WEBVTT

1
00:24:22.570 --> 00:25:44.050
aaj great great grand father apne koton mein koi koi mein bhi koi bachchon ke bhaagya ki rekhaayen dekh rahe hain ।

2
00:25:49.540 --> 00:26:41.880
har ek ke mastak se chamakti hui divya chamakte hue sitaare ki chamak dekh rahe hain ।

3
00:27:06.850 --> 00:27:36.400
naynon se sneh ki rekha dekh rahe hain ।

4
00:27:58.000 --> 00:28:32.000
mukh se gyaan ki rekha dekh rahe hain ।

5
00:28:51.370 --> 00:29:24.740
dil mein dilaaraam ke lavleen ki rekha dekh rahe hain ।

6
00:29:27.650 --> 00:29:49.600
haathon mein gyaan ke khazaanon ki rekha dekh rahe hain ।

7
00:29:57.310 --> 00:30:24.510
paanv mein har kadam mein padam ki rekha dekh rahe hain ।

8
00:30:34.740 --> 00:31:04.970
har ek bachcha in rekhaaon mein nambarvaar sampanna hai ।

9
00:31:11.480 --> 00:31:44.620
aisa bhaagya aapke bina aur kiska bhi nahin hai ।

10
00:32:03.710 --> 00:32:47.710
aapka itna shreshtha bhaagya har bachche se chamakta hua dikhaai de raha hai ।

11
00:32:49.710 --> 00:33:14.570
aur yeh bhaagya avinaashi ban jaata hai kyon ?

12
00:33:14.570 --> 00:33:29.880
kyonki dene vaala avinaashi baap hai ।

13
00:33:34.570 --> 00:34:14.800
is sangamayug par hi aisa shreshtha bhaagya praapta hota hai jo bhavishya mein bhi chalta rehta hai ।

14
00:34:26.510 --> 00:34:44.400
yeh sangamayug sarva praaptiyon ka yug hai

15
00:34:44.970 --> 00:35:24.400
jo jitna apna bhaagya jama karta hai utna anek janma bhaagya ka phal hota rehta hai ।

16
00:35:31.880 --> 00:36:04.450
is sangamayug ki mahima aap bachche hi jaante hain ।

17
00:36:20.620 --> 00:36:57.140
sangamayug ki praaptiyaan saare kalpa mein shreshtha se shreshtha hain ।

18
00:37:05.770 --> 00:37:54.450
baapdaada dekh rahe hain har ek bachcha is sangamayug ki praaptiyon se kitna sampanna hai ।

19
00:38:10.800 --> 00:38:39.540
aap sabhi bhi sarva praaptiyon ke anubhav mein sada rehte ho ya kabhi kabhi ?

20
00:38:45.820 --> 00:39:17.650
avinaashi baap hai to praaptiyaan bhi avinaashi hain

21
00:39:19.650 --> 00:39:47.370
baapdaada har bachche ko kis roop mein dekhne chaahte hain jaante ho na !

22
00:39:50.000 --> 00:40:30.000
baapdaada yahi chaahte hain ki har bachcha svaraajya adhikaari raaja banen ।

23
00:40:31.200 --> 00:41:07.080
sva ke oopar arthaat karmendriyon ke oopar man-buddhi-sanskaar ke oopar raaja ban raajya kare ।

24
00:41:11.020 --> 00:41:37.080
bhavishya mein to raajya adhikaari banenge lekin abhi svaraajya adhikaari raaja banen ।

25
00:41:42.000 --> 00:42:30.170
koi bhi karmendriyaan apne control mein hon kyonki baap dvaara sarva shaktiyon ka khazaana praapta hua hai ।

26
00:42:35.370 --> 00:43:02.510
to baapdaada har ek bachche ko svaraajya adhikaari raaja roop mein dekhne chaahte hain ।

27
00:43:10.800 --> 00:43:28.000
to aap sabhi svaraajya adhikaari bane ho ?

28
00:43:31.600 --> 00:44:00.340
man buddhi ke oopar ruling power controlling power aa gai hai ?

29
00:44:11.020 --> 00:44:17.770
adheenta to nahin hai ?

