शनिवार 29 अगस्त 1964 की साकार मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
29-08-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō . svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj śānīcaravār agasta key|kī unatīs tārikh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record :
Takdīr jagākar āī hū̃ . … . . . . . .
Yē ātmā nē kahā . Kaisē kahā ? In śharīr K|kē organs dvārā . Kahtē haĩ - mujh ātmā kā śānt svarūp hai . Mujh ātmā kō jab yē śharīr miltā hai tab maĩ talkie ban jātā hū̃ . Mujhē śharīr dvārā anēk prakār kā karma karnā hai . Kōī bhī satsaṅg mē̃ yā school mē̃ yā kahī bhī jab kōī baiṭhtē haĩ tō samajhtē haĩ ki barōbar yē manuṣhya bōltā hai , dēhdhārī bōltē haĩ ; kyōṅki jab teacher sāmnē baiṭhā hōgā mahātmā baiṭhā hōgā , tō vō samajhēgā ki yē phalānā mahātmā baiṭhā hai , yah phalānā vajīr baiṭhā huā hai , phalānā yē baiṭhā hai . Yahā̃ yē bātē̃ nahī̃ haĩ . Tum abhī samajhtē hō ki ham tō ātmā haĩ jarūr , kyōṅki kahā nā ōmaśānti-āī aim|M|am ātmā aur yē māī|my organs haĩ . Ātmāē̃ kis dvārā suntī haĩ ? Kissē suntī haĩ ? Ab ātmā suntī hai apnē parampitā paramātmā sē , jiskā ēk hī nām hai ' śhiv ' . Bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai nā . Tō is samay mē̃ jab yē bachchē sunnē kē liē baiṭhtē haĩ tō hamkō kaun sunātē haĩ - jō bēhad kā bāp hai ' parampitā vō sunātē haĩ ; kyōṅki jab ' parampitā aur manuṣhya kahtē haĩ tō buddhi kā yōg ūpar mē̃ jātā hai . Yahā̃ abhī tum jāntē hō ki ' parampitā śhiv hai . Śhiv mānā bindī . Ātmā bhī bindī tō paramātmā bhī bindī , kyōṅki uskō hī param-ātmā kahā jātā hai , uskō ātmā kahā jātā hai . Unkō bachchā kahā jātā hai aur unkō bāp kahā jātā hai . Tō abhī tumkō paṛhānē vālā kaun ? Jab bhī sammukh baiṭhtē hō tō yah samajhē̃gē ki maĩ ātmā hū̃ . Śharīr tō nahī̃ hū̃ . Maĩ ātmā is śharīr dvārā kissē suntā hū̃ ? Apnē paralaukik pitā sē suntā hū̃ . Tō tumkō dēhī-abhimānī rahnā paṛē . Aur kōī bhī jagah mē̃ jabki kōī bhī paṛhtē haĩ , suntē haĩ , manuṣhya , manuṣhya kō samjhātē haĩ . Kōī gītā pāṭhī baiṭhā hōgā tō vō gītā kō yād kar phir kahē̃gē ki gītā mē̃ bhagvān nē aisē kahā hai , aisē kahā hai . Ab gītā vālō̃ kō bhī yah vichār hai ki hā̃ , bhagvān nē sākār mē̃ yē gītā sunāī thī . Buddhi mē̃ sākār ā jātā hai nā . Kōī baiṭh karkē vēd sunātē haĩ . Tō jarūr kōī nē vēd paṛhē haĩ . Vēd manuṣhyō̃ nē rachē haĩ . Vēd , śhāstra , granth vagairah manuṣhyō̃ nē banāē haĩ ; kyōṅki bhagvān nirākār baiṭh karkē vēd nahī̃ banāēṅgē . Nā , yē manuṣhya banāēṅgē . Vēd vyās . Vyās manuṣhya kō kahē̃gē . Vyās kōī paramātmā kō nahī̃ kahē̃gē . Parampitā paramātmā bindī hai ; kyōṅki jaisē sākār bachchē haĩ tō unkō bhī sākār kā svarūp hai . Hā̃th , pôv māthā - sab kuchh hai nā . Tō bāp kō bhī vō hī hai . Hā̃ , usmē̃ jarūr chhōṭā aur baṛā hōtā hai ; kyōṅki bachchē sē bāp bannā hai aur inkō tō bāp kahtē haĩ - mērē kō tō kōī chhōṭē bachchē sē baṛā bāp nahī̃ bannā hai nā . Nahī̃ , maĩ tō ever hī , mērē kō kahtē hī haĩ ' parampitā . Yahā̃ jō pitā bantē haĩ , vō chhōṭē hōtē haĩ phir baṛē bantē haĩ . Pahlē bālak hōtē haĩ , pīchhē baṛē ( high ) hōtē haĩ . Manuṣhya aisā hī hōtā hōgā nā . Ab yah bachchō̃ kō mālūm hai ki yah jō pitā hai ' parampitā paramātmā , vō kōī bālak yā bāp nahī̃ bantē haĩ . Ab bāp phir baiṭhkar samjhātē haĩ tum sabhī bālak bankar aur baṛē hōkar pitā bantē hō , pitā ban karkē phir bālak bantē hō ; maĩ hamēśhā pitā hū̃ . Maĩ bālak nahī̃ bantā hū̃ aur mērā nām bhī ēk hī hai bas - śhiv . Tum bachchō̃ kō ūpar samjhāyā gayā hai ki 84 nām paṛtē haĩ . Janma lētē hō . Isliē bachchō̃ kō yē samjhāyā hai ki mujhē phir kahtē haĩ ki parampitā jō bindī rūp hai , baṛā liṅg rūp nahī̃ hai , pūjan K|kē kāraṇ manuṣhyō̃ nē , bhaktimārg vālō̃ nē baṛā banāy diyā hai . Pīchhē itnā bhī baṛā banātē haĩ , jaisē manuṣhya hōtē haĩ . Kōī-kōī manuṣhya K|kē chitra baṛā-baṛābanātē haĩ . Buddha kā chhat jitnā banāē̃gē . Abhī aisē tō manuṣhya hōtē nahī̃ haĩ nā . Buddha kōī itnā tō baṛā nahī̃ thā . Yah unkō mān dētē haĩ ki baṛā thā , tō unkā śharīr baṛā kar dētē haĩ . Vaisē hī , yē bhī ū̃chē tē ū̃chā , baṛē tē baṛā hai - parampitā param-ātmā . Bāp apnā parichay dētē haĩ nā - maĩ kōī dūsrā śharīr nahī̃ dhāraṇ kartā hū̃ . Yahā̃ bhī mērē kō tum ' śhiv ' bōltē hō . Tum barōbar jāntē hō ki ham ātmāē̃ śhivbābā key|kī gōd mē̃ jātē haĩ . Abhī ham ātmāē̃ bhī tō śharīrdhārī haĩ . Ab śhivbābā bhī jab kōī na kōī śharīr dhārē tō unkī gōd mē̃ jāvē̃ . Bachchē jab ātē haĩ tō unkō samjhāyā jātā hai ki khabardār rahnā . Tumkō śhivbābā key|kī gōd mē̃ jānā hai . Vō hai nirākār ; unkī gōd chhōṭī-baṛī nahī̃ hōtī hai . Dēkhō , yē bachchiyā̃ hōtī haĩ , phir mātā hōtī haĩ , baṛī hō jātī haĩ . Pahlē inkō kumārī kahē̃gē , phir mātā kahē̃gē aur mujhē kyā kahē̃gē ? Mujhē hamēśhā parampitā param-ātmā yānī paramdhām mē̃ rahnē vālī ātmā kahē̃gē . Phir unkō kahā jātā hai manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp . Hai tō ātmā nā . Yah barōbar ātmā baiṭh karkē samjhātī hai nā ; kyōṅki ātmā kō hī knowledge hai . Yē gātē haĩ - parampitā param-ātmā , yah hō gayā paramātmā , vō gyān kā sāgar hai . Yah kahtē kaun haĩ ? Tum jāntē hō ki barōbar ham ātmāē̃ haĩ , bābā parampitā paramātmā gyān kā sāgar , vō hamkō gyān sunāy rahē haĩ . Tō pahlē pahalēpakkē ātmā-abhimānī bannā chāhiē . Vō jō ātmā bhī hai , śharīr mē̃ hai , par dēh-abhimān hai . Hōnā chāhiē ātma-abhimān ; parantu drama-anusār tum