Murli romanisé (ISO 15919)

31-05-2023 prātaḥmurlī ōm śānti " bāpdādā " madhuban

«  mīṭhē baccē - tumhārē par māyā kā pūrā pahrā hai isliē jarā bhī ġaphlat na karō , dēhī-abhimānī rahnē key|kī mēhnat kartē rahō .

Praśna  : bāp kē pās kaun-sā bhaṇḍārā sadā bharpūr hai  ? Us bhaṇḍārē sē svayã kō bharpūr karnē kā sādhan kyā hai  ?

Uttar  : bāp kē pās pavitratā-sukh-śānti kā bhaṇḍārā sadā hī bharpūr hai . Sthāī sukh va śānti cāhiē tō jaṅgal mē̃ bhaṭaknē key|kī jarūrat nahī̃ hai . Pavitratā hī sukh aur śānti kā ādhār hai . Pavitra banō tō tumhārē sab bhaṇḍārē bharpūr hō jāyēṅgē . Bāp ātē hī haĩ baccō̃ kō pavitra banānē . Vah hai ever pavitra .

Gīt  : na vah hamsē judā hōṅgē …

Ōm śānti . Yah baccō̃ kā hī gāyā huā gīt baccē sun rahē haĩ . Yah baccō̃ key|kī ātmāyē̃ kahtī haĩ . Ab baccō̃ kō dēhī-abhimānī bannā hai arthāt apnē kō ātmā niścay karnā hai , na ki paramātmā . Jaisē sannyāsī lōg kahtē haĩ - ātmā sō paramātmā , isē ulṭī gaṅgā kahā jātā hai . Ab bāp samjhātē haĩ itnā samay tum sab dēh-abhimānī bantē āyē hō . Ab dēhī-abhimānī banō . Yah śikṣā miltī hai vāpis ghar jānē liē . Phir satyug mē̃ tō hai tumhārī prālabdha . Jab yahā̃ tum dēhī-abhimānī bantē hō aur bāp key|kī knowledge kō grahaṇ kartē hō phir jākar gyān key|kī prālabdha kā part bajātē hō . Vahā̃ tō dēh-abhimān vā dēhī-abhimānī kā praśna hī nahī̃ hai . Is samay tō manuṣyō̃ kō patā hī nahī̃ hai ki ham ātmā haĩ . Hamārā bāp paramātmā hai . Bilkul hī mūnjh gayē haĩ . Sannyāsiyō̃ nē kahā ki ham-tum sab paramātmā haĩ . Jidhar dēkhtā hū̃ tū hī tū hai , issē tō kuch bhī phāydā nahī̃ hōtā . Vō lōg tō iskō bhāvnā samajhtē haĩ . Parantu sabkī bhāvnā tō ēk jaisī nahī̃ hōtī . Ēk hī ghar mē̃ bāp baccē key|kī bhī bhāvnā ēk jaisī nahī̃ rahtī . Kahā̃-kahā̃ dēkhō baccē bāp kō bhī mār ḍāltē kyōṅki ghōr andhiyārā hai . Sab patit haĩ .

