04 - ūñchē pahāṛ pē madhuban hai

Madhuban Songs -02

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
लिप्यंतरित हिंदीअंग्रेज़ी

ūñchē pahāṛ pē madhuban hai

Madhuban is on high mountains,

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

bābā sabsē nirālē sabkō pyār karnēvālē

Baba is unique and He loves everyone

bābā sabsē nirālē sabkō pyār karnēvālē

Baba is unique and He loves everyone

sabkē dilō pē unkā śhāsan hai

He rules everyone's hearts

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba's throne is in Madlhuban.

ūñchē ūñchē pahāṛ pē madhuban hai

Madhuban is on high mountains,

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

sandalī pē baiṭh bābā murlī sunātē

Seated on the gaddi, Baba speaks the mutli

murlī sunākē bābā sabkō bulātē

After the murli Baba calls everyone to Him

gyān kī gaṅgā yōg kī yamunā madhuban mē̃ dinrāt bahātē

The Ganges of knowledge and the Jamuna of yoga flow day and night in Madhuban

unkā āśhram pyārā pyārā apnē hāthō sē savārā

His ashram is wonderful. He decorated it himself

unkā āśhram pyārā pyārā apnē hāthō sē savārā

His ashram is wonderful. He decorated it himself

śhānt manōhar hai pāvan hai

It is beautiful, pure and peaceful.

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba's throne is in Madlhuban.

ūñchē ūñchē pahāṛ pē madhuban hai

Madhuban is on high mountains,

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

bābā kē bagiyā kē phūl aur kaliyā

The buds and flowers of Baba’s garden

khuśhbū kē pyālē hai miśhrī kī ḍaliyā̃

Are cups of fragrance on stems of candy

aā jāē ēk bār yahā̃ jō nā bhāē usē māyā kī galiyā̃

Once you have been here, you will not like the streets of maya

bābā bachchō kō samjātē sabpē nēhar vō barsātē

Baba explains to the children, shower love on everyone

bābā bachchō kō samjātē sabpē nēhar vō barsātē

Baba explains to the children, shower love on everyone

sab kē liē yē ghar āṅgan hai

This is everyone’s home.

madhuban mē̃ bābā kā āsān hai

Baba's throne is in Madlhuban.

ūñchē ūñchē pahāṛ pē madhuban hai

Madhuban is on high mountains,

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

mukhaṛē pē sabkē hai sach kī jyōti

There is the light of truth on everyone's face

jyōti yē mand kabhī nā hōtī

This light never fades

sab hai yahāpē aman kē phariśhtē

Everyone here is an angel of peace,

man kē sipī mē̃ gyān kē mōtī

In the oyster of the mind is the pearl of knowledge

chārō ōr saphēdī jhalkē jaisē chāndanīsī chhalkē

The splendour of the purity of mind and dress is like the light of the full moon

chārō ōr saphēdī jhalkē jaisē chāndanīsī chhalkē

The splendour of the purity of mind and dress is like the light of the full moon

ujval hai tan nirmal man hai

The body is clean and the mind pure.

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

bābā sabsē nirālē sabkō pyār karnēvālē

Baba is unique and He loves everyone

sabkē dilō pē unkā śhāsan hai

He rules everyone's hearts

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba's throne is in Madlhuban.

hō hō hō

hō hō hō

ūñcē pahāṛ pē madhuban hai

Madhuban is on high mountains,

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

hō hō hō

hō hō hō

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

madhuban mē̃ bābā kā āsan hai

Baba’s throne is in Madhuban

← गीतों पर लौटें