bachchō̃ kō dēh-abhimānī bannā hai . Samjhā nā . Abhī jabki tum bachchō̃ kō vāpas jānā hai tō tumkō dēhī-abhimānī banātā hū̃ . Dēhī-abhimānī aur kōī bhī banāy nahī̃ sakē̃gē . Yē bāp āē huē haĩ sabhī apnē bachchō kō , tō bachchē kahtē haĩ na . Tum bachchē sabhī bachchē hō . Yē bhī bachchē haĩ , yē bhī bachchē haĩ ; kyōṅki ātmā varsā lētī hai . Bābā nē samjhāyā thā ki abhī ātmā parampitā paramātmā yānī ḍāḍē sē varsā lētī hai . Tum kahē̃gē ki ham ātmā ḍāḍē sē varsā lētī haĩ . Yē bhī kahē̃gī - ham ātmā ḍāḍē sē varsā lētī haĩ . Samjhā nā . Jab jīvātmā hai tō phir tum jāntē hō ki mātāō̃ kō varsā nahī̃ miltā hai , bachchō̃ kō varsā miltā hai . Kanyāō̃ kō varsā nahī̃ miltā hai , unkō miltā hai . Tum ātmāē̃ hō . Tum harēk kō hak hai , mujh apnē parampitā paramātmā sē varsā lēnē kā . Jiskē thē , haĩ ; kyōṅki tum kahtē bhī rahtē hō nā - ō god father . Arē , yah tō tum janm-janmāntar kahtē ātē hō - ō parampitā paramātmā . Iskō prēyar kahtē haĩ . Harēk manuṣhya bāp kō ō god ' kahtē haĩ . Yah hai saccī-paccī . Iskō prēyar kahtē haĩ prē agrējī akṣhar hai , parantu yād kartē haĩ , upmā kartē haĩ . Prē kō upmā kahtē haĩ . Ō god father ' kisnē kahā ? Kyōṅki vō tō jāntē haĩ ki hamārā śharīr kā bāp hai . Yah phir kaun hai jō bulātē haĩ ? Ō parampitā aisē bulātē haĩ nā . Achchhā , jab ātmā ūpar bulātī hai , tō jarūr ātmā hai jō bulātī hai ; kyōṅki . . barōbar vō tō śharīr hai pitā kā ; parantu vōjō avināśhī bāp hai , unkō kabhī nahī̃ bhūltē haĩ , bhaktimārg mē̃ bhī nahī̃ bhūltē haĩ . Kyō̃ yahā̃ aisē pukārtē haĩ ? Kyōṅki rāvaṇ kā rājya hai nā . Isliē yahā̃ duḥkh hī duḥkh hai . Jab sē rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai , tab sē tumhārī prēyar śhurū hōtī hai . Uskō ' yād karnā kahā jātā hai ; parantu yād tō pitā kō hī karnā chāhiē nā . Varsā bhī tō bāp sē milnā hai nā . Aur tō kōī kō yād nahī̃ karnā hōtā hai nā ' parantu yahā̃ tō bahutō̃ key|kī yād dilātē haĩ . Gurū tō yād sē bhulāy dētē haĩ . Vō bōl dētē haĩ - sarvavyāpī . Phir tō god kiskō kahē̃ aur father kiskō kahē̃ ? Tō yē bachchē jāntē haĩ ki barōbar abhī bāp ākar yē ghaṛī-ghaṛī kahtē haĩ - bachchē , dēhī-abhimānī bhav . Yānī abhī tumkō ḍāyarēksãs milā hai ki uṭhtē-baiṭhtē , khātē-pītē-sōtē mujhē yād karō . Tō kahē̃gē - maĩ ātmā abhī khā rahā hū̃ barōbar bābā K|kē yād mē̃ . Tō kyā hōgā ? Yād sē hamārā jō vikarma hai , vināśh hōgā . Mēhnat hai baṛī bhārī . Yōg kōī māsī kā ghar nahī̃ hai . Bhalē kōī dēvī kō yād kiyā , kōī kr̥iṣhṇa kō yād kiyā , kōī phalānē kō yād kiyā , kōī vikārī gurū kō yād kiyā , kyōṅki vikārī gurū bhī miltē haĩ nā , phir vō bhī kahtē haĩ - hamkō yād karō . Aisē bhī hōtē haĩ , kahtē haĩ ki jab tumkō kōī bhī āphat yā duḥkh āē tō mērī yād karō . Aisē bhī kah dētē haĩ . Guruō̃ kā phōṭō lagāy dētē haĩ . Ab tumkō kōī bhī chitra sē kām nahī̃ rahā . Vichitr sē vichitr kahō . Jiskā chitra hai , parantu hai asal mē̃ vichitr . Ātmā vichitr hai nā . Jaisē bāp vichitr , taisē bachchē bhī vichitr . Vichitr mānā unkō dēh nahī̃ , chitra nahī̃ . Chitra tō manuṣhya kā , ātmā kā phirtā rahtā hai nā . Ēk daphā yah phalānā chitra milā unkē phalānē nām kā . Tō issē siddha karkē batātē haĩ ki tum aisē nahī̃ kahō ki parampitā paramātmā sarvavyāpī hai . Tum tō unkō bahut chitra dē dētē hō . Phir musībat tō yah tumnē lagāī hai ki kuttē , billē sabkā chitra dē dētē hō . Dēkhō , kitnī tumnē glāni kī hai ! Tabhī kahtē haĩ nā - ' ' yadā yadā hi dharmasya glānirbhavati bhārat ' yānī yē jō dēvī-dēvtā dharm vālē yā kōī bhī dharm vālē yānī hindū musalmān vagairah , yē sab mērī ēk hī glānī kartē haĩ ki tum sarvavyāpī hō . Tō yah glāni huā nā , defame huā . Tō ḍōrāpā dētē haĩ . Bōltē haĩ bachchē , tumnē mujhē patthar , bhittar ṭhikkar mē̃ lagāy diyā aur kabhī tō kahtē hō ki nahī̃ , bābā kā ēk hī avatār hai ; kyōṅki bāp hai , ham sab bachchē haĩ , tō ēk hī bār ātē hōṅgē . Phir kabhī kah dētē hō ki 84 yā 24 avatār . Vō hai nā - kachchha avatār , machchha avatār , vārāh avatār , paraśhurām avatār . Dēkhō , kitnī bātē banāī huī haĩ . . . . . real tō nahī̃ hai nā . Phir itnā kahkar karkē aur phir kah dētē haĩ ki hā̃ , sarvavyāpī hai - kuttē mē̃ , billē mē̃ hai . Tum bachchō̃ nē tō kamāl kar diyā . Bāp tum bachchō̃ kō bōltē haĩ . Ātmāē̃ suntī haĩ . Abhī aisē hī samjhō ki mērī ātmā in organs dvārā sun rahī hai . Bābā inkā loan liē huē haĩ ; kyōṅki bāp kahtē haĩ - nahī̃ tō prakr̥iti K|kē ādhār bigar maĩ kaisē baiṭhkar tumkō gyān dū̃ ? Maĩ kaisē tumkō rājyōg sikhlāū̃ ? Nirākār hai nā . Bhagvān hamēśhā nirākār kō hī kahā jātā hai . Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kō tō manuṣhya kahā jātā hai . Ham dēvtā kahtē bhī haĩ - brahmā dēvatāy namaḥ , viṣhṇu dēvatāy namaḥ , śhaṅkar dēvatāyanamaḥ . Tīnō̃ sūkṣhmavatan mē̃ . Phir kahtē haĩ paramātmāy namaḥ . Phir kahē̃gē śhiv paramātmāy namaḥ . Vō creator hō gayā . Brahmā , viṣhṇu śhaṅkar kā bhī creator hō gayā nā . . . . . . . barōbar pahlē - [ pahlē brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kā sākṣhātkār karātē haĩ , tō sukṣmavatan key|kī rachnā rachtē haĩ . Abhī tum bachchō̃ nē samjhā ki bāp kab ātē haĩ , kyōṅki bāp kō ānā hī hai patit duniyā mē̃ . Aisē nahī̃ ki kōī vināśh hōtā hai uskē bād kōī kuchh hōtā hai . Vō jō kr̥iṣhṇa bachchē kō pīpal K|kē pattē par dikhlātē haĩ ki mahāpralay huī thī tab sāgar mē̃ pīpal K|kē pattē par . . . aisī kōī bātē̃ nahī̃ haĩ . Yah bāp nē samjhāyā hai