WEBVTT

1
00:12:37.460 --> 00:13:29.200
aaj vishwa parivartak baapdaada apne saathi bachchon se milne aaye hain ।

2
00:13:36.200 --> 00:14:09.600
har ek bachche ke mastak mein teen parmaatma vishesh praaptiyaan dekh rahe hain ।

3
00:14:20.730 --> 00:14:57.600
ek hai holiest , 2 - highest aur 3 - richest ।

4
00:15:02.800 --> 00:15:34.730
is gyaan ka foundation hi hai holi arthaat pavitra banna ।

5
00:15:42.200 --> 00:16:17.060
to har ek bachcha holiest hai , pavitrata sirf brahmacharya nahin

6
00:16:19.060 --> 00:16:49.400
lekin man-vaani-karma , sambandh-samparka mein pavitrata ।

7
00:16:54.530 --> 00:17:34.460
aap dekho , aap parmaatma brahman aatmaayen aadi-madhya-ant teenon hi kaal mein holiest rehti ho ।

8
00:17:38.730 --> 00:17:59.600
pahle-pahle aatma jab paramdham mein rehte ho

9
00:18:06.860 --> 00:18:28.860
to vahaan bhi holiest ho phir jab aadi mein aate ho

10
00:18:30.860 --> 00:18:59.130
to aadikaal mein bhi devta roop mein holiest aatma rahe ।

11
00:19:12.860 --> 00:19:34.600
holiest arthaat pavitra aatma ki visheshta hai -

12
00:19:38.460 --> 00:19:56.460
pravritti mein rehte sampoorn pavitra rehna ।

13
00:20:01.730 --> 00:20:26.400
aur bhi pavitra bante hain lekin aapki pavitrata ki visheshta hai -

14
00:20:26.400 --> 00:20:49.460
svapnamaatra bhi apvitrata man-buddhi mein touch nahin kare ।

15
00:21:12.930 --> 00:21:34.600
satayug mein aatma bhi pavitra banti aur shareer bhi aapka pavitra banta ।

16
00:21:34.600 --> 00:22:11.660
aatma aur shareer donon ki pavitrata jo dev aatma roop mein rehti hai , woh shreshtha pavitrata hai ।

17
00:22:21.660 --> 00:22:37.530
jaise holiest bante ho , itna hi highest bhi bante ho ।

18
00:22:44.330 --> 00:23:28.130
sabse oonche te oonche brahman aatmaayen aur oonche te oonche baap ke bachche bane ho ।

19
00:23:34.060 --> 00:23:59.530
aadi mein paramdham mein bhi highest arthaat baap ke saath-saath rehte ho ।

20
00:24:08.730 --> 00:24:22.200
madhya mein bhi poojya aatmaayen bante ho ।

21
00:24:27.060 --> 00:24:38.860
kitne sundar mandir bante hain aur kitni vidhipoorvak pooja hoti hai ।

22
00:24:42.730 --> 00:25:04.200
jitni vidhipoorvak aap devtaaon ke mandir mein pooja hoti hai utne auron ke mandir bante hain

23
00:25:04.200 --> 00:25:21.460
lekin vidhipoorvak pooja aapke devta roop ki hoti hai ।

24
00:25:32.600 --> 00:25:54.060
to holiest bhi ho aur highest bhi ho , saath mein richest bhi ho ।

25
00:26:00.660 --> 00:26:12.860
duniya mein kehte hain richest in di world

26
00:26:16.060 --> 00:26:29.660
lekin aap shreshtha aatmaayen richest in kalpa hain ।

27
00:26:29.660 --> 00:26:42.860
saara kalpa richest ho ।

28
00:26:53.860 --> 00:27:08.930
apne khazaane smriti mein aate hain , kitne khazaanon ke maalik ho !

29
00:27:16.600 --> 00:27:44.530
avinaashi khazaane jo is ek janma mein praapta karte ho woh anek janma chalte hain ।

30
00:27:46.530 --> 00:27:59.400
aur koi ka bhi khazaana anek janma nahin chalte ।

31
00:28:03.260 --> 00:28:13.660
lekin aapke khazaane aadhyaatmik hain ।

32
00:28:19.200 --> 00:28:43.130
shaktiyon ka khazaana , gyaan ka khazaana , gunon ka khazaana , shreshtha sankalp ka khazaana

33
00:28:46.600 --> 00:29:13.660
aur vartamaan samay ka khazaana , yeh sarva khazaane janma-janma chalte hain ।

34
00:29:13.660 --> 00:29:29.930
ek janma ke praapta hue khazaane saath chalte hain

35
00:29:32.460 --> 00:29:57.800
kyonki sarva khazaanon ke daata paramatma baap dvaara praapta hota hai ।

36
00:30:00.330 --> 00:30:20.200
to yeh nasha hai ki hamaare khazaane avinaashi hain ?

37
00:30:35.060 --> 00:31:02.060
is aadhyaatmik khazaanon ko praapta karne ke liye sahajyogi bane ho ।

38
00:31:09.530 --> 00:31:22.000
yaad ki shakti se khazaane jama karte ho ।

39
00:31:29.260 --> 00:31:58.800
is samay bhi in sarva khazaanon se sampanna bephikra baadshaah ho , koi phikra hai ?

