गुरुवार 17 सितंबर 1964 की साकार मुरली - 1
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
17-09-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj gurūvār sēpṭēmbar key|kī satarah tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record :
Tū pyār kā sāgar hai …
Ōm śhānti ! Bhaktimārg mē̃ gātē āē haĩ , mahimā kartē āē haĩ . Hai mahimā phir bhī parampitā paramātmā key|kī ; kyōṅki vō gyān kā sāgar tō hai hī . Jaisē bhaktimārg mē̃ aur prakār kā gāyan hōtā hai . Yē sabhī jō utsav manātē haĩ yē bhī gāyan hai . Aisē hī kōī manuṣhya kā yā kōī sādhu-sant-mahātmā kā yah gāyan nahī̃ hō saktā hai . Jab bhakta baiṭhkar gātē haĩ tō unkī mahimā kartē haĩ - gyān kā sāgar hai , agar chullū pānī kā bhī milē tō ham yahā̃ sē chalē jāyē̃ , phir ham yahā̃ na rahē̃ . Kahā̃ rahē̃ ? Kahā̃ jāē̃ ? Muktidhām jāē̃gē yā jīvan muktidhām jāē̃gē . Iskō kahā hī jātā hai jīvanabandhadhām . Mahimā tō ēk key|kī hōtī rahtī hai ; parantu us ēk kō jāntē nahī̃ haĩ . Sirph tumhī̃ bachchē jāntē hō . Sō bhī bābā kahtē haĩ nā nambaravār puruṣhārth anusār . Nahī̃ tō bāp kā bachchā banā , tō ēk hī mā̃-bāp kā bachchā ban jātā hai . Bas phir tō vō bāp hī bāp hai ; parantu yē jō dēh-abhimān aur dēhī-abhimānī key|kī bāt hōtī hai nā , tō vō jō laukik bāp hai uskō hī kahā jāēgā dēh-abhimān yānī ātmā kō vō bāp yād paṛtā hai . Ātmā kō apnā bāp nahī̃ yād paṛtā hai . Jō dēh dēnē vālē haĩ unkō yād kartē haĩ . Ātmā apnē bāp kō bhūl gaī hai . Abhī yahā̃ tō mūl hai nā ki ātmā apan kō bhūl gaī hai . Yū̃ apan kō kōī bhūlē huē nahī̃ haĩ ; parantu sanyāsī yā vidvān lōg yē bhulātē haĩ . Ātmā kō bhulavā karkē paramātmā kahalavāē dētē haĩ . Ātmā kō ēk tō apnī hī pahchān pūrī nahī̃ hai . Kahtē bhī haĩ barōbar ki ham jīvātmā haĩ , ātmā kō jāstī na satāō yā taṅg na karō ; kyōṅki taṅg tō ātmā hōtī hai nā . Ātmā kō jab garbhajail mē̃ sajāē miltī haĩ tō bhī dēkhō unkō vahā̃ śharīr kā sākṣhātkār hōtā hai tab unkō bhāstā hai . Nahī̃ tō ātmā kō kōī kyā kar saktā hai . Bhāstā hī tab hai jabki śharīr hōtā hai . Śharīr tō unkō sākṣhātkār hī sthūl kā karāēgā , kōī sūkṣhma kā nahī̃ karāēṅgē . Tab vō feel kartē haĩ ki hamkō duḥkh mil rahā hai . Abhī tō bachchō̃ kō samjhā diyā hai ki pahalē-pahalēātmā sē yē practice karō ki ham yē śharīr kē sāth hōnē sē phir yē hamārā māmā hai , yē kākā hai , yē chāchā hai ; kyōṅki śharīr mē̃ hū̃ . Jab śharīr nahī̃ hai tō phir kuchh bhī nahī̃ hai . Ātmā kā gyān hai . Aisē mat samjhō ki kōī kō ātmā kā gyān nahī̃ hai . Tum bachchē bilkul achchhī tarah sē samajhāy saktē hō ki kōī kō mahān paramātmā thōṛē hī kahā jātā hai . Ātmā kō bhōg lagāyā jātā hai nā . Kōī mar jātē haĩ tō unkī ātmā kō bulāyā jātā hai . Aisē nahī̃ kahē̃gē unkī paramātmā kō bulāyā jātā hai . Yah tō tumkō bahut prakār sē samjhāyā gayā hai ki kōī bhī hālat mē̃ ātmā kō kabhī paramātmā kahā hī nahī̃ jā saktā hai aur na paramātmā kōī janm-maraṇ mē̃ ātē haĩ . Vō tō gāyā hī jātā hai ki barōbar paramātmā janm-maraṇ rahit hai , ātmā punarjanma lētī rahtī hai . Yē bachchē abhī samajh gaē achchhī tarah sē ki pahlē tē pahlē jō ātmāē̃ haĩ vō haĩ hī dēvī-dēvtā . 84 bhī yahā̃ bhārat mē̃ gāyā jātā hai ki 84 janm kā chakkar . Gīt bhī bahut gātē hai 84 K|kē chakkar par . Abhī yē tō bachchē jān gaē haĩ achchhī tarah sē ki gyān kā sāgar sammukh baiṭhā huā hai ; kyōṅki jarūr patit-pāvan kō hī gyān kā sāgar kahē̃gē . Gyānī jisakōkahā jātā hai vō tō bāp hī ṭhaharā|ṭhahrā . Unkō kahā bhī jātā hai gyānēśhvar . Yānī īśhvar mē̃ gyān hai . Aisē tō manuṣhya bahut apnā nām rakh dētē haĩ . Bābā nē samjhāyā thā nā - gyānēśhvarī gītā hai . Tō iskā nām hai sach-sach īśhvar , jinmē̃ gyān hai . Kaun-sā ? Sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā . Uskō hī kahā jāēgā gyānēśhvar . Īśhvar mē̃ kiskī knowledge hai ? Rachnā kā ; kyōṅki īśhvar hī is sr̥iṣhṭi kō rachtē haĩ , isliē unkō hī rachtā kahē̃gē . Abhī tum baiṭh karkē kahtē hō nā - rachtā hai , tō jarūr rachī huī sr̥iṣhṭi hai tab tō kahtē haĩ nā ki īśhvar hī rachtā hai aur sr̥iṣhṭi rachī huī hai . Rachtā kō hamēśhā bāp kahā jātā hai . Bhāī-bhāī kō rachtā nahī̃ kahē̃gē , bahan-bhāī kō rachtā nahī̃ kahē̃gē . Tō abhī bachchē jāntē haĩ ki barōbar hamārē sanmukh . Yē jahā̃ bhī hōgā vahā̃ aisē samajhē̃gē ki sanmukh ; kyōṅki dūr bhī tō bāp hōtē haĩ nā . Kōī bachchā vilāyat mē̃ rahtā hai aur kōī bômbē mē̃ rahtē hōṅgē , tō kahē̃gē bāp sē ham dūr haĩ . Yād tō jarūr karē̃gē nā . Bhūlē̃gē tō nahī̃ nā . Tumkō bhī tō bhūlnā tō nahī̃ hōtā hai nā , parantu jabki laukik bāp dēkhtē haĩ aur yē sambandhī dēkhtē haĩ tō bhūl jātē haĩ . Isliē bāp kahtē haĩ ki nirantar uṭhatē-baiṭhatē-calatē apan kō ātmā samajh karkē ēk practice karō - maĩ is apnē śharīr kō ghumānē lē jātā hū̃ . . , kyōṅki ātmā bagair śharīr key|kī pālnā kaisē hō saktī hai ? Uṭhē-baiṭhē-calē-phirē kaisē ? Tō abhī tum