मंगलवार 29 दिसंबर 1964 की साकार मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
29-12-1964 madhuban ābū prātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , good mōrniṅg ham dillī sē bōl rahē̃ haĩ , āj śhukravār hai December unattīs tārīkh key|kī murlī suntē haĩ
Record -
Dukhiyō pay kuchh rahm karō - mā̃-bāp hamārē …
Ōmaśānti . Abhī bachchē pukārtē haĩ ki bāp kō ānā hai . Kab ānā hai ? Jabki rahm chāhtē haĩ . Tō bāp baiṭhkar bachchō̃ kō samjhātē haĩ … bahū kalp pahlē muāphik bāp ā gaē hai bachchō̃ kō phir sē pyār dēnē aur jō bachchē duḥkhī haĩ unkō sukhī karnē . Bachchē kahē̃gē nā phir sē ; kyōṅki pukārtē haĩ ki āō , rahm karō , phir sē āō ; kyōṅki bachchē jāntē haĩ ki sachmuch ham duḥkhī haĩ . Ham 5000 varṣh pahlē bahut sukhī thē . Bābā nē tumkō batāyā hai ki kitnā varṣh huā jab tum bahut sukhī thē . Ab tum duḥkhī hō . Kisnē duḥkh diyā hai ? Kisnē tumkō aśānt kiyā hai ? Sab kōī ātē haĩ tō kahtē haĩ - śhānti kaisē milē ? Tō aśānt hai nā . Aśānt kā arth|earth hī hai ki ghar-ghar mē̃ duḥkh hai , jhagaṛā hai , mārāmārī hai , uskō kahā jātā hai ' aśānt ' , aur phir śānt kiskō kahā jātā hai ? Jahā̃ phir yah mārāmārī , jhagaṛā|jhagṛā aur haṅgāmā nahī̃ hai . Aisē nahī̃ hai ki śhānti chāhiē , tō ham jaṛ ban jāvē . Kyō̃ ? Jab ham vahā̃ naṅgē haĩ , śharīr nahī̃ hai , tō ham jaisē jaṛ haĩ , kuchh kartē nahī̃ haĩ , bas vahā̃ paṛē rahtē haĩ . … mūlvatan mē̃ ham kuchh kartē nahī̃ haĩ , śharīr hō tō kuchh karē̃ nā ! Śharīr nahī̃ hai tō vahā̃ kartē kyā haĩ ? Vahā̃ ham paṛē rahtē haĩ - jaṛ . Uskō jaṛ kahā jātā hai . Śānt paṛē huē haĩ . Śhānti tō vahā̃ hai ; kyōṅki vō hai hī nirvāṇdhām , vānaprasth . Nirvāṇdhām mānā vāṇī sē parē dhām . Vānaprasth kā bhī yahā̃ arth|earth haĩ - vāṇī sē parē sthān , jahô ham bachchē , ham ātmāē̃ rahtē haĩ . Kiskē pās|pass ? Bāp kē pās . Uskō sweet home bhī nahī̃ kahā jātā hai , uskō kahā jātā hai - śāntidhām . Jab ' sweet ' arthāt mīṭhā akṣhar ātā hai tō phir kaḍuvā bhī jarūr hōgā . Tō yah hai kaliyug kā kaḍuvādhām vah hai mīṭhā dhām-sukhadhām . Yah hai śāntidhām . Bachchē pukārtē haĩ nā ! Tō bāp bhī ākar kahtē haĩ aur bāp samjhātē haĩ tum abhī bahut duḥkhī hō , aisē nahī̃ hai ki jaisē bahut bachchē samajhtē haĩ ki bāp hī sukh dētē haĩ , bāp hī duḥkh dētē haĩ arthāt god father hī sukh dētē haĩ , god father hī duḥkh dētē haĩ yā paramātmā sukh dētē haĩ , paramātmā