḍlē mīṭhē bachchē , dēkhō yād kaisē kartē haĩ  ! Tū vahī tō hō nā . Tum 5000 varṣh pahlē bhī tō milē thē nā . Phir āē thē tumkō yē rājyōg sikhlānē kē liē , tumkō rājāō̃ kā rājā banānē kē liē . Tumkō kōī sē laṛāī tō nahī̃ karātē haĩ nā  ! Nahī̃ . Tum laṛāī kissē karē̃gē  ? Tumhārē pās|pass hathiyār vagairah kahā̃ sē āēṅgē )  ! Tumhārī alag kōī pāṇḍavō̃ key|kī rājdhānī thōṛē hī hai . Nahī̃ . Tum sab tō āpas mē̃ bhāī hō . Tum vō kaurav thē , tumkō pāṇḍav banāē̃gē . Aisē nahī̃ ki kaurav alag thē , pāṇḍav alag thē . Nahī̃ , yah jarūr hai ki kaurav bāpū K|kē bachchē thē , yē pāṇḍav phir baṛē bāpū K|kē bachchē haĩ . Abhī achchhī tarah sē samjhā nā . Unkō bābā kahtē haĩ . Bāpū hai gujarātī akṣhar . Gāyan hai barōbar ki ēk kā̃grēsī bāpū thā . Abhī tum jāntē hō , gītā mē̃ bhī likhā huā hai ki kaurav bhī thē , pāṇḍav bhī thē , yādav bhī thē , europe-vasi bhī thē aur kahtē haĩ ki bāp ātē bhī haĩ ēk dharm key|kī sthāpanā , svarg key|kī sthāpanā karnē . Usmē̃ hai hī ēk dharm , dō dharm nahī̃ haĩ . Vō jarūr āēgā hī purānī duniyā kā vināśh karāy naī duniyā sthāpan karnē aur naī duniyā sthāpan karāy purānī duniyā kā vināśh karnē  ; isliē yē trimūrti nimitt banī huī hai . Kōī pālnā karēgā nā . Jō rachnā rachē̃gē vō unkī pālnā karē̃gē . Tō tum bachchē abhī sthāpanāyē kar rahē hō . Kiskī mat par  ? Śhrīmat par , bhagvān key|kī mat par . Bhagvān hai nirākār , unkī mat kaisē milē  ? Sabhī nirākār tō sākār mē̃ ākar jarūr part bajātē haĩ . Inkō bhī sākār mē̃ ānā paṛē . Organs bigar ham bōl kaisē sakē̃  ? Jarūr mujhē yahā̃ ôragan chāhiē aur phir ānā bhī hai patit duniyā mē̃ hī . Ā karkē mujhē ' bābā ' kahtē haĩ jarūr , aisē nahī̃ ki nahī̃ kahtē haĩ . Hamārā nām bahut achchhā nāmīgrāmī hai śhivbābā . Śhiv kē pās jāē̃gē tō hamēśhā kahē̃gē - śhiv bhōlā bhaṇḍārī bābā . Abhī un bichārō̃ nē bhūl kar dī hai - śhiv-śhaṅkar aur mahādēv tīn chitra ikaṭ ‌ ṭhē banāy diē haĩ . … chitrō̃ K|kē bhī tō jañjīrō̃ mē̃ phansē hō . Kitnē chitra banāē haĩ  ! Arē , bāt mat pūchhō . Jaisē bachchiyā̃ baiṭh karkē bhinn-bhinn prakār key|kī guḍiyā̃ banātī haĩ nā , phir khalās kar dētī haĩ . Kitnē chitra banāē haĩ . Bāp nē baiṭhkar samjhāyā hai mīṭhē lāḍlē bachchē , ēk tō hai hī nirākār parampitā paramātmā , jinkā yādgār hai . Yādgār key|kī taraph bhī tō jānā chāhiē nā aur phir unkā occupation jānnā chāhiē , jīvan jānnā chāhiē . Barōbar abhī śhivbābā baiṭh karkē ēk-ēk kā jīvan spaṣhṭ rīti sē batātē haĩ ki bachchē tum jāntē hō ki bhāratvāsī sabsē ū̃chā nirākār śhiv kō rakhē̃gē , unkō paramātmā kahē̃gē , sūkṣhmavatanvāsī dēvtāō̃ kō brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kahē̃gē , manuṣhya sr̥iṣhṭi kō manuṣhya kahē̃gē . Sirph phark kyā hō gayā hai - vō hai dēvī-dēvatāō̃ kā dharm aur vō hai dēvī-dēvtā . Vō haĩ tīn , yē dēvī-dēvatāai bahut haĩ . 33 krōḍ dēvatāē̃ haĩ aur vō haĩ sūkṣhmavatanvāsī brahmā viṣhṇu śhaṅkar , jinhō̃ dvārā bāp kahtē haĩ - maĩ abhī brahmā dvārā sthāpanā karā rahā hū̃ aur phir jab sthāpanāyē̃ pūrī hō jāēgī tab vināśh bhī śhurū hō jāvēgā ) . Laṛāī tō hai hī sāmnē , dēkhtē hō barōbar . Yādav bhī haĩ , kaurav bhī hai , pāṇḍav bhī hai . Kaurav aur pāṇḍav dō bhāiyō̃ nē ikaṭ ‌ ṭhē janma liyā hai , kyōṅki jab bāpū jī nē kā̃grēs sthāpanā kiyā , usī samay mē̃ isnē phāuṇḍēśan lagāyā . Phark nahī̃ rahā hai . Kā̃grēs pahlē nahī̃ thī , pīchhē jab unsē rājya lē liyā tab kā̃grēs rājya sthāpan hō gayā . Unkō hī śhāstra mē̃ kahā gayā hai-kuru . Kurū saṅskr̥it kā akṣhar hai , ' kaurav hindī akṣhar , ' kā̃grēs aṅgrējī akṣhar . Kā̃grēs kō aur kōī akṣhar . . nahī̃ , aṅgrējī akṣhar hai nā . Unkā aur akṣhar kahā̃ haĩ , kyōṅki sirph kôgrēs - kôgrēs kartē haĩ . Vō tō english akṣhar hai na . Kōī hindī akṣhar bhī nahī̃ hai . Unkā asal akṣhar hai hī kaurav aur pāṇḍav . Kauravō̃ kō ' kuru kahā gayā hai aur hai bhī phir prajā kā prajā par rājya . Aisē nahī̃ inkō kōī tāj hai . Vāstav mē̃ pāṇḍavō̃ kō kōī rājya nahī̃ hai , na unkō rājya hai , vō hai prajā kā prajā par rājya yānī pañchāyatī rājya . Pañcāyatē̃ banī huī haĩ nā . Ṭhīk sē pañch na chalā aur nikalā , dūsrā pañch lagāy diyā . Bāp baiṭh karkē achchhī tarah sē samjhātē haĩ , akṣhar bhī hūbahū samjhātē haĩ . Akṣhar aisē hī haĩ jaisē kalp pahlē samjhāyā thā . Kōī śhāstrō̃ kā reference nahī̃ dētē haĩ . Bōltē haĩ - bachchē , jaisē 5000 varṣh pahlē mainnē tumkō jō kuchh samjhāyā thā , jō āgē bhī samjhāyā vō drama anusār maĩ repeat kartā hū̃ . Abhī bhī 5000 varṣh pahlē jō āj samjhāyā thā , maĩ vō hī tumkō phir sē repeat kartā hū̃ kyōṅki drama mērē sē repeat karāy karā hai . Abhī tū samjhā  ! Kyōṅki repetition hai nā . Dūsrā tō kōī in bātō̃ kō samajhē nahī̃ . Bachchō̃ kō samjhātē haĩ . Tum bachchō̃ kō jāstī taklīph nahī̃ dētā hū̃ . Sab nambaravār puruṣhārth anusār hō , isliē dēkhnē kē liē , kaun tīkhē puruṣhārthī haĩ  ? Kaun bābā key|kī bhāṣhā likh saktē haĩ  ? Kyōṅki abalāē̃ bichārī bahut haĩ . Nā akṣhar jāntī haĩ , na phalānā jāntī haĩ va abalāē̃ , gaṇikāē̃ , ahilyāē̃ vō śhlōk kaisē samajhē̃gī , jiskā phir arth|earth kartē-kartē sabkō musībat ā gaī hai  ? Kōī pūrā arth|earth nahī̃ nikāl saktē haĩ . Dēkhō  ! Saṅskr̥it mē̃ 18 adhyāy K|kē śhlōk haĩ aur unkī ṭīkā karnē kē liē kōī key|kī buddhi mē̃ baiṭhtā nahī̃ hai . Āj phalānē nē ) ṭīkā kiyā , āj rāmarāj nē ṭīkā kiyā , gyānēśhvar nē ṭīkā kiyā . Sab ṭīkā kartē rahtē haĩ , kiskē buddhi mē̃ baiṭhtā hī nahī̃ hai . Ṭīkā kartē , gītāē̃ bahut banātē hī jātē haĩ . Kyō̃  ? Dūsrā kōī chīj jāstī nahī̃ banātē haĩ , inmē̃ kyō̃ mūñjh marē hō  ? Kah dētē haĩ ki kr̥iṣhṇa bhagvānuvāch . Sab mūñjh paṛē . Yah tō hō nahī̃ saktā hai nā . Śhiv bhagvānuvāch hōtā tō samajhtē ki barōbar parampitā paramātmā bigar . patit kō pāvan kaun karē  ? Svarg key|kī sthāpanā kaun karē  ? Abhī kr̥iṣhṇa K|kē nām par kōī kō bhī viśhvās nahī̃ āēgā  ; isliē māntē hī nahī̃ haĩ . Bas , gītā key|kī ṭīkā kartē rahtē haĩ , samajhtē kuchh nahī̃ haĩ . Nahī̃ tō ṭīkā karnā hōtā hai , bhaī iskī ṭīkā ṭhīk nahī̃ hai , ṭaigōr key|kī ṭīkā ṭhīk nahī̃ hai . Abhī rādhākr̥ṣṇa kā kartē haĩ . āj phalānā kartē hai . Din-pratidin kōī na kōī key|kī naī-naī ṭīkāē̃ nikaltī jātī haĩ . Sab baiṭh karkē paṛhnē kā tō nahī̃ hai . Dēkhtē hai ki bahut gītāō̃ K|kē śhlōkō̃ kā arth|earth baiṭh karkē samajh nahī̃ saktē hai , bhalā jhūṭhē śhlōk . Un śhlōkō̃ mē̃ kōī thōṛā-thōṛā satya hai . Is bāp key|kī kahtē haĩ prāyaḥ thōṛā , 5 percent bhī satya nahī̃ hai  ; kyōṅki niśhān tō chāhiē nā . Niśhānī dēvtāō̃ key|kī bhī hai , dharm hai . Phir kōī sē pūchhē̃ - dēvī-dēvtā dharm kā śhāstra kahā̃  ? Kyōṅki phalānē-phalānē sabhī granth vagairah banāy diē . Dēvī-dēvtā dharm kā śhāstra kahā̃  ? Tō unhōnnē baiṭh karkē ēk gapōṛē lagāy karkē kuchh na kuchh banāyā hai , kyōṅki āgē bāp nē samjhāyā , āgē jō r̥iṣhi-muni thē , kuchh buddhivān thē , buddhi unkī satōpradhān thī . Tō unhōnnē khayāl karkē kuchh banāyā hai aur phir bhī aisē hī banāē̃gē , dūsrē kōī nahī̃ banāē̃gē . Phir bhī vahī gītāē̃ vahī bhāgavat . Abhī bhāgavat key|kī kōī darkār hai nahī̃ . Christ kā Bible ēk hai , islāmiyō̃ kā vō śhāstra ēk hai . Musalmānō̃ kā kurān ēk hai . Sabkā ēk hī hai . Unkā kōī dūsrā jīvan kahānī hai nahī̃ . Ēk-ēk dharm sthāpan karnē vālē kā ēk hī śhāstra . Yahā̃ tō dēkhō , kitnē banā diē haĩ-gītā , phir bhāgavat , phir mahābhārat . Mahābhārat mē̃ bhī sārī jhūṭh . Bilkul hī saphēd jhūṭh . Yuddha K|kē maidān mē̃ baiṭh karkē gyān dē rahē haĩ . Gyān ēkānt mē̃ diyā jātā hai yā yuddha K|kē maidān mē̃  ? Sō