bachchō̃ kō ātmā kā tō gyān tō hai hī , aisē thōṛē hī kahē̃gē ki nahī̃ hai kiskō . Bākī yē jāntē hō ki ātmāē̃ aur paramātmā alag rahē bahukāl . Aisē nahī̃ kahē̃gē paramātmāē̃ aur paramātmā alag rahē bahukāl . Bāp tō bachchō̃ K|kē sanmukh baiṭhē huē haĩ aur samjhā dētē haĩ - chullū pānī ēk ḍrôp bhī bas hai . Kāhē kā gyān kā ḍrôp ? Yahā̃ gyān hai . Iskō gyān kahā jātā hainôlēj kahā jātā hai ki parampitā paramātmā tumhārā bāp hai , jō ab kahtē haĩ - maĩ tum sabkā bāp hū̃ kyōṅki aisē kōī bhī sanyāsī kahnē key|kī himmat nahī̃ karē̃gē ki ham tum sabkā bāp hai . Arē , tum tō kahtē hō sarvavyāpī hai , sab īśhvar haĩ , unkā bāp tum kaun hō saktē hō ? Isliē kōī bhī dūsrā manuṣhya mātra , jō sarvavyāpī kahnē vālē haĩ , aisē nahī̃ kahē̃gē ki ham tumhārā bāp haĩ aur paramdhām mē̃ rahnē vālā hū̃ jiskō tum yād kartē hō , patit-pāvan bhī kahtē hō , gyān kā sāgar bhī kahtē hō . Sarakamasṭā̃sēj kō bhī tum jāntē hō barōbar laṛāī hai , kalahayug kā ant hai aur barōbar yādav-kaurav-pāṇḍav khaṛē haĩ . Samjhānā tō hōtā hai nā . Hai sārī bāt samjhānē key|kī . Tum aisē mat samjhō ki yē rakhē huē chitra aur kōī inkō jākar samajhē . Nahī̃ . School mē̃ kōī nahī̃ paṛhā huā hōgā aur vō college mē̃ jāvē aur world kā vā hindustān kā yā kōī bhī nayā dēkhō tō vō baiṭhkar unkō dēkhtā rahēgā , samajhēgā kuchh bhī nahī̃ , jab talak teacher na samjhāē ki yē india hai , yē landan hai , yē pēris hai , yē phalānā hai . Samjhānē bagair tō vō unkī buddhi mē̃ bhī nahī̃ āēgā nā . Agar nām bhī paḍhēṅgē , jāntā hōgā , tō bhī unkī buddhi mē̃ sirph yē nām likhā hōgā - iṅglaiṇḍa . Kahā̃ hai ? Vahā̃ kaun rājya kartē haĩ ? Kis prakār K|kē manuṣhya haĩ ? Kōī bhī āj samajh nahī̃ saktē haĩ , jab talak kōī inkō samjhāyē . Yē aphrīkā hai , unmē̃ kaun rahtā hai , bhalē nām paṛhtē haĩ ; parantu unkō kuchh bhī āēgathōṛē hī . Yahā̃ tō samjhānē key|kī bāt hai . Her|har bāt samjhānē key|kī hōtī hai . Usmē̃ bhī tum bachchō̃ kō tō samjhāyā gayā hai ki jab bhārat avināśhī khaṇḍ hōtā hai aur pahlē pahalētō dūsrā kōī khaṇḍ hōtā hī nahī̃ hai . Tō yē samjhānē key|kī bāt hai nā . Bhalē samjhānē kē liē bômbē mē̃ ēgjibiśan bhī kartē haĩ . Uskā nām rakhā hai - ' new world ēgjibiśan ' . Aisē kuchh nām rakhā hai . Tum dēkh lēnā . Āj chalē jāē̃gē kāgaj jō advertisement banāy rahē haĩ . Achchhā hai , bômbē mē yē ēgjibiśan jō nikālā hai . Ājkal tō bhabhkā pahlē chāhiē nā . Kōī baṛī bāt likh dō tō ādmī ā jāē̃gē . Chhōṭī bāt sē ādmī ātē hī nahī̃ haĩ . Tō unhōnnē likhā bhī kuchh aisē hī hai ' new world ēgjibiśan ' yā rivīlēśan of|off new world bāē god ' . Tumkō dēkhnā chāhiē . Post jab ātī hai , tō aisē-aisē jō bachchē haĩ unhōnnē dēkhā bhī nahī̃ hōgā . Yē tumhārā kām hai in bachchō̃ kō dēnā , khās karkē kumārikā kō aur inkō bhī thōṛā samjhānā jō service par tatpar hai aur bhāṣhaṇ kar saktī hai ; kyōṅki aṅgrējī mē̃ hai . Tō sab bāt mē̃ aṅgrējī jānnē vālā chāhiē . Ēgjibiśan mē̃ kyā-kyā yē kartē haĩ , yah tumkō bhī achchhī tarah sē jānnā paṛē , kyōṅki mama tō vahā̃ ēgjibiśan mē̃ jā karkē khaṛī nahī̃ rahē̃gī nā . Bachchē hī jāē̃gē . Vō ā karkē jab unkō batāē̃gē ki yē jagadambā hai , yē sabhī kāmnāō̃ kō pūrṇ karnē vālī hai , manōkāmanāē̃ siddha karnē vālī hai . Yē jagadambā jhāṛ kē nīchē dikhlātē haĩ . Manōkāmanāē̃ pūrṇ karnē vālī kāmdhēnu hai . Tō vō āēgā milnē kē liē . Vahā̃ mama yā bābā jāē̃gē tō itnā prabhāv nahī̃ rahēgā . Bākī unkō direction dēnā hai ki yahā̃ bhī hai , jiskō tum lōg jagadambā kahtē hō . Jagatpitā tō parampitā paramātmā hai hī tō jarūr mā̃ hōgī . Pitā hai tō understood hai ki mā̃ hai . Phir unkō yah jagadambā inkō kah dētē haĩ , kyōṅki kalaś inkē ūpar rakhā jātā hai nā . Nām hai ki barōbar paramapitā-paramātmā gyān sāgar ā karkē kalaś mātāō̃ kē ūpar rakhtē haĩ . Usmē̃ mukhya mātā gāī huī hai jagadambā , phir unkī śhakti sēnā . Tō yē sabhī bātē̃ kōī hōśhiyār baiṭh karkē samjhāēṅgē . Vahā̃ phir ēgjibiśan mē̃ chhōṭī-chhōṭī cum|kam akla vālī second grade ghōṛēsavār na chalē , phir mahārathī chalē . Pyādā tō bilkul nahī̃ chalē , kyōṅki tīn prakār K|kē tum brahmākumāriyā̃ hō nā . Ēk hai pyādī dūsrī hai ghōṛēsavār aur vō hai mahārathī . Hamēśhā tīn prakār kā uttam , madhyam , kaniṣhṭha , yah achchhī tarah sē gāyā jātā hai . Sō tō bāp jānē aur mama jānē - uttam kaun hai ? Madhyam kaun hai ? Kaniṣhṭha kaun hai ? Aur kōī bachchē tō nahī̃ jān saktē hōṅgē . Jāē̃gē kōī naē-naē centres vālē , vō bēchārē kyā jānē̃ ? Unkō brahmākumārī chāhiē jō baiṭh karkē murlī paṛh kar unkē ūpar kuchh samajhāvē . Bākī tō kiskō murlī bhī na hō , tō unkō tō kōī harjā hī nahī̃ hai . Kiskō 10-10 , 15-15 rōj murlī nahī̃ miltī hai vō samjhātī rahtī hai , usmē̃ bhī ājkal bābā samajhāy rahē haĩ achchhī tarah sē ki bas bāp kā parichay dō ki vō laukik bāp , vō paralaukik bāp . Vō ātē hī haĩ sthāpan karnē tab jabki vināśh hōnē kā