गुरुवार 6 अगस्त 1970 की अव्यक्त मुरली - 2

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

B r a h m a K u m a r i s B r a h m a K u m a r i s > 06-08-70 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

“ dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi key|kī rachnā ”

Sabhī avyakt sthiti mē̃ rahtē vyakt mē̃ kārya kar rahē hō  ? Jaisē bāp avyakt hōtē vyakt mē̃ pravēśh hō kārya kartē haĩ vaisē bāp samān banē hō  ? Bāp samān banē̃gē tab hī aurō̃ kō bhī bāp samān banā sakē̃gē . Apnē āp sē pūchhō ki dr̥iṣhṭi bāp samān banī hai  ? Vāṇī aur saṅkalp bāp samān banē haĩ  ? Bāp kō kyā smr̥iti mē̃ rahtā hai  ? Jāntē hō  ? Bāp key|kī smr̥iti mē̃ sadaiv kyā rahtā hai aur āpkī smr̥iti mē̃ sadaiv kyā rahtā hai  ? Kyā antar hai  ? Samān smr̥iti hōtī hai  ? Kōī smr̥iti rahtī hai ki kōī bhī nahī̃ rahtī hai  ? Smr̥iti rahtī hai yā smr̥iti sē bhī parē hō  ? Kōī bāt mē̃ bāp K|kē samān āpkī smr̥iti rahtī hai  ? ( nahī̃ ) ant tak smr̥iti mē̃ samāntā ā jāēgī  ? ( number-vār ) first bachchē aur bāp mē̃ phark rahēgā  ? Bāpdādā mē̃ phark rahēgā  ? Samāntā ā jāēgī . Jaisē bēhad kā bāp hai vaisē dādā bhī bēhad kā bāp hai . Bāpdādā K|kē samīp , samāntā hōnī chāhiē . Jitnī-jitnī samīpatā utnī samāntā . Ant mē̃ ab bachchē bhī apnī rachnā K|kē rachayitā bankar practical mē̃ anubhav karē̃gē . Jaisē bāp kō rachnā kō dēkh rachayitā K|kē svarup key|kī smr̥iti svataḥ rahtī hai aisī stage number-vār bachchō̃ key|kī bhī ānī hai . Dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi rachnē ātī hai  ? Āpkī rachnā kaisī hai  ? Kukh key|kī va nainō̃ key|kī  ? Dr̥iṣhṭi sē rachnā rachē̃gē  ? Yah jō kahāvat hai key|kī dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi banē̃gī . Aisā dr̥iṣhṭi jissē sr̥iṣhṭi badal jāē . Aisī dr̥iṣhṭi mē̃ divyatā anubhav kartē hō  ? Dr̥iṣhṭi dhōkhā bhī dētī aur dr̥iṣhṭi patitō̃ kō pāvan bhī kartī . Dr̥iṣhṭi badalnē sē sr̥iṣhṭi badal hī jātī hai . Tō dr̥iṣhṭi kahā̃ tak badalī hai  ? Dr̥iṣhṭi kyā badalnī hōtī hai , yah mālūm hai  ? Ātmik dr̥iṣhṭi banānī hai . Ātmik dr̥iṣhṭi , divya dr̥iṣhṭi aur alaukik dr̥iṣhṭi