bhī ghōṛē-gāṛī kē ūpar  ! Abhī ghōṛē-gāṛiyā̃ haĩ hī kahā̃  ! Sō bhī kyā śhauk paṛā thā unkō , jō baiṭh karkē chār saphēd ghōṛō̃ key|kī gāṛī banāī  ? Chār ghōṛō̃ key|kī gāṛī thī rājāō̃ kē pās  ; kyōṅki vō dēkhā hai nā-kr̥ṣṇa ghōṛē-gāṛī kē ūpar savār hōtē haĩ . Tō rājāō̃ kō bahut ghōṛē gāṛī mē̃ hī dikhātē thē  ; kyōṅki kr̥iṣhṇa kō bhī tō rājā māntē haĩ nā . Unkē ūpar chatra hai nā . Tum sabhī gapōṛē bilkul hī gapōṛē bāp ākar samjhātē haĩ . Abhī suntē hō . Hai nā gapōṛē - abhī kōī sunēgē-yah bhalā kaun , kahā̃ sē āyā . Jō samajhtē haĩ tō bōltē haĩ yē tō dādā hai , sindh kā dādā hai . Yah tō javāharī thā . Abhī hai kaun , kiskō patā nahī̃ paṛtā hai . Śhāstrō̃ mē̃ tō kōī aisī bāt hai nahī̃ . Barōbar brahmā viṣhṇu śhaṅkar haĩ jarūr , par brahmā yahā̃ kahā̃ sē āyā  ? Prajāpitā brahmā tō sūkṣhmavatan mē̃ hai  ! Arē , par bachchē jab brāhmaṇ kahtē haĩ , brahmā dvārā ham brāhmaṇ rachē jātē haĩ , tō vō brahmā yahā̃ hī hōgā yā brāhmaṇ sūkṣhmavatan mē̃ ūpar sē janma lē karkē yahā̃ gir paṛē  ? Aisē tō nahī̃ huā hōgā nā . Brahmā agar ūpar mē̃ hai aur brahmā K|kē mukh dvārā brāhmaṇ rachē gaē tō kyā yē sabhī ā karkē gir paṛē  ? Yah bhī tō nahī̃ hō saktā hai . Jarūr yahā̃ key|kī bāt hai aur uskē sivāy yahā̃ yādgār hai sab brahmā viṣhṇu śhaṅkar kā . Bāp baiṭh karkē mīṭhē bachchē kō samjhātē haĩ aur itnā sahaj karkē pyār sē samjhātē haĩ . Aur mūñjhtē haĩ phir jō kahā jātā hai tum māt pitā ham bālak tērē , abhī agar śhivbābā ā karkē brahmā K|kē tan mē̃ bachchō̃ kō paṛhātē haĩ . Arē , vō tō śhivbābā hai . Yah kyō̃ gāyā jātā hai ki ' māt-pitā , ham bālak tērē '  ? Śhiv hō gayā bābā . Bābā sē pahlē mama jarūr chāhiē . Mama chāhiē nā bābā K|kē pahlē . Bachchā kahā̃ sē paidā hō . Bhalā kahā̃ sē ā jāvē . Mama jarūr chāhiē . Kitnī wonderful bāt hai . Sab achchhī tarah sē samajhnē key|kī buddhi chāhiē nā . ' tum māt-pitā , ham bālak tērē ' abhī aur kiskō nahī̃ kah sakē̃ . Lakṣhmī nārāyaṇ kō kah na sakē̃ satyug kā pahlā number , jinkō sukh ghanērē haĩ . Unkē tō bachchē takht par baiṭhnē vālē , K|kē unkō māt-pitā kah saktē haĩ aur yahā̃ tō yē sab jā karkē mandir mē̃ kahtē haĩ ) - ' tum māt-pitā , ham bālak tērē , tumharī kr̥ipā tē sukh ghanērē unkī baiṭh karkē mahimā kartē haĩ . Arē , mahimā bhī wonderful hai - ' acyutã kēśavã śhrī rām nārāyaṇ , kr̥iṣhṇa dāmōdarã śrīvāsudēvam harim śrīdhar mādhav-śrī gōpikā vallabh śhrī jānkī nāyakam śrīrāmacandra her|har bhajē . Arth|earth kyā  ? In sab bātō̃ kā kōī arth|earth hai  ? Wonderful hai . Bas , jō kōī nē baiṭh karkē banāyā . Ārtī bhī karē̃gē jagadambā key|kī aur śhiv key|kī . Tō kyā-kyā unkō sabkō milā hī dētē haĩ . Bāp baiṭh karkē bachchō̃ kō samjhātē haĩ - yē sab bhaktimārg key|kī anēk kriyāē̃ haĩ . Karm-akarm kriyā . Bāp nē ā karkē pāṭhśhālā khōlī ki maĩ baiṭh karkē tumkō manuṣhya sē dēvtā banātā hū̃ . In nar sē nārāyaṇ banātā hū̃ . Aisē hī , jaisē baiṭh karkē nar kō barrister banātē haĩ , nārī kō barrister banātē haĩ nā . Ājkal vō bhī tō fashion hō gayā hai nā . Āgē nahī̃ bantī thī̃ . Bāp bhī kahtē haĩ - bachchē , maĩ ā karkē tumkō nar sē nārāyaṇ arthāt dēvtā aur nārī sē śhrī lakṣhmī banātā hū̃ jō tumhārā aim-object hai aur tumkō baiṭh karkē paṛhātā hū̃ . Tō hō gaī pāṭhśhālā . Iskō satsaṅg thōṛē hī kahā jātā hai . Iskō pāṭhśhālā , gītā-pāṭhaśālā kahē̃gē . Abhī vēd pāṭhśhālā kabhī nahī̃ kah sakē̃gē , upaniṣhad pāṭhśhālā kabhī kah nahī̃ sakē̃gē  ; kyōṅki aim|M|am ēṇḍ ōbjēṅkṭa kōī hai nahī̃ . Nahī̃ tō kōī jāō . Bāp kahtē haĩ bachchō̃ kō kōī harjā thōṛē hī hai , tumkō manā thōṛē hī hai . Vahā̃ jā karkē vō vēd jō sunātē hai , jinkī mahimā kartē hai , vō vēd is gītā K|kē pattē hai . Aisē kahā jātā hai ki vāstav mē̃ gītā hai sarvśhāstramaī śhirōmaṇi bhagvad ‌ gītā . Number one śhāstra . Yah tō samajhnā chāhiē , bāp key|kī sab hai creation bachchē . Tō bachchō̃ sē kyā sukh milēgā  ? Jaisē un bachchō̃ sē varsā nahī̃ mil sakēgā nā  ! Kyōṅki yē sabhī hai creation bāp hai ēk . Creation sē , bhāī-bahanō̃ sē thōṛē hī varsā miltā hai . Vaisē vāstav mē̃ varsā miltā hai śhrīmad ‌ bhagvad ‌ gītā sē . Bākī haĩ unkē bachchē . Unsē kyā varsā milēgā  ! Phir bhī tō gītā chāhiē tab varsā milē . Samjhā nā . Bāp miltē haĩ rachtā sē , na ki rachnā vō hō gayē bhāī bahan . Bhāī kō bhāī sē varsā nahī̃ mil saktā hai , bāp sē varsā miltā hai . Yah hai bēhad kā bāp aur gītā hai bēhad kā śhāstra . Vō sab śhāstrō̃ kā māī-bāp hai . Māī-bāp sē varsā milēgā yā unkē pīchhē jō bhinn-bhinn śhāstra nikalē haĩ unsē varsā mil saktā hai  ? Isliē dēkhō , kōī kō bhī gītā sē kuchh bhī varsā nahī̃ miltā hai  ; kyōṅki jhūṭhī hai aur agar jhūṭhī kōī na kahē , sachchī hai tō phir rājā ban jāē . Jō dūsrē śhāstra haĩ K|kē sabhī hai unkē bāl-bachchē . Bāp ākar gītā sunāē̃gē , aur kōī sunā thōṛē hī saktē haĩ  ! Nahī̃ . Janm-janmāntar saṅskār lē jātē haĩ nā . Inkā saṅskār thā-chōṭē pan sē gītā paṛhtē thē , gītā bigar bāt nahī̃ kartē thē . Saṅskār lē āē thē gītā paṛhnē K|kē , tab tō gītā kō pakaṛ liyā thā , uṭhā rahē thē . Saṅskār lē āē thē lakṣhmī nārāyaṇ key|kī pūjā karnē K|kē , tō phir lakṣhmī nārāyaṇ key|kī hī pūjā kar saṅskār tō ātmāē̃ lē ātī hai nā . Sarkār ātmā mē̃ baṛē tīkhē . Kōī paṇḍit , baṛā vidvān śharīr chhōṛtē hai , dūsrē janm mē̃ chhōṭē pan sē unkē saṅskār aisē hōtē haĩ , jō vidyut-maṇḍalī mē̃ paṛhnē jāēgā , tō phaṭ-phaṭ jhaṭ paṛhnē lagēgā aur chhōṭēpan mē̃ hī jaldī-jaldī batātē rahē̃gē . Bōlē̃gē - vāh  ! Yah tō chhōṭēpan mē̃ hī jaisē ki paṛh karkē hī āē haĩ . Tō unkō saṅskār kahē̃gē . Abhī tumhārē mē daivī guṇō̃ K|kē sarkār bharē jātē haĩ . Tum jāntē hō ki abhī hamkō aisā bannā hai . Phir pūchhē̃gē nā - kyā tum pyāj khātē haĩ  ? Agar tum yah bantē hō tō vahā̃ jā karkē pyāj khānā chhōḍēṅgē yā yahā̃ chhōṛnā hōgā  ? Vahā̃ thōṛē hī jākar chhōṛnā hōgā , vahā̃ tō dharm key|kī sthāpanā nahī̃ hōtī hai . Yē jō bhī aśhuddh khān - pān hai sab kuchh yahā̃ bachchō̃ kō chhōṛnā paṛē . Jaisā khāēgā aisā banēgā . Is samay mē̃ tamōguṇ hai nā . Bāt mat pūchhō , sab khā jātē hai . Aeroplane mē̃ ēk ghōṛā marā , sō bhī munsipāliṭī kō diyā , tō sōchā inkā mā̃s bēch karkē paisā paidā karū̃ . Tum paṛhtē nahī̃ hō akhbār , bābā akhbār bhī paṛhtē haĩ . Kōī pūchēgā-vāh  ! Yē akhbārē̃ kyō̃ paṛhtē hai  ? Yē tō jaisē manuṣhya haĩ , aisē manuṣhya akhbār paṛhtē haĩ . Nahī̃ , bābā kaisē samajhāvē  ! Tō bābā samjhātē haĩ - ghōṛā aeroplane mē̃ marā , aeroplane mē̃ unkō kōī shoot kiyā , tum lōg akhbār tō nahī̃ paṛhtē hō nā . Race K|kē ghōṛē ājkal aeroplane key|kī savārī kartē haĩ . Ghōṛē janāvar haĩ . Tumkō tō aeroplane mē bhī nahī̃ caḍhanē dētē , kuttē-billē-badar-pakṣī , sab aeroplane mē savārī kartē hai . Kōī 20 ghōṛē lē āē thē , ēk ghōṛā bahut chriṭā hō gayā . Mast ghōṛē hōtē haĩ nā . Dēkhā , agar yah ṭik-ṭāk karē̃gē tō aeroplane hī gir jāēgā  ; kyōṅki sab ghōṛē ā karkē mastī karē̃gē . Bahut matthā mārā , vah bāj na āyā . Phir vahā̃ jō baṛē hōtē haĩ , unhōnnē bōlā - bhaī , inkō tō yahī̃ shoot karnā chāhiē . Tō chalō shoot kar diyā . Jab nīchē āyā , tō itnā baṛā ghōṛā darvājē sē nahī̃ nikalē . Likhā huā hai , jō bāp batātē haĩ . Likhā huā hai - nikalē kaisē aeroplane sē , jō dūsrē bhī ghōṛē nikalē̃ . Darvājā band hō gayā , ghōṛē kaisē nikalē̃  ! Tō būcarsa kō , kasāiyō̃ kō bulāyā . Unhōnnē bahut paisā mā̃gā ki hamkō itnā paisā chāhiē . Time par tō sab kōī apnā môgatā hai nā . Bābā jab pākistān sē āē thē , majdūrō̃ kō bōlā - uṭhāō yah sāmān , unhōnē bōlā - ) ham 4000 rupayā lē̃gē . 