मंगलवार 5 अक्टूबर 1971 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
05-10-71 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
Sampūrṇtā key|kī niśhānī 16 kalāyē̃
Sabhī K|kē purūṣhārth kā lakṣhya kaunsā hai ? ( sampūrṇ bannā ) sampūrṇtā key|kī stage kiskō kahā jātā hai ? Kaunsā nakśhā sāmnē hai jiskō sampūrṇ stage samajhtē hō ? Bāp nē bhī jō sampūrṇ stage dhāraṇ kī usmē̃ kyā bātē̃ thī̃ ? Jab dūsrō̃ kō sunātē hō tō sampūrṇ stage kā kyā-kyā varṇan kartē hō ? Unhō̃ kō samjhātī hō nā ki is nôlējadvārā sarv guṇ sampann , 16 kalā sampūrṇ , sampūrṇ nirvikārī bantē haĩ . Yah sampūrṇ stage varṇan kartī hō nā . Bhaviṣhya mē̃ tō prāpti hōgī , lēkin sampūrṇ stage tō yah kahē̃gē nā . Ātmā mē̃ bal tō abhī sē bharēgā nā . 16 kalā sampūrṇ kahā jātā hai , tō kalāē̃ abhī bharē̃gī nā . Sarv rguṇ sampann , sampūrṇ nirvikārī , 16 kalā sampūrṇ , yah śhabda kahtē hō nā . Yah sampūrṇ stage hai . Sarv guṇ kyā haĩ , vah tō samajhtē hō guṇō̃ key|kī list hai . Parantu yah jō 16 kalā kahā jātā hai , unkā bhāv-artha kyā hai ? Yah hai sampūrṇ stage key|kī niśhānī . Jaisē dēkhā - kismē̃ kōī bhī viśhēṣhtā hōtī hai tō kahnē mē̃ ātā hai nā inmē̃ yah kalā hai . Kisī mē̃ rōtē huē kō haṅsānē key|kī kalā arthāt viśhēṣhtā hōtī hai , kōī mē̃ hāth K|kē saphāī key|kī kalā , kōī mē̃ buddhi K|kē chamatkārī key|kī kalā hōtī hai nā . Tō yah 16 kalā sampūrṇ arthāt uskā jō bhī karma hōgā vah her|har karma kalā K|kē samān dikhāī dēgā . Unkī her|har chalan - dēkhnā , bōlnā , chalnā jaisē kalā K|kē māphik dikhāī dēgā . Jaisē kōī key|kī kalā kō dēkhnē liē kitnā rūchī sē jātē haĩ . Is rīti sē jō sampūrṇ stage kō prāpt huī ātmāē̃ hōtī haĩ unkī her|har chalan kalā K|kē rūp mē̃ hōtī hai aur charitra K|kē rūp mē̃ bhī hō jātī hai . Tō viśhēṣhtā huī nā . Jaisē sākār K|kē bōlnē mē̃ , chalnē mē̃ , sabhī mē̃ viśhēṣhtā dēkhī nā . Tō yah kalā huī nā . Uṭhanē-baiṭhanē key|kī kalā , dēkhnē key|kī kalā , chalnē key|kī kalā thī . Sabhī mē̃ nyārāpan aur viśhēṣhtā thī . Her|har karma kalā K|kē rūp mē̃ practical mē̃ dēkhā . Tō 16 kalā arthāt her|har chalan sampūrṇ kalā K|kē rūp mē̃ dikhāī dē , iskō kahtē haĩ 16 kalā sampūrṇ . Tō sampūrṇ stage key|kī niśhānī yahī hōgī jō unkā her|har karma kalā K|kē māphik dikhāī dēgā arthāt usmē̃ viśhēṣhtā hōgī . Iskō kahtē haĩ sampūrṇ stage .