duḥkh dētē haĩ , aisē tō kabhī hō nahī̃ saktā hai . Parampitā paramātmā uskō most beloved kahā jātā hai vā kahā jātā hai beloved most parampriya , parampitā . Mā̃-bāp tō priya hōtē hai nā ; kyōṅki vō pālnā kartē haĩ , varsā dētē haĩ . Tō priya unkō kahā jātā hai . Bachchō̃ kō most priya hōtē hī haĩ - mā̃-bāp . Tō ēk mā̃-bāp haĩ had K|kē , dūsrē phir mô-bāp haĩ bēhad K|kē , jinkō dēkhō aisē pukārtē haĩ . Laukik māt-pitā kō aisē thōṛē hī kahē̃gē - ' ' tum māt-pitā , ham bālak tērē , tumharī kr̥ipā tē sukh ghanērē . ' ' ghanērē kahā̃ ? Āj haĩ , kal duḥkhī hōtē haĩ , bīmār hōtē haĩ , yē hōtē haĩ . Nahī̃ , kōī hai dūsrā jiskī mahimā bhaktimārg mē̃ chalī ātī hai ; kyōṅki avināśhī sukh dētē haĩ aur avināśhī haĩ . Tō bāp baiṭhkar K|kē samjhātē haĩ , bachchō̃ kō vō avināśhī yād rahtī hai ; kyōṅki maĩ kalp-kalp āy kar bachchō̃ kō sadā sukhī banātā hū̃ . Iskā nām śhiv hai nā , uskō kahā hī jātā hai - sadāśiv . Śivajayantī hōtī hai nā , tō kahtē haĩ - sadāśiv . ' sadā kā arth|earth ēk nikaltā haĩ - sadā sukh dēnē vālā yā sadā hī vahā̃ paramdhām mē̃ ēkras rahnē vālā , sirph ēk daphā ānē vālā . Jab gātī hō nā - mā̃ bāp hamārē . tō abhī tumkō practical mē̃ milā hai . Tum jāntē hō ki barōbar hamkō abhī , jiskī mahimā hai , god father jiskō kahā jātā hai , vō practical mē̃ milā hai . Sirph īśhvar aur prabhu kahnē sē varsē kā majā nahī̃ ātā hai , father kahnē sē varsē kā majā hai . Father mānā hī hai father sē varsā miltā hai . Aisē nahī̃ kahē̃gē ki yē mother sē varsā miltā hai . Dōnō̃ chāhiē . Mātā bhī chāhiē tō pitā bhī chāhiē . Tō jarūr mātā-pitā chāhiē . Bhārat mē̃ tō maśhhūr hai - jagadambā . Jagat key|kī mātā hō gaī . Jagat key|kī ambā hai , tō pitā bhī hai . Yē buddhi sē kām bahut lēnā hai . Yē dant kathāē̃ jō paṛhī haĩ nā , vō sab bhūlō . Jab bābā baiṭhkar kuchh samjhātē haĩ , jab śhivbābā bhī samjhātē haĩ , tō aisē tō nahī̃ kahē̃gē ki parampitā paramātmā ākar śhāstra samjhātē haĩ . Vō sabhī vēdō̃ , granthō̃ śhāstrō̃ kā sār samjhātē haĩ . Tum bachchō̃ kō mālūm hai ki brahmā kā chitra dikhlātē haĩ , unkē hāth mē̃ pustak dētē haĩ aur phir chitra banāy diyā hai ki viṣhṇu key|kī nābhī sē nikaltē haĩ . Abhī viṣhṇu key|kī nābhī sē tō kōī nikalnē key|kī bāt hai nahī̃ . Viṣhṇu sukṣmavatan mē̃ rahā , brahmā bhī phir vahā̃ hī rahā , tō vahā̃ sukṣmavatan mē̃ thōṛē hī viṣhṇu key|kī nābhī sē brahmā