सोमवार 26 अक्टूबर 1964 की साकार मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
26-10-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj somvār akṭūbar key|kī chabbīs tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record - bachpan K|kē din bhulā na dēnā …
Ōmaśānti . Bachchō̃ nē mīṭhā-mīṭhā gīt sunā . Bēhad kā bāp arthāt parampitā paramātmā bachchō̃ prati samajhāy rahē haĩ . Uskō hī kahā jātā hai śhrī-śhrī yānī śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh . Śhrī-śhrī dō daphā hai na . Śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh . Śhivbhagvānuvāch yā rudrabhagavānuvāc . Rudra tō parampitā paramātmā kō kahā jātā hai , śhiv bhī parampitā paramātmā kō kahtē haĩ . Tō parampitā param ātmā is śharīr dvārā apnē bachchē ātmāō̃ kō samjhā rahē haĩ . Yahā̃ kōī sādhu-sant-mahātmā yā kōī manuṣhya nahī̃ kahē̃gē ki tum ātmāē̃ ham tērā parampitā param ātmā mānā paramātmā tumkō iskē mukhkamal sē samjhā rahā hai . Dēkhō , gaumukh jātē haĩ nā . Abhī gaumukh sē gyān kaisē nikalē ? Vō bāp hai gyān sāgar . Ismē̃ gaū mukh sē pānī key|kī tō bāt nahī̃ hai nā . Aisē pakkā niśhchay karō ki bāp aham ātmāō̃ kō baiṭh karkē paṛhātē haĩ ; kyōṅki yū̃ bhī agyān kāl mē̃ ātmā hī sab saṅskār lētī hai , ātmā paṛhtī hai , ātmā dhandhā kartī hai in organs dvārā ; kyōṅki ātmā hai avināśhī , śharīr hai vināśhī . Ātmā khud kahtī hai ki maĩ ātmā ēk śharīr chhōṛ phir dūsrā lētā hū̃ bhinn nām-rūp , dēś-kāl mē̃ yānī satyug mē̃ punarjanma lētā hū̃ , nām-rūp phir jātē haĩ . Phir vahā̃ svarg mē̃ punarjanma lētā hū̃ , yah iskī ātmā kahtī hai yā bāp samjhātē haĩ - hē bachchē , svarg mē̃ hō tō tum punarjanma svarg mē̃ lētē hō . Ēk śharīr chhōṛ phir dūsrā lētē hō . Nām-rūp , dēś-kāl phir jātā hai . Bābā bahut achchhī tarah sē samjhātē haĩ , kyōṅki kōī-kōī naē bhī haĩ , kōī-kōī yahā̃ milē bhī ākar naē haĩ . Bachchō̃ kō yah tō patā hai ki bhagvān kā ānā hī śhivrātri hai , śhivbābā āyā huā hai . Hai nirākār . Tō yē is rath mē̃ ātē haĩ aur samjhā rahē haĩ ki bachchē , tum hamārē abhī bachchē banē hō . Abhī tumkō bahut khuśhī chaṛhī huī hai ki ham abhī bēhad K|kē bāp sē is brahmā dvārā paṛh rahē haĩ ) . Tō unkō śharīr chāhiē nā . Ātmā kahtī hai maĩ śharīr dvārā part bajātāhū̃ . Āj kōī carpenter kā part bajātē haĩ , kōī barrister kā part bajātē haĩ . Yē kaun part bajātī hai ? Ātmā ; kyōṅki ātmā kō part bajānā hai nā . Naṅgā ānā hai aur śharīr dhāraṇ karnā hai yānī garbh mē̃ jānā hai . Bāp kahtē haĩ - maĩ garbh mē̃ thōṛē hī ātā hū̃ . Maĩ aisē thōṛē hī kahū̃gā ki maĩ parampitā paramātmā ēk śharīr chhōṛtā hū̃ , dūsrā lētā hū̃ . Nahī̃ . Maĩ nahī̃ lētā hū̃ tum lētē hō , yē lētā hai . Inkē liē kahtē haĩ ki yē lētā hai . Is ātmā nē 84 janm pūrā kiyā hai . Yē ātmā apnē janmō̃ kō nahī̃ jāntī thī . Ab is ātmā nē apnē 84 janm kō jānā hai . … … abhī ātmā kē liē bāt kartē haĩ , ātmā hī kahtī hai - maĩ sūryavanśhī gharānē mē̃ janma liyā , punarjanma lētē āyā . Phir chandravãśhī gharānē mē̃ punarjanma lē āyā . Barōbar ātmā kahtī hai - ham punarjanma lētē-lētē pahlē satyug mē̃ , phir trētā mē̃ , phir dvāpar mē̃ , phir kalahayug mē̃ āē , hamnē dvāpar-kalahayug mē̃ bāp kō bahut yād kiyā - ō parampitā paramātmā ! Vā parampitā paramātmā key|kī yahā̃ patthar K|kē liṅg key|kī pūjā bhī key|kī aur yād kartē rahē . Maĩ ātmā satyug mē̃ tō mālik hū̃ . Kabhī bhī kiskī pūjā nahī̃ key|kī , kyōṅki svarg hai , svarg mē̃ pūjā . bhakti nahī̃ hōtī hai . Bhakti key|kī phir ādhā kalp . Ab bāp āyā huā hai . Ham unkī gōd mē̃ śaraṇāgat gaē haĩ . Tō tum sabhī abhī bāp key|kī gōd mē̃ gaē haĩ . Kaun sē bāp key|kī gōd mē̃ ? Sākār dvārā nirākār bāp key|kī gōd mē̃ . Tō bāp kahtē haĩ - hē bachchē . Yē īśhvarīy janm bhūl na jānā . Bilkul na bhūlnā . Kahtē haĩ - bābā , yē tō muśhkil hai . Bābā kahtē haĩ - muśhkil kyā hai ! Tum ātmā hō , maĩ tumhārā bāp hū̃ . Maĩ āyā hū̃ tum sabhī bachchō̃ kō patit sē pāvan banānē . Usmē̃ bhī tum tō paṛhtī hō . Kisliē paṛhtī hō ? Svarg kī rājāī prāpt karnē . Maĩ tum ātmāō̃ kō rājyōg sikhlātā hū̃ . Tum sabhī ātmāē̃ kān sē suntī hō aur dhāraṇ kartī hō . Kismē̃ dhāraṇ kartī hō ? Ātmā mē̃ . Yē jō gyān K|kē saṅskār haĩ , yē mujh parampitā paramātmā mē̃ bhī haĩ ; isliē mujhē kahtē haĩ gyān kā sāgar , manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp . Yah kiskī mahimā hai ? Unkī mahimā hai nā . Tō vō ā karkē kahtē haĩ ki barōbar maĩ sabhī manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp yānī rachtā hū̃ . Maĩ paramdhām mē̃ rahtā hū̃ . Abhī yahā̃ ātā hū̃ aur ātā hū̃ ēk bār , jabki mujhē paṛhānā hōtā hai , patit sr̥iṣhṭi kō pāvan karnā hōtā hai . Abhī dēkhō , mujh patit-pāvan kō yād kartē haĩ nā . Patit yād karē̃gē nā . Satyug mē̃ pāvan tō nahī̃ yād karē̃gē . Vō aisē tō nahī̃ kahē̃gē - ham sabhī ātmāē̃ jō abhī pavitra haĩ , pāvan haĩ , unkō patit banāō . Aisē kōī ulṭī pukār tō nahī̃ kartē nā . Jab patit haĩ tō mujh parampitā paramātmā kō pāvan karnē kē liē bahut bulātē haĩ , āvāhan kartē haĩ , parantu unkō mālūm tō nahī̃ hai ki maĩ kab ātā hū̃ . Maĩ ātā hī hū̃ saṅgamyug par . Aur kōī yug par maĩ nīchē kōī bhī śharīr mē̃ bilkul ātā nahī̃ hū̃ . Maĩ ātā hū̃ , abhī āyā huā hū̃ . Tum mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ nē abhī hamārī gōd lī hai . Kisliē gōd lī hai ? Bābā , hamkō phir sē vahā̃ prāchīn , jō sikhlāyā thā , jissē ham dēvī-dēyatā banē thē yā bhārat hīrē jaisā banā thā yā bhārat pāvan dēvī-dēvtā banā thā jō ab nahī̃ hai , ab patit hai , vahā̃ abhī ham āpkē bachchē ban gaē haĩ . Iskō kahā jātā hai nirākārī īśhvar key|kī gōd . Gōd nirākār key|kī kahā̃ sē āvē ? Bachchē kaisē banē̃ ? Nirākār bābā kahtē haĩ maĩ is tan mē̃ ātā hū̃ . Yē jaisē ki tumhārī baṛī mama hai . Vō jō mama sarasvatī hai jiskō jagadambā kahā jātā hai , vō inkī bēṭī hai . Yē mama nahī̃ ban saktī hai sambhālnē kē liē , pālnā karnē kē liē . Isliē kahtē haĩ ki unkō mukarrar kiyā huā hai . Uskō hī jagadambā kahā jātā hai aur unkā chitra alag hai . Iskē śharīr kō jagadambā nahī̃ kah sakē̃gē ; kyōṅki vō bābā bhī hai tō phir mama bhī hai ; kyōṅki in dvārā tumkō gōd mē̃ lētē haĩ . Tumkō is samay mē̃ jarūr yād karnā hai ki ham śhivbābā key|kī gōd mē̃ jātē haĩ . Vāstav mē̃ hai yē mātā ; parantu mātā sē kōī varsā nahī̃ milnā hōtā hai . Varsā phir bhī bāp sē miltā hai . Dēkhō , kitnī guhya aur yuktiyukt bātē̃ haĩ . Is mātā key|kī mukhvaṅśhāvalī hō nā . Dēkhō , kaisē achchhī tarah sē bāt kartē haĩ . Bōltē haĩ - bachchē , aisē na hō ki mērā ban karkē aur svarg kī bādśhāhī lēnē kē liē puruṣhārth kartē-kartē kahā̃ is bôksig mē̃ māyā sē yuddha mē̃ hār na jānā arthāt bhāg na jānā . Yē īśhvarīy bachpan bhulānā nahī̃ . Agar bhulāēṅgē tō rōnā paṛēgā . Yē bachpan kabhī bhī nahī̃ bhulānā . Ham īśhvarīy gōd key|kī santān haĩ . Yē mama hai , parantu iskā śharīr hai puruṣh kā ; isliē brahamākumārī sarasvatī , jiskō phir jagadambā kahā jātā hai , vō inkī pālnā kartī haĩ . Yē kaisē pālnā kar sakē ? Tō kalaś barōbar pahlē iskō miltā hai ; kyōṅki pahlē yē kān suntē haĩ . Pīchhē phir number mē̃ hai jagadambā , jō in sabkī sambhāl kartī hai . Abhī yē gupta huī na . Kitnī gupta bātē̃ haĩ ! Achchhā , bāp kahtē haĩ - bachchē , ab ham āyā hū̃ tum sab bachchō̃ kō vāpas lē jānē kē liē , kyōṅki jabki maĩ saṅgamyug par āyā huā hū̃ , tō vō saṅgam bahut chhōṭā hai . Uskō kahā jātā hai leap yug . Jaisē ēk dharmāū mās hōtā hai nā . Kyā akṣhar hōtā hai ? Uskō puruṣhōttam mās kahtē haĩ . Yē hai puruṣhōttam yug . Yānī uttam tē uttam puruṣh bannā . Abhī puruṣhōttam mānē uttam tē uttam puruṣh kaun-sā ? Puruṣh phir yē hai . Puruṣh hai tō strī bhī chāhiē nā . Isliē iskā nām hī hai puruṣhōttam yug . Yānī nar aur nārī ū̃ch tē ū̃ch banē . Kis dvārā ? Bāp kahtē haĩ - mērē dvārā ū̃ch tē ū̃ch bantē haĩ ; isliē mērā bhī śhrī-śhrī hai . Śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh . Tō aisā manuṣhyō̃ kō banātā hū̃ . Pahlē ātmā kō , jō patit hai , unkō pāvan banātā hū̃ . Phir jab patit sē pāvan bantī hai tō vō ā karkē aisā puruṣh puruṣhōttam aur puruṣhōttamnī bantē haĩ . Iskō puruṣhōttamnī bhī kahā jātā hai ; parantu bachchē , abhī yē jō tumhārā jīvan hai , jō inkō banāyā hai , kyōṅki yē