30
00:44:19.140 --> 00:44:25.820
adhikaari hain ।

31
00:44:35.650 --> 00:44:52.800
jab baapdaada ko saath mein rakhte hain

32
00:44:53.770 --> 00:45:19.480
akele nahin bante hain baap ko sada saathi banaake rakhte hain

33
00:45:24.740 --> 00:45:54.110
to yeh man buddhi sanskaar kisi ki bhi taakat nahin jo control mein nahin rahe ।

34
00:45:54.800 --> 00:46:14.220
iseelie baapdaada shaktiyon ko sada kehte hain

35
00:46:14.220 --> 00:46:44.400
ki apne kaun se swaroop ko yaad rakho jo kabhi bhi baap ka saath bhool nahin jaae ?

36
00:46:44.400 --> 00:46:55.140
woh hai ham shivshakti hain ।

37
00:46:56.170 --> 00:47:07.250
shiv aur shakti saath hai ।

38
00:47:18.450 --> 00:47:34.800
yeh smriti maayaajeet prakritijeet svatah bana deti hain

39
00:47:44.170 --> 00:47:51.420
kyonki baapdaada ne suna diya hai

40
00:47:51.420 --> 00:48:17.200
ki vartamaan samay prakriti apna kaarya karti rehti hai

41
00:48:18.450 --> 00:48:49.420
kyonki prakriti ko bhi manushya aatmaayen tang karte hain to prakriti bhi tang karti hai ।

42
00:48:55.820 --> 00:49:24.850
aajkal dekhte ho ki prakriti kahaan na kahaan apna kaarya karti rehti hai

43
00:49:26.850 --> 00:49:54.740
lekin aap prakritijeet ban prakriti ko bhi satopradhaan bana rahe ho ।

44
00:50:02.910 --> 00:50:21.420
log to prakriti ki halchal dekh darte hain ki kal kya hoga !

45
00:50:22.570 --> 00:50:43.250
lekin aap jaante ho ki achhe te achha hoga

46
00:50:44.000 --> 00:51:11.940
kyonki abhi yeh sangamayug srishti chakra ka amritvela chal raha hai ।

47
00:51:19.080 --> 00:51:30.850
to amritvele ke baad kya hota hai ? savera ।

48
00:51:31.310 --> 00:51:42.110
andhakaar khatma ho roshni aa jaati

49
00:51:42.910 --> 00:52:24.340
to aapko khushi hai ki abhi hamaara raajya sukhmay sansaar jahaan prakriti bhi sukhmai hai woh raajya aaya ki aaya ।

50
00:52:26.910 --> 00:52:31.250
khushi hai na !

51
00:52:31.880 --> 00:52:47.370
jis raajya mein duhkh ashaanti ka naamnishaan nahin hoga

52
00:52:49.080 --> 00:53:08.800
kyonki abhi sangam par aap prakritijeet ban rahe ho ।

53
00:53:13.020 --> 00:53:22.680
to sabhi ko khushi hai na kiski ?

54
00:53:22.680 --> 00:53:34.570
bolo hamaara raajya aane vaala hai ।

55
00:53:34.570 --> 00:53:38.680
yeh khushi hai ?

56
00:53:38.680 --> 00:53:49.370
jo is khushi mein rehte hain woh haath uthaao ।

57
00:53:52.850 --> 00:53:56.850
bahut achha ।

58
00:53:56.850 --> 00:54:07.600
aap to khush rehte ho iski mubaarak ho

59
00:54:11.020 --> 00:54:50.800
lekin aisi khushi apni khushi aapke bhaai behen jo duhkhi ashaanta hain

60
00:54:51.820 --> 00:55:26.850
usko apne baap dvaara li hui kirnon dvaara khushi ki kirnen pahunchaate ho ?

61
00:55:29.940 --> 00:55:58.110
baapdaada ne kaha tha ki aisi mansa seva karne ka time har ek ko apne dincharya mein fix karna hai ।

62
00:55:58.450 --> 00:56:10.910
jaise aur kaarya ke liye time fix kiya hua hai

63
00:56:10.910 --> 00:56:49.020
aise apni khushi ki khuraak dvaara duhkhi aatmaon ko mansa shakti dvaara thoda bahut vardaan dekarke unhon ko bhi khush karo

64
00:56:49.080 --> 00:57:09.540
to jinhonne apna time mansa seva ke liye fix kiya hai woh haath uthaao ।

65
00:57:23.770 --> 00:57:34.340
achha jinhonne bhi nahin kiya hai ।

66
00:57:34.340 --> 00:57:56.050
hain thode lekin iska time fix karna hai kyonki apne hi bhaai behen hain na ।

67
00:57:57.310 --> 00:58:01.370
to taras padta hai na !