banī hai  ? Jahā̃ dēkhtē , jiskō dēkhtē vah ātmik svarūp hī dikhāī dē . Aisī dr̥iṣhṭi badalī hai  ? Jis dr̥iṣhṭi mē̃ arthāt nainō̃ mē̃ kharābī hōtī hai tō ēk samay mē̃ dō chīzē̃ dikhāī paṛtī haĩ . Aisē hī dr̥iṣhṭi pūrṇ nahī̃ badalī hai tō yahā̃ bhī dō chīzē̃ dikhāī paṛtī haĩ . Dēhī aur dēh . Kabhī vah kabhī vah . Aisē hōtā hai nā . Kabhī dēh kō dēkhtē haĩ kabhī dēhī kō . Jab nain ṭhīk hōtē haĩ tō jō chīz jaisī hōtī hai vaisī hī yathārth rūp mē̃ dikhāī paṛtā hai . Aisē hī yah dr̥iṣhṭi bhī jab badal jātī hai tō jō yathārth rūp hai vah dikhāī paṛtā hai . Yathārth rūp hai dēhī na key|kī dēh . Jō yathārth rūp hai vah dikhāī dē . Issē samjhō ki dr̥iṣhṭi ṭhīk hai . Dr̥iṣhṭi kē ūpar bahut dhyān rakhnā hai . Dr̥iṣhṭi badal gayī tō kab dhōkhā nahī̃ dēgī . Sākṣhātkār dr̥iṣhṭi sē hī karē̃gē aur ēk ēk key|kī dr̥iṣhṭi mē̃ apnē yathārth rūp aur yathārth ghar tathā yathārth rāzadhānī dēkhē̃gē . Itnī dr̥iṣhṭi mē̃ power hai , agar yathārth dr̥iṣhṭi hai tō . Tō sadaiv apnē kō check karō ki abhī kōī bhī sāmnē āyē tō mērī dr̥iṣhṭi dvārā kyā sākṣhātkār karē̃gē . Jō āpkī vr̥itti mē̃ hōgā vaisā anya āp key|kī dr̥iṣhṭi sē dēkhē̃gē . Agar vr̥itti dēh abhimān kī hai , chañchal hai tō āpkī dr̥iṣhṭi sē sākṣhātkār bhī aisē hī hōgā . Aurō̃ key|kī bhī dr̥iṣhṭi vr̥itti chañchal hōgī . Yathārth sākṣhātkār kar nahī̃ sakē̃gē . Yah samajhtē hō  ? Inhō̃ key|kī training hai nā . Is group kē liē mukhya viṣhay hai apnī vr̥itti K|kē sudhār sē apnī dr̥iṣhṭi kō divya banānā . Kahā̃ tak banī haĩ  ? Nahī̃ banī tō kyō̃ nahī̃ banī hai  ? Is par inhō̃ kō spaṣhṭ samjhānā . Sr̥iṣhṭi na badalnē kā kāraṇ hai dr̥iṣhṭi kā na badalnā . Dr̥iṣhṭi na badalnē kā kāraṇ hai vr̥itti kā na badalnā . Dr̥iṣhṭi badal jāē tō sr̥iṣhṭi bhī badal jāē . Ājkal sabhī bachchō̃ kē prati viśhēṣh iśhārā bāpdādā kā yahī hai ki apnī dr̥iṣhṭi kō badalō . Sākṣhātkārmūrt banō . Dēkhnē vālē aisē anubhav karē̃ ki yah nain nahī̃ lēkin yah ēk jādū key|kī ḍibbiyā̃ hai . Jaisē jādū key|kī ḍibbī mē̃ bhinn-bhinn najārē̃ dēkhtē haĩ vaisē āpkē nainō̃ mē̃ divya raṅgat dēkhē̃ . Nain sākṣhātkār K|kē sādhan ban jāē̃ .