haĩ vichitr māt-pitā . Inkā apnā chitra hai nahī̃ . Bābā nē samjhāyā hai ki brahmā viṣhṇu śhaṅkar dēvtāō̃ kā bhī chitra hai , inkā chitra nahī̃ hai . Isliē vō bōltā hai - mujhē prakr̥iti kā ādhār lēnā paṛtā hai yānī inkā 5 tatvō̃ kā jō śharīr banā huā hai , inkā mujhē ādhār lēnā paṛtā hai . . … kahtē rahtē haĩ ki bachchē , abhī dēh sahit jō bhī tumhārē sambandh haĩ in sabkō bhūltē jāō . Dēh purānī hai nā . Is dēh sahit jō tumhārē sambandh haĩ , guru-gōsāī̃ , kākā māmā chāchā in sabkō bhūltē jāō aur mērē sāth yōg lagātē rahō ; kyōṅki bhaktimārg mē̃ tum kahtē āē hō - aur saṅg buddhi kā yōg tōṛ ham tum saṅg jōḍēgī . Akṣhar hai nā - aur saṅg tōṛ tum saṅg jōṛēgī . Barōbar akṣhar tō hai nā . Ham bāp K|kē bachchē haĩ . Bāp key|kī jō sthāpanāē̃ svarg haĩ unkē ham mālik banē̃gē . Isliē kyā karō ? Māmēkam yād karō . Yah huī buddhi key|kī yātrā athavā ātmā key|kī yātrā ; kyōṅki man-buddhi ātmā mē̃ haĩ . Dhāraṇ sab ātmā kartī hai , śharīr kuchh nahī̃ kartā hai . Śharīr tō jaṛ hai . Unmē̃ ātmā paṛtī hai tō chaitanya hōtā hai . Ātmā na pravēśh karē tō jaṛ hai . Dēkhō , ātmā nikal jātī hai tō śharīr murdā jaisē paṛā rahtā hai . Vō tō brāhmaṇō̃ kō pitar vagairah khilātē rahtē haĩ . Kiskā ? Apnē bāp kā . Abhī bāp tō nahī̃ ātē haĩ nā , bāp key|kī ātmā ātī hai . Kyā karnē ? Kahtē haĩ - vāsanā lē jāēgī . Samjhā nā ! Yē jō brāhmaṇ key|kī ātmā jismē̃ hai , vō jō khāēgī , vō jō ātmā hai sō ā karkē vāsanā lē jāēgī . … kabhī-kabhī jinkī strī bhī ātī hai nā . Bulātē haĩ tō strī mē̃ ātē haĩ . Phir vō samajhtē haĩ ki hamārī strī kā soul āyā hai ; parantu agyānvaśh mōhavaśh vō kabhī-kabhī unkō dān kartē haĩ . Kōī-kōī sāhukār hōtē haĩ tō kabhī-kabhī hīrē key|kī phūlī banāy us brāhamaṇī kō pahnātē haĩ . Bōltē haĩ ki ham apnē strī kō phūlī kā dān dētā hū̃ . Phūlī tō vō brāhamaṇī pahanēgī nā . Tō yē kyā hai ? Yah dān hai . Jaisē ki ham brāhmaṇō̃ kō dān dētē haĩ tāki unkō pahuñchē . Sab kuchh yē khād aur unkō pahuñchē . Jiskō phir vāsanā kahā jāt hai . Tō bāp baiṭh karkē yē rāj samjhātē haĩ ki brāhmaṇ khilānē kā yē kāydā bhī bhārat mē̃ hai , aur dūsrē khaṇḍ mē̃ nahī̃ hai . Subah hōtā hai tō nyōtā bhēj dētē haĩ … pānī vagairah sab rakh dētē haĩ . Vō āēgī tō unkō yē karē̃gē . Tō ātmāē̃ ātī haĩ , ākar bōltī haĩ . Unsē pūchhtē haĩ ki phalānī chīj kahā̃ rakh karkē gaē thē ? Tō ēk dhārā tīrtha hai - nārāyaṇasir . Yahā̃ ātmāō̃ kō bulvātē haĩ . Abhī vō rasam-rivāj kam hō gayā hai aur tākat na rahī hai . Ātmāē̃ ā karkē batātī bhī thī̃ - maĩ phalānī jagah rahtā thā , phalānī jagah phalānī chīj chhōṛ karkē āyā hū̃ . Aisē bhī hōtā thā ; kyōṅki chhōṭā bachchā tō bōl na sakē ; isliē ātmāō̃ kō baṛē brāhmaṇ aur brāhamaṇī mē̃ bulātē haĩ . Bābā nārāyaṇasir sē hōkar āyā huā hai tab jabki chhōṭēpan mē̃ ū̃ṭ par yā ḍhaggē key|kī gāḍī par jānā hōtā thā . Tō abhī bāp baiṭhkar bachchō̃ kō samjhātē haĩ - lāḍlē bachchē , yē mañjil hai yād kī . Yē lambī hai . Vō tō tīrtha par jātē haĩ , dhārā tīrtha par gayā , amarnāth par gayā . Chakkar lagākar phir ghar mē̃ āyā . Hā̃ , yē jarūr hai ki jab kōī bhī tīrtha par jātē haĩ tō vikār mē̃ nahī̃ jātē haĩ . Yē ēk baṛā law hai , kāydā hai . Bhalē krōdh vagairah kuchh bhī hō jāē , lōbh hō jāvē , kuchh bhī hō jāvē , par kām mē̃ pavitra jarūr rahē̃gē ki ham tīrtha par jātē haĩ ; isliē pavitra jarūr rahē̃gē . Achchhā , phir jab ghar mē̃ ātē haĩ tō phir vō apavitr ban jātē haĩ . Dēkhō , pavitratā key|kī kitnī mahimā hai . Ham dēvtāō̃ kē pās tīrtha yātrā karnē jātē haĩ , vō pavitra haĩ tō hamkō bhī pavitra jarūr rahnā hai . Sārī bāt hai pavitratā kē ūpar . Bāp kahtē haĩ tum jō ātmāē̃ śharīr mē̃ hō , tum tō patit hō nā . Patit ātmā , tō patit śharīr . Sōnā agar patit hai tō zewar bhī patit , kyōṅki sōnē kō patit banānē kē liē 14 carat , 9 carat , mulamā bhī banātē haĩ . Ēk carat bhī nahī̃ , gilḍa dē dētē haĩ . Is samay mē̃ tō barōbar jhūṭhī ātmā hai tō jarūr unkō śharīr bhī jhūṭhā miltā hai , kyōṅki … khād hai inmē̃ . Abhī patit banē haĩ tab jabki inmē̃ khād hai . Bas , is samay mē̃ sabhī ēkdam patit haĩ . Śhurū sē lē karkē , lakṣhmī