बुधवार 9 दिसंबर 1970 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

09-12-70 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

“ puruṣhārth kā mukhya ādhār catching power ”

Āj harēk kī dō bātē̃ dēkh rahē haĩ ki harēk kitnā knowledgeful aur kitnā powerful banē haĩ . Usmē̃ bhī mukhya catching power harēk key|kī kitnī powerful haĩ – yah dēkh rahē haĩ . Puruṣhārth kā mukhya ādhār catching power par hai . Jaisē ājkal science vālē āvāz kō catch karnē kā prayatna kartē haĩ . Lēkin silence key|kī śhakti sē āp lōg kyā catch kartē hō  ? Jaisē vah bahut pahlē K|kē sound kō catch kartē haĩ , vaisē āp kyā catch kartē hō  ? Apnē 5000 varṣh pahlē K|kē daivī saṅskār catch kar saktē hō  ? Catching power itnī āī hai . Vah tō dūsrō̃ key|kī sound kō catch kar saktē haĩ . Āp apnē aslī saṅskārō̃ kō sirph catch nahī̃ kartē , lēkin apnā practical svarup banātē hō . Sadaiv yah smr̥iti mē̃ rakhō ki maĩ yahī thā aur phir ban rahā hū̃ . Jitnā-jitnā un saṅskārō̃ kō catch kar sakē̃gē utnā svarup ban sakē̃gē . Apnī smr̥iti kō powerful banāō arthāt śrēṣṭa aur spaṣhṭ banāō . Jaisē apnē vartamān svarup kā , vartamān saṅskārō̃ kā spaṣhṭ anubhav hōtā hai aisē apnē ādi svarūpō̃ aur saṅskārō̃ kā bhī itnā hī spaṣhṭ anubhav hō . Samjhā . Itnī catching power chāhiē . Jaisē vartamān samay mē̃ apnī chalan va kartavya spaṣhṭ aur sahaj smr̥iti mē̃ rahtī hai . Aisē hī apnī aslī chalan sahaj aur spaṣhṭ smr̥iti mē̃ rahē . Sadaiv yahī dr̥iṛh saṅkalp rahē ki yah maĩ hī tō thā . 5000 varṣh key|kī bāt itnī spaṣhṭ anubhav mē̃ āyē jaisē kal key|kī bāt . Iskō kahtē haĩ catching power . Apnī smr̥iti kō itnā śhrēṣhṭh aur spaṣhṭ banākar jānā . Bhaṭṭhī mē̃ āyē hō nā . Sadaiv apnā ādi svarup aur ādi saṅskār sāmnē dikhāī dē . Apnī smr̥iti kō powerful banānē sē vr̥itti aur dr̥iṣhṭi svataḥ hī powerful ban jāyēṅgī . Phir yah kumār group kyā ban jāyēṅgē  ? Anukumār arthāt anōkhē . Harēk K|kē dō nayanō̃ sē dō svarup kā sākṣhātkār hōgā . Kaun-sē dō svarup  ? Sunāyā thā ki nirākārī aur divyaguṇdhārī . Fariśhtā rūp aur daivī rūp . Harēk aisē anubhav karē̃gē vā harēk sē aisā anubhav hōgā jaisē ki chaltā phirtā light house aur might house hō . Aisē apnē svarup kā sākṣhātkār hōtā hai  ? Jab 5000 varṣh kō catch saktē hō , anubhav kar saktē hō tō is antim svarup kā anubhav nahī̃ hōtā hai  ? Abhī jō kuchh kamī rah gayī hai vah bharkar aisē anubhavī mūrt bankar jāyēṅgē . Tō dēkhnā kabhī kuchh kamī na rah jāyē . Bhaṭṭhī sē aisā parivartan kar K|kē jānā , jaisē kabhī-kabhī satyugī ātmāyē̃ jab pravēśh hōtī haĩ tō unhō̃ kō is puruṣhārthī jīvan kā bilkul hī knowledge nahī̃ hōtā . Aisē āp lōgō̃ kō kamjōriyō̃ aur kamiyō̃ key|kī knowledge hī merge jāē . Iskē liē viśhēṣh is group kō dō bātē̃ yād rakhnī hai . Dō bātē̃ dō śhabdō̃ mē̃ hī haĩ . Ēk guest house , dūsrā get out arthāt bāhar nikālnā hai aur āgē kē liē andar ānē nahī̃ dēnā hai . Dūsrā is purānī duniyā kō sadaiv guest house samjhō . Phir kabhī kamzōrī vā kamī kā anubhav nahī̃ karē̃gē . Sahaj puruṣhārth hai nā . Is group kō kamāl kar dikhānī hai isliē sadaiv lakṣhya rakhnā hai ki ab phir 21 janm kē liē rest karnā hai . Lēkin abhī ēk second mē̃ bhī mansā , vāchā , karmaṇā service sē rest nahī̃ . Tab hī best banē̃gē . Samjhā . Kyōṅki yah hai hard worker group . Hard worker group mē̃ rest nahī̃ . Kabhī rest nahī̃ kartā aur west|waste nahī̃ kartā . Isliē hard worker group vā rūhānī sēvādhārī saṅgaṭhan kō sēvā K|kē sivāē aur kuchh sūjhē hī nahī̃ . Yah hai nām kā kām . Yah bhī yād rakhnā – sēvā prati svayã kō hī offer karnā hai tab bāpdādā sē āphrīn milēgī . Hard worker vā rūhānī sēvādhārī group kō sadaiv yah slōgan yād rakhnā hai . Samānā aur sāmnā karnā hamārā niśhānā hai . Yah hai is group kā slōgan . Sāmnā māyā sē karnā hai na ki daivī parivār sē . Samānā kyā hai  ? Apnē purānē saṅskārō̃ kō samānā hai . Knowledgeful K|kē sāth-sāth powerful bhī bannā hai tab hī serviceable banē̃gē . Achchhā tilak samārōh dēkh rājtilak samārōh yād ātā hai  ? Abhī yah tilak sampūrṇ sthiti mē̃ rahnē kē liē hai . Phir milēgā rājtilak . Yah tilak hai pratigyā aur pratyakṣhatā kā tilak . Itnī power hai  ? Rūhānī sēvādhārī group kē liē yah ḵẖās śhikṣhā dē rahē haĩ . Apnē kō jitnā adhikārī samajhtē hō utnā hī satkārī banō . Pahlē satkār dēnā phir adhikār lēnā . Satkār aur adhikār dōnō̃ sāth-sāth hō . Agar satkār kō chhōṛ sirph adhikār lē̃gē tō kyā hō jāyēṅgā  ? Jō kuchh kiyā vah bēkār hō jāyēgā . Isliē dōnō̃ bātō̃ kō sāth-sāth rakhnā hai .

Achchhā  !