4000 kyō mā̃gā  ? Ab ham kyā karē̃  ? Steamer jā rahā hai  ! Abhī tō unkō chance mil gayā . Phir 400 sau mē̃ phaislā huā . Unhōnnē jō bōlā nahī̃ , tō phir vō khud lē karkē kuṭārī kāṭnē lagē , kāṭ karkē unkō nikālā tab vō dūsrē bhī ghōṛē nikalē . Vō sab sāmān munsīpāliṭī kō diyā , inkō jā karkē bēchō . Khātē haĩ nā sab kuchh . Tō mālūm hai bachchē jab baṛī-baṛī laṛāī hōtī hai tō yē ghōṛē ādi vālē sabhī bāndh hō jātē haĩ ghōṭē mē̃ paṛē rahtē haĩ . Phir bhūkh lagtī hai tō kyā khāvē̃  ! Tō ghōṛē ādi sab kāṭ karkē vahī̃ pakā karkē khā jātē haĩ , kyōṅki pahlē tō apnā śharīr hōtā hai nā . Valuable hai nā . Dēkhō , jab bhukhahar paṛtī hai tō jīnē kē liē ghās bhī khānē lag paṛtē haĩ . Tum lōg itnā paṛhē-likhē nahī̃ hō , na kōī akhbārē̃ dēkhtē hō . Bābā tō sab kuchh dēkhtā hai , jāñch kartā hai . Ab baṛē - manuṣhya khāē̃gē yah . Ājkal paisē sē chīj miltī hai , bahut mahãgī chīj hō jātī hai . Tō vō samajhtē hai - race kā ghōḍā inkī iṭēlēkṭa bahut achchhī hōgī , inkā sab kuchh , inkō khān-pān bahut achchhā miltā hai , inmē̃ tō bahut svād hōgā . Vō jō dō rupayē , chār rupayē sēr miltā hōgā nā , vō 25 rupayē , 50 rupayē sēr mē̃ bēchtē haĩ . Paisē tō bilāyat vālō̃ kē pās aur jō bhī officers ministers vagairah hai bahut hōtē haĩ na arē  ! Bāt mat pūchhō . Vō jō paisā kamātē haĩ , bāt mat pūchhō . Ēk case kiyā , lākh rupayā milā . Judge nē ēk case kā sunvāī kar diyā lākh rupayā . Yah sab bābā kō anubhav hai . Maĩ thōṛā batātā hū̃ - ēk daphē kalkattā mē̃ ā karkē musalmān aur paṭhānō̃ kā phasād machā . Māravāḍrō̃ nē governor kō phone kiyā ki ham mārē jātē hai , jaldī hamārī madad karō , kōī bhēj dō , nahī̃ tō yah paṭhān hamkō mār dēgā . Usnē bōlā-hā̃-hā̃ , ham secretary bhēj dētē haĩ . Secretary āyā , bōltā hai-hamakō 10 lākh rupayā dō , dēkhō bābā kō yah sab mālūm paṛtā hai unkē ôphisarō sē . Bābā kā un lōgō̃ kē sāth bahut vyavahār thā . 10 lākh rupayā jab diyā tab usnē ādmī bhējā aur itnē mē̃ bichārā ādhā tō khatm hī hō gayā . Yah riśhvat kōī abhī key|kī thōṛē hī hai . Yah tō bīmārī chalī ā rahī hai . Din-pratidin baṛhtī hī jātī hai . Yah jō kamātē hai , arē bāt mat pūchhō . Ēk ōvar śēar hōgā aur paṭavārī hōgā . Unkō talab sau rupayā , sau rupayā tō kyā , hajār rupayā kyā , dō hajār kamātē haĩ . Yah tō bas riśhvat hī riśhvat hai . Corruption hī corruption hai . Ēḍalṭarēśan ( milāvaṭ ) hī ēḍalṭarēśan hai . Phir bāp baiṭh karkē samjhātē haĩ - arē dēkhō , śhāstrō̃ mē kitnā ēḍalṭarēśan jhūṭh batāī hai . Arē , usmē sō bhī hamārī , hamnē kōī gītā tō banāī nahī̃ hai . Maĩ jāntā hū̃ ki gītā banāyā hai in manuṣhyō̃ nē aur likhā hai sabhī jhūṭh . Dēkhō , kitnā ēḍalṭarēśan number one ēḍalṭarēśan sō bhī śhiv bhagvānuvāch , rudra gyān yagya . Iskō tō aisē nahī̃ kahēṅgē-kr̥ṣṇa gyān yagya . Rudra gyān yagya sē yah jvālā prajvalit huī aur vahā̃ kahā̃ likhā huā hai ki kr̥iṣhṇa key|kī gītā sē jvālā prajvalit huī  ! Mahābhārat key|kī tō bāt hai  ; parantu kr̥iṣhṇa kā tō nām nahī̃ huā nā , rudra huā nā . Phir bhalā kr̥iṣhṇa kā nām kyō̃ rakh diyā , jab akṣhar hai unamē̃-rudra gyān yagya , insē yah jvālā prajvalit huī , maĩ rājyōg sikhlātā hū̃  ? Maĩ rājyōg sikhlātā hū̃ yah likhā hai tō yah rājyōg kaun sikhlāēgā  ? Svarg kā mālik sikhlāēgā nā  ! Yahā̃ kōī rājāī hai nahī̃ . Yahā̃ kaun-sā rājā  ? Bachchē , kr̥iṣhṇa kahā̃ sē āyā , jō ā karkē rājyōg sikhlātē haĩ  ? Kr̥iṣhṇa bhī agar kōī rājā hōtā hai tō unkō rājdhānī sambhālnē kē liē apnā ēk bachchā yā bachchī chāhiē . Maĩ baiṭh karkē rājāō̃ kā rājā banātā hū̃ sō kitnē rājāē̃ banātē hō  ! Arē , 108 , mērē bachchē 16108 - prince and prĩsēs . Abhī yah bāt dēkhō kahā̃ key|kī kahā̃ jākar uṛāy dī hai  ! Abhī talak bāp K|kē sāmnē yah sab kar rahē haĩ aur bichārā na jānnē K|kē