nikal paṛā . Aisē tō hai bhī nahī̃ . Nahī̃ , yah hai prajāpitā brahmā . Tō jarūr dō brahmā hō gaē . Law mujīb dō brahmā . Ēk kō kahā jātā hai prajāpitā brahmā yānī prajā rachnē vālā brahmā . Prajā tō yahā̃ rachī jāēgī nā , sukṣmavatan mē̃ tō nahī̃ hai . Bahut bachchē mujhtē haĩ - yah kyā , yah sākār mē̃ manuṣhya apnē kō brahmā jō sukṣmavatan mē̃ rahtē haĩ vō kaisē kahalāy saktē haĩ ? Tumhārē pās|pass bahutō̃ kō aisē bahut sanśhay hōtē hai . Tō bāp baiṭhkar samjhātē haĩ ki prajāpitā brahmā , unkē brahmā mukhkamal sē brāhmaṇ paidā huē . Tum brāhmaṇō̃ sē jākar pūchhō ki tum kiskī santān hō ? Bōlē̃gē - ham brahmā key|kī mukhvaṅśhāvalī haĩ . Tō yē samajhtē haĩ ki mukhvaṅśhāvalī hōṅgī , tō brahmā bhī jarūr yahā̃ hōgā nā . Tō iskā nām hī hai prajāpitā brahmā . Unkō ādidēv bhī kyō̃ kahtē haĩ ? Kyōṅki vō jō trimūrti rachā hai , unkā nām rakh hī diyā trimūrti brahmā . Tō tumnē uskō ' brahmā baṛā lakab dē diyā . Isliē unkō kah dētē haĩ ādidēv . Abhī bāp … samjhātē haĩ prajāpitā tō jarūr yahā̃ chāhiē . Bāp ātē hī haĩ jabki duniyā patit hai . Tō vō brahmā kaun hōgā , jinsē bāp baiṭhkar brahmā dvārā mukhvaṅśhāvalī rachtē haĩ ? Duniyā tō sārī patit hai barōbar . Phir baiṭhkar samjhātē haĩ ki yah hai brahmā key|kī rāt , sō bhī ēkdam ādhī rāt . Śhivjayantī … kab ātī hai ? Bōltē hai - jab duniyā key|kī ādhī rāt hōtī hai aur din hōnā hōtā hai tab ātē haĩ . . … vō jō kr̥iṣhṇa kē liē likhtē haĩ ki vō ādhī rāt mē̃ janma lētā hai , janm-aṣṭamī vrat rakhtē haĩ aur rāt kō jāgtē haĩ , tō bābā baiṭh bōltē haĩ ki yah parampitā paramātmā khud kahtē haĩ ki maĩ ātā hī hū̃ kalp K|kē ant mē̃ aur ādi mē̃ yānī jab brahmā key|kī ādhī rāt hai , bilkul hī ghōr andhiyārā hai . Tō din karnē kē liē ghōr andhiyārē mē̃ āēgā nā . Tō mērī jayantī hōtī hī hai kalp K|kē rāt mē̃ . Aisē nahī̃ ki kōī maĩ garbh sē janma lētā hū̃ , jō kōī baiṭhkar vō … lētē haĩ kab-kis … mē̃ janma liyā , nahī̃ . Mērā vō janm nahī̃ hai , jiskī tum time rakhtē hō . Rakhtē hō nā . Tō baiṭhkar samjhātē haĩ . Kaun samjhātē haĩ ? Phir vahā̃ parampitā paramātmā , jiskō gītā kā bhagvān kahā jātā hai , vō bhagvān āyā huā hai aur vō paṛhātē haĩ . In sabkō pahlē yē niśhchay hōnā chāhiē . Nahī̃ tō bichārē kyā karē̃gē ? Mūjhēṅgē . Bābā abhī sabhā sē kaisē pūchhē̃ ki tum jāntē hō ki yahā̃ bhagvān paṛhātē haĩ ? Kr̥iṣhṇa bhagvān nahī̃ . Gītā kā bhagvān kr̥iṣhṇa nahī̃ hai . Jō sabkā bhagvān hai , jiskō śhiv kahā jātā hai . Śhiv kā kartavya drama mē̃ alag huā , kr̥iṣhṇa kā alag huā . Bilkul hī rāt-din kā phark hai . Unkī mahimā alag , unkī mahimā alag . Bābā nē bahut samjhāyā hai . Tō bāp baiṭhkar bachchō̃ kō samjhātē haĩ - tum bachchē jāntē hō ki abhī parampitā paramātmā kalp pahlē muāphik is dvārā sārē brahamāṇḍa aur sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā gyān sunāy rahē haĩ , jō kōī bhī sunāy nā sakē̃gē . Kyō̃ ? Iskō kahā hī jātā hai knowledgeful . Jānī jānanhār kā arth|earth kōī yah nahī̃ hai ki sabkē dilō̃ kō jāntē haĩ . Sārī sāṛhē tīn sau karōṛō̃ dilō̃ kō baiṭhkar jānē̃gē , yah thōṛē hī bāt hai . Unkō kahā jātā hai knowledgeful . Aṅgrējī akṣhar bahut achchhā hai . Vō jānī jānanhār kā akṣhar kuchh muśāy dētā hai . Bhaī , knowledgeful hai . Tō bāp ākar kahtē haĩ maĩ chaitanya hū̃ nā . Mujhē kahtē bhī haĩ - sat hai , chaitanya hai , phir kahā jātā hai - ānand svarūp hai , sukh kā sāgar hai . Sukh tō svarg mē̃ hōtā hai nā , jō dētē haĩ . Tō bāp sukh kā inahērīṭēnsa dēgē nā . Jō sukh kā sāgar hai , tum kabhī unkō kahtē hō ki duḥkh kā sāgar bhī hai ? Abhī tō duḥkh kā sāgar hai nā . Tō tum kaisē kahē̃gē ki jō sukh kā sāgar hai vō phir dukh bhī dēgē ? Nahī̃ . Bāp nē ākar kalp pahlē bhī samjhāyā thā , ab phir sē samjhātē haĩ - maĩ sukh kā sāgar hū̃ dukh kā sāgar hai rāvaṇ , jiskō tum lōg kahtē hō , jinhōnnē sabkō dukhī kiyā hai . … tum sītāē̃ hō ; kyōṅki bhakti kartē hō yānī bāp kō , bhagvān kō yād kartē hō . Tō tumkō dukhī kisnē kiyā hai ? Yē rāvaṇ nē . Dēkhō , rāvaṇ tum varṣh-varṣh jalātē hō . Tumkō yah tō patā hai nahī̃ ki rāvaṇ kaun hai . Rāvaṇ kā kōī chitra thōṛē hī hōtā hai . Rāvaṇ kā arth|earth hī hai yē 5 vikār . Tum sab , sārī duniyā rāvaṇ K|kē bôṇḍēj ( gulāmī ) mē̃ hō . Yē bhūtō̃ key|kī jañjīrō̃ mē̃ hō . Tum sabkō 5 bhūt lagē haĩ . Baṛā bhūt . Bhūt dō prakār K|kē hōtē haĩ . Ēk kō ghost kahtē haĩ aur yah hai phir māyā . Yah bahut purānī hai . Ādhā kalp sē inkā rājya hai . Iskō bhūt kahā jātā hai . Kahtē haĩ nā - inkō kām kā bhūt lagā hai , dar-dar mē̃ dhakkā khātē rahtē haĩ . Iskō bājārī kuttē kahā jātā hai , bājārī bail bhī kahā jātā hai , dar-dar jātē haĩ . Tō bāp baiṭhkar samjhātē haĩ ki yē baṛē bhūt haĩ . Yah kām kā bhūt , krōdh kā bhūt . Kōī gussā kartē haĩ nā , tō kahtē haĩ - dēkhō , inkō krōdh kā bhūt lagā hai . Inkō