168 - nirbal sē laṛāī balvān kī

Murli Songs

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

लिप्यंतरित हिंदी

nirbal sē laṛāī balvān kī
nirbal sē laṛāī balvān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

ik rāt andhiyārī, thī̃ diśhāē̃ kārī-kārī
mand-mand pavan thā chal rahā
andhiyārē kō miṭānē, jag mē̃ jyōt jagānē
ēk chhōṭā-sā dīyā thā kahī̃ jal rahā
apnī dhun mē̃ magan, uskē tan mē̃ agan
uskī lau mē̃ lagan bhagvān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

kahī̃ dūr thā tūfān
kahī̃ dūr thā tūfān, dīyē sē thā balavān
sārē jag kō masalnē machal rahā
jhāṛ hō̃ yā pahāṛ, dē vō pal mē̃ ukhāṛ
sōch-sōch kē zamī̃ pē thā uchhal rahā
ēk nanhā-sā dīyā, usnē hamlā kiyā
ēk nanhā-sā dīyā, usnē hamlā kiyā
ab dēkhō līlā vidhi kē vidhān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

duniyā nē sāth chhōṛā, mamtā nē mukh mōṛā
ab dīyē pē yah dukh paṛnē lagā
par himmat na hār, man mē̃ marnā vichār
atyāchār kī havā sē laṛnē lagā
sar uṭhānā yā jhukānā, yā bhalāī mē̃ mar jānā
ghaṛī āī uskē bhī imtēhān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

phir aisī ghaṛī āī
phir aisī ghaṛī āī, ghanghōr ghaṭā chāī
ab dīyē kā bhī dil lagā kāmpnē
baṛē zōr sē tūfān, āyā bhartā uṛān
us chhōṭē sē dīyē kā bal māpnē
tab dīyā dukhiyārā, vah bichārā bēsahārā
chalā dāv pē lagānē, bāzī prāṇ kī
bāzī prāṇ kī
bāzī prāṇ kī
bāzī prāṇ kī
chalā dāv pē lagānē, bāzī prāṇ kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

laṛtē-laṛtē vō thakā, phir bhī bujh na sakā
uskī jyōt mē̃ thā bal rē sachchāī kā
chāhē thā vō kamzōr, par ṭūṭī nahī̃ ḍōr
usnē bīṛā thā uṭhāyā rē bhalāī kā
huā nahī̃ vō nirāśh, chalī jab tak sāns
usē ās thī prabhu kē vardān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

sar paṭak-paṭak, pag jhaṭak-jhaṭak
na haṭā pāyā dīyē kō apnī ān sē
bār-bār vār kar, ant mē̃ hār kar
tūfān bhāgā rē maidān sē
atyāchār sē ubhar, jalī jyōt amar
rahī amar niśhānī balidān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī
nirbal sē laṛāī balvān kī
yah kahānī hai dīyē kī aur tūfān kī

← गीतों पर लौटें