WEBVTT

08:41.700 --> 09:36.130
āj sārī sabhā bēphikr bādśhāhō̃ kī dikhāī dē rahī hai

09:53.060 --> 10:25.660
kyōṅki phikar bāp kō dēkē phakhur lē liyā hai .

10:34.460 --> 11:48.960
āp sab bhī savērē sē lēkar rāt tak bēphikr bādśhāh hō kyōṅki svarājya milā huā hai .

11:55.630 --> 12:05.930
tō check kartē hō

12:17.860 --> 12:47.160
kyōṅki bēphikr bādśhāh kī niśhānī hai

12:56.930 --> 13:16.030
unkā mastak light sē chamaktā hai

13:35.900 --> 14:00.900
aur bēphikr bādśhāh hō tō double tājdhārī hō .

14:13.630 --> 14:35.830
double tājdhārī hī bēphikr bādśhāh hai .

14:41.360 --> 15:26.730
tō āp sabhī apnē kō bēphikr aur bādśhāh anubhav kar rahē haĩ  ?

15:33.400 --> 16:18.230
agar double tāj nahī̃ arthāt bēphikr nahī̃ tō māthē par kyā ātā hai  ?

16:22.800 --> 16:28.260
kichṛē kā ṭōkrā .

16:40.300 --> 16:44.330
tō kyā achchhā lagtā hai  ?

16:52.930 --> 17:51.660
tō bāpdādā āj har bachchē kō double tājdhārī bēphikr bādśhāh dēkh khuśh hōtē haĩ .

17:57.730 --> 18:51.060
tō āp sabhī bāpdādā kē sāthī apnē kō aisē anubhav kartē hō ki kabhī kartē hō kabhī nahī̃  ?

19:01.130 --> 19:44.800
yah double tāj sārē kalp mē̃ sirph āp bachchō̃ kō prāpt hōtā hai .

19:48.430 --> 20:08.930
rājē tō bahut bantē haĩ , dvāpar sē lēkē rājē tō bantē haĩ

20:10.400 --> 20:23.900
lēkin double tāj sirph āpkō hī miltā hai .

20:49.330 --> 21:40.260
tō bāpdādā aisē bēphikr bādśhāh bachchō̃ sē milnē āyē haĩ .

21:52.030 --> 22:00.860
phikar dē diyā nā ki thōṛā bahut rah gayā hai  ?

22:07.460 --> 22:37.360
phikar dē dō , bāp kō phikar dēnā ātā hai nā  !

22:46.360 --> 23:22.900
bēphikr bannē kī vidhi bahut sahaj hai , mērē kō tērē mē̃ badal lō .

23:43.000 --> 23:53.000
kitnā sahaj hai mērā aur tērā .

23:54.230 --> 24:03.800
tē aur mē , itnā phark hai .

24:14.130 --> 24:35.260
tō sabhī nē dē diyā hai , mērē kō tērē mē badal diyā hai  ?

24:38.830 --> 24:56.260
jō samajhtē haĩ ham bēphikr bādśhāh haĩ vah hāth uṭhānā .

24:56.260 --> 25:00.630
lambā hāth uṭhāō .

25:08.300 --> 25:14.630
uṭhāō hāth uṭhāō , bāpdādā dēkhē̃gē .

25:33.860 --> 25:42.330
phir kabhī tērē kō mērā tō nahī̃ kar dētē hō  ?

25:59.600 --> 26:18.730
agar abhī bhī thōṛā bahut rah gayā hō

26:40.900 --> 26:49.460
tō phikar kō dē phakhur lē lō

27:02.660 --> 27:38.360
kyōṅki din pratidin viśhva mē̃ bhay tō baṛhnē vālā hai

27:48.660 --> 28:41.900
lēkin āp sabhī bāp kē bachchē bēphikr bādśhāh ban aurō̃ kō bhī phikar sē dūr karē̃gē .

28:55.930 --> 29:40.530
iskē liē sahaj sādhan hai amr̥itvēlē sē lēkē rāt tak follow brahmā bāp

29:57.330 --> 30:44.630
kyōṅki brahmā bāp bhī sākār tan mē̃ har jimmēvārī hōtē bēphikr bādśhāh rahā hai .

