रविवार 26 जुलाई 1964 की साकार मुरली - 1

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

26-07-1964 madhuban ābūrātri murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , good evening yah chabbīs julāī kā rātri class hai

Bachchē jāntē haĩ ki mīṭhī-mīṭhī jagadambā ā rahī hai , kyōṅki unkā nām hai hī jagadambā sarasvatī . Inkā nām kōī sarasvatī tō hai nahī̃ . Inkā nām kōī hai nahī̃ vāstav mē̃ . Kahtē haĩ māt-pitā , pitā kā tō nām hai , mātā kā nām yē hō nahī̃ saktā hai . Mātā hī nahī̃ hai , na hī inkō kōī sarasvatī kah saktē haĩ . Kah saktē haĩ  ? Isliē jagadambā mama nimitt hai . Abhī kyā vichār ātā hōgā bachchō̃ kā  ? Yē karē̃ , vō karē̃ . Hai kiskā vichār kōī  ? ( kisī nē kahā - kiskō karē̃  ? Ham centres par kartē haĩ . ) centre par kartē haĩ  ; kyōṅki mulākāt tō is hall mē̃ hōgī . Phir bachchē bhalē khyāl karē , pīchhē batāvē̃ yā kal bhī batā saktē haĩ . ( bachchī nē kahā - jin-jinhō̃ kō ichchhā hō tō abhī bhī sunā saktē haĩ ) bōl dēvē̃ tō achchhā hai . Kōī prakār K|kē sēlavēśan key|kī jarūrat hō tō batā dēvē̃ . Mama rōj ā karkē kachahrī bhī karēgī . ( bachchī nē kahā - hā̃ ) bābā kachahrī nahī̃ kartā hai . Kyō̃  ? Chāhē is samay kōī jhūṭh bōlē tō aur hī sauguṇā daṇḍ paṛ jāē̃ . Mama pūchhēgī aur agar jhūṭh bhī bōl diyā tō bhī sau guṇā daṇḍ nahī̃ paṛēgā . Yah tō bāp pūchhtē haĩ . Ēk right hand mē̃ hai bāp , dūsrē saiph hand mē̃ hai dharmarāj . Kachahrī tō vō hī ākar karē̃gī . Bachchō̃ key|kī kōī rāy hō , kisī nē kōī programme banāyā hō tō bābā unkō correct kar dēgē . Āpas mē̃ kōī bāt nikālī hai  ? ( bachchī nē kahā - aisē nahī̃ milī hai , kōī - kōī … , kyōṅki mama kē ūpar bachchō̃ kā pyār tō bahut hai . Jaisē andar jātī hai tō bachchō̃ kō phūl diē jātē haĩ tō unkē ūpar nambaravār bachchē varṣhā kartē jātē haĩ . Jō bhī bachchē hōtē haĩ line mē̃ khaṛē rahtē haĩ . Vō mama kē ūpar varsā kartā jātā hai . Āgē yē kartē thē . ( bachchī nē kahā - inkā matlab hai . . . gate|get sē lēkar K|kē yahā̃ tak . . . . ) bābā nē kahā - nahī̃ , maĩ gate|get K|kē taraph mē̃ kuchh bhī jhaṇḍē-vaṇḍē nahī̃ lagānē dū̃gā . Yah phir kabhī kiyā nahī̃ hai , na karē̃gē  ; kyōṅki ham gupta haĩ nā . Kōī bhī mahimā karnī hai tō andar , bāhar nahī̃ . Jab talak baiṭhē̃ , line kar dēgē , yahā̃ sē dō line śhurū hōvē , yahā̃ sē dō line āyē , bas vō nikaltī jāvē , ā karkē baiṭhē . ( bachchī nē kahā - yahā̃ sē ā karkē . . . . . sāmnē ) . . . . . phūl-vūl chaṛhānā andar . Fool|phūl bhī yahā̃ andar paṛē hōṅgē . Achchhī śhōbhā dēgē . . . . . hai tō vō ṭhīk rahēgā . Motor kō ā karkē yahā̃ khaṛā kar