सोमवार 21 अक्टूबर 1963 की साकार मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
` 21-10-1963 bambaī prātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , good mōrniṅg , ham bambaī sē bōl rahē̃ haĩ . Āj śanivār hai son|san 1963 akṭūbar key|kī ikkīs tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record :
Baṛā khuśanaśīb hai . jisē tū nasīb hai , usē aur chāhiē kyā jiskē tū karīb haĩ …
Bāp pūchhtē haĩ bachchō̃ sē , kyōṅki is samay mē̃ bāp bhī jīv-ātmā hai . Vō kahtē haĩ - is samay mē̃ is jīv mē̃ mujh param-ātmā mānā paramātmā nē pravēśh kiyā hai . Iskō ham jīv-paramātmā tō nahī̃ kahē̃gē na ! Śhōbhtā nahī̃ hai kabhī . Vō tō phir bhī kahtē haĩ ki mujhē bhī tō yah śharīr chāhiē nā , jō maĩ baiṭh karkē tum bachchō̃ kō aisā banāū̃ , kyōṅki kalahayug mē̃ kōī bhī viśhva kā mahārājan yā viśhva key|kī mahārānī nahī̃ hai . Viśhva tō chhōṛō ; parantu kōī gānv kā bhī mahārājā-mahārānī nahī̃ hai . Agar kōī hai tō vō bichārā paisā dē karkē kharīd liyā hai . Kyō̃ ? Law nikalā thā , tō kōī bhī apan kō mahārājā-mahārānī kahalāy nahī̃ saktē haĩ . Phir bhī kuchh na kuchh rakam dēnē sē , unkō mahārājā aur mahārānī kā title chalānē kē liē chuṭ T miltī hai . Aisē hī , jaisē jab european government kā rājya thā , tō paisā dēnē sē rājā-rānī yā mahārājā-mahārānī kā title mil saktā thā . Ab bhī , kyā huā ? Kā̃grēs nē sabkā jō mahārājā-mahārānī , rājā-rānī title thā vō tō sab chhīn liyā , phir bhī paisā tō bāṇṭtē haĩ nā sab kuchh . Paisā dēnē sē kōī kā bhī phir mahārājā-mahārānī title rinyū hō saktā hai . Jaisē kaśhmīr kā jō kuran siṅh thā , tō unkō āgē mister kahtē thē . Abhī unhōnnē title kharīd kar liyā , uskō mahārājā kah saktē haĩ . Phir bhī , vō kōī viśhva K|kē tō nahī̃ haĩ nā . Vō tō bhārat K|kē bhī nahī̃ , ēk gānvaṛē K|kē haĩ . Abhī yē kaun haĩ ! Bhāratvāsī kahē̃gē ki yē bhārat mē̃ śhrī lakṣhmī viśv-mahārānī , śhrī nārāyaṇ viśhva-mahārājan thē . Viśhva kahā hī jātā hai yah sr̥iṣhṭi kō . Viśhva mē̃ sūkṣhmavatan aur mūlvatan nahī̃ ātē haĩ . Dēkhō , bāp bachchō̃ key|kī mahimā kaisē kartē haĩ ! Bōltē haĩ - dēkhō , tum bachchē yahā̃ is school mē̃ āē huē hō aisā viśhva-mahārājan viśv-mahārānī bannē kē liē . Abhī aisā kōī dūsrā pūchh sakēgā ! Aur tum bhī barōbar kahtē hō ki bābā , ham agar śhrī sītā aur rāmacandra kā bhī chitra sāth mē̃ rakhē̃gē aur pūchhē̃gē - aisā bannā chāhtē hō yā aisā ? Hāth uṭhāō , kaun aisā bannā chāhtē hō ? Pūchhē̃gē tō śhrī sītā aur rāmacadra kē liē hāth hī nahī̃ uṭhāē̃gē . Pūchhā thā nā us din , tō bōlā - nahī̃ , ham tō viśhva kā , pahlē-pahlē svarg kā , satyug kā mahārānī-mahārājan banē̃gē ; kyōṅki haĩ vō bhī viśhva kā mahārānī-mahārājan ; parantu trētā K|kē . 14 kalā hō gayā nā . Hai bēśhak viśhva kā . Abhī tum bachchē brahmāṇḍ K|kē bhī mālik bantē hō aur viśhva K|kē bhī mālik bantē hō . Dēkhō , bāp tumhārā martabā kitnā ū̃chā kartē haĩ . Aisā kōī bāp kab dēkhā ! Aisē bāp kō sirph ēk daphā dēkhā jātā hai , jānā jātā hai , unsē viśhva K|kē mahārānī-mahārājāpanē kā inahērīṭēnsa liyā jātā hai . Sō bhī kōī ēk daphā thōṛē hī , kalp-kalp . Tō abhī dil mē̃ kahē̃gē - kalp-kalp ham bābā sē inahērīṭēnsa lētē āē haĩ . Sirph bābā akṣhar hai , dūsrā tō kōī akṣhar nahī̃ . Parampitā sirph yah kahē̃gē , paramabābā . Pitā akṣhar kuchh śhrēṣhṭh hai , bābā akṣhar unsē kuchh cum|kam hai , parantu pitā , paramabābā akṣhar śhōbhtā nahī̃ hai . Parampitā param-ātmā mānā paramātmā . Hai ātmā , parantu param hai , isliē unkō paramātmā kahā jātā hai ; kyōṅki paramdhām mē̃ rahtē haĩ . Param kō supreme bhī kahā jātā hai ; kyōṅki bāp supreme bāp hai aur supreme teacher hai , supreme sadaguru hai . Supreme kahā , tō guru kahā , tō sadaguru hī ṭhaharā|ṭhahrā . Tō barōbar bachchē jāntē haĩ key|kī bāp hamkō aisē lakṣhmī nārāyaṇ banātē haĩ . Aim-object yah hai nā - nar sē nārāyaṇ nārī sē lakṣhmī bannē key|kī . Gāyā bhī jātā hai-is samay mē̃ naśan sab mē̃ hai nuksān ' . Is samay mē̃ manuṣhyō̃ mē̃ jō bhī naśhē haĩ , maĩ kaśhmīr kā mahārājā hū̃ phalānē kā hū̃ maĩ karōṛpati hū̃ maĩ padampati hū̃ mērē pās|pass tō 10 phaikṭriyō̃ kā yā 10 kōī baṛī karōbār kā mālik hai , un lōgō̃ kō naśhā hai nā . Uf , bāt mat pūchhō unkē naśhē key|kī , parantu yahā̃ kōī rājā-vājā tō hai nahī̃ . Yah rāt pūrī hōtī hai brahmā key|kī aur din hōtā hai satyug . Kalahayug pūrā hōtā hai . Usmē̃ yē viśhva-mahārājan aur viśv-mahārānī , bas . Kabhī bhī dūsrā kōī viśhva-mahārājan yā mahārānī ban nahī̃ saktē haĩ sivāy inkē kul K|kē , kyōṅki kahā jātā hai - daivī kul . Abhī tum is samay mē̃ jāntē hō ki ham brāhmaṇ kul K|kē haĩ . Ham barōbar jō brāhmaṇ kul K|kē huē haĩ sō jarūr daivī kul K|kē bhī hōṅgē . Dēkhō , yah yād bhī rakhnī hai , bābā jō nitya kahtē haĩ - ēk tō apan kō light house samjhō , bōlatā-calatā-karma kartā manuṣhya . Light house tō jaṛ hōtē hai nā , vō banātē haĩ jō port kā rāstā batātē hai ki yahā̃ sē chakkar lagākar port mē̃ āō . Tō light house tum bhī hō . Tumhārī ēk ā̃kh mē̃ hai muktidhām , dūsrī mē̃ hai sukhdhām yā jīvanmuktidhām kahō aur baiṭhē hō yahā̃ duḥkhdhām mē̃ . Tum yah jāntē hō ki duḥkhdhām kabristān hōnē kā hai . Abhī hamkō sukhdhām chalnā hai via śāntidhām . Yah tō yād rah saktī hai yā yah bhī samjhānē key|kī kōī baṛī bāt hai ? Sirph yah yād rahnē sē ki barōbar yah duḥkhdhām hai , ham sukhdhām jā rahē haĩ via śāntidhām yā ham śāntidhām sē ātē haĩ sukhdhām , sukhdhām sē ātē haĩ duḥkhdhām mē̃ , kyōṅki 84 janma lēnē paṛtē haĩ . Yah bhī tō tum bachchō̃ kō mālūm hai ki chakra kaisā phirānā chāhiē ki barōbar ādhā kalp mē̃ 21 janm ham sukhdhām mē̃ rahtē haĩ ; kyōṅki āyu baṛī hōtī hai nā . Ādhā kalp tō rājāī kē liē miltā hai nā aur abhī ham saṅgamyug par haĩ . Saṅgamyug vālō̃ kō hī buddhi mē̃ yē knowledge hai . Jō kalahayug mē̃ haĩ , unkī buddhi mē̃ yah knowledge nahī̃ hai . Jō brāhmaṇ banā vō saṅgamyug mē̃ ā gayā . Gītā mē̃ likhā huā hai kyā ? Nahī̃ , kuchh bhī aisī bātē̃ nahī̃ likhī huī haĩ aur yē samajhnē key|kī bahut hai aur guhya hai . Yah samajhē̃gē bhī vō jō barōbar itnā puruṣhārth kartē haĩ ki ham barōbar viśhva kā mahārājan yā mahārānī banē̃gē aur ham aurō̃ kō bhī aisā sukhī banānē kē liē puruṣhārth karē̃gē . Jō invention sikhlātē haĩ , jō sīkhtē haĩ , vō invention aurō̃ kō sikhlātē rahtē haĩ , yē kāydā hai . Vāstav mē̃ jō kōī naī invention nikaltī hai tō government kō batāyā jātā hai ki bhaī , yah naī invention nikalī hai , yah bahut achchhī hai , phāyadēdār hai , bhārat kō bahut mālāmāl yā sukhī karēgī . Tō phir vō lōg apnē hāth mē̃ lē lētē haĩ . Pīchhē vō śhurū kar dētē haĩ ; kyōṅki government K|kē hāth mē̃ aisī invention I|āī|eye , parantu yahā̃ tō yē khud hī government hai . Vō government hī alag hai , vō hai kuru government yē hai pāṇḍu government . Kaurav government yē pāṇḍav government . Government gāī huī hai . Vāstav mē̃ na vō government hai , na yē government hai . Government kahā hī jātā hai rājdhānī kō . Rājdhānī mē̃ rājā-rānī jarūr chāhiē . Rājdhānī kā akṣhar hī rājā sē nikalā huā hai . Rājā tō yahā̃ kōī hai nahī̃ . Na hai kauravō̃ kō tāj , na hai pāṇḍavō̃ kō tāj . Dōnō̃ tājalēs haĩ aur vahā̃ mahābhārat mē̃ yā bhāgavat mē̃ likh diyā hai ki dōnō̃ kō tāj thā aur dōnō̃ nē hī juā par tāj rakhā thā . Dēkhō , yah dīpmālā hai nā . Tum lōgō̃ nē kal dialogue banāyā nā ki dēkhō is samay juā tō jarūr khēltē hōṅgē . Arē bhaī , juā kyō̃ khēltē haĩ ? Kahtē haĩ ki nahī̃ , isī samay mē̃ tō bhagvān nē pāṇḍavō̃ kō kauravō̃ sē juā khēlāī thī . Vō rahēgā tō juā khēlnē kā iljām tō unkē ūpar rahēgā nā , kyōṅki śhrīmat par thē , parantu kyā śhrīmat diyā hōgā pāṇḍavō̃ kō ki juā khēlō ? Kabhī nahī̃ . Śhrīmat sē jō śhrēṣhṭh bannē vālē , vō ulṭī mat kaisē dēgē ? Dēkhō , haĩ nā śhāstra sab dant-kathāē̃ . Worth not A penny ham lōg likhtē haĩ nā . Tum likh saktē hō , ḍarnā nahī̃ hai , tumkō bāp authority dētē haĩ . Tum samajhtē hō aur samajhāy saktē hō . Bigar samajhnē tum nahī̃ likh sakē̃gī . Ham gītā kē liē bhī kah dētē hai nā , tō ham jhūṭhī kyō̃ kahtē haĩ ? Śhrīmat bhagvān kaun ? Śhrī kr̥iṣhṇa . Dēṭ is wrong . Yah jhūṭh hō gaī . Śhrī tō ham kr̥iṣhṇa kō kah hī nahī̃ sakē̃gē . Śhrīmat bhagvān kr̥iṣhṇa vahā̃ kahā̃ sē āē̃gē ! Abhī tum jāntē hō nā , tumkō śhrīmat kaun dētē ? Śhrī-śhrī bhagvān śhiv , kyōṅki kr̥iṣhṇa kō bāp nē samjhāyā nā . Unkō śhrī kā title hai , śhrī-śhrī kr̥iṣhṇa nahī̃ kahē̃gē . Śhrī-śhrī rādhē nahī̃ kahē̃gē . Inkō kahē̃gē śhrī-śhrī . Kiskō ? Śhiv kō yā rudra kō ; kyōṅki vah rudra bābā bōltā hai - dēkhō , mērā nām rudra bhī hai . Śhiv bhī hai . Mērē kō tō bahut hī nām dētē haĩ ; paratu vāstav mē̃ mujhē śhiv mānā ēk purī bhī kahtē haĩ , not . Jab gintē haĩ nā - ēk , dō , tīn , chār , pañch , chhaḥ , phir purī . Purī mānā das hō gaē . Not bhī uskō kahā jātā hai . Abhī hai jaisā not , par not tō hōtī hai purī . Yah not kō phir star K|kē muāphik