68
00:58:01.370 --> 00:58:04.850
ki taras nahin padta hai ?

69
00:58:04.850 --> 00:58:09.310
padta hai na !

70
00:58:15.420 --> 00:58:32.680
aur baapdaada sabhi ko dekhne chaahte hain

71
00:58:35.140 --> 00:58:50.450
ki sangam ki jo vishesh do baaten hain jo amoolya hain

72
00:58:50.450 --> 00:59:09.650
ek sankalp shakti aur doosra sangam ka samay

73
00:59:10.740 --> 00:59:32.400
kyonki sangam ke samay mein ek janma mein anek janma ki praalabdha banaani hai ।

74
00:59:36.050 --> 00:59:47.250
to aajkal baapdaada ne dekha hai

75
00:59:48.170 --> 01:00:14.000
ki bahuton ke ashuddha sankalp kam chalte hain lekin vyartha sankalp aate jaate hain ।

76
01:00:16.000 --> 01:00:38.510
to is ek janma ke moolya ke anusaar vyartha sankalp abhi finish hone chaahiye

77
01:00:43.250 --> 01:01:08.400
kyonki sangamayug ke mahatva ke hisaab se ek second kai keemti samay ka adhikaar dilaata hai

78
01:01:14.800 --> 01:02:02.280
isliye har ek ko in donon baaton ka samay aur sankalp donon ke moolya ko jaan samay ko aur sankalp ko saphal karo ।

79
01:02:04.280 --> 01:02:21.940
jaise sthool khazaane ko saphal karte ho

80
01:02:24.740 --> 01:02:47.480
jaante ho ki ek janma mein saphal karne se anek janma unki praapti jama hoti hai ।

81
01:02:47.480 --> 01:03:12.050
aise in donon baaton ko attention de saphal kar saphalta moorta bano ।

82
01:03:17.310 --> 01:03:59.370
baapdaada har bachche ko aaj vishesh ek vardaan de rahe hain

83
01:04:09.600 --> 01:04:56.620
har ek bachcha aaj se apne ko tension free bana sakte ho ?

84
01:05:01.420 --> 01:05:25.650
dridh sankalp karo ki aaj se attention no tension ।

85
01:05:29.650 --> 01:05:52.450
baapdaada bachchon ko jab tension mein dekhte hain na

86
01:05:54.450 --> 01:06:09.820
to sochte hain abhi abhi is bachche ka photo nikaalke bhejen ।

87
01:06:17.310 --> 01:06:34.220
to khud hi samajh jaayega ki main kya ban gaya !

88
01:06:36.220 --> 01:06:50.340
baapdaada manjeet jagatjeet banaane chaahte hain ।

89
01:06:52.340 --> 01:07:00.910
tension kismen man mein hi to aata hai na !

90
01:07:06.620 --> 01:07:17.140
to aap to raaja ho na svaraajya adhikaari ho na !

91
01:07:20.970 --> 01:07:41.770
kya man aapka hai ya man maalik hai ?

92
01:07:42.620 --> 01:07:45.250
aap kya kehte ho ?

93
01:07:45.250 --> 01:07:51.250
saara din mera man kehte ho na !

94
01:07:51.250 --> 01:07:56.740
maalik to nahin hai na !

95
01:08:05.540 --> 01:08:26.680
kaun himmat rakhta hai baap ka vardaan sahaj milega lekin sirf thoda attention rakhna padega ।

96
01:08:26.680 --> 01:08:39.600
baap ke vardaan ki madad ka anubhav karke dekhna ।

97
01:08:43.140 --> 01:09:02.110
sabhi ka chehra jab bhi dekho to kaisa dikhaai dega ?

98
01:09:11.140 --> 01:09:44.680
tension-free kamal pushpa samaan va khila hua gulaab pushpa misal ।

99
01:09:54.680 --> 01:10:20.400
baapdaada ne dekha ki jo pahle kaam diya tha percentage likhne ka ।

100
01:10:24.050 --> 01:10:41.880
sabhi sthaanon se kuchh kuchh samaachaar aaya hai ।

101
01:10:42.800 --> 01:10:54.800
yahaan bhi result nikaali hai ।

102
01:10:55.820 --> 01:11:06.680
attention diya uski mubaarak baapdaada de rahe hain

103
01:11:08.680 --> 01:11:54.510
lekin abhi baapdaada yahi chaahte hain ki samay pramaan abhi vaani dvaara sunne ka samay bhi kam milega

104
01:11:54.510 --> 01:12:27.370
isliye mansa dvaara aur apne chehre aur chalan dvaara service karo ।

105
01:12:28.400 --> 01:12:45.080
abhi ka abhyaas aage aane vaale samay mein kaarya mein aayega ।

106
01:12:55.250 --> 01:13:25.940
to aaj se tension free ka sankalp kar sakte ho ?