dēgē . Thōṛā hāth-mũh dhōēṅgī yā kyā karēgī . Kartī tō nahī̃ hai . ( bachchī nē kahā - sīdhī ātī hai class mē̃ ) . . . . bachchī nē kahā - kal dūdh key|kī ṭōlī bhī banā dēgē , pēṛā ) dūdh K|kē pēṛē hōtē haĩ aur kōī phal-phūl tō haĩ hī apnē pās|pass . ( bachchī nē pūchhā - . . . gīt  ? ) vō sundar hō , vō tō gīt śhāyad ismē̃ bhī hai . Yahā̃ tum bachchō̃ kō baiṭh karkē gānā hai tō bhalē gāō . Gānē kē liē tō sirph būṛhī jātī hai aur viśvaratna jāē̃gē . ( bachchī nē kahā - viśhvakiśhōr ) vō tō jāaigē hī . Vō tō . . . mē̃ jānē K|kē haĩ . Kahā̃ baiṭhā hai  ? . . . phir ānā hōtā hai . . . Jitnī gupta hai itnā achchhā hai  ; kyōṅki in āsurī sampradāy key|kī yah jō rasam-rivāj hai unsē hamkō vāstav mē̃ kōī bhī repeat yā copy nahī̃ karnī hai . Bhalē yē kahā̃-kahā̃ prabhātphērī nikāltē haĩ  ; parantu bābā K|kē dil par vō bhī nahī̃ chaṛhtī hai  ; kyōṅki yē bhī haṅgāmā , āsurī duniyā kōī vakt mē̃ kuchh patthar phēṅk dēvē̃ kōī aisā ēṇṭī hō tō nuksān kar dēvē . Vō bhī . . . . nahī̃ pātī haĩ . Service bahut achchhī kar saktē haĩ . Bābā nē tō bahut samjhāyā hai ki lakṣhmī nārāyaṇ K|kē baṛē-baṛē chitra nikalnē chāhiē . Yē lakṣhmī nārāyaṇ K|kē chhōṭē-chhōṭē chitra nikalē haĩ kyā  ? Śmaśān mē̃ jāō aur vahā̃ jā karkē samjhānā paṛē ki bhaī , kahtē haĩ ki svargvāsī huā . Phir yē svarg kiskō kahā jātā hai  ? Vahā̃ jākar kuchh samajhāvē yā bhāṣhaṇ karē̃ tō kōī harjā nahī̃ hai  ; kyōṅki vahā̃ kōī bhī disturb nahī̃ karē̃gē . Bakavād nahī̃ karē̃gē . Prabhātphērī mē̃ hamēśhā ḍar rahtā hai ki kōī patthar na phēṅkē , kōī kaisī chañchaltā nā karē . . . kōī kā sāmnā nahī̃ karnā hai ki āryasamājī kartē haĩ tō ham bhī jākar sāmnā karē̃ , vō bhī nahī̃ karnā hai . Isliē hī vikār K|kē kāraṇ vighna bahut paṛtē haĩ . Bahut vighna paṛtē haĩ jahā̃-tahô garībō̃ mē̃ , sāhūkārō̃ mē̃ . Garībō̃ mē̃ tō chal jātā hai , sāhūkār tō baṛē bigaṛtē haĩ . Dhanvān haĩ nā . Dēkhō tō yē mālūm hai hī nahī̃ ki abhī pavitra duniyā sthāpan hō rahī hai . Māṅgtē bhī hai , chāhtē bhī haĩ ki naī duniyā naē bhārat . Abhī muśhkilāt hai ki naē bhārat mē̃ sabhī nirvikārī thē , yē bhī kiskō patā nahī̃ hai , kyōṅki kr̥iṣhṇa jō pahlā-pahlā prince hai , bachchā hai , unkē liē hī itnī bakavād kar dī hai . Bōltē haĩ - vāh  ! Paramparā sē . . . . . rahtē haĩ , itnī kr̥iṣhṇa kō bhī . . . . haĩ . Kōī key|kī buddhi mē̃ baiṭhtā nahī̃ hai . Chēnē paṛē huē haĩ , jaisē ki gōbar bharā huā hai . Sarvavyāpī kā gyān hī hai , jissē ki sabkī buddhi mē̃ gōbar bharā huā hai . Bachchō̃ kō baṛī yukti sē , kyōṅki brahamākumāriyā̃ sab tō ēkras haĩ nahī̃ . Kaī-kaī