गुरुवार 6 फ़रवरी 1969 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

06-02-69 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

" mahimā sunnā chhōṛō – mahān banō̃ "

Sabhī yād kī yātrā mē̃ baiṭhē hō  ? Paṛhāī kā sār tō samajh mē̃ ā gayā . Us sār kō jīvan mē̃ lākar K|kē duniyā kō vah rāj sunānā hai . Rachayitā aur rachnā key|kī knowledge kō tō samajh gayē hō . Sunā tō bahut hai lēkin ab jō sunā hai vah svarūp bankē sabhī kō dikhānā hai . Kaisē dikhāyēṅgē  ? Āpkī her|har chalan sē bāp aur dādā K|kē charitra najar āvē . Āpkī ā̃khō̃ mē̃ us hī bāp kō dēkhē̃ . Āpkī vāṇī sē unhī̃ key|kī knowledge kō sunē̃ . Her|har chalan mē̃ , her|har charitra samāyā huā hōnā chāhiē . Sirph bāp K|kē charitra nahī̃ lēkin bāp K|kē charitra dēkh bachchē bhī charitravān ban jāyē̃ . Āpkē chitra mē̃ usī alaukik chitra kō dēkhē̃ . Āp K|kē vyakt rūp mē̃ avyakt mūrt najar āvē . Aisā purūṣhārth karkē , jō bāpdādā nē mēhnat kī hai uskā phal svarūp dikhānā hai . Jaisē agyān kāl mē̃ bhī kōī-kōī bachchō̃ mē̃ jaisē ki bāp hī najar ātā hai . Unkē bōl-chāl sē anubhav hōtā hai jaisē ki bāp hai . Isī rīti sē jō ananya bachchē haĩ un ēk ēk bachchē dvārā bāp K|kē guṇ pratyakṣha hōnē chāhiē aur hōṅgē . Kaisē hōṅgē  ? Uskā mukhya prayatna kyā hai  ? Mukhya bāt yahī hai jō sākār rūp sē bhī sunāyā hai ki yād kī yātrā , avyakt sthiti mē̃ sthit hōkar her|har karma karnā hai . Ab tō bachchō̃ kō bahut sāmnā karnā hai . Lēkin samarth sāth hai isliē kōī muśhkil nahī̃ hai . Sirph ēk bāt sabhī kō dhyān mē̃ rakhnī hai ki sāmnā karnē kē liē bīch mē̃ rūkāvaṭ bhī āyēgī . Sāmnā karnē mē̃ rūkāvaṭ kaun see|sī|C āyēgī  ? Mālūm hai  ? ( dēh abhimān ) dēh abhimān tō ēk mūl bāt hai lēkin sāmnā karnē kē liē bīch mē̃ kāmnā vighna ḍālēgī . Kaun see|sī|C kāmnā  ? Mērā nām hō , maĩ aisā hū̃ , mērē sē rāy kyō̃ nahī̃ lī , mērā mūlya kyō̃ nahī̃ rakhā  ? Yah anēk prakār key|kī kāmanāyē̃ sāmnā karnē mē̃ vighna rūp mē̃ āyēgī . Yah yād rakhnā hai hamkō kōī kāmnā nahī̃ karnī hai . Sāmnā karnā hai . Agar kōī kāmnā key|kī tō sāmnā nahī̃ kar sakē̃gē , aur avyakt sthiti mē̃ mahān bannē kē liē ēk bāt jō kahtē rahtē haĩ - vah dhāraṇ kar lī tō bahut jaldī aur sahaj avyakt sthiti mē̃ sthit hō jāyēṅgē . Vah kaun-sī bāt  ? Ham abhī mēhmān hai . Kyōṅki āp sabhī kō bhī via sūkṣhmavatan hōkar ghar chalnā hai . Ham mēhmān haĩ aisā samajhnē sē mahān sthiti mē̃ sthit hō jāyēṅgē . Mēhmān kē bajāē jarā bhī ēk śhabda mē̃ antar kar liyā tō girāvaṭ bhī ā jāyēgī . Vah kaun sā śhabda  ? Mēhmān samajhnā hai lēkin mahimā mē̃ nahī̃ ānā hai . Agar mahimā mē̃ ā gayē tō mēhmān nahī̃ banē̃gē . Mēhmān samajhē̃gē tō mahān banē̃gē . Hai jarā sā antar . Mēhmān aur mahimā . Lēkin jarā sā antar bhī avasthā kō bahut nīchē ūpar kar dētā hai .

