मंगलवार 8 सितंबर 1964 की साकार मुरली - 1
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
08-09-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj maṅgalavār sitambar key|kī āṭh tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record :
Rāt K|kē rāhī thak mat jānā , subah key|kī mañjil dūr nahī̃ …
Rāt K|kē rāhī kahā̃ jā rahē haĩ ? Din K|kē taraph . Din kahā hī jātā hai satyugī śhrēṣhṭhāchārī dēvī-dēvatāō̃ key|kī duniyā kō aur rāt kahī jātī hai kalahayugī bhraṣhṭāchārī āsurī sampradāy kō . Yah tō tum jāntē hō ki ham āj sē ḍhāī sau varṣh pahlē bhraṣhṭāchārī thē . Tum aisē nahī̃ kahē̃gē ki ham kōī śhurū sē bhraṣhṭāchārī thē , jaisē śhāstrō̃ mē̃ likhāyā huā hai . Śhāstrō̃ mē̃ bhārat kō bhraṣhṭāchārī , satyug key|kī ādi sē baiṭh karkē likhā hai ki rādhē-kr̥iṣhṇa bhraṣhṭāchārī thē , sītā-rām bhraṣhṭāchārī thē . Pīchhē tō hai hī rāvaṇ kā rājya . Vō bhraṣhṭāchārī-bhraṣhṭāchārī kahkar sārī duniyā kō bhraṣhṭāchārī banāy diyā hai . Abhī yah tum bachchē jāntē hō ki yādav aur kaurav sampradāy kō sarvśhāstramaī śhirōmaṇi gītā mē̃ bhraṣhṭāchārī gāyā huā hai aur barōbar pāṇḍav sampradāy kō phir śhrēṣhṭhāchārī banānē vālā kahā gayā hai , kyōṅki pāṇḍav sampradāy satyugī śhrēṣhṭhāchārī banā rahē haĩ . Ab tum bachchē jāntē hō hamkō service karnī hai bāp kē sāth , kyōṅki bāp bhī āē huē haĩ yah bhraṣhṭāchārī duniyā mē̃ . Tō manuṣhya samajhtē haĩ ki yē sabhī jō yahā̃ bhraṣhṭāchārī haĩ vō sabhī yahā̃ śhrēṣhṭhāchārī ban jāvē ; kyōṅki unkō yah tō patā hai nahī̃ ki satyug mē dēvī-dēvatāē̃ śhrēṣhṭhāchārī thē aur jō pīchhē bhārat mē̃ patit haĩ , vō un pāvan dēvī-dēvatāō̃ kō śhrēṣhṭhāchārī samajh , apan kō bhraṣhṭāchārī arthāt pāpātmā samajh mahimā kartē haĩ ; parantu dēkhō wonder hai , mahimā kartē hai ; parantu unkō dil sē nahī̃ lagtā hai ki hamkō kōī aisā bannā hai yā yē kaisē śhrēṣhṭhāchārī banē thē ? Bhraṣṭhācārī banānē vālē kaun ? Kiskī mat par yah bhārat bhraṣhṭāchārī bantā hai ? Yah bhāratvāsī khud bhī nahī̃ jāntē haĩ . Government nahī̃ jāntī hai ; kyōṅki government svayã bhraṣhṭāchārī hai . Tō phir raḍī mārtē rahtē haĩ ki yē bhraṣhṭāchārī government kō śhrēṣhṭhāchārī banāō . Abhī kaun banāēgā ? Kyā public banāēgī ? Kyōṅki government yathā rājā-rānī tathā prajā . Jabki aisē hai tō kā̃grēs government yā kaurav government bāt tō ēk hī hai . Bhaī , government bhraṣhṭāchārī hai . Kyō̃ bhraṣhṭāchārī hai ? Kyōṅki irarilījiyas hai . Unkō apnē dharm kā kōī bhī patā nahī̃ hai ki ākhir mē̃ ham svayã bhāratvāsī kōī śhrēṣhṭhāchārī thē . Yē unkō patā bhī nahī̃ hai . Dēkhō , government kō patā nahī̃ hai . Yah bhārat kē liē hī kahā jātā hai nā ki bhārat kō śhrēṣhṭhāchārī bhāratvāsī banāvēṅgē ; parantu jabki government hai hī bhraṣhṭāchārī tō kaun banāvē ? Jarūr kōī dūsrī government chāhiē . Government tō yathā rājā-rānī tathā prajā . Is samay mē̃ yah kā̃grēs government khud kahtī hai ki barōbar hamārī government K|kē officers sabhī bhraṣhṭāchārī hai . Abhī . . . tō government hō gaī . Government hī bhraṣhṭāchārī tō phir yathā rājā-rānī tathā prajā , aisē kahē̃gē nā . Rājā-rānī bhalē nahī̃ hai , phir bhī government nām tō hai nā . Jabki iskō bhārat key|kī rājdhānī hī kahō , sāvaraṇṭī kō rājdhānī kahtē haĩ , tō jabki rājdhānī hī bhraṣhṭāchārī hai , tō phir jarūr kōī aur government chāhiē jō inkō śhrēṣhṭhāchārī banāvē . Barōbar gāyā jātā hai ki pāṇḍav government nē ākar is kaurav government kō śhrēṣhṭhāchārī banāyā . Bāki government kaurav government kō śhrēṣhṭhāchārī kaisē banāvē ! Yah tō hō nahī̃ saktā hai , impossible hai . Inkō yē samjhānī dēnā paṛē nā . Kaun samjhānī dēvē ? Tum bachchō̃ kō samjhānī dēnā hai . Tum public mē̃ bhāṣhaṇ bhī tō kartē hō nā , tō tum lōgō̃ kō . . . himmat chāhiē , samajh chāhiē nā kyōṅki vō bhī prajā kahtī hai ki bhaī , yah bhraṣhṭāchār hai aur yah śhrēṣhṭhāchār hai . Samjhā nā . Abhī tum hō pāṇḍav government K|kē ôphisars-prajā . Prajāpitā brahmā key|kī tum prajā hō . Tumkō bhī aisī achchhī tarah sē akhbārō̃ mē ḍalvānā paṛē ki jabki government svayã bhraṣhṭāchārī hai aur prajā bhī aisī hai tō banāvē kaun ? Prajā tō government kō nahī̃ banāy saktī hai . Law nahī̃ kahtā hai ; kyōṅki government tō khud hī kahatēhaĩ ki barōbar bhraṣhṭāchārī government hai aur abhī śhrēṣhṭhāchārī government hai . In bhāratvāsiyō̃ kō kuchh bhī mālūm tō hai nahī̃ kyōṅki śhāstrō̃ mē̃ gāē huē haĩ ki yē haĩ andhē K|kē aulād andhē . Abhī inkō andhā kisnē banāyā ? Vō andhā banānē vālē rāvaṇ key|kī effigy jalātē rahtē haĩ . Dēkhō , daśhaharā ātā hai nā , tō tum lōgō̃ kō samajh jānā chāhiē , bhāṣhaṇ karnā chāhiē nā - yah rāvaṇ key|kī jō tum effigy jalātē hō . . . Abhī daśhaharā āēgā . Yē haĩ bhraṣhṭāchāriyō̃ K|kē utsav . Yē tum pāṇḍav government K|kē utsav nahī̃ haĩ . Yē haĩ kaurav government K|kē utsav . Tō unkō samjhānā hai ki rāvaṇ nē bhārat kō bhraṣhṭāchārī banāyā hai aur jabki government hī sārī bhraṣhṭāchārī hai tō jarūr kōī aur government chāhiē . Inkē ūpar kōī aur government chaṛhāī karē . Tō kyā sabhī phir śhrēṣhṭhāchārī ban sakē̃gē ? Nahī̃ . Jab bhārat śhrēṣhṭhāchārī thā tō akēlā thā . Aur kōī bhī bhārat mē̃ gavarmēnṭsa nahī̃ thī̃ - na vilāyat key|kī , na phalānē key|kī . Tab barōbar bhārat bahut śhrēṣhṭhāchārī thā . Śhrēṣhṭh kahā hī jātā hai pavitratā kō . Bhraṣhṭa kahā hī jātā hai apavitr kō . Abhī unkō yah tō patā hī nahī̃ hai ki barōbar yē apavitr bhārat hōnē K|kē kāraṇ yah viṣiyas yā vaiśhyālay hōnē kāraṇ . . vaiśhyālay mē̃ rahnē vālē kō viṣiyas kahā jātā hai aur jō śhivālay mē̃ rahnē vālē haĩ unkō viceless kahā jātā hai . Tō yē samajhnē key|kī bātē̃ haĩ nā . Ab yē itnī baṛī-baṛī , achchhī-achchhī śhaṅkhdhvani kaun karē ? Tō jarūr jō mahārathī hōṅgē , jinkī śhēr par savārī hōgī , hāthiyō̃ par savārī hōgī , vō gajagōr karē̃gē . Bākī tō bēchārē gajagōr nahī̃ kar sakēgē . Sēnā tō hai nā inmē̃ . Inamē mahārathī haĩ , ghōṛēsavār haĩ , bakrī savār hai , rīṛh savār hai , ōmaṭ savār haĩ ; kyōṅki savārī tō bahut hōtī hai nā . Bāp nē bhī ā karkē savārī kī hai nā . Manuṣhya kē ūpar savārī kī hai . Kōī rīḍh bakrī kē ūpar tō savārī nahī̃ karē̃gē nā . Jarūr jiskē ūpar savārī karē̃gē vō bhī tō unkā kōī gajagōr karnē vālā pahalvān hōgā nā . Tō dēkhō , gajagōr tō vō bhī kartē haĩ , vō bhī kartē haĩ . Isliē tum bachchō̃ kō mālūm nahī̃ paṛēgā ki gajagōr kaun kartē haĩ . Tō bhī , yē kahtē haĩ ki gajagōr śhivbābā kartē haĩ . Unkā nām bālā hai aur sun karkē phir yah bhī kar saktē haĩ , tum bhī kar saktē hō ; parantu tumhārē mē̃ bhī gajagōr karēgā kaun ? Vō bahut mahāvīr chāhiē , jō government kō bilkul sahaj hai . . . nahī̃ tō , akhbār mēṇḍāl dēnā chāhiē . Batātē bhī hō barōbar yē satyug key|kī śhrēṣhṭhāchārī government bhārat mē̃ thī . Abhī tum sabhī bhraṣhṭāchārī banē hō . Tō tum inkī mahimā tō jāntē hō ki kisnē in lōgō̃ kō banāyā , bhārat kō kisnē śhrēṣhṭhāchārī banāyā thā . Vō tō bichārō̃ kō patā nahī̃ hai . Bhraṣhṭāchārī government apnē government kō śhrēṣhṭhāchārī nahī̃ banā saktī hai , kōī aur chāhiē . Tō bāp ākar kahtē haĩ ki maĩ ātā hū̃ yahā̃ ; kyōṅki patit aur pāvan key|kī bāt tō ṭhīk hī hai , kyōṅki jō patit hōtē haĩ uskō bhraṣhṭāchārī kahā jātā hai aur jō pāvan hōtē haĩ unkō śhrēṣhṭhāchārī kahā jātā hai . Yah bhī kōī government nahī̃ samajhtī hai . Vō tō pattharbuddhi hai . Parampitā param ātmā mānā paramātmā yānī unkā nām bhī paramātmā , aṅgrējī mē̃ bhī unkō supreme soul kahē̃gē . Unsē pūchhē̃ tumhārē andar mē̃ kyā hai ? Tab bhī vō kahē̃gē - soul . Tō jarūr yē sabhī souls supreme nahī̃ haĩ , ēk hai supreme soul . Kahtā hū̃ unkō bhī ' ātmā . Soul mānā ātmā . Tō supreme kō kahnē K|kē kāraṇ unkō parampitā kahtē haĩ , kyōṅki kahtē bhī haĩ supreme father . Supreme soul father aisē likhtē haĩ . Vō bhī tō ātmā hī ṭhaharī nā . Vō kōī baṛī chīj tō nahī̃ hai . Ab vō baiṭh karkē unkō yād bhī kartē haĩ . Uskō kōī nahī̃ kahtē haĩ ki ō god father , ā karkē hamkō is bhraṣhṭāchārī sē śhrēṣhṭhāchārī banāō . Vō kōī jāntē hī nahī̃ hai . Vō samajhtē haĩ - sādhu-sant-mahātmā , yē lōg śhrēṣhṭhāchārī banāē̃gē , parantu vō tō bhalē gavamēṇṭ K|kē kitnē bhī sādhuō̃ kō uṭhāvē̃ , jaisē government key|kī head śhivānand kē pās jātī hai , tō samajhtī hai nā ki vō hamārē sē ūñchē haĩ . Vō samajhtā hai ki yē śhrēṣhṭhāchārī haĩ , parantu sanyāsiyō̃ kō tō śhrēṣhṭhāchārī phir bāp bhī nahī̃ kahtē haĩ . Bāp bhī ākar kahtē haĩ - yē jō sādhu-sanyāsī lōg haĩ , vō bhī tō pāpāchārī haĩ , bhraṣhṭāchārī hai . Inkō bhī bhūlō . Inkā bhī uddhār karnē arthāt śhrēṣhṭhāchārī banānē maĩ ātā hū̃ . Tō tum bachchē jāntē hō ki manuṣhya jō is samay mē̃ bhraṣhṭāchārī haĩ sō pahlē jarūr śhrēṣhṭhāchārī banē̃gē ; kyōṅki pahlē jō bhī āē̃gē vō pahlē satōpradhān hai yānī śhrēṣhṭhāchārī haĩ . Pīchhē bhraṣhṭāchārī haĩ . Satōpradhān sē satī , satō sē rajō rajō sē tamō . Sabkō aisē mānā har ēk chīj kō - makān kō , jhāṛ kō , kōī bhī chīj kō uṭhāō tō pahlē satōpradhān pīchhē satō rajō tamō . Yah tō sabkō hōnā hī hai . . . . barōbar sivāy parampitā paramātmā K|kē is sārē manuṣhya sr̥iṣhṭi kō śhrēṣhṭhāchārī kaun banāvē ? Pichhāṛī bhī tō chaltī hai nā . Śhrēṣhṭhāchārī sabkō banātē haĩ nā . Aisē tō nahī̃ , sabkō śhrēṣhṭhāchārī kōī svarg mē lē āēgā . Nahī̃ . Sabhī ātmāō̃ kō jō bhraṣhṭāchārī ban gaī hai , jō tamōpradhān ban gaī haĩ , un sabkō phir śhrēṣhṭhāchārī jarūr banātē haĩ arthāt satōpradhān jarūr banāē̃gē . Satōpradhān hōnē bigar , pavitra hōnē bigar tō kōī ātmā vahā̃ pavitra duniyā mē̃ jā nahī̃ saktī hai . Tō aisē kahē̃gē key|kī sabkō patit pāvan-tō jarūr sabhī ātmāē̃ pāvan bantī hai