Yah group mālūm hai kaun sā group hai  ? Inmē̃ viśhēṣhtā kyā hai  ? Sārē viśhva K|kē andar viśhēṣh ātmāyē̃ hō . Aisē tō nahī̃ samajhtē ki ham sādhāraṇ haĩ . Aisē kabhī nahī̃ samajhnā . Sārē viśhva K|kē andar viśhēṣh ātmāyē̃ kaun hai  ? Agar āp viśhēṣh ātmāyē̃ na hōtī tō bāp nē apnā kyō̃ banāyā . Apnē kō viśhēṣh ātmā samajhnē sē viśhēṣhtā āēgī . Agar sādhāraṇ samajhē̃gī tō kartavya bhī sādhāraṇ karē̃gī . Ēk-ēk ātmā apnē kō viśhēṣh samajh aurō̃ mē̃ bhī viśhēṣhtā lānī hai . Tum viśhēṣh ātmāyē̃ hō , yah naśhā īśhvarīy naśhā hai . Dēh abhimān kā naśhā nahī̃ . Īśhvarīy naśhā sadaiv nainō̃ sē dikhāī dē . Tō is group viśhēṣhtā kyā hai  ? Āp apnē group key|kī viśhēṣhtā samajhtī hō  ? ( kōrā kāgaz hai , kaīyō̃ nē vibhinna bātē̃ sunāyī ) is group kā title tō bahut baṛā hai . Training kē bād yahī guṇ kāyam rahē , yah bhī training chāhiē . Abhī tō viśēṣatāē̃ bahut achchhī sun rahī hō . Kōrē kāgaz par jō kuchh likhā jātā hai vah spaṣhṭ hōtā hai . Jitnā spaṣhṭ utnā śhrēṣhṭh . Agar spaṣhṭatā mē̃ kamī hai tō śhrēṣhṭhatā mē̃ bhī kamī . Aur kuchh mix nahī̃ karnā hai . Kōī-kōī mix bahut kartē haĩ . Issē kyā hōtā hai  ? Yathārth rūp bhī ayathārtha hō jātā hai . Vahī gyān key|kī bātē̃ māyā kā rūp ban jātī haĩ . Isliē is group key|kī yah viśhēṣhtā chitra mē̃ dikhāī dē ki yah group sadā spaṣhṭ aur śhrēṣhṭh rahā . Sadaiv apnē yathārth rūp mē̃ rahē . Jō bāp jaisī hai us rūp sē jānkār dhāraṇ karnī hai . Aur chaltē chalnā hai . Yah hai spaṣhṭatā . Is group kō bāpdādā kyā title dētē haĩ  ? Jaisē kahāvat hai chhōṭē subhānaallā . Lēkin bāpdādā kahtē haĩ chhōṭē tō samān allāh . Sabhī bātō̃ mē̃ kadam-kadam mē̃ samāntā rakhō . Lēkin samāntā kaisē āēgī  ? Samāntā kē liē dō bātē̃ dhyān mē̃ rakhnā hai . Sākār rūp mē̃ kyā viśēṣatāē̃ thī  ? Ēk tō sadaiv apnē kō ādhārmūrt samjhō . Sārē viśhva K|kē ādhārmūrt . Issē kyā hōgā ki jō bhī karma karē̃gē jimmēvārī sē karē̃gē . Albēlāpan nahī̃ rahēgā . Jaisē bāpdādā sarv K|kē ādhārmūrt haĩ vaisē harēk bachchā viśhva K|kē ādhārmūrt haĩ . Jō karma āp karē̃gē , vah sabhī karē̃gē . Saṅgam par jō rasm chaltī hai , bhaktimārg mē̃ badalkar chaltī hai . Sārē viśhva K|kē āp ādhārmūrt hō . Harēk kō apnē kō ādhārmūrt samajhnā hai aur dūsrā uddhārmūrt bannā hai . Jitnā āp uddhār karē̃gē utnā aurō̃ kō bhī uddhār kar sakē̃gē . Jitnā aurō̃ kā uddhār karē̃gē utnā apnā bhī uddhār karē̃gē . Apnā uddhār nahī̃ karē̃gē tō aurō̃ kā kaisē karē̃gē . Aurō̃ kā uddhār tab karē̃gē jab uddhārmūrt