40
00:31:58.800 --> 00:32:01.660
hai phikra ?

41
00:32:01.660 --> 00:32:23.860
kyonki yeh khazaane jo hain isko na chor loot sakta , na raaja kha sakta , na paani dubo sakta ,

42
00:32:29.730 --> 00:32:37.130
isliye bephikra baadshaah ho ।

43
00:32:53.260 --> 00:33:14.200
to yeh khazaane sada smriti mein rehte hain na !

44
00:33:21.000 --> 00:33:30.330
aur yaad bhi sahaj kyon hai ?

45
00:33:31.400 --> 00:33:54.200
kyonki sabse jyaada yaad ka aadhaar hota hai ek sambandh aur doosra praapti ।

46
00:33:56.200 --> 00:34:13.260
jitna pyaara sambandh hota hai utni yaad svatah aati hai

47
00:34:18.660 --> 00:34:32.860
kyonki sambandh mein sneh hota hai aur jahaan sneh hota hai

48
00:34:32.860 --> 00:34:48.930
to snehi ki yaad karna mushkil nahin hota , lekin bhoolna mushkil hota hai ।

49
00:34:59.130 --> 00:35:23.260
to baap ne sarva sambandh ka aadhaar bana diya hai ।

50
00:35:32.600 --> 00:35:44.400
sabhi apne ko sahajyogi anubhav karte ho ?

51
00:35:44.400 --> 00:35:49.800
va mushkil yogi hain ?

52
00:35:49.800 --> 00:35:54.000
sahaj hai ?

53
00:35:54.000 --> 00:36:02.400
ki kabhi sahaj hai , kabhi mushkil hai ?

54
00:36:11.260 --> 00:36:47.060
jab baap ko sambandh aur sneh se yaad karte ho to yaad mushkil nahin hoti aur praaptiyon ko yaad karo ।

55
00:36:51.530 --> 00:37:04.730
sarva praaptiyon ke daata ne sarva praaptiyaan kara di ।

56
00:37:20.200 --> 00:37:38.600
to apne ko sarva khazaanon se sampanna anubhav karte ho ?

57
00:37:50.330 --> 00:38:07.000
khazaanon ko jama karne ki sahaj vidhi bhi baapdaada ne sunaai -

58
00:38:07.000 --> 00:38:32.330
jo bhi avinaashi khazaane hain un sabhi khazaanon ki praapti karne ki vidhi hai - bindi ।

59
00:38:35.260 --> 00:38:49.260
jaise vinaashi khazaanon mein bhi bindi lagaate jaao to badhta jaata hai na ।

60
00:38:49.260 --> 00:39:06.600
to avinaashi khazaanon ki jama karne ki vidhi hai bindi lagaana ।

61
00:39:12.130 --> 00:39:39.060
teen bindiyaan hain - ek main aatma bindi , baap bhi bindi aur drama mein jo bhi beet jaata woh fullstop arthaat bindi ।

62
00:39:42.460 --> 00:39:47.660
to bindi lagaane aati hai ?

63
00:39:47.660 --> 00:39:54.130
sabse jyaada sahaj maatra kaun si hai ?

64
00:39:54.130 --> 00:39:59.460
bindi lagaana na !

65
00:40:05.530 --> 00:40:26.800
to aatma bindi hoon , baap bhi bindi hai , is smriti se svatah hi khazaane jama ho jaate hain ।

66
00:40:39.930 --> 00:41:02.600
to bindi ko second mein yaad karne se kitni khushi hoti hai !

67
00:41:22.800 --> 00:41:43.930
yeh sarva khazaane aapke brahman jeevan ka adhikaar hain

68
00:41:46.860 --> 00:42:02.000
kyonki bachche banna arthaat adhikaari banna ।

69
00:42:13.930 --> 00:42:29.660
aur vishesh teen sambandh ka adhikaar praapta hota hai -

70
00:42:31.130 --> 00:42:49.060
paramatma ko baap bhi banaaya hai , shikshak bhi banaaya hai aur satguru bhi banaaya hai ।

71
00:42:51.060 --> 00:43:22.060
in teenon sambandh se paalna , padhaai se source aaph income aur satguru dvaara vardaan milta hai ।

72
00:43:30.330 --> 00:43:36.730
kitna sahaj vardaan milta hai ?

73
00:43:41.200 --> 00:44:01.530
kyonki bachche ka janma siddha adhikaar hai baap ke vardaan praapta karne ka ।

74
00:44:12.930 --> 00:44:37.660
baapdaada har bachche ka jama ka khaata check karte hain ।

75
00:44:39.660 --> 00:44:59.660
aap sabhi bhi apne har samay ka jama ka khaata check karo ।

76
00:45:02.730 --> 00:45:31.260
jama hua va nahin hua , uski vidhi hai jo bhi karma kiya , us karma mein svayan bhi santushta

77
00:45:31.530 --> 00:45:41.860
aur jiske saath karma kiya woh bhi santushta ।

78
00:45:43.260 --> 00:45:58.660
agar donon mein santushtata hai to samjho karma ka khaata jama hua ।