ki śhrīkr̥iṣhṇa , jō sampūrṇ first prince of|off viśhva hai sō bhī viśhva kā yahā̃ bhārat kō kahā jātā hai . Jab bhārat mē̃ inkā rājya hōtā hai , tō unkō kahā jātā hai ' viśhva kā mālik ; kyōṅki aur tō kōī hai nahī̃ . Advait haĩ dēvatāē̃ pīchhē dvait hō jātē haĩ , anēk prakār K|kē dharm hō jātē haĩ . Tō bāp baiṭhkar bachchō̃ kō samjhātē haĩ . Bachchō̃ kō yahī samajhnā hai , bābā is śharīr mē̃ ā karkē ham ātmāō̃ kō paṛhāy rahē haĩ . Dēkhō , kitnā achchhī tarah niśhchay mē̃ baiṭhnā chāhiē . Ab bāp kahtē haĩ , maĩ bhī aśharīrī hū̃ aur jō maĩ sunātā hū̃ sō bhī dhārṇā ātmā mē̃ karnī hai . Isliē apan kō ātmā niśhchay kar aur dhāraṇ karō aur phir śharīr dvārā sunāō . Maĩ bhī gyān kā sāgar hū̃ hī . Maĩ kōī paṛhā-likhā nahī̃ hū̃ na kōī baiṭh karkē śhāstra paṛhā hai . Jō bhī baiṭhtē haĩ , vō śhāstra paṛhtē haĩ phir baiṭh karkē sunātē haĩ . Unhō̃ key|kī buddhi mē̃ yah hōgā nā , maĩ āj vēd granth gītā , kōī pustak key|kī bāt sunātā hū̃ ; kyōṅki pustak paṛhā huā hai . Yahā̃ tō aisē nahī̃ hai nā . Yah tō khud hī gyān kā sāgar hai . Hā̃ , yē jarūr hai ki jab kahtē haĩ ki maĩ in sabhī vēdō̃ , granthō̃ aur śhāstrō̃ kō jāntā hū̃ maĩ samajhtā hū̃ ki inmē̃ kyā likhā huā hai ! Inmē̃ sabhī gapōṛē likhē huē haĩ . Tumhārā pahlē number kā śhāstra hai - sarv śhāstramaī śhirōmaṇī śrīmatabhagavat gītā . Śhrīmat bhagavat bhagvān , bhagvān key|kī tō kahā jātā hai gat mat nyārī hai . Yū̃ kahtē jātē haĩ - hē īśhvar , hē bābā . Aisā hai nahī̃ . Īśhvar nahī̃ , bhagvān nahī̃ , ēk bābā kahnā chāhiē ; kyōṅki īśhvar prabhu paramātmā yē sab kahnē sē yē bāp hai , insē varsā milnā hai vō manuṣhya bhūl jātē haĩ . Bhagvān kahnē sē bhī vō lovely bāp key|kī prīt anubhav nahī̃ hōtī ; kyōṅki ham creation tō haĩ nā . Kiskī creation haĩ ? Jarūr kahē̃gē creator key|kī . Tō barōbar ham ātmāē̃ sabhī jīv-ātmā banī haĩ creator sē . Usnē create kiyā hai hamkō . Creator tō kōī hōgā nā . Tum harēk bachchē tō creator nahī̃ hō . Bābā bachchō̃ kō samjhātē haĩ - dēkhō , yah puruṣh had kā brahmā hai . Yah had kā brahmā creator hai . Kyā kartē haĩ ? Mukh sē strī kō lētē haĩ . Yah mērī strī hai , uskō kahā jātā hai mērī mukhvaṅśhāvalī . Unkō tō mērī mukhvāśāvalī . Achchhā , pīchhē creator bantē haĩ un dvārā ; dēkhō yah bābā bhī kahtē hai - yah hai mērī mukhvaṅśhāvalī , maĩ insē create kartā hū̃ . Vaisē hī puruṣh bhī . Unkō strī tō chāhiē nā . Nahī̃ tō create kaisē karē̃ ? Bābā kō bhī kahtē haĩ - māt-pitā chāhiē nā . Mātā kahā̃ sē lē āyē̃ ? Tō ismē̃ pravēśh karkē adopt kartē haĩ . Phir kahtē haĩ - hā̃ barōbar , tum māt-pitā . . . . Abhī bāp in dvārā brahmāmukhavãśāvalī rachnā rachtē haĩ . Yah mātā hō gaī . Kiskē bachchē banē hō ? Ham īśhvar K|kē bachchē banē haĩ brahmā dvārāyānī bāp K|kē bachchē banē haĩ brahmā dvārā . Strī chāhiē nā phir ! Yah strī hō gaī nā . Tō bāp samjhātē haĩ yah bahut wonderful chīj hai . Yah kōī sādhu-sant-mahātmā dvārā śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ likhā huā hai . Maĩ sabhī vēdō̃ , granthō̃ , śhāstrō̃ , sārī duniyā kā rāj jāntā hū̃ . Nahī̃ tō mujhē knowledgeful kyō̃ kahē̃ ? Kahtē haĩ nā knowledgeful jānījānanahār . Manuṣhya samajhtē haĩ ki andar key|kī jānnē vālā hai . Ēk tō kahtē haĩ - andar key|kī jāntē haĩ . Jaisē thought readers hōtē haĩ nā . Tō yē lōg samajhtē haĩ ki bāp śhāyad thought reader hai , ham sabhī K|kē dilō̃ key|kī bāt kō jānnē vālā . Itnē kaisē thoughts reader ban saktē haĩ ? Bābā kahtē haĩ - yah bhī tō maĩ nahī̃ hū̃ thought reader maĩ nahī̃ hū̃ jō mujhē kahtē haĩ andar key|kī jānnē vālā . Arē , nahī̃-nahī̃ . Maĩ manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp hū̃ isliē yah jō mērā jhāṛ hai , maĩ bīj ūpar mē̃ hū̃ aur yah ulṭā jhāṛ hai . Maĩ jō bījrūp hū̃ sō tō chaitanya hū̃ . Chaitanya bhī hū̃ , satya bhī hū̃ . Sat cit ānand svarūp , aisē kahtē haĩ nā . Bhalē kōī nē mahimā thōṛī-bahut dē dī hai ; par yah tō sat hai , chaitanya hai . Barōbar sabkī ātmāē̃ sat haĩ aur chaitanya haĩ . Haĩ tō jarūr nā . Ātmāē̃ sat haĩ . Yah śharīr asat hai , ghaṛī-ghaṛī yah martā hai , phir dūsrā janma lētā hai . Ātmā tō nahī̃ martī hai nā . Ātmā kō yah knowledge grahaṇ karnā hai . Samjhā nā . Kahtē haĩ ki ātmā nirlēp hai . Abhī nirlēp bāp baiṭhkar samjhātē haĩ - maĩ parampitā paramātmā nirlēp hū̃ yānī ki pāp-puṇya kā , duḥkh-sukh kā , svād vā nasvād kaḍuvā-mīṭhā yē mērē mē lēp-chhēp nahī̃ hai , tumhārē mē̃ hai . Tumhārī ātmāō̃ mē hai . Maĩ nirlēp hū̃ yānī mērē mē̃ yē nahī̃ hai . Maĩ hū̃ gyān kā sāgar , yah jāntā hū̃ ki maĩ in duḥkh-sukh sē yā khārā-khaṭ ṭā sē nirlēp hū̃ . Hai bāp nirlēp aur manuṣhya kah dētē haĩ - arē , ātmā nirlēp hai ki paramātmā hai . Dēkhā nā , kahā̃ phark ākar paṛā hai manuṣhyō̃ key|kī buddhi mē̃ . . . . jaisē-jaisē nē ēk kahā vō manuṣhya pīchhē follow kar lētē haĩ . Yah bāp kahtē haĩ ki bachchē , nirlēp jiskō kahā jātā hai vō maĩ hū̃ . Maĩ duḥkh-sukh sē nyārā hū̃ . Maĩ in khaṭṭē khārē key|kī maĩ bhalē ismē̃ hū̃ tō bhī mērē kō khaṭ ṭā-khārā lagēgā nahī̃ ; kyōṅki maĩ nirlēp hū̃ . Samjhā nā . Phir aisā nahī̃ hai ki maĩ gyān kā sāgar hū̃ . Maĩ alag hū̃ nā . Tumhārā yah jō bhī khān-pān , yah inkī ātmā kō hōtā hai ki yah khaṭ ṭā hai , mīṭhā hai , maĩ nahī̃ kahtā hū̃ khaṭ ṭā-mīṭhā kyōṅki maĩ in bātō̃ mē̃ nirlēp hū̃ . Itnā jarūr hai ki maĩ gyān kā sāgar hū̃ . Mujhē yah sārē sr̥iṣhṭi chakra kā , jō tum bachchō̃ kō baiṭh karkē paṛhātā hū̃ , vō mērē mē̃ gyān hai . Kinkō paṛhātā