4 - mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai

Meditation Songs-08

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
लिप्यंतरित हिंदीअंग्रेज़ी

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai,

My Baba I Remember You a lot,

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai,

My Baba I Remember You a lot,

nainō̃ mē̃ prēm kē mōtī bhī sāth lātī hai,

It brings pearls of love to my eyes,

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot.

khulē jō nain milē sāmnē āyē apnē,

When my eyes are open, You come infront of me,

palak jō band kiyē sāth mē̃ pāyē apnē,

At the moment the eyes are closed, I feel your company,

dil kī dharkā̃ dhīrē sē bāt kahkē jātī hai,

The heart beat speaks gently and disappears,

dil kī dharkā̃ dhīrē sē bāt kahkē jātī hai,

The heart beat speaks gently and disappears,

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot.

yahī dil chāhatā jī bhar kē tumsē bāt karu

My heart desires to talk to You heartfully,

tumhē̃ dēkhu sadā tumsē hī mulāqāt karu

Let me keep looking at You and keep meeting with You,

tērē ahsān mē̃ duniyā yē gungunātī hai

The world is singing songs in gratitude to You,

tērē ahsān mē̃ duniyā yē gungunātī hai

The world is singing songs in gratitude to You,

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot.

kabhī murlī sunātē tō bajātē bhī dēkhā

Sometimes I saw you speaking the murli and sometimes Playing it,

tō lāl akṣharō̃ sē likhtē bhāgya kī rēkhā

Sometimes writing the story of fortune in red ink,

ghaṛī vō āj bhī bhūlē nahī̃ bhūlatī hai

I cannot forget those moments even though I try

ghaṛī vō āj bhī bhūlē nahī̃ bhūlatī hai

I cannot forget those moments even though I try

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot,

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot,

nainō̃ mē̃ prēm kē mōtī bhī sāth lātī hai,

It brings pearls of love to my eyes,

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot.

mērē bābā tumhārī yād bahut ātī hai.

My Baba I Remember You a lot.

← गीतों पर लौटें