107
01:13:25.940 --> 01:13:29.880
kar sakte ho ?

108
01:13:29.880 --> 01:13:32.740
kar sakte ho ?

109
01:13:32.740 --> 01:13:35.370
haath uthaao ।

110
01:13:38.570 --> 01:13:43.020
tension free ।

111
01:13:49.140 --> 01:13:57.420
achha sabhi ka photo nikaalo ।

112
01:14:21.480 --> 01:14:25.080
bahut achha ।

113
01:14:30.570 --> 01:14:48.850
to jo aatmaayen circumstance ke pramaan bahut tension mein rehte hain

114
01:14:50.220 --> 01:15:02.400
aajkal duniya mein tension bahut badh raha hai

115
01:15:05.940 --> 01:15:50.000
to aapka tension free ka anubhav aur tension free ki chalan aur chehra unhon ke aage ek aadhaarmoorta banega ।

116
01:15:55.420 --> 01:16:14.850
agar aaj duniya mein chakra lagaao ya samaachaar suno to kya dikhaai deta hai ?

117
01:16:15.940 --> 01:16:34.800
temporary apne ko khush karne ke saadhan banaate rehte hain ।

118
01:16:44.970 --> 01:17:09.480
to tension vaalon ko tension free ka example dikhaao to unko bhi sahaara dikhaai de ।

119
01:17:12.340 --> 01:17:26.220
to sankalp kiya apne man mein sankalp kiya ki tension free rahenge ?

120
01:17:26.220 --> 01:17:28.220
kiya ?

121
01:17:28.220 --> 01:17:34.620
dridh kiya ya saadhaaran kiya ?

122
01:17:35.250 --> 01:17:47.250
jahaan dridhta hoti hai vahaan saphalta hui padi hai ।

123
01:17:48.740 --> 01:17:58.970
karenge nahin karna hi hai ।

124
01:18:02.340 --> 01:18:05.200
pasanda hai ?

125
01:18:07.540 --> 01:18:10.450
ismen haath uthaao ।

126
01:18:12.680 --> 01:18:27.770
baapdaada ne ek baat dekhi hai ki haath uthaake bahut khush kar dete hain ।

127
01:18:45.420 --> 01:19:04.970
haath uthaake khush to kiya lekin abhi kya karenge ?

128
01:19:08.850 --> 01:19:30.000
dridh sankalp saadhaaran sankalp usmein raat din ka pharka hai ।

129
01:19:30.680 --> 01:19:39.370
karenge aur karna hi hai ।

130
01:19:48.400 --> 01:20:02.110
to is season ka is varsha ki is season ka aaj last de hai

131
01:20:04.800 --> 01:20:39.370
lekin agli season mein baapdaada har ek chhota bada centre kaaphi time hai beech mein

132
01:20:43.370 --> 01:21:23.600
agle varsha ki season mein kaaran nahin lekin nivaaran swaroop dekhne chaahte hain ।

133
01:21:32.740 --> 01:21:59.600
to kitna himmat aur umang hai ki brahman parivaar mein tension ka naamnishaan nahin ho ।

134
01:22:04.740 --> 01:22:08.800
ho sakta hai ?

135
01:22:09.310 --> 01:22:18.220
har ek apne se poochhe ho sakta hai ?

136
01:22:32.280 --> 01:23:02.280
yeh khushkhabri baapdaada sunne chaahte hain ।

137
01:23:10.970 --> 01:23:30.450
baapdaada ne dekha ki chaahna sab rakhte hain karenge

138
01:23:31.310 --> 01:24:02.910
lekin jab samasya aati hai to samasya apna bana deti hai ।

139
01:24:05.880 --> 01:24:20.050
phir bahut meethi baaten karte hain yeh ho jaata hai na yeh to hoga na !

140
01:24:24.000 --> 01:24:28.510
yeh to chalta hai na !