hū̃ ? Ātmā kō paṛhātā hū̃ . Harēk kō yē samajhnā paṛē - maĩ ātmā hū̃ parampitā sē sun rahī hū̃ . Ab yahā̃ tō kōī satsaṅg aisā hō hī nahī̃ saktā hai , jinmē̃ yē sabhī bātē̃ samajhanē-samajhānē vālā kōī hō . Tō niśhchay karnā chāhiē nā ki yahā̃ tō barōbar bhagvānuvāch hai . Bhagvān tō ēk kō hī kahē̃gē nā . God is one , uskī creation is one . Nahī̃ tō kahā̃ likh diyā - pātālā pātāl , ākāśā ākāśh sr̥iṣhṭi batā diyā . Isliē yah hindū śhāstrō̃ mē̃ jō gaṛbaṛ machī hai nā , vō bichārē ūpar mē̃ sr̥iṣhṭi ḍhūṇḍh rahē haĩ . Tārō̃ mē̃ aur candramā mē̃ bichārē matthā mār rahē haĩ , kyōṅki ēk tō yahā̃ sē hī gayā hai ki īśhvar sarvavyāpī hai . Ulṭā huā nā ' kyōṅki dvāparavālō̃ nē , pīchhē jō āē haĩ , vō ēk tō kahtē rahtē hai sabkō ki pahlē pahalēhaibhārat mukhya . Bhārat kō kahā jātā hai avināśhī khaṇḍ . Avināśhī khaṇḍ kyō̃ - jaisē bāp avināśhī ātmā hai , vō yahā̃ janma lētē haĩ . Tō yah kiskī birth place hai ? Patit-pāvan key|kī . Jō ham sabkō patit sē pāvan banātē haĩ unkā yah birth place hai . Yah bahut ū̃chā khaṇḍ hai , parantu vō bāp kā nām prāyaḥlōp kar gītā kā nām . Hai bhī barōbar yahā̃ bāp kā mandir . Pīchhē kr̥iṣhṇa kā bhī mandir hai . Abhī yah tō samajhnā chāhiē nā ki kr̥iṣhṇa kā mandir vō hai bāp kā mandir . Yah jarūr bachchā ṭhaharā|ṭhahrā . Unkō kahā hī jātā hai bābā . Yah jarūr bachchā ṭhaharā|ṭhahrā . Tō barōbar is kr̥iṣhṇa bachchē kō , jō svarg kā bachchā hai , itnī jō inkī prālabdh hai vō tō jarūr bāp nē dī|the hōgī . Dēkhō , phark hai nā ēkdam . Śhivrātri kē pīchhē ātī hai kr̥iṣhṇa janmāṣhṭamī . Bhalē pīchhē yē sabhī ātē haĩ - hōlī|holy , rakhaṛī bandhan . . . phalānā . Śhivbābā kē pīchhē yē sabhī tyōhār ātē haĩ . Yah tō bāp nē baiṭhkar samjhāyā nā . Nahī̃ tō manuṣhya kyā jānē̃ tyōhārō̃ sē , sanyāsī kyā jānē in sab bātō̃ sē . Vō tō ēk dharm huā nā . Bāp tō abhī kahtē haĩ bachchē , yē dēh K|kē jō bhī sabhī dharm haĩ , bhalē kōī bhī hō , gujarātī hō , marāṭhī hō , māravāṛī hō , pañjābī hō , phalānā hō , yē sab bātē̃ abhī chhōṛ dō . Pīchhē yē sab tumhārē ūpar nām āē haĩ . Kōī janm mē̃ pañjābī hōgā , kōī janm mē̃ māravāṛī hōgā , kōī janm mē̃ gujarātī hōgā . Kōī samay mē̃ tum sanyāsī bhī hōṅgē ; kyōṅki sanyāsī bhī bhraṣhṭa hō paṛtē haĩ , gr̥ihastha mē̃ janma lē lētē haĩ . Kōī jā karkē sanyāsiyō̃ mē bhī janma lētē haĩ . Aisē hī janm phirtē rahtē haĩ . Tō bāp baiṭh karkē bachchō̃ kō samjhātē haĩ , bachchō̃ kō yah niśhchay rakhtē haĩ , hamārī ātmā is samay mē̃ parampitā paramātmā sē yē sabhī kuchh jō knowledge hai sō paṛh rahī hai in organs dvārā . Bāhar mē̃ kōī bhī school vagairah nahī̃ hai jō aisē baiṭh karkē samajhē ki ham ātmā haĩ aur barōbar pāp-puṇya K|kē lēp-chhēp mē̃ ā gaē , isliē tō hamkō tamōpradhān ātmā kahtē haĩ aur pahlē ham satōpradhān thī̃ , vahā̃ rahnē vālē . Ātmākē liē kahā jāēgā nā . Khād ātmā mē̃ paṛtī hai . . . . . . . . bābā kahtē haĩ - mērē mē̃ tō kōī khād nahī̃ paṛtī hai . Maĩ tō ever hī sachchā sōnā hū̃ . Tō tumhārī jō ātmā . jiskō sōnā bhī kahā jātā hai , unamē alloy paṛtī hai , khād paṛtī hai . Barōbar sabmē̃ khād paṛ karkē aur sabhī iron age ban gaē hō . Tō abhī tumkō yahā̃ paṛhāī kaun paṛhātē haĩ ? Pahlē hī jab āvē , barōbar yah mama paṛhātī hai . Mama nē kissē sunā ? Mama key|kī buddhi ēkdam ūpar mē̃ chalī jāēgī - śhivbābā sē sunā . Śhivbābā nē kahā̃ sē sunā ? Śhivbābā tō khud hī gyān kā sāgar hai . Yah bahut samajh key|kī bāt hai . Achchhī tarah sē aur baṛē dhyān sē samajhnā hai . Vāstav mē̃ jō samājh hōtē haĩ . . . . . . . . . . . . . . . . barōbar bābā hamkō paṛhātē haĩ . Bas , ham bābā kā banē . Bas , bābā kā banē , jaisē ki jīvanmukt bannā hai . Bābā sē jīvanmukt bannā . Aur kōī bhī manuṣhya mātra sē kōī bhī jīvanmukt nahī̃ ban saktē haĩ ; kyōṅki jīvanmukt mānā hī phir is śharīr mē̃ ānā aur sukh bhōgnā . Abhī jīvanbandh hai ; parantu pahlē tō hamkō muktidhām mē̃ jānā hai nā . Tō mukti bhī sabkō miltī hai . Jīvanmukti bhī sabkō miltī hai ; parantu jīvanmukti tō number-vār haĩ . Kōī satyug mē̃ āēgā , kōī trētā mē̃ āēgā , kōī dvāpar mē̃ āēgā , parantu āēgā tō ātmā . Mukt tō sabhī ātmā hōtīhai nā . Yah jīv key|kī ātmā , un sabkō duḥkh sē mukt kar dētē hai . Iskō kahā hī jātā hai liberate karnē vālā . Bābā kahtē haĩ - maĩ ātā hū̃ tum bachchō̃ kō liberate karkē phir jīvanmukt banātā hū̃ ki tum pahlē bhī jab satōpradhān mē̃ āē̃gē , jō bhī āē , bhalē pichhāṛī mē̃ āē ; kyōṅki janm tō tum 84 lētē hō , 80 bhī lētē hō , 5 bhī , 2 bhī lē̃gē . Dubārā janm vālā bhī hōgā . Jō pahlē āēgā tō aisē mē̃ sukh bhī dēkhēgā aur phir vahī phir duḥkh bhī . Jīvanmukt tō sab bantē hai nā . Phir uskō kahā jātā hai ki sad gati dēnē vālā sirph ēk rām ; kyōṅki is samay mē̃ sabhī durgati kō haĩ . Sādhu , sant , mahātmā jō dharmasthāpak haĩ . Buddha jiskō kahā jātā hai , Christ jiskō kahā jātā hai , dharmasthāpak , vō sabhī part bajā-bajākar , punarjanma lētē-lētē ā karkē ab tamōpradhān banē haĩ . Phir maĩ baiṭh karkē sabkō in duḥkh rūpī janm sē chhuṛātā hū̃ isliē kahā jātā hai aṅgrējī mē̃ liberator athavā muktidātā , jīvanamuktidātā . Tō barōbar dōnō̃ hī miltī hai . Mukti mānā hī apnē ghar mē̃ jānā . Silence world mē̃ jānā yā apnē nirākār yā nirvāṇdhām mē̃ jānā . Tum samajhtē hō nā , bāp nirvāṇdhām mē̃ sē āyā huā hai , phir jiskō parlōk bhī kahā jātā hai . Parlōk dō huē . Ēk śhānti kā lōk , ēk sukh kā lōk . Iskō parlōk nahī̃ kahē̃gē . Parlōk tumhārī buddhi mē̃ dō haĩ . Ēk hamārā jō ū̃ch tē