hai , vināśh sāmnē khaṛā hai . Dērī nahī̃ kariē . Samjhā nā ! Bahut gaī , thōṛī rahī , thōṛē K|kē bhī thōṛī samay rahī . Yē yād kar dēnā hai ki yē vikarma kā bōjhā janm-janmāntar kā hai . Vō yōg rakhnā paṛē . Yōgakōī māsī kā ghar nahī̃ hai yā yād kōī māsī kā ghar nahī̃ hai jō bāp kō yād karē̃ tō vikarma vināśh hō . Tō phir misāl dēnā chāhiē ki dēkhō , bābā aur mama haĩ mukhya , jō number one mē̃ jānē vālē haĩ , unkā bhī kuchh na kuchh hisāb-kitāb yōg aur gyān kā mēhnat kartē-kartē bhī is samay rahā huā hai . Isliē agar kōī dērī sē āē̃gē tō batāō vō yād sē kitnā apnā vikarma vināśh kar sakē̃gē ? Baṛī muśhkil hōgī phir dērī sē āēṅgē tō . Tum ḍhiṇḍhōrā piṭvā dō nā . Phir tum bachchō̃ kē ūpar kōī bhī unkī rahē nā . Bōlō - ham tō ḍhiṇḍhōrā piṭvātē hī rahtē haĩ , nimantraṇ dētē hī rahtē haĩ , akhbārō̃ mē̃ ḍāltē rahtē haĩ . Akhbārō̃ mē̃ bhī aisē hī ḍālnā chāhiē , jaisē ḍhiṇḍhōrā piṭvāyā thā nā . Bābā nē ēk ḍhiṇḍhōrā likh diyā thā . Tō tumhārā jō hai vō chhūṭ jāēgā , phir bhalē dūsrē akhbār vālē unmē̃ sē copy karē̃ yā na karē̃ ; parantu sabhī laiṅgvējij mē̃ bhī jitnā hō sakē itnā nimantraṇ sabhī kō milnā chāhiē ki bēhad kā bāp . . . . . . usmē̃ aisā likhnā hai nā . Bābā nē chhapvāyā bhī thā , parantu itnā kōī attention sab bāt kē ūpar nahī̃ jātā hai . Apnē laukik bāp kā varsā tō janm-janmāntar liyā hai , ab ā karkē paralaukik bāp kā bēhad 21 janm kā varsā lēnē kā sahaj rājyōg sē puruṣhārth karō . Yē nimantraṇ tō tumkō bahut achchhī tarah sē likhkar akhbārō̃ mē̃ , bhalē dūsrī lēṅgvējij hō unkō bhī dēnā chāhiē , kyōṅki jō bhī baṛē-baṛē śhahar yā gānv vālē haĩ aksar karkē dillī mē̃ unkē ējēṇṭ C rahtē haĩ . Sabsē jāstī rahēgā dillī mē̃ . Sabsē jāstī tumhārī service hōgī dillī mē̃ ; kyōṅki phir bhī tō centre hai vahā̃ kā . Sārē is bhārat key|kī gad dī hai nā . Tō vahā̃ akhbārō̃ K|kē sab ējēnṭas rahtē haĩ . Itnī mēhnat karnī chāhiē jō sabkō yē nimantraṇ milē ki bēhad kā bāp āyā hai . Sarakamasṭā̃sēj dikhlānā hai - yē yādav-kaurav-pāṇḍav haĩ . Christ K|kē , islāmiyō̃ K|kē , bauddhiyō K|kē ṭhikānē tō kuchh bhī nahī̃ haĩ , unkā bhī uddhār karnē vālā vō hai . Tō kinkā tīrtha baṛā huā ? Tīrtha baṛā hī huā parampitā paramātmā patit-pāvan kā . . . . . vō lōg itnā bhī nahī̃ samajhtē haĩ ki Christ vagairah yē kabhī punarjanma lē karkē patit banē hōṅgē . Bahut thōṛē kōī jāntē haĩ . Jāntē haĩ jarūr . Christ bhī yahī̃ hai yē kriściyan lōg jāntē haĩ . Kōī jā karkē pope sē sunē tō vō batāy dēgē ki barōbar punarjanma hōtā hai . Is samay mē̃ Christ jarūr tamōpradhān mē̃ āēgā ; kyōṅki jhāṛ tō hai nā . Tree sab lōg māntē haĩ . Kriściyan lōg bhī māntē haĩ . Tō bōlō - jarūr punarjanma tō sabkō milēgā nā , nahī̃ tō kahā sē āēṅgī ātmāē̃ ? Kahā̃ sē āī̃ kriściyan key|kī itnī ātmāē̃ ? Jarūr section hai . Tumhārē pās|pass tō samjhānē kē liē yah jhāṛ first class baṛā achchhā hai ki dēkhō , Christ lagā huā hai nā . History repeat karē̃gē jarūr . Jarūr Christ phir āēgā . Kab āēgā ? Yē baṛī achchhī chīj hai . Bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ abhī itnī value nahī̃ hai , jaisē nambaravār bābā kahtē haĩ - mahārathiyō̃ kē pās kuchh value , ghōṛēsavārō kē pās second grade mē̃ value , third class mē̃ itnī kōī bhī value nahī̃ ; kyōṅki khud itnā pūrā samajhtē nahī̃ haĩ . Tō samjhānē kē liē ēgjibiśan khulā hai . Ismē̃ kōī show yā art nahī̃ hai . Vō tō art gailarīj khōltē haĩ . Unmē̃ aisē hī cariyē - \ cariyē chitra lē ātē haĩ . . . . bāhē̃ yahā̃ lagī , phalānā . Vō samajhtē haĩ dance karnē kā yah ēk art hai . Kaisē khaṛē karkē batātē haĩ . Gōpiyō̃ kā bhī chitra banāē̃gē , patlī kamar kar dēgē . Patā nahī̃ kyā-kyā banātē haĩ . Hai tō kuchh bhī nahī̃ . Jaisē tum hō , manuṣhya aisē hī haĩ . Kōī bhī patlī kamar thōṛē hī hai . Lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī patlī kamar kahā̃ hai ? Ṭhīk jaisē hōtē haĩ taisē hōtē haĩ . Yē sabhī nônasēnsa nikalī huī hai kahā̃-kahā̃ sē . Bhaktimārg mē̃ jō kism-kismakē chitra banāē haĩ tō samajhtē haĩ vahā̃ dēyatāē̃ aisē thē . Dēvatāē̃ ēkdam hūbahū aisē haĩ jaisē abhī is samay mē̃ achchhē , ḵẖūbṣhūrat , natural beauty bachchē haĩ ; kyōṅki bābā nē samjhāyā hai nā ki pañch tatva is samay mē̃ tamōpradhān haĩ , jinsē śharīr bantē haĩ . Vahā̃ satyug mē̃ satōpradhān haĩ , tō unsē kāyā kalpa vr̥ikṣha samān . Musāphir ātē haĩ nā . Iskē liē nām hī rakhā huā hai kr̥iṣhṇa gōrā aur kr̥iṣhṇa sāṅvarā . Samjhā nā ! Vah śharīrō̃ key|kī kōī marammat nahī̃ hōtī hai jitnī yahā̃ kartē haĩ . Kitnī marammat karnī paṛtī hai . Vahā̃ tō bhalē buḍaḍhē bhī hō jāō , tumhārē dôt vagairah sab sābut . Majāl hai jō vahā̃ kōī kā ēk dānt ṭūṭ sakē ! Law nahī̃ kahtā hai ; kyōṅki dôt ṭūṭā tō dis phigar huā . Yānī dēkhnē mē̃ kuchh burā lagē . Aisī kōī bhī chīj nahī̃ hōtī hai . Ēkdam 16 kalā sampūrṇ . Śharīr bhī aisā first class . Kabhī jhūjhā