sajāyā jāy . Star kō tō sajāyā jātā hai nā . Tō bāp nē samajhāy diyā hai ki bachchē , ham lōg vāstav mē̃ haĩ hī jaisē star , ēk purī hai . Phir light nikaltī hai , jaisē star ban jātē haĩ . Ham lōg jab hīrō̃ kā star banātē haĩ nā , tō bhī aisā banā karkē unmē̃ points dē dētē haĩ , hō gayā class star . Tō yah bhī light key|kī points nikāl dētē haĩ tō star hō gayā . Vāstav mē̃ ātmā vā param-ātmā mānā paramātmā dōnō̃ hai ēk jaisē sirph vō bāp hai , vō rahtē hai paramdhām mē̃ aur bāp samjhātē hai . Samajhāēṅgā bhī tō vahī nā , bachchē thōṛē hī samjhā sakē̃gē . Unkō kahā hī jātā hai bābā , pitā , god father . Tō jarūr bachchē kahē̃gē nā aur itnē tō mūrkh haĩ , yē sab kahtē bhī haĩ - we are all brothers , brotherhood , phir jab ham brothers haĩ , tō jarūr sabkā ēk bāp hōnā chāhiē nā . Yū̃ tō harēk brother kā ēk bābā alag hai ; parantu yē jō sab ātmāē̃ haĩ brothers , unkā tō bāp ēk hōnā chāhiē nā . Uskō hī kahā jātā hai-paramapitā . Phir kyā kahā jātā hai ? Paramdhām mē̃ rahnē vālī ātmā yānī paramātmā . Abhī samjhā ? Tum lōgō̃ kō kiskō samjhānē kē liē difficulty lagēgī - jab itnā baṛā unkō dētē haĩ tō vō bachchē bōltē haĩ - tō ham kiskē sāth kiskō yād karē̃ ! Kyā inkō yād karē̃ ? Yē tō yād nahī̃ ātē haĩ . Kabhī hamnē yād nahī̃ kiyā . Hamēśhā sthūl kō yād kiyā yānī kr̥iṣhṇa kō yād kiyā , brahmā kō yād kiyā , viṣhṇu kō , śhaṅkar kō , yah sūrya kō , candramā kō , tārō̃ kō , sabkō dēkhā . Yē ham kaisē yād karē̃ ? Yē tō kuchh bhī baṛā hai . Bāp bōltē hai - maĩ itnā baṛā nahī̃ hū̃ vāstav mē̃ . Yah kyō̃ hamnē uṭhāyā hai ; kyōṅki śhivliṅg sō tō itnā hī dikhlātē haĩ aur sāligrām bhī isī śēp kā dikhlātē haĩ . Hai nā tumhārā bhī . Dēkhō , sūkṣhmavatan mē̃ sāligrām dikhlātē haĩ , śhiv kō baṛā dikhlāyā hai ; parantu vāstav mē̃ aisē hai bhī nahī̃ , kyōṅki hai hī star param-ātmā aur vō ātmā . Unkō param kahā jātā hai , paramdhām mē̃ rahnē vālī aur yē sabhī ātmā , jō punarjanma mē̃ ātī haĩ . Samjhā nā ! Vō param-ātmā punarjanma mē̃ nahī̃ ātī hai arthāt punarjanma miltā hī hai yahā̃ viśhva mē̃ . Punarjanma kōī sūkṣhmavatan mē̃ nahī̃ miltā hai . Mūlvatan mē̃ nahī̃ miltā hai . Miltā hī hai sthūlvatan mē̃ , viśhva mē̃ . Abhī dēkhō , tum achchhē bachchē , mīṭhē bachchē , lāḍlē bachchē , tumhārē sāmnē yah kaun baiṭhā huā hai ? Kaun baiṭh karkē samjhātē haĩ ? Abhī tum hī samajh sakō na inkō . Barōbar yah jō parampitā , paramdhām mē̃ rahnē vālī param-ātmā , vō khud kahtē haĩ ki mujhē yah prakr̥iti kā loan lēnā paṛē , nahī̃ tō maĩ bhalā tumkō kaisē samjhāū̃ ! Ham nar sē nārāyaṇ kaisē banāū̃ ! Kr̥iṣhṇa tō vāstav mē̃ hai hī nārāyaṇ . Kr̥iṣhṇa kō nārāyaṇ nahī̃ samajhtē , par vāstav mē̃ hai tō nārāyaṇ yānī svayamvar kē bād unkā nām nārāyaṇ rakhā jātā hai . Tō bāp baiṭh karkē yē sab bātē̃ samjhātē haĩ achchhī tarah sē ki mīṭhē bachchē , naśhā chāhiē . Jab chaltē-phirtē hō , ghūmtē hō , bābā pūchhtē haĩ - viśhva kā mahārājā bannē kē liē ham māyā par jīt pahan rahē haĩ . Yah bhārat nahī̃ , bômbē nahī̃ . Viśhva kā jab mahārājā bantē hō bômbē nahī̃ hōtā hai . Tō yē sabkō naśhā rahtā hai barōbar yā kōī-kōī kō rahtā hai ? Kyōṅki jō-jō kōī-kōī K|kē śaṅkāō̃ mē̃ hōṅgē tō yah naśhā nahī̃ chaṛhtā hōgā . Tumhārī mahimā hai ki agar ati indriya sukhmay jīvan key|kī avasthā pūchhnī hō tō gōpīvallabh K|kē gōp aur gōpiyō̃ sē pūchhō . Gōp aur gōpiyā̃ aur gōpīvallabh tō satyug mē̃ hōtā hī nahī̃ hai . Vahā̃ tō hai hī śahajādē-śahajādī , mālik aur rājāī . Tō jarūr yahā̃ key|kī bāt hōgī . Ati indriya sukh pūchhnā hō , tō likhā huā hai - gōp aur gōpikāō̃ sē pūchhō . Yah hai final K|kē samay key|kī bāt . Kyōṅki us samay mē̃ tum phāinailiṭī mē̃ ā jātē hō aur yah naśhā rahtā hai . Ab itnā naśhā nahī̃ rahtā , ab ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē hō . Dēkhō , sabhī kahtē haĩ key|kī ham viśhva key|kī mahārānī aur mahārājā banē̃gē aur yē itnā bhī nahī̃ kahtē haĩ - achchhā , ham viśhva key|kī rānī aur rājā banē̃gē , kyōṅki sītā kō title hai rānī ' aur unkō ' rājā ' aur unkō hai ' mahārānī-mahārājā ' . Phark hai . Yahā̃ bhī kāydā aisē hōtā hai - mahārājā-mahārānī baṛī , rānī aur rājā chhōṭā . Yē title miltē haĩ . Mahārānī kā title British government sē kōī lētē thē tō lākhō̃ dēnā paṛtā thā . Bahut . Kam sē kam krōṛ dō krōṛ dēgē tab unkō miltā thā , kyōṅki bābā in sab bātō̃ kā anubhavī hai nā . Jō rājā-rānī kā title lētā thā , tō vō lākh dō , pañch jarūr dētā thā