nā . Phir dēkhō , samjhāyā jātā hai sabhī ātmāō̃ kō , nambaravār har ēk dharmavālō̃ kō . Dēkhō , unmē̃ bhī tō aisē hī haĩ nā . Christ hōgā tō unkī ātmāō kō achchhā part milā huā hai . Pavitra tō sabhī bantē haĩ . Phir ā jātē haĩ part kē ūpar ki barōbar Christ kō part sabsē achchhā milā huā hai . Jaisē abhī bāp kō tō hai hī sabsē achchhā . Vō tō hai hī creator ḍāirēkṭar . Vō tō ēkdam sabsē jāstī hai . Pīchhē part kiskō achchhē tē achchhā miltā hai ? Phir yahā̃ brahmā aur viṣhṇu , inkā part achchhā hai . Unkā tō part vināśh kā hai . Vō tō chhōṛ dō , sr̥iṣhṭi kō tō badalnā hai hī hai . Kaliyug kē bād satyug ānā hī hai . Gāyā jātā hai nā yē vināśh jvālā is īśhvarīy yagya sē prajvalit hōtī hai . Abhī śhaṅkar kā nām kyā hai ? Kuchh ātā hai ? Yē tō mahimā dēnē K|kē kāraṇ ' ' brahmā , viṣhṇu , śaṅkarã » . Vināśh tō hōtā hī hai , ḍrāmānusār āpas mē̃ laṛtē haĩ ; parantu kiskā nām tō karē̃ nā . Kis dvārā ? Tō barōbar yahā̃ gāyā huā hai . Chitra hai nā . Chitra kō bhī tō samjhānī dēnī paṛtī hai . Chitra tō hai , parantu jarūr kuchh inmē̃ samjhānī hai . Samjhānī bigar tō kōī chitra kōī kām kā hī nahī̃ hai . Kōī bhī in chitrō̃ K|kē occupation kō tō jāntē nahī̃ haĩ . Bāp ā karkē samjhātē haĩ ki barōbar brahmā dvārā . . . . Yē trimūrti key|kī jō itnī mahimā yahā̃ chalī ā rahī hai ' ' brahmā , viṣhṇu , śaṅkarã , tīn dēvatāē̃ , tō jarūr unkā bhī occupation tō hai nā . Ab śhaṅkar kō gum tō nahī̃ kar saktē hai nā ; kyōṅki śhaṅkar hai . Tō śhaṅkar kē liē phir yē kahā jātā hai - śhaṅkar kō tō yahā̃ ānē kā hai nahī̃ kuchh . Na kōī śhaṅkar kōnē baiṭh karkē pārvatī kō kathā sunāī hai . Aisī tō kōī bāt hī nahī̃ hai . Abhī tum anubhavī hō , jāntē hō ki śhaṅkar vahā̃ rahtē haĩ . Kahā jātā hai unkī prērṇā sē , gāyā jātā hai ki vō ā̃kh khōltē haĩ tō vināśh hō jātā hai . Barōbar unkā is samay mē̃ vō hī hai ki vō kōī vināśh nahī̃ kartē haĩ ; par jāntē hō ki vināśh kaisē hōtā hai . Sō tō tum jāntē hō . Āpas mē̃ laṛ karkē . Tō bāp aisē hī kahē̃gē nā - maĩ sthāpanā , vināśh , pālnā karātā hū̃ . Karankarāvanhār jō hai , tō unkā bhī tō arth|earth chāhiē nā . Tō unkā arth|earth bhī baiṭh karkē samjhāyā jātā hai ki barōbar brahmā dvārā , brahmākumār-kumāriyō̃ dvārā , kaun ? Pāṇḍav government kā jō head hai , bhagvān jiskō kahā jātā hai . Bhagvān kōī kr̥iṣhṇa kō nahī̃ kahā jātā hai nā . Kr̥iṣhṇa key|kī ātmā hī tō is samay mē̃ patit hai nā . Tō phir bhagvān ā karkē kr̥iṣhṇa key|kī ātmā kō pāvan banātē haĩ . Tō gōyā kr̥iṣhṇa key|kī ātmā svayã pāvan ban rahī hai . Pāvan bantī jā rahī hai aur phir murlī bajātī jā rahī hai . Dēkhō aisē hai nā - pāvan bantī jātī hai kr̥iṣhṇa K|kē bahut janm K|kē ant mē̃ . Abhī kr̥iṣhṇa kā bahut janm kā ant kā ant kahō yā brahmā kā bahut janm K|kē ant kā ant kahō . Vō ādi , yah ant . Hai tō ēk hī bāt nā . Ādi-ant saṅgam hō gayā . Tō yah samajhnē key|kī bātē̃ hōtī haĩ nā . Abhī yē tum bachchō̃ kō baṛī-baṛī sabhā mē̃ śhaṅkhdhvani karkē , gajagōr karkē achchhī tarah sē samjhānā hai ki bhaī , yah bhārat āj sē 5000 hajār varṣh pahlē , jab sūryavanśhiyō̃ kā ādi sanātan dēvī dēvtā dharm thā tab yah ēk hī dharm thā aur sampūrṇ śhrēṣhṭhāchārī thā aur hīrē jaisā thā , kyōṅki jab śhrēṣhṭh thē yānī pavitra thē tō hīrē jaisā thā . Ab inkō bhraṣhṭāchārī kisnē banāyā ? Kab sē śhurū huā bhraṣhṭāchār ? Kisnē kiyā ? Bhaī , yah pāñch vikār rūpī rāvaṇ nē . Unhōnnē in sabkō is samay mē̃ ; kyōṅki isnē banānā śhurū kar diyā . Kiskō ? Pahlē-pahlē śhurū karē̃gē inkō . Sanyāsiyō̃ kō thōṛē hī karē̃gē . Nahī̃ . Pahlē-pahlē bhraṣhṭāchārī bannā śhurū hōtē haĩ yē bhāratvāsī . Pīchhē ātē haĩ dūsrē . Ātē rahtē haĩ , vō inkō thōṛā-thōṛā thamātē haĩ , śhrēṣhṭhāchārī banātē haĩ . Sanyāsī na hōtē tō phir yah bhārat bahut bhraṣhṭāchārī ban jātā . Sanyāsī thamānē kē liē ātē haĩ . Tō sanyāsiyō̃ key|kī bhī tō mahimā hai nā . Tō jaisē mahimā hai dēvī-dēvatāō̃ key|kī , taisē mahimā hai sanyāsiyō̃ key|kī . Tō jaisē dēvī-dēvatāō key|kī abhī kōī mahimā nahī̃ hai ; kyōṅki patit ban gaē haĩ , bhraṣhṭāchārī ban gaē haĩ , jarūr taisē dūsrē dharm vālē bhī chal-chal karkē pichhāṛī mē ā karkē bhraṣhṭāchārī bantē hai . Jabki pahlē dharm vālē hī bhraṣhṭāchārī , jō apan kō gātē haĩ , kahtē haĩ ki barōbar bhraṣhṭāchār hō gayā hai , unkō mālūm nahī̃ hai ki kōī 5000 varṣh K|kē pahlē yahā̃ śhrēṣhṭhāchār thā . Vō patā hī nahī̃ hai un lōgō̃ kō ? Kyōṅki sabhī mē̃ ulṭā likh diyā hai . Tō aisē sabhī jō bhī pahlē-pahlē dharm ātē haĩ , vō pahlē-pahlē śhrēṣhṭhāchārī , pichhāṛī mē̃ vō bhī bhraṣhṭāchārī ban jātē haĩ . Tō unkō bhī yah mānnā chāhiē , tab jabki tum samjhāē̃gē ki barōbar pahlē-pahlē dēvatāē̃ śhrēṣhṭhāchārī thē . Pahlē-pahlē jō dharm hōtē haĩ vō śhrēṣhṭhāchārī hōtē hai , pīchhē vō satōpradhān sē satō rajō tamō mē̃ jarūr