मंगलवार 14 जनवरी 1964 की साकार मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

14-01-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , ājamaṅgalavār January key|kī caudah tārīkh hai prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .

Pāvan duniyā kahā jātā hai satyug kō , naī duniyā kō aur patit duniyā kahā jātā hai purānī duniyā kō , kalahayug kō . Abhī kahā̃ baiṭhē hō  ? Kalahayug K|kē ant mē̃ baiṭhē hō  ; kyōṅki jiskō pukārā hai bābā , ā karkē ham sabkō pāvan banāō . Hamkō kiskō  ? Aham ātmā kō  ; kyōṅki ātmā kō hī pavitra bannā hai . Jab ātmā pavitra ban jāēgī tō śharīr bhī pavitra milēgā . Ātmā patit hai tō śharīr bhī patit milēgā . Yē jō pañch miṭ ‌ T kā putlā bantā hai nā , parantu ātmā tō avināśhī hai . Vō ātmā khud in organs jō mouth hai , unsē kahtī hai . Pukārtī hai ki ham patit ban gaē haĩ , ā karkē pāvan banāō . Bāp pāvan banātē haĩ , pañch vikār rūpī rāvaṇ patit banātē haĩ . Pāvan satyug kō kahā jātā hai , patit kalahayug kō kahā jātā hai . Abhī kalahayug hai nā bachchē . Abhī tumkō smr̥iti dilāī ki tum pāvan thē . phir aisē-aisē nīchē utartē , 84 janma lē karkē , tum bahut janm K|kē ant K|kē janm K|kē bhī ant mē̃ ā paṛē hō . Abhī 84 janm pūrā huā hai . Yē jō manuṣhya sr̥iṣhṭi kā jhāṛ hai , jiskā abhī bāp kahtē haĩ , maĩ bījrūp hū̃ kyōṅki maĩ ūpar mē̃ rahtā hū̃ nā . Tō mujhē aisē bulātē haĩ - hē parampitā paramātmā  ! Aṅgrējī mē̃ bhī kahtē haĩ - ō god father  ! Liberate me . Abhī aisē nahī̃ kahtē haĩ . Harēk apnē liē hī māṅgtē haĩ - liberate me and guide me . Mujhē chhuṛāō bhī aur mērā paṇḍā ban karkē ghar mē̃ lē jāō , śāntidhām lē jāō . Yahā̃ jō bhī sanyāsī vagairah ātē haĩ … vō kahtē haĩ sthāyī śhānti kaisē milē  ? Abhī śhānti tō mūlvatan mē̃ hī hōtī hai , jahā̃ hamārā nivās hai , jahā̃ sē ham part bajānē ātē haĩ . Vahā̃ śharīr tō nahī̃ hōtā hai nā . Vahā̃ naṅgē rahtē haĩ arthāt śharīr nahī̃ hōtā hai . Naṅgī hōnē kā matlab aisē nahī̃ ki kapṛā ( chōlā ) nahī̃ pahantē haĩ . … ( bābā ) kahtē haĩ bachchō̃ kō , jab tum apnē ghar śāntidhām yā nirākār duniyā mē̃ rahtē hō , vō bhī duniyā hai nā , ātmāō̃ key|kī duniyā . Yē mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchē jō āē haĩ inkō yē sīṛhī par samjhāō ki kaisē ham sīṛhī sē utartē haĩ . Hamkō 84 janm lag gaē haĩ . Abhī sabkō 84 janm nahī̃ miltē haĩ . Yah hai maximum bēhad 84 janm . Phir kōī ēk janm bhī lētē haĩ . Hamēśhā one two|to|too ēṭī four  ; kyōṅki ātmā ātī hī rahtī hai . Abhī bāp kahtē haĩ maĩ āyā hū̃ tum bachchō̃ kō pāvan banānē  ; kyōki inkō kyā kahtē haĩ  ? Sabhī ciṭ ‌ ṭhī kyā likhtē haĩ  ? Śhivbābā care of brahmā bābā . Dōnō̃ bābā . Śhivbābā hai sabhī ātmāō̃ kā bābā aur phir brahmā kō kahā jātā hai ādidēv , Adam , dādā . Tō dēkhō , yē dādā mē̃ bāp ātē haĩ . Mukh chāhiē . Bāp kahtē haĩ ki tumnē jab mujhē bulāyā ki hē patit pāvan bābā  ! Kisnē bulāyā  ? Ātmā nē bulāyā nā . Ātmā nē in śharīr sē bulāyā , mukh sē bulāyā . Ātmā tō ismē̃ sabhī kuchh kartī hai nā . Śharīr tō pañch tatvō̃ kā banā huā ēk piṇḍ hai . Vō tō miṭ ‌ T hō jātā hai . Ātmā tō miṭ ‌ T nahī̃ hōtī hai nā . Tō bābā kō ātmāō̃ nē bulāyā jīv ātmāō̃ nē bulāyā hai  ; kyōṅki is samay mē̃ duḥkh hai , kalahayug hai . Akālē mr̥iityu bhī hō jātī hai . Kāl jab chāhiē tab drama K|kē plan anusār apnā kārya kartā hai . Yah hai drama . Chhōṭē bhī mar paṛtē hamm . Vah satyug mē̃ kiskō akālē mr̥iityu bilkul hōtī nahī̃ hai . Yahā̃ tō kōī bhī baiṭhē-baiṭhē hī gir gayā , kyā huā heart fail huā , mar gayā . Vahā̃ aisē kōī bīmārī nahī̃ hōtī hai . Uskā nām hī dēkhō kitnā achchhā hai , kahnē sē hī khuśhī ātī hai - svarg , heaven bahiśht . Yē aṅgrēj lōg paradise kahtē hai , kyōṅki bhāṣāē̃ alag-alag haĩ nā . Tō yahā̃ bhārat mē̃ jiskō svarg kahtē haĩ uskō kriściyan lōg paradise kahtē haĩ . Abhī unkō yē bhī mālūm hai ki is kriściyan dharm K|kē 3000 varṣh pahlē paradise thā aur jō yahā̃ vālē haĩ unkō yah bhī mālūm nahī̃ . Kyō̃  ? Jab bhārat tamōpradhān hai bilkul hī  ; kyōṅki sukh bahut dēkhā hai nā tō duḥkh bhī bahut dēkhnē kā hai . Janm bhī pūrā lētē haĩ bhāratvāsī . Aur kōī bhī khaṇḍ mē̃ kōī bhī dharm vālē 84 janm nahī̃ lē saktē haĩ  ; kyōṅki jab ādhā kalp pūrā hōtā hai , is duniyā key|kī jab ādhā hōtī hai , uskē bād hī tō pahlē-pahlē islām ātē haĩ , phir bauddh ātē haĩ , phir Christ ātē haĩ . Yah tum bhī abhī jāntē hō ki barōbar jab dēvī-dēvatāē̃ thē tab aur kōī nahī̃ thē . Chandravãśhī rāmrājya bhī nahī̃ thā . Pīchhē rāmrājya āyā tō kōī islāmī yā bauddhī ādi nahī̃ thā . Dēkhō , buddhi sē kām lēnā hōtā hai nā . Manuṣhyō̃ kō yah mālūm nahī̃ hai . Yē bāp samjhātē haĩ bachchō̃ kō , kyōṅki manuṣhya tō ghōr andhiyārē mē̃ haĩ . Yū̃ kah dētē haĩ ki yē jō duniyā key|kī āyu hai purānī aur naī hōtī hai nā-satayug aur kalahayug . Tō dēkhō , vō naī duniyā kō satyug aur purānī duniyā kō kalahayug kahā jātā hai . Abhī tō kalahayug hai . Satyug kō kitnā varṣh huā  ? Tō yē jō śhāstra haĩ , jinsē yē sādhu-sant paṛh karkē sunātē haĩ , vō bōltē haĩ lākhō̃ varṣh huā . Kalp key|kī āyu lākhō̃ varṣh rahtī hai . Ēk dō lākh nahī̃ , lākhō̃ varṣh  ; kyōṅki kalahayug key|kī āyu hī 40 hajār varṣh kahtē haĩ . Tō kahtē haĩ abhī kalahayug bachchā hai . Chhōṭā hai . Yahā̃ kalahayug key|kī āyu ākar pūrī huī hai , jō tum āē hō phir sē bēhad K|kē bāp sē svarg kā varsā lēnē  ; kyōṅki bēhad kā bāp svarg kā varsā dētē haĩ . 