aur agar kōī chāhē mujhē kōī dūsrā rāyabahādur kā title milē , tō 10-20 hajār dēnā paṛtā thā ; kyōṅki yah bābā kā anubhav hai , kiskō dilāyā thā . Samjhā nā ! Dilāyā thā , tō kōī 10-12 hajār diyā nahī̃ hai . Ēk saugāt dē dī 200 rupayē key|kī aur vō mil gayā . Nahī̃ tō lētē itnē haĩ . Tō yahā̃ bhī government sē kōī bhī agar māṅgē aur paisā dēvē tō kyā nahī̃ mil saktā hai . Jō kuchh chāhē tō government dē dēgē . Ab dēkhō is samay mē̃ , viśhva kā tō kōī hai nahī̃ aur tum bachchē baiṭhē hō . Tō yē guhya bāt hō gaī na tumhārī ab kōī dūsrē satsaṅg mē̃ tō yē bātē̃ nahī̃ hōṅgī na . Vō satsaṅg jō purānē haĩ , vō tō chalē ātē hai dvāpar sē ; paramparā kā arth|earth yah nahī̃ hai ki satyug sē chalē ātē haĩ . Nahī̃ , yē satsaṅg yānī bhaktimārg . Aisē tō nahī̃ ki bhaktimārg satyug sē chalā ātā hai . Arē , gyān aur bhakti . Ādhā kalp gyān , ādhā kalp bhakti . Ādhā kalp din , ādhā kalp rāt . Jarūr ādhā kalp gyān vālō̃ mē̃ tō yē bhakti nahī̃ hōgī na . Pīchhē pichhāṛī mē̃ hai bhakti . Tō vahā̃ sē lē karkē yah vēd-śāstr-granth vagairah paṛhtē āē huē haĩ . Paṛhtē-paṛhtē ā karkē tamōpradhān banē haĩ . Kyō̃ ? Bhakti avyabhichārī sē vyabhichārī bannī hai jarūr . Dvāpar mē̃ pahlē avyabhichārī bhakti , pīchhē nīchē utartē-utartē durgati key|kī bilkul hī tamōpradhān bhakti . Dēkhō , bhaktō̃ kō kitnā naśhā hai ! Vō gyān key|kī bāt sunē̃gē nahī̃ . Bōlē̃gē - nahī̃ - , gyān sē thōṛē hī bhagvān miltā hai , bhakti sē bhagvān miltā hai . Unsē pūñchē key|kī gyān sē kahē̃gē nahī̃ nahī̃ , bhakti sē bhagvān āē̃gē milnē kē liē . Gyān sē thōṛē hī milēgā . Tō sachmuch jō śhāstrō̃ kā gyān dētē haĩ unsē bhagvān nahī̃ miltā hai . Bhaktō̃ kō bhagvān miltē haĩ , kyōṅki unkō sākṣhātkār karātē hai . Śhāstra paṛhnē sē kabhī kiskō sākṣhātkār nahī̃ hōgā ; parantu bhaktō̃ kō agar baiṭh karkē kōī key|kī bhī , kr̥iṣhṇa key|kī yā kiskī bhakti , naudhā bhakti uskō kahā jātā hai , karē̃gē tō unkō sākṣhātkār hō jāēgā . Tō vō khuśh hō jātē haĩ . Vō samajhtē haĩ hamkō bhagvān milā . Bas , itnē tak hī vō khuśhī hai , bākī dūsrā kuchh bhī nahī̃ . Kōī aisē nahī̃ ki bhagvān milā tō mukti milī va jīvanmukti milī . Nahī̃ , kuchh bhī nahī̃ milī . Sirph bhagvān kā dīdār huā aur bahut achchhī tarah sē khuśh huā . Phir bhī bābā kahtē haĩ nā bhaktō̃ kō bhakti karnē sē sākṣhātkār hō saktē haĩ . Tum kitnā bhī baiṭh karkē śhāstra paṛhō , kiskā sākṣhātkār hō ? Kyā śhāstrō̃ kā sākṣhātkār ? Yē bāt hai bhāvnā key|kī tō dēkhō , khud hai nā , jō bhaktō̃ key|kī manōkāmanā pūrṇ kartē rahē alpkāl kṣhaṇbhaṅgur , sō baiṭh karkē samjhātē haĩ . Phir kōī bhī dēvtā banāō , bhalē guṛiyō̃ key|kī banāō , bhalē pū̃chh vālā banāvē , śhīśh vālā banāvē , bhagvān kō kuttē key|kī pū̃chh vālā banāvē , machchha banāvē , kachchha banāvē , hā̃ , unkī āśhā pūrṇ karnē kē liē maĩ unkō sākṣhātkār jarūr karātā hū̃ . Isliē manuṣhya samajh saktē haĩ ki machchha mē̃ bhī hai , kachchha mē̃ hai yā ṭhikkar mē̃ , bhittar mē̃ , isliē unhōnnē yah samajh liyā , par nahī̃ , yah tō alpkāl kṣhaṇbhaṅgur kē liē unkā dil khuśh kar dētā hū̃ . Abhī tō tum bachchē jāntē hō , tumhārī dil kitnī khuśh kartē haĩ ; kyōṅki tum bachchē hō , sō bhī sachchē bachchē ; kyōṅki sachchē bhī haĩ , kachchē bhī haĩ . Sachchē kō kahā jātā hai mātēlā aur kachchē kō kahā jātā hai sautēlā . Jō mātēlā hōgā , vō pratigyā karē̃gē aur phōṭō bhēj dēgē aur kadam-kadam par śhrīmat par chaltā rahēgā , jō bilkul pakkā hōgā . Jō unsē thōṛā kachchā hōtā hai , mātēlā bhī hōtā hai , tō bhī vō kadam-kadam par mat nahī̃ lēgā . Phir bhaṭaktē rahē̃gē , girtē rahē̃gē , lãgaṛātē rahē̃gē ; parantu nahī̃ , yahā̃ tō supreme paṇḍā , uskō kahā jātā hai rūhānī paṇḍā , paramdhām mē̃ lē jānē vālā aur paramdhām sē ānē vālā paramdhām sē āyā hai , jō kadam - kadam par śhrīmat dētā hai . Bōltā hai - maĩ āyā hū̃ paṇḍā ban karkē tum bachchō̃ kō kahā̃ lē jāū̃gā ? Phir apnē muktidhām , nirvāṇdhām lē jāū̃gā ; kyōṅki maĩ rahvāsī hī nirvāṇdhām kā hū̃ . Maĩ āyā hū̃ tumkō nirvāṇdhām lē chalnē kē liē ; isliē tō kahtā hū̃ nā ki hē bachchē , apnē nirvāṇdhām kō phir sē yād karō aur yē sārī duniyā uskē liē bhakti kartī rahtī hai . Jīvanmukti kē liē kōī kartē nahī̃ hai ; kyōṅki unkō kōī mat dēnē vālā hai nahī̃ . Kōī dēvtā tō hai nahī̃ , bākī haĩ sanyāsī , vō tō mukti vālē haĩ . Abhī vō kahtē haĩ ki dēkhō , maĩ sabkō sad gati aur gati dēnā vālā hū̃ . Sad gati tō . thōṛē kō milēgī nā , kyōṅki sad gati kā