cūcē jhaṅgalē yā lagaḍē-lūlē hōtē hī nahī̃ haĩ . Yahā̃ tō lagaḍē-lūlē janm bhī lē lētē haĩ , andhē bhī janma lē lētē haĩ , dō-chār matthē vālē bhī janma lē lētē haĩ , vahā̃ bilkul hī accurate . Tō dēkhō , us duniyā K|kē tum mālik bantē hō . . paristān K|kē mālik ban rahē hō , kyōṅki abhī kabristān hai nā . Bhārat is samay mē̃ kabristān hai aur kahtē bhī haĩ barōbar sabhī kabradākhil haĩ aur ēk hī musāphir ātē haĩ . Musāphir tō samajhtē hō nā ! Hō tō tum bhī musāphir ; parantu tum musāphir tō ā karkē punarjanma lē karkē part bajātē hō . Phir jab tum musāphir patit ban jātē hō tō tumhārī yah hasīn ātmā kālī ban jātī hai . Ātmā hī kālī bantī hai . Usmē̃ khād paṛtī hai . Yē ever hasīn hai . Ismē̃ kōī khād paṛtī nahī̃ hai . Vō khud baiṭh karkē samjhātē haĩ - mērē mē̃ tō kōī khād nahī̃ paṛēgī . Maĩ tō sachchā sōnā hū̃ , jiskō pure ātmā kahā jātā hai ; isliē mujhē bulātē haĩ . Maĩ pure hū̃ ever pāvan hū̃ tab tō mujhē bulātē haĩ nā ki hē patit kō pāvan banānē vālā arthāt ever pāvan rahnē vālā bābā āō . Phir kyā ākar karō ? Hamkō bhī āp samān banāō . Ever nahī̃ ban sakē̃gē , kam sē kam bantē tō bahut haĩ nā . Dēkhō , vahā̃ jō ātmāē̃ rahtī haĩ , pāvan tō hōṅgī nā . Pīchhē bhalē kisī mē̃ tākat kam hōgī . Jō pichhāṛī vālē hōtē haĩ , bhalē tākat cum|kam hai , par hōṅgē tō pāvan nā ; kyōṅki inkō patit phir bannā hōtā hai . Satōpradhān mē̃ sabkō ānā hai ; par satōpradhān ātmāō̃ mē̃ bhī tākat hai . . . . jaisē nāṭak mē̃ jāō , tō dēkhō kitnē ḍhēr hōṅgē , phalānā hōgā , unmē̃ unkō kyā miltā hōgā ? Uskō cum|kam kahē̃gē nā . Yah actor hai , itnā kuchh worth nahī̃ hai 50/100/200 rupayā pagār miltā hōgā . Jō hīrō-hirōīn haĩ patā hai unkō kitnā hai ? Dēkhtē hō unsē kitnā paisā nikaltā hai ? Lākhō̃ rupayā cilliyō mē̃ , bhittiyō̃ mē̃ , phalānī jagahō̃ mē̃ . Kyā karē̃ bēchārē ! Kahtē haĩ - tīs din chōr K|kē tō ēk din sādh K|kē . Tō dēkhō , abhī government ā gaī hai . Sabkā yē phulāvāḍāl rahī hai , sabkā khānā khōlēgī , yēkhōlēgī , yē khōlēgī . ' jahā̃lōbhī hōyē tahā̃ ṭhōgī bhūkh na marē ' aisē sunā hai kabhī ? Lōbhī jō hōtē haĩ nā , vō paisā-vaisā jā karkē kahā̃ jamīn mē̃ chhipā dētē haĩ . Jamīn mē̃ khud apnē hāth sē tō nahī̃ kuchh kar sakē̃gē . Mistrī chāhiē . Mistrī kō mālūm paṛā hai ki inhōnnē khōlā hai . Arē ! Tumkō mālūm nahī̃ hai bahut munīm jī lōg hōtē haĩ , naukar lōg hōtē haĩ , motor chalānē vālē hōtē haĩ , sab jō hōtē haĩ unkō mālūm paṛ jāvē ki yahā̃ is samay mē̃ isnē paisā kahā̃ chhipāyā hai . Abhī vārī hai . Unkō bōl dētā hū̃ tumnē paisā chhipāyā hai , dō hamkō , . . . abhī ham pulis kō bōltā hū̃ . Abhī dētē hō yā nahī̃ dētē hō ? Nahī̃ tō abhī maĩ pulis lē ātā hū̃ . Tō batāō us vakt uskī kyā jān rahēgī . Yē hō rahā hai abhī . Kahā̃ khaṛaḍē mē̃ pūrā . . . . mistrī kō . . apnē hāth sē tō kōī nahī̃ banāy sakē̃gē . Tō mistrī lōg bhī jā karkē samajhtē haĩ ki hamkō milēgā . Tō government kē pās nahī̃ jātē haĩ , unkō jākar pakaṛtē haĩ - dēkhō , tumnē yē kām kiyā huā hai . Tumhārā yē chaupṛā mērē hāth mē̃ āyā huā hai . Das hajār dētē hō yā nahī̃ dētē hō ? Abhī is samay mē̃ kahā̃ sē bhī lē ā karkē dō , nahī̃ tō abhī ham pulis mē̃ jātē haĩ . Vō dērī nahī̃ kartē haĩ . Aisē-aisē case hōtē haĩ . Tum abalāai bachchiyā̃ akhbār tō kuchh paṛhtī nahī̃ hō . Aur phir bābā tō hamkō batātē bhī haĩ , bōltē haĩ - chalō , tum bachchō̃ kō sākṣhātkār karāvē̃ kahā̃-kahā̃ kaisā-kaisākām hōtā hai . Bhaktō̃ kā bhī ham dikhalāyē̃ , chōrō̃ kā bhī dikhalāyē̃ kaisē unkō satātē haĩ . Aisē thōṛē hī hai ki government kōī antaryāmī hai jō unkō mālūm paṛē - kahā̃ kyā chīj hai . Yē sab ēk-dō kē ūpar chuglī mārtē haĩ - yē phalānā jātē haĩ , inkē pās|pass bahut māl hai , train mē̃ lē jātē haĩ . Jhaṭ unkō pakaṛā dētē haĩ . Aisē nahī̃ ki kuttē-billē haĩ sō jā karkē pakaṛtē haĩ . Arē ! Yē kyā . . . . . . . kitnē kuttē-billē inkō chāhiē , jō abhī baiṭh karkē chakkar lagāaigē karē̃gē . Nahī̃ , yah samay hī aisā hai . Kōī kā bhī chhip nahī̃ saktā hai , tab tō kahā jātā hai nā - kinkī rājā khāē , kinkī chōr haṇivajan kinkī sārē bāh saphalī thī̃ dī|the sā jō kharchē nām dhanī par ; kyōṅki dhanī āē huē haĩ svarg key|kī sthāpanāai karnē . Jō unkō madadgār banē̃gē unkā sab safe rahēgā . Tō abhī jāntē hō nā vō bichārā kyā madad lē̃gē . Bāp tō bōltē haĩ - maĩ kyā madad kā yahā̃ ! Bākī itnā jō ḍhēr kā ḍhēr dhan hai , kyā hōgī yahā̃ milkiyat ? Sārī duniyā mē̃ kitnī milkiyat , kitnā sōnā hōgā . Kitnē hīrē hōṅgē ! Sabkē pās|pass tō bahut hai nā . Sāhukārō̃ kē pās bahut hai . Lē karkē kahā̃ jāēṅgē ? Phir dēkhō , tumkō inkī bhī parvāh nahī̃ hai . Tum aisē mat samjhō , jaisē rājē lōg hōtē haĩ nā . Jaisē gajnavī vālā āyā , ā karkē mandir kō lūṭā . Tō thā nā . Lūṭ liyā unkō . Tum jō hō , tumkō kōī parvāh thōṛē hī hai . Tum kōī yahā̃ baiṭh karkē lūṭēṅgē-pūṭēṅgē thōṛē hī . Tumhārē liē jō bhī khāniyā haĩ , jahā̃ sē hīrē nikaltē haĩ vō sab tumkō naī milē̃gī . Sōnā key|kī khānī tumkō sab naī milēgī . Tumkō jitnā chāhiē itnā lē saktē hō . Tumhārē liē kōī dērī thōṛē hī hai . Phir bhī yē jō paṛē rahē haĩ , jaisē kōī patthar kahā̃ paṛā rahē tō ham patthar chalkar lē lē̃gē . Nahī̃ tō mujhē khōdnā paṛēgā , aisē kahē̃gē nā . Jō paṛē huē haĩ vō bhī tumkō mil jāēgā . Vō tumnē dēkhā hai , sākṣhātkār kiyā hai kikaisē tum apnā ērōplan mē̃ . Yē sōnā guphāō̃ mē̃ jō paṛā hai vō kahā̃ jāēgā . Tumhārē liē tō wonder hai , sab kuchh ēkdam easy hai . Sōnē K|kē mahal banē̃gē jaisē yē īṭō̃ K|kē mahal bantē haĩ , tum aisē hī vahā̃ mahal banātē rahē̃gē . Sāhūkār sōnē K|kē , garīb côdī K|kē . Prajā bhī tō banāēgī nā . Jō dhanvān prajā bantī hai vō bhī tō sōnē key|kī banāēgī . Aisē mat samjhō ki rājāē̃ sōnē K|kē banātē haĩ . Prajā bhī sōnē key|kī banātī hai jō bahut sāhūkār hōtē haĩ , jō pūrē philēnthrōphisṭa bantē haĩ . Bābā tō sab kuchh achchhī tarah sē batātē rahtē haĩ . Bābā aisē bhī nahī̃ kahtē haĩ ki tum bhūkh marō , bachchō̃ kō na sambhālō . Nahī̃ , bachchō̃ kō bhī pūrā sambhālnā hai . First tumkō bachchō̃ kā . . . kyōṅki creator hō nā . Tumhārā pharja hai unkī achchhī tarah sē pūrī sambhāl karnā ; kyōṅki unkō duḥkhī nahī̃ karnā hai , bhūkh nahī̃ mārnā hai , kyōṅki bāp hai nā . Vō tō jāntē haĩ , yē bhī tō bachchē haĩ nā . Inkō bāp kō sambhāl karnā hai . Inkō bhī tō sambhāl karnī hai nā . Yē tō sabkā bāp hō gayā nā aur phir merciful . Aisē kabhī kiskō duḥkhī nahī̃ karō . Dēkhō , kitnē duḥkhī hōtē haĩ , isīliē tō ātē haĩ nā . Vō jāntē haĩ phaimin paṛēgā , yē bēchārē bahut duḥkhī hōṅgē . Yē duḥkh itnā nahī̃ sahan karē̃gē , trāhi-trāhi karē̃gē . Jab yē trāhi-trāhi hōtī hai , uskē bād phir sabhī jay-jayakār hō jātē haĩ . Sabkō sukh mil jāēgā nā . Sabhī ātmāē̃ jō śhānti chāhtī haĩ muktidhām mē̃ jānē kē liē un sabkō vahā̃ bhēj dēgē . Sabhī duḥkhō̃ sē chhuṛānē kē liē bāp ātē haĩ . Duḥkhahartā-sukhakartā . Sukh haĩ dō prakār K|kē - ēk śhāntidhām mē̃ rahnā , ēk sukhdhām mē̃ rahnā . Kōī bhī duḥkh key|kī bāt nahī̃ . Śhāntidhām mē̃ bhī sukh hai śhānti kā aur vahā̃ sukh bhī hai , tō śhānti bhī hai , tō pavitratā bhī hai . Yahā̃ dēkhō duḥkh hai nā . Tō bāp kahtē haĩ kalp-kalp jab aisī hōtī hai hālat , kalahayug kā ant hōtā hai aur manuṣhya bahut duḥkhī hō jātē haĩ , khānē kō bhī nahī̃ miltā hai , bichārē pattē bhī khānē kō nahī̃ miltē haĩ , mērā part bhī us samay mē̃ hai , kyōṅki drama hai nā phir bhī . Jarūr jab kalahayug kā ant hōgā aur bahut manuṣhya duḥkhī hōtē hai tabhī mērā nām paṛā huā hai nā - duḥkhahartā-sukhakartā yā śāntidātā-sukhadātā . Śhāntidātā aur sukhdātā tō paramātmā kō kahē̃gē , kōī sādhu-sant-mahātmā kō kah hī nahī̃ saktē aur sō bhī sarv kā śhāntidātā sarv kā sukhdātā . Abhī tumkō anubhav hai . Tum jāntē hō ki barōbar ham bābā sahit sabkō śhānti dān dētē haĩ ; kyōṅki tum śhānti mē̃ rahtē hō . Dēkhō , śhānti mē̃ rahē̃gē tō dān dētē hō nā . Tō jōjō jitnā śhānti kā dān dēgā arthāt yād mē̃ rahēgā . Achchhā , phir ham knowledge dētē haĩ sukh kē liē . Tō dēkhō , tum śāntidātā-sukhadātā key|kī bachchī nimitt banī hō . Tum bachchō̃ kō show karnā hai māt-pitā kā . Tō jitnā - jitanājō-jō show karē̃gē , jitnā jō kiskō sukh kā mārg aur śhānti kā mārg batāēṅgē , unkō bahut ijāphā milēgā . Tum sab hō hī gāiḍ C . America sē ātē haĩ , vilāyat sē ātē haĩ , vō guide lēkar ātē haĩ . Tum lōg vilāyat mē̃ jātē hō tō guide lē̃gē nā , jō tumkō sab kuchh dikhalāvē . Tō bābā dēkhō tumkō kitnā bahlātē haĩ , kitnā dikhlātē bhī haĩ ; parantu yē kyā dikhlātē haĩ ? Yē sabhī naī bātō̃ key|kī bāt sunātē haĩ . Naī duniyā . Yahā̃ sadēśiyō nē kabhī \ jarmanī nahī̃ dēkhī hai , tōinakō jarmanī bhī batā dētē haĩ . Tumkō lē jātē thē jarmanī mē̃ - bārūd kahā̃ bantē haĩ , phalānā kyā hai , guphāē̃ kyā haĩ . Tō dēkhō , tumkō purānī aur naī duniyā , dōnō̃ kā sākṣhātkār karātē haĩ . Aur kōī thōṛē hī hōgā jō tumkō purānī aur naī duniyā kā sākṣhātkār karāē . Iskē sivāy aur hī tumkō jāstī sākṣhātkār karāē̃gē . Kinkō ? Bābā bōltē haĩ jō bābā K|kē sachchē bachchē hōṅgē . Sachchī dil par sāhib rājī . Śhaitānī dil par kōī sāhab thōṛē hī rājī rahē̃gē . Yē bābā batā dētē haĩ ki śhaitānī dil par bāp kabhī rājī hō tō bēchārā dhōkhā khā karkē martī jāēgā . Bākī jō tum hōṅgē , pichhāṛī mē̃ tum bahut kuchh dēkhē̃gē . Laṛāī dēkhē̃gē , kaisē vō martē haĩ , kaisē unkē sabhī laṛāī kā sāmān taiyār hō gaē haĩ . Tumkō sab dikhlāē̃gē . Purānī duniyā America . jarmanī , phalānā , yahā̃-vahā̃ kyā hōtā hai sab tumkō . . . . Bābā nē kahā hai ki śhurū mē̃ bhī tum bachchō̃ kō bahut kuchh dikhlāyā hai . Abhī tō vō nahī̃ haĩ nā . Kitnā programmes ātē thē . kitnē tum pahāṛ banātē thē , vaikuṇṭha banātē thē . śhādiyō̃ dikhlātē thē , bārāt nikaltī thī , kitnē-kitnē sākṣhātkār kartē thē , kitnē tumhārē pās|pass sāmān