ānā hōtā hai . Aisē sanyāsiyō̃ kō bhī ānā hī paṛtā hai , isliē vō bhī bhraṣhṭāchārī hai . Tō jabki sabhī bhraṣhṭāchārī hō gaē haĩ , abhī tō sabhī patit hō gaē haĩ , tabhī tō us patit-pāvan kō yād kartē haĩ nā . Tō pāvan duniyā hai hī śhrēṣhṭhāchārī . Tō pāvan duniyā banānē vālā kaun ? Vō tō kahtē haĩ patit-pāvan hamārē parampitā paramātmā hī haĩ . Abhī unkō yah tō patā nahī̃ hai ki kaun haĩ ? Vō tō likh dētē haĩ - sītā-rām , phir ṭhōk dētē haĩ raghupati rāghav rājā rām . Tō rām aur raghupati tō phir trētā mē̃ hō jātē haĩ . Uskō bhī trētā mē̃ tō lē ātē haĩ . Phir vō kr̥iṣhṇa kā aur yug banāy diyā hai . Nahī̃ tō rādhē-kr̥iṣhṇa aur lakṣhmī-nārāyaṇ kā yug pahlā hai . Unhōnnē unkō dēkh karkē aur dvāpar mē̃ ēk yug banāy diyā hai jismē̃ kr̥iṣhṇa kō diyā hai . Tō dēkhō andhadhundh bhraṣhṭāchārī ban gaē nā ; kyōṅki śhrīkr̥iṣhṇa kō jab bhraṣhṭāchārī banā diyā tō sabhī bhraṣhṭāchārī hō gaē haĩ . Tō tum bachchō̃ kō bahut achchhī tarah sē yē service mē̃ lagnā hai , thak nahī̃ jānā hai . Tum lōgō̃ kō abhī śhrēṣhṭh bannā hai aurō̃ kō śhrēṣhṭh banāy . Thak jāē̃gē tō phir bhraṣhṭa K|kē bhraṣhṭa ban jāē̃gē aur tum jāntē hō ki jō yē dhandhā kartē , bhraṣhṭāchāriyō̃ kō śhrēṣhṭhāchārī banātē , agar khud bhī phir bhraṣhṭāchārī ban jātē haĩ tō durgati kō pātē haĩ aur tum jāntē hō ki barōbar thak jātē haĩ , jō kahtē haĩ nā a rāt K|kē rāhī , a svarg K|kē rāhī thak mat jānā ' ' . Abhī tum jāntē hō ki barōbar thak jātē haĩ , āśhcharyavat phir vō chaltē-chaltē thak jātē haĩ . Tō thak jānē sē phir kyā hōtā hai ? Thak jānē sē jis rastē sē gaē phir us rastē par vāpas ā jātē haĩ . Dēkhō , abhī yātrā par manuṣhya jhuṇḍ kē jhuṇḍ jātē haĩ nā . Abhī dēkhō , bahut gaē aur vahā̃ bahut barsāt ā karkē paṛī jōr sēbilkul . . . Tūphān , barsāt kōī sahan na karē , kōī sahan kar sakē . Tō bahut hī lauṭ karkē ā gaē . Lauṭ karkē ā gaē tō usī jagah mē̃ ākar pahũchē nā . Yātrā par tō nahī̃ pahuchē nā . Jātē thē pāvan jagah mē̃ , phir lauṭ karkē usī patit jagah mē̃ pahũchē . Tō yahā̃ bhī kyā hōgā ? Hē rāhī , agar tum phir hā̃th chhōṛ diyā aur bhraṣhṭāchāriyō̃ kō śhrēṣhṭhāchārī na banāyā aur vāpas hō gaē tō phir vahā̃ bhraṣhṭāchārī ban jāē̃gē ; kyōṅki tum lauṭ karkē āē nā , kāyar ban karkē āē nā ki maĩ nahī̃ chal sakū̃gā . Yānī misal tō aisē hōtā hai nā - maĩ svarg taraph nahī̃ chal saktā , maĩ yātrā nahī̃ kar saktā hū̃ . Mujhē māyā K|kē bahut tūphān ā gaē haĩ . Raḍī bhī kartē haĩ . Tō dēkhtē hō , tūphān bigar tō kōī lauṭ āvē nahī̃ . Jiskō māyā kā tūphān bahut lagtā hai vō lauṭ karkē phir usī jagah mē̃ ā jātē haĩ . Usī jagah mē̃ ā jānā hai jahā̃ ki pahlē thē . Dēkhō , vāpas ā gaē nā . Āśyarcavat chaltē-chaltē , śhrēṣhṭhāchārī bantē-bantē agar phir bhraṣhṭāchārī ban gaē tō phir apnē bāp key|kī nindā karāī nā ki arē ! Yē chaltē-chaltē thak jātē haĩ . Thak karkē vāpas ā gaē . Usī jagah mē̃ ā jātē haĩ jis jagah mē̃ āē . Bas , phir kyā huā ! Hamārī yātrā huī ? Aisē tō nahī̃ hai ki yātrā phir kōī dūsrē baras mē̃ yā tīsrē baras mē̃ karē̃gē . Vō tō huī jismānī yātrāē̃ . Yah yātrā tō aisī hai jō chaltē chalō . Agar mũh phēr diyā tō phir bhraṣhṭāchārī ban jātē haĩ . Mũh tō phērtē haĩ nā . Kal chitra mē̃ bhī tō batāyā nā ki rām key|kī taraph sē mũh phēr diyā , parampitā paramātmā key|kī taraph sē mũh phēr diyā aur vāpas ākar baiṭh gayā , vō śhrēṣhṭhāchārī dhandhā chhōṛ diyā tō phir bhraṣhṭāchārī ban jātē haĩ . Dēkhō , bantē haĩ nā aisē . Chaltē-chaltē phir vō thak jātē haĩ , phir vahī aur hī jāstī bhraṣhṭāchārī ban jātē haĩ . Samjhā nā . Ēk tō bhraṣhṭāchār karē̃gē , dūsrā jō bahutō kō nuksān pahuñchēgā , kyōṅki jō śhrēṣhṭhāchārī bantē haĩ vō bahutō kō śhrēṣhṭh banātē haĩ aur phāydā pahucātē haĩ aur jō phir bhraṣhṭāchārī bantē haĩ sō phir aurō kō bhī nuksān kartē haĩ . Hōtē haĩ nā ! Tō isliē tumhē̃ śhrēṣhṭhāchārī bannē key|kī rāh sē lauṭnā nahī̃ hai . Achchhī śhaṅkhdhvani kartē rahō . Government kō bhī śhaṅkhdhvani karō . Ḍarō mat , kāyar mat banō . Baṛē-baṛē bhāṣhaṇ karō . Jabki government khud hī bhraṣhṭāchārī hai tō jarūr kōī aur government chāhiē . Tō barōbar bhraṣhṭāchāriyō̃ kē ūpar phir pāṇḍav government jinhōnnē śhrēṣhṭhāchārī government banāī hai . Vō pāṇḍav government kaun hai , vō hai brahmākumār aur kumāriyā̃ . Dēkhō , pāṇḍav government mē̃ tō yahā̃ brahmākumār aur kumāriyā̃ āēṅgē nā . Prajāpitā brahmā , unkī bachchī hō gaī brahmākumār aur kumāriyā̃ . Vō kiskī pautrī haĩ ? Śhivbābā key|kī . Tō sarvśhaktivān hō gayā nā . Tō sarvśhaktivān apnē pautra aur pautriyō̃ dvārā ; kyōṅki bachchā tō ēk hai nā - prajāpitā brahmā , tō un apnē brahmākumār-kumāriyō̃ dvārā ; kyōṅki tum bahut hō nā , vō tō ēk bāp hō gayā , tum tō śhakti sēnā hō gaī nā . . . tum jāntē bhī hō ki barōbar ham khud bhī jō bhraṣhṭāchārī thē