tō bahut destruction bhī kar dētī haĩ . Gyān pūrā na hōnē K|kē kāraṇ , kōī achchhā ādmī āē bhī aur unkō praśnōttar kā javāb na dē sakē tō vō kahēgā ki vāh  ! Yē brahamākumāriyā̃ haĩ  ! Chalō , sabkē ūpar kalaṅk lag jātā hai . Tō is rājdhānī sthāpan karnē mē̃ difficulty hai  ; kyōṅki aisē kōī jāntē hī nahī̃ haĩ ki bāp ā karkē rājdhānī sthāpan kartē haĩ . Rājyōg kō bhī lē gaē , kr̥iṣhṇa K|kē hāth mē dē karkē dvāpar kar diyā . Tō tumhārī sab bātē̃ naī haĩ . Naī duniyā kē liē , naē dharm kē liē hamēśhā naī bātē̃ hōtī haĩ . Abhī aisē bhī nahī̃ hai ki kōī naī hai . Rājyōg key|kī bāt hai tō bahut purānī  ; parantu nām-ṭām sab bigāṛ diyā hai . Tō isliē vō bigaṛtē haĩ , kyōṅki unkē śhiṣhya unkī kamāī jāēgī nā , kyōṅki jitnā unkō yē niśhchay hōtā hai itnā bachchē jāntē haĩ ki yē jō vidvān-ācāry-guru haĩ unkō tum lōg buddha kah dētē hō , mūrkh , karapṭēḍ ēḍasṭrēṭiv ( milāvaṭī ) . Dēkhō , jinkā itnā sārā mān hai , abhī bhī dēkhō , akhbārō̃ mē̃ paṛhtē haĩ , sādhu-samāj kā nām ātā hai . Sādhu-samāj kō ikaṭ ‌ ṭhā kartē haĩ ki phalānē mē̃ yē jō ēḍalaṭrēśan hai , inmē̃ yē bhī madad karē̃ . Abhī yē kyā madad karē̃gē yē khud hī . . . bābā nē us din kahā thā ki jab yē likhtē haĩ ki government kō yē madad karēgā , tō pahlē pahlē kōī hōvē jō tīkhī bōlē - number one ēḍasṭrēṭiv aur karapṭēḍ tō yē sādhu samāj hai . Samāj mē̃ sab ā jātē haĩ nā  ; parantu aisā abhī kōī nikalā nahī̃ hai . Nikalē tō kōī harjā nahī̃ hai  ; kyōṅki unkō correct tō jarūr karnā hī hai . Na kōī aisā achchhā nikalā hai jinkī āvāj kōī achchhī tarah sē sun sakē . Dēkhō , pañjāb K|kē chief minister nē bhī likhvāyā thā ki bhaī , yē sansthā baṛī pavitra banānē vālī hai . Mālūm hai . . .  ? Jaypur mē̃ bhī ēk minister nikalā thā usnē bhī kahā thā inkī sasthā baṛī pavitratā sthāpan karnē vālī hai . . . . . jab talak kōī baṛā vidvān nikalē , bhalē dūsrē dharm kā hōvē . . . . yā kōī bhī baṛā hō jiskē bahut followers hō vō jab kahē , dō-tīn nikalē , tab tumhārā prabhāv baṛhē . Baḍhanā hai jarūr , parantu abhī talak jaisē bāp kahtē haĩ ki guptā jī vahā̃ banāras mē̃ gaē haĩ , jahô sē yē title miltē haĩ . Abhī talak śhāyad drama mē̃ dērī hai prabhāv nikalnē mē̃ . Tō unkā bāṇ bhī phāltū jātā hai , kiskō lagtā nahī̃ hai . Ghaṛī-ghaṛīghaṛī . . . kartē haĩ , phir lauṭ ātē haĩ . Ākhir mē̃ tō nikalēgā . Bachchō̃ kō yah tō samajhnā hī chāhiē ki bītī sō bītī dēkhō . Bas . Is samay tak rājdhānī sthāpan hōnī thī . Abhī āgē hōnī tō hai sārī . Jō bītā vō accurate drama bītā . Phir unmē̃ kuchh bhī huā , jō kuchh bhī vidhna paṛē athavā ḵẖuśhī