11 - āp kā pyār bābā barasatā rahē

Devotional Songs-09

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
लिप्यंतरित हिंदीअंग्रेज़ी

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

ham sitārē yūhī̃ jagmagātē rahē

So that we stars constantly sparkle in this way

sāmnē āp hō sāth mē̃ āp hō

You are in front of us, You are with us

sāmnē āp hō sāth mē̃ āp hō

You are in front of us, You are with us

āpsē ham milan yū manātē rahē

Let us constantly celebrate this meeting with You.....

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

huī khuśhhāl hai jindgānī

Our life is filled with happiness and

hō gaē hai saphal apnē harpal

every moment of ours has become worthwhile,

snēh sāgar mē̃ aisē samāē

The mind is merged in the Ocean of Love

miṭ gaī hai man kī sārī halchal

and all upheavals are finished

yū̃hī vardānō̃ kā hāth sir par rahē

May the hand of blessings remain on the head in this way

yū̃hī vardānō̃ kā hāth sir par rahē

May the hand of blessings remain on the head in this way

ham duvāōsē dāman sajātē rahē

So that we decorate our apron with blessings

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

ham sitārē yūhī̃ jagmagātē rahē

So that we stars constantly sparkle in this way

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

gyān kī jyōti jīvan mē̃ jāgī

The light of knowledge is ignited in my life

khēl lagnē lagā jagkā pyārā

I begin to enjoy the games of the world

rachtā pyārā hai rachnā bhī pyārī

The creator is lovely and the creation is also lovely

viśhva lagtā hai ghar apnā sārā

The entire world seems like my home

śhaktiyō̃ sē yū śhr̥iṅgār kartē rahō

Continue to decorate me with Your powers

śhaktiyō̃ sē yū śhr̥iṅgār kartē rahō

Continue to decorate me with Your powers

svarg dhartī kē āṅgan basātē rahē

And continue to bring heaven on earth

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

ham sitārē yūhī̃ jagmagātē rahē

So that we stars constantly sparkle in this way

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

yē saṅgam mē̃ ākarkē milnā

The meeting at this confluence age

apnē naynō̃ mai hamkō samānā

And merging us into Your eyes

apnī nazrō̃ sē nihāl karnā

You take us beyond with Your drishti

apnē jaisā hī hamkō banānā

And make us the same as You are

silsilā yē milan kā yū chaltā rahē

May this meeting continue all the time

silsilā yē milan kā yū chaltā rahē

May this meeting continue all the time

bhāgya kē gīt ham gungunātē rahē

So that we can sing the songs of our fortune

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

ham sitārē yūhī̃ jagmagātē rahē

So that we stars constantly sparkle in this way

sāmnē āp hō sāth mē̃ āp hō

You are in front of us, You are with us

sāmnē āp hō sāth mē̃ āp hō

You are in front of us, You are with us

āpsē yū milan ham manātē rahē

Let us constantly celebrate this meeting with You.....

āp kā pyār bābā barasatā rahē

Baba, let your love continuously be showered

← गीतों पर लौटें