un rāhō̃ par chalnā hai

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

लिप्यंतरित हिंदी

un rāhō̃ par chalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai
ham hai diē aurō̃ kē liē
in tūphānō̃ mē̃ jalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai

jab tak na lagan hō sīnē mē̃
bēkār hai aisē jīnē mē̃
jab tak na lagan hō sīnē mē̃
bēkār hai aisē jīnē mē̃
jalanā hai hamē chandā kī tarah
sūraj kī tarah yuhī ḍhālnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai
ham hai diē aurō̃ kē liē
in tūphānō̃ mē̃ jalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai

maĩ pās rahō yā dūr rahō
yē bāt abhī tumsē kah dū
maĩ pās rahō yā dūr rahō
yē bāt abhī tumsē kah dū
murjhānā nahī̃ phūlō̃ kī tarah
dīpak kī tarah hamē jalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai
ham hai diē aurō̃ kē liē
in tūphānō̃ mē̃ jalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai

ākāśh sē ātī hai yē sadā
ham āyē kadar tū jī na jalā
ākāśh sē ātī hai yē sadā
ham āyē kadar tū jī na jalā
kabhī gam hai yahā̃ kabhī hai khuśhiyā
har hāl mē̃ hamkō palnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai
ham hai diē aurō̃ kē liē
in tūphānō̃ mē̃ jalnā hai
hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai
jahā girnā aur sambhalnā hai

← गीतों पर लौटें