79
00:46:02.200 --> 00:46:26.730
agar svayan mein va jisse sambandh hai , usmein santushtata nahin aai to jama nahin hota ।

80
00:46:40.730 --> 00:47:06.730
baapdaada sabhi bachchon ko samay ki soochna bhi dete rehte hain ।

81
00:47:15.800 --> 00:47:37.400
yeh vartamaan sangam ka samay saare kalpa mein shreshtha te shreshtha samay hai

82
00:47:50.000 --> 00:48:06.730
kyonki yeh sangam hi shreshtha karmo ke beej bone ka samay hai ।

83
00:48:10.000 --> 00:48:26.400
pratyaksha phal praapta karne ka samay hai ।

84
00:48:41.660 --> 00:49:03.730
is sangam samay mein ek ek second shreshtha te shreshtha hai ।

85
00:49:54.530 --> 00:50:41.800
sabhi ek second mein ashareeri sthiti mein sthit ho sakte ho ?

86
00:51:07.130 --> 00:52:08.730
baapdaada ne sahaj vidhi sunaai hai ki nirantar yaad ke liye ek vidhi banaao - saare din mein do shabd sabhi bolte ho aur anek baar bolte ho woh do shabd hain mainaur mera।

87
00:52:10.060 --> 00:52:31.330
to jab main shabd bolte ho to baap ne parichay de diya hai ki main aatma hoon ।

88
00:52:33.130 --> 00:52:54.660
to jab bhi main shabd bolte ho to yeh yaad karo ki main aatma hoon ।

89
00:52:54.660 --> 00:53:07.660
akela main nahin socho , main aatma hoon , yeh saath mein socho

90
00:53:08.330 --> 00:53:32.200
kyonki aap to jaante ho na ki main shreshtha aatma hoon , parmaatma paalna ke andar rahne vaali aatma hoon

91
00:53:34.200 --> 00:53:46.730
aur jab mera shabd bolte ho to mera kaun ?

92
00:53:47.460 --> 00:53:57.600
mera baba arthaat baap paramatma ।

93
00:53:59.600 --> 00:54:22.060
to jab bhi main aur mera shabd kehte ho us samay yeh addition karo , main aatma aur mera baba ।

94
00:54:24.060 --> 00:54:43.930
jitna meraapan laayenge baap mein , utna yaad sahaj hoti jaayegi

95
00:54:44.600 --> 00:54:52.530
kyonki mera kabhi bhoolta nahin hai ।

96
00:54:54.530 --> 00:55:06.530
saare din mein dekho mera hi yaad aata hai ।

97
00:55:10.330 --> 00:55:26.930
to is vidhi se sahaj nirantar yogi ban sakte ho ।

98
00:55:44.600 --> 00:56:06.060
baapdaada ne har bachche ko svamaan ki seat par bithaaya hai ।

99
00:56:17.130 --> 00:56:32.530
svamaan ki list agar smriti mein laao to kitni lambi hai !

100
00:56:35.200 --> 00:56:49.400
kyonki svamaan mein sthit hain to deh abhimaan nahin aa sakta ।

101
00:56:49.400 --> 00:56:58.060
ya deh abhimaan hoga ya svamaan hoga ।

102
00:56:58.060 --> 00:57:20.530
sva maan ka arth hi hai - sva arthaat aatma ka shreshtha smriti ka sthaan ।

103
00:57:33.660 --> 00:57:54.460
to sabhi apne svamaan mein sthit hain ?

104
00:58:03.800 --> 00:58:24.530
jitna svamaan mein sthit honge utna doosre ko sammaan dena svatah hi ho jaata hai ।

105
00:58:38.660 --> 00:58:59.530
to svamaan mein sthit rehna kitna sahaj hai !

106
01:00:04.860 --> 01:00:21.800
to sabhi khushnuma rehte hain ?

107
01:00:27.200 --> 01:00:44.060
kyonki khushnuma rahne vaala doosre ko bhi khushnuma bana deta hai ।

108
01:00:44.060 --> 01:01:09.260
baapdaada sada kehte hain ki saare din mein khushi kabhi nahin ganvaao ।

109
01:01:13.730 --> 01:01:17.530
kyon ?

110
01:01:18.400 --> 01:01:39.000
khushi aisi cheez hai jo ek hi khushi mein health bhi hai , wealth bhi hai aur happy bhi hai ।

111
01:01:42.130 --> 01:01:50.460
khushi nahin to jeevan neeras rehti hai ।

112
01:01:50.460 --> 01:02:04.530
khushi ko hi kaha jaata hai - khushi jaisa koi khazaana nahin।

113
01:02:06.200 --> 01:02:24.130
 kitne bhi khazaane ho lekin khushi nahin to khazaane se bhi praapti nahin kar sakte hain।

114
01:02:25.530 --> 01:02:37.660
khushi ke liye kaha jaata hai - khushi jaisi koi khuraak nahin ।

115
01:02:40.330 --> 01:02:57.000
to wealth bhi hai khushi aur khushi health bhi hai aur naam hi khushi hai to happy to hai hi hai ।

116
01:02:57.000 --> 01:03:07.130
to khushi mein teenon hi cheeje hain ।

117
01:03:09.130 --> 01:03:34.600
aur baap ne avinaashi khushi ka khazaana diya hai , baap ka khazaana ganvaana nahin ।

118
01:03:38.930 --> 01:03:43.530
to sada khush rehte ?