ū̃ch lōk hai , jiskō parē tē parē kahā jātā hai . Phir dūsrā parlōk yah lōk , kyōṅki tum parlōk kō bhī yād kartē hō nā . Lōk kō bhī yād kartē hō , nirvāṇdhām kō bhī yād kartē hō , svarg kō yād kartē hō ; parantu aisē nahī̃ ki svarg kōī ūpar mē̃ hai . Nahī̃ , ūpar mē̃ tō nirvāṇdhām hai . Svarg-narak phir yahā̃hōtē hai . Tō barōbar is samay mē̃ sabhī kumbhīpāk narak mē̃ paṛē huē haĩ . Iskō kumbhī pāk narak kahā jātā hai , kyōṅki abhī pichhāṛī hai nā . Ēk - dō mē̃ bahut duḥkh khātē haĩ , uskō hī kumhī pāk narak kahā jātā hai . Garuṛ purāṇ mē̃ hai nā . Garuṛ purāṇ mē̃ bhī rōchak bātē̃ haĩ . Kyō̃ yah rōchak bāt baiṭh karkē dikhlāī unhōnnē ? Tāki manuṣhya ḍarē . Tum pāp karē̃gē tō gadhē kā janma lē̃gē , phalānā banē̃gē . Tō pāp sē bachē , isliē yē manuṣhyō̃ nē baiṭh karkē banāē haĩ . Abhī yē jō banāē haĩ , phir bhī banē̃gē . Yah tumhārī gītā tō hōgī nahī̃ phir . Phir bhī vahī gītā . . kyōṅki śhāstra tō chāhiē nā baṛē-baṛē . Yē śhāstra banānā śhurū hōtē hī haĩ dvāpar sē jabki bhaktimārg śhurū hōtā hai , parantu chāhiē tō sahī nā . Isliē unhōnnē baiṭh karkē banāē haĩ . Dūsrē jō dharm vālē haĩ vō jāntē haĩ ki barōbar hā̃ , phalānē time mē̃ ibrāhim āyā . Bas , aur tō kōī dūsrā nahī̃ hai nā ūpar mē̃ dharm sthāpan karnē vālē . Bāp tō kahtē haĩ ki maĩ ātā hū̃ in brahmā dvārā brāhmaṇ dharm sthāpan karnē . Phir brāhmaṇ dharm kō sūryavanśhī aur kṣatriyavãśī pad miltā hai . . . . . . . . . pīchhē dō kalp mē̃ , dō yug mē̃ tō kōī dharm sthāpan karnē vālā ātā hī nahī̃ hai . . . . . . . . . apan kō dēvī-dēvtā kahalāy nahī̃ saktē haĩ . Patit kaisē dēvī-dēvtā kahlāē̃gē ? Patit kaisē apan kō śhrī kahē̃gē ? Śhrī mānā śhrēṣhṭh . Tō bāp kahtē haĩ - mujhē kahtē haĩ nā ' śhrī-śhrī jagatpitā , phir ' śhrī-śhrī jagatamātā . Śhrī-śhrī tō unkō hī kahā jātā hai nā . Vō phir śhrēṣhṭh banātē haĩ . Śhrēṣhṭh sirph kahā jātā hai dēvī-dēvatāō̃ kō . Pīchhē vō bhraṣhṭa hō jātē haĩ . Abhī phir inahinduō̃ kō , jō bhāratvāsī haĩ , jō asul dēvī-dēvatāō̃ K|kē pūjnē vālē haĩ vō bhraṣhṭa ban jātē haĩ . Aisē bhraṣhṭa ban jātē haĩ , vō dēvī-dēvtā K|kē dharm K|kē haĩ , sab bhūl jātē haĩ . Tō prāyaḥlōp hō jātē haĩ . Chitra rahtē haĩ , parantu kōī nahī̃ samajhtē haĩ ki yah ādi sanātan dēvī dēvtā dharm kab aur kisnē sthāpan kiyā . Satyug key|kī āyu ḍhēr lākhō̃ baras lagāy diyā . Tō isliē kahā jātā hai ki vō jātē haĩ , chitra rah jātē haĩ , jaisē āṭē mē̃ lūn . Bhalē sarv śhāstramaī śhirōmaṇī gītā . . . . . . . . . . . . . . . . . . 100 % sab kuchh jhūṭh nahī̃ bantā hai , kuchh rahtā hai ; isliē gāyā jātā hai - āṭē mē̃ lūn . Śrīmadamagavat gītā mē̃ kuchh na kuchh hai . Yādav , kaurav , pāṇḍav , yē sabhī nām tō haĩ nā . Kahtē haĩ bābā - sarvadharmān parityajya ' . Yah akṣhar ṭhīk hai . Par kahtā kaun hai ? Śhrīkr̥iṣhṇa . . . . . Nahī̃ , . . . . . . bilkul jhūṭh . Bhagvān bāp abhī kahtē haĩ - bachchē , dēh K|kē sabhī dharm bhūl apan kō ātmā samjhō aur apnē bāp kō yād karō , kyōṅki abhī khēl pūrā hōtā hai . Dēkhtē nahī̃ hō vināśh hō rahā hai aur phir gēṭ C khul rahē haĩ ? Kiskē gēṭ C khulē̃gē ? Mukti phir jīvanmukti . Tō barōbar gati-sad gati , mukti-jīvanmukti , dātā phir ēk hai . Yahā̃ tō dēkhō , kōī kō kahē̃gē - yah tō jagatamātā . Kōī aisē-aisē hōtē haĩ jinkō title dētē haĩ jagatamātā . Phir kōī apnē kō gurū kahtē haĩ - ham jagatgurū haĩ . Ab aisē nahī̃ ki sabhī kōī kah saktē haĩ ki jagatamātā pitā , gurū , teacher vagairah ēk hai . Nahī̃ , yahā̃ bahut haĩ , jō unkō mahimā dētē haĩ - yah hai jagatamātā . Kōī paṛhē hōṅgē nā . . . . . . jaisē kōī prēsiḍēṇṭ key|kī būṛhī strī hōgī tō unkō bhī jagatamātā kah dēgē . Yahā̃ bhārat mē̃ aisī bahut ḍhēr-ḍhēr jagatamātā haĩ . Śhrī-śhrī jagatgurū bhī bahut haĩ ; parantu aisā tō kōī nahī̃ milēgā , jō jagatpitā bhī hō , jagatamātā bhī hō jagataguru bhī hō aur jagat śhikṣhak bhī hō . Vō tō kōī nahī̃ , vō tō ēk hī hōtē haĩ nā . Bhalē manuṣhya apnē kō nām bahut rakhvātē haĩ . Madrās mē̃ nām haĩ - bhaktavatsalam bhaktadarśanam . Aisē-aisē nām bhī dē dētē haĩ . . sē tō lakṣhmī nārāyaṇ bhī apnē kō kah dē̃ . . . . . Nahī̃ tō kahā̃ śhrī lakṣhmī aur nārāyaṇ , kahā̃ vō apan kō vikārī ṭaṭadū kah dētē haĩ ! Tumhārā nām kyā hai ? Sō bhī ājkal śhrī lakṣhmī-nārāyaṇ . Dēkhā , ājkal śhrī nē title dē diyā hai sabkō . Kuttē-billī kō bhī śhrī kahtē haĩ . Musalamān-hindū sabkō śhrī kah dētē haĩ . Abhī yah śhrī tō sirph bhārat K|kē dēvtā bantē haĩ . Aur tō kōī itnā śhrēṣhṭh bantē hī nahī̃ ; kyōṅki śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh bāp , phir śhrēṣhṭh key|kī rachnā dēvtāō̃ key|kī . Phir janāvar kē ūpar bhī śhrī-śhrī title dē diyā kuttē-billiyō̃ kē ūpar bhī śhrī . Nahī̃ tō śhrī mānā hī śhrēṣhṭh . Śhrēṣhṭh kaun banātē haĩ ? Śhrī-śhrī . Śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh sō tō haĩ hī dēvatāē̃ . Bāp kahtē haĩ - abhī asurō̃ nē , jō bilkul hī tamōpradhān ban gaē , unhōnnē baiṭh karkē apan kō śhrī title dē diyā hai . Nahī̃ tō āgē mister and mrs. vagairah kahtē haĩ , abhī tō sabkō śhrī title dē diyā hai . Iskō hī kahā jātā hai nā dharmaglāni . Bilkul buddhū ban gaē haĩ . Apnē ādi sanātan dēvī dēvtā dharm kō bhūl , phir vahī title baiṭh karkē apan kō dētē jātē haĩ . Usmē̃ vō sādhu-sanyāsiyō̃ kō bhī majā ā gayā hai . Tō vō bhī apan kō śhrī-śhrī 108 kahnē lag paṛē haĩ . Bābā kahtē haĩ - bachchē , yē dharmaglāni hai , isliē yē pahlē hī kahtē haĩ . Bābā kahtē haĩ ki yah jōtumhārā guru hai , samajhtē