मंगलवार 21 जनवरी 1969 की अव्यक्त मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> 21-01-69 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
" śharīr chhūṭā parantu hāth aur sāth nahī̃ "
Sabhī avyakt mūrt hō baiṭhē hō ? Vyakt rūp mē̃ rahtē avyakt sthiti mē̃ rahnā hai . Jab avyakt sthiti mē̃ sthit hō jāyēṅgē tō us avyakt sthiti mē̃ kōī uljhan nahī̃ rahēgī . Vartamān samay chal rahē sabhī part āp bachchō̃ kō ati śhīghra avyakt banānē K|kē sādhan hai . Ḍagmag hōnē key|kī jarūrat nahī̃ . Śhurū mē̃ yah key|kī sthāpanā bhī anāyās hī huī thī . Jab āp śhurū mē̃ yagya key|kī sthāpanā mē̃ āyē thē tō āp sabhī sē niśhchay K|kē patra likhāyē thē . Yahī niśhchay likhātē thē ki agar brahmā chalā jāē - tab bhī hamārī avasthā , hamārā niśhchay aṭal rahēgā . Vah niśhchay patra yād hai ? Niśhchay uskō kahā jātā hai jismē̃ kisī bhī prakār kā , kisī bhī sthiti anusār , vighna K|kē samay sanśhay nahī̃ ātā . Paristhitiyō̃ tō badalnī hī haĩ , badaltī hī rahē̃gī . Lēkin āp jaisē gīt gātē hō nā-badal jāē duniyā na badalē̃gē ham tō aisē hī āp sabhī niśhchay buddhi āj K|kē saṅgaṭhan mē̃ baiṭhē huē hō ? Āpkī mama āp sabkō kahā kartī thī ki niśhchay K|kē jō bhī ādhār ab tak khaṛē haĩ vah sab ādhār nikalnē hī haĩ aur nikaltē huē bhī uskī nīṃv majbūt hai . Agar nīṃv majbūt nahī̃ tō ādhār key|kī āvaśhyaktā hai . Ādhār kaunsā ? Bābā kā ādhār , saṅg - ṭhan kā ādhār , parivār K|kē niyamō̃ kā ādhār nahī̃ chhōṛnā . Parantu parīkṣhā K|kē samay jō scene sāmnē ātī hai usmē̃ niśhchay tō nahī̃ ṭūṭā . Niśhchay aṭūṭ hōtā hai . Vah tōṛnē sē ṭūṭtā nahī̃ . Aisē hī niśhchay buddhi galē K|kē hār haĩ . Kyā brahmā āpkā bahut pyārā hai ? Thā nahī̃ parantu hai . Tō kyā vah nahī̃ kahā kartē thē ? Bātē̃ tō sabhī bōlī huī haĩ . Samay par yād ānā hī tīvr puruṣhārth hai . Yād karō . Vah bhī āp bachchō̃ kō majbūt banānē kē liē kahtē thē . Bāpdādā nē bachchō̃ kā itnā śhrr̥iṅgār kiyā hai tō kyā bachchē itnā śhrr̥iṅgār dhārī nahī̃ banē haĩ ? Ēk din aisā samay āyēgā jō is bāpdādā K|kē śhrr̥iṅgār kō yād karē̃gē . Tō abhī vah samay hai . Pahlē tō vah apnē kō nirahaṅkārī , namrachit kahtē huē kaī bachchō̃ kō yah sunātē thē ki maĩ bhī abhī sampūrṇ nahī̃ banā hū̃ . Maĩ bhī abhī nirantar dēhī abhimānī nahī̃ banā hū̃ . Lēkin āpnē apnē anubhav K|kē ādhār sē tīn chār mās K|kē andar dhyān diyā hōgā , sanmukh milnē kā saubhāgya prāpt huā hōgā tō anubhav kiyā hōgā ki yah brahmā ab sākārī nahī̃ lēkin avyakt ākārī rūpdhārī hai . Kuchh varṣh pahlē brahmā chhōṭī-chhōṭī bātē̃ suntē thē , samay dētē thē lēkin ab kyā dēkhā ? In chhōṭī-chhōṭī bātō̃ kō na sunnē kā kāraṇ kyā thā ki yah samay nirantar yād mē̃ bītē . Kyā āp bachchō̃ nē unkē tan dvārā kabhī note nahī̃ kiyā ki unkē mastak mē̃ sitārā chamaktā huā najar ātā thā ? Avyakt sthiti mē̃ jō hōṅgē unhōnnē avyakt mūrt kō jānā , pahchānā . Jō khud nahī̃ avyakt avasthā mē̃ rahtē thē unhō̃ nē amūlya ratan kō pūrī rīti nahī̃ pahchānā . Abhī bhī sthāpanā kā kārya brahmā kā hai na ki hamārā . Abhī bhī āp bachchō̃ key|kī pālnā brahmā dvārā hī hōgī . Sthāpanā K|kē ant tak brahmā kā hī part hai . Abhī āp sabhī bachchē sōchtē hōṅgē ki brahmā dvārā paṛhāī kaisē hōgī . Yū̃ tō vāstav mē̃ avasthā K|kē pramāṇ kaisē , kyō̃ K|kē question uṭhnā nahī̃ chāhiē . Lēkin kaī bachchō̃ K|kē andar praśhna tō kyā lēkin kāphī halchal kā sāgar śhurū hō gayā hai . Yah pahlā paper bahut thōṛō̃ nē pās|pass kiyā . Kuchh tō dhīrya rakhō . Jab avināśhī gyān hai , avināśhī paṛhāī hai tō phir yah praśhnō̃ key|kī halchal kyō̃ ? Phir bhī usī halchal kō śhānt karnē kē liē samjhā rahē haĩ .