nārāyaṇ sē lē karkē , unkē rājdhānī sē lē karkē , jō bhī ātmāē̃ pīchhē ātī gaī haĩ , jinkā thōṛā janm hai , is samay mē̃ sabhī patit haĩ . In sabhī patit kō pāvan karnē … yē tō bēhad key|kī bāt huī nā . Bēhad śhānti vā bēhad sukh . Barōbar satyug mē̃ bēhad sukh hai . Śhānti bhī hai , pavitratā bhī hai . Is samay mē̃ kaliyug mē̃ tīnō̃ nahī̃ haĩ . Ghar - ghar mē̃ aśānti bhī bahut hai . Kisī-kisī ghar mē̃ tō itnī aśānti hōtī hai , hūbahū jaisē vō pūrā nark hai . Baccē-bāp , strī-puruṣh , yē-vō sab āpas mē̃ bahut laṛtē-jhagaṛtē rahtē haĩ aur yahā̃ bhī bahut ātē haĩ - hamnē sārī āyu pati kā duḥkh dēkhā hai . Bāt mat pūchhō . Bāp ātē haĩ , kahtē haĩ - bachchē , abhī yē bachpan bhūl nahī̃ . Agar bachpan bhūl gaē tō vō jō ūñchē kā ū̃chā varsā miltā hai , vō bhūl jāē̃gē ; kyōṅki sab gumāy dēgē . Aisē nahī̃ hai ki phir tum svarg mē̃ nahī̃ āē̃gē . Agar mujhē bhulāy diyā phāragatī dē diyā yā sājan samajh , apan kō sajnī samajh divorce dē diyā tō bhī tum bahut adhamgati jākar pāēgī . Svarg mē̃ jarūr āēgī , parantu adhamgati yānī garīb , kōī chaṇḍāl yā kōī naukar , kōī sāhukār kā naukar , vō pad jākar pāē̃gē . Agar mērī rāy par , śhrīmat par chaltē rahē̃gē tō śhrīmat par calakaratum śhrēṣhṭh sō śhrī lakṣhmī sō śhrī nārāyaṇ banē̃gē . Abhī jarūr kahē̃gē nā - satyug mē̃ sabsē śhrēṣhṭh vō banē huē haĩ . Vō bhī yād hai ki barōbar śhrī sītā aur rām trētā mē̃ ātē haĩ yānī dō kalā cum|kam . Unkō bāṇ dētē haĩ . Kṣatriyapanē key|kī niśhānī dētē haĩ . Manuṣhya bichārē samajhtē haĩ vahā̃ bhī rāvaṇ key|kī aur rām key|kī laṛāī lagī thī . Bōltē haĩ - yē kṣhatriya varṇa mē̃ chalā jātā hai . Tum jō achchhī tarah sē jīttē haĩ vō dēvtā varṇa mē̃ jātē haĩ aur jō yahā̃ māyā sē hārē̃gē , yuddha mē̃ māyā par pūrī jīt na pahan sakē̃gē yā nā-pass hōṅgē , 33 marks sē nīchē jāē̃gē tō unkō phir kṣhatriya kahā jātā hai . Vō trētā mē̃ sītā-rām dynasty mē̃ chalā jāēgā ; isliē unkō yē bāṇ haĩ . Vō bāṇ nahī̃ hai , jō rām sē yuddha kiyā aur bāṇ mārā . Vō sabhī haĩ dant kathāē̃ . Yē yahā̃ key|kī bāt hai ki jō achchhī tarah sē puruṣhārth na karēgā tō nā-pass hōgā ; kyōṅki school hai nā . Marks bhī tō hai nā . Pūrī 100 marks hai 100 tō pūrī hōtī nahī̃ , 99 marks , phir 98 , 97 . Tō dēkhō , sūryavanśhī number one jō gad dī|the par baiṭhē̃gē , number second . Tō marks sē kam hō gayā nā . Sītā-rām kē liē batāyā ki vō kamtī marks yānī 33 marks kē nīchē ā jātē haĩ tō phir unkō nīchē pīchhē pad miltā hai . Sūryavanśhī kā rājya pūrā hō tab phir vō chandravãśhī vālē kā śhurū hō jāvē . Phir sūryavanśhī bhī chandravãśhī ban jātē haĩ . Aisē nahī̃ ki sūryavanśhī sūryavanśhī rah jātē haĩ . Nahī̃ , sūryavanśhī rājdhānī past hō gaī . Drama mē̃ phir gaī ; kyōṅki drama kō bhī tō samajhnā hai . Dēkhō , yē drama hai , satyug , pīchhē trētā . Trētā kō kahē̃gē - yē sr̥iṣhṭi jō satōpradhān thī tō satō hō gaī ; kyōṅki dō khād paṛ gaī . Pīchhē khād paṛtī jānī hai nā . Pahlē golden , phir silver , phir copper , phir iron , sabhī dhātuō̃ key|kī khād ākar paṛī hai . Tumhārī ātmā ujhānī huī hai yānī pattharbuddhi hō paṛē hō . Ab phir tum bachchō̃ kō ā karkē ham pārasbuddhi banātē haĩ pārasnāth bannē kē liē . Kaisē ? Ātmā kō kahtē haĩ kyōṅki unamē buddhi hai nā - hē ātmā . Uṭhtē baiṭhtē chaltē karma kartē apnē buddhi kā yōg athavā yād bāp sē rakhō . Jab kōī kā bhōg lagātē haĩ dēvtāō̃ kā tō unkō yād karkē . Tō tum jab bhī kuchh kām karō tō jitnā hō sakē itnā hamkō yād karō . Usmē̃ kam sē kam bhalā 8 ghaṭā tō government key|kī service karē̃gē nā . Bābā key|kī yād karō ? Kyō̃ bōltē haĩ government key|kī service karō ? Tumhārī yād sē yē purity mē̃ bahut āēgī . Yē duniyā pure hōtī jāēgī . Tō tum jaisē bābā kō , patit sr̥iṣhṭi kō pure banānē kē liē madad kartē hō . Pure jō banēgā vō apnā pad lē̃gē . Bōltē haĩ abhī yē tumhārī īśhvarīy gōd hai . Kahā̃ sē ? Āsurī gōd sē īśhvarīy gōd mē̃ āē hō . Agar īśhvarīy gōd chhōṛ phir āsurī gōd mē̃ gaē yā yād kiyā tō tumhārī jō yād hai , usmē̃ vikarma vināśh nahī̃ hōgā , kyōṅki yād ṭūṭ jāēgī . Abhī tumkō mēhnat hai yē bābā batātē haĩ ki agar tum mēhnat na karē̃gē tō ant mē̃ tumkō bahut rōnā aur pachhtānā paṛēgā . Jaisē school mē̃ bachchē hōtē haĩ , bōltē haĩ - ham achchhī tarah sē paṛhtē tō ūñchē number mē̃ ātē . Bāp-mô bhī aisē kahtē haĩ . Kōī school mē̃ bachchē nā-pass hōtē haĩ tō gussē mē̃ ākar āpghāt kar lētē haĩ ki maĩ nā-pass hō gayā . Bōltē haĩ - tum bhī aisē hī , jab pichhāṛī hōgī aur agar tum cum|kam marks sē pās|pass hōṅgē tō tum bahut rōē̃gē aur sajā bhī khāē̃gē . Samjhā nā ! Kyōṅki jō cum|kam pās|pass hōtē haĩ unkē ūpar pāp kā bōjhā rah jātā hai . Pīchhē tumhārē liē ṭrivyūnal baiṭhtī hai . Vahā̃ sākṣhātkār hōtē haĩ . Jab dharmarāj baiṭhkar unkō sajā dēnē lagtā hai tō vō sākṣhātkār mē̃ jātē haĩ , dēkhtē haĩ tumnē phalānē janm mē̃ … . Bābā nē samjhāyā nā ki jō kāśhī kalvaṭ khātē haĩ unkō bhī aisē hī hōtā hai , jō pāp kiē haĩ vō sākṣhātkār hōtē jātē haĩ , sajāē khātē jātē haĩ . Yahā̃ bhī phir aisē hī hai . Sākṣhātkār hōtē jāē̃gē . Pahlē-pahlē sākṣhātkār karāē̃gē aur dharmarāj kahēgā ki dēkhō , yē bāp baiṭhā huā hai . Yē tumkō is tan dvārā paṛhātā thā . Yē brahmā kā tan bhī dēkhō . Tumkō yē sikhlāyā aur tumnē yē pāp kiyā . Pāp sākṣhātkār hōtā jāēgā . Sākṣhātkār bigar kabhī kiskō sajā nahī̃ miltī hai . Un bichārō̃ kō kyā mālūm ki mujhē sajā miltī hai . Tō pāp kā sākṣhātkār hōtā jāēgā , tumnē yē kukarm kiyā , yē kukarm kiyā . Ēk janm kā nahī̃ , janm-janmāntar mē̃ jō pāp kiyā unkā sākṣhātkār kartē jāē̃gē . … vō film phirtē haĩ . Vō sākṣhātkār kartē haĩ , par usmē̃ time bahut lagtā hai . Jaisē ki maĩ kitnā janm baiṭh karkē sajā khā rahā hū̃ . Tō bāp baiṭhkar samjhātē haĩ sākṣhātkār karātē jāē̃gē film aur tumkō kaṛī-kaṛī sajāē miltī jāē̃gī . Bahut pachhtāē̃gē bahut rōē̃gē ; parantu hōgā kyā ? Isliē abhī batā dētā hū̃ ki agar kōī bhī vikarma karkē tumnē bāp kā nām badnām kiyā tō sajāai bahut hōṅgī ; kyōṅki maĩ jō khud ātā hū̃ paṛhānē kē liē , tō aisē thōṛē hī hai . Tō yē kahtē haĩ ki bachchē , mujh apnē sad guru K|kē nindak na bannā , nahī̃ tō sajāē̃ bhī khāēgī aur pad bhī bhraṣhṭa hōgā . Yē bāt un laukik guruō̃ nē lē lī hai - guru kā nindak ṭhaur na pāvē . Arē , par kaun-sī ṭhaur ? Kōī guru sē tō jākar pūchhō ki tum jō kahtē hō guru kā nindak ṭhaur na pāyē , vō kaun-sī ṭhaur ? Kuchh bhī nahī̃ . Yē ṭhaur tō abhī pānā hōtā hai . Iskō kahā jātā hai sadaguru , sat bāp , sat teacher yānī sach , truth . Truth kahnē vālā bāp , truth sikhlānē vālā teacher , truth sikhlānē vālā sat guru . Tō bōltē haĩ - abhī mērī mat par chalnē sē tum yē bantē hō . Bāp kahtē haĩ - bachchē , yād rakhnā ki yē jīvan lambā hai . Bākī bas , iskā śharīr hī dēkhō . Tumhārā jīvan vahā̃ tak hai jahô tak inkā śharīr hai ; kyōṅki yē bhī tō kuchh na kuchh gāyā huā hai ki 100 varṣh kē bād brahmā bhī naṣhṭ hō jātā hai . Aisē likhā huā hai . Yānī vināśh kō pātē haĩ . Yē tō vināśh , … … . ātmā tō sīkh rahī hai nā ; kyōṅki yē hai patit ātmā sō pāvan ban rahī hai . Vō knowledge sīkh rahī hai . Kaisē ? Ham barōbar bāp kō yād kartē haĩ . … . vō kahtē haĩ - hā̃ , yē bachchā mujhē bahut achchhā yād kartē haĩ aur gyān bhī dhāraṇ kartē rahtē haĩ aur barōbar yē aur bhī number one mē̃ pās|pass hōtī haĩ , kyōṅki yē jā karkē phir rādhē aur kr̥iṣhṇa bantē haĩ . Svayamvar kē bād phir yē lakṣhmī aur nārāyaṇ bantē haĩ . Achchhā , abhī lakṣhmī nārāyaṇ key|kī dynasty bhī tō ānī hai nā . Tō bas , yē jō bhī haĩ puruṣhārth kartē rahtē haĩ ki ham bhī mama aur bābā K|kē samān mēhnat karkē unkē takht K|kē mālik banē yānī follow karē̃ . Māt-pitā kō follow karē̃ service mē̃ , dhārṇā mē̃ aur phir follow kar bhaviṣhya takhtnaśhīn hōvē̃ . Bachchō̃ kō yē mēhnat karnī hai nā . Tō follow karē̃ . Bōltē haiagar tum yē sab bātē̃ phir bhūl jāē̃gē aur bābā kō phāragatī diyā yā divorce diyā ; kyōṅki dō bāt hō gaī nā . Yē aur tō kōī nahī̃ samjhā . Sanyāsī samjhāēgā kyā ? Manuṣhya kōī bhī nahī̃ samjhātē haĩ . Yē ēk parampitā paramātmā , jō gyān kā sāgar hai , jō sārē sr̥ṣṭicakra kō jāntē haĩ , uskō hī kahā jātā hai knowledgeful . Aisā kōī bhī manuṣhya duniyā mē̃ nahī̃ hai jō is sr̥iṣhṭi K|kē chakra kō jānē , balki sr̥iṣhṭi