hō ki hamārī sad gati karē̃gē ; kyōṅki ū̃ch tē ū̃ch martabā gurū kā rakhā jātā hai nā . Gurū hai sadagati karnē vālā . Ab yē gurū tō tumhārī sad gati nahī̃ kar sakē̃gē . Sad gati tō sabkī hōnī hai ēk sē . Isliē gātē bhī haĩ sad gati dātā ēk rām . Rām kyō̃ nām rakh diyā ? Kyōṅki rāvaṇ nām hai nā yahā̃ kā māyā kā . Tō rām kah diyā hai , bākī mērā nām , bhalē rām bhī kahō , tō bhī hai tō bindī nirākār nā , kyōṅki vō jō sītā vālā rām hai , vō tō apnā sukh kā varsā lētē haĩ . Vō kabhī kōī duḥkh nahī̃ dētē haĩ . Yē tō bachchō̃ nē baiṭh karkē ciṭacēṭ lagāī hai , jaisē ki śhāstrō̃ mē̃ . Tō bāp kahtē haĩ - yē bhārat K|kē śhāstra sabhī jhūṭhē haĩ . Bākī dharm vālē jāntē haĩ ki barōbar hamārā dharm phalānē nē phalānē samvat mē̃ rachā . Achchhā , phir bākī jō ādi sanātan dēvī dēvtā asul mukhya bhāratvāsī haĩ , vō bichārē bhūl gaē haĩ . Yē dēvtāō̃ kē pās jātē tō haĩ , parantu bichārō̃ kō patā nahī̃ hai - śhrī lakṣhmī nārāyaṇ nē kab rājya liyā ? Kaisē liyā ? Kisnē dharm sthāpan kiyā ? Bhalā kisnē inkē karma banāē ? Itnē ū̃chē karma kōī nē tō banāē hōṅgē nā . Yē satyug K|kē ādi mē̃ , yah kaliyug ant mē̃ dēkhtē hō kyā-kyā hai . Abhī tum mahsūs kartē hō ki āj kyā hai , kal kyā hai . Āj bilkul narak kauṛī tulya , kal lakṣhmī nārāyaṇ key|kī rājdhānī - yah kaisē hōtī hai ? Jarūr kuchh tō hōgā nā . Tō kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ , sirph ab tum jāntē hō ki barōbar bāp phir sē ādi sanātan dēvī dēvtā dharm key|kī saimpaliṅg lagāy rahē haĩ . Yē congress lōg tō vō jhāṛ-jaṅgal key|kī saipalig lagā rahē haĩ . Āgē yē sapling nahī̃ thē . Abhī dēkhō , bābā yahā̃ āē haĩ nā , yē dēvī-dēvatāō̃ key|kī sampling lagā rahē haĩ . Kitnī gupta bāt hai . Kahtē haĩ jōjō bhīādi sanātan dēvī dēvtā dharm vālē haĩ , sō abhī sabhī asur ban gaē haĩ . Vahī phir ā karkē hamārē sē varsā lē̃gē . Iskō kahtē haĩ sēpaliṅg . Abhī dēvī-dēvtā apnē jhāṛ kō chhōṛ karkē kin-kin jhāṛō̃ mē̃ lag gaē , transfer hō gaē . Ēk tō hindū hindū mānā hindustān K|kē dharm mē̃ chalā gayā . Hindustān K|kē dharm mē̃ tō nahī̃ jānā chāhiē nā . Hindustān tō rahnē kā sthān hai . . . . . aisē thōṛē hī ki Europe K|kē rahnē vālē kōī european dharm K|kē huē . Vō tō kriściyan dharm K|kē haĩ nā . Hindustān mē̃ rahnē vālē apan kō hidū kahtē haĩ . Baṛē wonder key|kī bāt hai 1 unkō kuchh samajh mē̃ ātā hī nahī̃ hai ki ham hindū dharm kahā̃ sē lāē ? Kōī sē pūchhō ki hindū dharm kisnē sthāpan kiyā . Kōī kō bhī patā nahī̃ hai . Kiskō bhī patā nahī̃ hai , hindū akṣhar kahā̃ sē āyā . Hindū akṣhar tō musalmānō̃ nē ā karkē rakhā hai , jinhōnnē hindustān kahā aur aṅgrējō̃ nē ā karkē india rakhā aur asul mē̃ iskā nām bhārat hai . Yadā yadā hi dharmasya glānirbhavati bhārat . Abhī gītā mē̃ bhagvānuvāch ( hai ) aur unhōnnē iskā nām hindustān rakh diyā , india rakh diyā . Achchhā , bāp tō yē sabhī bātē̃ samjhātē haĩ . Kisnē paṛhāyā ? Ham ātmāō̃ kō , aham ātmāō̃ kō parampitā paramātmā paṛhā rahā hai aur yah tō kōī bhī nahī̃ samajhtē hōṅgē dūsrī jagah mē̃ , sivāy tumhārē mē̃ , sō bhī number-vār puruṣhārth anusār . Ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē haĩ . Yahā̃ baiṭhē huē phir dēh kā abhimān ā jāēgā . Yē nahī̃ samajhē̃gē ki maĩ ātmā hū̃ . Bābā hamkō phir sē paṛhāy rahē haĩ . Ham in kānō̃ sē sun rahē haĩ . Aur kōī satsaṅg mē̃ aisē tō nahī̃ hōgā nā . Bābā in organs dvārā paṛhārahē haĩ . Pahlē inkī organs suntī hai . Jarūr suntē hai , yē bhī tō jarūr paṛhtē hōṅgē . Barōbar yē paṛhtē jarūr haĩ , paṛhātē bhī jarūr haĩ aur inkī ātmā yād mē̃ bhī rahtī hōgī . Isliē tō pad ūñchā pātī hai nā . Dēkhō , mama bhī pad pātī hai . Yah bhī pad pātē haĩ barōbar . Bābā aisē kahē̃gē nā - yah bhī jō inmē̃ baiṭhā huā hai , inkī ātmā bhī tō paṛhtī hai nā . Yah bhī kahē̃gē - maĩ bhī tō bābā sē paṛhtā hū̃ nā . Hā̃ , ismē̃ bābā kā pravēśh hai ; isliē yah jahā̃ bhī jāēgā , bachchē baiṭhē̃gē aur kahē̃gē bāpdādā āyā huā hai . Bas , bāp nirākār hai , dādā sākār hai . Dōnō̃ ikaṭ ṭhē haĩ . Aisē tō kōī bāpdādā hō hī nahī̃ saktē haĩ . Bāp bhī manuṣhya , tō dādā bhī manuṣhya . Phir manuṣhya , jō dādā hōtē haĩ , jiskō bābā kahtē haĩ , unsē varsā lētē haĩ . Yahā̃ tō dēkhō , dādā sākārī bābā nirākārī . Ham bābā sē , sākārī bāpdādā dvārā varsā lētē haĩ ; kyōṅki . . . dādā ḍāḍā bābā , sabkē laigvēj mē̃ alag-alag hōtē haĩ nā . Tō bachchō̃ kō kitnā samajhnā hai ki kitnā dēhī-abhimānī ātmā hū̃ . Abhī ham 84 chōlā pūrā chakkar kiyā . 84 kā chakra huā nā . Abhī bābā āyā huā hai lē jānē kē liē . Hamkō bōltā hai - mērē kō yād karō aur yah jō bhī knowledge hai vō tumkō dē rahā haĩ yah sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai , janm kaisē miltā hai . Sabkō tō maiksimam itnē janm nahī̃ miltē haĩ . Kiskō maiksimam , kiskō minimum minimum kitnā yē sabhī yād karnā hōtā hai . Phir bhī agar sabhī yād na paṛē , bahut kyā sunāyē̃ , achchhā , ēk tō yād karō nā . Bābā hamkō lēnē āyā hai . 