Abhī tum baccē svadarśan cakradhārī banē hō . Svadarśan cakradhārī bannē sē hī tum rājā-rānī bantē hō . Tō bāp baccō̃ kō bār-bār kahtē haĩ - dēhī-abhimānī banō . Aisē samajhō mujh ātmā kō paramātmā bāp apnā paricay dēkar paṛhā rahē haĩ . Hamārē saṅskār badlā rahē haĩ . Ātmā hī saṅskār lē jātī hai . Śarīr tō khatma hō jātā hai . Bābā abhī ham āpkē sāth hī yōg lagāyēṅgē . Yah hamārā vāydā kabhī miṭ nahī̃ saktā . Bhal pavitratā par anēk prakār kē|K vighna paṛē̃gē . Bahut kuch sahan karnā paṛēgā . Bacciyā̃ kahtī haĩ bābā yah sitam sahan karū̃gī . Jaisē duḥkh kē|K samay mukh sē nikaltā hai nā hāy rām , hē prabhu tum tō aisē nahī̃ kahē̃gē . Tum brāhmaṇ phir bābā kō yād kartē hō . Bābā ham duḥkh sē kab chūṭē̃gī , hamkō bahut mārtē haĩ . Gīt mē̃ bhī kahtē haĩ - kitnī bhī mār paṛēgī , bābā , āpkī yād kabhī nahī̃ bhūlē̃gē . Hamkō tō bābā kā hī bannā hai . Buddhi kā yōg unsē jōṛnā hai . Yah hai sab samajh key|kī bāt . Ēk din yah sitam bhī miṭ jāyēṅgē . Kuch tō jarūr sahan karnā paṛtā hai . Yah sab drama mē̃ nūndh hai . Abalāō̃ par atyācār bahut hōtē haĩ . Yah gīt bhī dēkhō pahlē sē hī banā huā hai , jiskā artha kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ . Tumhārē śāstra jaisēki yah record ban gayē haĩ . Sab kahtē haĩ aisē tō kahā̃ bhī nahī̃ hōtā jō record par artha kiyā jāē . Yah tō philmī records haĩ . Parantu yah bābā nē banavāyē haĩ . Tum baccō̃ kō is par samjhānā cāhiē . Hamkō pāvan tō jarūr bannā hai . Bāp kē|K farmān par calnā hai . Manuṣya tō jāntē nahī̃ . Vah tō śiv śaṅkar kō bhī milākar ēk kar dētē haĩ . Śrīkr̥ṣṇa bhī bhagvān hai , vah tō hāzirā-hazūr hai , jidhar dēkhō kr̥ṣṇa hī kr̥ṣṇa hai . Rādhē kē|K pujārī phir kahē̃gē jidhar dēkhō rādhē hī rādhē hai . Sānī bābā kē|K bhakta hōṅgē tō kahē̃gē jidhar dēkhō sānī bābā kitnā andhiyārā hai . Yah phir bhī hōnā hī hai , banā banāyā drama hai . Tum kahtē hō is gyān yagya sē vināś jvālā prajjavalit huī hai . Tō kahtē haĩ tumhārē bābā nē aisā yagya racā hai jō vināś karā dētē haĩ . Ham kahtē haĩ śānti hō jāē , tum phir vināś karātē hō . Rūdra gyān yagya nām tō hai nā . Yagya racā jātā hai brāhmaṇō̃ sē . Tum brahmākumār kumāriyā̃ brāhmaṇ ṭhaharē . Vah had kē|K yagya ractē haĩ sēṭh lōg . Usmē̃ rūdra yagya nāmīgrāmī hai . Vah usmē̃ gyān kā akṣar nahī̃ lagātē haĩ . Yah tō hai rūdra gyān yagya . Unkō gyān yagya nahī̃ kahē̃gē . Bābā nē samjhāyā hai gyān sē hī tumhārī sadgati hōtī hai . Vahā̃ ( satyug mē̃ ) is gyān key|kī darkār nahī̃ . Vahā̃ tō hai hī sadgati , svarg . Yah tō samajhnē key|kī bāt hai nā . Bāp baiṭh brāhmaṇō̃ kō gyān dētē haĩ . Dikhātē haĩ rath par rathī baiṭhē thē . Yah śarīr rath hai nā . Har ēk rath mē̃ rathī ātmā hai , ismē̃ bhī inkī ātmā hai . Parantu bābā kahtē haĩ maĩ rath kā loan lētā hū̃ . Jaisē makān lētē haĩ tō dhanī bhī rahtā hai aur lēnē vālē bhī rahtē haĩ . Yahā̃ yah rathī ban bābā ātē haĩ . Kahtē haĩ maĩ phir sē tumkō rājyōg sikhātā hū̃ . Aisē aur kōī kah na sakē . Yah sab points samjhāī jātī haĩ dhārṇā kē liē . Hamārā bābā hamkō svarg kā mālik banātē haĩ , kalp-kalp saṅgamyugē . Ēk akṣar key|kī bhī bhūl karnē sē kitnē avatār , kitnē nām likh diyē haĩ  ! Abhī barōbar kalpa vr̥kṣa kē nīcē tum baiṭhē hō . Rājyōg sīkh rahē hō bhaviṣya mē̃ rājā-rānī pad pānē liē . Yahā̃ tō karōṛpati , padampati haĩ , inkā sab kuch miṭṭī mē̃ mil jāyēgā . Natural calamities ādi sab acānak hī āyēṅgī . Pichāṛī mē̃ vināś tō hōnā hī hai . Ḍhēr kē|K ḍhēr bombs sabkē pass|pās haĩ . Vah aisē hī samudra mē̃ thōṛēhī phēṅk dēgē . Yah tō unhō̃ key|kī lākhō̃-krōṛō̃ key|kī milkiyat hai . Yah na banē̃ tō vināś kaisē hō . Ēkdam jalkar jaisē khāk hō jāyēṅgē . Aisē nahī̃ jakhmī hōkar duḥkh bhōgtē rahē̃gē . Cīz hī aisī bantī hai jō phaṭ sē khalās hō jāyēṅgē . Tō ēk dharm key|kī sthāpanā aur anēk dharmō̃ kā vināś - yah tō clear hai . Brahmā dvārā svarg key|kī sthāpanā kar rahē haĩ . Svarg mē̃ rahnē vālō̃ kō lāyak banā rahē haĩ . Pavitra bannē vālō̃ kē āgē sab naman kartē haĩ . Ab bāp bhī kahtē haĩ pavitra banō . Abhī tumhārī ātmā kē|K paṅkh ṭūṭē huē haĩ . Tum uṛē̃gē kaisē  ? Jitnā gyān-yōg bal key|kī dhārṇā karē̃gē tō paṅkh ā jāyēṅgē . Rājdhānī lēnā kōī māsī kā ghar nahī̃ hai .