bhūt kahtē haĩ . Yē haĩ dō duśhman ; kyōṅki mōh aur lōbh kō itnā bhūt nahī̃ kahā jātā hai . Nahī̃ , yē baṛē śhatru haĩ . Usmē̃ bhī kām tō bilkul mahāśhatru hai aur kahtē bhī haĩ - hē mērē lāḍlē bachchē , is kām rūpī śhatru par jīt pahanō . Tō is par jīt pahanē̃gē nā ? Dō haĩ baṛē . Tum bachchō̃ kō dōnō̃ key|kī mālūm hai - kāmēṣhu krōdhēṣhu . Kām key|kī chēṣhṭā abhī key|kī bāt hai nā . Abhī key|kī hī bāt batātē haĩ - kāmēṣhu krōdhēṣhu . Kām-vikh nā milēgā tō ablāō̃ kō ēkdam ṭhū̃sā mārē̃gē . Kahē̃gē - is bigar sr̥iṣhṭi kaisē chalēgī ? Arē bhāī , vō viceless world thī , phir kyā unkō bachchē nahī̃ thē ? Śhrī lakṣhmī nārāyaṇ kō bachchē thē nā ēk . Yād rakh lēnā vahā̃ ēk . Jarūr takht par tō kōī baiṭhtē āē̃gē nā . Yahā̃ bas , bigaṛtē haĩ bichārī ablāō̃ kō . Yē drama hai , baiṭhkar K|kē samjhātē haĩ ki barōbar āgē bhī jab ablāō̃ kē ūpar atyāchār huē , pāp kā ghaṛā bharā , is kāraṇ tabhī vināśh śhurū hō gayā thā . Abhī bachchō̃ kō yah tō niśhchay hai nā bāp sāmnē baiṭhkar K|kē gātē haĩ ' murlī tērī mē̃ hai jādū … ' dēkhō maĩ sindhī mē̃ kahtā hū̃ - murlī tījiy mē̃ jādū āhē khēl khudāī ' . Yah jō murlī bajtī hai , arē baṛā jādū hai unmē̃ . Yah khudāī murlī hai aur khudāī jādū hai . Barōbar bhagvān kō hī jādūgar kahā jātā hai , kr̥iṣhṇa kō thōṛē hī jādūgar kahā jātā hai . Manuṣhya sē dēvtā banāvē , ēk second mē̃ jīvanmukti dēvē yah jādū nahī̃ ṭhaharā|ṭhahrā ! ' ēk second mē̃ … ' janak kē liē kahtē haĩ nā aur bachchē kahtē bhī haĩ - bābā , hamkō janak K|kē misal gyān dō . Yah jō bhagātē hō yah nahī̃ , ham ghar nā chhōṛ , hamkō janak K|kē misal ēk second mē̃ gyān dō . Gītāē̃ tō bahut haĩ , aṣṭāvrak gītā ādi . Tō bābā kahtē haĩ - maĩ āyā bhī hū̃ tumkō aisē lakṣhmī nārāyaṇ banānē . Maĩ tumkō ghar-bār thōṛē hī chhuṛātā hū̃ . Tum pravr̥ittimārg vālē haĩ aur thē . Satyug mē̃ tum pravr̥ittimārg haĩ . Tumhārā lakṣhmī aur nārāyaṇ jinkō tum pūjtē hō , vō pravr̥ittimārg hai nā . Jarūr rājā aur rānī , bachchā bhī tō paidā huā hōgā nā . . pravr̥ittimārg hai nā . Maĩ bhī tumkō pravr̥ittimārg mē̃ gyān dētā hū̃ . … śhuruāt mē̃ tum lōgō̃ nē jō sunā hai nā , gālī khānē kā , haṅgāmā huā , vō hagāmā tō gītā mē̃ bhī thā nā . Kr̥iṣhṇa kō bahut gālī diyā bahut bhagātē thē , phalānā kartē thē . Gālī khāyā thā nā . Bābā kahtē haĩ ki nahī̃ , unkā bhī rāj hai ; kyōṅki bāp kō pahlē chāhiē bhaṭ ṭhī , jismē̃ kuchh bahut