5000 varṣh huā , tō tum sabhī svarg K|kē vāsī thē  ; kyōṅki bāp jab ātē haĩ tō svarg hī sthāpan kartē haĩ . Bākī sabhī jō ātē haĩ vō kahā̃  ? Sab śāntidhām mē̃ rahtē haĩ . Uskō kahā jātā hai sweet silence home . Us ghar mē̃ bākī ātmāē̃ ēkdam śānt mē̃ nivās kartī haĩ  ; kyōṅki śharīr bigar kōī kuchh bōl nahī̃ saktē haĩ . Bākī itnā jarūr hai ki jō bhī ātmāē̃ jahā̃ bhī rahtī haĩ vō sabhī ātmāē̃ pārṭdhārī haĩ . Us samay un lōgō̃ kā part nahī̃ hai . Sab ātmāō̃ kō part milā huā hai , par śharīr nahī̃ hōnē K|kē kāraṇ bōl nahī̃ saktī haĩ . Ātmā śānt rahtī hai . Uskō kahā hī jātā hai śāntidhām . Uskō mūlvatan bhī kahā jātā hai . Ātmāō̃ kā vatan . Yē kaun baiṭh karkē samjhātē haĩ  ? Yē kōī śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ hai . … bhalē hai vō hī gītā  ; parantu vō jō śhāstra hai , vō tō manuṣhyō̃ nē banāē haĩ nā . Bāp abhī sunātē haĩ aur vināśh hō jātā hai . Vināśh hō jāēgā tō sab jalkar bhasma hō jāēgā . Kōī śhāstra vagairah kuchh bhī nahī̃ rahtā hai  ; kyōṅki satyug mē̃ in śhāstrō̃ key|kī darkār nahī̃ hai . Satyug mē̃ kōī bhī bhakti nahī̃ kartē haĩ , isliē śhāstrō̃ key|kī darkār nahī̃ hai . Dēvtā hī nahī̃ hōtē haĩ , vō khud hī dēvtā ban jātē haĩ . Dēvatāē̃ tō bhakti nahī̃ kartē haĩ nā . Pīchhē dēvtāō̃ key|kī bhakti kartē haĩ manuṣhya . Vō hai ādhākalp dēvtāō̃ key|kī duniyā yah hai manuṣhyō̃ ki duniyā . Yah munaṣyō̃ key|kī duniyā kyō̃ kahī jātī hai , kyōṅki yah hai rāvaṇ key|kī duniyā aur vō hai rām key|kī duniyā . Tō ādhākalp mē̃ haĩ dēvī-dēvtā . Sūryavanśhī aur chandravanśhiyō̃ kō dēvī-dēvtā kahā jātā hai . Abhī jō bhī manuṣhya haĩ dvāpar aur kalahayugī unkō manuṣhya kahā jātā hai . Unkō dēvtā , inkō manuṣhya . Tō dēkhō , manuṣhyō̃ ( dēvtāō̃ ) kā bhī rājya thā , jiskō sūryavanśhī aur chandravanśhī rājdhānī yā dynasty kahā jātā thā . Abhī vō tō nahī̃ hai nā . Abhī kahā̃ gaē yah kiskō mālūm nahī̃ hai . Dēkhō , inkē liē kōī bhī pūchhē̃gē yē lakṣhmī aur nārāyaṇ kahā̃ sē āē  ? Kahā̃ gaē  ? Yahā̃ thē nā , yahā̃ unkā rājya thā , uskō svarg kahā jātā hai . Yē svarg K|kē rājāē thē , pīchhē rāmacandra trētā K|kē rājāai thē . Jaisē vō aṅgrēj lōg bōltē haĩ nā - Edward the first , the second , the third … … inkī bhī aisē hī dynasty thī - lakṣhmī