31:00.660 --> 31:14.830
chāhē kaī bachchō̃ nē brahmā bāp kō sākār mē̃ dēkhā nahī̃

31:15.800 --> 31:57.230
lēkin unkē charitra , unkī practical life jaisē āp sākār mē̃ hō

32:02.930 --> 32:35.460
vaisē hī itnī baṛī jimmēvārī hōtē bhī bēphikr bādśhāh rahā hai .

33:03.260 --> 34:06.000
ant tak bhī unhō̃ kī sūrat mē̃ bēphikr kē chinh dikhāī diyē .

34:12.730 --> 35:02.130
ant din tak bhī kōī ādhār binā last class karāyā hai .

35:04.360 --> 35:26.130
aisē healthy aur phakhur mē̃ wealthy .

35:52.800 --> 36:24.630
tō āp sabhī bhī bēphikr bādśhāh banē hō nā  !

36:27.460 --> 36:58.660
chāhē śharīr kā hisāb kitāb hai , lēkin sthiti sadā bēphikr bādśhāh .

37:05.700 --> 38:00.430
tō āj bāpdādā sabhī bachchō̃ kō aisē brahmā samān dēkhnē chāhtē haĩ .

38:06.330 --> 38:53.600
tō check karnā , chāhē śharīr kaisā bhī hō lēkin man sadā bēphikr bādśhāh hō .

38:56.500 --> 39:10.130
tō note karnā subah kō uṭhtē hī check karō ,

39:15.930 --> 39:24.900
subconscious mē̃ bhī kōī phikar tō nahī̃ hai  ?

39:36.600 --> 39:41.900
bīch-bīch mē̃ check karnā .

39:49.100 --> 39:56.430
tō mērē kō tērē mē̃ parivartan kar dēgē

39:58.200 --> 40:33.930
kyōṅki sārē kalp mē̃ sivāē āp bachchō̃ kē double tājdhārī bēphikr bādśhāh kōī nahī̃ banā hai .

40:35.730 --> 40:53.130
āpkē chitrō mē̃ sadā double tāj hai .

40:53.260 --> 41:11.660
dvāpar mē̃ kaī rājē banē lēkin double tājdhārī

41:23.130 --> 41:45.930
aur phir svarājya vālā rājā , aisē kōī nahī̃ banā .

41:49.060 --> 42:28.600
tō āj kā apnā title bēphikr bādśhāh sadā yād rakhnā .

42:44.300 --> 43:13.160
āj bhī bahut bachchē āyē haĩ , sabhī bachchō̃ kō viśhēṣh bāpdādā milnē āyē hai .

43:25.060 --> 43:33.160
abhī ulhanē tō nahī̃ dēgē

43:40.630 --> 44:16.560
kyōṅki bāp kā bachchō̃ sē kitnā pyār hai jō bāp binā bachchō̃ kē rah nahī̃ saktā .

44:35.660 --> 44:54.300
tō yah title apnā amr̥itvēlē sē lēkē smr̥iti mē̃ rakhnā maĩ kaun  ?

44:54.700 --> 44:59.560
bēphikr bādśhāh .

45:18.500 --> 45:22.760
achchhā .

45:46.860 --> 45:59.830
sabhī āyē huē bachchō̃ sē

47:09.460 --> 47:21.200
milan manāyā , bāp bhī khuśh hai bachchē bhī khuśh haĩ .

47:26.060 --> 47:45.760
lēkin yah apnā vardān kabhī bhī bhūlnā nahī̃ .

47:47.760 --> 48:20.830
kaisē bhī hō , śharīr kā hisāb śharīr jānē lēkin man sadā bēphikr bādśhāh .

48:24.400 --> 48:53.900
kaisā bhī paper hō lēkin paper aur anubhavī banākē āgē baṛhānē vālā hai , ḍarnā nahī̃ .

48:54.330 --> 48:58.730
kabhī paper sē ḍarnā nahī̃ .

49:18.430 --> 49:22.760
achchhā .

49:26.700 --> 49:44.160
āj gujarāt zone kā turn chal rahā hai .

49:48.930 --> 50:06.600
tō gujarāt bhī bāpdādā kē pyārē haĩ , haĩ tō sab zone pyārē , lēkin āj turn iskā hai ,

50:12.530 --> 50:38.230
gujarāt vālē uṭhō , hāth aisē karō .

50:52.530 --> 50:56.760
bahut achchhā .