Mukhya bāt hai aham ātmā , yah hai mērā śarīr . Aham ātmā haĩ hī śānt svarūp . Śānti kē liē dhakkā khānē key|kī darkār nahī̃ . Ēk kahānī batātē haĩ nā - rānī kē|K galē mē̃ hār paṛā thā lēkin vah bāhar mē̃ ḍhūṇḍh rahī thī . Tum rāniyā̃ hō , śānti kē liē jaṅgalō̃ mē̃ jānē key|kī darkār nahī̃ . Yahā̃ tō hai hī māyā kā rājya . Yahā̃ śānti hō nahī̃ saktī . Kōī kahtē haĩ hamkō phalānē sē śānti milī . Parantu vah tō hai alpakāl kāg viṣṭā samān sukh athavā śānti . Hamkō tō avināśī cāhiē nā . Tum baccō̃ kō cāhiē sthāī śānti . Pavitratā sē śānti-sukh jitnā cāhiē utnā low|lō . Śivbābā kā bhaṇḍārā hai nā . Jō ever pavitra haĩ vahī ākar sabkō pāvan banātē haĩ . Sannyāsī tō samajhtē haĩ ātmā nirlēp hai . Bākī śarīr par pāp lagtā hai . Tō ab tum baccē jāntē hō - bāp hai svarg key|kī sthāpanā karnē vālā . Yathārtha rīti samjhānē sē samajhē̃gē ki barōbar inhō̃ kō paṛhānē vālā tō parampitā paramātmā hai , jiskō hī patit-pāvan sadgati dātā kahā jātā hai . Sabhī kō durgati sē sadgati mē̃ lē jātē haĩ . Sadgati tō bāp hī karē̃gē nā . Unkō kahā hī jātā hai sadgati dātā . Durgati dātā tō nahī̃ kahē̃gē nā . Patit-pāvan kahē̃gē phir patit kaun banātē haĩ  ? Yah bhī kōī nahī̃ jāntē . Bāp kahtē haĩ tum vām mārg mē̃ girtē hō tō rāvaṇ key|kī pravēśtā hō jātī hai . Mandirō̃ mē̃ baṛē-baṛē kālē citra rādhē-kr̥ṣṇa kē|K rakhē haĩ . Nām hī rakhā hai śyām sundar . Satyug mē̃ sundar thā phir kaliyug mē̃ māyā sarp nē ḍas kar kālā kar diyā . Ab kahā̃ key|kī bāt kahā̃ lē gayē haĩ . Manuṣyō̃ kō kuch bhī patā nahī̃ hai . Bāp racayitā aur racnā kā kiskō patā nahī̃ hai . Bāp baccō̃ kō samjhātē haĩ - baccē , khabardār rahnā , māyā baṛī kaṛī hai . Is samay tō tamōpradhān hai , kiskō bhī pachāṛnē mē̃ dērī nahī̃ kartī , ēkdam nāk sē pakaṛkar girā dētī hai . Yah hai yuddha sthal isliē bābā bār-bār samjhātē haĩ tum apnā kalyāṇ cāhō tō dēhī-abhimānī banō . Apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō tō ant matī sō gati hō jāyēgī . Sab saṅskār sāmnē khaṛē hō jātē haĩ . Anēk janmō̃ kē|K pāp vināś karnē mē̃ time lagtā hai . Tumhārā ant tak puruṣārth caltā hai . Pahlī-pahlī bāt hai dēhī-abhimānī bannā . Paramātmā bāp ham ātmāō̃ kō paṛhākar āp samān banā rahē haĩ . Barrister jarūr āp samān barrister banāyēgā . Phir hai puruṣārth par madār . Kōī barrister tō ēk hī case mē̃ lākh rūpayā bhī kamātē haĩ . Ab tum baccō̃ kō bāp kahtē haĩ ki puruṣārth kar ūñc pad pāō . Yahā̃ kē|K padampati tō sab khāk mē̃ mil jāyēṅgē . Maĩ hū̃ hī garīb nivāz .