nārāyaṇ the first , the second , the third , āṭh tak . Pīchhē ātā hai rām-sītā kā rājya . Unkī 12 tak dynasty chaltī hai . Iskō knowledge kahā jātā hai . Manuṣhya mē̃ nahī̃ hōtī hai . Yah bāp mē̃ hōtī hai , jab manuṣhyō̃ kō dētē haĩ tō manuṣhya dēvtā ban jātē haĩ . Tum yahā̃ ātē hō kyā bannē kē liē  ? Mānuṣh tē dēvtā bannē kē liē . Dēvatāē̃ tō bahut pavitra hōtē haĩ . Vō kōī gand khātē hōṅgē  ? Śharāb pītē hōṅgē  ? Bīṛī pītē hōṅgē  ? Kr̥iṣhṇa kō kabhī bhōg lagātē hō aisē  ? Bilkul nahī̃ . Kyō̃  ? Vō haĩ dēvatāē̃ yē haĩ manuṣhya . Vō pāvan , yē patit . Jō kuchh … ātē haĩ , vō . . dēvtāō̃ kō kabhī bhī nahī̃ khilāēṅgē . Kāydā nahī̃ hai , kyōṅki vō tō vaiṣhṇav yānī viṣhṇu key|kī dynasty hai . Viṣhṇu kahā jātā hai lakṣhmī aur nārāyaṇ combined kō . Bābā nē samjhāyā hai nā - yah hai drama . Sat-trētā mē̃ hōtē haĩ dēvatāē̃ . Abhī yād karnā paṛē nā . Tō kaun thē dēvatāē̃  ? Tum thē dēvatāē̃ kyōṅki tumkō mālūm hōnā chāhiē ki ham 84 janm kaisē lētē haĩ aur 84 janm hamkō kaun batātē haĩ  ? Bāp batātē haĩ . Hē bachchō̃ , vō kissē bāt kartā hai  ? Ātmāō̃ sē bāt kartē haĩ . Vō śharīr kē ūpar najar nahī̃ kartē haĩ  ; kyōṅki vō jāntē haĩ ki śharīr tō sabhī miṭ ‌ T mē̃ mil jāēṅgē . Ātmā thōṛē hī miṭ ‌ T mē̃ miltī hai . Suntī hai ātmā , śharīr thōṛē hī suntā hai . Ātmā in śharīr yānī organs dvārā suntī hai . Abhī yah samajhtē hō nā barōbar ātmā saskār lē jātī hai . Yē sādhu-sant lōg jō śhāstra paṛhtē haĩ vō haĩ bhakti K|kē śhāstra . Gyān kā śhāstra hōtā hī nahī̃ hai . Gyān hōtā hī hai satyug aur trētā mē̃ . Dvāpar aur kalahayug mē̃ bhakti hai . Bāp nē samjhāyā hai nā - ādhākalp bhakti , ādhākalp gyān . Gyān sukh , bhakti duḥkh . Gyān satyug aur trētā kō sukhdhām kahā jātā hai . Pīchhē dvāpar aur kalahayug kō duḥkhdhām kahā jātā hai . Buddhi sē yē vichār karō ki barōbar satyug yānī sūryavanśhī aur chandravanśhī rāmrājya , in dōnō̃ mē̃ rāvaṇ hōtā nahī̃ hai , jō duḥkhī banātē haĩ , vikār mē̃ lē jātē haĩ . Tō vahā̃ sukh aur phir jab vikār mē̃ jātē haĩ phir āhistē-āhistē duḥkh śhurū hōtā jātā hai  ; kyōṅki us samay mē̃ tō pahlē-pahlē rajōguṇ key|kī bhī ādi hai , tō itnā duḥkh nahī̃ hai . Paisē bahut haĩ  ; kyōṅki bāp samjhātē haĩ ki jab satyug-trētā pūrā hōtā hai tō dvāpar mē̃ tumhārē pās|pass athāh dhan rahtā hai . Us samay mē̃ kōī mōhammad gajnavī nahī̃ āē thē jō lūṭ karē yā kuchh bhī karē . Aisī kōī bāt nahī̃ . Yē bāp baiṭh karkē samjhātē jab tum bhaktimārg mē̃ gaē , pīchhē pūjā śhurū huī , rāvaṇ kā rājya śhurū huā . Pīchhē tum pujārī bannē K|kē