thē , kitnē tāj thē jō dance kartī thī - sūrya kā , chandramā kā , phalānā kā . Abhī hai kuchh ? Sab khatam hō gayā . Phir naē sir tumkō vō nahī̃ batāē̃gē , phir bhinn-bhinnaprakār kā dikhlāē̃gē jarūr , kyōṅki mirūā maut malūkā śhikār ' . Us samay partition mē̃ bhī baṛī mirūā maut thā . Tum bachchē vahā̃ apnī mauj mē̃ rahtē thē . Tumhārē kō kōī duḥkh thōṛē hī thā . Agar kōī bhī martā tō ham kyā jānē . Ciṭ ṭhī agar likhtē thē , yah tō marnē kā hai , tumkō kyā parvāh rahtī hai . Tum tō jītē-jī mar gaē nā . Sabkō mār diyā tumnē , isliē bābā kahtē haĩ mēhnat karō achchhī tarah sē . Yād mē̃ rahō pūrā achchhī tarah sē aur puruṣhārth karō - ātmā ham abhī śharīr kō khilātē haĩ , ham phalānē K|kē bachchē haĩ . Bas , yahā̃ rūhānī bātē̃ , dēh-abhimān key|kī jismānī bātē̃ sab ṭūṭnī haĩ . Mēhnat hai . Yah tō bāp hī sikhlāvē achchhī tarah sē . Bābā kahtē haĩ tum jō phir dēkhē̃gē vō jō yahā̃ sē āśhcharyavat bhāganti hō gaē , unhōnnē nahī̃ dēkhā hōgā . Tum phir aisē-aisē dēkhē̃gē . Jō past hō gayā sō bhī samajhē̃gē , jō phir nayā tum dēkhē̃gē vō bhī tum dēkhē̃gē . Phir dūsrā kōī thōṛē hī dēkh sakē̃gē ; isliē bābā kahtē haĩ mēhnat karō . Mēhnat karē̃gē tō bābā sab kuchh dikhlāē̃gē . Achchhē-achchhē mīṭhē children jō hōtē haĩ nā , unkō bāp bahut pyār kartē haĩ , bahut kuchh ghumātē haĩ , bahut kapaṛā-vapaṛā dētē haĩ , unkā śhrr̥iṅgār kartē haĩ . Yē bhī tō bēhad kā bāp hai , sabhī batā dētē haĩ nā . Tō samajh key|kī bāt hai , jō pyārē bachchē hōtē haĩ unkō māt-pitā sē bahut pyār miltā hai . Yē bhī māt-pitā hai . Vō bhīkahatē haĩ jō mērī service achchhī tarah sē karē̃gē unkō bahut kuchh pyār bhī milēgā aur pad bhī milēgā . Yē bhūlō nahī̃ . Yahā̃ tō sāmnē baiṭhē haĩ . Sammukh kahtē hō - bābā hamkō sammukh samjhā rahē haĩ . Kaun bābā ? Arē ! Kiskē buddhi mē̃ kōī thōṛē hī samajhē . Ham ātmāō̃ kō nirākār parampitā paramātmā śhikṣhā dē rahē haĩ ; kyōṅki hamkō svarg kā vāris banā rahē haĩ . Uskē liē śikṣāē̃ dētē haĩ ; kyōṅki bahut guṇvān , daivī guṇō̃ vālā bannā hai . Āgē tō hamārē mē̃ sab āsurī guṇ thē . Sabmē̃ āsurī guṇ thē . Abhī bābā sammukh baiṭhē haĩ tō aisē kabhī nahī̃ yah khyāl rakhnā key|kī brahmā ; kyōṅki jissē varsā miltā hai unsē lav|love rahtā hai . Vō through hai , ēk dalāl hai . Dalāl sē thōṛē hī pyār hōtā hai . Saudā hōtā hai , dalāl dalālī kartē haĩ , tō dalāl tō bīch mē̃ huā nā . Saudā tō unsē miltā hai . Tō tumkō bhī bābā kah dētē haĩ ki dalālō̃ key|kī kōī bāt nahī̃ hai . Bāp kō yād karō achchhī tarah sē , dēh-abhimān kō chhōṛtē jāō . Kōī key|kī bhī yād nahī̃ , sirph ēk . Mērā tō ēk dūsrā na kōī mānā phir dūsrā kōī bhī dēhdhārī nahī̃ , kyōṅki mērī ātmā kā ēk bāp , dūsrā kōī bhī dēhdhārī nahī̃ . Bābā hamkō insē . . . . sō yah tō huā dalāl , bābā kā purānā boot hai . Ismē̃ kyā rakhā huā hai bābā khud bhī kahtē haĩ - yah tō purānā boot hai . Inkō bhī tō yah khal chhōṛnī hai . Yah tō mainnē ā karkē loan liyā hai . Aisē kōī akṣhar thōṛē hī rakhē huē haĩ gītā vagairah mē̃ . Jarūr kalp pahlē bhī yē akṣhar kahē hōṅgē tab tō abhī bhī kah rahē haĩ nā . Āj sē 5000 varṣh pahlē āj guruvār K|kē din , phalānī tithi , phalānī tārīkh tumkō yahā̃ samjhāyā thā nā . Phir bhī tō vahā̃ samjhā rahā hū̃ nā . Dēkhō , kitnī achchhī , viśhāl buddhi chāhiē bilkul bēhad key|kī . Bākī buddhū bichārē kuchh bhī nahī̃ samajh saktē . Bahut haĩ jō bichārē kuchh nahī̃ samajhtē haĩ . Bākī jō achchhī tarah sē samajhē̃gē tō samajhdār kahalāyēṅgē . Lakṣhmī-nārāyaṇ nē jarūr kuchh achchhī prālabdh banāī hōgī , tab tō number one gaē haĩ . Kōī inkō paṛhānē vālā hōgā . Abhī tum jāntē hō ki paṛhānē vālā milā hai . Vō paṛhātē haĩ . Phir dēkhō , kaisē-kaisēhōṅgē - satyug mē̃ lakṣhmī nārāyaṇ hōṅgē , phir number-vār āē̃gē , phir unkī dās-dāsiyā̃ hōṅgī . . . . . Abhī tum sab kuchh jān gaē nā - prajā kaisē hōtī hai , yē sab kaisē hōtī hai . Kitanā-kitanājō bāp kā service mē̃ khudāī khidmatgār bantē haĩ , salvation army . Yē god fatherly salvation army hai . Īśhvarīy salvation army , sārī duniyā kō salvation dēnē vālā . Kāhē kā ? Mukti aur jīvanmukti . Sarv kā sad gati dātā kahā hī jātā hai - rām . Bābā nē samjhā diyā hai nā jīvanmukti kō sad gati kahā jātā hai . Gati mē̃ tō jarūr jānā paṛēgā , pīchhē āē̃gē jīvanmukti mē̃ . Samajhnā tō bachchō̃ kō achchhā hai , samjhānā bhī aisē hai jaisē bāp samjhātē haĩ , mā̃ samjhātī hai , ananya samjhātē haĩ number-vār aisē puruṣhārth karkē . Sab puruṣhārth key|kī bāt hai . Drama kē ūpar ṭhahar karkē nahī̃ chhōṛ dēnā hai . Khūb puruṣhārth karnā hai - ham jarūr bāp kō yād karkē aur pichhāṛī mē̃ yē sabhī wonders dēkhē̃gē . Ham jarmanī-aphrīkā kuchh bhī nahī̃ dēkhē , purānī duniyā ham dēkhē̃gē sārī . Phir bābā tō bahut bahlāē̃gē . Sab dikhlā dēgē tum lōgō̃ kō . Sabhī jāntē tō hō aphrīkā mē̃ kaisē rahtē haĩ . Bahut haĩ jinhōnnē African dēkhā nahī̃ hai ki African kaun hōtē haĩ . Āgē jab laṛāī lagī thī tō African laśhkar America K|kē yahā̃ āē huē thē , jab tum lōg karāchī mē̃ thē . . . . lōg yahā̃ lē karkē bahut āē thē . Baṛē achchhē pahalvān hōtē haĩ . Bābā kahtē haĩ - kyō̃ nahī̃ bachchē ! Tumkō ham purānī duniyā bhī sab kuchh dikhalāēgē . Jab naī duniyā kā sākṣhātkār karātā hū̃ , purānī duniyā thōṛī dēkhī hai , tumkō purānī duniyā bhī sab sākṣhātkār karā saktā hū̃ . Kōī-kōī kō karātā bhī hū̃ . Tum chāhō ki bābā , hamkō thōṛā aphrīkā tō dikhlāō . Vō bachchō̃ kō dikhalāy saktē haĩ ; parantu bābā kahtē haĩ - tum acchītarah sē tīkhē , mērē mīṭhē banō , maĩ tumkō sab dakhalāuṅgā . Jō bahut mīṭhā bantā hai unkī khātirī māt-pitā kartē haĩ . Yah tō ēk law hai , common kāydā hai . Aisē nahī̃ hōtā hai ki bābā kō sab bachchē ēk samān haĩ . Vāh ! Sab bachchē ēk samān nahī̃ hai tō sab bachchē ēk samān banā dēvē̃ kyā ? Aisē thōṛē hī kahē̃gē ki master kō yē sabhī student ēk samān haĩ . Hā̃ , paṛhānē kē liē ēk samān haĩ . Puruṣhārth tō har ēk kō apnā karnā hai nā . Tō tum hō student life mē̃ . God father , patit-pāvan liberator uskō kahā jāēgā . God fatherly children . Yah cum|kam thōṛē hī hai . Tumkō tō andar mē̃ sthāyī khuśhī kā pārā bahut caḍhā huā rahnā chāhiē jō bāt mat pūchhō ; kyōṅki gupta hai bābā nā . Bābā mānā bābā . Bābā kō kōī bhūltā thōṛē hī hai ; parantu māyā bhulā dētī hai . Bākī bhūlnā tō kabhī hōtā hī nahī̃ hai , sō bhī aisē bāp kō . Vāh ! Laukik bāp kō tō itnā yād kartē āē , bākī pārlaukik bāp kō ēk janm nahī̃ yād kar saktē . . . . . . . abhī tō hamkō pārlaukik bāp kō pūrā pakaṛnā chāhiē ; parantu hai buddhi sē pakaṛnē key|kī bāt . Tō buddhi sē pakaḍō bābā kō . Achchhā , bāt mat pūchhō ; kyōṅki tum madad kartē hō , yē bhārat kō pāvan banānē mē̃ yōg sē tum bahut mēhnat kartē hō . Bhārat khās , sārī duniyā ām . Tum sārī duniyā key|kī sēvā kartē hō bachchē . Śhāstrō̃ mē̃ hai nahī̃ , nahī̃ tō śhivbābā K|kē śhāligrām key|kī jab kathā sunnē śhiv mandir mē̃ jāō , śhāligrām baiṭhē haĩ , unkō jākar batāō ki yē śiyabābā patit-pāvan hai , unkē yē śhāligrām haĩ madadgār , jinkā yē rūdrjñān banātē haĩ miṭ T K|kē putlē . Tō mahimā hōtī hai . Aisē thōṛē hī hai ki ātmāō̃ key|kī mahimā nahī̃ hai . Sirph jāntē kōī nahī̃ haĩ . Samajhtē haĩ ki jarūr inkē bachchē haĩ . Kuchh tō kiyā hōgā nā , tab tō itnī pūjā kartē haĩ . Tum sab jāntē hō . Achchhā , āj bhōg hai . Satguru akāl mūrt . Akāl mānā jinkō kāl nahī̃ khā saktē haĩ . Janm-maraṇ mē̃ nahī̃ ātē haĩ nā . Vō tō kahtē haĩ nā unkō kāl khā gayā . Tō vō bōltā hai - maĩ hū̃ akāl , mērē kō kōī kāl khā nahī̃ saktā hai , maĩ phir kālō̃ kā kāl hū̃ jō sabkō vāpas lē jāū̃gā . Achchhā , ready hai bachchī . . . . sanmukh sunā . Pīchhē dūr sunē̃gē , murlī sē sunē̃gē , tape sē sunē̃gē . Sanmukh key|kī bāt sanmukh hai . Jab bāp gyān kā sāgar hai tō tumkō kyā dēgē ? Hai hī gyān kā sāgar . Tumkō kyā milkiyat dēgē ? Gyān dēgē nā . Yā aur kuchh dēgē ? Bas , unkē pās|pass hai hī gyān . Gyān sē tumkō sab miltā hai . . . . . . . . . . . . . . . . knowledge mē̃ bliss bharī huī hai . School mē̃ knowledge dētē haĩ , unmē̃ bliss bharī huī hai yānī varsā bharā huā hai , pad bharā huā hai . Yē bhī aisē hī hai . Knowledge mē̃ pad bharā huā hai . Aim object . Aisē kaisē banēgā oneness . Vananēsaphul tō bannā muśhkil hai . Yē āpas mē̃ khud hī oneness nahī̃ bantē haĩ , dūsrē kō lē jātē haĩ oneness banānē . One kā rājya hō tō oneness banē . Dēkhō , yē oneness . Ismē̃ bhī abhī talak oneness nahī̃ bantē haĩ , ēk mat nahī̃ hōtē haĩ . Āpas mē̃ bhī laṛtē-jhagaṛtē rahtē haĩ . Māyā kitnī dustar hai . Bhagvān ātē haĩ , inkō kahtē haĩ - bachchē , ēk mat hō jāō , dēvtā mat hō jāō yānī sabhī daivī guṇ dhāraṇ karō , ēk - dō sē daivī chāl chalō . Kahā̃ chaltē haĩ ? Phir ēk-dō mē̃ āsurī chāl chal jātē haĩ . Dēkhō , yahā̃ hamārē thōṛē bachchō̃ mē̃ hīēk mat nahī̃ hōtī hai . Ēk-sā kṣhīr khaḍ nahī̃ hōtā hai . Jhaṭ āpas mē lūn-pānī hō jātē haĩ , tabhī tō service ḍhīlī paṛtī hai nā . Nahī̃ tō āpas mē̃ ēk ban jāvē , tō aur kyā chāhiē . Kōī-kōī key|kī tō āpas mē̃ aisī matbhēd kharāb hō jātī hai , jō agyānī key|kī bhī nahī̃ hō . Tō phir vō kyā pad pāēṅgē ? Bāki jō āpas mē̃ bahut pyār sē chaltē hōṅgē , service mē̃ hī attention hōgā andar bāhar sāf hōgā , tum jāntē tō hō nā . Kōī bāhar sē baṛē mīṭhē baiṭhē haĩ , andar mē̃ baṛē śhaitān , parantu andar-bāhar mīṭhā chāhiē nā . Tō sachchī dil uskō kahā jātā hai . Sachchī dil par sāhib rājī . Nahī̃ tō mupht khānā ( kharāb karē̃gē ) . Khānā tō ābād karnā hai . Agar uñc pad nahī̃ ( pāyā ) , vahā̃ jā kar chaṇḍāl aur dhūrachāī banē̃gē tō khānā ābād tō nahī̃ kiyā nā . Vō kyā huā ? Vō tō kuchh liyā hī nahī̃ . Bābā āyā hīrā lēnē ( dēnē ) aur unsē khālī ēk pukhrāj lē liyā . Usmē̃ kyā hōgā ? Lēnā tō pūrā chāhiē puruṣhārth karkē . Achchhā , sabkō yād-pyār