imtahān baṛā bhārī hai . Sad gati hai jīvanmukti , vō hai mukti . Mukti tō cum|kam hai nā ; kyōṅki jō mukti lē̃gē vō svarg nahī̃ dēkh sakē̃gē . Jō bhī dharm pīchhē ātē haĩ sivāy sūryavãśī-candravãśī K|kē , vō kōī bhī svarg mē̃ nahī̃ jā saktē haĩ , svarg K|kē sukh dēkh nahī̃ saktē haĩ . Yē wonderful vaikuṇṭha nahī̃ dēkh saktē haĩ . Unmē̃ ā nahī̃ saktē haĩ ; kyōṅki yahā̃ tō pūrā lāyak bannā paṛē . Bāp ākar K|kē khud jō lāyak thē sūryavanśhī , unkō māyā nē bilkul hī nālāyak banāy diyā . Tō nālāyak kō phir lāyak banāvē̃ , tab tō sūryavanśhī banē nā . Nālāyak kahā jātā hai yē bandarō̃ kō , yē bandar sē badtar , manuṣhya kō bandar sē bhī badtar tō abhī harēk apan sē pūchhtā rahē maĩ lakṣhmī athavā nārāyaṇ kō varnē lāyak banā athavā banī hū̃ ? Naśhā tō caḍhatā hai sabkō . Kahtē haĩ - ham nārāyaṇ kō varē̃gē yā lakṣhmī kō varē̃gē . Abhī apnī sikal apnē hī darpaṇ mē̃ dēkhō . Uskō kahā jātā hai andar kā darpaṇ . Yah vālā darpaṇ yā āīnā nahī̃ . Barōbar jāntē hō ki śhrī lakṣhmī mama nārāyaṇ varē̃gī . Yah tō pakkā jāntē hō . Abhī harēk bachchē pūchhtē hai , ēk tō nahī̃ pūchhtē haĩ nā . Bābā ham bhī pūchhtē haĩ , hamārī avasthā āp samajhtē hō , aisī hai jō ham lakṣhmī kō yā nārāyaṇ kō var sakē̃gē . Jab nārāyaṇ kō varnā hai tō bābā bōltē haĩ - tum apnē darpaṇ mē̃ mũh dēkhō ki yah kām , krōdh , lōbh , aśhuddha ahaṅkār par tumnē kahā̃ tak vijay pāī hai ? Bākī kaun bhūt haĩ tumhārē mē̃ ? Hā̃ , bābā mujhē krōdh ātā hai . Phir tum śhrī nārāyaṇ kō varnē kē liē lāyak samajhtē hō ? Yah apnē dil sē pūchhō , ismē̃ kyā bāt hai ! Tumkō yah chhōṛnā paṛēgā . Ab ismē̃ pūchhnē key|kī tō darkār nahī̃ hai na . Bāp samjhā dētē haĩ apnī darpaṇ mē̃ pūchhō ki tumhārē mē̃ kām kā bhūt hai ? Bhalē is samay mē̃ tum kachchē hō . Yah tō baiṭh karkē kōī nē pichhāṛī mē̃ pūchhā hai nā key|kī ham var sakē̃gē . Tō dēkhō , bāt kahā̃ key|kī baiṭh karkē kahā̃ , aur yahā̃ bābā khud pūchhtē rahtē haĩ - mērē lāḍlē bachchē , hāth tō uṭhātē hō ki ham śhrī nārāyaṇ kō varē̃gē , nahī̃-nahī̃ ham śhrī rāmacandra kō nahī̃ varē̃gē vā ham māyā sē hārē̃gē thōṛē hī yā ham nā-pass thōṛē hī hōṅgē , 33 marks sē bhī cum|kam thōṛē hī jāē̃gē , āpkē aisē nālāyak bachchē thōṛē hī haĩ , kyōṅki nālāyak bachchē huē nā , jō bāp kō kahē ki bābā , ham tō 33 marks tak bhī pās|pass nahī̃ hō saktē . Bābā bōlē̃gē - tum tō baṛē nālāyak hō . Agyān kāl mē̃ kōī school kā bachchā hō , bāp pūchhē - arē , pās|pass hōṅgē ? Nahī̃ bābā , ham 33 marks sē bhī nīchē chalā jāū̃gā yānī pās|pass hōū̃gā par yah kachchā . Arē , tum tō mūrkh hō , baṛē nālāyak hō . Yah bēhad kā bāp bhī bachchō̃ sē pūchhtē haĩ - arē , bachchē puruṣhārth kartē hō ? Dēkhō , tum nārāyaṇ kō varnē kē liē kahtē hō , apnē dil sē pūchhō - kōī kām hai ? Krōdh hai ? Bhalē agar hai tō miṭātē jāō . Kōī bhī aisā kām karē̃gē , kōī kē ūpar krōdh karē̃gē tō kulakalaṅkit banē̃gē . Kulakalaṅk mānā īśhvar kō bhī kalaṅk lagāē̃gē , tō unkē kul kō bhī kalaṅk lagāē̃gē aur agar kul kō kalaṅk lagāē̃gē tō tumhārā register kharāb hō jāēgā aur tumkō baṛā ghāṭā paṛēgā . Tō bilkul hī khabardār chāhiē . Kām nahī̃ , kōī krōdh nahī̃ , lōbh nahī̃ , kōī mōh nahī̃ . Yē sabhī miṭānā hōtā hai . Mañjil hai ūñchī . Āē haĩ paṛhnē kē liē ki ham śhrī lakṣhmī nārāyaṇ banē̃gē , tō bachchē bāp aur mā̃ kō follow karō . Bahut mīṭhē banō . Dēkhō , kitnā mīṭhā , kitnā pyārā śhivbābā kahtē hō nā . Bāp kahtē haĩ - tum apnē dil rūpī darpaṇ sē pūchhō - tum itnē mīṭhē hō ? Itnē pyārē hō ? Tumkō sab kōī aisā pyār kartē haĩ ? Jaisē mammā-bābā kō pyār kartē haĩ , vaisē tumhārē mē̃ sē kōī aisē banē̃ , jō inkō pyār kartē haĩ ? Barōbar aisē haĩ jinkō bahut pyār kartē haĩ . Kiskō ? Jō āp samān banānē kā puruṣhārth kartē haĩ , jaisē bābā nām bhī lētē haĩ . Kumārkā hai , vō baṛē dhanvān K|kē ghar mē̃ kilē mē̃ baiṭhī huī hai . Vahā̃ baṛē dhanvān ātē haĩ . Baṛē-baṛē sanyāsī , kā̃grēs vālē ātē haĩ , unkō baiṭh karkē vō samjhātē haĩ . Phir dēkhō , kānpur mē̃ achchhī-achchhī gaṅgē hai . Mūmalī bachchī hai . Nām lē̃gē nā ! Jaisē kahā jātā hai nā - yah pāṇḍav sēnā mē̃ kaun - kaun mahārathī haĩ . Kaurav sēnā mē̃ kaun - kaun mahārathī haĩ , batāū̃ tum bachchō kō kaurav sēnā mē̃ ōh ! Prēsiḍēṇṭ rādhākr̥ṣṇan ! Tumkō batātē haĩ kaun - kaun baṛē haĩ . Phir dēkhō , nēhrū jī kitnā baṛā hai . Phir dēkhō , yē cīph-minisṭarsa , yē phalānā , kaurav sēnā K|kē ēk-ēk rājdhānī kā cīph-minisṭarsa phalānā hai nā . Yē aisē