kāraṇ mandir banānē lagē . Abhī dhan tum lōgō̃ kē pās bahut , ḍhēr thā . Pahlē-pahlē nāmī-grāmī hai ujjain key|kī taraph mē sōmnāth kā mandir . Yē sōmnāth K|kē mandir mē̃ bahut milkiyat thī . Sārā mandir sōnē kā , usmē̃ baṛē-baṛē hīrē aur javāhar lagē huē thē . Us mandir key|kī kabhī kōī kīmat nahī̃ lagā saktē haĩ . Dēkhō , tum jāntē hō ki barōbar jab mōhammad gajnavī āyā lūṭnē kē liē , yē jō gōp haĩ unhōnnē history-geography tō paṛhī hōgī . Inmē̃ bhī kōī ū̃chā paṛhā hōgā unhōnē jānā hōgā mōhammad gajnavī āyā thā , phir ākar K|kē ūṇṭ bhar karkē sōnē-javāharō̃ K|kē vō aphagānistān key|kī taraph lē gayā . Tō kitnē mandir lūṭē hōṅgē , yah tō history mē likhā hai ki ēk yē sōmnāth kā mandir , mukhya mandir parantu mandir jab rājāē̃ banātē haĩ tō sab banātē haĩ , kyōṅki unkō pūjā karnī hōtī hai nā . Tō pahlē-pahlē pūjā śhiv key|kī hōtī hai . Yah sōmnāth bhī śhiv kā mandir hai . Nām sōmnāth diyā hai . Sōmnāth kā arth|earth hī hai - sōmras pilānē vālā arthāt gyān sunānē vālā . Tō barōbar abhī śhivbābā tumkō gyān sunā rahē haĩ nā . Śhāstrō̃ mē gyān nahī̃ hōtā hai , unmē̃ bhakti hōtī hai . Bhakti key|kī aisē hī aṭal-paṭal bātē̃ sab baiṭh karkē likhī huī haĩ . Uskō phir bāp baiṭh karkē samjhātē haĩ ki śhuruāt mē̃ hī jō yē śhāstra haĩ sarvśhāstramaī śhirōmaṇi gītā , vō hī jin manuṣhyō̃ nē banāī hai na . Dēvtāō̃ kē pās śhāstra nahī̃ thē , na banātē thē . Manuṣhyō̃ nē yē sabhī śhāstra banāē haĩ . Rāvaṇ K|kē rājya mē jhūṭh kā rājya hō gayā , kyōṅki bhārat pahlē sachkhaṇḍ thā . Sachkhaṇḍ tō sachchē bābā nē sthāpan kiyā . Sach tō truth bāp kō kahā jātā hai . Tō bāp vō truth ākar batātē haĩ ki mujhē truth kahtē haĩ . Maĩ is bhārat kō , jō abhī jhūṭhkhaṇḍ hai , jhūṭhī māyā jhūṭhī kāyā , jhūṭhā sab saṅsār , unkō sachkhaṇḍ banātā hū̃ . Tumkō sikhlātā hū̃ tum sachchē dēvtāē̃ kaisē bantē hō . Dēkhō , yahā̃ ātē haĩ sabhī . Yahā̃ tō saikaḍō ātē haĩ nā . Abhī season nahī̃ hai , tō ṭhaṇḍī K|kē kāraṇ thōṛē ātē haĩ . Nahī̃ tō yah hall pūrā nahī̃ hōtā hai nā , isliē tō makān pichhāṛī makān bantē hī rahtē haĩ . bantē hī rahē̃gē . Bahut banē̃gē . … jaisē pahlē chhōṭā makān thā . Abhī kitnē makān bantē jātē haĩ . Phir māḍiyā̃ banātē haĩ . Phir jō-jō bhī makān miltē haĩ kharīd karnē lag paṛtē haĩ . Abhī kaun kharīd kartē haĩ  ? Śhivbābā brahmā K|kē dvārā . Brahmā hō gayā sāṅvarā kyōṅki yah inkā bahut janm K|kē ant kā janm hai . Iskē bād phir gōrā banēgā . Abhī sôvarā hai . Tum bhī sabhī gōrē thē , abhī sāṅvarē ban gaē . Abhī yahā̃ āē hō gōrē bannē . Dēkhō , kr̥iṣhṇa kā chitra bhī hai nā . Museum mē̃ tō sab baṛē-baṛē chitra banātē haĩ . Yahā̃ bābā museum nahī̃ banātē haĩ , kyōṅki yahā̃ tō sab andar ghus āvē̃ . Tō yahā̃ kāydā nahī̃ hai . Iskō kahā jātā hai tower of silence śhānti kā , kyōki tum bachchē jāntē hō ki ham ghar jātē haĩ śāntidhām mē̃ . Ham rahnē vālē bhī sab śāntidhām K|kē haĩ . Jahā̃ sē ātē hō , jahô sirph ātmāē̃ rahtī haĩ , uskō kahā jātā hai śāntidhām . Uskō tower of silence bhī kahā jātā hai . Vahā̃ manuṣhya kō śharīr tō hai nahī̃ . Pīchhē yahā̃ ā karkē śharīr lē karkē part bajātē haĩ . Tō jab naē ātē haĩ naī duniyā mē̃ tō vahā̃ sukh hī sukh hōtā hai , śhānti hī śhānti hōtī hai . Tō bachchō̃ kō pahlē-pahlē yah niśhchay hōnā chāhiē yē kōī sādhū sant mahātmā nahī̃ paṛhātē haĩ . Ham inkō tō chhōṭēpan sē jāntē haĩ . Yē sindh kā rahnē vālā , unkē bāpdādā vagairah kō jāntē haĩ , parantu ismē phir jō gyān kā sāgar pravēśh karkē bōltē hai , uskō tō kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ . Pukārtē haĩ ō god father . Parantu god father kā rūp kyā hai , dēśh kyā hai , kāl kyā hai  ? Śhāstrō̃ mē̃ likh diyā hai ki uskā nām rūp dēśh kāl nahī̃ hai . Vō nirākār hai arthāt kuchh nahī̃ hai . Uskō kōī bhī ākār nahī̃ hai , isliē kuchh nahī̃ hai . Kuchh nahī̃ hai tō phir kyā hai  ? Phir kah dētē haĩ sarvavyāpī hai . Arē , paramātmā kahā̃ hai  ? Tō kahē̃gē ghaṭ-ghaṭ mē̃ hai . Vō ghaṭ-ghaṭ K|kē vāsī haĩ yānī sabkē andar hai . Vō andar kahā̃ baiṭhē haĩ  ? Har ēk K|kē ghaṭ-ghaṭ mē̃ tō ātmā baiṭhī huī hai . Paramātmā tō ghaṭ-ghaṭ mē̃ hai nahī̃ . Sab bhāī haĩ . Ghaṭ-ghaṭ mē̃ paramātmā kahā̃ sē āyā  ? Aisē thōṛē hī hai ki har ēk manuṣhya mē̃ paramātmā bhī hai , tō ātmā bhī hai . Sirph ēk śharīr mē̃ vō paramātmā bhī hai , ātmā bhī hai . Jabki bāp paramātmā kō bulātē haĩ ki bābā ā karkē hamkō patit sē pāvan banāō . Bāp khud kahtē haĩ nā ki bachchō̃ , mujhē tum bulātē hō yahā̃ dhandhā dēnē kē liē  ? Yahā̃ sēvā karānē kē liē ki ham chhī-chhī mūt palītī ban gaē haĩ , hamkō ā karkē śhuddha banāō , isliē bulātē hō  ? Mujhē bulātē kahā̃ hō  ? Chhī-chhī duniyā̃ mē̃ . Patit duniyā mē̃ hamkō nimantraṇ dētē hō . Pāvan duniyā mē̃ aisē bāp kō bulātē hī nahī̃ hō . Bōltē haĩ ham patit haĩ , hamkō … chāhiē pāvan banānē kē liē bābā . Bābā pāvan duniyā tō dēkhtē hī nahī̃ haĩ . Bābā patit duniyā hī dēkhtē haĩ . Tumhārī sēvā karnē ātē haĩ . Mūt-palītī hō nā , sabhī vikārī hō nā . Tō ātē haĩ . Ham bulātē haĩ . Bōltē hai - abhī vikārī yānī rāvaṇ kā rājya khatm hōtā hai . Yē sab vināśh hō jāēgā . Bākī