Tō 16 kalā sampūrṇ bannē kā jō lakṣyarakhā hai uskā spaṣhṭīkaraṇ yahī hai . Yah check karnā chāhiē ki - mērē dēkhnē mē̃ kalā hai ? Mērē bōlnē mē̃ kalā bharī huī hai ? vaisē kahtē haĩ - kalā-kāyā hī chaṭ hō gaī hai . Tō kalā ēk achchhī chīj hōtī hai . Kalā-kāyā khatm hō gaī hai arthāt karma mē̃ jō ākarṣhaṇ karnē key|kī śhakti hai , viśhēṣhtā hai vah khatm hō gaī . Tō her|har karma hamārā kalā K|kē samān hai vā nahī̃ - yah check karnā hai . Jaisē kōī bājīgar hōtē haĩ , tō vah jitnā samay bāzī dikhātē haĩ utnā samay her|har karma kalā K|kē rūp mē̃ dikhāī dētā hai . Chaltē kaisē haĩ , chīz kaisē uṭhātē haĩ - vah sabhī kalā K|kē rūp mē̃ note kartē haĩ . Tō yah saṅgamyug viśhēṣh karma rūpī kalā dikhānē kā hai . Sadaiv aisā mahsūs hō ki ham stage par haĩ . Aisē 16 kalā sampūrṇ bannā hai . Jiskā her|har karma kalā K|kē rūp mē̃ hōtā hai unkē her|har karma arthāt guṇō̃ kā gāyan hōtā hai , iskō dūsrē śhabdō̃ mē̃ kahā jātā hai her|har karma charitra samān . Jis kalā K|kē rūp kō dēkh aurō̃ mē̃ bhī prērṇā bhartī hai . Unkē karma bhī serviceable hōtē haĩ . Jaisē kōī kalā dikhātē haĩ , tō kalā kamāī kā sādhan hōtā hai . Is rīti sē vō jō her|har karma kalā K|kē rūp mē̃ kartē haĩ , unkē vah karma akhuṭ kamāī K|kē sādhan ban jātē haĩ aur dūsrō̃ kō ākarṣhaṇ kartē haĩ . Her|har karma kalā K|kē rūp mē̃ hōgā tō vah ēk chumbak ban jāyēgā . Ājkal K|kē jamānē mē̃ kōī chhōṭē-mōṭē kalā dikhānē vālē bhī rāstā chaltē kalā dikhātē haĩ tō sabhī ikaṭṭhē hō jātē haĩ . Yah tō hai śhrēṣhṭh kalā . Tō kyā ātmāē̃ākarṣitanahī̃ hōṅgī ? Abhī itnē tak checking karnī hai . Jō bhī śhrēṣhṭh ātmāē̃ bantī haĩ unkē her|har karma kē ūpar sabhī kā attention rahtā hai , kyōṅki unkē her|har karma mē̃ kalā bharī huī hai . Tab tō her|har karma K|kē kalā kā mandirō̃ mē̃ pūjan hōtā hai . Jō baṛē-baṛē mandir hōṅgē unkē uṭhnē K|kē charitra kā darśhan alag hōgā , sōnē kā alag hōgā , khānē kā alag , nahānē kā alag hōgā . Bahut thōṛē mandir jahā̃ sabhī karmō̃ K|kē darśhan hōtē haĩ . Uskā kāraṇ kyā hai ? Kyōṅki her|har kārya kalā K|kē rūp mē̃ kiyā , isliē yādgār chaltā hai . Sākār mē̃ bhī her|har karma kō dēkhnē key|kī rūchi kyō̃ hōtī hai ? Itnē varṣh sāth rahtē huē , jāntē huē , samajhtē huē , dēkhtē huē bhī phir-phir dēkhnē key|kī rūchi kyō̃ hōtī hai ? Ēk karma bhī dēkhnā miss nahī̃ karnā chāhtē thē . Jaisē jādūgar kalā dikhātē haĩ tō samajhtē haĩ - ēk bāt bhī miss key|kī tō bahut kuchh miss hōgā . Kyōṅki unkē her|har karma key|kī kalā hai . Is rīti yah bhī dēkhnē key|kī ichchhā rahtī thī ki dēkhē̃ kaisē sōyē huē haĩ . Sōnē mē̃ bhī kalā thī . Her|har karma mē̃ kalā thī . Iskō kahtē haĩ 16 kalā sampūrṇ . Achchhā , aisī stage banī hai . Lakṣyatō isī stage kā hai nā ? Lakṣyasē lakṣhaṇ dhāraṇ karnē paṛē̃gē . Her|har karma kalā K|kē rūp mē̃ hōtā rahē . Tō 16 kalā sampūrṇ bannē sē sarv guṇō̃ key|kī dhārṇā bhī automatically hō jāyēgī . Achchhā .