K|kē rachtā kō hī nahī̃ jāntē haĩ . Kah dētē haĩ bēant . Bēant mānā hī vō bōltē haĩ - nētī-nētī , ham nahī̃ jāntē haĩ , ham nahī̃ jāntē haĩ . Nahī̃ jāntē haĩ tō dugunā nāstik banē . Yē kahā hī jātā hai nāstikō̃ key|kī duniyā . Nāstik kahtē haĩ nidhaṇakē kō , jō apnē dhanī kō nahī̃ jāntā hō . Tō dēkhō , dhanī kō na jānnē sē bhārat aur sabhī bachchē , jō dhanī K|kē haĩ , god father tō sab kahtē haĩ nā . Sabhī duḥkhī , jhagaṛē-laṛanā , nation nation mē̃ laṛtē haĩ . Ghar-ghar mē̃ jhagaṛā rahtā hai . Pānī kē liē , jamīn kē liē rājasthān , mahārāṣhṭra phalānā āpas mē̃ laṛtē rahtē haĩ . Bhalā kyō̃ laṛtē rahtē haĩ ? Rājāai bhī laṛtē haĩ tō manuṣhya bhī ēk-dō mē̃ laṛtē haĩ . Ghar vālē bhī laṛtē haĩ - yē kyā hai ? Kyōṅki nidhaṇakē haĩ arthāt sab nāstik haĩ . Usmē̃ sab ā jātā hai . Aisā kōī bhī manuṣhya nahī̃ hai , bhalē kitnā bhī baṛā vidvān hō vō bhī nāstik hai ; kyōṅki vō bhī aisē hī tō kahtē haĩ nā - īśhvar sarvavyāpī hai . Aham īśhvar , tattvam phir mānā sarvavyāpī hō gayā . Isliē abhī yē kabhī pāp kartē haĩ . Pāpātmāē̃ haĩ . Isliē sabsē pāpātmā kaun ? Guru . Kaun-sā guru ? Yē laukik guru ; kyōṅki ēk tārē , pāvan banāē . Tō jarūr patit banānē vālā bhī kōī hōgā nā . Patit banānē vālī ēk tō hai māyā aur māyā key|kī mat par chalnē vālē hai yē kalahayugī guru lōg . Tō sabhī patit haĩ . Ēk bhī pāvan nahī̃ . Jab guru hī patit haĩ . Bābā samjhātē haĩ , bhalā yē tō samajhtē hō ki patit gaṅgā mē̃ snān kartē haĩ . Gaṅgā kō kahtē haĩ patit-pāvnī . Sādhu-sant tō bahut jātē haĩ . Kumbha K|kē mēlē par baṛē mēlē lagtē haĩ . Sab jō bhī mahātmā lōg hōtē haĩ , vō … kumbha K|kē mēlē par savāriyā̃ lē karkē ātē haĩ trivēṇī ūpar pāp dhōnē ; kyōṅki pāp kaṭnī hai . … … uskō kahā jātā hai gaṅgā patit-pāvnī . Tō gaṅgā kō bhī dē dētē haĩ , sarasvatī kō bhī dētē haĩ , jamunā kō bhī dē dētē haĩ ; par haĩ tō sabhī nadiyô nā . Bōltē haĩ saṅgamyug par tīnō̃ mē̃ snān karnē sē hamārē bahut pāp dūr hōṅgē . Abhī gaṅgā tō patit-pāvnī nahī̃ hai . … … vō tō ēk hī hai . Gaṅgā kahā̃ patit-pāvnī hai ! Bhalā patit kō pāvan karnē gaṅgā kaisē , kahā̃ sikhā dēgī ! Bōltē haĩ , yē kitnē rôṅg hai . Tumhārē guru bhī patit haĩ . Vō kahtē haĩ ātmā tō nirlēp hai . Bākī śharīr patit hōtā hai . Śharīr khātā hai , pītā hai , chaltā hai , ātmā tō nirlēp hai nā . Ab yē bhī tō bilkul rôṅg hai . Saṅskār sabhī ātmā mē̃ rahtē haĩ aur kahā bhī jātā hai - yē karmō kā phal hai . Kaun-sē karmō kā phal hai ? Past janm K|kē achchhē va burē karmō kā phal , jaisē achchhā-burā kām kartē haĩ . Tō bāp kahtē haĩ - abhī ham tumkō aisē karma karnē sikhlātā hū̃ bāp K|kē rūp mē̃ , teacher K|kē rūp mē̃ aur guru K|kē rūp mē̃ , jō 21 janm kabhī tumkō karma kūṭnē kā nahī̃ rahēgā . Vahā̃ nām hī nahī̃ hōtā hai ki iskā karma aisā huā . Tumkō ham is samay ēkdam karmātīt avasthā mē̃ pahū̃cāy karkē phir , tum jāntē hō ki hamārā 84 janm kā drama pūrā hōtā hai , phir hamārā nayā satyug kā janm śhurū hōtā hai . Tō satyug mē̃ jānē kē liē , dēvtā bannē kē liē yē yukti paṛhāī jātī hai . Śhivbhagvānuvāch - bachchē , mērā ban karkē va hē sajaniyô mujh apnē bridegroom kā ban karkē phir kabhī mērē kō phāragatī nahī̃ dēnā . Phāragatī va divorce kā saṅkalp nahī̃ ānā chāhiē , kyōṅki kabhībhī kōī strī kō apnē pati kō divorce dēnē kā saṅkalp nahī̃ uṭhēgā . Apnē pati kō , bāp kō jissē … varsā miltā hai , unkō phāragatī nahī̃ dēgē . Dēgē kōī ? Nahī̃ . Satyug mē̃ kabhī kōī phāragatī nahī̃ dēgē . Yahā̃ tō bahut hōtā hai . Ājkal K|kē jō bachchē haĩ , laṛtē haĩ , jhagaṛtē haĩ , pitā sē alag hō karkē rahtē haĩ , pitā kō phāragatī dē dētē haĩ . Satyug mē̃ yē nahī̃ hōtā hai ; kyōṅki satyug mē̃ tum bachchē abhī key|kī prālabdh bhōgtē hō . Vahā̃ phāragatī kā question nahī̃ . Kōī bhī duḥkh kā question nahī̃ . Phāragatī kyō̃ dētē haĩ ? Jhagaṛā|jhagṛā . Strī kyō̃ phāragatī dētī ? Jhagaṛā|jhagṛā . Vahā̃ bilkul hī jhagaṛē|jhagṛē kā nām-niśhān bhī nahī̃ hai . Tō dēkhō , yē gīt kitnā achchhā hai , thōṛā phir bajānā . Kitnā mīṭhā gīt hai . Is īśhvarīy gōd kā jīvan lambā hai . Bachchē , jab talak yē hai tab talak tumkō yād mē̃ rahnā