kāraṇ ki inmē̃ vō kōī āyā huā hai , sachmuch vō ā hī nahī̃ saktē . Yē sirph apan kō jhūṭhā kr̥iṣhṇa batātē haĩ . Hai kahā̃  ? Aisē-aisē kahtē rahtē hai . Phir unkē ūpar dōṣh nahī̃ hai , kyōṅki vō bichārē jāntē hī nahī̃ haĩ-aisā kabhī hōtā yā bhagvān aisē ātē haĩ . Hai jarūr ki gaiyā charāī . Bhagvān ā karkē gaiyā carāēṅgē  ! Tō sachmuch us bhagvān kō , jō gītā kā bhagvān hai , unkō gaiyā dē karkē , ēk bhīl kā paṭkā|paṭakā bāndh karkē , lāṭhī dē karkē , bōlō tō ham tum lōgō kē pās chitra bhēj dēvē̃ . Bichārā lāṭhī lē karkē , gaiyā rakh karkē paṭkā|paṭakā bāndh karkē , batāyā-śrī kr̥iṣhṇa nē gaiyā charāī gōkul mē̃ . Gānv kā nām gōkul rakh diyā aur usmē gaiyā charāī aur bhīl banāy diyā . Mērē pās|pass chitra hai , maĩ wonder khātā hū̃ . Bōltā hū̃-arē bachchē , tumkō yē bhāratvāsiyō̃ nē bhīl banāy diyā hai , dēkhō  ! Hasī-kuḍī bachchō̃ kē āgē kartā hai . Kahā̃ kyā kiyā hai , rādhē-kr̥iṣhṇa K|kē aur kr̥iṣhṇa K|kē chitra aisē banāē haĩ , bāt mat pūchhō aur bāt mē̃ pāī bhī sachchāī nahī̃ hai . Jhūṭ sāf sab jhūṭh . Bāp ā karkē batātē haĩ yah samay hī aisē hai , jhūṭhkhaṇḍ . Gurunānak bhī kahtē hai ki sachkhaṇḍ kā sthāpan karnē vālā , ū̃chā jinkā nām , ū̃chā jinkā dhām , tō unkī mahimā kartē hai . Unkō hī yād karnē kē liē kahtē haĩ . Unkī mahimā kartē haĩ . Tum unkō yād karō jinhōnnē dēvī-dēvtā dharm sthāpan kiyā thā , manuṣhya sē dēvtā banāyā thā , patit kō pāvan banāyā thā , mūt palītī kapaṛ dhōyē thē , yah number one dhōbī thā . Gurunānak nē tō unkō dhōbī bhī banāy diyā ki mr̥t palītī kapaṛ dhōnē vālā hai , parantu yah tō bēhad key|kī bāt hai nā . Tum jāntē hō ki barōbar bēhad K|kē yē mūt palītī kapaṛ , yē dhōnē key|kī tō bāt nahī̃ hai nā . Yē yahā̃ pāvan banānē key|kī yuktiyō̃ hai , jō baiṭh karkē bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki mērē mīṭhē lāḍlē bachchē , sikīladhē bachchē , beloved most bachchē . Abhī hai jarūr rudramālā . Tō jarūr beloved most huē . Usmē̃ phir nambaravār beloved most phir kahtē haĩ-āṭh beloved most hai . 100 unsē cum|kam haĩ , 16100 unsē cum|kam . Hai nā aisī mālā  ! Iskā bhī tō arth|earth samjhāyā jātā hai nā . Bachchē haĩ bēśhak . 8 ratna manuṣhya bahut kānō̃ mē̃ yahô-yahā̃ banātē hai . Kyō̃  ? Vō tō grahachārī key|kī batāy dētē haĩ . Nahī̃ tō arth|earth tō yē hai nā . 8 pās|pass vi the honour hōtē haĩ phir 100 kuchh na kuchh cum|kam . Phir tō bahut hī hōtē haĩ . Trētā K|kē ant tak itnī sārī mālāē̃ kyō̃ hōtī haĩ  ? Kyō̃ iskā itnā nām hai  ? Sab bābā kō is sr̥iṣhṭi kō sēlvēj karnē mē̃ yā inkō phir bēṛā pār karnē mē̃ madad dētē haĩ . Abhī samjhā . Achchhā , abhī paunē āṭh , āj somvār hai . Naukrī par jānā hōgā . Ṭōlī bāṇṭō bachchī . Pahlē tō dēkhō , barōbar yādav haĩ . Mūsal hōgā tō jarūr gītā kā bhagvān hōnā chāhiē nā . Mahābhārat key|kī laṛāī hōnī chāhiē , tō bhagvān hōnā chāhiē  ; par bhagvān kaun hai , vō bichārē kuchh jāntē nahī̃ . Kabhī-kabhī kahtē haĩ yah tō vahī mahābhārat key|kī laṛāī hai . Arē bhaī , vō mahābhārat key|kī laṛāī kab  ? Vō bhī kahtē haĩ - 5000 varṣh huā . Jab aisī bāt hai tō phir tum lōg itnā lākhō̃ varṣh satyug kō kyō̃ lē jātē haĩ  ? Kyō̃ lē jātē haĩ kyōṅki yē dvāpar mē̃ lē gaē . Achchhā , dvāpar mē̃ bhī lē gaē , tō bhī ēkdam itnā lambē kyō̃ lē gaē  ? Hisāb-kitāb tō ṭhīk hai nā . Jagannāthpurī hai , vahā̃ haṇḍā rakhtē haĩ . Chāval kā haṇḍā pakātē haĩ . Phir jab pak jātā hai , tō usmē̃ 4 hissē hō jātē haĩ . Vō siddh kartē haĩ ki is sr̥iṣhṭi K|kē chār yug mukhya hai aur ēk jō saṅgamyug hai uskō kahā jātā hai ' dharmādāyug ' . Uskō aṅgrējī mē̃ kahā jātā hai līpayug yānī bahut chhōṭā . Sō barōbar dēkhtē hō yē baṛā hai . Yah sabsē chhōṭī hai , kyōṅki thōṛē manuṣhya hōṅgē nā . Achchhā , yah thōṛā baṛā dēvatāē̃ jarūr