51:05.430 --> 51:19.460
bāpdādā nē sab samāchār sunā kyā-kyā puruṣhārth kar rahē haĩ

51:22.960 --> 51:38.230
vah bhī bachchō̃ nē achchhā hisāb kitāb dikhāyā hai .

51:40.230 --> 52:27.030
tō bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki sadā har bachchā brahmā bāp samān master brahmā banē .

52:46.430 --> 52:55.560
har zone dil bharkē ātā hai .

53:01.760 --> 53:29.730
bāpdādā bhī khuśh hō rahē haĩ , aisē bachchē sārē kalp mē̃ ab saṅgam mē̃ hī miltē hai .

53:37.360 --> 53:43.560
chāhē satyug mē̃ bhī sāthī hōṅgē

53:48.400 --> 54:10.160
lēkin abhī jō pahchān sē miltē haĩ vahā̃ kī pahchān change hō jāyēgī .

54:18.700 --> 54:50.030
tō chārō̃ ōr kē bachchō̃ kō , nimitt gujarāt hai lēkin bāpdādā kē sāmnē foreign vālē bhī haĩ

54:53.730 --> 55:04.230
aur chhōṭē-chhōṭē gānv vālē bachchē bhī haĩ .

55:15.000 --> 56:32.100
ēk-ēk bachchē kō bāpdādā , dōnō̃ bāp sadā baṛhtē chalō , baṛhātē chalō , apnā rājya najdīk lātē chalō ,

56:36.860 --> 56:45.900
tō chārō̃ ōr kē bachchē bāpdādā kē sāmnē haĩ .

56:51.900 --> 57:23.460
sākār mē̃ āp hō lēkin dil mē̃ chārō̃ ōr kē dēśh vidēśh gānv sab bābā kē dil mē̃ samāyē huē haĩ .

57:31.830 --> 57:35.100
achchhā .

57:42.030 --> 58:20.630
dō wings āī haĩ , medical wing aur security wing  : medical vālē ab aisī taiyārī karāō , karō

58:21.600 --> 58:56.100
jō sabhī jaisē bāpdādā nē kahā bēphikr bādśhāh , phikar nahī̃ tō bīmārī bhī nahī̃ .

59:01.860 --> 59:21.830
tō aisā plan banāō jō yahā̃ baiṭhē bhī khuśh rahē sabhī , khuśhī nahī̃ ganvāyē ,

59:22.100 --> 59:46.360
aisī davāī nikālō jō kabhī bhī kōī thōṛā sā tan sē yā man sē nākhuśh hō

59:46.800 --> 59:53.630
tō davāī kō yād kartē hī khuśh hō jāē .

59:56.130 --> 59:59.300
vah davāī kyā hai  ?

59:59.560 --> 01:00:05.800
mērā bābā .

01:00:12.900 --> 01:00:32.760
tō sabhī kē man mē̃ mērā bābā biṭhā dō tō yah davāī hō jāyēgī .

01:00:38.800 --> 01:00:41.230
achchhā .

01:00:41.230 --> 01:00:57.960
bahut achchhā , sēvā kar rahē haĩ , kartē chalō vijay tō āpkē sāth hai hī hai .

01:01:02.000 --> 01:01:37.530
security wing  : security vālē puruṣhārth karkē mēhnat tō hai ,

01:01:37.860 --> 01:02:05.100
lēkin puruṣhārth karkē aisī sahaj saphal hōnē vālī davāī mānā mantra , aisā nikālō

01:02:09.130 --> 01:02:22.100
jō din pratidin abhī duḥkh tō baṛhnā hī hai , halchal tō hōnī hai

01:02:22.860 --> 01:02:37.430
lēkin halchal mē̃ bhī svayã kō achal banā sakē ,

01:02:38.960 --> 01:03:14.030
aisē kōī sahaj bāt nikālō jō vah bāt sāmnē ānē sē man khuśh hō jāē tō tan kī bīmārī feel nahī̃ hōgī .

01:03:14.030 --> 01:03:42.430
yah security kā ilāj short mē̃ aisā nikālō ,

01:03:43.500 --> 01:03:59.300
jaisē brāhmaṇ lōg vardān paṛh karkē khuśh hō jātē haĩ nā .

01:04:00.230 --> 01:04:39.900
aisē kōī salvation kā sādhan nikālō jō kōī bhī adhyayan karnē sē parivartan hō jāē .