ab śhrēṣhṭhāchārī ban rahē haĩ . Bhraṣhṭa aur śhrēṣhṭh kahā hī jātā hai patit aur pāvan kō . Tō barōbar ham patit sē pāvan ban rahē haĩ . Kis dvārā ? Us patit pāvan dvārā . Vō ēk aur pāvan bannē vālī tō bahut bachchiyā̃ hōṅgī nā . Tō bahut kā nām hai prajāpitā brahmā K|kē bachchē brahmākumār aur kumāriyā̃ . Unkā dhandhā hī hai , tō tum batāē̃gē nā , ham jō brahmākumār-kumāriyā̃ haĩ jō śhivbābā K|kē pautra aur pautriyā̃ yū̃ hai sabhī , parantu jāntē nahī̃ haĩ apnē bāp kō , ham tō jāntē haĩ . Ham unhō̃ key|kī mat dvārā , śhrīmat dvārā , jō bhraṣhṭāchārī bhārat hai unkō śhrēṣhṭhāchārī banātē haĩ . Tō śhrīmat sē śhrēṣhṭhāchārī un bagair kabhī kōī ban nahī̃ saktē haĩ aur bas vahī śhrīmat aur unkō gāyā bhī jātā hai - śhrī śhrī 108 jagataguru . Yah rudramālā bhī unkē nām par hai . Kōī sanyāsiyō̃ K|kē nām par tō nahī̃ hai . Nahī̃ , vō tō tum kah saktē hō ki vō svayã bhraṣhṭāchārī haĩ . Samjhā nā , kyōṅki vō parampitā paramātmā jō is bhārat kō śhrēṣhṭh banātē haĩ , vō unsē bēmukh karkē apan kō kah dētē haĩ - ham haĩ jagataguru . Jagat yānī sārī sr̥iṣhṭi kō , guru hai sad gati dēnē vālā . Bāp kahtē haĩ - aisē guruō̃ kō chhōṛ dō . Jaisī government bhraṣhṭāchārī , vaisē unkē guru bhraṣhṭāchārī hō gaē . Vahā̃ tō kōī guru hōtē hī nahī̃ haĩ ; kyōṅki śhrēṣhṭhāchāriyō̃ kō guru key|kī tō kōī darkār hai nahī̃ bilkul hī . Samjhā nā . Jabki śhrēṣhṭhāchārī banāy diyā phir guru key|kī darkār nahī̃ hai . Tō vahā̃ kōī guru hōtē hī nahī̃ haĩ . Tō dēkhō kisnē banāyā ? Satguru nē aisē banāyā , na ki kalayugī anēk guruō̃ nē . Yah sabhī bhāṣhaṇ kē liē ēk tō dhārṇā chāhiē . Ab yah tō sab bachchē jāntē hō ki hā̃ , ismē̃ bahut haĩ , jō kuchh bhī nahī̃ dhāraṇ kar saktē haĩ , kuchh bhī nahī̃ samjhā saktē haĩ . Tō jarūr unkā pad bhī aisē hī kam hōgā . Service cum|kam , tō pad bhī cum|kam . Sārā madār hai bachchō̃ K|kē service kē ūpar . Tō jō-jō achchhī tarah sē śhaṅkhdhvani karē̃gē - aur śhaṅkh chāhiē bahut ; kyōṅki bābā bhī merciful , ham bachchē bhī merciful . Jāvē̃ , śhaṅkhdhvani karē̃ . Kahī̃ sē bhī chance milē , kōī first class nimantraṇ miltē haĩ tō chalō , unkō bhī bhraṣhṭāchār kō śhrēṣhṭhāchār banāvē̃ . Tō pahlē tō mātāō̃ kā kām haĩ nā ! Pahlē hai tum śhaktiyō̃ kā , bachchiyō̃ kā kām . Son|san and daughter shows father and mother . Yahā̃ mother and father haĩ na ' tō mother and father tō bāp kō hī kahē̃gē nā . Tō barōbar hamārā pharja hai , hamkō taras ātā hai ki jō bhraṣhṭāchārī haĩ unkō śhrēṣhṭhāchārī banāvē̃ . Jab murlī suntē hō nā tō tum lōgō̃ kō śhauk ātā hai ki ham aisē jā karkē aur aisē murlī bajāvē ; parantu jinkō murlī bajānē kā śhauk nahī̃ hōtā hai vō bas sunā aur ṭhaṇḍā . Garam hōnā chāhiē nā . Bas , abhī ham bādal bharē̃ . Points baṛī achchhī hai . Ham jākar śhaṅkhdhvani karē̃ . Abhī śhaṅkhdhvani karnē vālē key|kī tākat chāhiē nā . Sab tō śhaṅkhdhvani nahī̃ kar sakē̃gē . Tākat chāhiē ki yah jō tum lōg kahtē hō bhraṣhṭāchār-bhraṣhṭāchār , pahlē samjhō tō sahī ki śhrēṣhṭhāchār kiskō kahtē hō yā kahtē hō pīs-pīs-pīs . Peace|pīs thī kab ? Peace|pīs kaun sthāpan karnē vālā hai ? Kōī manuṣhya thōṛē hī peace|pīs sthāpan kar saktē haĩ . Bhalā peace|pīs kab thī ? Kis peace|pīs kō tum lōg chāhtē hō ? Yē kalahayug mē anēk bhraṣhṭāchārī dharm haĩ . Vahā̃ peace|pīs kaisē hōgī ? Tō barōbar peace|pīs thī , tab jabki bāp nē ā karkē in rāvaṇ dvārā yē jō pīsalēsanēs hai uskā vināśh kiyā thā . Yē sabhī rāvaṇ sampradāy kō tō vināśh hōnā chāhiē nā . Tō barōbar gāyā huā hai ki ' ' rām gayō rāvaṇ gayō . ' ' kab ? Jab mahābhārat key|kī laṛāī lagī . ' ' jinkē bahu parivār ' , tō barōbar jō bhraṣhṭāchārī sē śhrēṣhṭhāchārī banā rahē haĩ , tō thōṛē hō nā . Rām key|kī sampradāy tō thōṛī hai nā . Unmē̃ bhī dēkhō kitnē nambaravār haĩ . Kōī itnā śhaṅkhdhvani karnē vālā majbūt nahī̃ hai . Bēchārē phansē huē haĩ , kōī kiskē mōh mē , kōī kiskē mōh mē̃ aur kahnē mātra tō bas kahtē haĩ - hā̃ bābā , āp patiyō̃ kā pati hai ; parantu patiyō̃ K|kē pati kō yād kartī haĩ ādhā ghaṇṭā , pāv ghaṇṭā aur bākī sārā din yād kartī haĩ un patiyō̃ kō . Abhī bēchārē un pati kō kitnā yād karnē sē unkā vikarma vināśh hōgā jō ) rāt-din apnē patiyō̃ kō , mitr-sambandhiyō̃ kō yād kartī hai ? Yād kartī haĩ bahut hī ; kyōṅki unkē sāth rahtī haĩ nā . Inkē sāth tō rah nahī̃ saktē haĩ . Hā̃ , inkē sāth rahē̃ , parantu rahnē kā hukm nahī̃ hai . Vō kahtī haĩ - nahī̃ . Yahā̃ tō bābā jāntē haĩ ki tum rah jāō ; parantu yahā̃ bhī māyā aisī hai 25 baras bhī rahnē vālī kō ghūr bhī gyān nahī̃ huā hai . Ghūr bhī śhrēṣhṭhāchārī nahī̃ banē haĩ jō kōī kō śhrēṣhṭhāchārī banāē̃gē . Aur hī bhraṣhṭāchārī ban gaē haĩ . Śhrēṣhṭhāchārī nahī̃ aur hī bhraṣhṭāchārī ban gaē haĩ ; kyōṅki māyā hai nā phir . Yahā̃ agar kōī rah śhrēṣhṭhāchārī na banē tō māyā