141
01:24:28.510 --> 01:24:39.020
baapdaada ko bahut meethi meethi baaten sunaate hain ।

142
01:24:48.000 --> 01:24:59.940
sabka kaaran raaja ban jaao bas ।

143
01:25:04.970 --> 01:25:14.170
svaraajya adhikaari ban jaao ।

144
01:25:25.820 --> 01:25:51.540
to aaj baapdaada sabhi bachchon ko chaahe saamne baithe hain chaahe door baithe dil mein baithe hain ।

145
01:25:53.540 --> 01:26:00.110
aap to aankhon ke saamne hain

146
01:26:08.970 --> 01:26:39.540
lekin baapdaada jo door baithe hain unko dil mein dekh rahe hain ।

147
01:26:42.280 --> 01:27:11.820
baapdaada ko pata hai ki aaj ke din madhuban mein bhi chhoti chhoti geeta paathshaalaayen lag gai hain ।

148
01:27:18.910 --> 01:27:47.820
bachche aaye hain baapdaada bahut bahut bahut neeche baithne vaalon ko

149
01:27:50.050 --> 01:28:11.710
kahaan kahaan baithne vaalon ko sabse pahle dil ka dulaar aur yaadapyaar de rahe hain ।

150
01:28:18.910 --> 01:28:42.000
( aaj shaantivan mein 28 hajaar se bhi adhik bhaai bahinen pahunche hue hain ) baapdaada ne dekha ki bachchon ko thodi takleeph to dekhni padi hai

151
01:28:42.400 --> 01:29:14.850
lekin yeh takleeph khushi mein anubhav nahin karte hain ।

152
01:29:15.370 --> 01:29:42.110
phir bhi aaraam se sone ke liye teen pair prithvi to mili hai na ।

153
01:29:48.620 --> 01:30:21.310
jo patraani bane hain un bachchon ko baapdaada vishesh yaadapyaar de rahe hain ।

154
01:30:38.910 --> 01:30:54.400
achha jo aaj pahle baari madhuban mein aaye hain

155
01:30:54.400 --> 01:31:07.540
ya baapdaada se milne aaye hain woh utho ।

156
01:32:31.420 --> 01:33:13.880
aaj pahle baari aane vaale bachchon ko baapdaada naye brahman parivaar mein aane ki apne taraph se

157
01:33:13.880 --> 01:33:29.880
aur brahman parivaar ki taraph se bahut-bahut badhaai de rahe hain

158
01:33:34.400 --> 01:33:57.650
kyonki phir bhi toolate aaye ho lekin aa to gaye ।

159
01:34:02.280 --> 01:34:16.280
baapdaada aur parivaar ko dekh to liya ।

160
01:34:18.280 --> 01:34:30.340
baapdaada samajhte hain ki aap chaaho

161
01:34:32.340 --> 01:35:06.220
to aaj aane vaalon ko vishesh vardaan hai ki agar dil se chaaho to last so fast fast so aage aa sakte ho ।

162
01:35:18.570 --> 01:35:34.680
baapdaada aur parivaar ka aap sab aatmaon se pyaar hai ।

163
01:35:35.600 --> 01:35:46.680
sahayogi banenge sneh denge aur aapko aage badhaayenge ।

164
01:35:46.680 --> 01:35:50.000
chance denge ।

165
01:35:50.000 --> 01:36:14.620
iseelie aaj aane vaalon ko aage badhne ka chance bahut achha drama mein mil sakta hai ।

166
01:36:16.620 --> 01:36:39.480
saara parivaar jahaan se bhi aaye ho to woh parivaar aapka sahayogi banega aap sahaj yogi banna ।

167
01:37:02.620 --> 01:37:04.970
achha ।

168
01:37:11.420 --> 01:37:18.570
seva ka tarna raajasthaan aur bhopaal zone ka hai :-

169
01:38:02.740 --> 01:38:36.400
achha baapdaada dekh rahe hain ki jo zone seva par aaye hain unke hi jyaada nai aatmaayen bhi aai hui hain ।

170
01:38:45.420 --> 01:38:49.710
achha hai ।

171
01:39:29.140 --> 01:39:40.850
raajasthaan vaale to aadha class hai ।

172
01:39:50.050 --> 01:40:17.420
raajasthaan ki dharni brahma baap ko bahut pasanda aai

