शनिवार 6 दिसंबर 1969 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

06-12-69 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

“ saral svabhāv sē buddhi kō viśhāl aur dūrāndēśhī banāō ”

Āj key|kī sabhā mē̃ kaunsī viśhēṣh khuśhbū bhī hai aur viśhēṣh ākarṣhaṇ bhī hai  ? Snēh tō sabhī kā hai hī . Āp kō kisliē bulāyā hai  ? Aisē samajhē ki yah jō bhī sabhī āyē haĩ vah vāpas jānē kē liē taiyār hōkar āyē haĩ . Ever ready jō hōtē haĩ vah sadaiv taiyār hī hōtē haĩ . Bulāvā huā aur ēk second mē̃ apnā rahā huā sabhī kuchh samēṭ bhī saktē aur jump bhī dē saktē . Practical mē̃ dēkhā bhī nā ki drama K|kē bulāvē par kitnā time lagā  ? Ēk taraph samēṭnā dūsrē taraph high jump dēnā . Yah dōnō̃ scene dēkhī - yah drama mē̃ kisliē huā  ? Sikhlānē kē liē . Tō aisē ever ready bannā paṛēgā . Abhī ever ready key|kī line chālū hō gaī hai . Is line K|kē andar kiskā bhī number ā saktā hai . Jō sabhī K|kē saṅkalp mē̃ hai vah kabhī nahī̃ hōnā hai . Hōgā phir bhī anāyās hī . Yah brāhmaṇ kul key|kī rīti-rasma chālū hō chukī hai . Yah rīti-rasma bhī drama mē̃ kyō̃ banī huī hai , uskā bhī bahut gupta rahasya hai . Tō aisā puruṣhārth pahlē sē hī kar lō jō phauran samēṭ bhī sakō aur jump bhī K|kē sakō . Samēṭnē kī śhakti kismē̃ hō saktī hai  ? Jō saral svabhāv vālē hōṅgē usmē̃ samēṭnē kī śhakti sahaj ā saktī hai . Jō saral svabhāv vālā hōgā vah sabhī kā sahyōgī bhī hōgā . Jō sabhī kā snēhī hōtā hai unkō sabhī dvārā sahyōg prāpt hōtā hai . Isliē sabhī bātō̃ kā sāmnā karnā vā samēnnā sahaj hī kar saktā hai . Aur jitnā saral svabhāv vālē hōṅgē utnā māyā cum|kam sāmnā karēgī . Vah sabhī kō priya lagtā hai . Saral svabhāv vālē kā vyarth saṅkalp kabhī nahī̃ chaltā . Samay vyarth nahī̃ jātā . Vyarth saṅkalp na chalnē K|kē kāraṇ unkī buddhi viśhāl aur dūrāndēśhī rahtī hai . Isliē unkē āgē kōī bhī samasyā sāmnā nahī̃ kar saktī . Jitnī saraltā hōgī utnī svachchhatā bhī hōgī . Svachchhatā sabhī kō apnē taraph ākarṣhit kartī hai . Svachchhatā arthāt sachchāī aur saphāī . Sachchāī aur saphāī tab hōgī jab apnē svabhāv kō saral banāyēṅgē . Saral svabhāv vālā bahurūpī bhī ban saktā hai . Kōmal chīz kō jaisē bhī rūp mē̃ lāō ā saktī hai . Tō ab gold banē hō lēkin gold kō ab agni mē̃ galāō tō mould bhī hō sakē . Is kamī K|kē kāraṇ service key|kī saphaltā mē̃ kamī paṛtī hai . Apnē kō kaisē mould karē iskē liē bhaṭṭhī mē̃ āyē hō . Ēk hai mōṛnē key|kī śhakti aur dūsrī hai brake lagānē key|kī śhakti . Mōṛnā bhī hai tō kitnē samay mē̃  ? Bhal mōṛnā ātā bhī hai lēkin kahā̃-kahā̃ samay bahut lag jātā hai . Samay na lagē vah saṅkalp karnā hai . Saṅkalp kiyā aur siddha huā . Bhaṭṭhī sē aisā bankar K|kē nikalnā hai jō her|har saṅkalp her|har śhabda siddha hō . Vah lōg riddhi-siddhi prāpt kartē haĩ lakin yahā̃ yōg key|kī riddhi-siddhi hai . Yād kī riddhi-siddhi kyā hōtī hai , vah sīkhnā hai . Jō siddhi kō prāpt hōtē hai unkē saṅkalp , śhabda aur her|har karma siddha hōtā hai . Ēk saṅkalp bhī vyarth nahī̃ uṭhēgā . Saṅkalp vah uṭhē̃gē jō siddha hōṅgē . Sarvis-ēbul uskō kahā jātā hai jiskā ēk bhī saṅkalp binā siddhi K|kē na jāyē . Athavā aisā kōī saṅkalp na uṭhnā chāhiē jō siddha hōnē vālā na hō . Āp K|kē ēk-ēk saṅkalp key|kī value hai . Lēkin jab apnī value kō khud rakhē̃gē tab anēk ātmāyē̃ bhī āp ratnō̃ key|kī value kō parakhēgī . Is bhaṭṭhī sē harēk kā chēhrā chaitanya museum bankar nikalē . Aur museum tō bahut banāyē lēkin ab ēk-ēk kō apnē chēhrē kō chaitanya museum banānā hai . Is chaitanya chēhrē K|kē museum mē̃ kitnē chitra hai  ? Is chēhrē K|kē museum mē̃ kaun-kaun sē chitra fit karē̃gē  ? Museum mē̃ pahlē chitrō̃ key|kī phiṭiṅg kartē haĩ , bād mē̃ ḍēkōrēśan hōtā hai phir udghāṭan karānā hōtā hai phir opinion lēnā hōtā hai . Tō āp K|kē is chaitanya museum mē̃ tīn mukhya chitra haĩ . Bhr̥ikuṭī , nayan aur mukh . In dvārā hī āpkī smr̥iti , vr̥itti dr̥iṣhṭi aur vāṇī kā mālūm paṛtā hai . Jaisē trimūrti , lakṣhmī nārāyaṇ aur sīṛhī yah tīn mukhya chitra haĩ nā . Ismē̃ sārā gyān ā jātā hai . Vaisē hī is chēhrē K|kē andar yah chitra anādi fit haĩ . Inkī aisī ḍēkōrēśan hō jō dūr sē yah chitra apnē taraph ākarṣhaṇ karē . Ākarṣhaṇ hōnē K|kē binā rah nahī̃ sakē̃gē . Āp lōg museum banātē hō tō kōśhiśh kartē hō nā ki chitra aisē decorate hō jō dūr sē ākarṣhaṇ karē . Kiskō bulānā bhī na paṛē . Vaisē hī āp harēk kō apnā museum aisā taiyār karnā hai . Jō kuchh sunā hai uskō gahrāī sē sōchkar K|kē ēk-ēk raṅg mē̃ samā dēnā hai . Jinhōnnē jitnā gahrāī sē sunā hai utnā apnē chalan mē̃ pratyakṣha rūp mē̃ lāyā hai  ? Un saṅskārō̃ kō pratyakṣha karnē kē liē ēk-ēk bāt key|kī gahrāī mē̃ jāō aur apnē ēk-ēk rag mē̃ vah saṅskār samāō . Kōī bhī chīz kō kismē̃ samānā hōtā hai tō kyā karnā hōtā hai  ? Ēk tō gahrāī mē̃ jānā hōtā hai aur andar dabānā hōtā hai . Kūṭnā paṛtā hai . Kūṭnā arthāt harēk bāt kō mahīn banānā . Is bhaṭṭhī sē saṅskārō̃ kō pratyakṣha rūp mē̃ lānē key|kī pratigyā kar K|kē nikalnā hai . Jitnā bāp kō pratyakṣha karē̃gē utnā khud kō pratyakṣha karē̃gē . Bāp kō pratyakṣha karnē sē āp key|kī pratyakṣhatā bāp kē sāth hī hai . Aisā bannā aur phir banānā hai . Samjhā .