119
01:03:43.530 --> 01:04:02.130
baapdaada ne homework diya to khush rehna hai aur khushi baantani hai

120
01:04:04.130 --> 01:04:17.400
kyonki khushi aisi cheez hai jo jitni baantenge utni badhegi ।

121
01:04:20.600 --> 01:04:24.200
anubhav karke dekha hai !

122
01:04:24.200 --> 01:04:28.260
kiya hai na anubhav ?

123
01:04:28.260 --> 01:04:40.860
agar khushi baantate hain to baantane se pahle apne paas badhti hai ।

124
01:04:45.060 --> 01:04:54.330
khush karne vaale se pahle svayan khush hote hain ।

125
01:04:59.930 --> 01:05:05.800
to sabhi ne homework kiya hai ?

126
01:05:05.800 --> 01:05:08.400
kiya hai ?

127
01:05:08.400 --> 01:05:12.200
jisne kiya hai woh haath uthaao ।

128
01:05:12.200 --> 01:05:27.330
jisne kiya hai - khush rehna hai , kaaran nahin nivaaran karna hai , samaadhaan swaroop banna hai ।

129
01:05:27.330 --> 01:05:33.000
haath uthaao ।

130
01:05:42.060 --> 01:05:52.060
abhi yeh to nahin kahenge na - yeh ho gaya !

131
01:05:56.930 --> 01:06:22.460
baapdaada ke paas kai bachchon ne apni result bhi likhi hai ki ham kitne percent O . ke . rahe hain ।

132
01:06:28.400 --> 01:06:44.330
aur lakshya rakhenge to lakshya se lakshan svatah hi aate hain ।

133
01:07:15.260 --> 01:07:19.660
achha ।

134
01:07:21.060 --> 01:07:27.460
abhi kya karna hai ?

135
01:07:42.260 --> 01:07:59.800
seva ka tarna karnaatak ka hai :- karnaatak vaale utho ।

136
01:08:23.000 --> 01:08:41.060
achha hai karnaatak vaalon ne seva ka golden chance le liya hai

137
01:08:44.460 --> 01:08:59.330
kyonki ab sangamayug mein pratyaksha phal milta hai ।

138
01:08:59.330 --> 01:09:16.400
jama bhi hota hai lekin pratyakshaphal milta hai jo usi samay khushi praapta hoti hai ।

139
01:09:16.400 --> 01:09:35.130
to jitna din bhi seva ki hai , to pratyakshaphal apne mein khushi anubhav kiya ?

140
01:09:35.130 --> 01:09:38.600
khushi mili ?

141
01:09:38.600 --> 01:09:41.400
haath uthaao ।

142
01:09:48.600 --> 01:09:51.130
maaya aai ?

143
01:09:51.130 --> 01:09:53.530
nahin aai ?

144
01:09:53.530 --> 01:10:01.930
jisko maaya nahin aai woh haath uthaao ।

145
01:10:03.930 --> 01:10:07.600
paandavon ko maaya aai ?

146
01:10:07.600 --> 01:10:12.860
thodi-thodi aai hai ?

147
01:10:14.860 --> 01:10:32.600
achha hai , yahaan ka vaayumandal bahut sahayog deta hai ।

148
01:10:35.130 --> 01:10:51.130
jaise science vaale science ki shakti se vaayumandal ko parivartan kar dete hain na ।

149
01:10:51.130 --> 01:11:03.260
garmi mein sardi , hava ka vaayumandal bana dete hain na !

150
01:11:03.260 --> 01:11:11.000
sardi mein garmi ka vaayumandal bana dete hain ,

151
01:11:11.000 --> 01:11:35.800
to silence ki shakti aadhyaatmik smriti ka vaayumandal bana deta hai

152
01:11:36.460 --> 01:11:49.130
kyonki yahaan seva karte vritti mein kya rehta hai ?

153
01:11:49.130 --> 01:12:03.660
yagya seva hai , yagya ka punya bahut bada hota hai ।

154
01:12:05.660 --> 01:12:25.600
to is avinaashi yagya mein seva karne se vritti shreshtha ban jaati hai ।

155
01:12:25.600 --> 01:12:32.260
to vaayumandal bhi shreshtha ban jaata hai ।

156
01:12:35.730 --> 01:12:47.530
abhi karnaatak vaale kya visheshta dikhaayenge ?