bhī nikalī . Bas , drama anusār yahī thā , jō pār huā . Ismē bhī sabkā ēk achchhā niśhchay hōnā chāhiē . Niśhchay biṭhātē huē bhī , phir bhī vō kōī-kōī bāt mē̃ niśhchay sē sanśhay mē ā jātē haĩ . Kahā̃ na kahā̃ māyā kā kōī na kōī bāṇ aisā lag jātā hai , jō sanśhay buddhi ban jātē haĩ . Tō ēk taraph mē̃ īśhvar kā bāṇ , dūsrī taraph mē māyā kā bāṇ . Yē laṛāī hai nā . Tō barōbar chaltē-chaltē , achchhā bhī samajhtē haĩ , phir bhī māyā kā bāṇ aisā lagtā hai , jō kōī na kōī bāt mē̃ sanśhay buddhi ban jātē haĩ . Tō hai wonderful bābā aur bachchē bhī vaṇḍaphul haĩ . Gupta vēśh mē sthāpanā kar rahē haĩ . Bāp bhī gupta , bachchē bhī gupta . Barōbar tum dēhdhārī hō , parantu phir bhī gupta hō nā . Bābā nē kal bhī samjhāyā nā ki tum kōī kē ūpar laṛāī thōṛē hī kartē hō jō vijay kā nām lētē hō . Yē jarūr hai ki pāṇḍav vijay pātē haĩ . Par kaisē  ? Agar pāṇḍav vijay pāvē̃ tō phir kaurav-pāṇḍavō̃ key|kī laṛāī siddha hō jātī hai . Isliē vijay kā akṣhar bhī ham lē nahī̃ saktē haĩ . Hā̃ , yē jarūr hai ki niśhchaybuddhi vaijayantī mālā mē̃ pirōē jāēṅgē . Yah ṭhīk hai . Haṅgāmā vagairah bhī ṭhīk nahī̃ chaltā hai . Gupta service kartē rahō . Charity begins at home . Apnē gharvālō̃ kō . . . . . . kōī jismānī tīrtha yātrā par jātē haĩ , tō bhī āpas mē̃ mitr-sambandhī , birādrī vālē mil karkē chalē jātē haĩ . Tum bhī yahā̃ ātē hō dillī sē is yātrā par . Tō dēkhō , bahut hī apnē mitr-sambandhī phalānā kahtē hai , ham bhī chalē̃ , ham bhī chalē̃ . Dil hō jātī hai ki bābā kē pās chalē . Yē yātrā hai yahā̃ bāp kē pās ānē key|kī , kyōṅki yahā̃ ānē sē bāp bhī phir vō yātrā sikhlātē haĩ , kyōṅki sumukh kahnē sē vō lagtā hai . Bachchē-bachchē kahtē rahtē haĩ . Bachchē , abhī nāṭak pūrā hōtā hai . Abhī vāpas chalnā hai . Maĩ āyā hū̃ tum bachchō̃ kō guide karnē aur māyā K|kē pañch vikārō̃ sē jañjīrō sē chhuṛānē . Tō dēkhō , liberator guide aur paṇḍā - akṣhar tō gāē jātē haĩ . Barōbar phir sēlavēj bhī kartē haĩ . Bēṛā būṛhā huā hai tō jaisē ki tum bachchē mil karkē is bhārat kō sēlavēj kartē hō . Bēṛā khulā huā hai nā  ! . . . dēkhō , kaisī haĩ bēṛā pār karnē kē liē - buḍiḍhayô  ! Bhārat kā bēṛā pār karnē kē liē kaisī - bachchiyā̃ haĩ dēkhō . Kyūjik bajā ) yē hirī huī hai bhakti mē̃ gīt gānē K|kē . Bhakti mē̃ gātē haĩ nā . Gyān mē̃ gīt key|kī darkār nahī̃ hai . . . . Bābā kahtē haĩ bhakti key|kī jō kuchh rasam-rivāj haĩ vō yahā̃ nahī̃ , yahā̃ tō chup . Anpaṛh aur chup . ( myūjik bajā ) māt-pitā aur bāpdādā kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē jñān-sitārō̃ prati yādpyār aur good night .