5 - āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

Meditation Songs-07

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
लिप्यंतरित हिंदीअंग्रेज़ी

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

māṅgē binā dētē hamēn tō phir karē̃ kyō̃ yāchnā

You give everything without asking then why should we have any desire,

phir karē̃ kyō̃ yāchnā

why should we have any desire,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

sr̥iṣhṭi nāṭak mañch hai ham tō abhinay kar rahē haĩ

This world is like a drama stage and we are playing our part,

ham tō abhinay kar rahē haĩ

and we are playing our part,

yē jagat parivār apnā pyār sē ham bhar rahē

We are filling ourselves with love from the world, our family,

pyār sē ham bhar rahē

We are filling ourselves with love

satkarm hī pūjā hamārī sēvā hai ārādhanā

Good actions are our worship and service is our offering,

sēvā hai ārādhanā

service is our offering,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

jō huā achchhā huā achchhā hai jō bhī hō rahā

Whatever has happened is good and whatever is happening is good,

achchhā hai jō bhī hō rahā

whatever is happening is good,

hōgā jō achchhā hai vō yē gyān gam kō dhō rahā

Whatever will happen will be good this awareness is washing away all the sorrow,

yē gyān gam kō dhō rahā

this awareness is washing away all the sorrow,

śhiv pitā haĩ āp mērē tāō hamē̃ kyā sōchnā

What need is there to worry when Shiva, the Father belongs to us

tāō hamē̃ kyā sōchnā

What need is there to worry

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

viśhva nandanvan banē sab prēm sē hilmil rahē̃

Let this world become the land of Krishna and let everyone live together with love,

sab prēm sē hilmil rahē̃

and let everyone live together with love,

sarv kā kalyāṇ hō sabkō sabhī apnā kahē̃

Let there be benefit for all and the feeling of belonging,

sabkō sabhī apnā kahē̃

and the feeling of belonging,

man mē̃ hai sabkē liē śhubh bhāvanā śhubh kāmanā

There are only good wishes and pure feelings for everyone in the mind,

bhāvanā śhubh kāmanā

wishes and pure feelings

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children

māṅgē binā ḍēṭē hamēn tāō phir karē kyū yāchnā

You give everything without asking then why should we have any desire

phir karē kyū yāchnā

why should we have any desire

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

āpkī santān haĩ ham āpsē kyā prārthnā

What need is there to pray when we are Your children,

← गीतों पर लौटें