kyā jākar bachēgā  ? Bhārat kā jō rājyōg sīkhtē haĩ , vō bachē̃gē . Yē rājyōg hai . Rājāō kā rājā bannē vālē hō . Kalp-kalp her|har 5000 varṣh tumkō yah paṛhāī paṛhāī jātī hai innumerable times anginat bār . Yē band hōnē key|kī hī nahī̃ hai . Phir 5000 varṣh kē bād phir tum ḍhēr ātē hō … lākhō-karōṛō̃ āēṅgē , kyōṅki satyug aur trētā key|kī rājdhānī sthāpan hō rahī hai . Pahlē brāhmaṇ kul hōtā hai . Dēkhō , tum sabhī brahmākumār hō nā . Prajāpitā brahmā kō gāyā jātā hai nā brahmā , jiskō Adam kahtē haĩ , ādidēv kahtē haĩ . Unkō mālūm nahī̃ hai ki ādidēv kyā kartē haĩ  ? … abhī prajāpitā brahmā K|kē itnē krōṛ brāhmaṇ hōṅgē , kyōṅki unkō hī dēvtā aur kṣhatriya bannā hai , satyug-trētā key|kī rājāī lēnī hai . Tō yahā̃ itnē sabhī bannē vālē haĩ aur ḍhēr haĩ . Is samay mē̃ bhī lākhō̃ hai , kyōki bhalē jō ā karkē sunkar bhī phir chalē jātē haĩ , māyā vaśh hō jātē haĩ , puṇya ātmā bantē-bantē phir pāpātmā ban jātē haĩ . Bābā samjhātē haĩ nā murlī mē̃ . Murlī paṛhtē hō  ? Ki māyā baṛī jabardast hai . Māyā sabkō pāpātmā banā dētī hai . Sab pāpātmā haĩ . Is samay mē̃ kōī bhī puṇya ātmā nahī̃ , kōī bhī pavitra ātmā nahī̃ hai . Pavitra ātmāē̃ dēvī-dēvtā thē . Tō duniyā mē̃ jab sab patit ātmāē̃ ban jātī haĩ , phir unkō pāvan kaun banāvē  ? Tō bāp kō bulātē haĩ . Bāp ēk hī bār puruṣhōttam saṅgamyug par ātē hai . Iskō puruṣhōttam kahā jātā hai . Tum apnē kō puruṣhōttam kahē̃gē  ? Nahī̃ . Tum tō dēvtāō̃ kē ūpar matthā ṭēktē hō , kyōki uttam nahī̃ hō , madhyam bhī nahī̃ , kaniṣhṭha hō . Pañch vikārō̃ sē bharē huē … . Aisē yahā̃ bhī tō hai nā . Bahut rājā-rajavāṛā bhī hai aur phir vajīr bhī haĩ , sāhūkār bhī haĩ , garīb bhī haĩ . Phir dēkhō , kacarē mē̃ baiṭhnē vālē bhī haĩ . Aisē haĩ nā , parantu yah hai duḥkhdhām aur vō hai sukhdhām . Vahā̃ sukh hī sukh hai , akālē kōī martā nahī̃ hai aur yahā̃ duḥkh hī duḥkh hai , kōī bhī vakt mar saktē haĩ , pēṭ mē bhī mar saktē haĩ , bāhar nikalnē sē mar saktē haĩ . Isliē iskā nām hī rakhā huā hai ' mr̥ityulōk ' aur satyug kō kahā jātā hai ' amarlōk ' . Chakra phirtā hai nā - satyug thā , abhī kalahayug hai . Amarlōk thā , jiskō svarg kahā jātā thā , abhī nark kahā jātā hai , phir abhī svarg ban rahā hai . Svarg kā banānē vālā tō bāp hī ṭhaharā|ṭhahrā . Naī duniyā kō banānē vālā bāp hai . Tō dēkhō , yahā̃ kaun paṛhātē haĩ  ? Bāp . Uskō hī aṅgrējī mē̃ knowledgeful kahā jātā hai , kyōṅki chaitanya bījrūp hai nā . Tō jō chaitanya bījrūp hai vō chaitanya hai nā . Unkō gyān kā sāgar bhī kahā jātā hai . Kaun sā