Tum sabhī kō gyān kaunsā dētē hō  ? Trimūrti kā . Jaisē trimūrti kā gyān aurō̃ kō dētē hō vaisē apnē pās|pass bhī tīn bātō̃ kā gyān rakhnā hai . Tīn bātē̃ chhōṛō aur tīn bātē̃ dhāraṇ karō . Ab yah tīn bātē̃ chhōṛē̃gē tab hī svarūp mē̃ sthit hōṅgē . Service mē̃ saphaltā bhī hōgī . Batāō kaun see|sī|C tīn bātē̃ chhōṛnī hai  ? Jō service mē̃ vighna ḍāltī hai , vah chhōṛnī hai . Ēk tō-kabhī bhī kōī bahānā nahī̃ dēnā . Dūsrā kabhī bhī kissē service kē liē kahlānā nahī̃ . Tīsrā - service kartē kabhī murjhānā nahī̃ . Bahānā , kahlānā aur murjhānā yah tīn bātē̃ chhōṛnī hai . Aur phir kaunsī tīn bātē̃ dhāraṇ karnī haĩ  ? Tyāg , tapasvā aur sēvā . Yah tīn bātē̃ dhārṇā mē̃ chāhiē . Tapasvā arthāt yād kī yātrā aur service K|kē binā bhī jīvan nahī̃ ban saktī . In dōnō̃ bātō̃ key|kī saphaltā tyāg K|kē binā nahī̃ hō saktī . Isliē tīn bātē̃ chhōṛnī hai aur tīn bātē̃ dhāraṇ karnī hai . Agar in tīnō̃ bātō̃ key|kī dhārṇā huī tō kyā ban jāyēṅgē  ? Jō āpkā gāyan hai nā vahī svarūp ban jāyēṅgē . Yahā̃ ābū mē̃ bhī āpkā gāyan hai kis rūp mē̃ aur kaun sā rūp yādgār kā hai  ? Tapasyā K|kē sāth-sāth aur bhī kōī mukhya rūp kā yādgār hai  ? Jinhōnnē dēlvāṛā mandir dhyān sē dēkhā hōgā unhē̃ yād hōgā . Jaisē tapasvī haĩ , tō trinētrī bhī haĩ . Tapasvā K|kē sāth-sāth yād trimūrti kī hai . Tō jaisā yādgār hai trinētrī kā , aisā bannā hai . Tīsrā nētra kaun sā hai  ? Gyān kā . Gyān kā tīsrā nētra hī yādgār K|kē rūp mē̃ dikhāyā hai . Tapasvī aur trinētrī . Tīsrā nētra kāyam hōgā tab hī tapasvī ban sakē̃gē . Agar gyān kā nētra gāyab hō jātā hai tō tapasyā bhī nahī̃ rah saktī . Isliē ab trimūrti śhabda kō bhī yād karkē dhārṇā mē̃ chalē̃gē tō vah ban jāyēṅgē . Jō śhaktiyō̃ kā gāyan hai , jō prabhāv hai vah dēkhnē mē̃ āyēgā . Abhī gupta hai . Abhī tak śhaktiyā̃ gupta kyō̃ haĩ  ? Kyōṅki abhī tak apnē svamān , apnī service aur apnī śrēṣṭhatāyē̃ apnē sē hī gupta haĩ . Apnē sē hī gupta hōnē kāraṇ sr̥iṣhṭi sē bhī gupta haĩ . Jab apnē mē̃ pratyakṣhatā āyēgī tab sr̥iṣhṭi mē̃ bhī pratyakṣhatā hōgī .