kyō̃ banē ? Inhōnnē kā̃grēs kō madad dī thī , bāpū jī kō , jō bichārē chāhtē thē ki ham rāmrājya sthāpan karē̃gē . Vō chāhtā thā ; parantu vō tō nahī̃ kar sakē na . Tō vō kuchh na kuchh kar diyā , tō kaurav rājya sthāpan kar diyā . Jō na thā , yē drama mē̃ vō hōnē kā thā , jinhōnnē madad dī|the , dēkhō , haĩ nā unkē ūpar . Achchhā , yahā̃ bhī dēkhō , pāṇḍav sēnā mē̃ kaun-kaun mahārathī haĩ . Batāyā nā - mama hai , bābā hai . Achchhā , phir inmē̃ nām batāyā nā - vō manōhar bēṭī hai . Vō bahut achchhā sambhāltī hai . Dēkhō , yah hamārī dīdī I|āī|eye huī hai . Achchhā hai nā ! Kitnē centres kō sambhāl baiṭhī hai . Yahā̃ dēkhō , hamārī ratan hai , yah dēkhō dēvtā hai . Mēraṭh kā vō mahārathī dēkhā huā hai nā . Aisē-aisē abhī kitnē nām batāē̃gē . Hai tō sahī nā ! Abhī bāt yahā̃ kī hai nā . Dēkhō , hai yahā̃ key|kī bāt aur gītā mē̃ kyā likhā hai , bhāgavat mē̃ kyā likhā hai , rāmāyaṇ mē̃ kyā likhā hai ? Sabhī inkī śākhē̃ banāī haĩ . Rāmāyaṇ kōī dharmaśhāstra nahī̃ hai aur mahābhārat iskā hī dharmaśhāstra banāyā hai . Usmē̃ bhī gapōṛē lagāy diyā hai . Bhāgavat bhī iskā hī banāyā hai . Achchhā , pāsabhāg bhī hai tō yahā̃ kā hī banāyā huā , nahī̃ tō pāsabhāg kahā̃ sē āyā ! Kōī rāmacandra kē pās tō thā hī nahī̃ . Is duniyā mē̃ rāmacandra kōī agyānī thōṛē hī thā . Vō tō prālabdh bhōg rahē haĩ , unkō gyān key|kī kyā darkār hai . Tō vaśiṣṭha bhī phāltū . Bāp ākar K|kē batātē haĩ nā . Kahā nā - maĩ tumkō sabhī vēdō̃-granth aur śhāstrō̃ kā sār batātā hū̃ . Bābā kahtē haĩ yah bhī bahut paṛhtā thā . In lōg K|kē bhī ḍabbē mē̃ ṭhīkarī thī . Yah bhī ṭhīkar thā . Abhī ṭhīkar sē ṭhākur ban rahā hai . Tum bhī aisē ban rahē hō nā bachchē - ṭhīkar sē ṭhākur . Pattharbuddhi sē pārasbuddhi arthāt pārasnāth ban rahē hō . Ham śhrī rāmacandra aur sītā kō pārasnāth nahī̃ kahē̃gē . Chāndī kā alloy paṛ jātā hai nā . Uskō kahā jātā hai silver age aur tum hō golden age vālē . Bāp kahtē haĩ - bachchē , apnē dil rūpī darpaṇ mē̃ pūchhtē rahnā ham barōbar aśharīrī haĩ ? Bābā K|kē bachchē haĩ ? Hamkō dēh kā abhimān tō nahī̃ hai ? Dēh K|kē abhimānī hō ? Apan kō aśharīrī samajh karkē , uṭhtē-baiṭhtē , yānī uṭhnā-baiṭhnā tō śharīr kē sāth hōgā nā , parantu niśhchay tō hōgā nā . Aisē tō nahī̃ , hamkō kōī ātmā kō realise karnā hai . Nahī̃ , paramātmā kō realise karnā hai , bhagvān kō jānnā hai . Arē , ātmā tō sadaiv chāhtī hai ki maĩ bāp kō jānū̃ . Aisē kahā jātā hai . Tō ātmā kō gyān chāhiē , kiskī ? Bāp key|kī . Śharīr tō hai ātmā harēk key|kī , aham ātmā mam śharīr . Sō tō sab hai ham ātmāē̃ . Abhī unkō bhagvān sē milnā hai . Bhagvān kō realise karnā hai . Tō bhagvān ā karkē bachchō̃ kō realise karāēgā nā , nahī̃ tō kaisē bhagvān ! Bāp āē , tab bachchō̃ kō ā karkē janm dē , mukhvaṅśhāvalī banāvē , phir unkō apnā parichay dēvē . Dēkhō , tum mukhvaṅśhāvalī banē hō , tumkō sab parichay dētē haĩ , sārā rāj samjhātē rahtē haĩ . Abhī dil sē pūchhō hamkō naśhā hai ki ham viśhva K|kē mahārājan banē̃gē ? Abhī kōī viśhva K|kē mahārājan hai ! Iskō kaisē milī viśhva key|kī mahārānī aur viśhva K|kē mahārājan kā pad ? Kissē laṛāī kī yā kissē inahērīṭēnsa liyā ? Isnē kaun-sā karma kiyā jō yē itnē banē ? Kisnē vō karma sikhlāyā ? Inkā mā̃-bāp kaun thā ? Bāp thā , guru thā , teacher thā ? Abhī tum jān gaē nā , inkā kaun hai ! Śhivbābā . Abhī bachchō̃ kō kitnī achchhī samjhānī miltī hai bilkul hī rōj-rōj ; parantu yahā̃ jō baiṭh karkē samajhtē hō nā , jab talak tumkō yah baiṭh karkē dose pilātē rahtē haĩ , is samay mē̃ tum lōgō̃ kō bahut achchhā lagtā hai . Jō bichārē kuchh bhī na samajhtē hō̃ unkō harēk kō bhī bahut mīṭhā lagtā hai ; parantu is samay kā naśhā chaṛhtā hai . Bābā kahtē haĩ nā , jaisē vō bachchā garbhajail sē nikaltā hai , añjām kartā hai - bābā , ham kabhī bhī pāp nahī̃ karē̃gē . Bāhar nikalnē sē vahā̃ key|kī vahā̃ rahī . Inmē̃ bhī kaī aisē hī haĩ . Bābā sabkē liē nahī̃ kahē̃gē . Yahā̃ sē sīḍhī utarē , nīchē gaē , bas , yē bātē̃ sab uṛ jātī haĩ . Kiskō sunāy nahī̃ saktē . Bhalā kyō̃ ? Jab kuchh sunā jātā hai , tō kōī kō sunānē kē liē sunā jātā hai . Jātē haĩ kathā sunnē kē liē , kisliē ? Sirph apnē liē ! Nahī̃ , aurō̃ kō bhī tō sunānā chāhiē , kiskō ghar mē̃ jā karkē sunānā chāhiē nā . Kōī kuchh bhī nahī̃ sunāy saktē , kyōṅki vahā̃ sē sunā aur bāhar mē̃ khalās . Yahā̃ bhī aisē ; parantu yahā̃ tō aisē nahī̃ karnā chāhiē nā , yah tō study hai , parantu bahut