hai . Yē huī ātmā key|kī yātrā parampitā paramātmā kē pās jānē key|kī . Ḍāyaraikśan parampitā paramātmā K|kē haĩ . Uskō kahā jātā hai śhrīmat bhagvānuvāch . Tō nirākār huā nā . Tō nirākār bābā nirākār ātmākō kō is mukh sē kahtē haĩ . Yē gaū mukh huā nā . Yē baṛī mā̃ hai ) . Tum mukhvaṅśhāvalī hō nā . Insē kyā nikaltā hai ? Insē tō ratna nikaltā hai . Vō gaūmukh sē tō pānī nikaltā hai . Is gaūmukh sē gaṅgā-jamunā kā jal bahtā hai . Gaū sē jal kaisē bahēgā ? Yē hai gyān ratna . Bābā tum bachchō̃ kō iskē mukh dvārā ratna dētē haĩ . Iskō kahā jātā hai avināśhī gyān ratna . Ēk-ēk ratna lākhō̃-lākhō̃ rupayē kā hai , kyōṅki jitnā-jitnā tum dhārṇā karē̃gī itnē-itnē vahā̃ bahut dhanvān banē̃gē . Jabki tum dhārṇā kartī jātī hō , phir tumkō dān bhī karnā hai . Avināśhī gyān ratnō̃ kā hī dān tum phir dūsrē kō kartī hō , samjhātī hō . Usmē̃ number one kaun-sā ratna hai ? Manmanābhav madyājībhav arthāt hē bachchē , mujhē yād karō . Bhalē tum bachchiyā̃ kahtī hō hamārī jhōlī mē̃ ratnō̃ key|kī dhārṇā nahī̃ hōtī hai , ham dē nahī̃ saktē haĩ . Ēk tō ratna dēgē nā ! Apnē bāp kō yād karō . Vō hai laukik bāp , vō hai pārlaukik bāp . Vō bēhad kā bāp hai . Bēhad kā bāp kahtē haĩ mujhē yād karnē sē maĩ bēhad sukh kā varsā dēnē kē liē bāndhā huā hū̃ . Samjhā nā ! Bābā sach kahtē haĩ nā . Bōltē haĩ - tum sirph mujhē yād kartē rahō , jab talak iskā śharīr hai tab talak yād karō tō tumkō maĩ svarg kī bādśhāhī jarūr dūṅgā kyōṅki mērē āgyākārī aur vaphādār bantē hō , kyōṅki mērē madadgār bantē hō , mujhē yād kartē hō . Tō pavitra bhī rahtē hō jarūr . Pavitra tō jarūr rahnā paṛēgā . Tum mujhē pavitra duniyā banānē mē̃ madadgār bantē hō . Abhī jitnā jō yōg mē̃ rahtē haĩ vō duniyā kō bhī pavitra banātē haĩ , apan kō bhī pavitra banātē haĩ ; kyōṅki vikarma vināśh hōtē haĩ . Na yād karnē sē vikarma vināśh na hōṅgē . Kabhī na hōṅgē . Phir baṛī sajāē̃ khāēṅgē aur pad bhī bhraṣhṭa hō jāēgā . Kitnā clear karkē samjhāyā hai . Gīt sach mē̃ achchhā hai . … yē kōī nāṭak banātē haĩunamē̃ sē yē nikalā huā hai jiskā bāp yathārth rīti sē arth|earth samjhātē haĩ . Jō banātē haĩ , jō nāṭak mē̃ suntē hō , vō ḍabbē mē̃ ṭhīkarī , vō jāntē hī nahī̃ haĩ . Hā̃ , sunāō bachchī . ( record bajā : bachpan K|kē din bhulā na … … ) māyā bhulāy dētī hai , isliē khabardār . Kahtē haĩ - bachchē , yē bachpan K|kē din bhulā na dēnā . Ham bāp K|kē haĩ . Bāp hamkō kahtē haĩ maĩ bachchō̃ kō lēnē āyā hū̃ . Hē bachchē , tumhārē 84 janm pūrē huē , nāṭak pūrā hōtā hai . Satyug sē lē karkē nāṭak phir sē repeat hōnē kā hai , isliē tumkō satyug kā mālik banānē kē liē maĩ āyā hū̃ . Maĩ nahī̃ bantā . Dēkhō , kitnā sāph kahtē hai . Aisē kōī manuṣhya thōṛē hī kahē̃gē . Bāp kahtē haĩ - bachchē , svarg kī bādśhāhī tumkō dū̃gā . Tumkō sadā sukhī banā karkē aur apnē svarg kā varsā dē karkē maĩ apnē nirvāṇdhām mē̃ baiṭh jāū̃gā . Phir mujhē ādhā kalp kōī yād bhī nahī̃ kartē . Isliē gāyā jātā hai ki duḥkh mē̃ simraṇ sab karē̃ - ō god father ! Ō parampitā paramātmā ! Kiskā pati marē tō kahē̃gē hē bhagvan . Kyā kiyā ! Hamārē pati kō chhīn liyā . Kaī puruṣh hōtē haĩ , strī achchhī hōtī hai . Āpnē kyā kiyā ! Baṛā julma kiyā . Abhī bāp thōṛē hī kiskē ūpar julma kartē haĩ . Bāp tō kahtē haĩ maĩ kiskō duḥkh nahī̃ dētā hū̃ . Yē māyā tumhārā bachchā vagairah chhīn lētī hai . Maĩ jō rājya sthāpan kartā hū̃ vahā̃ kōī bhī akālē mr̥iityu hōtī hī nahī̃ hai aur na kōī itnē bachchē hōtē haĩ . Ēk bachchā , ēk bachchī , bas jāstī hōtā nahī̃ . Pīchhē jab trētā ātā hai , tab kabhī dō bhī hōtē haĩ . Dikhlātē haĩ nā lav|love aur kuśh . Tīsrā nahī̃ dikhlātē haĩ , par yah sirph niśhānī hai śhāstrō̃ mē̃ . Bākī aisē nahī̃ ki lav|love aur kuśh kōī ḍab sē yā phalānē sē paidā huē . Us samay mē̃ yē yōgbal chalā ātā hai ki barōbar abhī hamkō yah śharīr badal karnā hai . Nāg kā misāl hōtā hai nā . Śharīr badal karkē dūsrā nayā lētā hū̃ aur sākṣhātkār hōtē haĩ . Pahlē yahā̃ śharīr chhōṛ karkē tumkō ghar jānā hai . Bābā kē pās jānā hai , sweet home jānā hai . Sweet bābā āyā huā hai aur batātā hai tumhē̃ itnī bhakti karnē