unsē jāstī kōī hōgā  ; kyōki yē vahā̃ jātē haĩ . Phir kṣhatriya yah tō bahut baṛā hō gayā . Phir śhūdra tō aur baṛā , ṭôgē tō lambī hai . Jarūr śhūdra bahut hōṅgē . Tō yah bhī śharīr sē varṇō̃ kō dikhlātē haĩ aur varṇa tō bhārat mē̃ hī dikhlātē haĩ . Dēvtā varṇa , kṣhatriya varṇa , vaiśhya varṇa , śhūdra varṇa . Yah tō sab batātē haĩ , 84 janm kis varṇa mē̃ yah chakkar khātē haĩ , vō bhī tō batā dētē haĩ . Sirph brāhmaṇ varṇa bhūl gaē hai . Brāhmaṇ varṇa unkō mālūm paṛē ki vō janak brahmā dvārā tō sr̥iṣhṭi rachī jātī hai , sō tō jarūr brāhmaṇō̃ key|kī hōgī . Phir un brāhmaṇō̃ kō paṛhāyā jātā hai , tab vō brāhmaṇ dēvtā bantē haĩ . Gyān kā tīsrā nētra brāhmaṇō̃ kā khultā hai . Sō bāp nē bahut achchhī tarah sē samjhāyā ki bachchē , dēvtāō̃ kā kōī bhī chitra athavā cihan hai nahī̃ . Kr̥iṣhṇa kā kyā chitra rakhā , bhalā dēkhō . Mā̃ K|kē garbh sē nikalā hai . Unkō kahā̃ hai  ? Kuchh bhī nahī̃ hai . Yah svadarśanacakra kahā̃ sē lāyā bhalā yah batāō kōī  ! Yah tō mā̃ kā bachchā hai . Vō pār hō gayā . Gītā kā bhagvān pār hō gayā . Pār tō ham-tum huē . Sarasvatī nadī kō pār kiyā thā nā . Vō kãs-jarāsandhī nē duḥkh diyā . Hamārē lākhā bhavan kō āg lagānē lagē . Āg lagāī thī nā . Haĩ na , lākh bhavan kō āg lagāī̃ . Kisnē  ? Kauravō̃ nē . Pāṇḍavō̃ K|kē . Tō barōbar pāṇḍavō̃ K|kē bābā kā bhavan thā , ghāslēṭ lē āē thē  ; parantu usmē̃ bābā thā nahī̃ . Jab yah khāk hōtā thā , tō bābā vahā̃ nahī̃ rahtā thā . Bābā inkō sōyā chhōṛ karkē rāt kō hī chalē jātē thē . Subah hōkar , ' ' kahā̃ gayā-kahā̃ gayā ' ḍhū̃ṛhē chitar-bhītar ḍhūṇḍhē bābā thē hī nahī̃ . Bābā inamē thā nā . Yah bābā kō bhagāy karkē lē jātā thā vahā̃ rāt kō . Kōī kō patā nahī̃ ēkdam . 12 bajē rāt mē̃ ṭrēnē̃ gayā . Dēkhō , nadī pār kiyā hai nā . Abhī hai jarī see|sī|C bātē̃ , par ulṭī . Kr̥iṣhṇa kō pār gayā , phir ḍūbtā thā . Kr̥iṣhṇa kā pair dharā , tō vō gaṅgā nīchē chalī gaī-aisē-aisē bāt kartē haĩ . Kitnē gapōṛē haĩ . Achchhā , ṭōlī kahā̃ hai  ? Arē , yē kyā chup hōkar baiṭhē haĩ  ! Ôphisō̃ mē̃ jānā hōgā . Sō phir jō dūsrē haĩ vō nahī̃ sun pāyā . Aisē hō jātā hai nā . Tō bhalā school mē̃ agar yah points na sunē̃gē , kiskō varṇan karkē kaisē samjhāē̃gē kaisē sunāē̃gē  ? Tō vō hai irarēgyular . Bhalē kahtē haĩ karmbandhan hai  ; par is samay mē̃ tō kōī karmbandhan key|kī bāt hī nahī̃ . Bābā tō jhaṭ chhōṛ dētē hai aur yah paṛhāī hai . Bāp kahtē haĩ - maĩ itnā dūr paramdhām sē ātā hū̃ jō kōī vahā̃ jā hī na sakē . Jab talak tumkō par na āyē , kyōṅki jaṭāy rūpī māyā nē tumhārā par kāṭ diyā . Sītā kā par nahī̃ kāṭā hai . Hai sītā kā par , yānī ātmāō̃ kā par kāṭ liyā hai . Kōī śharīr kā par nahī̃ kāṭā hai , ātmā kā par kāṭā huā hai māyā nē . Tō uṛ nahī̃ saktī hai . Abhī dēkhō , sab machchharō̃ K|kē muāphik uṛkar chalī jāē̃gī , kyōṅki pavitra bannē bigar vāpas tō kōī jā na sakē . Yah hōlikā jō banātē hai nā tō bābā bōltē haĩ ki barōbar ātmā amar hō chalī jāēgī , hōlikā tō hōnī hai . Ātmā chalī jāēgī , śharīr yahā̃ bhasma hō jāē̃gē . Khēl bhī baṛā achchhā hai , parantu samajhtē kōī nahī̃ . Āgē tō ham lōg bhī aisē hī kartē thē . Jō regular nahī̃ suntē hai vō kabhī uṭhāy nahī̃ sakē̃gē , yē bichārē pās|pass na hō jāē̃gē . Sō bhī kahtā hū̃ - drama . Bākī bachchō̃ kō bāp jaisā merciful bannā chāhiē . Bahut service karnī chāhiē , nahī̃ tō itnā baṛā bāp , kitnā baṛā  ! Aur dēkhō , kinakē sāmnē baiṭhē hōtē haĩ - abalāē̃ , gaṇikāē̃ , kubjāē̃ mātāē̃ , phalānē . Dēkhō , kis śharīr mē̃ baiṭhtē haĩ , kahā̃ baiṭh karkē paṛhātē haĩ  ! Aur bāp kahtē haĩ-hūbahū 5000 varṣh pahlē jō kuchh maĩ samjhātā hū̃ vō drama anusār mērī ātmā mē̃ nūndh hai aur bākī jō kahtē hai - sarvśhaktivān hai , bhagvān kyā bhī kar saktē haĩ , bhagvān agar chāhē tō abhī