157
01:12:48.460 --> 01:12:54.330
koi naya kaarya karke dikhaao ।

158
01:12:56.330 --> 01:13:16.730
dekho karnaatak mein sankhya bahut hai aur area bhi bahut hai ।

159
01:13:16.730 --> 01:13:24.200
seva ki area bahut badi hai ।

160
01:13:36.200 --> 01:14:01.260
karnaatak vaale bade te badi seva yahi kar sakte hain

161
01:14:01.260 --> 01:14:24.460
jo karnaatak ke koi bhi chhote bade koi sthaan nahin rahen jo aapko ulhana deven

162
01:14:25.730 --> 01:14:43.260
ki hamaara baap aaya aur humein aapne soochna nahin di , sandesh nahin diya ।

163
01:14:43.260 --> 01:14:49.530
yeh ulhana nahin rah jaaye ।

164
01:14:52.060 --> 01:15:17.660
jaise aphreeka vaalon ne apni area ko sandesh dene ka kaarya saphal kiya hai ।

165
01:15:21.260 --> 01:15:46.660
baapdaada ko yeh kaarya achha lagta hai , koi ka bhi ulhana nahin rah jaana chaahiye ।

166
01:15:46.660 --> 01:16:15.530
aapka kaam hai sandesh dena , woh abhi aave ya peechhe aave lekin aapne apna kaarya sampanna kiya

167
01:16:17.530 --> 01:16:28.930
to karnaatak vaale doosre varsha mein jab aayenge , kya karke aayenge ?

168
01:16:30.930 --> 01:16:40.000
koi bhi area khaali nahin rahni chaahiye ।

169
01:16:43.060 --> 01:16:49.460
kyonki aap to jaante ho na -

170
01:16:50.400 --> 01:17:10.730
ki baap ka parichay milne se , baap ke sambandh mein aane se aatmaayen kitni sukhi ban jaayengi ।

171
01:17:12.730 --> 01:17:27.330
abhi to din-pratidin duhkh aur ashaanti badhti ja rahi hai

172
01:17:29.330 --> 01:17:51.060
kyonki din-pratidin bhrashtaachaar , paapaachaar badh raha hai ।

173
01:17:51.930 --> 01:17:58.530
ati mein ja raha hai ।

174
01:18:04.000 --> 01:18:22.260
lekin aap jaante ho ki ati ke baad kya hota hai ?

175
01:18:26.600 --> 01:18:30.330
ant aati hai ।

176
01:18:30.330 --> 01:18:35.200
aur ant kisko laati hai ?

177
01:18:35.200 --> 01:18:37.930
aadi ko ।

178
01:18:41.930 --> 01:19:04.860
to apne bhaai phir bhi baap to ek hi hai na , chaahe jaane chaahe maanen , nahin bhi maanen lekin baap to baap hi hai ।

179
01:19:06.330 --> 01:19:19.530
to apne bhaaeeyon ko , apni bahnon ko sandesh zaroor de do ।

180
01:19:27.130 --> 01:19:30.860
to kya karenge ?

181
01:19:30.860 --> 01:19:35.660
record banaayenge , teachers ?

182
01:19:35.660 --> 01:19:41.460
koi gaanv bhi nahin rehna chaahiye ।

183
01:19:42.660 --> 01:19:54.400
haath uthaao , jo karega , aisehi nahin haath uthaana ।

184
01:19:56.400 --> 01:20:01.260
karenge ?

185
01:20:03.260 --> 01:20:10.860
result jaake bhejna , plan banaana ।

186
01:20:15.930 --> 01:20:22.600
kamaal to karna hai na !

187
01:20:23.460 --> 01:20:34.800
jitni kamaal karne mein lag jaayenge , utni chhoti chhoti dhamaal khatma ho jaayegi ।

188
01:20:38.860 --> 01:21:01.400
to bahut achha chance mila hai , chance liya hai aur chance ka jo kaam mila hai woh bhi karke aayenge ।

189
01:21:01.400 --> 01:21:03.800
pakka hai na ?

190
01:21:03.800 --> 01:21:07.660
paandav , pakka ?

191
01:21:07.660 --> 01:21:13.060
thak nahin jaana ।

192
01:21:15.060 --> 01:21:19.930
kitna punya jama hoga !

193
01:21:24.930 --> 01:21:32.460
to achha hai , baapdaada ko bhi khushi hoti hai

194
01:21:32.460 --> 01:21:52.000
ki bachche apne punya ka khaata bhinnabhinna vidhi se aage badha rahe hain ।

195
01:21:55.130 --> 01:22:17.200
baapdaada ne sunaaya na - teen khaate jama karne hain - ek apne purooshaartha se jama hua khaata aur doosra hai -

196
01:22:18.060 --> 01:22:30.060
doosri aatmaon ko santushta karne mein punya ka khaata ।

197
01:22:30.860 --> 01:22:58.000
santushtata punya ka khaata jama karti hai aur teesra hai mansa-vaacha-sneh sambandh dvaara seva ka khaata ।

198
01:22:58.860 --> 01:23:02.930
to teenon khaate check karna ।

199
01:23:02.930 --> 01:23:08.060
teenon mein kami nahin honi chaahiye ।

200
01:23:09.200 --> 01:23:12.530
to number one lenge?

201
01:23:12.530 --> 01:23:18.460
jama ke khaate mein number one lena।

202
01:23:18.460 --> 01:23:29.730
karnaatak hai , kam thode hi hai ।

203
01:23:37.060 --> 01:23:47.400
baapdaada ki nazar mein hai karnaatak ।

204
01:23:47.800 --> 01:23:56.930
bahut kuchh kar sakte hain , is nazar mein hai ।

205
01:23:58.930 --> 01:24:18.400
haan aage line mein khade hue kya karenge ?