Class jaisē chaltī hai vaisē hī chalēgī . Kyā sunāyēṅgē ? Jō brahmā kā tan mukarar hai tō murlī usī K|kē tan dvārā jō chalī hai vahī murlī hai . Aur sandēśhiyō̃ dvārā thōṛē samay kē liē jō service kartē haĩ , unkō murlī nahī̃ kahā jātā hai . Us murlī mē̃ jādū nahī̃ hai . Bāpdādā key|kī murlī mē̃ hī jādū hai . Isliē jō bhī muraliyô chal chukī haĩ , vah sabhī revise karnī hai . Jaisē pahlē post jātī thī vaisē hī mukhya sēvākēndra par ābū sē jātī rahēgī . Kyā āpkō ēk varṣh pahlē jō murlī chalī thī vah yād hai ? Kal jō paṛhī hōgī vah bhī yād nahī̃ hōgī . Kaī pyāinṭsa aisī haĩ jō kaī bār paṛhnē sē bhī buddhi mē̃ nahī̃ ṭhahartī . Isliē murlī aur patra kā jaisē connection hōtā hai vaisē hī hōgā . Jaisē āp madhuban mē̃ refresh hōnē ātē hō vaisē hī āyēṅgē . Kyā karē̃ , kissē milnē āvē̃ ? Ab phir yah praśhna uṭhtā hai ? Kissē refresh hōṅgē ? Jō lucky sitārē haĩ arthāt jō nimitt mukhya haĩ unkē sāth pūrā sambandh jōṛkar jō bhī āpkē sēvākēndra key|kī result hai , samasyāē̃ hai jō bhī sēvākēndrō key|kī unnati hai , jō bhī nayē-nayē fool|phūl us phulavāḍī sē khiltē haĩ , unkō bhī saṅgaṭhan kā sākṣhātkār karānē madhuban mē̃ lē ānā hai . Sāth-sāth aisē saṅgaṭhan K|kē bīch bāpdādā nimitt banī huī sandēśhī dvārā pūrī sēvā karē̃gē . Abhī kōī aur praśhna rahā ? Āp sōchtē hōṅgē ki lōg pūchhē̃gē ki āpkā brahmā bābā 100 varṣh sē pahlē hī chalā gayā . Yah tō bahut sahaj praśhna hai kōī muśhkil nahī̃ . 100 K|kē najdīk hī tō āyu thī yah jō 100 varṣh kahē huē haĩ yah galat nahī̃ hai . Agar kuchh rahā huā hai tō ākār dvārā pūrā karē̃gē . 100 varṣh brahmā key|kī sthāpanā kā part hai . Vah tō 100 varṣh pūrā hōnā hī hai lēkin bīch mē̃ brahmā kē bād brāhmaṇō̃ kā jō part hai vah ab chalnā hai . Brahmā nē brāhmaṇ kisliē rachē ? Kyā brahmā apnī rachnā kō dēkhē̃gē nahī̃ ? Kyā āpkō ab kām par jimmēvārī kā tāj nahī̃ dēgē ? Tō satyug mē̃ dēvtā kaisē banē̃gē . Yahā̃ key|kī jimmēvārī hī vahā̃ key|kī nīṃv ḍāltī hai . Isliē jō bhī āp bachchō̃ sē praśhna kartē haĩ unhē̃ yahī uttar dō ki brahmā key|kī sthāpanā tō chalnī hī hai . Abhī bachchō̃ key|kī paṛhāī kā samay bilkul hī najdīk hai . Yah tō harēk murlī mē̃ mama kē bād īśhārā diyā hai . Kyā paper mē̃ tithi tārīkh batāyā jātā hai ? Jō pahlē sē hī batāyā jāē uskō kyā paper kahē̃gē ? Paper vah hōtā hai jō achānak hōtā hai . Kiskē man mē̃ jō hōtā hai vah achānak nahī̃ hōtā hai . Result mē̃ kyā dēkhā ! Pūrē pās|pass nahī̃ huē . Kuchh na kuchh kamī ēk-ēk mē̃ dēkhī . Phir bhī bahut achchhā . Kyōṅki samay puruṣhārth kā hai . Us pramāṇ result achchhī hī kahē̃gē . Bākī tō bāpdādā dōnō̃ hī ēk bāt par khuśh thē . Vah kaunsī ?