01:04:50.760 --> 01:05:01.700
security kē kōī chhōṭē-chhōṭē sādhan taiyār karō

01:05:02.000 --> 01:05:29.030
jō jaisē samay abhī aur nājuk hōnē vālā hai , usmē̃ aisē samay par kārya mē̃ āvē .

01:05:32.200 --> 01:05:36.200
āp tō ever ready hō nā  ?

01:05:36.200 --> 01:05:44.860
ever ready hō kōī bhī samay āvē , kaisā bhī samay āvē

01:05:44.860 --> 01:06:06.360
lēkin brahmākumār aur brahmākumārī har ēk har samay par sadā khuśh rahē .

01:06:06.360 --> 01:06:16.600
brahmākumār aur brahmākumārī kī khuśhī gāyab nahī̃ hō , hō saktā hai  ?

01:06:16.600 --> 01:06:20.960
hō saktā hai hāth uṭhāō .

01:06:23.400 --> 01:06:26.030
achchhā .

01:06:26.460 --> 01:06:35.760
bāpdādā nē sabkā hāth dēkhā , āp hāth uṭhāō .

01:06:49.030 --> 01:07:05.300
tō samay tō ātē rahē̃gē , bāpdādā result dēkhē̃gē , sabhī nē hāth uṭhāyā hai tō samay par bhī bēphikr bādśhāh .

01:07:08.830 --> 01:07:13.500
bēphikr bhī bādśhāh bhī .

01:07:19.930 --> 01:07:28.760
chhōṭī bātē̃ bhī baṛī bātē̃ bhī ānī tō haĩ ,

01:07:30.130 --> 01:07:45.030
lēkin brahmākumār aur kumāriyō̃ kē liē kōī baṛī bāt nahī̃ , kalp-kalp dēkhī huī hai .

01:07:45.560 --> 01:07:49.560
kalp-kalp pass kiyā hai .

01:07:52.930 --> 01:08:07.200
aisē anubhavī ban ab bhī aisē pass hō jāyēṅgē jaisē khēl hō .

01:08:12.860 --> 01:08:15.960
aisī himmat hai nā .

01:08:15.960 --> 01:08:19.660
himmat hai  !

01:08:19.660 --> 01:08:24.900
dō-dō hāth uṭhāō .

01:08:28.500 --> 01:08:32.960
pīchhē vālē uṭhā rahē haĩ .

01:08:42.100 --> 01:09:21.760
double vidēśhī  : double vidēśhiyō̃ kō apnā title yād hai nā  ?

01:09:21.960 --> 01:09:24.100
kaun hō āp  !

01:09:24.100 --> 01:09:28.400
double puruṣhārthī .

01:09:29.800 --> 01:09:41.430
aur bāpdādā nē dēkhā hai , himmat achchhī rakhtē haĩ .

01:09:44.060 --> 01:09:54.460
majority samay par pass bhī hō jātē haĩ .

01:09:57.460 --> 01:10:05.730
bāpdādā kē pās samāchār ātē haĩ

01:10:11.230 --> 01:10:21.460
aur āpkī nimitt dādī vah bhī sunātī rahtī haĩ .

01:10:27.760 --> 01:10:33.030
sabkō prāṇ bhartī rahtī haĩ .

01:10:45.100 --> 01:10:46.960
achchhā .

01:10:48.330 --> 01:11:08.960
āp sadā ēk bāt yād rakhnā - hamē vijayī bannā hī hai .

01:11:08.960 --> 01:11:20.800
chāhē kōī bhī circumstance hō lēkin hamārā nām vijayī hai .

01:11:20.800 --> 01:11:29.930
vijay hamārē jīvan kā sahārā hai .

01:11:29.930 --> 01:11:35.160
vijay huī paṛī hai .

01:11:39.860 --> 01:11:41.830
achchhā .

01:11:41.830 --> 01:12:00.100
bāpdādā kē pās samāchār ātē haĩ tō vidēśh kī result bhī achchhī hai , bāpdādā khuśh hai .

01:12:08.760 --> 01:12:12.930
achchhā .

01:12:21.330 --> 01:12:35.830
āj tō chārō̃ ōr kē bachchō̃ sē milan manā rahē haĩ .