nikaltē haĩ . Jō achchhē , mīṭhē , lāḍlē bachchē haĩ , vō nōṭ C lētē haĩ . Nōṭ C lē karkē phir kōśhiśh kartē haĩ ki achchhā , rāt kō bhī ham jā karkē phir bhī yah bābā key|kī murlī sunū̃ . Isliē tapes banāyā , dēkhō kitnā kharchā hai tapes kē ūpar ! Tapes miltē hī nahī̃ haĩ . Aiḍavarṭāij bhī nahī̃ kar saktē haĩ . Phir jissē lē̃gē nā , government ākar pūchhtī hai - tape kahā̃ sē liyā ? Vahā̃ sē chōrī kā tō nahī̃ hai ? Bil batāō . Bil nahī̃ batāē̃gē , yē jabta huā . Tumnē jarūr kahā̃ sē kuchh chōrī karkē lāyā yā chōr vālō̃ sē liyā hai . Bil chāhiē . Abhī dēkhō , chāhiē tō bahut tapes . Ḍajan bhar tō abhī chāhiē tapes . Ḍajan bhar tapes kōī baṛī bāt thōṛē hī hai . Tape kā mūlya kitnā hai 1500 ḍajan . Kitnā huā ? Kharchā 15 hajār , 20 hajār , 25 hajār . Yah tō kuchh bhī nahī̃ hai . Śhivbābā kē āgē kuchh mahatva thōṛē hī hai iskā ; parantu miltē nahī̃ haĩ . Agar ātē haĩ bigar bil tō duty bhī paṛtī hai , tō ḍaṇḍē bhī paṛtē haĩ , tō phalānā bhī paṛtā hai . Bāt mat pūchhō ! Achchhā , ab bāp nē kahā nā , bachchō̃ kō chāhiē tō dō-dō daphā sunē̃ , tīn-tīn daphā sunē̃ , jitnī bhī phursat hō , kyōṅki 10 ghaṇṭā chāhiē . Mātāō̃ kō tō bahut phursat hai . Kanyāō̃ kō tō sabsē jāstī phursat hai . Hai nā ! Achchhā , jab subah kō office mē̃ jātē haĩ , 10 bajē jāē̃gē . 6 ghaṭā kām kartē haĩ , 8 ghaṇṭā chalō . Ēk satō ēk rajō ēk tamō aisē hōtā hai nā . Ēk uttam , ēk madhyam , ēk kaniṣhṭha . Tum yah sahaj kar samajh jāē̃gē ki ismē̃ uttam puruṣhārthī kaun hai , madhyam kaun hai , kaniṣhṭha kaun hai . Yah bhī tō sabhī samajh saktē hō . Bābā kahtē haĩ uttam banō . Time bahut hai . Jinkō puruṣhārth karnā hai . Subah kō jāō , yah tumhārī service par hai . Śhām kō ā karkē sunō , 8 bajē āō , 9 bajē āō , phir apan kō refresh karō , kuchh dhārṇā hō . Jō puruṣhārth karēgā vō hī pā sakēgā nā . Achchhā , abhī bābā samjhāyā nā , tum viśhva K|kē aisē bantē hō ! Dēkhō yahā̃ key|kī knowledge , aim-object kyā hai ? Yah , lakṣhmī nārāyaṇ . Sītā-rām key|kī nahī̃ . Yē bachchē kahtē haĩ hamārī aim-object yah hai . Ham kyō̃ nā-pass hōṅgē ? Tum apnē darpaṇ mē̃ dēkhtē rahō ki kōī rāvaṇ kā naśhā tō nahī̃ hai ? Nārāyaṇī naśhā hai , rāvaṇ kā naśhā tō nahī̃ hai ? Bachchē rāvaṇ key|kī tō bātē̃ jāntē haĩ ki kaun-sē naśhē hōtē haĩ . Rām K|kē naśhē aur rāvaṇ K|kē naśhē , sō tō bachchē jān gaē . Yā tō nārāyaṇī naśhā , yā tō āsurī naśhā . Tō vō naśhā chāhiē . Bābā ghūmnē jātē haĩ tō bhī andar mē̃ tō rahtā hai nā ki dēkhō ham viśhva K|kē mahārājā banē̃gē . Us samay mē̃ bômbē-vômbē nahī̃ hōgā . Bahut thōṛē hōṅgē . Viśhva K|kē yē mahārājan banē̃gē . Jab sītā-rām banē̃gē nā , tō manuṣhya bahut hōṅgē . Nahī̃ , phir bhī jitnē thōṛē viśhva K|kē mahārājā , itnē achchhē . Tō bachchō̃ kō hamēśhā ū̃ch puruṣhārth karnā chāhiē . School mē̃ student hōtē haĩ sō bhī hamēśhā puruṣhārth hōtā hai ki maĩ monitor banū̃ yānī pass with honour banū̃ . Tō tum bachchō̃ kō bhī yahā̃ puruṣhārth karnā chāhiē aur yah tumhārā puruṣhārth phir kalp-kalp kā puruṣhārth ban jānā hai ; isliē bābā aur hī kahtē haĩ . Vō school kā monitor bannā hai aisē nahī̃ kahtē haĩ . Nahī̃ , yah abhī kalp-kalp kā banēgā , isliē puruṣhārth bahut pūrā chāhiē . Ēkdam lag paṛnā chāhiē . Śharīr nirvāh kē liē vō bhalē jākar dhandhā karē̃ , vyavahār karē̃ , vō bhalē ghar kā bāl-bachchā sambhālē aur rōṭī-vōṭī pakāvē̃ ; paratu bōltē haĩ ēk tō kamal-phūl K|kē samān pavitra rahō aur dūsrā , yah purānī duniyā hai , issē mamatva kyā lagānā hai . Purānī jutttī mē̃ mamatva kyā lagānā hai ! Purānī ātmā mē̃ mamatva kyā lagānā hai ! Mamatva lagānā hai ēk śhivbābā sē , jiskō yād karnē sē ham bilkul hī pure hō jāē̃gē . Jyōt bilkul jag jāēgī . Yah battery ḍhīlī hō jātī hai , tō battery kō bhī full karnē kē liē machine mē̃ ḍāltē haĩ nā . Tō yah bhī aisī hai . Tumhārī ātmā key|kī jō battery hai nā , yah ēkdam bilkul hī dull hō gaī hai . Aisē nahī̃ hai ki ujhānī gaī hai . Nahī̃ , bākī thōṛī ēkdam . Dēkhā hai kabhī ? Dīvā jab pichhāṛī kō hōtē haĩ tō thōṛī ciṅgāriyā̃ rah jātī hai , phir usmē̃ vō tēl ḍālō tō jāg jāēgī ; kyōṅki yah ātmā ēkdam ṭhaṇḍī nahī̃ hō jātī hai , patthar nahī̃ hō jātī hai . Kuchh rah jātē hai . Tō jyōt jagānē vālā huā nā . Hē sajniyā̃ ab navyug āyā , jāgō . Ō sajniyā̃ abhī apnī ātmā key|kī battery kō full bharō . Kissē ? Yōg sē . Yōg sē tumhārī jyōti jag jāēgī . Achchhā , ab bachchō̃ sē vidāī . Ab ṭōlī lē āō . Hā̃ , śhivbābā kā gīt