173
01:40:19.420 --> 01:40:26.850
jo raajasthaan mein hi madhuban banaaya hai ।

174
01:40:38.570 --> 01:41:14.570
raajasthaan ki seva baapdaada ne dekha ki har sthaan mein abhi vriddhi achhi ho rahi hai ।

175
01:41:16.910 --> 01:41:37.420
nai nai aatmaon ko baap ka sandesh dene ke programmes bhi achhe ho rahe hain ।

176
01:41:41.080 --> 01:41:57.310
lekin baapdaada sabhi ko yahi kehte hain

177
01:41:59.310 --> 01:42:29.770
har ek sevaakendra yagya snehi vaaris aisa group banaave

178
01:42:33.770 --> 01:42:55.080
jo svayan bhi aage badhte jaayen auron ko bhi yagya snehi banaaye ।

179
01:42:56.000 --> 01:43:19.710
agle vaari bhi baapdaada ne yeh kaha yagya snehi seva snehi

180
01:43:22.400 --> 01:44:01.480
aur saphal karne mein sada aage se aage badhne vaale vriddhi ho rahi hai

181
01:44:02.910 --> 01:44:26.800
achha hai sandesh dene ka kaarya bhi dene mein har ek umang utsaah mein hai ।

182
01:44:30.110 --> 01:44:50.110
abhi baapdaada yahi dekhne chaahte hain

183
01:44:53.770 --> 01:45:17.600
ki sva aur seva donon ka balance karne vaale har

184
01:45:19.600 --> 01:45:31.650
ek centre se jyaada mein jyaada aage aane chaahiye ।

185
01:45:32.680 --> 01:46:13.820
sirf seva nahin sva aur seva kyonki ab sva parivartan ka samay itna jyaada nahin hai iseelie pahle sva saath mein seva ।

186
01:46:17.140 --> 01:46:38.400
har ek sevaakendra nirvighna sab saathi nirvighna sirf teacher nahin

187
01:46:38.400 --> 01:47:14.680
lekin saara class nirvighna aur sva parivartan ka attention rakhne vaale ho ।

188
01:47:19.370 --> 01:47:23.650
to yeh vriddhi karo ।

189
01:47:23.650 --> 01:47:37.370
ek ek ki baaton ko suno aur unko umang-utsaah ke pankh lagaao

190
01:47:40.970 --> 01:48:04.400
jo baapdaada ko nirvighna centre ka samaachaar de sako ।

191
01:48:07.140 --> 01:48:29.540
baaki baapdaada ne dekha raajasthaan bhi aage badh raha hai badhta rahega ।

192
01:48:34.510 --> 01:49:00.400
baapdaada har ek bachche ko aage badhne ki mubaarak de rahe hain ।

193
01:49:01.080 --> 01:49:05.370
achha ।

194
01:50:10.220 --> 01:51:05.250
bhopaal zone :- achha yeh bhi zone apne parivartan aur seva ki vriddhi mein achha aage badh raha hai ।

195
01:51:06.570 --> 01:51:48.510
baapdaada ko khushi hai ki har ek bachcha sva ke prati bhi plan bana rahe hain aur practical mein bhi la rahe hain ।

196
01:51:57.770 --> 01:52:22.910
aur baba ki shubh aasha hai ki sada aage badhte rahenge ।

197
01:52:30.910 --> 01:52:46.570
har ek zone mein dekha jaata hai ki abhi umang-utsaah hai

198
01:52:51.080 --> 01:53:18.910
isliye seva mein apne apne sthaan mein vriddhi kar rahe hain ।

199
01:53:19.940 --> 01:53:45.540
baapdaada aage ke liye bhi mubaarak de rahe hain badhte chalo udte chalo udaate chalo ।

200
01:53:47.540 --> 01:53:50.800
achha ।

201
01:53:55.250 --> 01:54:06.620
double videshi bhaai bahinen :-

202
01:54:44.280 --> 01:54:59.020
foreigners ko title diya hai double foreigners ।

203
01:54:59.020 --> 01:55:06.340
foreigners nahin double foreigners ।

204
01:55:08.340 --> 01:55:16.910
to practical mein dekha jaata hai

205
01:55:16.910 --> 01:55:47.940
ki jaise title diya hai na double foreigners aise hi majority ko double nasha rehta hai kya double nasha rehta hai ?

