गुरुवार 24 जून 1971 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

24-06-71 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

Antarmukhī bannē sē phāydē

Kōī bhī naī invention jab nikāltē haĩ , tō jitnī powerful invention hōtī hai utnā hī underground invention kartē haĩ . Āp lōgō̃ key|kī bhī din pratidin yah invention powerful hōgī . Jaisē vah underground invention kartē haĩ vaisē hī āp bhī jitnā underground arthāt antarmukhī rahē̃gē utnā hī naī-naī invention vā yōjnāyē̃ nikāl sakē̃gē . Underground rahnē sē ēk tō vāyumaṇḍal sē bachāv hō jāyēgā  ; dūsrā - ēkānt prāpt hōnē K|kē kāraṇ manan śhakti bhī baṛhtī hai  ; tīsrā - kōī bhī māyā K|kē vighnō̃ sē safety kā sādhan ban jātā hai . Apnē kō sadaiv underground arthāt antarmukhī banānē key|kī kōśhiśh karnī chāhiē . Underground bhī sārī kārōbār chaltī hai . Vaisē antarmukhī hōkar bhī kārya kar saktē haĩ . Aisē nahī̃ ki kōī kārya nahī̃ kar saktē haĩ . Kārya bhī sabhī chal saktē haĩ . Lēkin antarmukhī hōkar K|kē kārya karnē sē ēk tō vighnō̃ sē bachāv  ; dūsrā samay kā bachāv  ; tīsrā - saṅkalpō̃ kā bachāv vā bachat hō jāyēgī . Practice tō hai nā . Kabhī-kabhī anubhav bhī kartē hō . Antarmukhī hō bōltē bhī hō . Lēkin bāharmukhtā mē̃ ātē bhī antarmukh , harṣhitmukh , ākarṣhaṇmūrt bhī rahē̃gē - karma kartē huē yah practice karnī hai . Jaisē sthūl kārōbār kā programme banātē hō , vaisē apnī buddhi key|kī kyā-kyā kārōbār vā kyā kārya buddhi dvārā karnā hai . Jō programme banānē K|kē abhyāsī hōtē haĩ unkā her|har kārya samay par saphal hōtā hai . Is rīti apnī bhī sūkṣhma kārōbār hai . Buddhi ēk second mē̃ kahā̃ sē kahā̃ jākar ā bhī saktī hai . Kārya bhī bahut vistār K|kē haĩ . Tō jab programme set karē̃gē tab hī samay key|kī bachat aur saphaltā adhik hō sakēgī . Yah programme bīch-bīch mē̃ banātē rahō lēkin sadākāl kē liē . Jaisē sthūl kārōbār set kartē-kartē abhyāsī hō gayē haĩ , vaisē hī yah bhī abhyās kartē-kartē abhyāsī hō jāyēṅgē . Iskē liē khās samay nikālnē key|kī bhī āvaśhyaktā nahī̃ . Kōī bhī sthūl kārya jō bhalē adhik buddhi vālā hō , uskō kartē huē bhī yah apnā programme set kar saktē hō . Programme set karnē mē̃ kitnā samay lagtā hai  ? Ēk-dō minute bhī jyādā hai . Yah bhī abhyās ḍālnā hai . Amr̥itvēlē apnī buddhi K|kē kārōbār kā programme bhī pahlē sē hī set kar dēnā hai . Jaisē programme banāyā jātā hai , phir uskō check kiyā jātā hai ki yah yah kārya kiyā aur kahā̃ tak huā aur kahā̃ tak na huā . Isī rīti sē yah bhī programme banākar phir bīch-bīch mē̃ check karō . Jitnē baṛē ādmī hōtē haĩ vah binā programme K|kē nahī̃ jātē haĩ . Jaisē āyā vaisē kar liyā , aisē nahī̃ chaltē . Unhō̃ kā ēk-ēk second programme sē book hōtā hai . Āp bhī śhrēṣhṭh ātmāyē̃ hō , tō programme set hōnā chāhiē . Kōī-kōī kō programme banānē kā ḍhaṅg ātā hai , kōī kō nahī̃ ātā hai . Sthūl kārōbār mē̃ bhī aisē hōtā hai . Jitanā-jisakō apnā programme set karnā ātā hai utnā hī samjhō apnī sthiti par bhī set hōnā ātā hai . Nahī̃ tō binā programme banānē sē jaisē bātē̃ nīchē-ūpar hōtī haĩ vaisē sthiti bhī nīchē ūpar hōtī hai . Set nahī̃ hōtī hai . Achchhā .