84 janm pūrā huā , ab bābā kē sāth jānā hai . Isliē achchhī tarah sē bāp kō yād kartē rahnā hai . Jahā̃ jīvē̃ tō vikarma vināśh hō jāvē . Tō jahô jīvē̃ tah phir paṛhnā bhī hai . Ēk taraph mē̃ vikarma vināśh hōtē jāvē aur dūsrī taraph mē̃ hamkō rājāī miltī jāē . Tō phir tum vikarmājīt mahārājā ban jāēṅgē . Śhrī lakṣhmī nārāyaṇ kō vikarmājīt kahtē haĩ . Tō unkā kaun sā samvat hai ? Iskā samvat abhī 5000 hajār varṣh huā . Samjhā nā . Phir vikarma samvat . Vō ādhā sē phir vikarmī hō jātē haĩ . Phir un vikāriyō̃ kā sambat yānī rāyaṇarājya kā samvat . Vō rāmrājya kā samvat . Rāmrājya kā samvat 5000 baras huā . Rāvaṇrājya K|kē samvat kō 25०० baras huā . Aisī-aisī bātē bhūl tō nahī̃ jāē̃gē nā ? Achchhā , bahut sunā . Phir bhī bāp kahtē haĩ dēhī-abhimānī bhav ; kyōṅki tum ātmāō̃ kō bāp sunāy rahē haĩ . Uṭhtē , chaltē-phirtē bāp kō bhī yād karō aur is knowledge kō bhī buddhi mē̃ dhāraṇ karō , jō śhaṅkh dhvani bhī kar sakō . Svadarśhan tō andar mē̃ phirēgā nā , par svadarśhan tō tum jāntē hō . . . . . . . . . . . . . sunāēṅgē tō jarūr . Śhaṅkh dhvani tō karnī hōgī nā . Isliē phir śhaṅkh dhvani bhī karnī hai . Śakh dhvani karē̃gē tō āp samān banāēṅgē . Isliē bābā kahtē haĩ - gyānī tū ātmā mujhē bahut priya lagtē haĩ ; kyōṅki gyān tō sunātē rahē̃gē nā kyōṅki gyān key|kī dhārṇā hōgī tō sunāē̃gē nā . Agar sirph kahē̃ ham bābā kō yād kartā hū̃ , arē bhaī , yād tō kartē hō , par śhaṅkh kaisē bajāēṅgē ? Nahī̃ , yād aur śhaṅkh . Yād mānā yōg mānā ever healthy bannā aur gyān K|kē śhaṅkh mānā ever wealthy bannā . Tō health and wealth dōnō̃ haĩ tō sukh hai . Agar health hai wealth nahī̃ hai tō bhī sukh nahī̃ hai . Wealth hai health nahī̃ tō bhī sukh nahī̃ . Tō tum bachchō̃ kō bāp sē health and wealth kāvarsā mil rahā hai hūbahū kalp pahlē muāphik . Tum bhī kahtē hō - bābā , ham barōbar 5000 varṣh pahlē muāphik phir āpsē apnī health and wealth kā varsā lē rahē haĩ ; bas usmē̃ sab ā jātā hai . Achchhā , bachchō̃ kō ṭōlī khilāō . Bachchō̃ nē lāyā , bachchō̃ nē khāyā . Milajul karkē khāyā . Dēkhō , maĩ thōṛē hī khāūṅgā . Maĩ khāūē tō phir kahū̃gā , yah mīṭhā hai . . maĩ unsē nirlēp hū̃ . Yē sanyāsiyō̃ nē ulṭā lē liyā ki bāp nirlēp hai , ham bhī nirlēp haĩ ; kyōṅki ham unkē bachchē haĩ . Achchhā , bachchē tō samjhō , phir apan kō bāp kyō̃ samajhtē hō ? . . . . . . . . kahtē hō , sabhī āpas mē̃ brothers haĩ . Sō tō sabhī ātmāē̃ haĩ nā brotherhood , phir apan kō paramātmā kahkar fatherhood kaisē kahtē hō ? Fatherhood phir varsā kissē lē̃gē ? . . . . bachchā hō jō sarvisēbal hō . Āp samān banānē kā bhī bahut śhauk hōtā hai jiskō ; kyōṅki āp samān banāēṅgē . . . . . bachchō̃ kō prajā bhī tō banānī paṛēgī nā . Nahī̃ tō kiskē ūpar rājya karē̃gē ? . . kaun āē haĩ ? . . . . . bachchō̃ kō svarg kā mālik banāū̃ . Jis bachchē kō hai ki maĩ bhī yahā̃ harēk kō svarg kā mālik banāū̃ , sō bhalē ēk ā jāē̃ , jō bhī . Achchhā , āō bachchē . ( kisī nē kahā - nahī̃ banūṅgā ) kyō̃ nahī̃ banūṅgā ( kisī nē kahā - isliē ki . . . . aglē janm mē̃ . ) tumhārā yah matlab hai kōī kā bhī jīvan nahī̃ banāōgē ! Ham kahē̃ ki yah bachchī duḥkhī hai , unkō unakīmāī kahtī hai śhādī jarūr karānī hōgī aur vō kahtī hai ki maĩ śhādī nahī̃ karū̃gī . Achchhā , bhalā kōī yugal aisā milē , gadharva vivāh karē . Tō maĩ unsē apnā pardā dē saktā hū̃ . Tō ham dō mil karkē aur gyān citāpar baiṭh karkē aur ham pad pāy lē̃gē . ( kisī nē kahā - nahī̃ bābā , yē bhī ēk pratibaddhatā key|kī bāt hō jāēgī ; isliē . . . nahī̃ , yah tō bahādur bannā chāhiē , kyōṅki tumkō yugal brahmāchārī bankar dikhlānā hai . Gyān talvār bīch mē̃ hō aur kōī key|kī jīvan bhī banānē kē liē , nahī̃ tō K|kē bichāriyā̃ kus jātī haĩ . Hamārē pās|pass bahut application ātī hai . Bābā , kōī aisā gyānī tū ātmā bachchā hō . Bābā mujhē vō dō , nahī̃ tō yē hamkō kahī̃ phaṭ sē . . . . Pīchhē agar ham kah dēvē̃ tō ? ( kisī nē kahā - nahī̃ bābā , hamkō svatantr hī rahnā achchhā lagtā hai . ) nahī̃ , maĩ nahī̃ māntā hū̃ . Tum kachchē hō . Bābā tō kōī vakt mē̃ order kar dēgē . Bachchē kahtē haĩ ki bābā , hamārē bāp kahtē haĩ śhādī jarūr karnā . Nahī̃ tō mārpīṭ kartē haĩ . Bhalā abhī ham kyā karē̃ ? Bhalā agar ham kōī dūsrī lē̃gē aur vō vikārī na banē , apnē dharm key|kī na hōgī , apnē gharānē key|kī na hōgī tō vō āēgī tō hamārā māthā kharāb kar dēgī . Bābā , hamkō kōī achchhī bachchī chāhiē . Bachchī vālē kahtē haĩ - hamkō kōī bachchā chāhiē . . . . hamārē pās|pass list par rahtī haĩ . Yānī kōī bachchō̃ kō mār khātē haĩ śhādī karnē kē liē , kōī bachchiyō̃ kō mār khātē haĩ śhādī karnē kē liē . Phir tum batāō , itnā pahalvān hō ? ( kisī nē kahā - bilkul pahalvān hai ) maĩ jō kahū̃ sō mānē̃gē ? ( kisī nē kahā-hā̃ , āp jō kahē̃gē , mānū̃gā . ) maĩ kahtā hū̃ ki gandharva vivāh karō . Kōī bhī gyān mē̃ chalnē vālī . . . . . . . . . . . . . . . . dēkhō sanyāsiyō̃ kō dikhlānā hai . Tum lōg kahtē hō ki gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē huē sarp aur sarpiṇī ikaṭ ṭhē nahī̃ rah saktē haĩ , isliē ham bhāg jātē haĩ . Bhāg karkē phir kyā kartē haĩ ? Jinkō chhōṛtē haĩ unkō nāgin kah dētēhaĩ aur vō kahtē haĩ ki ham bhī sarp thē ; parantu ham bhāg nikalē , jākar jaṅgal mē̃ baiṭhē . Isliē vō samajhtē haĩ ki abhī ham sarp nahī̃ haĩ . Bāp kahtē haĩ - . . . . . vō ēk bhīṣhmapitāmah . Bhīṣhmapitāmah tō male|mail|mēl kā nām hai , parantu phimēl kā bhī tō nām dikhānā chāhiē nā . Jōḍā rah karkē , kapūs aur āg ikaṭ ṭhē rah karkē khuriṭī mē̃ rahkar dikhalāvē tabhī tō gr̥ihastha aur vyavahār mē̃ vō uttam sanyās dēkhē̃gē nā . Nām hī hai aisē . Bhalē bābā aisē kahtē nahī̃ haĩ ki nahī̃ , jarūr tumkō karāū̃gā parantu agar samjhō kiskī jān bachānī hō aisē bābā kar rahē haĩ barōbar . Kōī dēkhō tumhārī hī kul key|kī kōī strī , kanyā ātī hai aur unkā bāp māntē nahī̃ haĩ . Vō kahtē haĩ ki tumkō śhādī jarūr karāē̃gē , nahī̃ tō mārē̃gē , pīṭē̃gē , ēkdam us bachchī kō ūpar sē phēṅktē haĩ , nīchē jākar paṛtī