206
01:55:48.400 --> 01:56:03.710
ki ham double umang utsaah mein rahne vaale hain

207
01:56:04.740 --> 01:56:23.940
aur baapdaada dekhte hain umang utsaah achha rehta hai ।

208
01:56:24.910 --> 01:56:45.370
baapdaada khush hai ki kahaan ek london ki sthaapna hui

209
01:56:45.370 --> 01:57:19.650
aur aaj double foreigners ne kaaphi sthaanon par seva kar sabhi ko baapdaada ka ya brahman parivaar ka banaaya hai

210
01:57:19.650 --> 01:57:32.510
aur banaane ka lakshya achha hai isliye proof hai ।

211
01:57:33.080 --> 01:57:39.370
pahle apne tarna mein aate the

212
01:57:40.400 --> 01:57:52.340
lekin abhi majority har tarna mein pahunchte hain

213
01:57:54.340 --> 01:58:16.510
aur baapdaada ko khushi hai ki foreign ke bachchon ko dekh bhaaratvaasiyon ko umang aata hai

214
01:58:16.510 --> 01:58:22.570
ki yeh bhaaratvaasiyon se aage badh rahe hain ।

215
01:58:22.570 --> 01:58:32.450
foreign vaale aage badh rahe hain aur ham peechhe rah nahin jaaen ।

216
01:58:32.450 --> 01:58:53.770
bhaaratvaasiyon ko bhi umang aata hai aur purooshaartha mein bhi dekha gaya

217
01:58:53.770 --> 01:59:05.480
to abhi papers to aate hain foreign vaalon ke paas

218
01:59:06.110 --> 01:59:22.910
lekin ek visheshta hai ki woh sachchi dil se bol dete hain ।

219
01:59:22.910 --> 01:59:41.820
andar nahin rakhte hain aur uska samaadhaan sachchi dil se karte rehte hain ।

220
01:59:41.820 --> 01:59:56.910
yeh baapdaada ko khushi hai ki saaph dil to hajoor haajir ho jaata hai ।

221
02:00:01.080 --> 02:00:30.000
achhi result dekh baapdaada mubaarak bhi de rahe hain aur vardaan bhi de rahe hain ki sada aage badhte rahenge ।

222
02:00:34.620 --> 02:00:44.170
teachers bhi achhi mehnat kar rahi hain ।

223
02:00:46.680 --> 02:01:04.620
baapdaada ko khushi hoti hai ki sabse jyaada madhuban ka phaayda foreign vaale utha rahe hain ।

224
02:01:17.600 --> 02:01:52.400
to baapdaada dekhte hain ki foreign ke chhote chhote sthaanon par bhi aavaaj bulanda karne ki seva karna aarambha kar diya hai ।

225
02:01:53.710 --> 02:02:10.340
to seva ki mubaarak ho sva parivartan ki mubaarak ho ।

226
02:02:14.450 --> 02:02:22.450
udte chalo aur udaate chalo ।

227
02:02:26.510 --> 02:02:31.200
achha ।

228
02:02:59.020 --> 02:03:52.280
chaaron or ke desh aur videsh ke bachchon ko baapdaada purooshaartha mein sahaj aage badhne aur badhaane ki khaas mubaarak de rahe hain ।

229
02:03:57.880 --> 02:04:34.170
abhi jo samay aane vaala hai uske liye baapdaada ne direction de diye hain

230
02:04:37.140 --> 02:05:11.020
ki teevra purooshaarthi ban second mein bindu lagaane fullstop lagaane ka abhyaas ati aavashyak hai ।

231
02:05:11.020 --> 02:05:20.110
is baat ko halka nahin karo ।

232
02:05:23.650 --> 02:05:36.970
achaanak kuchh na kuchh hona hi hai

233
02:05:38.970 --> 02:06:11.480
isliye baap ki shubh aasha hai ki har ek bachcha saath hai saath chalenge saath raajya karenge brahma baap ke saath shivbaaba saakshi ho jaayega ।

234
02:06:17.880 --> 02:06:34.220
saathi banne vaale ho to baapdaada samaan banna hi hai ।

235
02:06:38.220 --> 02:07:05.420
achha - har ek bachche ko baapdaada ki taraph se is varsha ki mubaarak hai

236
02:07:06.000 --> 02:07:32.570
aur aage varsha ki bhi mubaarak hai ki sada baap samaan banna hi hai ।

237
02:07:33.600 --> 02:07:41.480
achha ।