Bachchō̃ nē saṅgaṭhan aur snēh dōnō̃ kā sabūt diyā . Brahmā vatan sē dēkh rahē thē ki kaisē-kaisē kōī ātā hai , kab-kab ātā hai . Kis rūhāb sē ātā hai . Kis sthiti sē miltē haĩ ! Yah bhī result bāpdādā dōnō̃ hī ikaṭṭhē dēkhtē rahē . Tō harēk khud kō dēkhē aur khud mē̃ jō kamī hō uskō bharē . Bākī āj sē sabhī kē liē kaun nimitt hai ? Vah tō āp jāntē hī haĩ - dīdī tō hai , sāth mē̃ kumārkā madadgār hai . Jaisē aur sabhī likhā-paṛhī chaltī thī vaisē hī head quarter sē chaltī rahēgī . Yah dōnō̃ āp sabhī key|kī dēkh-rēkh kartī rahē̃gī . Agar āvaśhyaktā huī tō āp sabhī K|kē sēvākēndrō̃ par chakkar lagātī rahē̃gī . Lēkin ab kā paper kyā hai ? Yah tō achānak paper nikalā parantu jō ānē vālā paper hai , vah batātē haĩ . Ab ēkmat , antarmukh aur avyakt sthiti mē̃ sthit hōkar sambandh mē̃ āō . Yahī bāpdādā jō paper batā rahē haĩ uskī result dēkhē̃gē . Pichhāṛī K|kē samay brahmā tan dvārā jō śhikṣhā dī hai vah tō sabhī nē sunī hī hōgī aur yād bhī hōgī .
Āj K|kē din is saṅgaṭhan K|kē bīch kuchh dēnē bhī āyē hō tō kuchh lēnē bhī āyē hō . Tō jō lē̃gē vah dēnē kē liē taiyār haĩ ? Jiskē dil mē̃ kuchh saṅkalp ātā hō ki nāmālūm kyā hō-aisī tō kōī bāt nahī̃ hōgī vah hāth uṭhāvē - agar sabhī santuṣhṭ haĩ tō jō lē̃gē uskō dēnē mē̃ bhī santuṣhṭ rahē̃gē . Dō bātō̃ kā āj is saṅgaṭhan K|kē bīch dān dēnā hai . Kaunsī dō bātē̃ ? Ēk mukhya bāt ki āj sē āpas mē̃ ēk dō kā avguṇ na dēkhnā , na sunnā , na chit par rakhnā . Agar kōī bahin yā bhāī kī kōī bhī bāt dēkhnē mē̃ āyē tō nimitt banē huē jō haĩ unkē dvārā unkō īśhārā dilā saktē hō . Dūsrī bāt kaī lōg āpkē niśhchay kō ḍagmag karnē kē liē bātē̃ bōlē̃gē , āvāj phailayēṅgē ki ab dēkhē yah sansthā kaisē chaltī hai . Lēkin un lōgō̃ kō yah mālūm nahī̃ ki inhō̃ kā ādhār avināśhī hai . Dūsrā yah bhī dhyān mē̃ rakhnā ki kōī bhī hilānē key|kī kōśhiśh karē tō jaisē āp bachchō̃ kā kalp pahlē kā gāyan hai aṅgad K|kē samān pāṅw kō nahī̃ hilānā hai . Aisē niśhchay buddhi aḍōl , ēkras hī , jō ānē vālē last paper haĩ , usmē̃ pās|pass hōṅgē . Aur hī brahmā dvārā jō itnē brāhmaṇ rachē haĩ tō kyā bāp K|kē jab bachchē baṛē hō jātē haĩ tō bāp retired nahī̃ hōtā ? Ab aisē samjhō ki bāp retired avasthā mē̃ bhī āpkē sāth hai . Āp bachchō̃ kō kārya dēkar dēkhtē rahē̃gē . Śharīr chhūṭā parantu hāth-sāth nahī̃ chhūṭā . Buddhi kā sāth-hāth nahī̃ chhūṭā . Vah tō avināśhī kāyam rahēgā . Yah dō bātē̃ jō sunāī-ēk ḍagmag na hōnē kā dān dēnā hai . Dūsrā avguṇ na dēkhnē kā dān dēnā hai . Agar sabhī bachchē yah dhyān dē jabki saṅkalp kar chukē ārthāt dē chukē . Saṅkalp key|kī huī chīj kabhī vāpas nahī̃ lī jātī . Agar māyā vāpas lēnē key|kī kōśhiśh karāyē bhī tō yadi apnē ūpar jāñch hōgī tō pās|pass hō jāyēṅgē .