laṛāī lagāy dēvē ādi-ādi . Bhagvān kā drama hai aur yah bāt tum kaisē kartē hō  ! Drama kā bhī tō creator kā part hōtā hai nā . Jō bhī film haĩ , unamē achchhē-achchhē jō haĩ un sabkā part hōtā hai . Tō bābā hai sabsē number one actor . Unkō rājhū ramajhabāj kahā jātā hai . Uskā hai sabsē first class part , phir unkē sāth hai tum hero and hirōin kā part . Unkō hero and hirōin nahī̃ kahē̃gē . Tumkō hero and hirōin yānī yathā mātā-pitā tathā bachchā  ; kyōṅki sab hīrō-hirōin K|kē bachchē hō gaē nā . Tō tumhārā is drama mē̃ sabsē baṛā part hai - hārnā aur jītnā . Hīrō-hirōin kahā jātā hai , jabki kiskē ūpar vijay pahanē̃ tō hero kahē̃ . Tō ham-tum , sabhī bachchē , abhī rājā-rānī tō nahī̃ sirph laṛāī K|kē maidān mē̃ ātē haĩ , tum bachchē bhī hō . Tum hero and hirōin K|kē bachchē hō . Tum yuddha kartē hō aur māyā sē jīt pahantē hō , jaisē mammā-bābā taisē tum . Tum bhāratvāsiyō̃ kā is sārē drama mē̃ hero and hirōin kā part hai . Aur kōī kā bhī nahī̃  ; kyōki tum hār bhī khātē hō aur jīt bhī pahantē hō . Kyā hār khātē hō  ? Rājāī ganvātē hō . Phir tumkō rājāī chāhiē  ; parantu kaisē rājāī lētē hō , yah hai wonder  ! Unkō kahtē hai bāhubal vālē inkō kahtē haĩ yōgbal vālē . Iskō kahā jātā hai ahiṃsā paramō dēvī dēvtā dharmī . Ahiṃsā sē paramō dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā hōtī hai . Ahiṃsā dō prakār kī-ēk kām-kaṭārī key|kī , jō sabsē burī ēkdam aur dūsrī phir kahtē haĩ galā kāṭnā . Iskā nām hī hai ' ahiṃsā paramō dēvī-dēvtā dharm ' . Bhalē ab samajhtē hōṅgē , phir bhī baiṭhē haĩ kuchh na kuchh jhōlī lē karkē . Bākī tō dēkhtē hai strī kō tō , jhaṭ ēk strī gaī , dūsrī , dūsrī gaī , tīsrī , tīsrī gaī , chauthī . Hai nā  ! Aisē bahut haĩ . 10-10 bachchā hai , tō bhī phir śhādī kartē haĩ . Bābā kē pās ēk ātā hai vahā̃ 14 bachchā jō abhī lē ātē haĩ . Bōltē haĩ - yah kyā hai , yē kaun haĩ , kiskē bachchē haĩ  ? Yah sab hamārē bachchē hai , baṛā khuśh hōtā hai . Caudah  ! Uskī naī strī bhī ātī hai . Māt-pitā kā rāz phir kal samjhāēṅgē . Tum māt-pitā , abhī vaṇḍar hō gayā hai , pitā tō ṭhīk hai , mātā kahā̃ , jiskō gōd mē̃ lē āī , gālī jō khāī huī hai nā . Gālī khānē kā kōī kāraṇ tō hōgā nā . Abhī bāp kahtē haĩ ki maĩ brahmā K|kē mukhkamal sē bachchā paidā kartā hū̃ , phir yah hō paṛtī hai mātā . Abhī śhivbābā key|kī gōd mē̃ yē mātā hō gaī , mukhvaṅśhāvalī hō gaī . Ab māt-pitā key|kī gōd mē̃ jāē kahā̃ , mātā tō hai nahī̃ . Yah tō pitā hai . Yē tō ēkdam bail hai . Bhalē śhivbābā K|kē gōd mē̃ jātē haĩ , phir bhī tō bail hai nā . Tō drama mē̃ gālī khānā paṛā nā . Yah bābā jāntē hai nā ki yē jarūr gālī khānē karnē kī hai . Gālī na khāē̃gē tō phir tum thōṛē hī rāj lāē̃gē . Gālī tō jarūr khānā paṛē . … ablāō̃ kō atyāchār huē , parantu kitnē gupta haĩ  ! Kitnē sārē ārya samājiyō̃ nē haṅgāmā machāyā hai . Bachchiyā̃ bhī bahut thī̃ . Ēk bachchī gōd mē̃ liyā , bahut khaṛī haĩ . Unhōnnē phir ēk śhaitānī aur kar dī , pahlē tō chitra banāyā thā , 2-3 bachchiyā̃ thī̃ . Phir 2-3 bachchiyō̃ kā chitra nikāl karkē ēk kō gōd mē̃ ḍāl diyā ki yah akēlē mē̃ hī gōd mē̃ lētā thā . Yah baiṭh karkē hãgāmā machātē haĩ . Samjhā  ! Tum lōgō̃ nē yah chitra śhāyad nahī̃ dēkhā hai . Tumkō chitra dikhalāy saktē haĩ . Kahā̃ sē nikalā jō phir inkō hāth mē̃ āyā . Vidhna jarūr paṛē̃gē . Kōī nimitt tō banē̃gē nā . Kalp pahlē muāphik yah tō jāntē haĩ , inkā kyā ḍar hai . Bāp kahtē hai yē ēḍavarṭāijmēṇṭ hai tumhārī . Tum ḍarō mat . Is rudra gyān yagya mē̃ asurō̃ K|kē vipna paṛtē haĩ . Ablāō̃ kē ūpar atyāchār hōtē haĩ . Pāp kā ghaṛā jab pūrā bhar jātā hai tab phir vināśh śhurū hōnē kā hai . Achchhā , bāpdādā , mīṭhī mama kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ kō yādpyār aur good morning .