Ab dēkhō , jō laṛāī kartē haĩ unkā kām hī marnā aur mārnā hai . Vah saṅskār lē jātē haĩ . Janma|janam bhal gr̥hasthī kē|K ghar mē̃ lē̃gē parantu phir laṛāī mē̃ calē jātē haĩ . Bābā tō bahut sahaj samjhātē haĩ . Janma|janam-janma|janam kē|K pāp haĩ isliē yōg bahut acchā cāhiē tab hī vikarma vināś hōṅgē . Sir sē bōjhā kaisē utārē̃ - iskē liē jitnā hō sakē utnā bāp kō yād karnā cāhiē . Bābā , āp kitnē mīṭhē hō  ! Bāp kahtē haĩ - lāḍlē baccē , ġaphlat nahī̃ karnā . Māyā pūrā pahrā dē rahī hai isliē dēhī-abhimānī bhav . Yah hai buddhiyōg key|kī race , ismē̃ hī sab kuch hai . Bābā bār-bār kahtē haĩ apnā kalyāṇ cāhtē hō tō yōg bahut acchā cāhiē . Phir bahut harṣit rahē̃gē . Ham īśvar key|kī santān haĩ . Hamkō bhaviṣya kē liē bāp sē varsā miltā hai . Kaliyug mē̃ tō nahī̃ rājya karē̃gē . Rājya karnā hai satyug mē̃ . Dēhī-abhimānī bannā bahut baṛī mañjil hai . Aisē thōṛēhī viśva kā mālik banē̃gē . Sitam bhī bahut sahan karnē paṛē̃gē . Kitnī bāndhēlī bacciyā̃ mār khātī haĩ . Ākhrīn vijay tum baccō̃ kī hai hī . Tum sirph bāp key|kī yād mē̃ rahō . Yah hai yōgbal , jō bāp tumhē̃ ēk hī bār sikhlātē haĩ jissē tum sārē viśva kā mālik bantē hō aur tō kōī ban na sakē . Sārē drama mē̃ sarvaśrēṣṭha part lakṣmī-nārāyaṇ kā hī hai . Ēk kahānī hai nā - dō billē āpas mē̃ laṛē , makkhan bīc mē̃ bandar khā gayā . Śrīkr̥ṣṇa kē|K mukh mē̃ mākhan dikhātē haĩ . Ab mākhan key|kī tō kōī bāt hī nahī̃ . Yah hai svarg , ismē̃ sārī sr̥ṣṭi kā mākhan ā jātā hai . Bāp svarg kā mālik banātē haĩ , aisē bāp sē tō kahā̃ sē bhī bhāg kar milnā cāhiē . Acchā .

Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē baccō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī baccō̃ kō namastē .

Dhārṇā kē liē mukhya sār ḥ

1 ) maĩ is rath par virājamān rathī ātmā hū̃ , yah abhyās kartē pūrā-pūrā dēhī-abhimānī bannā hai . Buddhi-yōg key|kī race karnī hai .

2 ) pūrā naṣṭōmōhā bannā hai . Is antim janma|janam mē̃ sitam sahan kartē bhī pāvan jarūr bannā hai .

Vardān  : nothing new key|kī smr̥ti sē sab praśnō̃ kō samāpta kar bindī lagānē vālē acal aḍōl bhav

Kōī bhī bāt hōtī hai tō āp baccō̃ kō yah gyān hai ki nothing new , har scene anēk bār repeat kī hai . Nothing new key|kī smr̥ti sē kabhī bhī halcal mē̃ nahī̃ ā saktē , sadā hī acal aḍōl rahē̃gē . Kōī naī bāt hōtī hai tō āścarya sē nikaltā hai yah kyā , aisē hōtā hai kyā  ? Lēkin nothing new tō kyā , kyō̃ kā question nahī̃ , fullstop ā jātā hai . Aisē har dr̥śya kō dēkhtē bindī lagātē calō tō hāy-hāy mē̃ bhī vāh-vāh kē|K gīt gātē rahē̃gē .

Slōgan  : sukhdātā bāp kē|K sukh svarūp baccē bankar rahō tō duḥkh key|kī lahar ā nahī̃ saktī .