01:12:38.100 --> 01:13:00.130
sabhī kē dil mē̃ bābā , bābā aur bābā , yah anubhav bāp kō bhī hō rahā hai

01:13:00.500 --> 01:13:12.900
lēkin śharīr kā hisāb śharīr jānē .

01:13:14.900 --> 01:13:37.230
bākī āp sabhī nē aur bāpdādā nē bhī dēkhā aur hī sabhī kō bāpdādā kī yād jyādā ātī hai ,

01:13:37.230 --> 01:13:51.000
kab milēgā , kab milēgā , kab milēgā . ismē̃ bhūltā kam hai .

01:13:52.160 --> 01:14:07.800
lēkin śhām kā samay milan kā hai tō miltē rahē̃gē .

01:14:20.200 --> 01:14:43.530
chārō̃ taraph kē bachchō̃ kā yādpyār miltā rahtā hai  ?

01:14:46.360 --> 01:15:03.460
jitnā bachchē yād kartē usmē̃ 100 guṇā jyādā bār bhī bachchō̃ kō yād kartē haĩ

01:15:07.560 --> 01:15:31.260
sadā bachchē jaisē vāh bābā vāh bābā kahtē vaisē bāp bhī har taraph kē bachchō̃ kō vāh bachchē vāh bachchē kahtē haĩ

01:15:32.030 --> 01:15:46.830
aur saṅkalp mē̃ yādpyār dētē rahtē haĩ achchhā .

01:15:48.830 --> 01:15:57.760
āgē jō drama mē̃ hōgā vah hōtā rahēgā .

01:15:59.300 --> 01:16:20.960
mōhinī bahan nē bahut-bahut yād dī hai  : achchhī yād aur hisāb chuktū dōnō̃ kar rahī hai .

01:16:20.960 --> 01:16:28.230
bāpdādā bhī śhakti dētē rahtē haĩ .

01:16:28.360 --> 01:16:33.500
bābā kē pās yād pahuñchtī hai

01:16:46.860 --> 01:17:08.760
dādī jānkī sē  : ( galē lagī ) ēk kō kiyā arthāt sabkō kiyā .

01:17:50.830 --> 01:17:55.330
bāpdādā tō miltē rahē̃gē .

01:18:09.060 --> 01:18:31.230
saṅgamyug hai hī bāp aur bachchō̃ kē milan kā , yug hī yah hai isīliē miltē rahē̃gē .

01:19:34.300 --> 01:19:43.760
( nirvēr bhāī nē kuchh bhāī bahinō̃ kī yād dī ) jinhōnnē bhī yād dī hai unkō padamguṇā yādpyār .

01:19:44.900 --> 01:20:07.130
rukmaṇī dādī nē bhī yād diyā hai , uskō bhī padamguṇā yādpyār dēnā .

01:20:10.430 --> 01:20:24.800
( 3-4 dinō̃ mē̃ kuchhēk bhāī bahinō̃ kē accident huē haĩ )

01:20:24.800 --> 01:20:38.530
sabhī kō ēk-ēk jō bhī kuchh nīchē ūpar huē haĩ yād dēnā

01:20:38.530 --> 01:20:57.000
lēkin thōṛā sā āgē kē liē driver jō hai

01:20:57.900 --> 01:21:06.100
unkō thōṛā sā kōī alag mē samjhā dēnā  !

01:21:07.300 --> 01:21:15.100
thōṛā jaldī kartē haĩ , yah jaldī nahī̃ karnā chāhiē .

01:21:15.100 --> 01:21:26.700
vah samajhtē haĩ ham pahlē pahuchēṅgē , pahuchēṅgē tō pahlē lēkin result  ?

01:21:28.000 --> 01:21:40.030
isīliē khās drivers kō abhī thōṛā sā iśhārā dēnā chāhiē .

01:21:42.930 --> 01:21:45.600
ṭhīk hai .

01:21:55.500 --> 01:22:19.830
gītā kē bhagvān kē bārē mē̃  : ahiṃsā kā jō kiyā hai vah ṭhīk hai , ismē kaī sāthī hō jāyēṅgē ,

01:22:20.960 --> 01:22:38.700
vaisē bhī kaī hiṅsā kō māntē nahī̃ haĩ , tō un lōgō̃ kō najdīk lāō tō gītā kā bhagvān khud hī siddha hō jāyēgā .