Abhī śhivrātri kā jō parv ā rahā hai unkō aur bhī dhūmdhām sē manānā hai . Baṛē umaṅg aur hullās sē parichay dēnā hai . Kyōṅki bāp K|kē parichay mē̃ bachchō̃ kā parichay bhī ā jātā hē . Bachchē bāp kā parichay dēgē tō bāp phir avyakt mē̃ bachchō̃ kā parichay , bachchō̃ kā sākṣhātkār ātmāō̃ kō karātē rahē̃gē . Tō is śhivrātri par kuchh navīntā karkē dikhānā hai . Kyā navīntā karē̃gē  ? Ab tak jō bhāṣhaṇ kiyē haĩ vah yathā yōg yathāśhakti tō kartē rahtē hō lēkin ab khās śhakti rūp sē bhāṣhaṇ karnē haĩ . Śhakti rūp kā bhāṣhaṇ kyā hōtā hai  ? Lalkār karnā . Kyā lalkār karē̃gē  ? Aur hī jōr-śhōr sē samay key|kī pahchān dō . Aur unhō̃ kō bār-bār sunāō ki yah bāp kā kartavya ab jāstī samay nahī̃ hai . Kuchh tō hāth sē ganvā diyā lēkin jō kuchh thōṛā samay rahā hai , unkō bhī ganvā na dō . Aisē force sē samay key|kī pahchān dō . Jaisē ājkal science vālē aisē-aisē bombs banā rahē haĩ jō apnē sthān par baiṭhē huē bhī jahā̃ bam lagānā hōgā vahā̃ kā niśhānā dūr baiṭhē bhī kar saktē haĩ . Tō science key|kī śhakti sē tō śhrēṣhṭh silence hai . Jaisē vah science K|kē gōlē banātē haĩ - vaisē ab śhaktiyō̃ kō silence key|kī śhakti sē gōlē phēṅknē haĩ . Śhurū-śhurū mē̃ śhaktiyō̃ key|kī lalkār hī chaltī thī . Abhī śhurū jaisē lalkār nahī̃ hai . Abhī vistār mē̃ paṛ gayē haĩ . Vistār mē̃ paṛnē sē lalkār kā rūp gupta hō gayā hai . Abhī phir sē bījrūp avasthā mē̃ sthit hōkar lalkār karō . Us lalkār sē kaīyō̃ mē̃ bīj paṛ saktā hai . Lēkin bījrūp sthiti mē̃ sthiti rahē̃gē tō anēk ātmāō̃ mē̃ samay key|kī pahchān aur bāp key|kī pahchān kā bīj paṛēgā . Agar bījrūp sthiti mē̃ sthit na rahē sirph vistār mē̃ chalē gayē tō kyā hōgā  ? Jyādā vistār sē bhī value nahī̃ rahēgī . Vyarth hō jāyēgā . Isliē bījrūp sthiti mē̃ sthit hō bījrūp key|kī yād mē̃ sthit hō phir bīj ḍālō . Phir dēkhnā yah bīj kā phal kitnā achchhā aur sahaj nikaltā hai . Abhī tak mēhnat jāstī kī hai pratyakṣhaphal cum|kam hai . Abhī mēhnat cum|kam karō pratyakṣhaphal jyādā dikhāō . Snēh tō sabhī kā hai hī lēkin snēh kā svarūp bhī kuchh dikhānā hai . Yū̃ tō sadaiv is sthiti mē̃ rahnā chāhiē lēkin khās śhivrātri tak harēk bachchē kō aisā samajhnā chāhiē jaisē śhurū mē̃ āp bachchō̃ key|kī bhaṭṭī K|kē programme chaltē thē , isī rīti sē harēk kō samajhnā chāhiē śhivrātri tak hamkō yād kī yātrā key|kī bhaṭṭī mē̃ hī rahnā hai . Bilkul avyakt sthiti mē̃ sthit rahnē kā , apnī checking karnē kā dhyān rakhō . Phir is avyakt sthiti kā kitnā prabhāv nikaltā hai . Muśhkil nahī̃ hai . Bahut sahaj hai . Kārōbār mē̃ ātē huē bhī bhaṭṭī chal saktī hai . Yah tō āntarik sthiti hai . Āntarik sthiti kā prabhāv jāstī paṛtā hai .

Sabhī amr̥itvēlē mulākāt kartē hō  ? Abhī tak aisā vāyumaṇḍal nahī̃ pahuñchā hai . Ab tak madhuban vālō̃ nē bhī snēh kā sabūt nahī̃ diyā hai . Chārō̃ ōr sē bahut cum|kam bachchē haĩ jinhōnnē snēh kā sabūt diyā hai . Bāp kā bachchō̃ sē kitnā snēh thā . Snēh kā sabūt practical mē̃ kitnā samay diyā . Kyā diyā thā  ? Yād hai  ? Khās apnī tabiyat kō bhī na dēkhkar kyā sabūt diyā thā  ? Apnī śhārīrik sthiti kō na dēkhtē bhī kitnā samay khās search light dētē thē . Kitnā samay snēh kā sabūt diyā . Āp kahtē thē śharīr par effect ātā hai lēkin bābā nē apnē śharīr kō dēkhā  ? Yah snēh kā sabūt thā . Ab bachchō̃ kō bhī return mē̃ snēh kā sabūt dēnā hai . Jō karma karkē dikhāyā vahī karnā hai . Amr̥itvēlē jaisē sākār rūp mē̃ karkē dikhāyā vaisē hī bachchō̃ kō karnā chāhiē . Nahī̃ tō ab tak yahī result dēkhī hai , is bāt mē̃ apnē dil kō khuśh kar lētē haĩ . Uṭhē aur baiṭhē . Lēkin vah rūhāb , śhakti svarūp key|kī smr̥iti nahī̃ rahtī . Śhakti rūp kē badlē kyā mix hō gayā hai  ? Sustī . Tō sustī mix hōnē sē mulākāt kartē haĩ lēkin line clear nahī̃ hōtī hai isliē mulākāt sē jō anubhav hōnā chāhiē vah nahī̃ kar pātē haĩ . Miks-car hai . Yahā̃ śhurū karē̃gē tō madhuban-vāsiyō̃ kō dēkh sab karē̃gē . Madhuban nivāsī jō khās snēhī haĩ unkō khās saikrīphāij ( balidān ) karnā hai . Snēh mē̃ hamēśhā sacrifice kiyā jātā hai .

Achchhā - ōm śhānti .