hai . Nahī̃ tō tumkō bahutō̃ key|kī history sunāū̃ . Achchhā , vō bachchī kahtī hai - maĩ mar jāū̃gī , śhādī agar karū̃gī tō brāham ṇa sē karū̃gī , kyōṅki brāhamaṇī banī hai nā . Abhī unkō brāhmaṇ kahā̃ sē lē āū phir tō mujhē brāhmaṇ pakaṛnā paṛē . Pīchhē maĩ kahū̃gā achchhā , tumhārā gandharvī vivāh bhī tō hōtā hai nā . Nām bālā hai nā , sō abhī hōtā hai . Gadharvī vivāh kōī sukṣmavatan key|kī bāt nahī̃ hōtī hai , yahā̃ key|kī bāt hai . . tum hamkō batāēṅgē ki barōbar yē sanyāsī ḍarpōk haĩ , kāyar haĩ . Ghar chhōṛ karkē chalē jātē haĩ . Ham yugal karkē phir ham companion lē lē̃gē . Brāhmaṇ aur brāhamaṇī bahan-bhāī bhī hō karkē rahē̃gē aur companion bhī rahē̃gē aur bahut achchhī service mē̃ lag paṛē̃gē . Phir dikhlāē̃gē dēkhō ham jōṛā gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē huē kamal fool|phūl K|kē samān bāl brahamacārī hōkar rahtē haĩ . Dēkhō , yah baṛī ūñchī mañjil hai . Tō itnī ūñchī mañjil sē ḍarnā thōṛē hī hai . ( kisī nē kahā - ḍartā nahī̃ hū̃ bābā . Bilkul nahī̃ ḍartā hū̃ ) . . . . . . . . kismē̃ hō ? Māravāṛī hō ? Uttar diyā - nahī̃ , maĩ U|you ० pī|P ० kā rahnē vālā who|hū . ) dēkhō , U|you ० pī|P ० kō . . yah bahut mār khātī hai aur vō bōltī hai ki . . . . . . . achchhā , bhalā gyānī hō , maĩ unsē śhādī karāy dūṅgī . Phir maĩ kōī vakt dēkhū̃gā . U|you ० pī|P ० key|kī ēk bachchī hai . Kōī bhī bachchī hai ismē̃ kyā . Ājkal tō pañjābī-musalamān , musalamān-pārasī , yē sabhī chalātē rahtē haĩ ; parantu yahā̃ kiskī jān bachānē kē liē maĩ khaṛā kar dū̃ tō ? ( kisī nē kahā - āp khaṛā kar dē̃ tō hō jāū̃gā maĩ nahī̃ khaṛā hōtā lēkin āp kar dēgē tō . . ) vō hī tō bābā kahtē haĩ . . . . . . . . . uph ! Kamāl kar dē , kōī key|kī jān bacāy dēgē aur vō bachchī service karnē lag paṛēgī nā . Bahut mē̃ tō jhagaṛā hō jātā hai . Jabardastī unkō śhādī karātē haĩ , baṛī jār-jār rōtī haĩ . Kōī tō apan kō mār bhī dētī hai , jahar bhī khā lētī hai . Aisī bhī bachchiyō̃ aur bachchē hamārē pās|pass haĩ . Vō likh dētī haĩ - bābā , agar kōī prabandh na karā tō maĩ ḍūb marū̃gī , jahar khāūṅgī . Phir unkō bachānā hai . Kyā samajhtē hō ? Khālī bātē̃ nahī̃ haĩ . Yahā̃tō bhārat bhī chāhiē baṛī . Kisī nē kahā - bhārat mē̃ hī tō bannē kē liē āyā hū̃ . ) tō maĩ kōī bhī vakt mē̃ kah dū̃gā . Bābā K|kē hamjins kō bachānā hai , mama K|kē bhī hamjins kō bachānā hai kumāriyō̃ aur kumār kō , kyōṅki baṛīmār khātī haĩ . Ablāō̃ kē ūpar atyāchār bahut hōtē haĩ . Ēk tō ablāō̃ kē ūpar atyāchār , vikh pīnē kē liē mār bahut khātī haĩ . Dūsrī , kanyāō̃ kēūpar atyāchār hōtē haĩ ki śhādī karō . Kaisē bhī karkē śhādī karē̃gē aur sukh mē̃ śhādī karē̃gē . Phir kōī agravāl hōgī yā phalānā hō . Nahī̃ , yahā̃ tō phir bāp kahē̃gē agravāl hō yā ḍhagravāl hō , tumkō unkī jān bajānī hōgī . Phir tumhārē sē sārī duniyā , ghar-bār , sab bigaṛ paṛē̃gē . Itnā sab sahan karnē kē liē taiyār hō . ( kisī nē kahā - bilkul ) yah tō vākaī bachchā ban gayā . . . . . kitnē haĩ ? ( kisī mātā nē javāb diyā-dō laḍakī haĩ ) . Kōī laṛakā bhī hai ? ( pahlē ēk laṛakā huā thā . . . . . . vō tō bābā kē pās hai , vō baiṭhā huā hai . . . . ) bābā bachchā hai āpkā ? ( mātā nē javāb diyā-jarūr bābā hī tō bachchā hai . . . . . ) bābā kahtē haĩ ki bābā jō hai , inkō bachchā banāyā hai ? Dēkhō , jādūgaranī haĩ nā yē lōg . Bōltī haĩ - bābā kō ham bachchā banāyā hai yā inmē̃ hai , vō samajhtī haĩ kaisē . Achchhā jāō baccīkōī kō pāṅw na lagē , baṅgāl mē̃ yah baṛā kāydā hai . Kinkō bhī lagēgā tō phir kahē̃gē I am sôrīvō hai bābā aur phir yah jō in dvārā adopt kar rahē haĩ tō jaisē ki pitā-mātā , māt-pitā kyōṅki abhī yah jaisē mātā hō jātī hai , parantu male|mail|mēl hai nā , mātā-pitā kaisē service kar sakē , isīliē mama nimitt hai . . . . . . mār khātē haĩ , baṛē-baṛē achchhē-achchhē mārtē haĩ . . . . Bāp nahī̃ tō baṛē bhāī bhī mārtē haĩ . Chhōṭē bhāī baṛē bhāī kō bhī mārtē haĩ . Aisē baṛē bhāī haĩ jō pavitra rahtē haĩ , tō chhōṭē bhāī laṛ karkē bigaṛ karkē unsē jhagaṛtē haĩ aur mārtē haĩ unkō . Aisē bhī hōtē haĩ . Dēhī-abhimānī rahtē haĩ nā . Tō dēhī-abhimānī rahnē sē hī kiskē sāmnē tum unkō dēhī-abhimānī banāy saktē hō yānī vō śharīr key|kī sudh-budh bhūl jātē haĩ . Apan kō tō śharīr key|kī sudh-budh bhūl jānī hai nā . Ātmā haĩ , bas . Tō itnā niśhchay hō jānā chāhiē , jab samay hō tab śharīr kō chhōṛ karkē ghar kō chalē jāō . Aisē sanyāsī bhī haĩ . Aisē mat samjhō sanyāsī nahī̃ haĩ , parantu vō jātē nahī̃ haĩ . Tum bachchō̃ kō tō jānā hai . Vō kahī̃ jā nahī̃ saktē haĩ . Aisē haĩ barōbar baiṭhē-baiṭhē śharīr chhōṛ dētē hai . Phir jab aisē kōī martē haĩ tō chārō̃ taraph ājū-bājū mē̃ sannāṭā chhā jātā hai . Vō jō yōgī lōg hōtē haĩ , unkō mālūm paṛtā hai ki kōī yōgī nē yōg mē̃ rah karkē śharīr chhōṛā hai . Jaisē śmaśān śānt hōtā hai nā , aisē vāyumaṇḍal ās-pās bilkul śānt hō jātā hai . Tō dēkhō , tumhārā śānt kā kitnā prabhāv paṛēgā . Pūrī śhānti hō jāēgī . Abhī tō aśānti hai nā . Achchhā , mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati , dēkhō , kaun kahtē haĩ - bachchē bhī jāntē haĩ ki ham barōbar 5000 varṣh kē bād phir bāp sē milē haĩ . Ātmāē̃ aur paramātmā alag rahē bahukāl . Bahukāl tō bhārat K|kē ādi sanātan dēvī dēvtā dharm vālē hī haĩ . Tō vahī phir pahlē milē̃gē . Pahlē phir āē̃gē yahī . Jab vināśh hō jāēgā tō pahlē vō ātē rahē̃gē . Aisē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā kā aur bāpdādā kā yādpyār aur good morning .