nikalē̃ . Gyān key|kī bhaṭ ṭhī mē̃ ḍālē̃ , yōg key|kī bhaṭ ṭhī mē̃ ḍālē̃ , vō bhaṭ ṭhī banānī thī . Tumhārē bhāgavat mē̃ likhā huā hai ki bhaṭ ṭhī , parantu unmē̃ billī K|kē pūṅgrē ḍāl diē thē . Paṛhā hai kahā̃ ? Ēk bhaṭ ṭhī thī , unmē̃ billī K|kē carē baiṭh gaē thē . Īṭ tō pak gaī , par billī K|kē pūgarē yahā̃ jītē-jītē baiṭhē huē thē . Tō billiyō̃ K|kē pūṅgārē haĩ yā māyā K|kē ? Māyā billī hai nā , unkē pūṅgrē ban gaē . Ājkal māyā billī kahtē haĩ nā . Yē ēk khēl hai . Gulabakāvalī kā ēk khēl bhī hōtā hai , jismē̃ chaupaṛ khēltē haĩ . Vō nagāṛā bajākar ātā hai , maĩ māyā kō jīt karnē kē liē ātā hū̃ . Phir vō jab māyā sē jīt pahantē haĩ , tō vō billī biṭhā dētī hai . . billī pāsā phēr dētī hai . Abhī key|kī bāt hai . Tum āē hō māyā par jīt pahannē kē liē . Māyā billī kō kahtē haĩ . Vō ghaṛī - ghaṛī tumhārā jō dhārā hai nā , ulṭā dē dētī hai ; kyōṅki tumhārā bāp āyā hai abhī pau bārah banānē . Māyā nē tumhārā chattīs ḍāl diyā hai chatīs hār kahā jātā hai , pau bārah jīt kahā jātī hai . Abhī caupar key|kī tō khēl nahī̃ hai . Yah bāt hai samjhānē key|kī . Tō bābā baiṭhkar samjhātē haĩ ki abhī tum puruṣhārth kartē hō māyā par jīt pahannē kē liē . Kōī vakt mē̃ tum ēkdam harāy dētē hō . Māyā billī ghaṛī-ghaṛī tumhārā dīvā bujhāy dētī hai . Tō bāp baiṭhkar samjhātē haĩ , yē hōgā jarūr . Yah yuddha kā maidān hai . Maĩ āj khilaunā nahī̃ lē āyā hū̃ , nahī̃ tō mērē pās|pass khilaunā bhī hai ki boxing kaisē kartē haĩ ? Kyōṅki bahut mātāō̃ nē boxing nahī̃ dēkhī hai . Bachchō̃ nē tō dēkhī hai ki kuśhtī kaisē laṛtē haĩ . Kaisē ēk-dō kō aisē jōr sē mār dētē haĩ , jō bichārā āhha kartē huē aisē paṛ jātā hai . Abhī tumhārē pās|pass bahut gōp aur gōpiyā̃ hai . Maidān mē̃ yuddha kartē hō , yuddha kā maidān hai nā . Yudhiṣhṭhir yānī yuddha K|kē maidān mē̃ māyā par jīt pānē vālā . Iskō hī kahā jātā hai nôn-vāilē̃s . Abhī nôn-vāilēs sikhlānē vālā ā gayā hai . Tum bahut baṛē warriors hō . Tum unknown warriors hō , but very well known yānī tum lōg warriors hō māyā par jīt pahannē vālē . Tum bahut nāmīgrāmī hō . Kaun hō tum ? Vō śhivśhakti pāṇḍav sēnā , jinkī pūjā hō rahī hai , tum vō hō ; parantu kōī manuṣhya jāntē hī nahī̃ haĩ . Tumkō kōī jāntē haĩ ? Tum bhārat kō svarg banānē vālī hō māyā par jīt pahan karkē jagatjīt banī hō . Vō jō sanyāsī lōg yā kōī kahtē haĩ - man jītē jagatjīt . Nahī̃ , man tō kabhī jītā