dēnā , samāchār sunānā ki āj puruṣhārth anusār lāḍlē bachchē pūnē aur bāmbē K|kē haĩ , kōī kahā̃ K|kē , kōī kahā̃ K|kē haĩ . Tum sab samajhtē hō nā . Abhī aisē tō hai ki ham jāntē haĩ bābā antaryāmī hai , sab kuchh jāntē haĩ ; parantu law mujīb chalnā paṛē nā . Yād-pyār bhī tō bhēj dēnā paṛē nā . Aisē thōṛē hī samajhnā vō sab kuchh jāntē haĩ , ham yahā̃ kahtē haĩ - bābā , āpkō yād-pyār dē rahē haĩ tō vō kōī sun lē̃gē . . . . . tum yād-pyār lē jānā , unkō jākar sab samāchār achchhī tarah sē sunānā - kaun-kaunaāē huē haĩ , kaun-kaun jā rahē haĩ . Abhī vō bēchārī baiṭhī hai . Unkō ṭhīk śhraṅgār karkē biṭhāyā . Jab śhānt mē̃ baiṭhē̃gē tō inkō śhānt kā prabhāv achchhā āēgā . Bākī sun tō sakē̃gē nahī̃ . Ākhō̃ sē vō khuśh hōtī hai . Bachchī , jab bhī jātī hō tab dīdī sē pūchh kar jāō , kiskā khās yād-pyār dēnā hai . Kaun ā karkē paṛhātē haĩ ! Aisē kōī pattharbuddhi jō bhagvān dvārā paṛh nahī̃ saktē haĩ . Wonder hai yē . Yē drama wonderful hai . Laukik teacher sē phir bhī kuchh paṛh jātē haĩ , yahā̃ tō bhagvān baiṭhē haĩ paṛhānē , insē phir kōī aisā . . . . paṛhtā bhī nahī̃ . I|āī|eye ० see|sī|C ० S ० kā baṛā-baṛā imtahān kharchā na hōnē K|kē kāraṇ bichārā paṛh nahī̃ saktē haĩ . Yahā̃ kharchē key|kī bhī kōī bāt nahī̃ hai . Dēkhō , mupht mē̃ bhī nahī̃ paṛh saktē haĩ . Unkō lōjiṅg-bōrḍiṅg bhī dēkhtē haĩ tō bhī nahī̃ paṛhtē haĩ . Yē wonder tō dēkhō . Kyā kahē̃ unkō . ( record : pitu-māt sahāyak , svāmī , sakhā , tum hī sabkē rakhavārē hō . . . . ) bachchō̃ kō samjhā rahē haĩ nā . Māśhūk āśhikō̃ kō samjhā rahē haĩ . Ēk hai māśhūk , tum sabhī ātmāē̃ hō . Tō yē hai ātmā kā paramātmā sē , māsūkasē āśhikō̃ key|kī yād . Ismē̃ jismānī kōī bāt nahī̃ hai . Jismānī tō bahut hōtē haĩ . Āśhik-māśhūk sunē haĩ nā . Kōī tō ēk-dō mē̃ bahut prīt rakhtē haĩ , puruṣh bhī ēk dō sē bahut prīt rakhtē haĩ jiskō phrēṇḍa athavā dost kahtē haĩ . Aisē bhī kōī dost hōtē haĩ jō jīvan bhar apnī tōṛ nibhā saktē haĩ . Kōī na kōī hōṅgē . Vō hai ēk - dō mē̃ bhāī-bhāī kā jismānī lav|love . Bhāī-bahan kā tō hō bhī nahī̃ saktā hai . Bahan-bahan \ kā bhī hō nahī̃ saktā hai ; kyōṅki dō bahan agar hō tō phir jarūr ēk kō ēk K|kē ghar mē̃ jānā paṛē , dūsrē kō dūsrē ghar mē̃ jānā paṛē . Nahī̃ tō dōnō kō ēk ghar mē̃ jānā paṛē , tabhī dōnō ikaṭ ṭhē rah sakē̃ . Aisē nahī̃ kiāśik-māśūk kōī ikaṭ ṭhē rahtē haĩ . Nahī̃ . Vō miltē nahī̃ haĩ . Unkē ūpar jō haĩ vō unkō milnē nahī̃ dētē haĩ ; isliē taṛapatē haĩ . Abhī yah tō kōī jismānī āśhik-māśhūk K|kē yād kī bāt tō nahī̃ hai , yah tō hai ātmāō̃ key|kī paramātmā sē yād kī bāt . Musalmān lōg kavvālī gātē bhī haĩ - āśhik āśhik hai , māśhūk hai . Arē , bichārē jāntē nahī̃ haĩ , vō samajhtē haĩ - ham rūh haĩ aur vō rūhānī bāp allāh hai ; isliē hamkō allāh sē māśūkatā rakhnī chāhiē . Tō aisē bahut musalmān hai jō allāh-u kartē rahtē haĩ . Tō jarūr apan kō tō rūh hī samajhē̃gē . Unkī rachnā hī samajhē̃gē ; parantu unkō yah patā ( nahī̃ hai ki allāh hai kaun chīj ; kyōṅki jiskā āśhik bannā hai unkō jānnā tō pūrā chāhiē nā . Isliē na jānnē K|kē kāraṇ kōī bhī āśhik māśhūk sē pūrā yōg lagā nahī̃ saktē haĩ . Bhalē kōī aur dēhdhāriyō̃ kē sāth lag sakē . Bākī yah sivāy bāp K|kē sikhlānē bigar kōī bhī āśhik māśhūk kē sāth yōg lagā nahī̃ saktē hai . Duniyā mē̃ kōī ēk bhī nahī̃ hai jō yathārth rīti sē jāntā hō ' kyōṅki unkō tō mālūm nahī̃ paṛtā hai ki māśhūk sē kyā milēgā . Vō tō kuchh miltā hī nahī̃ hai . Milnā hai unsē jarūr . Vō āpē hī ā karkē dētē haĩ aur kahtē haĩ - maĩ tum sab bachchō̃ kō śhānti aur sukh dēnē kē liē āyā huā hū̃ . Tab tum jāntē hō ki barōbar bābā āyā huā hai aur ātā hai gupta vēśh mē̃ . Tō phir śhāstrō̃ mē̃ likhā huā nahī̃ hai . Śhivjayantī hai . Ēk jagah mē̃ kahā̃ yah likhā huā hai - maĩ sādhāraṇ buḍaḍhē tan mē̃ ātā hū̃ parantu sādhāraṇ buḍ ḍhā tan kr̥iṣhṇa kā tō hai nahī̃ . Vō bhī tō nahī̃ hō saktā hai . Phir vō bichārē samajh nahī̃ saktē haĩ ki jarūr sādhāraṇ buḍ ḍhā tan , vr̥iddha tan , jō apnē janmō̃ kō nahī̃ jāntē haĩ , maĩ unmē̃ ātā hū̃ . Tō kitnī gupta bāt hō jātī hai nā . Vō kaun hōgā ? Kismē̃ hōgā ? Athavā āēgā ? Tō jab unmē̃ āē tab batāvē ki maĩ inmē̃ pravēśh kar phir inkā nām prajāpitā rakhtā hū̃ . Phir prajāpitā brahmā K|kē yē kumār aur kumāriyā̃ yē brāhmaṇ kul K|kē huē . Abhī kōī bhī śhāstrō̃ mē̃ , phalānē mē̃ in bāt kā kōī bhī patā nahī̃ hai . Jinkō sammukh khajānē kā sukh miltā hai , phir sukṣmavatan mē bhī hō tō bhī khajānā miltā hai . Yē sab lūṭ rahē haĩ . Ham yahā̃ kyā kartē haĩ ? Phir jākar dūsrē K|kē mukh sē sunnā paṛē . Samjhā ! Sanmukh sunnā aur dūsrē K|kē mukh sē sunnā , phark paṛ jātā hai . Accurate kōī batā sakē̃gē ? Kāydā nahī̃ kahtā hai . Achchhā , chalāō bachchī . Māt-pitā kā aur bāpdādā kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati number-vār puruṣhārth anusār yādpyār aur good morning .