Is saṅgaṭhan mē̃ aisī śhakti hai jō chāhē vah kar saktē haĩ . Sirph saṅkalp karē tō sr̥iṣhṭi badal saktī hai . Aisī śhaktiśhālī ātmāyē̃ haĩ . Lēkin ab saṅkalp kaunsā powerful karnā hai  ? Uskō phir sē refresh karnā hai .

Is madhuban kē liē hī gāyan hai ki kōī aisā-vaisā pāṅw nahī̃ rakh saktā . Madhuban hai saubhāgya key|kī lakīr . Uskē andar aur kōī pāṅw nahī̃ rakh saktā . Āp sabhī kō bāpdādā samjhātē haĩ ki yah snēh key|kī lakīr hai jis snēh K|kē ghērāv K|kē andar bāpdādā nivās kartē haĩ . Iskē andar kōī ā nahī̃ saktā . Chāhē bhal apnā śhīśh bhī utār kar rakhē . Sākār rūp mē̃ snēh milnā kōī chhōṭī bāt nahī̃ hai . Uskē liē tō āgē chalkar jab rōnā dēkhē̃gē tab āp lōgō̃ kō uskī value kā mālūm hōgā . Rō-rōkar āp K|kē charaṇō̃ mē̃ girē̃gē . Snēh key|kī ēk bū̃d key|kī pyāsī hō charaṇō̃ mē̃ girē̃gē . Āp lōgō̃ nē snēh K|kē sāgar kō apnē mē̃ samāyā hai . Vah ēk bū̃d K|kē bhī pyāsē rahē̃gē . Aisā saubhāgya kiskā hō saktā hai  ? Sarv sambandhō̃ kā sukh , rasnā jō āp ātmāō̃ mē̃ bharī huī hai vah aur kōī mē̃ nahī̃ hō saktī . Tō drama mē̃ apnē itnē ū̃ch bhāgya kō sadaiv sāmnē rakhnā . Sāmnē rakhnē sē return dēnā āp hī yād āyēgā .

Achchhā  !