key|kī darkār nahī̃ , sirph mujhē yād karō . Yād sē vikarma vināśh hōgā aur pāvan ban jāē̃gē . Aur kōī upāya patit kō pāvan bannē kā hai nahī̃ yā tō phir pichhāṛī key|kī sajāē̃ . Jaisē kāśhī karvaṭ hōtā hai nā , aisē phir pichhāṛī mē̃ sajāē̃ pāē̃gē . Sajā pākar hisāb-kitāb chuktū karkē sabhī ātmāō̃ kā duḥkh kā hisāb-kitāb pūrā hōgā . Phir naē sirē sē sukh . Sukh pahlē satōpradhān phir satō phir rajō phir tamō . Pichhāṛī mē̃ sab ā karkē tamō bantē haĩ . ( gīt : lambē haĩ jīvan K|kē rastē āō chalē̃ ham gātē-hãsatē ) hãsatē-gātē rahtē haĩ nā . Hamkō sadaiv harṣhit rahnā chāhiē bāp milā aur bhalā kyā chāhiē ? Garīb kō bhī bāp milā tō yād karnā hai sāhukārō̃ kō bhī bāp milā tō yād karnā hai , ismē̃ kōī phark tō hai nahī̃ . Śharīr tō hai , parantu dhan nahī̃ hai tō ātmā kahtī hai - is samay mē̃ maĩ garīb hū̃ . Ēk ātmā kahtī hai - maĩ sāhukār hū̃ . Bābā kahtē hai ki sāhukār hō yā garīb hō , mujhē yād karō . Bichārē garīb tō haĩ hī duḥkhī , isliē bāp kō yād kartē haĩ . Vō sāhukār haĩ hī sukhī , tō unkō sukh hōnē K|kē kāraṇ vō yād nahī̃ kartē haĩ . Isliē gāyā jātā hai - garīb nivāj . Garīb duḥkhī tō haĩ hī , tō vō yād kartē haĩ . Sabsē garīb kaun haĩ number-vār ? Sabsē garīb tō kanyāē̃ haĩ , kyōṅki unkō tō varsā nahī̃ miltā hai . Jab pati kē pās jāyē̃ , vikh key|kī lēn-dēn karē̃ tab unkō … sō bhī sukh tō vō hī hai . Ardhāṅgnī bhī tō nahī̃ hai , hāphapārṭanar bhī nahī̃ hai . Vahā̃ hāphapārṭanar tō kyā vō tō haĩ hī rānī aur rājā . Unmē̃ kōī bhī vō gaṛbaṛ hai nahī̃ . Yahā̃ tō hāphapārṭanar bhī nahī̃ hai . Striyō̃ K|kē hāth mē̃ kuchh hai thōṛē hī , isliē phir striyō̃ kō chābī dētē haĩ ki tum hī sabkā uddhār karnā . Sādhu sant mahātmā kā tumkō hī uddhār karnā hai . Gīt mīṭhā hai nā - ' lambē haĩ jīvan K|kē rastē yānī yē yātrā lambī hai . Jahô jīnā hai bāp kō yād karnā hai . Unkē liē bhī time bōltē hai ; parantu śhurū karō . … apnā chart rakhō . Dēkhō , din mē̃ kitnā samay yād kartē hō . Pandrah minute , ādhā ghaṇṭā ghaṭā , ḍēḍh , dō , itnā kartē-kartē āṭh ghaṇṭā tumkō jarūr yād karnā hai . Pīchhē āṭh ghaṇṭā jō yād karē̃gē vō pass with honour hō jāē̃gē . Abhī 24 ghaṇṭā tō nahī̃ kahtē haĩ nā , āṭh ghaṇṭā . Phir kōī 8 , kōī 7 , kōī 6 , kōī 5 , kōī 4 , aisē yād karnē sē phir yē mālā bantī hai yā rājdhānī bantī hai . ( record bajtā hai - lambē haĩ jīvan K|kē rastē āō chalē̃ ham gātē-hasagē rōnā-pīṭanā nahī̃ hai . Yah gyān kā gīt dō akṣhar hai . Yē gānā hai . Ham sunkar phir sunāēṅgē yē hō gayā gānā . Likhā huā hai ki atiindriy sukh pūchhnā hō tō gōp-gōpiyō̃ sē pūchhō . Gōpīvallabh K|kē gōp-gōpī sō tō yahā̃ pūchhō nā . Satyug mē̃ tō gōp-gōpī hōtē nahī̃ haĩ . Vahā̃ rājāī hōtī hai kāydē anasuār . Yahā̃ hī tum kahlātē hō gōpiyā̃ aur gōp yānī bachchiyā̃ aur bachchē . ( record : dūr dēśh ēk mahal banāē̃ , pyār kā jismē̃ dīp jalāē , … ) ātmā kō jagānā hōtā hai nā . Agar phir chhōṛ diyā tō dīp bujh jāēgā . Phir dhārṇā nahī̃ hōgī , pad bhraṣhṭa hō jāēgā . Achchhā , abhī time huā . Ṭōlī lē ānā . … yē apnā gīt gātē rahnā . Nāchtē rahnā . Iskō kahā jātā hai gyān kā dance . Vō kr̥iṣhṇa key|kī bāt nahī̃ hai , yē hai gyān kā dance . Bākī hai knowledge . Yē akṣhar mahimā kē liē liē gaē haĩ . … pāvan banātē rahtē haĩ . Bīch-bīch mē̃ kōī patit banā , yē girā ; kyōṅki yātrā par hō nā . Us yātrā mē̃ bhī agar jātē-jātē kōī rāstē mē̃ patit banā tō yātrā kahā sē huī ? Yē bhī aisē hai . Yahā̃ lambā chakkar hai . Vō tō phir ā karkē phir vikār mē̃ gōtā khātē haĩ . Yahā̃ kōī bhī nahī̃ . … ismē̃ jitnā samay tum yād mē̃ rahē̃gē , yātrā mē̃ rahē̃gē , vikār mē̃ nahī̃ jāēṅgē . Nahī̃ tō gayā , khānā kharāb . Yā tō khānā ābād hō gayā yā khānā kharāb . Khānā ābād aur kharāb , uskō hī kahā jātā hai yā tō sūryavanśhī gharānē mē̃ āēṅgē yā tō prajā mē̃ āē̃gē . Prajā mē̃ jō sāhukār hōtē haĩ nā unkē bhī naukar chāhiē . Vō bhī yahā̃ bannā hai . Pichhāṛī mē̃ nahī̃ jāō . . … tvamēv mātāśhcha pitā , barōbar bālak baiṭhē haĩ , jāntē haĩ ki yē māt-pitā haĩ . Tō māt-pitā apnē sikīladhē bachchō̃ kō yādpyār aur good morning yā vidāī for the time bīṅg thōṛē samay kē liē .