banē̃gē . Chhōṭē hōtē bhī kartavya bāp K|kē samān karnā hai . Yah yād rakhnē sē samāntā āēgī . Phir jō is group kā title diyā “ chhōṭā bāp samān ” vah pratyakṣha dikhāī paṛēgā . Yah bhūlnā nahī̃ . Achchhā ab kyā karnā hai  ? ( ṭīkā lagānā hai ) yah ṭīkā bhī sādhāraṇ ṭīkā nahī̃ hai . Ṭīkā kisliē lagātē haĩ , mālūm hai  ? Ṭīkā saubhāgya key|kī niśhānī hai . Jō bātē̃ sunī un bātō̃ mē̃ ṭiknē key|kī niśhānī ṭīkā hai . Ṭīkā bhī mastak mē̃ ṭik jātā hai . Tō buddhi mē̃ yah bātē̃ ṭik jāē̃ isliē yah ṭīkā diyā jātā hai . Aur kisliē hai  ? ( kaīyō̃ nē apnā vichār sunāyā ) bāpdādā jō sunāyēṅgē vah aur hai . Yah ṭīkā ( injection ) sadā māyā K|kē rōgō̃ sē nivr̥itt rahnē kā ṭīkā hai . Sadā tandurusta rahnē kā bhī ṭīkā hai . Ēk ṭīkā jō āp sabhī nē sunāyā aur yah bhī hai . Dōnō̃ ṭīkā lagānē haĩ . Ēk hai śhaktiśhālī bannē kā aur dūsrā hai sadā suhāg aur bhāgya mē̃ sthit rahnē kā . Dōnō̃ ṭīkā bāpdādā lagātē haĩ . Niśhānī ēk , rāz dō haĩ . Niśhānī tō sthūl hōtī hai lēkin rāz dō haĩ . Isliē aisē tilak nahī̃ lagānā . Tilak lagānā arthāt sadākāl kē liē pratigyā karnā . Yah ṭīkā ēk pratigyā key|kī niśhānī hai . Sadaiv her|har bāt mē̃ pass with honour banē̃gē . Is pratigyā kā yah tilak hai . Itnī himmat hai . Pās|pass nahī̃ balki pass with honour . Pass with honour aur pās|pass mē̃ kyā phark hai  ? Pass with honour arthāt man mē̃ bhī saṅkalpō̃ sē sajā na khāē̃ . Dharmarāj key|kī sajāō̃ key|kī tō bāt pīchhē haĩ . Parantu apnē saṅkalpō̃ key|kī bhī uljhan athavā sajāō̃ sē parē . Iskō kahtē haĩ pass with honour . Apnī galatī|galtī sē svayã kō sajā dētē haĩ . Ulajhtē haĩ , pukārtē haĩ , mūnjhtē haĩ issē bhī parē . Pass with honour iskō kahtē haĩ . Aisī pratigyā karnē kō taiyār hō  ? Saṅkalpō̃ mē̃ bhī na ulajhē̃ . Vāṇī , karma , sambandh , samparka key|kī bāt chhōṛ dō . Vah tō mōṭī bāt hai . Aisī pratigyā vālā group hai  ? Himmatvān hai .

Himmat kāyam rahēgī tō sarv madadgār pattē rahē̃gē . Sahyōgī banē̃gē tō snēh miltā rahēgā . Jaisē vr̥ikṣha mē̃ jō kōmal aur chhōṭē pattē nikaltē haĩ , vah bahut priya lagtē haĩ . Lēkin chiṛiyā bhī kōmal pattō̃ kō hī khātī hai . Sirph pyārē rahnā kiskē  ? Bāpdādā K|kē na ki māyā rūpī chiṛiyō̃ K|kē . Tō yah bhī kōmal pattē haĩ . Kōmal pattō̃ kō kamāl karnī hai . Kyā kamāl karnī hai  ? Apnē īśhvarīy charitra kē ūpar sarv kō ākarṣhit karnā hai . Apnē ūpar nahī̃ , charitra kē ūpar . Is group kē ūpar pūrā dhyān hai . Is group kō apnē ūpar bhī itnā hī dhyān rakhnā hai .

Achchhā  !