aur hī bhraṣhṭāchārī banā dētī hai . Nāk sē pakaṛtī hai aur phir bhī dēkhō saṅg dōṣh bhī hai . Bhraṣhṭāchārī sē kiskā śhrēṣhṭhāchārī kā saṅg na hō . - saṅg tārē kusaṅg bōrē ' . Baṛā raṅg lagtā hai . Anubhav kahtā hai - agar kōī sarvisēbul nahī̃ hai aur phir sarvisēbul kē sāth rahā paṛā hai tō vō disservice vālē kā raṅg service kē ūpar bhī paṛ jātā hai . Yē bhī dēkhā gayā , anubhav bhī aisē kahtē haĩ ki barōbar . sag tārē kusag bōrē . Abhī yahā̃ tō tumhārē pās|pass saṅg bhī acchō kā hai , tō kusaṅg kā bhī hai . Rāmrājya mē̃ barōbar saṅg bhī thā , kusag bhī thā ; jisaliē phir dēkhō vō grahachārī lag jātī hai . Tō saṅg bhī baṛā kharāb hai . Ismē̃ baṛī khabardārī karnā chāhiē . Māyā aisī hai jō patā bhī na paṛē kiskō ki barōbar hamkō kōī māyā kāṭ rahī hai . Kiskō bhī patā na paṛē , aisī chatur hai māyā . Jaisē chūhā chatur hai nā . Ghar dhanī hai nā . Tō is samay mē̃ ghar dhanī rāvaṇ hai , is ghar-bhārat mē . Arē ! Vō aisā ustād hai , patā bhī kiskō na paṛē , bilkul hī ēkdam ṭhaṇḍā kar dētē haĩ . Service kā śhauk hī uṛā dētē haĩ . Māyā aisī kaṛī hai . . . . . . śhivbābā kahtē haĩ bachchō̃ kē liē . Aisē nahī̃ kōī samajhē ki bābā hamkō kuchh kahtē haĩ . Nahī̃ , śhivbābā kahtē hai bachchō̃ kō . Inkē ūpar dōṣh nahī̃ lagāō . Bābā tō kahtē haĩ nā - inkō kōī samjhō hī nahī̃ . Śhivbābā hī samjhō ki barōbar śhivbābā lalkār kartē haĩ ki śaṅktiyō̃ abhī tumkō tō sārē bhārat kō . . . . . tum government hō nā . Ēkdam kahō ki ham tō pāṇḍav government haĩ ; kyōṅki brahmākumār aur kumāriyō̃ haĩ . Arē ! Kr̥iṣhṇa kā tō kumār-kumāriyā̃ hō bhī nahī̃ saktī haĩ nā . Kr̥iṣhṇa nē kiskō vahā̃ baiṭh karkē samjhāyā ? Vō tō satyug vālāprĩs , kaliyug mē̃ kahā̃ sē āyā ? Aur yād tō patit-pāvan kō kartē haĩ nā . Bhraṣhṭāchārī , jō śhrēṣhṭhāchār sthāpan karnē vālā hai , unkō yād kartē hai . Dēkhō , yē vāṇī chaltī hai , kōī-kōī tō akhbār bhī likhtē hai . Samjhā nā . Tō akhbār banānē vālē bhī kōī tō bābā kē pās achchhē śhrēṣhṭhāchārī haĩ , kōī svayã bhī bhraṣhṭāchārī . . Phir jō achchhē vālē hōṅgē sō achchhē likhē̃gē . Jinkā niśhchay pūrā na hōgā vō ulṭā likh dēgē . Yah māyā aisī hai āj niśhchay hai , kal sanśhay aur phir kal sanśhay hai , āj niśhchay , kyōṅki kiskō kuchh bhī sanśhay hai , ēk second mē̃ lag jāē tō niśhchay hō jātā hai ki hā̃ , barōbar yah tō bāp hai , parantu phir bhī niśhchay vālē kō māyā phir apnē taraph sanśhay banānē kē liē kitnī mēhnat kartī hai . Dēkhō , kaisē-kaisē achchhē-achchhē niśhchay buddhi , ā karkē yahā̃ rahnē vālē , ēkdam baṛī mahimā karnē vālē , vō akhbārō̃ mē̃ chhapānē vālē , āj dēkhō haĩ nahī̃ . Māyā ēkdam ēk hī thappaḍ aisā jōr sē mārtī hai , mũh hī phēr dētī hai ēkdam . Tō bābā kahtē rahtē haĩ - bachchē , māyā baṛī dustar hai . Agar tum bāp sē kōī bhī gaphlat key|kī yā unsē kuchh ulṭā-sulṭā yā yōg tōṛā yā kuchh nindā key|kī yā phalānā key|kī tō ēk hī thappaḍ lagēgā aur mũh ēkdam phēr dēgā . Phir kālā mũh hō jāēgā . Gōrē kē badlē mē̃ vahī kālē K|kē kālē rah jāē̃gē ; kyōṅki bābā āyā hī huā hai kālē mũh vālē bandarō̃ kō gōrē dēvtā banānē kē liē . Yahā̃ K|kē sab bandar haĩ nā . Śhivbābā bōltē haĩ nā ki rām nē bandarō̃ key|kī sēnā lī . Phir bandar tō udhamī hōgā nā . Barōbar is sr̥iṣhṭi mē̃ is samay mē̃ śikal hai manuṣhya key|kī , sīrat bandar key|kī , bhraṣhṭāchārī key|kī . Phir yahā̃ jō manuṣhya hai , śikal manuṣhya key|kī , sīrat phir dēvtāō̃ key|kī . Abhī sūrat hai barōbar . Nārad kā misāl dikhlāyā nā ki dēkhō , nārad bhagat key|kī śikal tō kaisī achchhī hai , parantu sīrat aisī kharāb hai - bandar . Tō yē sabhī dr̥iṣhṭānt vagairah bhī yahā̃ K|kē haĩ . Tō abhī bhī tum apnē kō dēkhō , tō barōbar ham sō dēvtā ban rahē haĩ , ham śhaṅkhdhvani kar rahē haĩ . Abhī ham śhivbābā kō yād kartē hai aur svarg kō yād kartē haĩ . Kitnā yād kartē hō ? Arē ! Tumkō tō puruṣhārth karatē-karatē-karatē bas unkī yād rahē pichhāṛī mē̃ . Aisē nā hō ki kōī dūsrī yād ā jāvē . Dūsrī yād I|āī|eye tō milā janm , khāī sajāē̃ . Tō bābā nē samjhāyā hai . Manuṣhya tō jāntē nahī̃ haĩ ki sajāē̃ kaisī milē̃gī itnē thōṛē-sē samay mē̃ . Arē ! Bachchē , jō śhivkāśhī kē ūpar bali chaṛhtē thē nā , unkē sabhī vikarma vināśh hōtē thē . Kaisē vināśh hōtē thē ? Sajā khākar ; kyōṅki yōg tō vahā̃ hai nahī̃ , gyān tō kōī hai nahī̃ . Yōgāgni sē tō vikarma vināśh hō na sakē . Dūsrā kōī upāya nahī̃ . Tō phir unkā vikarma kaisē vināśh hōtā hai ? Vō sajā khātē haĩ . Khātē-khātē phir . . . vaisē tum bhī aisē hī hō jāē̃gē , agar vikarmājīt na banē , yōg na lagāē̃gē . Jō iskō patiyō̃ kā pati kahtē hō nā . . . . , tō unsē vahā̃ haṭānā paṛtā hai . Arē ! Māsī kā ghar thōṛē hī hai . . . . . . tum abhī viśhva kā mālik bantē hō . Jin lakṣhmī-nārāyaṇ kō tum pūjtē hō aur ādhā kalp pūjā hai , abhī tumhārī yē āśh pūrṇ kartē haĩ , tumkō phaṭ sē svarg kāmālik banātē haĩ . Dēkhō , yahā̃ bhī prajā tō common hai nā . Dēkhō , vajīr , prēsīḍēnṭa jātē haĩ , unkī kitnī mahimā hōtī hai . Minister jātē haĩ kitnī unkī risipśan hōtī haĩ , tāki bhēṇṭ hō jāē . . . . . Phark tō hai nā . Sabhī bachchē dēkhō yahā̃ bhī puruṣhārth kartē haĩ , hamēśhā paṛhtē haĩ tō bhī ūñch pad pānē kē liē . Tō yah tō puruṣhārth sabhī kartē haĩ . Vyāpārī bhī aisē kartē haĩ ki hamkō dhan bahut milē , paṛhāī vālē bhī kahtē haĩ - dhan bahut milē . Sampatti kē liē mārā-mārī ; parantu jahā̃ vikār key|kī mārā-mārī hai vahā̃ unkō sampatti kā tō sukh mil nahī̃ saktā hai . Yahā̃ tumhārī mārā-mārī har ēk bāt kē liē hai - ham dhanvān bhī banē̃ , āyuṣmān bhī banē̃ , putravān bhī banē̃ . Tumhārī mārā-mārī ismē̃ hai , sulṭī . Vō ulṭī . Tumhārā rāt-din yahā̃ chaltā hai ki abhī ham bāp sē pūrā varsā lēvē̃ , pūrā śhrēṣhṭhāchārī ban jāyē̃ . Ham jāntē haĩ ki bhraṣhṭāchārī bandar thē aur bandariyā thē . Ab ham śhrēṣhṭhāchārī dēvī-dēvtā ban rahē haĩ . Arē , bhārat mē̃ tō thē hī yē . Itnā bhī nahī̃ samajhtē haĩ key|kī barōbar . . . . . nahī̃ tō śhrēṣhṭhāchār , bhraṣhṭāchār ab tak aur kōī jagah mē̃ hai nahī̃ . Yē bhārat mē̃ hai . Kyō̃ ? Barōbar yahā̃ bahut śhrēṣhṭhāchār thā , bhārat svarg thā . Abhī vahī bhraṣṭavādī . Kaun śhrēṣhṭh svargvāsī thē , kaun narkvāsī banē , yah tō kōī kō patā nahī̃ hai . Vō kahtē bhī haĩ āpē hī pūjya , āpē hī pujārī . Parampitā paramātmā kō tō pujārī kabhī nahī̃ kōī samajhtē haĩ ; parantu sarvavyāpī K|kē ēk kāraṇ sē bēchārē pujārī ban gaē . Sab pūjā kartē haĩ , tō bōlā - bhagvān pūjā bhī kartē haĩ , sab kuchh kartē haĩ , vikār bhī kartē haĩ . Tō dēkhō , bhraṣhṭāchārī bhī pūrē ban gaē haĩ . Bābā kahē̃gē - in samēt tum lōg sab ban gaē thē . Phir yē kahtē thē barōbar bhraṣhṭāchārī ban gaē thē , ab ham sō śhrēṣhṭhāchārī jō thē sō phir śhrēṣhṭhāchārī ban rahē haĩ . Apan aisē kahē̃gē . Kaun banā rahē haĩ ? Bāp banā rahē haĩ hamkō phir sō śhrēṣhṭhāchārī . Tō tum bhī aisē śhaṅkhdhvani karō . Achchhē-achchhē jō mahārathī lōg haĩ . Number-vār tō haĩ hī . Kōī-kōī tō kyā haĩ , jaisē bakariyā̃ , read haĩ , pēṭ K|kē pujārī , bas unkō khānā chāhiē . Kōī-kōī tō aisī brahmākumāriyā̃ haĩ , bas khānā chāhiē , dūsrī bāt suntī nahī̃ haĩ ēkdam . Aisē bhī haĩ murdē . Achchhā-achchhā khānā chāhiē , ārām chāhiē . Yād rakh lēnā , achchhī-achchhī brahamākumāriyō̃ kē ūpar yah grahachārī bhī baiṭh jātī hai . Samjhā nā . Phir service ṭhaṇḍī hō jātī hai ; kyōṅki māyā baṛī yukti sē phū̃ phū̃ phū̃ kartī hai , ṭhaṇḍā ēkdam , khatam hō jātī hai . Nahī̃ tō dēkhō service kitnī karnī chāhiē . Chakkar lagānā chāhiē nā . Ēk jagah mē̃ thōṛē baiṭh jānā hai . Baṛī-baṛī nadiyō̃ kō tō khūb chakkar lagānā chāhiē ; parantu chakkar lagānē sē bhī ājkal sab ḍartē haĩ . Ēk jagah mē̃ ārām rahtā hai . Kaun jāvē , dhakkā khāyē , yah karē , vō karē . Tō aisē nahī̃ , aisē bannē sē phir vō jō samajhtē haĩ ki ham number one mē̃ āēṅgē , two|to|too mē̃ āēṅgē , thī mē̃ āēṅgē . brahmākumāriyō kā jō mālā kā number thā jō bantē rahtē thē aur gātē rahtē thē - phalānē āṭh number mē̃ jāē̃gē , phalānē chār mē̃ , phalānē tīn number mē̃ jāē̃gē . Phalānī tīn number vālī vō dhūl mē̃ bhī chalī gaī , jahannum chalī gaī ēkdam . Tabhī bābā kahtē haĩ nā - brāhmaṇō̃ key|kī mālā thōṛē hī bantī hai . Āj dēkhō tō āsmān , kal dēkhē tō ēkdam pātāl . Nahī̃ tō tum brahamākumāriyō̃ sē pūchhō . Ham mālā banātē thē - arēyē phalānī tīsrē number mē̃ āēgī , yah pahlē number key|kī śahajādī hai . Yah śahajādī śahajādā banēgā . Naśahajādī hai , na śahajādā hai . Nīchē paṛ gaē . Tō isliē māyā chhōṛtī nahī̃ hai . Jō achchhē-achchhē pahalvān apnē kō samajhtē haĩ , chhipā kar aisā chakkar mārtī hai , daṇḍ mārtī hai , isliē bachchō̃ kō bahut khabardār rahnā chāhiē . Saṅg baṛā kharāb hai . Tum dēkhtē hō yahā̃ bahut achchhī-achchhī ātī haĩ . Kōī bhraṣhṭāchāriyō̃ K|kē saṅg mē̃ , chaṭēliyō̃ K|kē saṅg mē̃ unkī buddhi hī bētālī hō jātī haĩ . Dēkhā jātā hai barōbar . Asar lagtā hai . Tō jabki yahā̃ vālō̃ sē hī . . . . . tō bākī jō ghar mē̃ rahtē haĩ . . . . Dēkhō , ghar mē̃ rahnē vālē gr̥ihasthiyō̃ kō kitnī musībat hai , kitnā saṅg hai unkō . Tō isliē gāyā jātā hai kam sē kam sāt rōj tō bēśhak āvē ; parantu aisē nahī̃ ki khānā khānē kē liē āvē aur chalē jāvē . Aisē tō bhūkh vālē bahut haĩ . Āē̃gē , bōlē̃gē - achchhā , hamkō kōī prabandh dō tō ham sāt rōj yahā̃ āēṅgē . Ṭhag tō bahut haĩ nā . Bōlē̃gē - sāt rōj hamē̃ yahā̃ māl mil jāēgā , ismē̃ kyā nuksān hai ! Tō ṭhagī bhī bahut hai nā . Baṛī sambhāl karnī hai . Baṛē guṇḍēbhī lōg hōtē haĩ , bāt mat pūchhō . Āsurō̃ key|kī duniyā hai . Bhalē śikal unkō aisē nahī̃ dī hai , jaisē muh mē̃ ḍāl karkē asurō̃ kā śikal banātē haĩ nā . Bākī nahī̃ , śikal-sūrat