206
01:24:18.400 --> 01:24:23.260
kamaal karenge na !

207
01:24:23.260 --> 01:24:30.730
karo kamaal , lo number ।

208
01:24:33.660 --> 01:24:49.330
sva-unnati aur seva ki unnati , donon ka balance rakhna ।

209
01:24:50.860 --> 01:24:56.730
theek hai baith jaao ।

210
01:25:00.200 --> 01:25:47.260
( Bangalore ki seva mama ne shuru ki aur daadi hdaypushpa aur sundari behen ne bahut pyaar se seva ki hai ) hdaypushpa bachchi ne bahut pyaar se seva ki hai ।

211
01:25:49.260 --> 01:25:53.600
to pyaar ka saboot dena hai ।

212
01:25:53.600 --> 01:26:03.530
jagdamba maa ki seva ka return karna hai ।

213
01:26:05.530 --> 01:26:11.330
to kitne dinon mein samaachaar denge ।

214
01:26:14.060 --> 01:26:34.600
har maas apne samaachaar dete rehna , ki yeh kar rahe hain aur yeh hua hai , yeh hona hai ।

215
01:26:40.330 --> 01:27:06.330
baapdaada to har zone ko kehte hain lekin jiska vishesh tarna hota hai usko vishesh attention rakhna hai ।

216
01:27:15.660 --> 01:27:34.730
to sabhi sada man ko busy rakho

217
01:27:37.400 --> 01:27:55.660
kyonki man hi dhokha deta , man mein hi tension aata , man hi yahaan vahaan bhaagta hai ।

218
01:27:57.660 --> 01:28:17.400
to man ko busy rakhna arthaat sampanna sthiti mein jaldi se jaldi sthit rehna ।

219
01:28:19.400 --> 01:28:44.400
baapdaada kehte hain jab sthool karmendriyon ko mera kehte ho , mera haath kehte ho , to haath ko control kar sakte ho na !

220
01:28:44.400 --> 01:28:52.200
jahaan chaahe jaise chaahe vaise karte ho na !

221
01:28:52.200 --> 01:29:00.530
to man mera hai , ya aap man ke ho ?

222
01:29:02.200 --> 01:29:06.600
man ke maalik bhi to aap ho na !

223
01:29:06.600 --> 01:29:11.260
main man to nahin hai na ?

224
01:29:11.860 --> 01:29:19.530
man raaja to nahin hai , aatma raaja hai ।

225
01:29:24.330 --> 01:29:53.460
to controlling power ruling power dhaaran karenge to man aapke achhe te achha number one sahayogi saathi ban jaayega।

226
01:29:53.460 --> 01:29:57.800
karke dekho ।

227
01:30:01.130 --> 01:30:10.000
sirf maalik bano , raaja bano ।

228
01:30:12.000 --> 01:30:29.730
is duniya mein teen shaktiyaan to chal rahi hain - dekho yeh raajneeti ki aai hai na ?

229
01:30:32.730 --> 01:30:41.930
( raajasthaan ki raajyapaal mahaamhim pratibha paatil ji baapdaada se milne aai hain ) to teen sattaayen to chal rahi hain , raajya satta bhi chal rahi hai ।

230
01:30:41.930 --> 01:30:56.800
dharmasatta bhi chal rahi hai aur science ki satta bhi chal rahi hai , lekin result ?

231
01:31:01.060 --> 01:31:06.200
aapmen kitni sattaayen hain ?

232
01:31:07.260 --> 01:31:32.400
aapmen chaar sattaayen hain kyonki vishwa mein aadhyaatmik shakti ki kami hai ।

233
01:31:33.660 --> 01:31:39.200
aapmen raajya satta hai ?

234
01:31:39.200 --> 01:31:46.000
apni karmendriyon ke raaja bane ho na !

235
01:31:48.000 --> 01:31:55.000
svaraajya adhikaari ho na !

236
01:31:59.660 --> 01:32:21.660
aur dharmasatta bhi hai , dharma ka arth hai divya gunon ki dhaarna , shreshtha charitra ki dhaarna , shreshtha karma ki dhaarna ।

237
01:32:26.930 --> 01:32:33.930
jahaan charitra hai vahaan sab kuchh hai ।

238
01:32:35.260 --> 01:32:45.530
charitra nahin to sab kuchh hote hue bhi kuchh nahin hai ।

239
01:32:52.060 --> 01:33:09.530
aur science ki satta , uske saadhan hain aapke silence ki saadhna hai ।

240
01:33:19.930 --> 01:33:33.930
to chaaron hi satta jab ikatthi hoti hai tab vishwa parivartan hota hai ।

241
01:33:36.400 --> 01:33:49.460
isliye baapdaada kehte hain , bachchi ko bhi kehte hain , bahut achha kiya pahunch gai hai ।

242
01:33:49.460 --> 01:34:07.400
raajya satta mein hai na to abhi kam se kam raajasthaan ko to aadhyaatmik satta se bharpoor karo ।

243
01:34:11.930 --> 01:34:23.860
raajasthaan paan ka beeda uthaave , vishwa parivartan to aapehi ho jaayega ।