nahī̃ jātā hai . Yah tō impossible bāt hai . Man jītē tō tum khā nahī̃ sakō , karma kaisē karē̃gē ? Man tō saṅkalp-vikalp kartē haĩ nā . Phir tum karma nā kar sakō , ēkdam jaisē jaṛ ban jāō . Nahī̃ , man nahī̃ . Abhī yuddha kā maidān hai . Māyā par jīt pahannī hai , 5 vikārō̃ kē ūpar jīt pahannī hai . Usmē̃ mukhya hai kām . Yah vikār bahut kaṛā hai . Tō bāp baiṭhkar bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki yah jādū kiskā hai tō jarūr khudā-bāp ākar inmē̃ sē tumkō samjhātē haĩ . Jādūgar unkō kahā jātā hai nā . Kr̥iṣhṇa thōṛē hī jādūgar hai . Bābā nē bachchō̃ kō samajhāy diyā hai ki yah trikāldarśhīpanē key|kī jō knowledge hai , kōī bhī purānē r̥iṣhi-muni ēk bhī trikāldarśhī hōkar nahī̃ gayā hai . Kaisē hō , jabki satyug K|kē ādi mē̃ śhrī lakṣhmī aur nārāyaṇ manuṣhya sr̥iṣhṭi mē̃ number one huē nā , vō bhī trikāldarśhī nahī̃ haĩ , unkō bhī sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā gyān nahī̃ hai . Yah tō kahtē haĩ , śhrī kr̥iṣhṇa bhagvānuvāch , phir kr̥iṣhṇa kā bāp ākar batātē haĩ ki nahī̃ , us bachchē mē̃ tīnō̃ lōkō̃ kā gyān hai nahī̃ . Bilkul nahī̃ hai ēkdam . Agar unmē̃ hōtā tō unkō mālūm hōtā ki achchhā , abhī ham sūryavanśhī haĩ . Arē ! Pīchhē tō mujhē chandravanśhī bannā paṛēgā . Pīchhē mujhē vaiśhyavanśhī bannā paṛēgā , phir mujhē śhūdravanśhī bannā paṛēgā . Nīnd fit jāvēgī . Bāp baiṭhkar samjhātē haĩ-jisakē liē kahtē haĩ ki śhrī kr̥iṣhṇa bhagvānuvāch aur baiṭhkar yah trikāldarśhī banātē haĩ , unmē̃ yah gyān nahī̃ hai . Dēkhō , kitnī bhūl hō gaī hai . Baṛī tē baṛī bhārī bhūl . Phir bhī tō bāp kahtē haĩ buddhi kō yē bābā bhōjan dētē haĩ nā . Buddhi sē pūchhō ki vō trikāldarśhī hō saktā hai ? Vō tō bēchārā ghuṭkē mē̃ mar jāvē ki ham pīchhē phalānā jā karkē ēkdam śhūdra banē̃gē , duḥkhī banē̃gē . Tō vahā̃ hī unkō vairāg ā jāvē ki bābā , phir kyō̃ yah drama rachā hai , jō phir mujhē duḥkh milēgā ? Bichārō̃ kō ghuṭkā ā jāvē , vaikuṇṭha kā sukh hī uṛ jāvē . Nahī̃ . Tō bāp baiṭhkar bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki mīṭhē bachchē , abhī god āyā hai paḍhānē kē liē . Vō father kyā banānē āyā huā hai ? Bōltā hai - jaisē dūsrē haĩ nā , manuṣhya manuṣhya kō banātē haĩ nā , barrister hai tō barrister banātē haĩ , engineer hai tō engineer banātē haĩ ; surgeon hai tō surgeon banātē haĩ yānī mānuṣh tē surgeon bhayē … . Unkō kitnā samay lagā ?