kyā hai ? Arē , vō tō jō aeroplane mē̃ phōṭō nikalē thē nā , vō nikālkar unhōnnē asurō̃ kā sach banāy diyā hai . Bākī hai tō manuṣhya . Yē dēkhō , tum jāntē hō ki ham dēvtā thē , is sārē bhārat K|kē mālik thē aur kōī bhī nahī̃ thā . Ab tō dēkhō kyā ban gaē haĩ . Tō tum bachchō̃ kō yah mālūm hai . Tō bābā kahtē haĩ - dēkhōapanē mē̃ kōī bhī avguṇ āē - service , service , service , kyōṅki haḍ D bhī dēnī hai . Yahā̃ kōī ārām karnē kē liē abhī nahī̃ baiṭhē huē haĩ . Vāil key|kī sāṛī pahanē̃gē aur phalānā karē̃gē tō buddhi bhī vāil key|kī sāṛiyō̃ mē̃ chalī jāēgī . Tumkō śhuruāt mē̃ bābā nē kahā thā āṭh catti vālā aur yahā̃ tō ājkal kōī achchhī kapṛā na hōvē tō ' ' śī , , , , , phū . . . . . . - aisē karnē lag paṛtē haĩ . Vō saṅg kā raṅg lagtā hai nā . Inkō vō kyō̃ hai ? Ājkal pāī paisē vālī brāhamaṇī , jinmē̃ kōī dam nahī̃ hai sō phir uñc vālī brāhamaṇī sē rīs kartī haĩ ki dēkhō , inkō hai nā , phir hamkō ? Arē inkō hai , yē service kartī hai . Tō bhī unkō bhī rājī karnē liē kyō̃ nā apnē halkē hī pahanē̃ , nahī̃ tō abhimān ātā hai ki hamkō vāil key|kī sāṛī paṛī hai . Vō bhī abhimān ā jātā hai . Nahī̃ , pōśhāk bhī pūrī hōnī chāhiē . Ājkal tō dēkhō bahut nikal paṛē haĩ nā - nillān nôyalān phalānā phalānā . Bhaī , aisī sāṛī pahanē jō kabhī dhōnē key|kī taklīph na hō . Taklīph tō tum lōgō̃ kō bahut achchhī lēnī hai , nahī̃ tō ahaṅkār ā jātā hai . Rīs hō jātī hai pīchhē . Rīs cum|kam thōṛē hī hai - yē phalānā aisā kapṛā pahantī hai , ham kyō̃ nahī̃ pahanē̃ ? Phalānā yē kartī hai , ham kyō̃ nā pahanē̃ ? Bābā saint ḍāltē haĩ , ham kyō̃ nahī̃ ḍālē̃ ? Aisē bhī tō race hōtī hai nā . Her|har bāt key|kī phir race kar dētē haĩ ; isliē brahamākumāriyō̃ kē ūpar tō baṛā bōjhā hai pāp kā . Brahmākumārī jō achchhī-achchhī hai vō agar kōī gaphlat kartī hai tō unkē ūpar baṛā daṇḍ paṛtā hai . Pīchhē vō avasthā hī kōī kām key|kī nahī̃ rahtī hai . Kōī service nahī̃ hōtī hai , kyōṅki māyā hai nā . Kamāī mē̃ grahachārī jarūr lagtī hai . Aisē mat samjhō , nahī̃ lagtī hai . Dēkhtē hō , bahut grahachārī lagtī hai , aisī grahachārī jō rāṣṭra key|kī grahachārī ā jātī hai . Maṅgal key|kī daśhā ban jātī hai . Bilkul dēvālā ēkdam . Vō aisā dēvālā hai , jō chaltē-chaltē bōltē haĩ - abhī hamkō jānā hī nahī̃ hai . Hamkō svarg mē̃ jānā nahī̃ hai , nahī̃ hai , nahī̃ hai . Aisē bhī kar dētē haĩ . Hamkō tō nark mē̃ hī rahnā hai , rahnā hai , rahnā hai , gōtā khānā hai . Aisē bhī bukh jātē haĩ aur barōbar practical mē̃ , tum lōgō̃ kō batāyā nā ki kitnā din , kitnā vō sākṣhātkār lē ātī thī . Ham , mama tum bachchē , vō jō programme lē ātē thē , unmē̃ ham baiṭh karkē rahtē thē . Vō head hō karkē bantī thī , najar kartī thī , kyōṅki bābā unkō dr̥iṣhṭi dē dētē thē - kaun ṭhīk baiṭhē haĩ , kaun yōg mē̃ baiṭhē haĩ . Vō baiṭh karkē dr̥iṣhṭi dētī thī bābā key|kī pravēśhtā sē , madad sē . Teacher ban karkē baiṭhtī . Vō ājkal bilkul hī gutter . . . . . Aisī-aisī first class-first class . Tō achchhē-achchhē first class-first class bhī gir paṛtē haĩ . Ãhakār ā jātā hai nā . Ãhakār kōī bhī nahī̃ ānā chāhiē . Kōī centre khōltē haĩ , unkō bhī ahaṅkār ā jātā hai - mainnē centre khōlā . Marā ēkdam . Arē nahī̃ , yah tō śhivbābā nē hamārē sē centre khulvāyā . Śhivbābā nē , karankarāvanhār nē mērē dvārā centre khulvāyā mērī sad gati karnē liē . Mainnē khōlā , yah kah dēgē tō vō tumhārē ūpar paṛēgā . Tumhārī daśhā tumhārī avasthā kamtī hō jāēgī , agar jhūṭhī rikamēṇḍēśan key|kī tō . Agar officer jhūṭhī rikamēṇḍēśan kartē haĩ tō ôphīsarō̃ kē ūpar case chal rahā hai . Mālūm hai tumkō ? Kahō , sikandarābād sē kaun āē haĩ ? Phaṭ dil bhī lag jātī haĩ ; kyōṅki unkī sēvā kartī haĩ tō unkō bhī rikamēnḍa kar dētē haĩ , yah bhī bahut achchhī hai . Kōī bāsan mā̃jatī hai , kōī unkō snān karātī hai , kōī unkō . pilātī hai , kōī māthē par māliśh kartī hai . Phir unkō bhī pasand karkē certificate dē dētī haĩ . Aisē nahī̃ karnā kabhī . Sēvā lēnē K|kē kāraṇ bahut brahmākumāriyā̃ jaṭhar ban jātī haĩ , ādatē̃ paṛ jātī hai . Phir jō kōī bāhar vālē dēkhtē haĩ nā , bōltē haĩ - yē tō mahārānī ban gaī hai . Yahā̃ dās-dāsiyā̃ rakh diyā tō phir vahā̃ nahī̃ milēgā . Jō yahā̃ dās-dāsiyā̃ rakh dētī haĩ nā service kē liē phir unkō vahā̃ nahī̃ miltē haĩ . Tō yahā̃ khabardārī bahut chāhiē . Jaisē karma kartē haĩ , dēkh karkē aur bhī karnē lag paṛtē haĩ . Arē bachchī , sambhāl chāhiē yahā̃ . Achchhā hai nā , maṅgalam bhagvān viṣhṇu . . . . Dēkhō , tumkō viṣhṇu kā banātē haĩ maṅgal K|kē din bhagvān . . . . Arē bachchī , mujhē nahī̃ khilāō rōj hir gaī haĩ sab khānē kē liē . Mujhē injection . . . . . Bāpdādā key|kī mīṭhē-mīṭhē sikīladhē sarvisēbul number-vār puruṣhārth anusār bachchō̃ kō yād pyār . Tō sarvisēbul bhī bahut jarūrī hai aur achchhī service .