sunāō . Tum samajhtē hō nā , bāp aur dādā dōnō̃ āpas mē̃ bāt kartē haĩ . Vō bhī kartē haĩ , vō bhī kartē haĩ . Vō bhī samjhātē haĩ , vō bhī samjhātē haĩ . Ismē̃ dōnō̃ hō gaē nā ; isliē iskō kahā jātā hai bāpdādā ; kyōki bāp brahmā dvārā baiṭh karkē śhāstrō̃ kā rāz samjhāē̃gē . Tō unkō brahmā mē̃ ānā paṛē nā aur phir batātē haĩ ki yē brahmā kā hī gāyā huā - brahmā kī rāt , brahmā kā din . Kahnā tō sahaj hai , parantu kōī jāntē thōṛē hī hai - brahmā ūpar vālā , sūkṣhmavatan vālā , unkā din-rāt kahā̃ sē āyā ? Jarūr prajāpitā yahā̃ kā hōgā , parantu yah thōṛē hī kōī vidvān-ācārya samajhtē haĩ . Unkē bhī ḍabbē mē̃ ṭhīkariyā̃ haĩ . Samjhā nā ! Vō bhī isliē ki vō bhī abhī ṭhikkar K|kē bartan haĩ ; parantu nahī̃ , pavitra rahtē haĩ nā , isliē jō apavitr haĩ vō matthā ṭēktē haĩ sō tō kanyāō̃ kō bhī ṭēktē haĩ . Jō kanyā hōtī hai unkō bhī tō matthā ṭēktē haĩ . Kanyā aur kumār kō ham rāvaṇ nahī̃ kah saktē ; kyōṅki yugal chāhiē nā , 10 śhīśh chāhiē nā . 10 śhīśh bantē haĩ tab , jab śhādī kartē haĩ vikār mē̃ jātē haĩ . Tō phir unkō kahā jātā hai rāvaṇ key|kī sampradāy . Jab bachchē haĩ tab pavitra haĩ . Phir bhī aisī sampradāy ban jāēgī . Tō iskō kahā jātā hai ' rāvaṇ-sampradāy ' athavā ' āsurī-sampradāy ' . Mahimā hai tō ēk kī hai . Kyō̃ ? Vō na hōtā , tō yē jō lakṣhmī nārāyaṇ thē , jō abhī kabradākhil haĩ unkō jagāvē kaun ! Tō sabkō , yē lakṣhmī nārāyaṇ kō svarg kā sukh dēnē vālā kaun ? Vō bāp . Yē bhārat kō pāvan banānē vālā , svarg banānē vālā kaun ? Bāp . Tō ēk hī key|kī mahimā huī nā . Dūsrē kōī key|kī bhī mahimā nahī̃ hai . Bākī pāī-paisē key|kī mahimā tō nambaravār bahut hōtī hī hai . Harēk key|kī nambaravār hōtī hai , kinkī bahut , kinkī thōṛī , kinkī thōṛī . Aur inkī kōī itnī mahimā hī nahī̃ hai ki kōī manātē hī nahī̃ haĩ . Kōī jāntē hī nahī̃ , tō manāvē kaisē ! Abhī ham gātē haĩ nā , gātē tō śhiv bābā kō haĩ parantu śhivbābā K|kē nām-rūp , dēś-kāl kō kōī jāntē thōṛē hī haĩ . Bilkul nahī̃ ; kyōṅki bhārat mē̃ bhī agar liṅg hai nā , tō yah tō baṛā hai inkō tō kōī kahē̃gē nahī . Samjhā nā ! Paratu nahī̃ , pūjā kartē haĩ , hai jarūr ; par kōī rāz hai . Tō svayã ā karkē samjhātē haĩ . Phir bhī kahnā tō sabkō paṛē nā , śhivbābā kō yād karō , śhivbābā kō yād karō . Agar ham unkō kahē̃ ki nahī̃ , param-ātmā kō yād karō , tō samjhā nahī̃ . Param-ātmā kā nām chāhiē nā . Sō hāth uṭhāō . Vahā̃ bachchō̃ kē pās ātī haĩ bachchī . Yahā̃ ēk bachchī śhāyad dētī hai , jō vō nahī̃ dētī hai , dērī paṛtī hai , rōj-rōj bōltā hū̃ . Record : kitnā mīṭhā kitnā pyārā śhiv bhōlā bhagvān … dēkhō , unkī mahimā hai . Inkō bhī vō mīṭhā banāy rahē haĩ aur bahut mīṭhā banātē haĩ . Dēkhtē haĩ ki mīṭhā hai nā bahut ! Tō tum sabkō bhī mīṭhā bannā hai , kōī kō duḥkh nahī̃ dēnā hai . Duḥkh dēgē , duḥkhī hōkar marē̃gē , marē̃gē , marē̃gē . Ab yah śhrāp nahī̃ hai . Yah tō rāy sē bāp samjhātē haĩ , arē ! Bahut mīṭhē banō . Tumhē̃ is bhārat kō bahut mīṭhā banānā hai . Samjhā nā ! Svarg tō mīṭhā hai nā . Abhī yah nark tō bahut kaḍuvā hai nā , chhī-chhī ! Bahut mīṭhā tum hō . Tum mīṭhē banē̃gē tab tō vahā̃ pahuchēṅgē na , ēkdam mīṭhē . Yah sirph tumhārē rahnē kā sthān nahī̃ , madhuban hai . One hai nā . vō jaṅgal hai . Unkā kōī mahal thōṛē hī hai ! Parantu one hai . Bachchiyā̃ suntī hō ? Ghar mē̃ bhī kiskō tum dukh dēgē , nām badnām karē̃gē ki yah vahā̃ jātī hai , jinkē liē kahā jātā hai ki tum ēkdam sabkō sukh dō . Yah tō dēkhō , krōdh kartē haĩ , yah tō insē rūṭh gayā hai , yah insē bāt nahī kartē haĩ . Aisī - aisī hamārī brahmākumāriyā̃ bhī haĩ , rūṭhtī haĩ . Kōī sē ruṭhē , tō unsē bāt na karē . Tō bābā kahtē haĩ nā ki puruṣhārthī haĩ . Yah tumhārī mahimā ant kī hai - atīndriya sukh pūchhnā hō , tō gōpīvallabh K|kē gōpagōpiyō̃ sē pūchhō . Abhī tum puruṣhārthī hō , maĩ jāntā hū̃ . Khud brāhamaṇī bahutō̃ kō nārāj kartī hai , rūṭhī hai tō unsē bāt nahī̃ karēgī . Vō bāt na karē , vō dūsrī bāt hai ; parantu brāhamaṇī khud bhī kissē rūṭhtī hai tō unkō taṅg kartī hai . Unsē bāt nahī̃ karē̃gī , yah karē̃gī , vō karē̃gī . Tō aisē tō sārī duniyā hai nā , khārī channel hai . Lūn aur pānī , khaṇḍ kā nām hī nahī̃ hai . Vō lūn aur pānī , yah khaṇḍ aur khīr . Tō itnā tō mīṭhā bannā hai . Achchhā , bāp-dādā , mīṭhī-mīṭhī jagadambā kā , mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ kō yādpyār good morning . Jagadambā kiskō kahā jātā hai - manōkāmanā pūrṇ karnē vālī !