244
01:34:23.860 --> 01:34:31.730
pahle raajasthaan ko parivartan karo ।

245
01:34:42.130 --> 01:35:19.860
( baba raajasthaan to aadhyaatmikta ka gadh hai , yahaan se vishwa mein parivartan ka kaarya chal raha hai ) vishwa ko mil to rahi hai lekin raajasthaan ke raajya adhikaari bhi sahayogi ban jaayen ।

246
01:35:21.860 --> 01:35:37.530
dekho aap shakti roop ho , baapdaada ne shaktiyon ko aage rakha hai ।

247
01:35:39.860 --> 01:35:47.200
to aap bhi shiv shakti ho ।

248
01:35:49.930 --> 01:35:57.000
shakti jo chaahe woh kar sakti hai ।

249
01:36:02.130 --> 01:36:15.600
achha hai , baapdaada ne dekha hai umang inko bahut hai , raajasthaan ko bahut achhe te achha banaayen ,

250
01:36:15.600 --> 01:36:30.060
lekin aapke sabhi sahayogi bhi hain , sab mil karke karenge to kya nahin ho sakta ।

251
01:36:33.000 --> 01:36:48.400
raajasthaan deepak jagaayega , charitra ka aur woh deepak chaaron or daudega ।

252
01:36:54.930 --> 01:36:58.730
achha kiya ।

253
01:36:58.730 --> 01:37:22.200
baapdaada ko bachchon ka is kaarya mein sahayogi banne ka umang-utsaah dekh khushi hoti hai ।

254
01:37:24.200 --> 01:37:28.130
aapke saath aur bhi to aaye hain na ।

255
01:37:28.130 --> 01:37:32.460
jo saath mein aaye hain woh haath uthaao ।

256
01:37:39.660 --> 01:38:02.330
baapdaada ko bahut achha lagta hai , abhi aap sabhi aapas mein meeting karna , plan banaana ki kya-kya kar sakte hain ।

257
01:38:02.330 --> 01:38:07.930
aur sab yahaan ke aapke sahayogi banenge ।

258
01:38:07.930 --> 01:38:11.000
umang hai na !

259
01:38:11.000 --> 01:38:15.000
achha hai ।

260
01:38:15.930 --> 01:38:24.060
raajasthaan ko nimitta banna chaahiye ।

261
01:38:29.000 --> 01:38:33.000
achha hai ।

262
01:38:34.200 --> 01:39:22.660
double videshi :- videshiyon ko apna original videsh to nahin bhoolta hoga ।

263
01:39:24.660 --> 01:39:35.730
original aap kis desh ke ho , woh to yaad rehta hai na ।

264
01:39:35.730 --> 01:39:42.000
isliye sabhi aapko kehte hain double videshi ।

265
01:39:42.000 --> 01:39:49.860
sirf videshi nahin ho , double videshi ।

266
01:39:50.330 --> 01:40:00.200
to aapko apna sweet hom kabhi bhoolta nahin hoga ।

267
01:40:07.460 --> 01:40:11.660
to kahaan rehte ho ?

268
01:40:11.660 --> 01:40:22.460
baapdaada ke diltakhta nasheen ho na ।

269
01:40:25.800 --> 01:40:42.860
baapdaada kehte hain jab koi bhi chhoti moti samasya aaye ,

270
01:40:43.400 --> 01:40:52.200
samasya nahin hai lekin paper hai aage badhaane ke liye ।

271
01:40:52.200 --> 01:41:00.130
to baapdaada ka diltakhta to aapka adhikaar hai ।

272
01:41:01.660 --> 01:41:14.000
diltakhtansheen ban jaao to samasya khilauna ban jaayegi ।

273
01:41:15.000 --> 01:41:22.600
samasya se ghabraayenge nahin , khelenge ।

274
01:41:22.600 --> 01:41:26.730
khilauna hai ।

275
01:41:35.660 --> 01:41:40.660
sab udti kala vaale ho na ?

276
01:41:40.660 --> 01:41:43.600
udti kala hai ?

277
01:41:43.600 --> 01:41:48.060
ya chalne vaale ho ?

278
01:41:48.800 --> 01:41:53.060
udne vaale ho ya chalne vaale hain ?

279
01:41:53.060 --> 01:41:58.130
jo udne vaale hain woh haath uthaao ।

280
01:41:58.130 --> 01:42:01.330
udne vaale ।

281
01:42:01.330 --> 01:42:07.000
aadha aadha haath utha rahe hain ।

282
01:42:09.000 --> 01:42:12.600
udne vaale hain ?

283
01:42:12.600 --> 01:42:15.330
achha ।

284
01:42:15.330 --> 01:42:21.660
kabhi kabhi udna chhodte hain kya ?

285
01:42:22.200 --> 01:42:34.460
chal rahe hain nahin , kai baapdaada ko kehte hain baba ham bahut achhe chal rahe hain ।

286
01:42:35.400 --> 01:42:44.460
to baapdaada kehte hain chal rahe ho ya ud rahe ho ?