Abhī ēk aur bāt āp sabkē dhyān par dē rahē haĩ -
Bāpdādā key|kī last murlī mē̃ jō śhikṣhā milī hai ki yah dhyān dīdār jyādā chalānā samay vyarth ganvānā hai . Isliē yah nahī̃ hōnā chāhiē . Aisē na hō sandēśhiyō̃ dvārā centre par jō part chalē , usē āp check na kar pāō . Is - liē yah nimitt banī huī dīdī aur kumārkā jis sandēśhī kō mukarar karēgī unhō̃ K|kē dvārā direction milē̃gē . Is part kē liē bhī yah jiskō nimitt banāyēṅgī us dvārā hī rahasya spaṣhṭ hōṅgē . Jaisē pichhāṛī key|kī murlī mē̃ yah bhī direction thā ki bhōg K|kē samay baikuṇṭh ādi mē̃ jānā vyarth samay ganvānā hai . Kyōṅki yah ghūmnā phirnā ab śhōbhtā nahī̃ . Ab tō nirantar yād kī yātrā aur jō śhikṣhā milī hai usē practical life mē̃ dhāraṇ karnē kā sabūt dēnā hai . Agar brahmā bābā kē sāth snēh hai tō snēh key|kī niśhānī kyā hai ? Snēh yah nahī̃ ki dō āṅsū bahā diyē . Parantu snēh uskō kahā jātā hai - jis chīj sē uskā snēh thā ussē āpkā hō . Uskā snēh thā service sē . Pichhāṛī mē̃ bhī service kā sabūt diyā nā . Tō snēh kahā jātā hai service sē pyār , uskī āgyāō̃ sē pyār . Bākī kōī bhī aisā na samajhē ki nā mālūm binā ham bachchō̃ key|kī chhuṭṭī K|kē sākār bābā kō vatan mē̃ kyō̃ bulāyā . Lēkin chhuṭṭī dilātē tō āp dētē ? Isīliē drama mē̃ pahlē bhī dēkhā ki jō bhī gayē chhuṭṭī lēkar nahī̃ gayē . Isliē yah samjhō ki brāhmaṇ kul key|kī drama mē̃ yah rasam hai . Jō drama mē̃ nūndhī huī hai vah rasam chalī . Yū̃ tō samajhtē haĩ ki āp sabhī kā bahut pyār sākār kē sāth thā . Thā nahī̃ hai bhī . Pyār nahī̃ hōtā tō is sabhā mē̃ kaisē hōtē . Sākār mē̃ follow karnē kē liē inkā hī tan thā tō pyār kyō̃ nahī̃ hōgā . Snēh thā aur hai bhī . Yah bāp bachchō̃ key|kī niśhānī hai . Issē sākār bhī vatan mē̃ muskarā rahē haĩ . Bachchō̃ kā snēh hai tō kyō̃ mērā nahī̃ . Lēkin vah jāntē haĩ ki drama mē̃ jō bhī part hōtā hai vah kalyāṇ - kārī hai . Vah vichalit nahī̃ hōtē . Vah tō sampūrṇ achal , aḍōl , sthir thā aur hai bhī . Lēkin āp bachchō̃ sē hajār guṇā snēh unmē̃ jāstī hai . Ab snēh kā sabūt dēnā hai . Yah bhī ēk chhipnē kā khēl hai . Tō vichār sāgar manthan karō , halchal kā manthan na karō . Jō śhakti lī hai unkō pratyakṣha mē̃ lāō . Bhārat mātā śhakti avatār ant kā yahī nārā hai . Son shows father . Drama key|kī nūndh karāyēgī . Sākār bābā nē kahā maĩ bachchō̃ sē milan manānē āūṅgā . Agar āj ā jātā tō bachchē āṅsū bahā dētē .
Achchhā !