gyān hai unmē̃  ? Vō aisē nahī̃ hai ki jaisē manuṣhya samajhtē haĩ ki sabkē andar key|kī jāntē haĩ , antaryāmī haĩ . Nahī̃ , antaryāmī nahī̃ haĩ . Manuṣhya yah bāt jhūṭh bōltē haĩ , bākī gyān kā sāgar ṭhīk hai . Gyān kā sāgar kyō̃ hai  ? Kyōṅki bīj hai , chaitanya hai nā . Vō is sr̥iṣhṭi K|kē ādi madhya ant kō jāntē haĩ , isliē uskō gyān kā sāgar kahā jātā hai . Gyān mil rahā hai tum bachchō̃ kō . Abhī dēkhō bāp āē haĩ 21 janm sadā sukhī rahnē kē liē ēkdam śhurū sē . Abhī āēṅgē , yē bhī āēṅgī . Aisē nahī̃ samjhō ki yah svarg mē̃ nahī̃ āēṅgī , parantu svarg mē̃ kab āē̃gī 7 jab yah svarg bhī past hō jāēgā . Trētā bhī past hō jāēgā . Jab pichhāṛī hōgī tab vō āē̃gī . . vō kr̥iṣhṇa kō dēkhē̃gē , kr̥iṣhṇa key|kī bādśhāhī dēkhē̃gē , vō tō dēkhē̃gē bhī nahī̃ . Islāmī , bauddhī kriściyan kr̥iṣhṇa kā paradise dēkhtē haĩ kyā  ? Bilkul nahī̃ dēkhtē hai . Manuṣhya bannā hai agar tō svarg kā mālik bankar dikhlānā hai . Banānē vālā hai . Abhī chance miltī hai tō bannā chāhiē , kyōṅki marnā tō hai hī . Abhī tō laṛāiyā̃ śhurū hō jāēṅgī . Yē bāp nē samjhāyā hai nā ki aiṭômik bombs tabhī chalāē̃gē jabki ham sab bachchē karmātīt avasthā mē̃ lāyak ban jāēṅgē svarg mē̃ bādśhāhī karnē , tab talak thōṛā na thōṛā kartē rahē̃gē . Pichhāṛī mē̃ yē chalā , khēl khatam . Tab talak yē banātē rahtē haĩ . Aisē banātē rahtē haĩ , jō bōltē haĩ ki ham ēk tō duniyā kō bhī uṛā dēvē̃ . Unakrī prīt bāp sē nahī̃ hai . Tumhārī prīt bāp sē hai . Abhī jitnī prīt itnā ū̃ch pad , kyōṅki gāyā huā hai nā vināśh kālē viparīt buddhi vinaśhyanti , vināśhkālē prīt buddhi vijayanti . Vaijayantī mālā bhī tō bahut baṛī hai nā . Tumhārē pāp sab kaṭ jāēṅgē . Knowledge tō sunē̃gē hī jarūr , kyōṅki bābā tō sachchī knowledge hī sunāēṅgē . Vahā̃ kāl nahī̃ hōtā hai . Kāl kō alāu nahī̃ hai . Yah sabhī śhāstrō̃ mē̃ likhā huā hai ki svarg mē̃ kāl nahī̃ hōtā hai . Achchhā , mīṭhē-mīṭhē sikīladhē 5000 varṣh kē bād phir sē ā karkē milē huē , … milē̃gē hī vō jō pahlē-pahlē āē haĩ . Unkō phir pahlē hī jānā hai vāpas , tō unkō hī pahlē paṛhnā hai aur jāstī paṛh karkē hōśhiyār hōnā hai . Jō bahut hōśhiyār hōtē haĩ , phir aurō̃ kō bhī hōśhiyār kartē haĩ . Dēkhtē hō nā museum mē̃ gaī thī , dēkhō kitnē khaṛē thē yē sabhī brāhmaṇ jō phir dēvtā bannē vālē haĩ . Jitnā buddhiyōg bāp sē lagāē̃gē utnā puṇya ātmā bantē jāēṅgē . Tō vō rūhānī pitā . Dōnō̃ kā yādpyār aur good morning . Phir bāp kahtē haĩ ki rūhānī bachchō̃  ! Namastē . Kyō̃  ? Tum bachchē mērē sē bhī baṛē bantē hō , svarg K|kē mālik bantē hō .