287
01:42:44.460 --> 01:42:53.800
abhi chalne ka samay nahin hai , udne ka samay hai ।

288
01:42:55.130 --> 01:43:11.000
umang-utsaah ke , himmat ke pankh har ek ko lage hue hain ।

289
01:43:11.000 --> 01:43:17.330
to pankhon se udna hota hai ।

290
01:43:17.330 --> 01:43:31.800
to roj check karo , udti kala mein ud rahe hain ?

291
01:43:34.730 --> 01:43:51.600
achha hai , result mein baapdaada ne dekha hai ki centres videsh mein bhi badh rahe hain ।

292
01:43:57.930 --> 01:44:05.200
aur badhte jaane hi hain ।

293
01:44:11.060 --> 01:44:36.200
jaise double videshi hain vaise double seva mansa bhi , vaacha bhi saath-saath karte chalo ।

294
01:44:37.600 --> 01:44:52.060
mansa shakti dvaara aatmaon ki aatmik vritti banaao ।

295
01:44:58.600 --> 01:45:04.660
vaayumandal banaao ।

296
01:45:12.330 --> 01:45:24.800
abhi duhkh badhta hua dekh raham nahin aata hai ?

297
01:45:26.800 --> 01:45:44.060
aapke jad chitra ke aage chillaate rehte hain , mercy do , mercy do ,

298
01:45:51.200 --> 01:45:58.860
ab dayaalu kripaalu merciful bano ।

299
01:45:58.860 --> 01:46:09.260
apne oopar bhi raham aur aatmaon ke oopar bhi raham ।

300
01:46:19.200 --> 01:46:29.400
achha hai - har season mein , har tarna mein aa jaate hain ।

301
01:46:29.400 --> 01:46:36.060
yeh sabhi ko khushi hoti hai ।

302
01:46:49.000 --> 01:46:59.000
to udte chalo aur udaate chalo ।

303
01:47:02.730 --> 01:47:21.660
achha hai , result mein dekha hai ki abhi apne ko parivartan karne mein bhi fast ja rahe hain ।

304
01:47:25.800 --> 01:47:38.600
to sva ke parivartan ki gati vishwa parivartan ki gati badhaata hai ।

305
01:47:45.460 --> 01:47:50.200
achha ।

306
01:47:55.530 --> 01:48:44.530
jo pahli baar aaye hain woh utho :- to aap sabhi ko brahman janma ki mubaarak ho ।

307
01:48:51.800 --> 01:49:07.130
achha mithaai to milegi lekin baapdaada dilkhush mithaai khila rahe hain ।

308
01:49:10.330 --> 01:49:27.660
pahle baari madhuban aane ki yeh dilkhush mithaai sada yaad rakhna ।

309
01:49:30.530 --> 01:49:50.730
woh mithaai to mukh mein daala aur khatma ho jaayegi lekin yeh dilkhush mithaai sada saath rahegi ।

310
01:49:54.600 --> 01:50:12.400
bhale aaye , baapdaada aur saara parivaar desh videsh mein aap apne bhaai bahnon ko dekh khush ho rahe hain ।

311
01:50:12.400 --> 01:50:30.730
sabhi dekh rahe hain , America bhi dekh rahi hai , Russia vaale bhi dekh rahe hain , london vaale bhi dekh rahe hain , 5 khanda hi dekh rahe hain ।

312
01:50:30.730 --> 01:50:41.730
to janma din ki aap sabko vahaan baithe baithe mubaarak de rahe hain ।

313
01:50:45.400 --> 01:50:50.200
achha ।

314
01:51:34.330 --> 01:51:52.130
baapdaada ki roohaani drill yaad hai na !

315
01:51:58.130 --> 01:52:32.530
abhi baapdaada har bachche se chaahe naye hain , chaahe puraane hain , chaahe chhote hain chaahe bade hain , chhote aur hi samaan baap jaldi ban sakte hain ।

316
01:52:40.860 --> 01:53:13.330
to abhi second mein jahaan man ko lagaane chaaho vahaan man ekaagra ho jaae ।

317
01:53:15.330 --> 01:53:37.530
yeh ekaagrata ki drill sada hi karte chalo ।

318
01:53:41.130 --> 01:54:16.660
abhi ek second mein man ke maalik ban main aur mera baba sansaar hai ,

319
01:54:18.660 --> 01:54:45.000
doosra na koi , is ekaagra smriti mein sthit ho jaao ।

320
01:57:20.600 --> 01:57:25.400
achha ।

321
01:57:25.400 --> 01:57:45.130
chaaron or ke sarva teevra purooshaarthi bachchon ko

322
01:57:46.000 --> 01:58:10.400
sada umang-utsaah ke pankhon se udti la ke anubhvi moorta bachchon ko ,

323
01:58:11.000 --> 01:58:33.660
sada apne svamaan ki seat par set rahne vaale bachchon ko ,

324
01:58:34.730 --> 01:59:20.060
sada merciful ban vishwa ki aatmaon ko mansa shakti dvaara kuchh na kuchh anchali sukh-shanti ki dene vaale dayaalu , kripaalu bachchon ko ,

325
01:59:22.060 --> 02:00:01.660
sada baap ke sneh mein samaaye hue diltakhtansheen bachchon ko , baapdaada ka yaadapyaar aur namaste ।

